Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Bismillah-e-Rahman-e-Rahim, Allah-Tabarak-wa-Ta'ala-Ki-Faqeeza naam se aagaz karte hain jo bahut meherbaan
00:13nihayat rahim wala hain.
00:15Dars-e-Bukhari ka silsila Kitab-ul-Hiba wa Fadliha tak pohncha tha, yaani Tughfa aur
00:22uski fazeelat ki kitab, goya ki is hisa-e-kitab mein Imam Bukhari Rahmat-ul-Ali un-Ahadees
00:29ko laayin hain jinn mein kisi bhi jihad se Tughf-e-Wa-Ghara ka thikr hain, ya uski fazeel
00:34bayan kiye gaye hain.
00:37Hadith number hai 2594, aur Hadrat-e-Maimuna radhi-Allah-u-Ta'ala Anha iski raabiyan hain.
00:46Hazrat-e-Quraib isko bayan kar rahein, jo Ibn-e-Abbas radhi-Allah-u-Ta'ala Anhu ke
00:51aazad karda ghulam hain.
00:53Toh kehte hain ki Hadrat-e-Maimuna radhi-Allah-u-Ta'ala Anha, jo Nabi-e-Karim Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam
00:59ki zauja thi, unhone apni bandi ko aazad kar diya.
01:03Toh Aap ne unse firmaaya ki agar tum ye bandi apne kisi maamu ko de deeti, toh ye tumhare
01:09liye zyada ajar ka ba'iz hota.
01:13Waise Hadith mein bayan kar chuka tha, lekin thoda sa ispar mazeed tafsara darkaar tha,
01:18ki umumi taur par aisa hota hain ki hum apne qareebi rishtedaron ko cheez nahi dete hain,
01:23doosron ko dete hain.
01:25Usmein baad uqaad hum yeh samajhte hain shayad koi feel kar jayega, bura mahasus karega.
01:29Aur kabhi aisa hota hain ki patni ek humare baatin ke andar kuch aise kharaabi hoti hain
01:36ki hum nahi chahatein ki humare qareebi rishtedar koi faiz hasil karein.
01:40Wo mahrum rahein, unka mahrum hona hum par zahir hota rahein.
01:44Humein ghaire mahrum hona hasil ho, jisse humein unke mukabale mein ahsaas-e-bartari hasil hota rahein.
01:53Aur iss se ek maza payda hota hain, toh insaan nahi chahatein ki saamne wala khud ka feel ho jayein.
01:58Toh mere tamam jitne bhai-behar humein samaat firma rahein hain,
02:01koshish yeh kijiye ki agar koi sahi maslihat, bohoti badi maslihat na ho,
02:07jisse dini idaro ke andar dena, koi bohoti zyada qareebi rishtedar se zyada haajatmand hain,
02:13toh ek alaq baat hain, warna koshish kiya karein ki apne qareebi rishtedaron ko hadiyah tofa deyin,
02:18ispe zyada ajr hasil hota hain.
02:20Agli hadith ki taraf aatein hain, 2595, aur Hazrat-e-Ayesha Siddiqa radiyallahu ta'ala anha iske raaviya hain,
02:28wo bayan kartein hain ki, maine arz ki, Ya Rasool Allah, mere do padosi hain,
02:33main inme se kisko hadiyah dene ki ibtida karun?
02:38Aapne ishaat firmaaya ki, jo tumhare darwaze ke zyada qareeb hain.
02:43Iska mattabe ki, jo padosiyon ke hukook hain, wo bhi hamare mazhab-e-Islam ne bayan kiye.
02:49Isliye main baraha apne programs mein kehta hun ki, jitna hamara mazhab kaamil wo akmal hain,
02:55aisa koi mazhab nahi hain.
02:57Yeh challenge hain, aap jo bhi hamare musalman bhai-bhaihna mein sun rahein,
03:00aap challenge dede kisi ko bhi,
03:02koi apne mazhab ki itne kaamil ta'alimat nahi dikha sakta.
03:06Kuch mazhabi ta'alimat hungi, jo umlio pe gini ja sakti hain,
03:09baaki sari aql, tabiat, maahol,
03:13in sab ko dekh kar unhone kuch cheezein apne danmian raayich ki hoti hain,
03:17jab ki hamara mazhab-e-Islam hamein har cheeze ke baare mein rahnumai de raha hota hain.
03:22Aap musalman ka almiya yeh hain,
03:24ke kaamil tarin mazhab ko, uski kaamil tarin ta'alimat ko hasal karne ke ba wajood,
03:29naaqis tarin rehna pasand karta hain.
03:31Aur hamare gharon mein dekh le,
03:33offices mein, factories ke andar, doston ke maabain,
03:36jo bhi hamare maamulat, aamaal raayich hain,
03:40rusoom hain, rawaaj hain,
03:42wo aksar khilaf-e-sharaa hote hain,
03:44ya shariyat ki rahnumai se hatkar hote hain.
03:47Hamne nahi poochha ke shariyat-e-Islam iske ijazat deti hain ke nahi deti.
03:50To baad oqat aisa hota hain ke,
03:52aisa hi amal kar rahe hota hain,
03:53ke shariyat ki taraf se ijazat shuda hain.
03:55Lekin hamein nahi pata hota hain,
03:56kyunke hamne pehle maalum nahi kiya.
03:58Aur aksar aisa hota hain ke,
04:00shariyat ki taaleem ke khilaf chal rahe hote hain.
04:03Lekin ji hamare khandaan mein to aisa hi hota hain.
04:05Hamare bade to yahi kahte aaye the.
04:07Aur iski bina par ham apne kaamil tarheen mazhab ki taaleemat se,
04:12sahi tariqah se faizyab hone se mahrum hote hain.
04:16To ye yaad rakhein ke,
04:17jab zimmi kuffaar musalmaan ke darmian rahta ho,
04:21zimmi usse kafir ko kehte hain,
04:23ki jo musalmaan ki hukumat mein rehne ka,
04:26apne tahfuz ke liye baqaida tax deta ho,
04:29jisko jiziya kaha jaata hain.
04:31Ye aaj kal ke kuffaar jo zimmi nahi hain,
04:34jaisi amare mulke Pakistan mein aqaliyatin hain,
04:37to inko zimmi kafir nahi kainge,
04:38ye to harbi hi kailayenge.
04:40Harbi kafir wo hota hain,
04:41ki jo na zimmi ho, na mustaamin ho.
04:44Zimmi usse hi kahte hain,
04:45ki wo baqaida haakem-e-Islam ko kahte hain,
04:48ki aap meri hifazat karein,
04:49aap mera zimma le,
04:50iske badle main aapko tax doonga.
04:52Ye aksar aisa hota tha,
04:53ki musulman hamla karte the,
04:55alaakh-e-qabza mein aajaate the,
04:57to in kuffaar ko pehle Islam ki daawat di jaati,
05:00agar wo qabool kar le de theek,
05:01warna unko phir jiziya ki daawat di jaati,
05:04ki aap jiziya dede de,
05:05hum tumhara zimma leenge,
05:06aur tumhari kisi cheez se taaruz nahi karenge,
05:09usme mudakhalat nahi karenge,
05:10tumhi ibadat karna chaho, wo karo,
05:13lekin Islam ki khilaf nahi chalna hoga.
05:15To iska faida ye hota tha,
05:16ki wo matahat aakar tax bhi dete the,
05:19aur phir musulman jab aate jaate the,
05:21wahan par unko dekh kar bahut se Islam ki taraf maail ho jaate the,
05:25agar maar diya jaate ya nikaal diya jaate the,
05:27yakhni si baat hai ki Islam ke liye naram gosha,
05:30kabhi unke dil mein pehda nahi hota.
05:32Doosre mustaamin hote hain,
05:34ki jo kisi bahar ke alaakhe se Islami hukumat mein aayein,
05:37aur haakem Islam se aman talab kar lein.
05:40Jaise aaj kal agar bahar ke wo kaafir aata hai,
05:42usko baqaida visa jaari kiya jaata hai,
05:44to government usko protection deti hai,
05:46to inko mustaamin ka hukum diya jaa sakta hai.
05:49Aur teesr agar yeh dono nahon to harbi kaafir kehlaate hain.
05:52To aaj kal humare Pakistan mein harbi kaafir hain.
05:55To harbi kaafir ka yaad rakhein,
05:57koi haq nahi hota.
05:58Yehni mazhab ne koi haq nahi rakha,
06:00insaniyat ke naate ab achhar suloog karein,
06:02yeh mana bhi nahi hai.
06:03Lekin mazhabi aitbaar se uska koi haq nahi hai.
06:06Yeh tarah tafseel jaanne ke baad zihan mein rakhein,
06:08ki rahmat-e-Qaunayn sallallahu alaihi wa sallam ki,
06:10pudosiyon ke silsile mein,
06:12talimat ka khulasa yeh hai,
06:14ki baaz pudosi aise hote hain,
06:16jinn ke teen haq hote hain.
06:18Baaz aise jinn ke do haq hain,
06:20baaz aise jinn ka ek haq hain.
06:22Jinn ke teen haqook hain,
06:23wo wo pudosi hain,
06:24jo aapka rishtedar bhi ho,
06:26aur musalmaan bhi ho.
06:27To iske teen jihad se haq ho gaye,
06:29ki ek to pudosi hone ke aitbaar se,
06:31fir musalmaan hone ke aitbaar se,
06:32fir rishtedar hone ke aitbaar se.
06:35Aur farmaaye,
06:35ke aisa pudosi hota hai,
06:36ke jiske do haq hote hain.
06:38Wo hai musalmaan ho aur pudosi ho,
06:41rishtedar na ho,
06:42to do haq ho gaye.
06:44Jiska sirf ek haq hota hai,
06:46aur wo hai zimmi kafir.
06:47To us zamana mein,
06:48zimmi kafir ka bhi haq tha,
06:49ab baqaida haqook to nahi hain,
06:51lekin baharal insaniyat ke naam par,
06:53hum accha kaam,
06:54acchi tara uske rawayya rakhein,
06:56to bahot acchi baat hain.
06:58Iske baad,
06:59ab ye jo ek aur surat-e-haal aayi,
07:00ki agar hum kisi ko tofah dena chahen,
07:02aur do darwaze hamare padhte hain,
07:05ek kareeb ke hain,
07:05aur ek door ke,
07:06to kisko diya jaye?
07:07To rahmat-e-qonaind
07:08sallallahu sallam nishat farmaaya,
07:10ki jo tumhare darwaze ke zyada qareeb hai.
07:15Lekin ismein ek tafseel hai,
07:16wo zayn mein rakhein,
07:17ki misaal ke taur pe ab yehi baat,
07:19ki agar ek ghar muslim ka darwaze qareeb hai,
07:21aur musalmaan ka door hai,
07:23to musalmaan ko baharal fauqid deni hogi,
07:25jab tak ki ye ghar muslim,
07:27itna gharib na ho,
07:28ki agar isko nahi diya,
07:29to ye mar hi jayega.
07:30To insaniyat ke naate,
07:31isko thoda baad dena chahiye,
07:32warna musalmaan ka haq,
07:34yaad rakhein,
07:35kaafir par hamisha zyada hota hai.
07:38Aur doosra yeh ki,
07:40jo qareebi padosi hai,
07:41fars kalne kaafir nahi,
07:42ye musalmaan hai,
07:43lekin uske aqaid mein kharabi hai,
07:47ailani Allah ki shaan mein gustakhi karta hai,
07:50nabiye kareem sallallahu sallam ko madallah,
07:52aapki zaat mein aib nikaalta hai,
07:55ya sahab-e-ikram,
07:56ya ahl-e-bait-e-athar ki shaan mein
07:58koi gustakhi ka murtakib hai,
08:00to aise shahs ko hargiz na diya jaye,
08:02fir door koi ghar ho usko dena.
08:05Teesri surat yeh hai,
08:06hai to musalmaan,
08:08aur aqeedah mein koi kharabi bhi nahi hai,
08:09sahih-ul-aqeedah hai,
08:11lekin uske aamaal kharab hai.
08:13Ailaniya taur par gunah-e-kabira karta hai,
08:16sharaab peeta hai,
08:17zina maroof hai,
08:18aur auroton ko chhedta hai,
08:20aur ghalat kisam ki harkate karta hai,
08:22sharaab peeta hai misaal ke taur par,
08:24to aise padosi ko bhi nahi dena chahiye,
08:26balki isse door rahein,
08:27kyunki gar aap kareem honge,
08:29to ek na ek din aap bhi
08:30shikar ho jayenge,
08:31log aap par bhi badgumani karenge,
08:33wahi sharaabiyon se raapta hai,
08:34aur jawariyon se raapta hai,
08:36aur phir aapke ghar mein
08:37rishte aanein bhi bhi problem hota hai,
08:38agar bachiyan hain khaas taur par,
08:39to bahut door rahein,
08:41aise mein bhi doosre ko fauqid deni hogi.
08:43Phir ek aur hota hai,
08:45ke musalmaan hain,
08:46ailaniya gunah nahi karta,
08:48ya ailaniya gunah karta hai,
08:49lekin wo gunah karta hai,
08:51ke jo ab musalmaanon ki nighahon mein,
08:53bahut hi halke ho gaye,
08:55agarche nighah-e-sharaa mein
08:56ab bhi bahut bade hain,
08:57misaal ke taur pe be-namazipan,
09:00isi tariqah se rizq ke husool mein
09:03ihtiyaat na karna,
09:04mein haraam ki baat nahi karna,
09:05ihtiyaat na karna,
09:06jis mein mashkook rizq bhi ho jata hai,
09:08aur baaz oqat haraam ki tarah bhi
09:10insaan badh jata hai,
09:11aur isi tariqah se ghaibate karna,
09:13chughliyan karna,
09:14jhood bolna,
09:15ab ye hamaare moaashre mein
09:17inko aksar bura nahi samjha jata,
09:20ek shahk jhood bol ke kayta hai,
09:22hana toh jhood bol raha tha,
09:22hum kayta hai chhera ainda nahi kar rahi ho,
09:24taal deta hai,
09:25hala ke gunah-e-kabira hai,
09:27jaise sharaab gunah-e-kabira hai,
09:29aisi ghaibat,
09:30chughli,
09:31be-namazipan,
09:32bahut bade gunah-e-kabira hai,
09:33dekhi hamaare nighahon mein
09:35kam ho gaye hain,
09:36toh baharaal is khusam ke
09:37agar logon se mail milaap rakhein,
09:38toh koi ungli nahi uthtaata,
09:40koi hum par tohmat nahi lagata,
09:41koi ilzaam nahi lagata,
09:43koi hume dekh kar
09:44alaida nahi had jata,
09:46kat nahi jata,
09:47toh phir aise logon se
09:48tumharaal zahiri bartao
09:50aur raapta rakhna chahiye,
09:51lekar unke amal se nafrat rakhna,
09:52dil mein karahat rakhna,
09:53yeh wajib hai,
09:54nahi rakhenge toh gunagar honge,
09:56aisi surat mein
09:57kareeb wale ko deh sakte hain,
09:58lekar usmein dekhenge,
09:59agar yeh aise shahs kareeb hai,
10:01aur door kisi ka ghar hai,
10:03aur wo shahs hai,
10:04namazi,
10:04muttaqi,
10:05parhezgar,
10:06toh aapka hadiya usi ko jana chahiye,
10:08jaise rahmat-e-qaunayn
10:09sallallahu alaihi wa sallam
10:10ishaad farmate hain,
10:11ke tumhara khaana sirf parhezgar khaaye,
10:14aur tum sirf momin ko apna doz banao,
10:18iska momin se waraad,
10:19momin muttaqi ko doz banao,
10:21toh yeh khaana kyun parhezgar khaaye,
10:23iski wajib ulama ne beyan farmaaye,
10:25ke rahmat-e-qaunayn
10:26sallallahu alaihi wa sallam
10:26ne isliya beyan farmaaya,
10:28ke jab naik aadmi wo khaana khaayega,
10:30jitni tawanaai hasil hogi,
10:33tamam tar tawanaai wo
10:34achhe kaamon me istimaal karega,
10:36aap ke liye sawabe jaariya,
10:38aur agar aap kisi faasiq-o-fajir ko khila dete hain,
10:40be namazi,
10:42Allah ki ibadat ko,
10:44shariyat ko bhoj samajhne wala,
10:46rah-e-firaar ikhtiyaar karne wala,
10:48agar usko nasihat karde hain,
10:49toh moon ban jaye,
10:51deen ki baatein kahein,
10:52toh aapke kareeb na aaye,
10:54aakharat ki fikar de hain,
10:56toh naraaz ho jaye,
10:57aur duniya ke maal-o-mata ki baatein karein,
10:59faidon ki,
10:59toh aapke qadamon ke andar aake baid jaye,
11:02aise ko khilayenge pilayenge,
11:03toh sari tawanaai,
11:05Allah ki nafarmani mein kharj karega,
11:07aur yakinan aapke liye ho sakta hain,
11:10ho sakta hain ke gunah-e-jaariya bhi ho jaye,
11:13isliye jab tak bohot majboor na ho,
11:16mattab istara ke logon ko na khilayen,
11:18pilayen,
11:19sirf apne nek logon ko koshish karein,
11:21ke dekhen jo namazi wa gharah hain,
11:22unko de,
11:23baqi yeh ke majbooriyan hoti hain,
11:25jab hum shadi biya karte hain,
11:26toh saikdor rishtadar aise hote hain,
11:28jo be namazi hote hain,
11:30aur isi tarah ke log hote hain,
11:31unko invite karna hi hota hain,
11:32aur dabaa ke khaana khaate hain wo,
11:34aur yakinan hume yaqeen hota hain,
11:35ke sari tawanaai,
11:37Allah ki nafarmani mein kharj karege,
11:39lekar ise maukah par,
11:41dil mein qasdo irada kar lein,
11:43ke Allah ta'ala hum is par razi nahin hain,
11:44ke yeh istawanaai ko ghalat kaam mein istimal kare,
11:47bar rishtadar hone ki bina par humne bula liya,
11:49toh Inshallah aap baryuz zimma hunge,
11:52toh yeh cheezah zara zahir mein rakhein,
11:53aise hi mein jo bachay humein dekh rahein,
11:55bahot se dost hote hain,
11:56aap school jaate hain,
11:57college jaate hain,
11:58university jaate hain,
11:59lekin aap aise logon ko dost banana pasand nahin karte hain,
12:02jo zara deendar kisam ke hun,
12:04main unko nahin keh rahein,
12:05ke farz kar lein,
12:05ke koi kisi mattab siyasi activity mein ho,
12:10ya bahot extremely koi aise tarah ke muaamlaat karta ho,
12:13usse log ammumi taur pe ghawra ke peechay har jate hain,
12:16main toh ek aam general baat kar rahein,
12:17aap aam ke class mein bahot se,
12:19jaise bachiyan hote hain,
12:20toh bahot si bachiyan,
12:21koi bachiyon ko dekhti hain,
12:22ke burkha pehn ke aati hain,
12:23niqab ke saath aati hain,
12:25scarf ke saath aati hain,
12:26toh baaz ladkiyon ka mood hota hain,
12:28ke wo apne jaisi ladkiyon ko pasand karte hain,
12:30jo be purda hun,
12:31hasi mazaak karein,
12:32ladkiyon ki baate karein,
12:34unhi ko khilate pil aati hain,
12:36aise ladkiyon ke adar muaamlaa hota hain,
12:38lekin yeh zihn mein rakhiyega,
12:39kar aap istara kisi ko,
12:41mattab jo Allah ka naafarmaan hain khilayenge,
12:43toh woh tawanaayi yaqeenan,
12:45nafs o shaitaan ki itaat mein sarf hogi,
12:49aur aap isko like nahi karenge,
12:51toh jab tak shadid koi majboori na ho,
12:53koshish karein,
12:54ke aapka paisa,
12:55aapka sarmaya,
12:56achhi jagah hi lage,
12:57chahe aap khud aise na ho,
12:59yeh bhi yaad rakhein,
13:00ke baad o khad insaan aisa hota hain,
13:03ke khud namaz nahi padta,
13:04jhud bhi bol raha hain,
13:05ghibat bhi kar raha hain,
13:06ab hum kayein ki,
13:07hum bhi aise hain,
13:08kya karein,
13:08chalo,
13:09bhai apne liye sawab-e-jariya toh kar saktein na aap,
13:13kyunki aap agar achhi jagah paisa kharj karenge,
13:15kisi nek aadmi ko khilayenge,
13:16sawab-e-jariya hoga,
13:18toh kamaskam aapki aakhirat ki behtri ka saamaan,
13:21ab aap khud amal nahi kar rahein,
13:22aur be amal ko khilayen pilayein,
13:23aakhirat hai,
13:24kuch bhi sarmaya jama nahi ho raha,
13:26yeh thoda sa tawajjo rakhiyega.
13:28agli baab ki taraf aate hain,
13:30asumal lam yaqbalil hadiyyata li illatin,
13:33jisne kisi uzar ki wajah se hadiyya qabul nahi kiya,
13:38iska baab.
13:39Isme hadith laayi hain,
13:402596 number,
13:43aur hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhiallahu ta'ala,
13:47anhu iske raavi hain,
13:48wo beyan kartein,
13:49ke unhone hazrat-e-sa'ab bin jathama-l-laithi se suna,
13:53jo nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ke ashaab misi the,
13:57wo khabar dete hain,
13:58ke unhone rasool-ul-lahi sallallahu alaihi wa sallam ko,
14:00ek jangli gada hadiyya mein pesh kiya,
14:04aap us waqt abwa ya wadaan mein the,
14:07alaqe ka naam hai,
14:08aur aap muhrim the,
14:10to aapne is hadiyya ko wapas kar diya,
14:12hazrat-e-sa'ab ne bataya,
14:14ke jab aapne mere chehre par malal ke aasaar dekhe,
14:18yani gham peyda ho gaya,
14:18ke mera hadiyya qabul nahi kiya,
14:20to aapne dekhe,
14:22ke aapne mera hadiyya mustarad kar diya hai,
14:25to aapne ishaad farmaya,
14:26ke humne aur kisi wajah se,
14:28tumhara hadiyya wapas nahi kiya,
14:31sirf is wajah se,
14:32tumhara hadiyya wapas kiya hai,
14:33ke hum muhrim hai,
14:36to aapne piche ek riwayat maine bayan ki thi,
14:38jisme Sarkar sallallahu alaihi wa sallam ne,
14:40ek ghair-e-muhrim,
14:41jo jinko,
14:42jo maharim the,
14:44muhrim log the,
14:45unhone ko nishan dahi bhi nahi ki thi,
14:46unhone ek shikar kiya tha,
14:48to phir wo muhrim hazrat ne bhi khaya,
14:50aur nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ne bhi,
14:52tanawul farmaya tha,
14:54yeh wo honge ki kisi ne nishan dahi kar di hogi,
14:57kisi muhrim ne ishara kiya hoga,
14:59to wo le aaye,
15:00istara ki koi na koi sharai qabahat usme maujood thi,
15:03lihaza nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ne,
15:05mana farma diya,
15:06iska matlab yeh hua,
15:07ki sahi sharai auzar ki bina par,
15:10kisi ka tohfa radh kar dena,
15:12aur us waqt uski dil aazari ka khayal na karna,
15:15sharan bilkul jaiz hai,
15:17isme ansaan gunaagaar nahi hoga,
15:19ab iski chand misale dekhen,
15:20ki farz kar lein,
15:21ki aap yeh koi rishtedaar hain,
15:23jo paisa kamane me ehtiyaat se kaam nahi lete,
15:26aap yeh dekhte hain,
15:27aap ko masayil aate hain,
15:28ki yeh haram, halal, sab ghar ke andar aa raha hai,
15:30ab unhone koi tohfa bheja,
15:32is wajah se aap ne mana kar diya,
15:33ki aap ko karahat maasus hui,
15:35ki patna nahi aisa na ho,
15:35ki haram ka ho,
15:37ya wo rishwat lete hain,
15:38to rishwat mein koi phal, fruit, koi mithai aaye hogi,
15:41aur unhone aap ko bhej di,
15:43to yakhni si baat hai,
15:43is se toh ishtinaab hi karna chahiye,
15:45to aap ne agar ishtinaab kiya aur mana kar diya,
15:48aur wo kahte hain,
15:49ji aap ne hamari dil-azari kar di,
15:50koi masalah nahi hai,
15:52aap ne dil-azari par khud apne aap ko pesh kiya,
15:55jab aap ko Allah Rasool ki parwa nahi hai,
15:58agar ek shahs ne aap ki parwa nahi ki,
16:00to aap kyon naraaz hote hain,
16:01aap ne apne aap ko itna buland-o-bala samajh liya,
16:04ki hum kuch bhi karte rahein,
16:06Allah Rasool ko naraaz nahi hona chahiye,
16:08aur hamare saath bura hua,
16:09toh humein naraaz hone ka haq hai,
16:11yeh kya baat ho gayi,
16:12toh isliye is kisam ki rishtedaroon ki koi cheez mana kar deyen,
16:16koi haraj nahi hai,
16:17aise kar aapko,
16:18koi aapke jo dost kehlaten hain,
16:20hamare hum aise koi dost bana leten hain,
16:22pata hai ki kabhi jardi se kehle utha leta hai,
16:24kabhi moomphali kharid den gaya,
16:26ek paun moomphali,
16:27aur aada paun muthi bhar ke utha ke,
16:28aur khaana shuru kar dete hain,
16:29jo sakhat najaiz hain,
16:31aur yeh mujhe koi tofa de raha hai,
16:33aur aise logon se tofa lene me bhi,
16:35zara ihtiyaad karne chahiye,
16:36aise koi chor aur chakka dost maroof hai,
16:38ke main toh pen utha leta hun,
16:40yeh kar leta hun,
16:40karna mein khud beyan kar raha hai,
16:42ab wo aak ek tofa deta hai,
16:43pen waghara ka,
16:44ya kisi cheez ka,
16:45toh harkis na le,
16:46is laalaj mein na aaye,
16:47ki mujhe kya,
16:47isne kahin se bhi liya hoga,
16:49maidaan-e-mahashara mein jab khada karke,
16:50Allah ta'ala hisaab lega na,
16:52toh us waqt hai deejayega,
16:53Allah ta'ala mujhe kya pata tha,
16:55wahaan pe swaal agar ho gaya,
16:58toh yeh phir aap se mazeed swaal hoga,
17:00ki ek shariat kyu nahi seekhi thi,
17:02toh isliye jo aajaaye humein mil raha huna,
17:05toh phir yeh bhi nahi dekhte,
17:06ke kya hai,
17:07bila tamseel ek baat arz kar raha hu,
17:09ki ek kanjoos tha,
17:10usse koi gaaliyan bak raha tha,
17:11toh bade khush hoke sun raha tha,
17:13aur koi jawab nahi de raha tha,
17:14kisi ne kya hai,
17:15ar tumhe sharam nahi aati hai,
17:16tumhe itni kharab-kharab gaaliyan de raha hai,
17:18aur tum kuch manai nahi karte ho,
17:19kuch jawab hi nahi de raha ho,
17:20toh isne kya hai,
17:21bhai kuch aayi raha hai na,
17:22jaa toh nahi raha,
17:24toh masalah yeh hota hai,
17:25ke hum log jab yeh aara hota hai na,
17:27toh yeh nahi dekhte,
17:27ke haram se aara hai,
17:29najaiz se aara hai,
17:30mashkook aara hai,
17:31hum bas maal ke itne,
17:33baad uqat laalach mein uptala ho jaate hain,
17:36duniya ki muhabbat itni hum par gaalib hoti hai,
17:38ke hum jaanbooch kar aankhe band kar lete hain,
17:41bohose toh aise mujhe sun raha hunge,
17:43ke agar koi kai de na,
17:44yeh bhai yaari yeh wahan se maar kar laaya hun,
17:45toh hum kehte hain,
17:46laa mera hisa bhi leyaa ismein se,
17:48yaani jab pata hai ke yeh chori ka hai,
17:50haram hai,
17:51haram-e-qata'i hai,
17:52koi cheez chura ke laaya,
17:54phal tod liya,
17:54kisi ki bighar ijazat ke,
17:56ar wo aakar tumhe pesh kar raha hai,
17:57toh jee jaman dekhe,
17:59amrood dekhe,
18:00ab yeh nahi dekha ki yeh haram peht mein utrega,
18:02aapke andar tabahi macha dega,
18:04lekin aara hai na aana do,
18:06ispar zaroor humme tawajjo karne chahi,
18:08inshaAllah ispar mazeed kalam karenge,
18:09next program mein,
18:10wa aakhiru da'awana anil hamdu lillahi rabbil alameen.