• last month
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal

#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation

Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Bismillahir Rahmanir Raheem, Allah ta'barak wa ta'ala ke Pakizat Ali naam se aagaz kirtey
00:26hain jo bahut mehrbaan nihayat ir-rahim wala hain.
00:30Pishli program mein jo baab qaim hua tha, baabu itqil mushriki, mushriko azaad karne
00:36ka baab.
00:37Iske tahat humne khadith zikr kirti, 2538.
00:41Hakeem bin Hizam radhi allahu ta'ala anhu, apne zaman-e-jahliyat mein azaad karda ghulamon
00:48ke baare mein Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam se daryaf farmate hain, ki Rasulullah
00:53jinn kaamon ko mein zaman-e-jahliyat mein neki samajh kar karta raha tha, inka kya hukum
00:58hain.
00:59To rahmat-e-qaunayn sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya, ki tumne jo pehle neki ki thi,
01:03isi ki wajah se tumko Islam lane ki taufeeq mili hain.
01:06Dekhin Quran ki nusuf-e-qata'iya se yeh baat thabit hain, ki agar koi shakhs kufr ki haalat
01:13mein koi neki kare, aur phir haalat-e-kufr mein hi mar jaye, usko aakharat mein kisi
01:17bhi nek amal ka ajar nahi milega.
01:20Allah-ta'ala duniya mein hi de deta hai ajar, yaani unko izzat de dega, mazeed daulat de
01:25dega, aafad-o-baliyat se mahfuz rakhega, aur jo unhone nek amal kiye the goya ke unhi inamaat
01:32ke badle mein fana kar diya jaayenge.
01:34Maidane mahshar mein kafir is saal mein haayega, ki uske naam-e-amaal mein ek bhi neki nahi
01:39hogi.
01:40Aur waise bhi kafir jo hai, wo neki ka ahal nahi kehlaata, humare mazhab-e-Islam ke itibaar
01:46se, kyunki usne Islam qabool nahi kiya, to Allah-ta'ala usko koi nek amal qabool nahi
01:52karega.
01:53Haan, yeh zaroor hai, jaise ab ek to yeh baat zahir hui, ki Allah-ta'ala duniya mein unko
01:59inamaat de deta hai, yaani wussat de dega, khufsoorti, daulat, aulad ki kasrat, izzat-e-
02:06jaise aaj kal bhi aap dekh rahein, aur ya phir doosra aisa hota hai ki Allah-ta'ala uski
02:12kisi neki ko waseela banaakar usse Islam ki taufiq ata farma deta hai.
02:18Jab wo Islam hasil karlega, Islam ki taufiq hasil hogi, phir Allah-ta'ala usko mazeed
02:22barkat-o-se nawaaz deta hai.
02:24Iska matlab yeh hua ki agar koi kafir neki kar raha hai, to hum uski neki ko us waqt
02:30tak bekaar nahi keh sakte, jab tak ki uska haalat-e-kufr mein intiqaal nahi ho jaye.
02:36Agar wo haalat-e-kufr mein mar gaya, to hum kehenge yeh toh sab nekiyan bekaar gayi.
02:40Main agar wo musalmaan ho gaya, to iska matlab uski nekiyan bekaar to nahi hai.
02:45Unki hukm-e-hadeeth, uski nekiyon ki barakat se hi wo Islam ki taraf maail ho jata hai.
02:51To humne kai, aapne bhi dekha hoga, aur suna hoga ki kai log aise hote hain, jo ghair muslim
02:56hote hain, acche kaam karte hain, aur insaniyat ke naam par khidmate kar rahe hote hain,
03:02aur phir Allah-ta'ala unko Islam ki taraf aane ki taufiq deta hai, aur wo musalmaan
03:07ho jate hain.
03:09To yeh aap keh sakte hain, is hadith ki roshni mein, ki aapko Islam ki daulat aapke unne
03:14ka maal ke badle mein mili thi.
03:16Iska matlab yeh hua, phir khulas-e-kalaam kya hai, ki kafir ki neki mutlaqan, yaani
03:21without any condition, bekaar nahi hote hai.
03:24Haan condition yeh hai, agar wo haalat-e-kufr mein mar gaya, toh bas phir bekaar hai.
03:29Sab kuch bhi fayda nahi hai.
03:30Lekin agar haalat-e-kufr mein nahi marta, jab tak wo zinda hai, ummeed baqi hai, ki
03:35unne ka maal ki barakat se, Allah tabarak wa ta'ala isko Islam ki daulat ata farmade
03:39aur ya phir practically usko Islam ki taufiq milhi jaayegi.
03:43Agali hadith ki taraf aate hain, pehle baab qaim kiya hai, ki
03:47baabu mammalaka minal arabi raqeeqan fa wahaba wa ba'a wa jama'a wa fada wa sabadduriyyah
03:56Ahl-e-Arab mein se kisi ko ghulam banana aur isko furuqt karna aur Arab bandi se jismani
04:04taalluq qaim karna aur fidiyah lena aur bachon ko qaid karke ghulam banana aur phir hiba
04:11karna, yaani kisi ko taufatan de dena, in sab ka baab.
04:15Ismein hadith zikr ki hai aur do hadithon ko eki jagah, kyunki baad waqat matan ek
04:21hota hai, aur jo sanad-e-hadith hoti hai, usmein thoda thoda farq hota hai, toh Imam
04:25Bukhari eki jagah, ek hadith ko zikr karte hain, lekin uske number do hote hain.
04:30Toh yeh 2539 aur 2540 number hadith-e-paak hai, ki Hazrat-e-Urwa ne zikr kiya, ki Marwan
04:41aur Hazrat-e-Miswar bin Makhrama, in dono ne khabar di, ki jab Nabi-e-Karim sallallahu
04:47alaihi wa sallam ke paas Hawazin ka waft aaya, toh aap khade ho gaye. Hawazin se jang hui
04:53thi, aur unmein se bause log tayib hokar phir aage hai, aur unke kuch qaidi yahan par
04:57hai. Unhone aap se yeh sual kiya, ki aap inke amwal aur inke qaidi unki taraf lota
05:04dain. Aapne farmaaya ki mere saath wo log hain, jinko tum dekh rahe ho. Mere nazdi
05:10ek zyada pasandeeda baat wo hai, jo zyada sachhi ho. Tum log do cheezon misse kisi ek
05:16ko ikhtiyar kar lo. Ya apna maal wapas le lo, ya qaidi. Isi liye maine inki takseem
05:22bhi taakhir ki thi. Sarkar firmaatein, isi toh maal-e-ghanimat tha, main takseem kar
05:26deta. Lekin maine isi liye rook ke rakha. Aur raavi kehte hain, ki Nabi-e-Karim sallallahu
05:31alaihi wa sallam ne unka das se zyada raaton tak intizaar kiya. Jab aap Taif se lota the,
05:37jab ahle Hawazin ko yeh malum ho gaya, malum hua, ki Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa
05:42sallam unko do mese sirf ek cheez wapas karenge, toh unhone kaha, ki hum apne qaidiyon ke
05:49lene ko ikhtiyar karte hain. Fir Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam logon ke darmian
05:54khare hua, aur aapne Allah ki aisi hamd ki, jo uski shaan ke laaik hai. Fir firmaaya,
06:00ki Allah ki hamd ke baad, tumhe malum ho, ki tumhare bhai humare paas Taib hokar aaye
06:06hain. Yani sahabat se khitab kiya. Aur maine yeh munasif samjha, ki inki taraf inki qaidi
06:11wapas kar doon. So tummese jo shahs yeh khushdili se karna chahe, wo kar le. Aur jo in qaidiyon
06:17mese apna hisa rakhna chahe, wo intizaar kare. Hatta ki humko Allah jo pehla maal-e-ghanimat
06:23ata firmaayega, hum usme se usse de denge. Pas jo chahe wo aisa kar le. Yani qaidi apne
06:30paas rakhe, agar wo waisi nahi dena chahata, toh fir jab hum maal-e-ghanimat aayega, toh
06:34fidiyah dekar is qaidi ko chhudaya jaayega, aur inko wapas kiya jaayega. Yeh Sarkar ne
06:38sahab-e-kiram ko bhi offer ki. Toh logon ne jab yeh sahab-e-kiram Ali-Muridwan ne suna,
06:45toh logon ne kaha ki hum khushi se ispar raazi hain. Ya Rasool Allah aap deh de, sare
06:49Ghulamin ko deh de. Aap ne firmaaya ki humein nahi maalum ki tum mese kisne iski ijazat
06:53di hai, aur kisne ijazat nahi di. Yani jaise bohos saare baitha huye the, toh koi yes
07:00aisi awaad-e aaya rahi thi, toh wo confirm na ho saka ki kitne raazi hain, kitne. Toh
07:04Sarkar ne shahad firmaaya ki tum wapas jao, aur hamare paas tumhare muamalat ke muntazimeen
07:10aur kaar-e-mukhtar aayen. Yani apne numayende bhejo, tum sab jao, numayende bhejo. Fir
07:16log wapas chale gaye, aur unhone apne muntazimeen se mashwara kiya, fir wo nabi-e-karim sallallahu
07:21alayhi wa sallam ke paas wapas aaye, aur aap se kaha ki wo is faisle par khush hain, aur
07:26aap ko ijazat di. Pas yeh wo khabar hai jo ham tak Hawazin ke qaidiyon ke silsile mein
07:31pohnchi hai. Toh aap andaad-e-karein ki Hawazin ke jang hui, unke maal bhi qabzi me aaye,
07:36qaidi bhi aaye. Aur dastoor yeh hi tha, ki jo maal aur qaidi aate the, wo mujahideen
07:41mein takseem hote the. Sarkar ka bhi usme hisa tha. Lekin nabi-e-karim sallallahu alayhi
07:46wa sallam ko ba zariyah-e-wahyi, bata diya gaya hoga, Allah ke taraf se ba zariyah-e-ilham
07:50wahyi-e ke zariyah, ki yeh ta'ib hunge, aur inme se kuch log aayenge aapke paas. Toh
07:55sarkar das raaton tak intizaar karte rahe, ki unko aane deyen. Aur yeh maal aur qaidi
08:01aapne sahabah ke andar takseem nahi kiya. Hatta ki wo aaye. Toh nabi-e-karim sallallahu
08:06alayhi wa sallam ne fir ek cheez ke baarein firmaaya, ki dono hum wapas nahi karenge,
08:10ek cheez karenge. Aur yeh bada balanced kalam tha mere aqas sallallahu alayhi wa sallam
08:14ka, taake sahabah ko ke andar maal takseem ho jaye. Qaidi hum wapas karein, toh inper
08:18ek ehsaan ki surat hogi. Aur yeh qaidi bhi khush hunge. Yeh bhi, agar ko Islam nahi
08:22laaya, toh Islam laayega. Aur yeh achha athar murattab hoga. Lekin chuke unqaidiyon ke
08:27islam mein bhi, ek taraka mujahideen ka haq tha. Toh rahmat-e-qaunayn sallallahu alayhi
08:32wa sallam yeh bhi nahi chahate the, ki koi kisi ke qabze mein ghulam aane wala ho, aur
08:37phir waisi muft mein de diya jaye. Toh ho sakta hai, ki unke dil mein khayal aaye.
08:42Toh isliye rahmat-e-qaunayn sallallahu alayhi wa sallam ne, tamam se mashfara aur raayi
08:46li. Sab ispe bakhushi razi hue, ki aap ghulam inko wapas kardein. Wo hikmat-e-rasool ko
08:51karte gaye. Lekin phir bhi chunke Nabi-e-Karim sallallahu alayhi wa sallam chahate the,
08:55ki sarahatan yeh muaamla ho, wazaahat ke saath. Inne mein se ho sakta hai, kuch bol rahein,
09:00kuch nahin. Toh phir aapne farmaaya, apne darmiyan se numaayinde muntakhab karke bhejo.
09:04Wo kya faisla kartein, unne ne wajfara karke bheja. Toh ab unko shoshne ka time mil gaya.
09:09Agar ek foran, fori taur par hum kisi se kahein, bhai isi majlis mein batao, yes or no.
09:14Toh baad oqaat, kisi buzurg ke saamne, bade ke saamne, faisla karna dushwaar ho jata hai.
09:19Yeh khof bhi hota hai, bhi naraz na ho jayein, kya muaamla hai, kya nahin. Isliye Sarkar
09:23ne aur unko space diya. Ki aap jayein, mashwara karein, apne muntazimeen ko bhejein.
09:28Jah muntazimeen aayein, sab ne yehi faisla kiya. Arasool Allah hum ispar khush hain,
09:32aap jo faisla farmaana chahein. Phir rahmat-e-qaunain sallallahu alayhi wa sallam
09:37Toh isse, jo bhi aise hazarat hain, jinke matahat kuch afraad hote hain, chahe wo tanzeem
09:44chala rahe ho, koi deeni tanzeem ho, ya kisi safar par gaye ho, ya koi aur intizamat
09:50wa ghara ke muaamlaat ho, jo upper level par hota hai, usko isi tariqah se apne matahat
09:55logon ke jazbaat, ahsasaat, unke hukook ka khayal karna chahiye. Aur kisi bhi jihad se
10:01koshish honi chahiye ke shaitaan kaamiyaab na ho sake. Yeh toh khair nufus-e-qudsiya
10:07the, lekin umimi taur par jab is kisam ke muaamlaat hote hain, toh foran shaitaan dilon
10:12ke andar baat daal deta hai, badgumani peyda kar deta hai, gussa peyda kar deta hai, aur
10:17ghalat kisam ke mashwar-e-dena shuru karta hai. Isliya aap dekhen hamare gharon ke andar
10:22ladai jagde ho jate hain, maabab ke faislon par baaz oqaat aulad lad baitti hain. Maabab
10:28pooshte hain ke bhai aisa karna hai nahi karna, toh baaz bolte nahi hain ke bolenge
10:32toh sab hume hain. Lekin phir bahar jaakar phir uspe shor machaate hain, baaz wasiyaton
10:37ko adam karar dene ki koshish karte hain, aur is tariqat se phir fitna-fasaat phailta
10:42hain. Toh isliya is hadith mein, agarche ghulamon ke baare mein hadith hain, lekin seekhne
10:47ke bade pehloon hain, ke rahmat-e-qaunayn sallallahu alaihi wa sallam bauti pyaar-e-andaas
10:52se badi hikmat ke saath, aap is tarah ke muaamlaat kiya karte the, ki kisi jaanib se
10:57aitraaz na ho, koi aap se badguman na ho, kyunki nabi-e-karim ko toh nukhsan na hota,
11:02badguman, badgumani karna wala tabah ho jata. Aur isi tarah hukook ka bhi sarkar ne khayal
11:08rakha, aur sabki marzi ke mutaabik faisla farmaya, aur bauti achha faisla kiya, isse
11:13hume seekhna chahiye. 2541 number hadith-e-paak hai, hazrat-e-abdullah kehte hain ki hume
11:23ibn-e-aun ne khabar di, unhone kaha ki maine naafi'i ki tarah maktoob likha, unhone mujhe
11:28jawab mein likha ki nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ne banu mustaliq par hamla
11:33kiya, ye kabila wale thi unpe hamla kiya, aur wo uswaq bilkul ghafil the, aur unke mawashi
11:39paani ke hawz par paani pee rahe the, aapne unke jangjoon ko qatal kar diya, unhone nabi-e-karim
11:49ne toh nahi, jo aapke saath lashkar tha, unhone qatal kar diya, aur unke bachon ko qaid kar
11:54liya, aur us din aapne hazrat-e-juwariya ko bhi qaidiyon mein paaya. toh ye bibi-e-juwariya
11:59jo thi, ye unke kabila-e-banu mustaliq se taalluk rakhti thi, aur fir ye jab qaid mein
12:05aayin, toh kisi ko de di gayin. jab de di gayin, toh ye kaneez ban gayin. toh fir ye
12:10aayin, us shakhs jo tha, us ne bibi-e-juwariya radhi-e-allah-o-taala anha se, chuke baad
12:15mein yummuhaat-ul-mumineen mein aayin, isli mein aap se yaarz kar raha hoon, toh us ne
12:20kaha, agar aap mujhe itna-itna paisa de de, main aapko azad kar dunga. aur ye bibi-e-hazrat-e-juwariya
12:25jo thi, wo zahiri husn-o-jamaal ki hamila bhi thi, aur iske mawashi-e-jawariya ko bhi
12:30toh zahiri husn-o-jamaal ki hamila bhi thi, aur iske ilawa ye sardaaron ke khaandaan se
12:36taaluk rakhti thi. toh ye fir nabi-e-karim sallallahu-sallam ke paas aayin, aur darkhaas
12:41ki, ya rasool-Allah, aap meri taraf se mera badla de de, taake main azad ho jaun, isko
12:47badal-e-kitabat kehte hain, ye jo muahida hota hai, itna paisa do, hum tumi azad kar
12:52denge, isko kitabat kehte hain, aqd-e-kitabat. aur jo uska wo badla degi, usko badal-e-kitabat
12:59kehte hain, ab wo bibi-e-jawariya ke paas thaani, unhe kaha, mera toh sab chhin gaya
13:03hai, toh aap meri taraf se ye de de. rahmat-e-qaunayn sallallahu-sallam ne firmaaya, ke kya
13:07main tumi isse behtar mashwara naa duun, unhe kaha, jee bataiye, sarkaan ne firmaaya, ye
13:11hai, ke main tumara ye adah kar detaun, aur phir tum se nikah kar letaun, goya ke azad
13:17karke nikah, toh wo ispe razi hui, aur phir aap ummuhaat-il-mu'mineen me daakhil hui.
13:23isse aap andaadah karein, ye toh ik chalein mutlaqan hadees hai, aur baap qaim kiya,
13:27ke hamla hua, unke jawano ko mara gaya, jo jangjoo the, yakhni se jangjoo ko, aur bachon
13:34ko qaid kar liya gaya, baad mein bachon ko chhod diya hoga, toh hazrat-e-jawariya radhi
13:39allahu ta'ala anha, unhi logon mein thi. ab ye iss qat-e-nazar ke kis baap ke taht
13:46ye hadees hai, jo main aapko arz kar na chaaroon dekhein, ke Allah tabarak wa ta'ala ki khufiya
13:51tadbeer par koi waqif nahi hosakta, usne bade muamlaat ki hote hain, ek koi bachi kisi
13:58ghair muslim khandaan mein paida hui, hadta ke jawaan hui, sardaaron ke khandaan mein,
14:05aur jo sardaar qasam ke hote hain, wo apne mazhab ke andar bohot bukhta hote hain, kyunki
14:09wo aksar kisi ki itaat toh karne ke liye tayyaar nahi hote, nasyat sunne ke liye tayyaar
14:13nahi hote, lekin Allah ka azali faisla ye tha, ki ye in ghair muslimeen ke ghar mein
14:19paida hone wali bachi jawaan hogi, fir ek waqt aayega muslimaan hamla karenge, fir
14:24ye qaid hokar aayengi, hadta ke hamare aakhri nabi ke aqd mein daakhil hongi, aur ye kabila
14:32bani mustaliq jo tha, jab ye aap hui toh, wo aapki taraf maail hua, yaani unmein bohot
14:37saare log jo hain, unhone peh wo yakni si baat hai, ki arabon ke hain, bohoti zyada
14:43is baat ke khayaar lakha jaata tha, ki hamare khandaan ki bachi kar kahin gayi hai, toh
14:47phir aap hum unse jang nahi karenge, unke khilaf kisi ki taraf, kisi ki madad nahi
14:52karenge, istara rahmat-e-qaunain sallallahu alaihi wasallam ne Allah ke hukum se ye hikmat
14:56bhi ikhtyaar farmai, ki mukhtalif qabail ki khawateen se nikah kiya, toh Islam unki
15:01mukhalafat se mahfooz ho gaya, toh aap ye dekhiye, iska matlab ye hua, ki ham ek zahiri
15:08taur pe duniya ko dekh rahe hote hain, lekin ham kisi bhi cheez ke anjaam par chuke
15:13waqif nahi hote, future par hame ittila nahi hote, toh ham apne zain ke mutaabik nataaj
15:18murattab karte hain, lekin Allah ke khufiya tadbeer kuch aur tarz-e-amal ikhtyaar kar
15:23rahi hote hai, samjhana ka maqsad ye hai, ki kisi ke baare mein, ham koi hatmi faisla,
15:30matlab koi surety ke saath, ukhra bhi muaamlaat ki baat kar rahe ho, koi faisla nahi kar
15:36sakte, isi tarah future ke silse mein, koi hatmi baat, ya surety ke saath koi baat nahi
15:41kar sakte, misaal ke taur pe, ek shahzani hain, musalsal zina kar rahe hain, ab aap
15:45ne ka yeh toh jahannam mein jaayega yaar, yeh kabhi nahi tauba kar sakta, ham kaise
15:50jaan sakte hain, ho sakta hai Allah taala usko taufiq de, wo tauba kare, tauba karne
15:54ke baad ilm-e-deen seekhe, fir aalim-e-deen ban jaye, fir bahut bada muballigh bane,
15:58aur kaseer logon ko jannat mein le jaane ka sabab bane, hamein kya maloon, isli
16:03achitara yaad rakhein, ki kisi ke baare mein, matlab usko haqeer samajh kar ye
16:08guman karna, ke yeh toh taba hoga, aur apne baare mein guman karna, ke main
16:12aafiyat mein rahunga, mere saath koi bura muamala nahi ho sakta, yeh bilkul
16:16ghalat hai, jaise Allah taala ki khufiya tadbeer, kisi ko zameen se utha ke
16:20asmaan tak pohcha deti hai, aise hi Allah taabarak wa taala, ne hamare haq
16:25mein kya faisla kiya hai, ke agar hum asmaan par hain, aur usne zameen pe
16:28giraane ka faisla kiya ho, toh, koi usko nahi rok sakta, isi liye agar aap
16:33dekhenge, anbiya alaihimus salam, wo hamisha Allah se darte rahe, sahab-e-karam,
16:38ahl-e-bait-e-atahar, auliya-e-kiram ka muamala, laak-o-log piche hain unke,
16:43lege khuf zada hain, kya pata Allah taala naraz ho jaye, ho sakta hai imaan
16:47ka maslah ho jaye, toh wa zawale imaan ke baare mein intihai khuf zada rehte
16:51the, aur apne imaan ki hifazat ke liye mussal-sal koshish-e karte the,
16:55lihaaza, agar hum naik hain, pareezgaar hain, muttaqi hain, namazi hain, ilm-e-deen
17:01humare paas hain, tahajjud guzaar hain, aapne bade umre ki hain, bohot haj ki hain,
17:05toh iska matlab ye nahi hain ki is baat ki garantee aapko hasil ho gayi,
17:09ke wafaat bhi haalat-e-eemaan par ho gayi, Allah se husn-zann hamisha qaim
17:14rakhna chahiye, Allah taala bada kareem hain, lekin ye possible hain ki aisa bhi ho jaye,
17:19jab hum is bore anjaam ko baad waqat faramosh kar dete hain, phir humare andar
17:24ka firaun jaagta hain, hum takabur karte hain, bade bade mooh se jumle bolte hain,
17:29kya hasiyat hain, tum toh jaoge jahannam mein, toh aap kahan jaayenge hazrat,
17:33jannat-ul-firdaus mein, aap ke baare mein kaise faisla ho gaya,
17:37toh main agar ek aalim-e-deen ho, ek mufti ho, mujhe awam se zyada darna chahiye,
17:41agar Allah ne koi maqam martaba diya hai, maqam-e-izzat diya hai, toh iska matlab
17:45ye toh nahi hain ki hum apne anjaam se ghaafil ho jaye, Allah taala neemat deta
17:49hain, cheen bhi leta hain, ye humare ulama ka, akabirin-e-islam ka
17:57musallama aqeeda hai, ki zawal-e-nabuwat kabhi nahi hoga,
18:01Allah ne jab kisi ko nabi banaya, toh usse nabuwat nahi cheenta,
18:05lekin salb-e-wilayat toh hoti hai, baad-uqat Allah taala kisi ko
18:09wilayat ata farmata hai, aur phir usse wilayat ko cheen leta hai,
18:13sal farma leta hai, aise hi buzurgiyan cheen jaati hain, izzate cheen jaati hain,
18:17mujhe bhi darna chahiye, aap bhi Allah taala se khaufzada rahein,
18:21aur isi tarah kisi ke baare mein ye guman karna, masal koi angreiz hain,
18:25koi ghair muslim hain, uske baare mein ye guman karna,
18:29ki ye zaroor jahannam mein jayega, ye aisa nahi karein,
18:33haan ye aap keh saktein, agar ye haalat-e-kufr pe mar gaya toh jahannam mein jayega,
18:37lekin abhi wo duniya mein zinda hai, uske baare mein ye kehna,
18:41ki ye jahannam mein jayega, main aur aap kaise faisla kar saktein,
18:45wo saktein Allah taala usko taufiq de, wo musalman ho jaye,
18:49aur jannat mein dakhil kar de Allah taala, isliye in baat-o-tar tawajjo karne chahiye,
18:53wa aakhiru da'awana anil hamdu lillahi rabbil aalameen.

Recommended