• last year
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal

#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation

Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Bismillahir Rahmanir Raheem, Allah ta'barak wa ta'ala ke pakizatareen naam se aagaz kirteyen
00:25jo bahut meherbaan, nihayat rahim wala hai.
00:28Bihar se Bukhari ka silsila jari usari hai aur pishle programme mein humne hadith number
00:342574 zikr ki thi, Syeda Ayesha Siddiq radiyallahu ta'ala anhaan khud yeh biyaan karti hain
00:42ke sahaba apne hadiyye pesh karne ke liye meri baari ka intizaar karte the.
00:47Yahan meri ka lafz toh nahi hain, Syeda Ayesha na apna lafz ka hai, apna naam ke Ayesha
00:51ke din ka intizaar karte the aur iss se rahmat-e-kaunain sallallahu alaihi wa sallam ki riza jui ka
00:57khazd kiya karte the.
00:59Yani wo sarkaar ki riza chahte the.
01:01Wo maine pehle aapke bataya ke maada Allah yeh koi shirk nahi hai, haqiqatan unke peshe
01:06nizar sirf Allah ta'barak wa ta'ala ke zaat hua karte the.
01:09Lekin wo Allah ki aadat ko jari usari hote dekha karte the, ke Allah ke mahboob banday
01:15agar dua kardein, Allah ta'ala ke mahboob bandon ka qurub hasil ho, toh Allah bhi qareeb
01:19kar leta hai.
01:20Isliye wo rahmat-e-kaunain sallallahu alaihi wa sallam ki riza ko riza-e-ilahi ka sabab
01:24banaya karte the.
01:25Aur jab koi cheez maqsood bizzaat na ho, maqsood bizzaat asal shai ho, lekin wo waseela ki
01:30taraf muqtasar taur par mutawajah hu, toh isko koi bhi shirk nahi kahega, warna toh
01:35koi bhi sahabi shirk se ma'afuz nahi rahe sakta.
01:38Isliye jo hazrati kehte hain ki waseela qaim karna bilkul mana hai, yeh bilkul ghalat hota
01:43hai.
01:44Ghalat waseela qaim karenge, ghalat andaas se karenge, wo ghalat hoga.
01:47Lekin agar koi isliye Allah ki bargah mein waseela pesh karta hai, ya kisi cheez ko waseela
01:52banata hai.
01:53Jaise nek aamaal bhi toh waseela hain Allah ta'ala ki rizza hasil karne ke liye.
01:57Isi tariqat se budurgon ki dua hamare liye bohot badi cheez hoti hai.
02:01Isi tarah kisi ki khidmat karke unko khush karna, wo isliye ki yeh Allah ke mahabub bande
02:06hain, main Allah ki rizza ke liye inki khidmat kar raha hoon taake khush hoon toh Allah bhi
02:10khush ho jaye.
02:11Yani Allah razi ho jaye aur mujhe apna mahabub banda bana le.
02:15Toh fir yeh koi asa nahi hum kehenge ki shirk ho gaya, jo qaam Allah ke liye karna chahiye,
02:19koi kisi ki rizza ke liye kyon kar rahe hain, isliye jab hum fatwa navesi karein, koi kisi
02:24ke upar hukam lagane lagayein, toh zara soch samajh ke lagana chahiye, aisa nahi ho ke
02:29saamne wala toh musulman rahein, aur hum daar-e-islam se khaarij ho jayein.
02:33Toh pira pishla program jinn bhen bhaiye unhe nahi dekha, wo duroor dekhiyega, ki maine
02:37iss se istidlal karteve aapko bataya tha, ki jo niyaaz waghara hoti hai, wo bhi sharan
02:42jaiz hoti hai, aur usmein kya basic construct hona chahiye, pishla program ka last jo hisa
02:47hai, wo youtube pe aap zaroor dekhen, airway ke channel pe jaake toh inshaAllah aapko bada
02:52fayda hoga.
02:54Agale hadith ke taraf aatein hain, 2575 number hadith-e-paak hai, aur iske raabi hain Hazrat-e-Ibn-e-Abbas
03:02radiyallahu ta'ala anhu.
03:04Toh Hazrat-e-Ibn-e-Abbas ki khala Hazrat-e-Umm-e-Hufaid ne Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam
03:10ki khidmat mein paneer, ghee, aur goh ko pesh kiya.
03:16Goh jo hoti hai, badi chhipkali, jo lizard badi kailati hai, faakti hai, uska muzakka
03:21shayad gohra kailati hai, kaafi lambi hoti hai, wo goh pesh ki.
03:25Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam ne paneer aur ghee ko kha liya, aur goh se ghin
03:31karte hua, yaani na pasand karte hua, usko chhod diya.
03:34Hazrat-e-Ibn-e-Abbas radiyallahu ta'ala anhu kahte hain, ke pas goh Rasul-Allahi sallallahu
03:40alaihi wa sallam par ke dastar khan par khai gayi hai.
03:44Agar wo haram hoti, to Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam ke dastar khan par na khai
03:49jaati.
03:50To iska matlab ye hua, ke goh ka Sarkar ki taraf se na pasand hona, ye bhi thabit hai,
03:58aur Ibn-e-Abbas gawahi de rahe hain, ke sahaba ne Sarkar ke saamne goh khai hai.
04:03To phir kya hukum hai, is par thoda se main, jo aqabreen ki tahqiq hai, wo aapki khidmat
04:08mein dhikr karta hu.
04:09Hazrat-e-Ibn-e-Butal Maliki Qurtubi, jo hain, ye sand 1449 Hijri ke buzurg hain, wo apni
04:17Bukhari ki sharah mein likhte hain, ki Imam Malik ne riwayat kiya hai, ke Nabi-e-Karim
04:21sallallahu alaihi wa sallam ne, Hazrat-e-Ummul Momineen Mehmuna ke ghar mein Hazrat-e-Ibn-e-Abbas
04:27aur Hazrat-e-Khalid min Waleed ko goh khaane ka hukum diya, yaani ijazat di.
04:33Un duno ne pucha hai, Rasul-Allah aap kyun nahi khaate?
04:35Aap ne firmaaya ki mere paas Allah-ta'ala ke firisht-e-khaazir hote hain, jinn se main
04:40munajat karta hu, baat karta hu, aur goh ki buh bahut saqeel, naagabar hoti hai, isli
04:46aapne goh se ghin ki wajah se, is wajah se ki firisht-on ko iski buh se aziyat pohchegi,
04:53usse khaana na pasand kiya.
04:55Toh dekhein, iska matlab hai ki Sarkar ne khud tanawal nahi firmaayi, lekin ijazat
04:59marhmat firmaayi, ye baaz riwayat mein aisa hai.
05:01Ab iske mutaalik mukhtalif mazahib hain, jo fuqaha ke hain, chunachay jo hanbali hazarat
05:07hain, wo ye kahte hain ki aksar ahl-e-ilm ke nazdi goh ka khaana muba hai, inna na guna
05:13na thawab.
05:14Inna hazrat-e-Umar bin Khattab, hazrat-e-Ibn-e-Abbas, hazrat-e-Abu Sa'eed, aur deegar Nabi-e-Karim
05:20sallallahu wa sallam ke ashaab hain.
05:23Hazrat-e-Abu Sa'eed ne kaha ki hame Sayyidina Muhammad sallallahu wa sallam ke ashaab ko
05:28agar koi shakhs goh hadiya mein deta, to wo uske nazdik ek murghi se zyada pasandida
05:35thi.
05:36Hazrat-e-Umar ne firmaaya, agar mujhe har goh ke hadiya mein ke badle mein farba murghi
05:40milti, tumhe ye chahta hai ki mujhe har surakh mein goh mil jati.
05:45Imam Malik, Imam Shafai, Laith, aur Ibn-ul-Munzir ka bhi yahi qaul hai.
05:50Aur Imam-e-Azam Abu Hanifa radhiya Allah-u-Tala, unhone goh goh ye firmaaya ke goh haram hai,
05:55yaani makroo-e-tahrimi hai.
05:58Sufiyan Sauri ka bhi yahi qaul hai, ki wo bhi isko makroo samajhte the.
06:02Hazrat-e-Abdur Rahman bin Shawal beyan karte hain, ki Sarkar ne goh khaane se mana firmaaya
06:06hai.
06:07Ye Abu Dawood ki riwayat hai, yaani abhi ye Imam-e-Abu Hanifa radhiya Allah-u-Tala
06:12unhone ki ta'eed mein ek dalil, wo Imam Malik ke humbali jo hain, wo zikr kar rahe hain.
06:18Aur isdara Hazrat-e-Ali se bhi is hadith ki misal marwi, Hazrat-e-Ali ne bhi, Tanawul
06:22ne firmaaya, aur Allama Shamsuddin Abdur Rahman bin Muhammad bin Ahmed bin Qudama
06:26Hanbali ne bhi isitara likha hai.
06:29Ye Sharhul Kabir hai Hanbali Hazarat ki, aur ye jo likha hai ye Ahmed bin Muhammad
06:34Qudama Hanbali ki kitab hai, usse ye mawad liya gaya hai.
06:40Hazrat-e-Abu-Hassan Ali bin Abu Bakr Mughinani Hanafi, ye likhte hain ki, Bijju, Goh, Kachwa
06:48aur tamam hasharat-ul-ard, yaani zameen pe chalne wale, ringne wale, kire makore, inka
06:53khaana makroo-e-tahrimi hai.
06:55Rahi Goh, to iski karahat ki ye wajah hai ki jab Hazrat-e-Ayesha Siddiqa Radhiya Allah-o-Tala
07:00Anha se Goh khaane ke mutaalik pucha, to aapne firmaaya, to aapne mana firmaaya.
07:06Aur ye hadith Imam Shafi'i ke khilaf hujjat hai, jo Goh ke khaane ko mubah kehte hain,
07:11ye hidaya ke andar likha hua hai.
07:13Ab digar ahnaaf ke dalail iske upar dekhen, Hazrat-e-Hafiz Shahabuddin Ahmed bin Hajar
07:19Asqalani ne iski mumanat pe Hazbe Zail Ahadeeth zikr ki hai.
07:24Hazrat-e-Khuzayma bin Juz Radhiya Allah-o-Tala nuh bayan karte hain ki maine Rasool-Allah-e-Sallalahu-Wa-Alaihi-Wa-Sallam
07:31se Goh ke khaane ke mutaalik sual kiya, to aapne firmaaya, kya koi Goh khaayega?
07:36Yani sual yataar pe, karahat se firmaaya ki, Goh khaayega koi?
07:40Is hadith ko Imam Tirmidhi ne riwayat kiya, aur usko za'eef kaha hai.
07:43Aur Imam Ibn-e-Majah ne is hadith ko in alfas ke sath riwayat kiya hai, ki Goh ko kaun khaayega?
07:49Aur Imam Ahmad Ishaq, Imam Abu Ya'la ne riwayat kiya hai, ki Sa'eed bin Musayyib se Goh ke khaane ke mutaalik sual kiya gaya,
07:58to unhone firmaaya, iska khaana halal nahi hai.
08:02Sahib-e-Hidayah ne Hazrat-e-Ayesha ki jo hadith zikr ki hai, ye kahte hain, Ibn-e-Hajar Asqalani, wo mujhe nahi mili.
08:08Haan, Imam Abu Dawood ne Hazrat-e-Abdur Rahman bin Shawal ki ye hadith zikr ki hai,
08:13ki Sarkar ne Goh ke khaane se mana firmaaya.
08:17To ye Ahnaaf ke nazdeek Goh ka khaana makroo-e-tahreemi ke darje tak hai.
08:23Imam-e-Wajafar Ahmad bin Muhammad Tahawi, ye likhte hain ki Imam-e-Azam Abu Hanifa, Imam Abu Yusuf, Imam Muhammad.
08:30Ya Imam-e-Azam to ustaad hain, aur baqi do shagird hain, in sab ne kaha,
08:34ki Goh ka khaana makroo-e-tahreemi hai, yani haram ke nazdeek nazdeek hai.
08:39Aur unhone is hadith se istidlal kiya, ki Sa'eed-e-Ayesha bayan karte hain, ki Nabi-e-Karim ko Goh hadiya ki gayi, to aapne usko nahi khaaya.
08:46Fir ik Sa'eed aaya, to Sa'eed-e-Ayesha Siddiqa radiyallahu ta'ala anha ne, usko wo Goh dene ka irada kiya,
08:53to Sarkar ne inse firmaaya, kya tum usko wo cheez de rahi ho, jisko tum khud nahi khaati?
08:58Yani khud bhi khaana mana kar diya, aur doosron ko dena bhi mana kar diya.
09:02Imam Muhammad ne kaha, ye hadith isbaad par dalalat karte hai,
09:05ki Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam ne apne liye, aur doosron ke liye Goh ke khaane ko makroo karar diya.
09:14Hazrat-e-Abu Huraira radiyallahu ta'ala anhu bayan karte hain,
09:16ki Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam ke paas ek plate laaye gayi, jisme ek bhuni hui Goh thi.
09:21Aapne firmaaya, ki tum log khao, mujhe isse ghin aati hai.
09:26To ye, ab ye musannif kahte hain, ye Imam Tahawi ka tafarudin.
09:31Fuqa-e-Ahnaaf ke najdi ki hadith, un ahadith se mansook hai, jisme aapne Goh khaane se mana firma diya.
09:37Aur ab aam Muslimanoon ke liye bhi Goh khaana jaiz nahi.
09:41Khulasa-e-Kalaam kya hua, ki jo Ahnaaf Hazraate, Hanaaf-e-Hazraat,
09:45un ke liye Goh khaana haraam ke nazdeek-nazdeek hai, isse par dalail maujood hain.
09:50Aur deegar jo hain, jisse Imam Shafi' ke baaz pehraukaar,
09:53Imam Malik ke pehraukaar hain, Imam Ahmed bin Hanbal ke pehraukaar hain,
09:57un ke paas apne dalail maujood hain,
10:00wo agar uske roshni mein khaana chahein, un ke liye tayyab aur halal hain.
10:03Aur yaad rakhein, ki jab dalail istara mutaariz ho jate hain,
10:07ki bazaahir aapas mein takraate hain,
10:09toh har shahs ko apne Imam ki pehravi karna wajib ho jata hai.
10:13Aur isse aap awaam yeh bhi ik andaaza kar nahi,
10:16itni main ne kyun itna lamba padh ke sunaya, jo Bukhari ke ilawa mawad tha,
10:20wo sirf isliye, ki aapko yeh yaqeen ho jaye,
10:23ke aaj kal agar kisi fiqahi mas'ale mein ulama ka ikhtilaf hai,
10:28toh yeh aaj ke daur ki koi pehdawaar nahi hai.
10:30Yeh toh sahab-e-karam ke daur se chalta aara hai,
10:33ke fiqahi ikhtilaf, yaani sharih mas'ail ke andar,
10:36dalail ke roshti mein muzbat ikhtilaf,
10:39ek sahih tahqiqi ikhtilaf taake hum haqt tak pahunj jayein,
10:43yeh hamishah jari ussari raha hai.
10:45Aur har ek ke paas kyun ke apne-apne dalail hote hain,
10:48wo apne dalail se istadlal karta hai,
10:50aur baaz oqaat, ek doosre ke paas,
10:52hamari dalil se mukhalif dalil mawjood hoti hai.
10:56Lekin hamme usmein koi kharabi nazaraati hai,
10:58kami nazaraati hai, hum usko qabool nahi karte.
11:00Doosre ko hamari dalil mein koi kharabi yeh kami maasus hoti hai,
11:03wo usko qabool nahi karta,
11:05fir wo apni hadith pe amal karta hai,
11:07yeh apne dalil par, aur hum apne dalil par.
11:09Ab yeh awaam ka yeh kehna,
11:10ke bhi fir mil kyun nahi jaate,
11:12yeh aap chhoddein,
11:14fir yeh toh fir aitraaz sahab-e-karam par hoga,
11:16ke wo mil kyun nahi gaye,
11:17kayi mas'ail par sahaba bhi khud aapne suna,
11:20Hazrat-e-Ali ek taraf hain,
11:21deegar Hazrat-e-Umar-e-Farooq is masleh mein ek taraf hain,
11:24toh yeh hota hai.
11:26Hamisha aisa hota raha hai,
11:27jisko jo dalil hasil hoti hai,
11:28wo isko qavi samajhta hai,
11:30toh wo doosre ki dalil se fir istidlal nahi karta hai.
11:33Yeh ilmi baatein hain,
11:35lekin nafsani baatein nahi hain.
11:37Koi khaishaat ke tabih hokar yeh baatein nahi hain.
11:39Apne paas se manghadat baatein nahi hain.
11:41Ke sahaba-e-karam toh Nabi-e-Karim ke sohbat yaafta the,
11:45toh jab dalail mutaaraz ho jaate hain,
11:47toh jisko jo dalil qavi maasus hoti hain,
11:49mutaaraz ke matlab ik dusra se bazaar takra a jaate hain,
11:52toh phir jisko jo dalil qavi maasus hoti hain,
11:55wo usi par chalta hai,
11:56doosre dalil ki taraf nahi jaata,
11:58aur koi kisi par aitaraaz nahi karta.
12:00Us zamane mein,
12:01jab sahaba-e-karam mein ittihad tha,
12:03ittifaq tha,
12:04aur sabse zyada matloob tha mere khaal mein,
12:07us zamane ke andar,
12:08kyunke wo shuru daur tha,
12:09usmein ittihad wa ittifaq bahut dhururi tha,
12:11lekin kisi bhi sahabi ko aap nahi dekhenge,
12:14ke unhone fiqahi masleh ko buniyat banaakar,
12:16doosre se naraz ho gayun,
12:18ke tum mera masleh kyun nahi maan rahein,
12:19mere dalil kyun nahi maan rahein,
12:20unhone kyun kaha ho,
12:22aur larahi jagda ho gaya ho,
12:23aisa nahi hota,
12:25ikhtilaf aakhir tak qaim rahein,
12:27fiqahi ikhtilaf ki baat kar raha ho,
12:29lekin kisi ne kisi ko bura nahi kaha,
12:31theek hai aap apne dalil pe amal karein,
12:33mere nazdeek yeh dalil hai,
12:34main ispe amal kar raha ho.
12:35Awam-un-naaz se guzarish hai,
12:37ke aap bhi,
12:38matlab yeh jo aaj kal social media par,
12:40mukhtalif cheezein dekh kar,
12:42aap foran zaini tuwar pe qabool karke,
12:45kyun ke aqabreen ka tarz-e-amal,
12:46aapke peshe nazar hi nahi hota,
12:48aapko ye cheez aisi maasus hoti hai,
12:50jo aapko click karti hai zain ke andar,
12:52aapka dil usko foran qabool kar leta hai,
12:54lekin wo dil,
12:55aur wo aapka zain,
12:56jo sharai dalail se khaali hai,
12:59lehaaz aap foran aqli tuwar pe kehte hain,
13:00bohot theek baat keh rahein,
13:01usko qabool kar lete hain,
13:03aur aapko pata bhi nahi chalta,
13:04ke aapka ab uspar comments pass karna,
13:07izhaar-e-naarazgi karna,
13:09yeh sahaba-e-karam ko baaz-waqat bura-bhala kehna saabit ho jata hai,
13:13kyun ke unhone ikhtilaf rakha hai,
13:15fiqh-e-ikhtilaf,
13:16isliye jitne mere bain-bhai dekh rahein,
13:18agar koshish karein mere is program ko,
13:20doosron ko dikhayein,
13:21shayad kuch samajh mein aaye,
13:22ke istara ki ikhtilafat chalte rahein,
13:24lehaaza ahnaaf jo hai,
13:26wo goh nahi khayenge,
13:27unke liye mana hoga,
13:29aur digar jo aima-arba'a,
13:32aima-thalasa keh le hain,
13:33wo doosre log hain,
13:34wo unke pair-o-kaar kha sakte hain,
13:37aur koi kisi ko bura nahi kahega,
13:38theek hai aapke nazdeek apne dalil,
13:40hamaare nazdeek apne dalil hain.
13:43Aagli hadith ki taraf aate hain,
13:462576 number hadith-e-paak hain,
13:50aur Hazrat-e-Abu Huraira radhiyallahu ta'ala nun uske raabihiyon,
13:52bayan karte hain,
13:53ke Nabi-e-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ko,
13:56jab koi ta'am pesh kiya jata,
13:58yaani koi bhi khaane ke cheez,
14:00wo khaana bhi ho sakta hai,
14:01khajoor waghara,
14:01digar cheezein,
14:03to aap uske mutaalik sual karte,
14:05ki yeh hadiyah hai,
14:06ya sadqa hai.
14:08Pas agar yeh bataya jata ki yeh sadqa hai,
14:10to aap apne ashaab se farmate ke khao,
14:12aur khud tanawul na farmate the.
14:15Aur agar yeh kaha jata ki yeh hadiyah,
14:16yaani tofa hai,
14:17to rahmat-e-Qaunayn Sallallahu Alaihi Wasallam
14:19khud bhi haath barhate,
14:20pas apne sahaba ke saath khaate the.
14:24Ek martaba Imam-e-Hassan radhiyallahu ta'ala,
14:26anho ne,
14:27ek khajoor thi,
14:28wo utha ke muh mein rak li,
14:29chote muliyat hai,
14:31To rahmat-e-Qaunayn Sallallahu Alaihi Wasallam
14:33ne tezi se,
14:34issara jisai bachar ke,
14:35na khakh khakh,
14:35nikaalo nikaalo,
14:36aur uske aapke ungli daalke,
14:38us khajoor ko nikaal diya.
14:41Aur aapne Hazrat-e-Hassan ko mukhatab karke farmaya,
14:44ki yeh na khao,
14:45kya tumhe ni malum,
14:46ki hamare liye sadqa haram hai.
14:48Yani sadqaate wajiba murad hai,
14:50yaad rakhein,
14:51wo sadqaat,
14:52ki jo Allah ne,
14:53jinki adai ki wajib qarar di hai,
14:55jisme zakat aajaata hai,
14:56fitra hai,
14:57kafare hai,
14:58aur digar dam waghara,
15:00ki jo jaraein ke badle hote hain,
15:02ki yeh rahmat-e-Qaunayn Sallallahu Alaihi Wasallam
15:05ne mana farmaya.
15:06Aur hum ulama-e-Anaaf ke nazdeek,
15:10aahle sunnat ke nazdeek,
15:12sarkaar ki aal-e-mubarak bhi,
15:14kyunki sarkaar ne mukhatab kiya imam-e-Hassan ko,
15:16ki aap ne jaante hain,
15:17ki hamare liye halaal nahi hain,
15:18iska antara hamare nazdeek yeh hukum hai,
15:20ki ek sayyid bhi sayyid ko zakaat nahi desakta,
15:23aur na sayyid ke liye,
15:25kisi ghair-e-sayyid se zakaat lena jais hai.
15:28Yeh hamare nazdeek hai,
15:29is ini hadeeson ke bina par.
15:31Acha, ek hota hai nafli sadqa,
15:33ki Allah Tabarak wa ta'ala
15:35ne koi farz ya wajib karar nahi diya,
15:37waise koi aakar sawab ki niyat se
15:39kuch deta hai.
15:40To hamare hain ek ajeeb concept hai,
15:42ki ham samajhte hain ki sadqa jo hai,
15:44sadqa, lagze sadqa kai diya,
15:46to bhi badi kharab cheez ho gayi,
15:48aur isko aam aadmi nahi kha sakta.
15:50Sadqa ka matlab kya hota hai,
15:52achitara yaad rakhein,
15:54to bhi sadqa ke liye,
15:56sawab hasil karne ki niyat se kuch kharj karna,
15:58wo sadqa hai.
16:00Lihat agar main kisi ko tofah deta hun,
16:02tofah bhi ek sadqa hai, yaad rakhein.
16:04Rahmat-e-Qaunayn Sallallahu Alaihi Wasallam
16:06ne khud firmaaya,
16:08ki sabse behtreen sadqa,
16:10wo halal ka luqma hai,
16:12jo ek aadmi apni zauja ke muh mein deta hai.
16:14Ab batayein,
16:16jo hum gharwalon ko khila rahein,
16:18hum kabhi kehte hain ya sadqa khila rahein?
16:20Hum toh kehte hain,
16:22hum nafli sadqa karar diya,
16:24kyunki usme bhi Allah ki riza matloob hoti hai.
16:26Toh agar koi nafli sadqa hoga,
16:28wo phir Sayyid hazarat ke liye jaiz hai,
16:30isi liye koi hum se pooshta hai,
16:32ki fula Sayyid family ko zakat desakta hai,
16:34main maana karta hu ki
16:36nahi, aap barahraas nahi desakte,
16:38aap unko na de, zakat kisi aur ko de,
16:40aur nafli sadqa se unki
16:42izzat aur ihtaraam malhuz rakte hui khidmat karein,
16:44toh yeh istara hoga.
16:46Toh isi liye,
16:48Rahmat-e-Qaunayn Sallallahu Alaihi Wasallam
16:52toh isi liya bhi ek jihad se sadqa hota hai,
16:54ki usme Allah ki riza hi maqsood hoti hai.
16:56Lekin yahan jo Sarkar maana farmaarein,
16:58wo yeh poosha karte the,
17:00kya yeh sadqaat-e-wajibah mein hai,
17:02ya aap humein tofah dena chahatein.
17:04Agar wo kehte hai, ya Rasool Allah,
17:06yeh sadqaat-e-wajibah mein se hain,
17:08phir Sarkar ne tanawal farmatein,
17:10aur sahaba se farmatein, aap khaalein.
17:12Aur yeh aksar wo sahaba hote the,
17:14jo ashab-e-suffah the.
17:16Takreeman sattar sahaba the,
17:18Sadaqat-e-wajibah hote the,
17:20toh inki taadaat soh se bhi abab ho jaye karte thi,
17:22lekin wo hote the,
17:24jo jab koi aata, koi sahabi lekar aaye,
17:26ya Rasool Allah, yeh main aapki khidmat pe pesh karta hu,
17:28ab pooshna zaruri tha,
17:30agar toh is sirf sadqaat-e-wajibah mein se hain,
17:32toh sahaba, aap khaayein.
17:34Aur agar sadqaat-e-wajibah mein nahi hain,
17:36aane wala kehta ki,
17:38aapke liye bhi hai,
17:40aur deegar ko bhi aap desaktein,
17:42yeh sadqa nahi hai,
17:44sirf tofeh ke taur pe laaya hun,
17:46yeh toh ek sadqaat-e-wajibah ka muaamlah hua,
17:48jo ghani hota hai,
17:50yeh ek toh sarkaar ka aur aal-e-rasool
17:52sallallahu sallam ka yeh
17:54masalah hua,
17:56lekin ek hota hai,
17:58ke ghair-e-sayyid bhi baaz suratam-e-zakaat nahi le sakta hai,
18:00iska bhi bada khyaal karna chahiye,
18:02misaal ke taur pe,
18:04hum apne maabab ko,
18:06daada-daadi, naana-naani, inhe zakaat nahi desaktein,
18:08jinn ke hum nassal se hain,
18:10aur jo hamari nassal se hain,
18:12isi tarah pota-poti, nawasa-nawasi, inhe nahi desaktein,
18:14isi tarah shohar-bibi ko,
18:16bibi-shohar ko nahi desaktein,
18:18isi tarah ghani ko zakaat nahi desaktein,
18:20ghani maaldaar ko kehtein,
18:22aur nazar-e-sharaam-e-maaldaar wo shakhs hai,
18:24ke jiske paas zaruri
18:26ghar ke istimaal ki cheezon ke ilawa,
18:28zyada maal na ho,
18:30aur wo zyada maal ki kya miqdaar hai,
18:32wo inshaAllah main arz karta hu,
18:34lekin next program mein zaroor dekhiye,
18:36doosron ko tarqeeb dete rahiye,
18:38wa aakhiru da'wana anilhamdulillahi rabbil alameen.

Recommended