Dars-e-Bukhari Shareef - Mufti Muhammad Akmal - 7 August 2024 - ARY Qtv

  • 3 weeks ago
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal

#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation

Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Bismillah-e-Rahman-e-Rahim, Allah-tabarak-wa-ta'ala-ka-pakizatareen naam se aaghaas karte hain jo bahut meherbaan
00:09nihayat-e-rahim wala hai.
00:11Dars-e-Bukhari ka silsara jari-u-sari hain.
00:13Fishle program mein hum is baap par pohnche the ke baab-ul-ishtiraqi-fil-hadi-wa-lbudn-ba-daal-noon.
00:19Qurbani ke jaanwaron aur oonto mein shirkat aur agar koi qurbani bhej chuka hai aur usne
00:26kisi ko sharik kar liya.
00:29Toh hum aapko samjha rahe the sarkar ne jab hajh firmaaya toh aapne hajh ka ihraam pehna
00:33aur qurbani ke jaanwar ko apne saath lekar chale.
00:36Toh bahut se sahab aise the jo isi tariqat se chale.
00:40Aur rahmat-e-kaunain sallallahu wasallam ne hajj-e-ifraad ka iraada kiya.
00:47Waise toh sarkar ne hajj-e-qiran firmaaya.
00:50Aur hajj-e-qiran mein aisa hota hai ke umrah karne ke baad ihraam qaim rahta hai.
00:56Aur yani umrah aur hajj ki ek saath niyat ki jaati hai.
00:58Lekin bahut saare jo sahabah the apne aap ke saath unhone hajj-e-ifraad ki niyat ki.
01:03Hajj-e-ifraad mein sirf hajj ki niyat hoti hai umrah ki nahi hoti hai.
01:06Toh aap nabi-e-karim sallallahu wasallam jab apne qurbani ke jaanwar ke saath wahan pahunche.
01:11The chunke hajj-e-qiran ki niyat thi.
01:13Liyaza aapne toh ihraam nahi kholna tha.
01:16Lekin bahut se sahabah aise the ke jab wahan pahunche.
01:20Toh rahmat-e-kaunain sallallahu wasallam.
01:22Baash-e-shaarihin ne yehi firmaaya.
01:23Hadith se pehle mein aapko zikar kar raha hun.
01:25Baash-e-shaarihin ne yehi kaha.
01:27Ke uz zamane mein jo ghair muslimeen the, kuffaar the.
01:31Unka nazriye yeh tha.
01:33Ke jab qurbani yeh hajj ke ayaam a jayein.
01:35Toh umrah nahi kiya jaa sakta.
01:37Sirf hajj hoga umrah nahi.
01:39Aur qurbani ke jo ayaam hote hain.
01:42Yani jisme aap hajj ka ihraam pehen sakte hain.
01:44Wo shawwal zeeqaad aur zil hajj ke das din.
01:48Do maah, das din tak.
01:50Yani jise eid ke baad, meet eid.
01:52Jisko hum kahte hain Ramadan ke baad.
01:53Shawwal shuru hota hai.
01:54Usne agar koi hajj ka ihraam pehen le.
01:57Arkaan toh 8, 9, 10 koi hunge.
01:59Lekin pehle se pehen le toh pehen sakta hai.
02:01Aur yeh ek mehne, do mehne ihraam baande rahe.
02:04Aur phir jaake manasik ada kar le toh theek hai.
02:07Toh unka kehna yeh tha.
02:08Toh nabiye kareem sallallahu wasallam jab wahan pohnche.
02:11Toh aapne munasib mahasus firmaaya.
02:14Ke yeh masla practically taur pe dikha diya jaye.
02:17Ke inn dino mein umrah bhi ho sakta hai.
02:19Lihaza jab aap wahan pohnche.
02:20Toh phir aapne firmaaya.
02:21Ke chuke main qurbani ke jaanwar saath laaya hun.
02:24Aur aapne dono ki niyat ek saath kar le thi.
02:26Toh main toh ihraam nahi kholunga.
02:28Aur tum mese jo chahe.
02:30Woh umrah kar le.
02:31Aur apne jo hajj ka ihraam pehen kar bhi aaya hai.
02:34Woh niyat badal le.
02:35Umrah ka niyat kar le.
02:37Aur umrah karne ke baad ihraam khol le.
02:39Unke azwaaj unke liye halal ho jayengi.
02:42Iske baad hajj ka ihraam baad mein pehen liya jaye.
02:45Toh ab iss se pata chala.
02:47Ke nabiye kareem sallallahu wasallam ne toh ihraam baande rakha.
02:51Kyunke qurbani ke jaanwar bhi aapke saath tha.
02:53Niyat bhi aisi hi thi.
02:54Aur baaki sahaba ko aapne hajj-e-tamatto ki taraf ishaara kar diya.
02:59Ke hajj-e-tamatto mein aisi hota hai.
03:01Ke pehle umrah kiya jaata hai.
03:03Aur umrah karne ke baad.
03:04Phir hum halk waghara karwaakar ihraam khol dete hain.
03:07Aam normal kapdo mein aajaate hain.
03:09Aur phir aath zul hijja ko hajj ka ihraam aleda baanda jaata hai.
03:13Toh bahut se sahaba-e-karam ne phir aisa hi kiya.
03:16Hazrat-e-Ali radhiyallahu ta'ala anhu un dino yaman mein the.
03:20Toh aap wahaan se aaye.
03:21Aur aapne ihraam pehnte huye ye niyat kar liye.
03:24Ke jo nabiye kareem ne niyat kiye.
03:27Jis hajj ki mera wohi hajj.
03:29Toh jab aap wahaan pohnche.
03:30Toh pata chala sarkaar ne.
03:32Us hajj ki niyat ki hai.
03:33Ke jisme ihraam kholenge nahi.
03:34Toh Hazrat-e-Ali radhiyallahu ta'ala.
03:36Anhu ne bhi ihraam nahi khola.
03:38Baab toh ye qayam kiya.
03:40Jisne hadiye me.
03:41Ye ni qurbani me.
03:42Kisi ko sharik kar liya.
03:43Toh bazaar aisa lagta hai.
03:44Ke jab Hazrat-e-Ali aaye.
03:45Toh sarkaar ne apne qurbani ke jaanwar mein unko sharik kiya.
03:48Lekin sahi ye hai.
03:49Ke Hazrat-e-Ali bhi qurbani ka jaanwar laaye the.
03:51Aur aapne phir wohi hajj firmaya.
03:53Toh ye thoda sa pasmanzar aapke zikr kiya.
03:56Aap zara hadith dekhiye.
03:58Isme wohi do hadithon ko jama kiya hai.
04:002500 aur 2506.
04:05Hazrat-e-Ibn-e-Abbas radhiyallahu ta'ala.
04:07Anhum bayan karte hain.
04:09Nabi-e-Karim sallallahu sallam ne.
04:11Chaar zul hijja ki subo ka ihraam bandha.
04:16Aur phir aapne us hajj mein kisi aur cheez ko.
04:20Yaani umre ko sharik nahi kiya.
04:23Yaani jisne tamatto ki tarah ishara hai.
04:26Ke aisa nahi hua.
04:27Balke aapne direct hajj ka ihraam bandha.
04:29Aapne hukum de diya.
04:31Pas jab hum Makkah pohonche.
04:32Toh aapne hukum diya.
04:33Ki is ihraam ko umre ka ihraam karar de.
04:36Yani baqit sahaba ko firmaaya.
04:38Ata bayan ka acha.
04:39Aur hum apni bibiyon ke liye halal ho jaye.
04:41Ye baat logon mein aam ho gayi phail gayi.
04:44Yani Nabi-e-Karim sahaba se firmaaya.
04:46Jisne hajj ka ihraam pehna hai.
04:48Woh umre ka ihraam usko niyat kar le.
04:50Umra kare aur halal ho jaye.
04:52Yaani ihraam utaar de.
04:54Bibiyon halal ho jayenge.
04:56Toh ata bayan karte hain.
04:58Ki phir Hazrat-e-Jabir radhiyallahu ta'ala.
05:00Anhum tak jab ye baat pohnchi.
05:02Toh aapne ek jumla ishaad firmaaya.
05:04Ki kya humme se koi shakhs mina is halat mein jayega.
05:08Ki us par ghusl wajib ho chuka hoga.
05:10Aur Hazrat-e-Jabir ne haath se ishaara bhi firmaaya.
05:13Murad ye hai ki agar hum azwaaj se jismani taalluk qaim karenge.
05:17Toh phir ghusl ka mauka nahi mil sakega.
05:19Aur kya hum halat-e-janaabat mein wahatak jayenge.
05:21Toh ye koi aitraaz ki taur par nahi tha.
05:23Woh beghtiyaar unke zaban se nikla.
05:25Ki ye toh badi muskil se situation ho jayegi.
05:28Nabi-e-Karim Sallala Sallam tak ye baat pohnchi.
05:31Toh aapne khutba dene ke liye qiyam firmaaya.
05:34Aap khade ho gaye.
05:35Phir firmaaya.
05:36Mujhe ye khabar pohnchi hai ki kuch log istara aur istara kehte hain.
05:40Aur Allah ki qasam main in logon se zyada niki karne wala.
05:44Aur Allah se zyada darne wala hun.
05:48Aur agar main pehle istis ki taraf mutawwajah ho gaya hota.
05:52Jo mujhe baad mein pesh aayi hai.
05:54Toh main qurbani ka jaanwar na bheshta.
05:57Ke ab matabe ke niyat main tabdeel nahin kar sakta.
06:00Aur agar mera paas qurbani na hoti toh main ihram khol deta.
06:03Pas hazrat-e-suraqa bin malik radhiyallahu ta'ala anhu khade hue.
06:08Arz ki ya Rasool Allah ye hukum,
06:10yaani ayaam-e-hajm-e-umrah karna,
06:13hamare liye hai ya hamisha ke liye hai.
06:16Sirkaan-e-shahad firmaaya ke nahin,
06:18balka ye hamisha ke liye hai.
06:19Yani ab main iske ijazat de di hai
06:21ke ayaam-e-hajm-e-umrah kar sakte hain.
06:24Goya ke wo zaman-e-jahiliyat ke mua'mlaat ko aapne khatam firmaaya.
06:28Hazrat-e-Jabir radhiyallahu ta'ala anhu kahte hain
06:31ki fir hazrat-e-Ali bin Abi Talib Yemen se aaye.
06:35Pas ata aur ta'us in dono me se
06:37ek ne toh yoon bayan kiya
06:39ki hazrat-e-Ali ne ihram baante waqt istara kaha tha.
06:43Main uske saath labbaik kahte hu
06:46jis ke saath Nabi-e-Karim sallallahu wa ta'ala sallam ne labbaik kaha tha.
06:50Yani jis hajj ki sirkaan-e-niyat ki thi,
06:53main wahi labbaik kahta hun.
06:55Labbaik matlab talbiya.
06:57Kyuki niyat karne ke baad talbiya ek dafa pardana lazim hota hai.
07:00Labbaik Allahumma labbaik, labbaik la sharika laka,
07:03labbaik innal hamda wa ni'mata laka, wal mulk la sharika lak.
07:07Aur doosre sahib ne yoon kaha ki istara niyat ki thi
07:11ki main Rasul-Allahi sallallahu wa ta'ala sallam ke hajj ke saath labbaik kahta hun.
07:15To Nabi-e-Karim sallallahu wa ta'ala sallam ne hazrat-e-Ali ko hukum diya
07:19ki wo apne ihram par qaim rahein
07:21aur unhe apne qurbani mein shariq kar liya.
07:24To yeh do riwayaat jaise maine bataya ki yehi thi
07:27ki hajrat-e-Ali laaye thi apna jaanwar
07:29aur Nabi-e-Karim ne unko shariq kiya
07:31kyuki qurbani ya phir qurbani jaise
07:33oont waghara ho to usme saath shariq hota hai
07:36yoon bhi hota hai.
07:37Lekin wo ek alaq mafoon alada maujood hai.
07:40To ab khulas-e-kalaam yeh hua
07:42ke nabi jo hote hain
07:44baaz nabi rasool bhi hote hain
07:47aur baaz sirf nabi hote hain, rasool nahi hote.
07:50Wo nabi jo rasool hote hain
07:53wo ek nai shariat lekar aate hain.
07:55Ek naiya, kuch nai qawani, nai talim Allah ke taraf se lekar aate hain.
08:00Aur unke saath koi aasmani kitab bhi hoti hain.
08:03Wo rasool hote hain.
08:04Chahe wo mukamal kitabi shakal mein ho,
08:06ya sahaif hoon.
08:07Lekin rasool aur nabi mein yehi farq hota hai
08:09ke dono Allah ta'ala ke taraf se
08:11peghaam lekar aate hain,
08:13muajazaat bhi dikhaate hain
08:14aur Allah ke muqarrab bande hote hain
08:16logon ko aakhirat ke raasta dikhane ke liye
08:18unko maqsoos aur muqarrar kiya gaya hota hain.
08:21Aur Allah ta'ala ne
08:23ek ko nabuwat aur doosre ko nabuwat
08:25aur risalat se sarfaras farmaya hota hain.
08:27Lekin bunyadi farq yeh hota hain
08:29ki nabi jo bhi aayega
08:31wo pichle rasool ki shariat leke chal raha hota hain.
08:34Lekin jab naiya rasool aata hain
08:36to pichle shariat khatam hoti hain.
08:38Aur is rasool ki shariat ab aage chalti hain.
08:40Chunke nabiya karim sallallahu sallam ke baad
08:42qayamat tak koi nabi nahi aayega.
08:44Isliye yeh sarkar jo shariat lekar aaye,
08:47i.e. Quran yeh theory pesh farmaya
08:49apne Allah ki taraf se
08:51aur hadith jo aapne pesh ki
08:53aur dono Allah ki taraf se thi
08:55ek Allah ne apne Habib ko
08:57apne taraf se
08:59farmaya yeh kaho ki
09:01min jaani billah hai wo Quran
09:03aur ek sarkar ne apne paas se cheeze bayan farmayin
09:05agarche wo Allah ki hi talim thi
09:07to usko kaha gaya hadith.
09:09To ab yeh shariah ka kaam yeh hota hain
09:11rasool ka kaam yeh hota hain
09:13ke wo ek naiy shariah ko
09:15logon ke saamne pesh karta hai.
09:17To yeh hua nabiya karim sallallahu sallam ne
09:19pichle jitne tariqe the jo muamlaat the
09:21unko ya to mukammal khatam karke
09:23ek naiya tariqa introduce karaya
09:25muta'araf karwaya
09:27aur ya phir aapne aisa kiya jo pichle the
09:29unmein se kuch ko baqi rakha
09:31kuch mein tabdeeli karke usko qaim kar diya.
09:33Lekin yeh hamacha qaida
09:35yaad rakhiye kar kisi pichle nabi ki
09:37koi
09:39matab pichle nabi ki shariat
09:41ko sarkar qaim rakte hain
09:43kuch ko pichle nabi ki, rasool ki taraf
09:45mansoob nahi karte, balke
09:47hamare nabiya karim sallallahu sallam ki taraf
09:49yeh agle rasool ki taraf mansoob ke jati hai
09:51ki inki shariat hai. To lihaaz agar
09:53pichli qaumon mein koi cheez halal thi
09:55aur sarkar ne bhi usko halal
09:57rakha, to ham yeh nahi kahenge yeh pichle se hukum
09:59aaya, pichli shariat ka hai, nahi.
10:01Ab wo isi shariat ka kehla aayega.
10:03To rahmat-e-qaunayn sallallahu sallam ne yeh hi
10:05bayan farmaya, to sahab-e-kiram
10:07ne jo sualaat the, jo unke zain me
10:09zahir huye, rahmat-e-qaunayn
10:11sallallahu sallam ne unka bhi jawab diya.
10:13Aur yeh jo sarkar ne farmaya
10:15ki wo jo khabar paunchi hai, kuch log
10:17isi istara keh rahe hain, aur Allah
10:19ke qasam mein in logon se zyada neeki
10:21karne wala hun, aur Allah
10:23se zyada darne wala hun.
10:25Yeh daawa wo hi kar sakta hai,
10:27jisko tamaam ki
10:29neekiyon par ittila hasil ho,
10:31aur wo apni bhi tamaam neekiyan
10:33janta ho, aur fir wo muazna
10:35kare, ke inki neekiyan kame meri zyada.
10:37Wo hi batas kah sakta hai,
10:39warnato maadallah summa maadallah,
10:41yeh ghalat bayani bhi ho sakti hai, jhood bhi bant sakta hai,
10:43aur Allah ke nabi se jhood muhaal hai,
10:45iska mattabi Allah tala ne
10:47apne habib par un logon ke
10:49aamaal aur unki neekiyon ko
10:51zahir farmaya hua tha,
10:53jisra Allah ne chaha,
10:55ilhaman kisi bhi tariqah se,
10:57aur sarkar ne jumla irshaat farmaya.
10:59Isi tara kaun Allah se kitna
11:01darta hai, yeh to ek kalbi kaifiyat ka naam hai.
11:03Kyunke dar, khawf,
11:05baaz oqat to hum zahir se andada kar lete hain,
11:07lekin haqiqatan dar ho,
11:09yeh khawf ho, yeh khushi ho, yeh gham ho,
11:11iska mustaqar aur thikana
11:13to qalb hota hai,
11:15dil ke andar kitna khawf hai,
11:17baaz oqat hum dekhte hain ki aadmi bada beparwah kisam ka hai,
11:19jisse shobis se taluk rakne wale log,
11:21lekin kya inke dil me khawf-e-khuda nahi hai bilkul,
11:23hum baaz oqat
11:25unke zahir ko dekhte hain,
11:27inke dil me koi khawf-e-khuda nahi hai,
11:29hota hai baaz oqat, choro takke hota hai,
11:31lekin wo hota kam hai,
11:33ya uske zahoor jo hai,
11:35kisi aur shakal mein ho jata hai,
11:37aur baaz oqat yasa hota hai,
11:39ki hum kisi baamal shahs ko dekhte hain,
11:41quran sunay rone lag jaye,
11:43bayan koi sunay,
11:45azaab ka to rone lag jaye,
11:47hum kehte hain, bada khawf-e-khuda wala hai,
11:49lekin wo baaz oqat pakkar hi aakaar hota hai,
11:51dikhawe ke liye kar raha hota hai,
11:53aur bahut bada faradiya hota hai,
11:55to lihaaza zahir se aap
11:57mukamal taur pe sahi andaza kar sakein,
11:59yeh zaruri nahi hai,
12:01lekin Allah to jaanta hai,
12:03kis ke dil mein kitna uska khawf hai,
12:05to churacha jab yeh zahir ho gaya,
12:07ki khawf-e-qalbi kaifiyat ka naam hai,
12:09to iss se yeh bhi maalum ho gaya,
12:11ki hamare Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam,
12:13qalbi kaifiyat par bhi aaga hain,
12:15aap jaante hain,
12:17ki mere dil mein sabse zahda khawf hai,
12:19in ke dil mein kam hai,
12:21to yeh bhi ek Nabi-e-Karim ka
12:23bahut badi aapki shaan hai,
12:25aur yeh jo musalmanon ka nazriya hai,
12:27ki Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam
12:29qalbi ahwal jaan liya karte the,
12:31aur Aqabirin ne likha hai,
12:33ki agar koi rauz-e-rasool par haazir hoon,
12:35to apne zahir ke saath saath
12:37apne qalb ko bhi sambha le,
12:39dil ke andar koi idhar idhar ki baatein na hai,
12:41dil ko bhi mutawajjah rakhe hai,
12:43kyun ke rahmat-e-qaunain sallallahu alaihi wa sallam
12:45Allah ki ata se dil ke khatarat par waqif hain,
12:47to yeh koi matlab afsaan bhi baat nahi hai,
12:49yeh koi josh-e-aqeedat ki andar
12:51yeh koi josh-e-aqeedat ki andar
12:53bila daleel kahi hui baat nahi hai,
12:55jaise baaz log iska bhi mazaak udaatein,
12:57nahi, bilkul nahi,
12:59rahmat-e-qaunain sallallahu alaihi wa sallam
13:01ne khud ishaad farmaaya,
13:03Bukhari ki riwayat,
13:05Sarkar ne farmaaya aur khuda ki qasam se isko shuru kiya,
13:07Allah ki qasam,
13:09main in logon se zyada niki karne wala hoon,
13:11aur Allah se
13:13zyada darne wala hoon,
13:15jo Sarkar ne alfaz istimal
13:17farmaaye hain, wo alfaz
13:19yakni se baatein
13:21dalalat karne isi par,
13:23jaise abar farmaaya,
13:25yeh isme tawzeel hai,
13:27doosron ke mukabal me zyada niki karne wala,
13:29wa atqaw farmaaya,
13:31main zyada taqwe wala hoon,
13:33Allah se zyada darne wala hoon,
13:35aur nabi ka kalam koi yeh nahi hota ki
13:37andaada kar ki yeh waisi, no,
13:39bilkul nabi ka kalam perfect,
13:41100% tahqeek shuda hota hai,
13:43to yeh jitne mere bache dekh rahein,
13:45achitra yaad rakhein,
13:47to yeh yaqeeda rakhein,
13:49ke Allah ke nabi,
13:51logon ke ahwal par waqif thein,
13:53acha ab yeh ek alaq baat hai,
13:55ke ahwal par waqif hain,
13:57phir bhi rahmat-e-kaunain sallallahu sallam,
13:59sirf zahir ke mutaabiq faisla farmate thein,
14:01misaal ke taur pe,
14:03kisi naake jhooti qasam khaali,
14:05to Sarkar jaantein,
14:07ke iske dil mein khiyanat hai,
14:09jhooti qasam kha raha hai,
14:11yeh chhupa raha hai cheez ko,
14:13lekin Sarkar ne phir jhooti qasam ko qabool kar liya,
14:15iska jawab yeh hai,
14:17rahmat-e-kaunain sallallahu sallam,
14:19ek nabi ki hasiyat se,
14:21tamam cheezon par baatin par waqif thein,
14:23har shakhs ko nahi hoga,
14:25rahmat-e-kaunain sallallahu sallam,
14:27ne qayamat tak ke musulmanon ko,
14:29yeh hi zahir farmaya,
14:31ke aap zahir ke mukallab banaye gaye hain,
14:33to agar zahiri aitabar se,
14:35sharri taqaza poora ho jaye,
14:37aur koi shakhs sharri requirement poori karde,
14:39to faisla uske haq mein hoga,
14:41ab agar wo jhoot bol raha hai,
14:43to yeh aakhirat mein fassega,
14:45aap par koi wabaal nahi hain,
14:47warna agar Sarkar yoon hota,
14:49ke qalbi ahwal par nazar karke,
14:51zahiri dalilon ko nadar andaas kar dete,
14:53aur us shakhs ke khilafi faisla karte,
14:55to ek to baad mein aane wale bhi yeh harkate,
14:57yeh muamala karte,
14:59ke nabiye kareem to,
15:01ba zariye wahiye ya ilhaam ke zariye,
15:03Allah ke ata se,
15:05ba tariq-e-murza muttale ho gaye,
15:07lekin wo yeh kya harkat karte,
15:09ke kisi ke bhi,
15:11kisi mein dekh lein jhoot bol raha,
15:13aur ho zakta hai wo sacha hota,
15:15to phir to yeh silsala chal jate,
15:17aur joh chata jaise chahe faisla kar leta,
15:19isliye nabiye kareem ne zahir ka farmaya,
15:21hazrat-e-umar-e-faarooq radiyallahu ta'ala
15:23nooh kaha karte the,
15:25ke humein shariat ne zahir ka mukallab banaya hai,
15:27hum to logon ke zahir ke mutaabik faisla karenge,
15:29to ek baad to yeh,
15:31aur doosri baad yeh,
15:33ki munafiqeen ko kehne ka maukah mil jata,
15:35ke dekhen jab apne sahab,
15:37to faisla kuch aur tariqah se hota hai,
15:39aur ek shahs hai,
15:41wo hamara saati hai,
15:43usne tamam cheezein pesh ki,
15:45lekin nabiye kareem ne zahir ko rad karke,
15:47uske khilaf faisla de diya,
15:49aur is tariqah se logon ko,
15:51maazallah badguman kiya jaat sakta tha,
15:53aur badgumani peyda hoti,
15:55to unke iman ki tabahi thi,
15:57isliye rahmat-e-quran sallallahu alaihi wa sallam ne,
15:59qiyamat tak ke liye,
16:01zahir ke mutaabik faisla karne ka hukum diya,
16:03iss se yeh bhi nateeja nikal aya,
16:05aap court mein jaate hain,
16:07ek beguna hota hai,
16:09ek gunahgaar hota hai,
16:11wakala dalail dete hain,
16:13aur judge un dalail ki roshni mein,
16:15baaz uqat begunaah ko gunahgaar karar de deta hai,
16:17aur gunahgaar ko begunaah karar de deta hai,
16:19ab wo to zahir ke hi mukallaf thi na,
16:21ab ek begunaah yeh kehta hai,
16:23ke main bilkul begunaah,
16:25aur mere khilaf ghalat faisla kiya gaya hai,
16:27haan aap sahi keh rahe hain,
16:29aap ke nazdeek to wo ghalat faisla hai,
16:31lekin jab shariat ko dekhenge,
16:33lekin jab shariat ko dekhenge,
16:35agar judge ne jaanboosh ka koi khiyanat nahi ki,
16:37yeh dalail ke upar faisla kiya,
16:39to dalail ke mutaabik to yeh hi hai,
16:41to phir kya kar sakte hain,
16:43to yeh kehna ki,
16:45mere saath kyu insaaf nahi hua,
16:47aap ke saath to insaaf karne ki koshish ki gayi,
16:49lekin zahir-e-dalail ke paband hai wo,
16:51to baaz log kehte hain,
16:53yeh kaisa, yeh kaisi shariat hai,
16:55ulta mere khilaf,
16:57shariat ka to khusur nahi hai na,
16:59shariat ne to ek zahir ka mukallaf bana hai,
17:01hum kaunsa baatin mein jhaag sakte hain,
17:03na hum khuda hain, na hum rasool hain,
17:05hum yeh kaisa pata chalega saamne le ke,
17:07dil mein kya hai, hum to zahir ka faisla karenge,
17:09aur agar aap ke khilaf faisla kiya gaya,
17:11aap ke zindagi barbaad hui,
17:13kharab hui, to Allah aakhirat mein
17:15aapko ajar dega, day of judgment mein
17:17yeh hi fasega, aap nahi,
17:19isliye shariat par tanazani
17:21karne ka koi fayda nahi hai,
17:23shariat ko samjhiye,
17:25uske oonsh neesh ko, uske mutaabik humein chalna chahiye,
17:27Allah ta'ala amal ki tuafiqatah,
17:29ameen, wa akhiru da'awana
17:31anil hamdu lillahi rabbil alameen.

Recommended