• 13 hours ago
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal

#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation

Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Bismillahir Rahmanir Raheem, Allah ta'barak wa ta'ala ke pakiza naam se aawaz karte hain
00:26Dars-e-Bukhari ke silsila 2581 number hadith-e-pak tak pohncha tha
00:33aur yek taweel hadith thi
00:35Jahan tak hum pohnche main uska khulasa arz kar deta hun
00:37Seyyid-e-Ayesha Siddiqa r.a. anha arz karte hain
00:41Ishaat farmati hain
00:43ki Sarkar ke ashaab jab koi hadiyah dena chahate to
00:47wo intizar karte the ke jab Sarkar mere paas aayen
00:51meri baari ke din us waqt wo hadiyah den
00:54To yeh kehti hain ki Sarkar ki jo azwaaj thi
00:57wo do hiso mein munqasim thi
00:59Ek mein main thi aur Bibi Hafsa, Hazrat-e-Sauda
01:03aur Hazrat-e-Safia r.a. anha thi
01:07aur baqi azwaaj doosre guro mein thi
01:10Acha yeh guro koi khuda na khasta koi larai wala guro nahi tha
01:13balke mahabbat aur pyaar aur hamzehan hone ke itibar se
01:17yeh do guro mein takseem thi
01:19aur yeh maine pehle aapke bataya tha ki
01:21Ek lafz ghairat hota hain
01:23aur ghairat ke matlab yeh hota hain
01:25ki jo cheez aapke saath khaas ho
01:27usmein jab aap kisi aur ki shirkat mahsus karte hain
01:30to ek dil mein kaifiyat peyda hoti hain
01:33jo na pasandeed ki kaifiyat aap keh sakte hain
01:36lekin wo aisi nahi hoti ki aadmi qudrat-e-ikhtiyar ke saath kar raha ho
01:39balke wo ghair-e-ikhtiyari hoti hain
01:41jaise ghar mein jab pehle baccha peyda hota hain
01:44to har ek usko pyaar kar raha hota hain
01:47god mein leta hain, tofe taahib deta hain
01:50aur yeh baccha bhi observe kar leta hain
01:52ke sab meri taraf mutawajh hain
01:54phir doosra baccha ghar mein peyda hota hain
01:57to mahabbat taqseem hoti hain
01:59to aapne dekha hoga ki jo
02:01bada baccha hota hain na wo baadukat jealous hota hain
02:04to wo nahi chahata hai ki chote baccha ko pyaar kiya jaye
02:06wo apne aap ko aage karta hai
02:08ki mujhe ussi tarah pyaar karo jaise pehle kar rahe the
02:10to iska matlab yeh hoa ki jab baccha mein yeh kaifiyat peyda hoti hain
02:13to wo toh koi planner toh nahi hain
02:15uska koi itna bada wasi zain toh nahi hain
02:17toh tab ek yeh chota sa baccha
02:19uske andar bhi yeh kaifiyat peyda hoti hain
02:21to yeh kaifiyat koi aisi nahi hoti ke
02:23koi khuda na khasta dil mein keena boghz rakh kar
02:25khaas toh aur par peyda ki jaye
02:27balke yeh az khud peyda hoti hain
02:29aur qudrat wa ikhtiyar mein nahi hoti
02:31aur jo chiz insaan ke qudrat wa ikhtiyar mein na ho
02:33uspar insaan ki gharift nahi hoti
02:35lekin yeh zarur hai
02:37ki wo phir kaifiyat itni ghalib na aaye
02:39aur phir uske baad khuda na khasta
02:41koi baatani taqaza aisa na ban jaye
02:43ki jis se mutalik yeh
02:45ek kaifiyat peyda hoti hain
02:47uske khilaf intiqami ka ravaayon par insaan utar aaye
02:49jis se ki humim taur par yeh
02:51aap moashree mein dekhte hain
02:53koi kisi ko karib hona chahata hain
02:55lekin doosra zyada karib hota hain
02:57toh raqabat peyda hoti hain
02:59aur phir wo khabron mein aap dekhenge
03:01ki phula ne
03:03ek khatoon ki taraf mayalan ki wajah se
03:05phula ko qatal kar diya
03:07phir wo kehta hai ki yeh main pasand nahi karta tha
03:09ki yeh karib ho aur main chahata tha
03:11aur is wala se intiqami
03:13tawajuh hain yeh cheezeh mana hoti hain
03:15aur yeh azwaj-e-mutaharaat
03:17mein aisi koi cheezeh nahi thi
03:19wo sarkar se pyaar karti thi, muhabbat karti thi
03:21aur wo chahati thi ki sarkar ki tawajuh
03:23humari taraf rahe
03:25lekin nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam
03:27ba wajood yeh ki aap nabi-o-rasool hain
03:29lekin aap ek bashar bhi hain
03:31aur aap ke saad bhi awarizaat-e-bashariyah
03:33rahte the, lekin wo bashar-e-taqazi
03:35aise nahi hoti the ki jis se humare hain
03:37ki huare bashar-e-taqazi to humein
03:40lekin humare nabi-e-karim masoom thi
03:42lekin kaifiyat aapke saad bhi thi
03:44unhi kaifiyat mesein
03:46dil ka mayalan bhi hai
03:48jo har insan ko lahik hota hai
03:50to aapka qalb-e-mayalan sabse zyada azwaj mein
03:52hazrat-e-bibi khadija
03:54radhiya Allah-u-taala anha ke paas ke saad tha
03:56ya unki taraf tha
03:58phir jab aapka wisal ho gaya
04:00to phir sayyida Ayesha Siddiq
04:02radhiya Allah-u-taala anha ki taraf
04:04sabse zyada mayalan tha
04:06aur yeh riwayat pehle maine aapko suna chuka hun
04:08to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:10to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:12to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:14to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:16to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:18to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:20to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:22to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:24to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:26to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:28to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:30to aapka ziyadat-e-bibi khadija
04:32aur jo aap khud firma rahe hain
04:34ki mere qudrat-e-ikhtiyar mein nahi
04:36wo hai aapke dil ka maail huna
04:38wo aapka Sayyid-e-Ayesha ki taraf
04:40zyada dil maail hota tha
04:42usme aapne Allah ki bargah mein
04:44darkhasat-e-afw peshki
04:46ki ya Rabb-e-karim mujhe maaf firma dena
04:48ki baqi azwaj ki taraf
04:50mera dil us tarah maail nahi hota
04:52jais-e-Ayesha ki taraf hota hai
04:54aur ye aap bhi taslim karenge
04:56ki ye muhabbat ka maamla jo hota hai
04:58ye min jaani billah hai
05:00ki Allah ta'ala jiski mahabbat chahta hai
05:02jiski dil mein daal deta hai
05:04aap bahot saare mujhe sun rahe hain
05:06aur har ek ka marqaz-e-aqeedat
05:08ho sakta hai, mukhtalif ho
05:10koi kisi peer sahab se aqeedat rakta hai
05:12koi kisi peer sahab se
05:14koi kisi aalim se
05:16koi kisi doosre se
05:18koi ek mufti sahab se
05:20koi doosre mufti sahab se
05:22aur jab wo apne
05:24is marqaz-e-aqeedat ka tasawur
05:26zihan mein lata hai
05:28ab iska matlab kya hua
05:30aalim to ye bhi hain, ye bhi hain
05:32peer ye bhi hain, ye bhi hain
05:34lekin Allah ta'ala kisi ki mahabbat
05:36kisi ke dil mein daal deta hai
05:38to isliye ye ismein hamara
05:40qudrat-e-ikhtiyar nahi hota
05:42yehi azwaj-e-mutaharaat ka maamla tha
05:44ki Allah ta'ala ne unke dil mein
05:46Nabi-e-Karim Sallallahu Salam ki
05:48betahasha mahabbat daali thi
05:50aur wo chahti thi ki Sarkar hamare saath hun
05:52aur jo Sarkar ki khushi ke azbaab hain
05:54jab hamari baari ka din ho tab hon
05:56tab Syeda Ayesha farbaati hain
05:58ki is wajah se do guru ho gaye
06:00ek hamara guru tha, ek doosra guru tha
06:02aur ye doosra guru ja tha
06:04unko ye malum tha
06:06ki sahaba-e-kiram aalim-ur-ridwan
06:08intizaar karte hain ki jab Sarkar
06:10Syeda Ayesha Siddiqa Radhiya Allah-u-Taala
06:12Anha ke paas jayein, us waqt ham
06:14hadiya aur tofa pesh karein
06:16isse Sarkar zyada khushi maasus farmayenge
06:18unki daanist mein to wo aise hi karte the
06:20to ab ye jo baaki azwaj thi
06:22unhone hazrat-e-umm-e-Sallama
06:24Radhiya Allah-u-Taala Anha se kaha
06:26ki aap Sarkar se kahein
06:28ki aapke ashaab issa na karein
06:30balke jab hamare paas
06:32hon aap tab bhi wo tofa diya karein
06:34jiske paas bhi hon wo tofa diya karein
06:36to rahmat-e-qaunayn
06:38sallallahu sallam ne do martaba
06:40to airas farmaya aur koi jawab na diya
06:42Umm-e-Sallama apne
06:44ham khayal khawateen ke darmian gayi
06:46to unhone bar-bar question ke to kaha
06:48koi jawab hi nahi diya, pisli martaba
06:50jab aapne pucha to Sarkar ne jawab diya
06:52jo ham pisli program me yaha tak
06:54pohche the
06:56to unhone jab tisri martaba kaha
06:58to Sarkar sallallahu sallam ne farmaya
07:00ki tum mujhe Ayesha ke
07:02muta'aliq aziyat na do
07:04kyunki mere paas Allah ki wahye kabhi
07:06is haalat me nahi aayi, jab main apni
07:08kisi biwi ke bistar par hun
07:10siwa-e Ayesha ke
07:12to yeh Sarkar ne ishaat farmaya ki
07:14tum to ek saada lohi ke andar yeh question
07:16karti ho, ya mere hi
07:18matab rizza ki khatir
07:20mere zari Allah ki rizza hasal karne ki khatir
07:22tumhara yeh tamanna hai, lekin mujhe
07:24is cheez se thodi si taklif hoti hai
07:26ke aap istara ki koi baat kahe
07:28jisse Ayesha ke baare
07:30me mere dil me koi khayal aaye
07:32to mujhe is cheez pasand nahi hai
07:34aa phir Syed Ayesha Siddiq radiyallahu ta'ala
07:36Anha ki fazilat beyan ki
07:38ki koi zaujah meri aisi nahi thi
07:40ke main unke kareeb hun
07:42aur Allah ki wahye nazil ho jaye, siwa-e Ayesha ke
07:44iska matab hai ke
07:46dekhein baaz kamalaat
07:48aise hote hain jisme
07:50insaan ke amal ka koi dakhal nahi hota
07:52lekin hum usse
07:54uska kamal karar dete hain, misal ke
07:56tuarbe koi aadmi bauti zaheen ho
07:58aur ek kun zahen hai
08:00to yeh haqiqatan agar
08:02aap ghor karenge, aap bhi tasleem karenge
08:04ki Allah ne ek ko zyada aqal di
08:06dusre ko nahi di, kamal kiska hai
08:08Allah ta'ala ka, lekin hum
08:10logon ki taraf nizbat karte hain, hum kehte hain
08:12bada baakamal aadmi hai, bada zaheen tarin aadmi hai
08:14aur yeh bechara itna baakamal
08:16nahi hai, ki itni zahanat nahi hai
08:18haala ke na iska qusoor, na haqiqatan
08:20iska kamal, yeh to mere Rabb ki marjidi
08:22kisi ko zyada diya, kisi ko kam diya
08:24to isliye, lekin
08:26hum isko kamal karar dete hain
08:28isi tarah anbiya a.s. jo mojazat
08:30dikhate hain, haqiqatan mojazat to
08:32Allah ta'ala ata firmata hai, yehne unko yeh
08:34ata karta hai, kamal to mere Rabb ka hai
08:36lekin chuke nabi ke zariye wo mojazat
08:38zahir hota hai, isliye hum usse
08:40nabi ka kamal bhi karar dete hain
08:42aise hi Syeda Ayesha ke paas agar
08:44hai aur Wahi nazil ho rahi hai
08:46to paigam to Allah bhej rahi hai
08:48to kamal to Allah ka hai
08:50yeh fazal sara Allah ka hai
08:52lekin mere Yaqut s.a.w.
08:54is fazal ko
08:56jis waqt wo nazil ho rahi hai, us waqt
08:58jo kareem maujood hai, uski fazilat me bhi dhikr
09:00kar rahi hai, ki aur koi zaujah
09:02aise nahi thi, ki jin ke main saath hun
09:04aur Wahi nazil ho, siwai Syeda Ayesha ke
09:06yeh isharah kar diya, ki iska matlab
09:08yeh hua, ki Allah ta'ala apne fazilat
09:10aur apne kamal ko baad uqat
09:12zahir kar ke, kisi ke liye
09:14fazilat aur kamal ko peyda kar deta
09:16uske liye fazilat aur kamal ka
09:18pehlo nikaalta hai, to usme phir Allah
09:20ki taraf to kamal ki nizbat hogi hogi
09:22us bande ki tarab bhi hogi
09:24to iss se yeh bhi malum hua, ki mere Yaqut s.a.w.
09:26Syeda Ayesha Siddiq
09:28radiyallahu ta'ala Anha se bohoti zyada
09:30pyaar farmate the, aur
09:32agar koi
09:34naadaanista taur par
09:36Syeda Ayesha ki wajah se
09:38Sarkar ke liye baise aziyat banta, to
09:40Sarkar ko iss se taqleef hua karti thi
09:42iss cheez ko hamme achitara zayn mein rakhna chahiye
09:46Hazrat-e-Umm-e-Salamah radiyallahu ta'ala
09:48Anha ne arz ki ya Rasulullah, main
09:50aapko aziyat dene ki wajah se
09:52Allah se tauba karti hun
09:54yaani mujhe to yeh aisaas nai hua
09:56naa koi aapka irada tha
09:58to aapne foran apne baat se rujoo kia
10:00phir in azwaaz ne
10:02Hadrat-e-Syedana Fatima
10:04bint-e-Rasool radiyallahu ta'ala
10:06Anha ko bulaya
10:08aur unko Nabi-e-Karim
10:10Sall-e-Rasool-Allah ke paas bheja
10:12ke wo aap se arz karein
10:14ki aapki azwaaz aapko
10:16Allah ki qasam deti hain
10:18ki aap Abu-Bakr ki sahibzadi
10:20ke muamale mein
10:22adal se kaam lein
10:24yaani zulm ke muqabale wala
10:26adal nahin, balki ye murad tha
10:28ki Rasulullah, aap sahaba ko ye kahen
10:30ki jis bhi zaujah ke paas hu
10:32wo tofe diya karein
10:34to aap iss muamale mein
10:36Hadrat-e-Syedana Fatima
10:38radiyallahu ta'ala Anha ne
10:40Nabi-e-Karim Sall-e-Rasool-Allah se yehi arz kardi
10:42Sarkar ne firmaaya ki
10:44Aeh meri beti, kya tum usse
10:46muhabbat nahin karti, jisse
10:48main muhabbat karta hun
10:50unha ne arz ki Rasulullah, kyu nahin
10:52yaani ab ye dekhey hain, aur main tamam
10:54dekhne walon ko guzarish karta hun, jumle pe ghor karein
10:56apni beti se kehte hain, ki aap
10:58usse muhabbat nahin karti, jisse main muhabbat
11:00karta hun, to bibi Fatima
11:02ne kya kaha, kyu nahin
11:04iska mattab-e-sarkar yeh firmaa rahein ki
11:06main Ayesha se muhabbat karta hun, to kya aap
11:08muhabbat nahin karti, unha ne kaha, kyu nahin
11:10to kya wo jhud boolengi, yakhni si baatein nahin
11:12iska mattab-e-yeh hua, ki in sab
11:14main aapas mein bohot pyaar
11:16aur muhabbat thi, bohoti
11:18aqeedat thi, ik dusay ka ehteram tha
11:20to sarkar ne khaas pucha, ki main
11:22Ayesha se muhabbat karta hun
11:24aap nahin karti, to kaha ki jee bilkul
11:26karti hain, fir wo azwaaj ki taraf
11:28lotaayin, aur unko ye baat ki khabar di
11:30unha ne kaha, ki aap fir unke paas jaayin
11:32to hazrat-e-sayida
11:34fatima radhiya Allah-u-taala anha ne
11:36dubara jaane se inkar kar diya
11:38fir azwaaj ne
11:40hazrat-e-zainab bint-e-jahash radhiya Allah-u-taala
11:42anha ko bheja, yeh bhi zaujah-e-rasool hain
11:44aur sarkar ki phuppi zaad hain yeh
11:46to yeh aayin
11:48aur unha ne aakar, fir nabi-e-karim
11:50sallallahu-alaihi-wa-sallam se
11:52yeh hi baat arz ki, ki
11:54aapki azwaaj aapko Allah ki qasam deti hain
11:56ki aap hazrat-e-abu-quhafa
12:00sidiq-e-akbar radhiya Allah-u-taala anha ki
12:02sahibzadi ke muaamla mein
12:04hamare saad barabri wala muaamla firma de
12:06yani sarkar to nahi kar raha hai
12:08yeh to sahaba kar raha hai, murad yeh hain
12:10aap sahaba ko kahein, ki wo tamaam
12:12azwaaj ke liye, ek jaisa zain
12:14rakhein, fir wo arz
12:16karti rahin, aur
12:18unha ne bar-bar yeh baatein karti rahin
12:20hatta ki
12:22nabi-e-karim sallallahu-alaihi-wa-sallam
12:24sayyida Ayesha-e-siddiqa radhiya Allah-u-taala
12:26anha ki taraf dekhne lage
12:28goye ke wo kya kehti hain
12:30yani aap sarkar khamush the
12:32wo boli ja rahi the, ta sarkar ne idhar dekha
12:34ke ab aap kya kehti hain
12:36to fir sayyida Ayesha-e-siddiqa radhiya Allah-u-taala
12:38anha boli, aur hazrat-e-zainab
12:40ko jawab dena shuru
12:42kiya, hatta ki unko
12:44lajawab kar diya, sayyida Ayesha
12:46batati hain, ki fir nabi-e-karim sallallahu-alaihi-wa-sallam
12:48ne
12:50ahzat-e-ayesha ki taraf dekh ke firmaya
12:52yani meri taraf dekh ke firmaya
12:54ki yeh abu bakr ki beti hain
12:56to yeh dekhe
12:58jo humari behne khas-to-war pe sun rahi hain
13:00mai bar-bar
13:02yeh cheezein arz karta hun
13:04ki jo sahaba-e-karam the
13:06azwaj-e-mutaharaat the
13:08yeh humari saron ke taaj hain
13:10yeh jo azwaj-e-mutaharaat the
13:12ummuhaat-ul-mu'mineen hain
13:14tamam mu'mineen ki maa-e hain
13:16yeh sahabiyaat hain, Allah ke intihai qareeb
13:18mukarrab bande
13:20aur jo sahabi hain, wo yaqeenan
13:22jannat mein jaayega
13:24radiyallahu anhum waradu-an
13:26yeh bhi zara tawajju rakhiyega
13:28quran mein yeh Allah ne
13:30sahaba ke baare mein firmaya
13:32radiyallahu anhum waradu-an
13:34Allah unse razi hogaya
13:36wo Allah se razi hogaya
13:38hala ke yeh
13:40kalam hain Allah ta'ala ka
13:42aur kalam Allah ke sifat-e-zatiya hain
13:44jaise Allah ke zaat qadeem hain
13:46yani hamisha se hain
13:48Allah ka irada, Allah ka ilm, Allah ki
13:50qudrat, Allah ka kalam
13:52kabhi qadeem hain
13:54iska mattab-e-bhi sahaba-e-karam peyda bhi nai hua
13:56sahaba ke maa-bain
13:58digar musulmano ke maa-bain
14:00jo mua'milaat hun hain, kuch hua hi nai
14:02kyunki wo toh peyda bhi nai hua
14:04lekin Allah ta'ala ne azal se ailaan firma diya
14:06radiyallahu anhum
14:08waradu-an
14:10Allah unse razi, wo Allah se razi
14:12iska mattab-e-bhi Allah ta'ala ke ilm mein tha, kya kya mua'milaat
14:14hone wale hain, kya kush hoga
14:16iske ba wajud azal se ailaan firma diya
14:18ke Allah unse razi hogaya
14:20wo Allah se razi
14:22iska mattab-e-bhi hua ke un tamaam mua'milaat
14:24ko Allah jaanta tha
14:26iske ba wajud Rabb-e-Karim ne
14:28un mua'milaat se goya ke dargudar firma ya hai
14:30aur tamaam sahaba se
14:32apni riza ka ailaan firma ya hai
14:34toh jo waqi jinn ke sahabiyat
14:36sabit ho, aur phir wo haalat-e-sahabiyat
14:38mein hi rukhsat ho, aur sahabi kehte
14:40hi usko hain, ke jo haalat-e-iman mein
14:42apni zahiri aankho se nabi-e-karim
14:44sallallahu alaihi wa sallam ko dekhe
14:46aur phir unka haalat-e-iman mein hi intiqal
14:48ho jaye, usse sahabi kehte hain
14:50aur wo jannati hunge, kyunke
14:52Allah tabarak wa ta'ala ne unse
14:54riza ka ailaan azal se firma diya
14:56toh lihaaza
14:58humme bhi koshish karne chahiye
15:00ke inn tamaam nafus-e-qudsiya
15:02se pyaar karein, muhabbat karein
15:04sahaba-e-karam ka adab-e-ehteram
15:06ahle baite-e-athar
15:08hamare saron ke taaj hain
15:10aur sabse pyaar muhabbat ka mua'mila
15:12yehi tamaam cheezein
15:14mua'milaat hote rahein
15:16is hadith ko khaas taur par
15:18zain mein rakhein
15:20aur ab jab is kisam ke koi mua'milaat
15:22aap dekhte hain, jaise azwaaj ne aake guzarish
15:24pesh ki, toh yeh zain mein rakhein
15:26ke aadmi kitra hi burad maqam kyun na ho jaye
15:28wo ek bashar zaroor hain
15:30aur unmein
15:32wohi bashari mua'milaat hote hain
15:34lekin unka kamaal yeh tha, ki wo
15:36un bashari mua'milaat ko maadallah summa maadallah
15:38istarah apne upar
15:40un bashari taqazon ko ghalib nahi kar lete the
15:42ke najais ke tara bar jaaye
15:44bas hamara kusoor yeh hai
15:46hamari, matlab hamarein da naqs aur kami yeh hai
15:48ki awarizat-e-bashariyya
15:50aksar hampar ghalib aa jaate hain
15:52aur hamein ghalat cheezon ki taraf le jaate hain
15:54gheebaton, chughliyon ki taraf
15:56phir intiqami karrawayiyon ki taraf
15:58keenai ki taraf, bughz hai, hasad hai
16:00yeh cheezat teek nahi hoti
16:02ghairat aur hasad mein yeh farq hota hai
16:04ki ghairat mein bas insaan sharing ko na pasand karta hai
16:06aur kuch nahi hota
16:08aur ghair ikhtiyari taur par hota hai
16:10jab ki hasad ke andar
16:12waqasdan iradatan
16:14admi kisi ke paas neemat dekar
16:16yeh chahta hai
16:18isse neemat chhin kar mujhe mil jaaye
16:20yeh mahrum ho jaaye, mujhe mil jaaye
16:22aur agar keena aur bughz hai
16:24to usme faqat itna hota hai
16:26na mere paas nahi hai to iske paas bhi na rahe
16:28aur yeh haram hota hai
16:30aur yeh cheezein ke andar nahi thi
16:32iska matlab hai ke taqaza-e-bashariyat unke saad bhi the
16:34lekin wo usper ghalib rahte the
16:36bashari taqazi unper ghalib
16:38nahi aate the
16:40to usme faqat yeh zehin mein rakhein
16:42ke anbiya bhi tamam bashar hai
16:44lekin anbiya a.s
16:46yeh sahab-e-karam hon
16:48aal-e-bait-e-atahar hon
16:50unki bashariyat hamari bashariyat ke muqabale me
16:52kahin zyada kaamil aur aqmal thi
16:54yani wo hamari misal bashar nahi thi
16:56ke hum naazuk se, kamzor se
16:58foran bheg jane wale
17:00shaitaan ke aur nafs ke
17:02tahat aa jane wale
17:04unke bashariyat badhi pukhta aur kaamil hua karti thi
17:06Allah ta'ala hame bhi
17:08mazeed mazboot imaan ata farmai
17:10agli baab ki taraf aate hain
17:12jis hadiyah ko
17:14wapas na kiya jaye uska baab
17:162582
17:18number hadith-e-paak hai
17:20hazrat-e-azrah
17:22bin thabit ansari na yeh hadith bayan ki
17:24unhone kaha ke mujhe
17:26sumama bin abdullah na yeh hadith bayan ki
17:28unhone kaha ke main
17:30unke paas gaya to unhone
17:32mujhe khushbu lagayin
17:34to unhone kaha ki hazrat-e-anas radhiya allahu ta'ala
17:36anhu khushbu ko mustrad
17:38nahi karte the
17:40aur hazrat-e-anas ne bataya ki nabi-e-karim
17:42sallallahu alaihi wa sallam khushbu ko
17:44mana nahi farmate the
17:46to khushbu ko
17:48mana nahi karna chahiye yeh khaas
17:50aur iski kya wajah hai
17:52kehi wajahat fuqahaan-e-likhi hain
17:54jin waise yeh ki yeh hai ki us zamane me khushbu
17:56itna koi mehngi cheez nahi thi
17:58aur sarkar lagate bhi the khushbu
18:00sarkar ko pasand di
18:02bahut zyada
18:04is tarah ki jo tofe mana kiye jaye
18:06to zamane wale ki dilazari hoti hai
18:08isre sarkar khushbu ko kabhi mana nahi karte the
18:10kabul kar liya karte the
18:12to ek dusre ko kar hum khushbu deyen
18:14to usko kabul kar lena chahiye
18:16Allah ta'ala hume samajh ki tofiqata farmaye
18:18wa akhru da'awana anil hamdu lillahi rabbil alameen

Recommended