• last year
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal

#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation

Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Bismillah hir rahman nir raheem, Allah tabarak wa ta'ala ke pakizatareen naam se aagaz karte
00:26hain jo bahut mehrbaan nihayat rahim wala hai. Kitab ul itgh chal rahi hai, dars-e-bukhari
00:33hai, jo hamare regular nazareen hain, wo jaante hain, wo tarteeb se programs dekh rahi hota
00:38hain, main aapse guzarish karta hu, khud bhi dekhte rahiye aur doosron ko bhi dekhne ki
00:42targheeb dete rahein, inshaAllah badi barakat hasil hogi. To ab pishli program mein jo hamane
00:48hadith beyan ki thi, wo 2541 thi, aur iske raavi Ibn-e-Aun ne khabar dee thi, unhone
00:57kaha ki maine naafi ki taraf maktoob likha, unhone mujhe jawab mein likha, ki Nabi-e-karim
01:01sallallahu wasallam ne Banu Mustaliq par hamla kiya, aur wo usfak bilkul ghaafil the, aur
01:08unke mawashi paani ke haus par paani pee rahe the, to aapne unke jangjooon ko qatal
01:14kar diya, aur unke bachon ko qaid kar liya. Aur us din aapne Hazrat-e-Juwairiyah ko bhi
01:21qaidiyon mein paaya. To yeh baine aapko bataya tha ki aap sardaron ke khandaan se taluk rakhti
01:27thi, aur hamari waalda hui, Ummuhat-ul-Mumineen aage chal kar bani, aur aapne Nabi-e-Karim
01:34se darkhas ki thi, ki aap jis shahs ke paas mujhe diya gaya hai, aap bandi ban gayi thi,
01:41usne kuch paise maange hai, wo mujhe azad kar dega, aap agar meri taraf se ada kar de,
01:46to unka ana bhi dekhen saabit karta hai, hala ki hamla Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wasallam
01:50ne kiya hai, unke jangjoo maare gaye hai jangon ke andar, lekin wo jaanti hai, aur jaanti thi
01:56ki Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wasallam rahmat-ul-il-alameen hai, aur yeh zarur meri
02:00madad karenge. Yani wo Sarkar ke rawayya ko bhi jaanti hongi, aur yakinan jo baatein
02:07us waqt maroof thi Arab ke andar, Sarkar sallallahu alaihi wasallam ke awsaf aur aapki
02:11achi sifat ke hawale se usko buniyat banate hua hazir hui. Aur Rahmat-e-Qaunayn sallallahu
02:17alaihi wasallam ne naasib unka badal-e-kitabat ada kiya, balke unse nikah bhi firmaaya,
02:21aur Muhad-ul-Mumineen unko banaya. To yeh jo Rahmat-e-Qaunayn sallallahu alaihi wasallam
02:26ne 9 ya ik riwayat ke muttabik 11 azwar se nikah firmaaya, aur uske baad phir Allah
02:32ta'ala ne mana firmaa diya ki iske baad aap kisi aurah se nikah nahi karenge, yeh
02:35Quran ke mazameen hain. Lekin itni khawateen se nikah ka maqsood koi nafsani khaahish
02:41ki mutaba'at nahi thi, balke Sarkar ne isi liye nikah firmaaya, ke agar ek aurah se
02:47main nikah karta hu, to uska poora qabeela phir Islam ki mukhalafat se ruk jata tha.
02:53Isi tarah yahan par hua, ke jab aapne Hadrat-e-Juwairiyah se nikah firmaaya, to baqi log jo the qabeela-e-Bani
02:59Mustaliq ke, wo Sarkar ki mukhalafat se, Islam ki mukhalafat se ruk gaye. To yeh ek
03:05shahmat hoti hai, jo Rahmat-e-Qaunayn Sallallahu Alaihi Wasallam ne ikhtiyaar firmaayi.
03:09Aur jo maine kalam kiya, phir ek dafaa uska thoda sa miyada kar deta hu, ke Allah ki
03:15khufiya tadbeer se kabhi ghaafil na hu, jiske do pehlo maine bataaye, ke agar koi shahs
03:21urooj par hai, to yeh naa sochay ke main hamesha urooj par rahunga. Hu sakta hai Allah-ta'ala
03:25ne zawal ka faisla firmaa liya hu, to, yehni azal se faisla firmaaya. Aur aksar uske
03:31buniyaat jo hai, wo hamari shahmat-e-aamal hi hoti hai. Hum ujboot, takaboor, khudpasandi
03:35mein muqtala ho jate hain. Aakhirat se ghaafil ho jate hain. Allah ki ata karda nimato ko
03:39samajhte hain, ke hamara zaati kamaal hai. Aur hum is baat se mayus ho jate hain. Aur
03:45bilkul apne aap ko mahfuz samajhte hain, ke kabhi yeh nimatein chhin bhi sakti hain.
03:49Lekin aapne dekha, kitne log aasmaan se zameen par girte hain. Corona ke jab aayam
03:55the humare yaha Corona ka zor tha, kitne log unke kaarobar tabah ho gaye, aur wo
04:01footpath par aa gaye. Isi tariqah se Allah ki khufiya tadbeer yu bhi kaar firmaa hoti
04:05hai, ke ek aadmi aisa lagta hai, ke bilkul yeh to koi haqeer sa aadmi hai, shayad aisi
04:11mar gaya to jahannam mein jayega. Lekin Allah ne azal se faisla kia hota hai, ke Allah
04:15isko utha dega, aur isko apna mukarram bana dega, iske liye jannat ke raaste aasaan
04:20kar dega, aur phir aise aazbaab ban jaate hain, ke waqeet iske saath aisa muaamla ho
04:24jaata hain. Lihaza ab ismein ek pahalo bas yeh hai, ke humare koi bhi behen, humara
04:29koi bhi bhai, Allah ta'ala se kabhi mayus nao. Wo badai zabartast tadbeer firmaane
04:36wala hai, wo cheezon ke connection milata hai, ek cheez ko doosre ka saath, doosre
04:40ko teesre ka saath, aur kaam bante chale jaate hain. Hum yeh samajhte hain, ke shayad
04:45jab hum fas jaate hain, koi aazmaeesh aate hain, museebat aate hain, hum samajhte hain
04:49ke yeh nahi hal ho sakti. Baut mushkil hai ke hal ho jaaye. Baad uqat humari behne
04:53depression ke shikar ho jaate hain, logon ke dimaag ke raghe phad jaate hain, aur uski
04:58badi wajah yeh hoti hain, ke hum mazameen-e-Quran, mazameen-e-Hadeeth, aksar apne zehno mein
05:04jama nahi rakte hain, unpar tafakkur nahi karte hain, unko sunte nahi hain. To phir
05:09aam logon ki baatein hiin, thode bohot dharas deti hain, aur jab wo dharas nikal jaate
05:13hain, to humein is kisam ki pasti se bachane wali koi bhi cheez nahi hoti. Humare bhen
05:19bhai, is par tawajjo karein. Jaise maine arz kiya tha, kahan Hadrat-e-Juwairiyah
05:23ek ghair Muslim khandaan mein paida hui, phir wo pali, badhi, kisi wo pata tha ke wo
05:30aakhri nabi ke aqad mein tashreef laayengi, jo nabi poori kainaat mein Allah ke baad
05:36tamaam makhluk mein sabse afzal tareen hunge. Koi faisla kar sakta tha usfak us bachi
05:41ko dekh kar, ek ghair Muslim gharana mein ghumne firne wali bachi ko dekh kar faisla
05:45kar sakta tha, bilkul bhi nahi. Dekhin Allah taala ne dekhin azbaab bana hai. Aisi Hadrat-e-Surah
05:50Yusuf padhein. Surah Yusuf tafseer ke saath padhein. Dekhin kaise unke bhaiyon ne aap
05:55ko kuwa mein phek diya. Aur phir jaakar wali sahab ko kaha, koi bhediyah kha gaya. Phir
06:00ek kaafla wahan par aaya. Kuwa dekha, unhone dhol dala ke chalo paani nikaaltein Hadrat-e-Yusuf
06:05usme bed gaye. Nikaala to Hadrat-e-Yusuf, itne khubsurat us time chote the. To unhone
06:10ne apne paas hak liye. Bhaiyon ko pata chala, wo aaya kaha yeh to amara azaad karda. Yeh
06:14bhagawa ghulam hai. Hum aapko itne mein beshtein. Ek riwayat ki matabik 20 dirham mein shayad
06:19aapko besht diya. Wo le gaye. Phir Misr mein aapki nilami lagayi. Wahan aziz-e-Misr ne
06:25aapko khareeda. Ghar le gaya. Unki bibi Zulaikha thi. Hatta ke phir aap jawaan ho gaye. Zulaikha
06:31maail hui. Aap pe das darasi ki koshish ki. Wo case pakda gaya. Aapki baraat Allah ne
06:36ek bachche ki gawahi se sabit farmai. Lekin usne izzat bachane ke liye aapko jael mein
06:41dala. Chauda saal ek riwayat ki matabik Hadrat-e-Yusuf alaihissalam jael mein rahe. Phir chunki
06:46khaab ki tabir batate the. Baadshah ko khaab aaya. Aapne tabir batai. Phir aapko nikaala
06:51aur baadshah ne aapko ek wo aziz-e-Misr ko hata kar aapko uska ahuda diya. Aur baadme
06:57phir aap Misr ke wali bane. Aur phir awali sahab ko bulaaya. Bhaiyon ko bulaaya. Jinnon
07:02ne saazish ki thi. Unko muaf kar diya. Aur Allah ne yeh agar aap padhenge cheezein to
07:07dharas bantiye. Ki mere Rab ke liye kuch mushkil nahi hai. Wo Rab poori kainat ka nizam chalara
07:12hai. Bade bade sayyaare. Ki zameen unke saamne ek nukta bhi nahi hai. Nukta bhi nahi hai.
07:18Unke nizam chalara hai. Poori kainat ka nizam. Rizq-e-taqseem ka nizam. To mere aur aapke
07:25masayil kyun nahi hal kar sakta. Mazboot rahein. Allah tabarak wa ta'ala ki taraf tafajjo
07:29rakhein. Hum baad oqaat Rab-e-Karim ko chhod kar. Chhodne se murad mayus se ho jatein.
07:35Duaon me wo lagao nahi rehta. Wo zor nahi hota. Wo aitimad nahi hota. Wo yaqeen nahi
07:42hota. Phir hume koi mashwara deta hai. Ji wo fulaan sahab bahot achha jaadu karte hain.
07:48Fulaan amliyaat karte hain. Wahaan chale jayein. Unse umeede lag jateein. Achhe aamil se
07:54ilaaj karwane ko bhi mana nahi kar raha hoon. Ki wo kara sakte hain. Jo bir koi Quran-o-Hadees
07:59ke mutaabik amal karein. Lekin asal to humare aitiqaad ka masla hai. Ki hum Allah ta'ala
08:04se aitiqaad had jata hai. Ek aamil do chaar zara maske wali baatein karein. Bade bade
08:10apne baarein mein daavein karein. Yuh chutki main tumhara masla hal kar dunga. Aray
08:14hazaaro log aayein humne aisa kar diya. Usse jo humare yaqeen wabasta ho jata hai.
08:19Ki arsa-e-daraas tak uske saath wabasta rehtein. Wo baar-baar yeh kehta hai ki maine kaat kar
08:24di thi, phir kisi ne karwa diya. Phir kaat kar raha hoon, phir karwa diya. Uske saath
08:28wabasta rehti hain. Lekin Allah ta'ala ki zaat ke saath wo kaamil yaqeen wabasta nahi
08:33rehta hoon jo rehna chahiye. Aur humare aitiqaad ki buniyadi cheezon mein se hai. Isliye is
08:39kisam ki cheezon ko dekhkar zara yuh bhi soch liya karein. Kaise Allah ta'ala ne kisko
08:43kahan peyda kiya? Aur kahan pohchaya? Aur ab aakhirat mein unka kitna maqam-o-martaaba
08:48hoga? Hum muhaatil momineen sabse oonche darje mein hongi. Kyuki nabi sabse oonche
08:53darje mein. Mere aqa ke darje phir nabiyon se bhi bulan. Yakhnin aapki azwaja mutaharaat
08:58aapke saath hongi. Toh andaaza karein ki kahan ek ghar muslim ghar mein peyda hone
09:02wale bachi? Aur kahan wo nabiye kareem sallallahu alaihi wa sallam ke saath jannat ke sabse
09:07oonche darje mein? Iss se Allah ta'ala ki khufiya tadbir ko samajhna chahiye. Aur
09:12himmat aur khusla hasil karna chahiye. Agli hadith ke taraf aatein hai. 2542 number
09:19hadith-e-paak hai. Aur hazrat-e-hiban ibn-e-mahreez se riwayat karte hain. Wo beyan karte hain
09:29ki maine hazrat-e-abu-saeed radhi Allah-u-ta'ala anhu ko dekha. Toh maine usse sual kiya.
09:35Pas unhone kaha ki hum Rasool-e-Allahi sallallahu alaihi wa sallam ke saath Ghazwa-e-Bani Mustaliq
09:41mein gaye. Toh Arab ki qaidiyon mese kuch qaidiyon humare haath aaye. Fir raste mein
09:46hume aurton ki khaahish hui. Aur aurton se door rehna humper dushwaar ho gaya. Humne
09:53aazal karna chaha toh humne nabiye kareem sallallahu alaihi wa sallam se iske mutaalik
09:58sual kiya. Aapne firmaaya ki agar tum aazal na karo toh tum par koi haraj nahi hai.
10:03Jo roohin bhi qiyamat tak peyda hone wali hain. Wo zarur peyda ho kar rahengi. Iska
10:13matlab kya hai? Kyunki sahaba-e-kiram shadi shuda hote the aur wo bade lambe lambe safar
10:19pe chale jaye karte the jihad ke silsile mein. Aur fir yaqni si baat hai ki taqaza-e-nafsani
10:24toh sabke saath hota hai. Toh fir wo yun hota tha baad oqaat ki azwaj bhi saath hain.
10:30Lekin jisse matlab sarkaar se mutlaqan bhi aazal ki ijazat hasil ki gayi. Aazal usse
10:36kehte hain ki jismani taalluk qaim ho. Lekin hamal na thairne diya jaa. Yani bahar discharge
10:44hua jaye. Hamal na thairne diya jaa. Toh nabiye kareem se iske ijazat talab ki gayi. Toh
10:49rahmat-e-qaunayn sallallahu alaihi wa sallam ne yeh jawab diya ki tum karo ya na karo.
10:53Lekin jis jaan ne aana hai wo aana hai. Jaise doosi riwayaat mein hain ki ek sahabin ijazat
10:58talab ki. Sarkaar ne ijazat di. Toh unhone jismani taalluk qaim kiya. Lekin wohi ehtiyaat.
11:03Lekin zauja haamila ho gayi. Unhone aake sarkaar ko bataya. Arsulallah mein toh hartara ki
11:07ehtiyaat ki phir bhi ho gaya. Toh phir sarkaar ne yeh firmaaya ki jis rooh ne aana hai wo
11:11aana hai. Isse yeh pehle bhi hadith haa chuke. Unhone tabheel ispar kalam kar chuka hun.
11:15Lekin thodo samay ispe mazeed arz kar deta hun. Ki dekhin Arab log kasrat-e-aulad ko
11:22mahboob rakte the. Wo bete chahte the. Kasir hamaari aulad ho. Khud rahmat-e-qaunain
11:26sallallahu alaihi wa sallam ne firmaaya ki kasir bacche peyda karne wali aurat se nikah
11:32karo. Ishki wajah kya thi? Sarkaar ne shahad firmaaya ki main baruz-e-qayamat apni ummat
11:38ki kasrat par fakhar karunga. Ki sarkaar ki ummat sabse zyada hogi. Sabse zyada farat
11:44sarkaar ki ummat me honge. Lekin iske bawajood phir sarkaar iski ijazat bhi de rahe hain.
11:50Iska matlab ye hua ki ek family planning ka tasawoor hamara mazhab khud deta hain. Aurat
11:56bhi aakhir ek aurat hain. Wo ek insaan hain. Nau mahine bacche ko pet me rakhna. Phir
12:02bacche ki peydaeesh ke masayil. Iske baad wo khune jigar pilati hain dood ki shakal me.
12:07Aur phir unki dekh bhaal bachon ki tarbiyat aur usme kis qadar aurat halkaan ho jati hain.
12:13Sahih baat hai ki agar mardon ke saath aisa muaamlah hota tab sahih andaaza hota. Lekin
12:19hume andaaza karna chahiye. Aur hume apni behno ki qadar karne chahiye. Kis qadar wo
12:24mashakkatin uthati hain. To aurat ko bhi thode se uski body ko bhi aaraam ki zarurat hoti
12:29hain. Ye nahin hai ki har saal ek baccha aa raha hai. Har saal ek baccha aa raha hai.
12:33Usko gap to deyen. Ek aalim-e-deen bohot pyari baat beyan firma rahe the. Ek achha nukhta
12:38unhone beyan kiya. Mujhe bohot pasand aaya. Ki Allah taala ne bacche ko do saal dood
12:43pilaane ka hukum diya. Haaulain kaamilain. Maaon ko firmaaya ki wo dood pilaain. Haaulain
12:48kaamilain. Do mukammal saal. Iska matlab hai ki jab tak maa ke dood utar raha hai, do
12:53saal tak wo dood pilaain. Agar wo haamila ho jati hai, to dood ruk jata hai. Ya dood
12:58mein kharabi peyda ho jati hai. Iska matlab ye hua jab bacche ko do saal dood pilaane
13:03ka hukum diya, to agle bacche ke darmian kamaz kam do saal ka faasla hona chahiye.
13:08Ye ek nukhta unhone beyan kiya. Bohot valid, bohot achhi baat unhone kiya. Aur isi tarah
13:13ye azal ki ijazat to sarkar ne marhamat firmaayi. Ye bhi saabit karti hai, ki yun nahin ke
13:18bas matlab aurat ko samjho ke jaisa marzi karte raho, bichari wo bacche hi peyda karte
13:24rahe. Baaz aisi khawateen hoti hain ki unki naak agar pakad di jaye to dam nikal jaye.
13:29Aisi kamzor hoti hain. Lekin ji, koi ahityaat nahin. Ye chis theek nahin hoti. Ye humare
13:34mazhab ke khilaf nahin hai. Haa ye zarur hai ki agar koi ye kahta hai ki ji main aulat
13:39ko pasand nahin karta hun, ye kufran-e-neemat hai. Agar koi kahta hai ki hum shadi hogayi,
13:44teen-chaar saal tak hum bacche pelayin nahin karenge, ye bhi munasib nahin hai. Kufran-e-neemat
13:49hai. Aulat ek neemat hai, usko aane de. Wahna pechidiyan aur kharabiyan hi peyda hoti hain.
13:54Isi tariqah se aur koi shar-e-uzar nahin. Bacche peyda hoyi to khilayenge pelayenge
13:59kahaan se. Ye guna hai. Isme bhi fir aapko wakfa karna hai ki is niyat ki wajah se ijazat
14:04nahin hogi. Lekin agar isli hai ki aurat jitna uska nukhsaan hua hai jismani lihaat se uski
14:11recovery ho jaye. Aurat ko bacchon ko paalne mein aasani ho. Unki tarbiyat mein aasani ho.
14:17To fir hamara mazhab-e-islam isse bilkul mana nahin karta. Ki hum kisi ache doctor se,
14:22jise bacchiyan hain, hamari behne, kisi lady doctor se mashwara karke, usse baqaida poochen
14:27ki kis tariqah se bacche plan karne chahiye. Aur uske mutabik karen, isme koi shari taur
14:32par gharift ke pahloo nahin hain. Agli hadith ki taraf aate hain. Hadith hai 2543. Hazrat
14:42Abu Huraira radhiyallahu ta'ala anhu bayan karte hain ki main hamesha Banu Tameem se
14:48mahabbat karta hun. Aur fir doosi ek riwayat isi ke saath hai. Doosi riwayat hai ki Hazrat
14:54Abu Huraira bayan karte hain ki main hamesha se Banu Tameem se mahabbat karta hun jab se
14:59maine Rasool Allahi sallallahu alaihi wasallam se in ke mutaalik teen baatein suni hain. Pehla
15:06yeh ki aap firma rahi the yeh log meri ummat mein Dajjal ke sabz se zyada mukhalif hunge.
15:13Doosra yeh ki aur jab hi in ke sadaqat aaye to Rasool Allahi sallallahu alaihi wasallam
15:18nishat firma hai yeh hamari qaum ke sadaqat hain. Yani unko apni taraf mansub kiya.
15:24Aur teesra aur unki ek qaidi aurat Hazrat Ayesha Siddiqa radhiyallahu ta'ala Anha ke
15:29paas aayin. To aap ne firma hai isko azad kar do yeh Hazrat-e-Ismail alaihi salam ki
15:35aulad se hai. To dekhiye Sarkar ne ek qabeela Banu Tameem ki tarif bayan ki. Hazrat-e-Abu
15:43Huraira kahte hain main unse mahabbat karne laga. Kyunke Sarkar ne unke baare mein yeh
15:48teen baatein bayan firmaayin. Iska matlab hai ki jab kisi qaum ki mada Quran kar de
15:53yani Allah firmaayin, Rasool firmaayin. To fir unse mahabbat karna yeh sahaba-e-kiram
15:58Alim-ur-Ridwan ka tariqa raha hai. Isliye ulama ke fazail Allah ne bayan firmaayin.
16:05Hamari Nabi firmaatein al-ulama wa ratat-ul-anbiya. Istara nek parezgar, logon ke fazail aur
16:10barakaat bayan hui. To hame unse paqiza mahabbat rakhni chahiye. Allah ki rizza ki
16:15khaatir mahabbat rakhni chahiye. Jaise ki Hazrat-e-Abu Huraira radiyallahu ta'ala anhu
16:20ne baat bayan firmaayin. Ab inki teen baatein jo Sarkar ne bayan firmaayin. Pehli yeh ki
16:25yeh Dajjal ke sabse zada mukhalif hunge. Yani inki naslein chalti rahengi. Hatta ki
16:30jab Dajjal ka zahoor hoga. Us waqt jo Dajjal ke mukhalifeen hain, sabse zada mukhalif
16:37inke naslo mese log hunge. Iska matlab yeh hua ki jab koi burai karta ho,
16:42ehlaniya taur pe burai kar raha ho, to uski mukhalifat par jam jana yeh bhi qabal-e-mada
16:49hain. To sabse zada Dajjal ke mukhalif hain, Sarkar ne firmaayin yeh log hunge. Iska matlab
16:54yeh hua ki hame burai ke khilaf khada hona chahiye. Yeh hai maqam-e-mada. Yeh hai achi
17:01cheez. Hum baaz-o-qaytasa hota hai ke nahak aur batil ke saath khada ho jate hain sirf
17:07apne zaati mafadaat ke liye. Sirf aisi ulti-sidhi sochon aur fikron ke nateeje ke taur pe. Aur
17:13yeh har jagah hota hai. Yeh aap dekhen hain humare gharon ke andar hota hai, offices mein,
17:18factories ke andar, doston ke maabain. Ek sahi hai, doosra ghalat hai. Hum ghalat ke
17:23saath baaz-o-qayt khada ho jate hain. Yeh ghalat hota hai. Hamishch yaad rakhe hain
17:27jo Allah Rasool ki mukhalifat kar raha ho, to kamaskam agar hum uska saath nahin, uske
17:32khilaf nahin ja sakte. Koi aisi maslihate bhi hoti hain baaz-o-qayt. To dil mein to
17:36bura jaane, uske saath to jaake na khare ho jaye. Yeh zarur humein khaya lakhne chahiye.
17:41Doosra Sarkar ne farmaya, jab unke sadaqaat aaye, to Sarkar ne farmaya yeh hamari qaum
17:46ke sadaqaat hain. Yani unko apni qaum karar diya. Iska mattab-e nisbat bahut badi cheez
17:51hoti hai. Allah ke nabi ne unko apni taraf mansoob kiya, to Hazrat-e-Abu Hurairah
17:56kehte hain ke mujhe unse mahabbat ho gayi. To phir soch hiye, sahab-e-kiram ke liye
18:01bhi Sarkar ne fazilat-e bayan farmayi. Wa phir Ahle-Bait-e-Atahar to Sarkar ka juz
18:07hain, arza hain. Unse kitni mahabbat honi chahiye. Yeh Sarkar jab unko kaha, yeh meri
18:14qaum se Hazrat-e-Abu Hurairah mahabbat kar rahe hain. Aur jo hain hi Sarkar ke, kehne
18:19ke dhruvat bhi nahin. To unse kitna pyaar hona chahiye. To isliye Hazrat-e-Maula Ali
18:24karamallahu wajhahu-l kareem. Bibi Fatima wa radiyallahu anha hasnain-e-kareemain aur
18:29azwaj-e-mutaharaat. In sabse bahut pyaar-o-muhabbat rakhne chahiye. Allah-ta'ala hamme samaj
18:34ki tawfiqata farmayin. Ameen. Wa akhiru da'awana anil hamdu lillahi Rabbil Alameen.
18:54Al Fatiha.

Recommended