• 13 hours ago
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal

#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation

Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Bismillahir Rahmanir Raheem, Allah tabarak wa ta'ala ke pakiza naam se aagaz karte hain
00:12jo bahut meherbaan, nihayat rahim wala hain.
00:16Bab chal raha tha, babun idha qaula rajulun li abdihi huwa lillah, wa nawal itka wal ishahadu
00:22fil itk.
00:23Kisi shahs ne aazad karne ki niyat se apne ghulam se kaha, ke wo Allah ke liye hai, to
00:31wo aazad ho jayega aur uspar gawah banane ka baab.
00:35Aapin jaantein ke yeh dars-e-bukhari hai aur hum kitab-ul-itq tak pohche the, yani ghulamon
00:41ko aazad karne se mutaaliqa majmua-e-ahadees yahan par maujood hain.
00:47Aur in masayil ko, chuke ab yeh ghulamon ka daur to nahi hain, to yeh is liye practically
00:53toh pe toh humare liye important nahi hain.
00:56Lekin yeh zarur hain ke inme bohut sari asi baatein hain, jisse pata chalta hai, ke hamara
01:00mazhab-e-islam, khususan nabiye kareem sallallahu alaihi wa sallam ki shafqat aur aapki ta'aleem,
01:06is baat ka taqwaza karte hai, ke ghulami khatam ho, koi kisi ka matahat na rahe, balke wo
01:12apne paun pe khada ho, khuddaar ho, aur wo aazadana zindagi guzare.
01:18Is liye bahut zyada targheebat di gayi, ke ghulamon ko aazad kiya jaye, toh Imam Bukhari
01:23rahmatullahi alaihi wa sallam ne is hisa-e-kitab mein aisi hi hadeesin jamaa farmahi hain.
01:28Hadees hai 2531, aur Hadrat-e-Abu Huraira radhiallahu ta'ala anhu iske raavi hain, aur
01:34yeh hadees pehle bhi guzar chuki hai, aap jaante hain ke Imam Bukhari ek ek hadees
01:39isko baad oqaat kai kai martaba, kai kai maqamat par zikr karte hain, isko takraar-e-hadees
01:44karte hain, yaani hadees ko baar baar zikr karna, aur uska koi khaas maqsad hota hai,
01:50lekin shara'a ek hi hoti hai.
01:51Hadrat-e-Abu Huraira radhiallahu ta'ala anhu bayan karte hain, ke jab main Nabi-e-Karim
01:55sallallahu alaihi wa sallam ki khidmat mein haazir hua, yaani Islam qabool karne ki niyyat
02:00se, toh maine raste mein yeh shair pada, ke hai wo kitne lambi aur takleef de raat
02:05hi, jisne mujhe dar-ul-kufr se najaat dilaayi thi, yaani ab yeh chunki iman laane ke liye
02:12rahmat-e-qaunayn sallallahu alaihi wa sallam ki taraf aa rahe the, toh us pishli raaton
02:16ko yaad karke, ek tarah ka izhaar-e-afsoos tha, ke wo kitne lambi aur takleef de raate
02:22thi, toh ab mujhe dar-ul-kufr se najaat mil gayi, aur main Islam ki taraf aa raha hun.
02:29Aur jaise ke pishli riwayat mein tha, aage bhi yehi hai, ke Hadrat-e-Abu Huraira ne bataya,
02:34ke mera ek Ghulam bhi saath tha, aur wo mera Ghulam raashte mein mujhe bhaag gaya tha.
02:39Pas jab main Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam ki khidmat mein pohcha, toh maine
02:42aap se bai'at ki, yaani Musalman ho gaya. Pas jis waqt main aapki khidmat mein tha,
02:47toh achaanak mera Ghulam bhi aagaya. Toh rahmat-e-qaunayn sallallahu alaihi wa sallam
02:51ne mujhe firmaaya, Ae Abu Huraira, yeh tumhara Ghulam hai. Maine kaha, ke yeh Allah ke liye
02:58aazaad hai. Pas maine usko aazaad kar diya. Toh jisa baab tha, ke agar koi kahe, ke yeh
03:05Allah ke liye aazaad hai, toh wo Ghulam foran aazaad ho jayega.
03:10Doosra hadith hai, hadith tambar 2532, wo yehi hai bilkul. Hadrat-e-Abu Huraira tashreef
03:16laaye, hazir huye Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam ki khidmat-e-Aqdas mein, aur unke
03:20saath unka Ghulam bhi tha. Aur Hadrat-e-Abu Huraira radhiya Allah ta'ala anhu Islam ko
03:25talab karne aa rahe the, pas wo ek doosra se bichad jaye. Toh jab wo aa gaye, toh Nabi-e-Karim
03:30ne firmaaya, ke yeh tumhara Ghulam hai. Hadrat-e-Abu Huraira ne kaha, ke baharal main aapko Ghulam
03:34karta hun, ke yeh Ghulam Allah ke liye hai. Toh pehli riwayat mein Ghulam ki alfaz nahi
03:40the, doosre mein Ghulam ki the. Toh goya ke pehli baat toh yeh agar koi alfaz ada kare,
03:45ke maine Allah ke liye isko aazaad kiya, toh aazaad ho jayega. Aur doosra uspe Ghulam
03:50mana lena afzal hota hai. Yeh koi farziya wajib nahi hai, gawah kiye bighair bhi. Yani
03:55akele mein bhi agar koi shahs kisi Ghulam ko aazaad kare, toh wo aazaad ho jayega. Umm-e-Walad
04:01ka aage bayan hai. Umm-e-Walad us bandi ko kehte hain, ke aqa se uske aulaad pehda ho
04:07jaye. Toh ab wo aqa usko bechega nahi. Jab wo faut hoga, toh yeh aurat, yeh bandi aazaad
04:14ho jayega. Goya ki waratha, maal-e-warasat nahi hai, waratha ke paas nahi jayega. 2533
04:21number hadith-e-paak-e-sayyida-e-Ayesha-Siddiqa radhiya-Allah-o-ta'ala-anha, iske raaviya
04:25hai. Wo firmati hai ki Utbah-bin-Abi-Waqas ne apne bhai, Hazrat-e-Sa'ad-bin-Abi-Waqas
04:32ko yeh wasiyat ki thi, ke wo zam'ah ki bandi ke bete par uski taraf se qafza kar le.
04:40Utbah ne kaha, kyun ke wo mera beta hai, toh jab Rasul-Allah-e-Sallalahu-Wa-Sallam
04:44Fateh-e-Makkah ke zaman-e-mein aaye, toh Hazrat-e-Sa'ad ne zam'ah ki bandi ke bete
04:50ko pakad diya. Aur usko Nabi-e-Karim-Sallalahu-Wa-Sallam ke paas le gaye. Aur unke saad Abd-bin-Zam'ah
04:56bhi gaye. Yeh doosre shahs the. Path Hazrat-e-Sa'ad ne kaha, Ya Rasul-Allah, yeh mere bhai
05:02ka beta hai. Aur usne mujhko yeh wasiyat ki thi, ke yeh uska beta hai. Fir Abd-bin-Zam'ah
05:08ne kaha, ki Ya Rasul-Allah, yeh mera bhai hai. Zam'ah ki bandi ka beta hai. Aur iske
05:14bistar par peyda hua hai. Fir Nabi-e-Karim-Sallalahu-Wa-Sallam ne zam'ah ki bandi ke bete ki taraf
05:21nighah farmayi. Toh wo tamaam logon se zyada zam'ah ke mushabe tha. Tab Nabi-e-Karim-Sallalahu-Wa-Sallam
05:28ne farmaya, ke Abd-bin-Zam'ah yeh tumara hai. Kyun ke yeh tumare walid ke bistar par
05:34peyda hua hai. Aur Nabi-e-Karim-Sallalahu-Wa-Sallam ne farmaya, ke Saudah-bin-Zam'ah yeh Sarkar
05:39ki zauja-e-muhtarma thi. Tum isse parda kiya karo, kyun ke Aap ne uski utba ke saath mushaba
05:44dekhi thi. Aur Hazrat-e-Saudah, Nabi-e-Karim-Sallalahu-Wa-Sallam ki zauja-e-muhtarma thi. Toh waisi toh
05:52agar dekha jaye, jo Sarkar ne faisla kiya tha, toh isse Saudah-bin-Zam'ah ko parda
05:56nahi karna chahiye tha. Kyun ke wo zam'ah ka hi beta sabit hua. Lekin chunke isme
06:01sabit hua bhi tha, isliye Nabi-e-Karim ne Saudah-bin-Zam'ah ko mana kiya, ke jab yeh
06:05bada hu, toh Aap inse parda rakhiyega. Mashkook hain. Aur faisla Sarkar ne chehre ki mushabahat
06:11ki bina par kiya. Lekin yeh yaad rakhiyein, ke fee zamana, agar issara kisi bachche ke
06:16andar ikhtilaf ho jaye, misal ke taur pe, do shakhs yeh dawa karein ki yeh mera beta
06:21hai, toh kisi ekka hi hoga. Toh yeh nahi hoga ki hum shakal dekh kar faisla karnein,
06:25ke liye aur doosre zaraay ikhtiyar karnein honge. Nabi-e-Karim sallallahu wa ta'ala
06:29wa sallam toh ba zariye wahji cheezon ko jaan liya karte the, Allah ta'ala ittila deta
06:34tha, toh Sarkar ne issara faisla kiya, aaj ihtiyat hi karni chahiyein. Toh yeh sirf
06:40umm-e-walad ka bayan hain, chunke ke zam'ah ki bandi se wo beta peyda hua, toh goya
06:46ke wo bandi jo thi, wo umm-e-walad ho gayi thi. Iske liye yeh tabeel hadith laaye,
06:51aur yeh hadith doh-hazaar-tere-pan number bhi thi, yaani yeh doh-hazaar-tere-pan number
06:58hadith jo thi, wo bil-baini yeh thi, toh wahan maine kaafi tafseel hi ispar kalam
07:02kiya tha. Agar aap YouTube par isko search kar lein, aur doh-hazaar-tere-pan number
07:08hadith nikaal lein, toh wo yeh hi hai bil-kul, aur usmein thodi aur tafseel aapko mil jayegi.
07:12Babu bai'il mudabbari, mudabbar ki bai'. Mudabbar us ghulam ko kehte hain ki jisko
07:19aqa ne yeh keh diya ho, ki mere marne ke baad tum aazaad ho jaoge. Usko mudabbar kehte
07:24hain. Iske baare mein hadith hai, doh-hazaar-paanch-so-chaar. Hadhrat-e-Jabir bin-Abdullah radhi-Allah-o-ta'ala
07:31anhu, bayan karte hain, ki humme se ek aadmi ne apne ghulam ko apne marne ke baad aazaad
07:38karne ka keh diya. Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam ne is ghulam ko bulaya,
07:43aur usko furukht kar diya. Hadhrat-e-Jabir ne bataya ki, wa ghulam pehle saal faut ho
07:49gaya tha. Toh ismein yeh dalail deegar hain, aur yeh mein pehle bhi isko bayan karte chuka
07:54hun. Agar aap dekhna chahein, toh hadith doh-hazaar-ek-so-ek-taalis number, yeh
07:59hi hadith thi, aur ismein tafseel bayan ki thi, ki ismein ulama ka ikhtilaf hai, ki
08:03mudabbar ki ko besh sakte hain ke nahin. Toh Nabi-e-Karim ne is hadith ke mutaabik
08:07beshne ka hukum diya. Dusi ahadith iski mumanaat par daal hain. Toh mudabbar ki
08:12bayah nahin hogi, kyunka usko wasiyat kar di thi, toh woya ki malik ke marne ke baad
08:17azaad hoga. Lekin dalail ispar mukhtalif hain baharaal.
08:21Babu bai'il wala'i wa hibatihi. Wala ki bayah aur isko hiba karne ka baab. Wala ka
08:27matlab kya hota hai, ki agar ek shahs ne ek ghulam ko azaad kiya, fir uz ghulam ne maal
08:32wa ghara kama liya, aur fir uz ghulam ka intiqal hua, aur uska koi waris na ho. Ghulam
08:40ka koi waris na ho, toh ab uska maal wala kailayega. Aur ye uske liye hota hai, jis
08:45ne usko azaad kiya tha. Ye yaad rakhein, ke kalam-e-arab mein, lafz-e-maula kai ma'ani
08:52mein istimaal hota hai. Toh ek uska maana hai, maula kehte hain, ghulam azaad karne
08:57wale ko. Aur maula ussi bhi kehte hain, jis ghulam ko azaad kiya gaya. Toh isko yoon
09:03bhi bayan kiya jaata hai, ke agar ghulam faudh ho jaye, uske koi waris na ho, toh
09:08iski wala, iske maula ke liye hogi. Yani jis ne usko azaad kiya tha. Hadith hai 2535
09:17aur Hadrat-e-Ibn-e-Umar radhiyallahu ta'ala Anhuma ka qaul yahan zikar kiya gaya hai.
09:24Ye kahte hua suna, ki Rasul-Allah-e-Sallalahu-Wa-Sallam ne, yani Hadrat-e-Ibn-e-Umar ko ye
09:29kahte hua suna. Rawi kehte hain, ki Nabi-e-Karim-Sallalahu-Wa-Sallam ne wala ki bayan
09:34aur isko hiba karne se maana farmaaya hai. Yani kiya mat tab ek ghulam mar gaya, usko
09:39koi waris nahi hai, toh ab ye nahi ki hum uski wala ko bej deyen, ya kisi ko hiba kar
09:43deyen, nahi. Ye maula ka haq hai, aur ye ussi ko dee jaayegi. Yani jis ne usko azaad
09:49kiya tha. Agli hadith hai 2536. Syeda Ayesha Siddiqa radhiyallahu ta'ala Anha, iske
09:56raabiyan hain, wo bayan karti hain ki maine Hadrat-e-Bareera radhiyallahu ta'ala Anha
10:01ko khareeda, toh iske maalikon ne apne liye wala ki shart lagayi. Yani ye kaha ki hum
10:08aapko ye bandi bejte hain, lekin agar ye marti hai, isko koi waris nahi ho, toh iski wala
10:13hume milegi. Maine isbaat ka Nabi-e-Karim-Sallalahu-Wa-Sallam se dhikr kiya, aap ne farmaaya ki tum
10:19isko azaad kar do. Beshak wala uski hoti hai, jo darahim ata karta hai. Pass maine
10:26Hadrat-e-Bareera ko azaad kar diya, firn Nabi-e-Karim-Sallalahu-Wa-Sallam ne Bareera
10:32ko bulaya, aur unko unke shohar ke nikah mein barqaraar rehne ka ikhtiyar diya. Toh
10:38Hadrat-e-Bareera ne kaha ki agar inke shohar mujhe itni itni daulat deyen, fir bhi main
10:44unke saath nahi rahungi. Pass unhone apne nafs ko ikhtiyar kar liya. Toh do cheezein
10:50hui, pehli baat toh yeh ki jo Bareera ke maalikaan the, jino ne becha tha, unhone ne kaha ki
10:55iski wala hume milegi. Sarkaar ne farmaaya ki nahi. Wala bechne ke baad ikhtiyar khatam
11:00hota hai. Wala ka ikhtiyar usko hota hai, jo ghulam ko azaad karein. Rehza Sarkaar ne
11:05farmaaya, Sayyida Ayeshaz ne, ki aap inko azaad kardein, toh agar inki koi wala hui
11:09toh wo aapko milegi. Qanoon ke mutaabik, jab ki unko koi waris na ho.
11:13Aur doosra yaha pe, khiyar-e-itgh ka bayan hai. Khiyar-e-itgh ka matlab yeh hai, ke
11:19azaadi ki bina par hasil shuda ikhtiyar. Aur wo yeh hota hai, ki agar koi aurat hai,
11:24kaneez hai, aur aqa usko azaad kar deta hai, aur farz kar lein wo kisi shahs ke nikah
11:30ke andar ho, toh fir shariat us kaneez ko, bandi ko, laundi ko ikhtiyar deti hai,
11:37ke chaho toh apne shohar ke saath raho, aur chaho toh aleda raho, yaani wo nikah
11:42khatam ho jayega. Toh yehi nabiya kareem sallallahu wa sallam ne, in se nishat
11:47farmaaya, ki aap chahein, toh azaadi mukambal toh arpe ikhtiyar kar lein, nikah
11:51khatam ho jayega, chahein toh apne shohar ke saath rahein. Unhone isko napasand
11:55kiya, aur arz ki ya Rasulullah, agar mujhe itna-itna daulat bhi mera shohar de,
11:59toh main unke saath rehne ke liye tayyar nahi. Chunaache aapne unse qat-e-taalluk
12:03kar liya tha, nikah ko fast kar diya tha. Aur iske illat humare jo aqabireen
12:08hai unhone likhi hai, ke aqa ne laundi ko azaad kiya, toh ek tarah se usko azaadi
12:14hasil hui. Aap agar wo shadi shuda hai, aur uska nikah baqi rakha jata, toh wo
12:19ek, goya ke aqa se azaad hui, aur shohar ke qaid ke andar hai, yaani mukambal
12:26toh arpe azaadi nahi milegi. Pura usko ikhtiyar hasil hona chahiye. Lihaza
12:31is wajah se usko ikhtiyar diya gaya, ke ek azaadi toh tumhe aqa ke taraf se mil gayi.
12:35Doosri azaadi chaho toh hasil karo, aur chaho toh apne aapko shohar ke saath
12:41nikah mein muqayyad rakho. Toh yeh ek achha mizaaj hai humare mazhab ka,
12:46ke ek aurat agar ek azaadi paati hai, aur phir wo shohar ki pabandiyon ke andar
12:50rehti hai, toh mukambal usko azaadi hasil nahi hogi. Isliye usko ikhtiyar diya.
12:54Lekin yeh yaad rakhiye ke yeh in masayil par aur masayil ko qiyas nahi kar sakte hain.
13:01Yeh pehle bhi main aapko bata chuka hun, ke yeh jitne bhi ahkaam Sarkar Sallallahu
13:06Alaihi Wasallam ne bayan firmaaye, jin ko az khud hum apni aqal se nahi jaan sakte,
13:11ya taadaad-e-rakaat, afaal aur arkaan ko adah karna, ibadaat ko adah karna,
13:17yeh sab afaal-e-mashrooha kehnaate hain. Aur fail-e-mashrooh ki toh tarif yeh hai,
13:21uska taaruf sirf shariat pesh karte hai, hum apni aqal se nahi jaan sakte hain.
13:25Toh jab nahi jaan sakte hain, toh in ke upar qiyas nahi hota.
13:29Yeh nahi kar sakte hain ki hum aqli lihaas se kahen, ke aisa udhar kar lete hain.
13:33Jaise fajar ki do rakat hain, phir zuhur, asr aur isha ki chaar-chaar rakat hain,
13:39maghrib ki teen hain. Toh ab hum yeh nahi kah sakte hain,
13:41ke chalo phir hum fajar me do hain, toh zuhur ki bhi do kar lete hain.
13:44Hum apni qiyas se nahi kar sakte hain, in muamalat mein,
13:47aisi cheezin jo shariat ne taaruf pesh kiya, us par qiyas kar ki,
13:51hum koi shari hukum nahi badal sakte hain.
13:53Lihaaza yeh kanees ke baare mein hai, yeh kisi azaad aurat ke baare mein nahi hai,
13:57ke wo apne shohar ke baare mein, kuch isi qusam ke faisle karne ki kushish karein.
14:01Agli baap ki taraf aate hain,
14:03baabun idha usira akhur rajuli, au amuhu, hal yufaadaa idha kaana mushrikan.
14:11Jab kisi musalman ka mushrik bhai ya chacha hu,
14:14toh kya unko reha karne ke liye uski taraf se fidiya diya jaa sakta hai?
14:20Toh isme hadees mein asal mein, jo Ghazwa-e-Badr ke andar qaidi aaye the,
14:25unmein Nabi-e-Karim sallallahu wa sallam ke chacha Hazrat-e-Abbas bhi the,
14:29jo us waqt tak imaan nahi laaye the,
14:31toh goya ke wo dusre mazhab ki taraf the, aur wo qaid ho gaye the.
14:36Toh unka fidiya ada kiya gaya.
14:39Toh iska yeh baab hai, aur iske tahat yeh hadees laayi jaayegi.
14:45Chunaache, hadees number hai 2537.
14:50Aur Hazrat-e-Anas radhiallahu ta'ala anhu, is hadees ko bayan karte hain.
14:56Unhone kaha ke Ansar ke chand mardoone,
14:59mardoone Nabi-e-Karim sallallahu wa sallam se yeh ijazat talab ki,
15:04ke aap humein ijazat deyen, toh hum apne bhanje Abbas se fidiya lene ko tark kardein.
15:10Aapne farmaya ke tum inse ek dirham ko bhi tarak na karo.
15:15Ini baaz Ansar aise the ke jinse Hazrat-e-Abbas se rishtedari thi.
15:19Yeh madani sahaba the, wo makki hain, lekin rishtedari thi.
15:23Toh ino ne kaha ke gar aap ijazat dete hain, toh hum inko bighair fidiya liye chhod dete hain.
15:28Lekin Nabi-e-Karim nishat farmaya, hala ke Sarkar ke chacha hain ki nahi,
15:32aap inse ek dirham bhi na chhoden, mukambal inse fidiya len aur phir inko chhoden.
15:37Aur iske wajah yeh thi ke Hazrat-e-Abbas jo the, wo maaldaar the, unke paas maal tha,
15:42toh wo araam se fidiya de bhi sakte the.
15:44Aur doosra yeh ke agar Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam,
15:47sif qarabaddari ko buniyat bana kar,
15:49bighair fidiya ke unko aazad karne ka, chhodne ka hukum irshad farma dete,
15:54toh phir aitraaz karne ka mauka milta.
15:57Ki dekhen yeh rishtedar thi, toh isliye aise.
15:59Isliye Sarkar sallallahu alaihi wa sallam ne, kisi ko badgumani peyda na ho,
16:04aur jab ke Hazrat-e-Abbas aisa bhi nahi tha,
16:07ke wo fidiya de nahi kar sakte the, toh qaid tabil ho jati.
16:10Isliye Sarkar na yeh hukum irshad farmaya.
16:12Warna Sarkar sallallahu alaihi wa sallam badi muhabbat rakte the,
16:16aur wo chunke unke haath bandhe huye the,
16:19toh wo karah rahe the, toh Sarkar khud farmate,
16:22mujhe neend nahi aayi unke karah, unke matab is haalat ko dekh kar,
16:26unke awaaz sun kar.
16:28Toh aisa nahi tha, ke koi khuda na khasta,
16:30matab aap chacha ke baare mein koi is tariqah se,
16:34koi manfi khayalat aapke zain mein the,
16:36isliye main aapko itni wazaahat arz kar raha hoon,
16:38yeh sirf wa sirf ek rule ko follow karne ke liye,
16:42ek qanun banane ke liye,
16:44aur aise log ke jo khuda na khasta,
16:46badgumani ka shikar ho sakte the,
16:48jaise bahuse munafiqeen bhi the,
16:50wo istara ki baate karte the,
16:52toh unke zamanon ko bandh karne ke liye aisa kiya gaya.
16:55Aage hai babu itiqil mushriki.
16:59Mushrik ko aazaad karne ka baab.
17:01Hadith hai 2538.
17:05Hazrat-e-Hisham kehte hai ki,
17:08mujhe mere waalid ne khabar di ki,
17:10Hazrat-e-Hakeem bin Hizam,
17:12radiAllahu ta'ala anhu ne,
17:14zaman-e-jahiliyat mein,
17:16100 ghulam aazaad kiye the,
17:19aur unko 100 oonto par suwaar kiya tha.
17:22Ini aazaad bhi kiya aur oont diye,
17:24ki jao tum chale jao.
17:25Fir jab wo musulman ho gaye,
17:27Hazrat-e-Hakeem bin Hizam musulman ho gaye,
17:29toh unhone 100 oont suwaari ke liye diye,
17:32aur 100 ghulam aazaad kiye the.
17:35Yani mazeed fir wo Islam ke liye,
17:38100 oont diye,
17:39100 ghulam aazaad kiye.
17:40Toh maine Rasool-Allah-e-Sallalahu-Wa-Sallam se poocha,
17:43Ya Rasool-Allah-e-Sallalahu-Wa-Sallam ye bataiye ki,
17:45jin kaamon ko main zaman-e-jahiliyat mein,
17:47neki samajh kar karta raha tha,
17:50unka kya hukum hai?
17:52Yani kya uska mujhe kuch ajar milega?
17:54Yuki Hazrat-e-Hakeem bin Hizam ne,
17:56Islam laane se pehle ghulam aazaad kiye,
17:58toh inke ghulam jo the,
18:00wo saare mushriki the,
18:01toh kya un mushrik ghulamon ko aazaad karne par bhi,
18:04mujhe sawab milega?
18:05Fir main khud haalat-e-Islam mein nahi tha,
18:08toh kya wo nekiyan,
18:09Allah-ki-barika mein maqbool hongi?
18:11Toh Nabi-e-Karim Sallallahu-Wa-Sallam ne firmaya,
18:13ki tumne jo pehle neki ki thi,
18:15isi ki wajah se tumko Islam laane ki,
18:17taufiq mili hai.
18:18Is fi Inshallah mazeed kalam karenge,
18:20next program mein,
18:21Wa Akhiru Dawana Anil Hamdulillahi Rabbil Alameen.

Recommended