राधा की मृत्यु का रहस्य: श्रीकृष्ण और बांसुरी के संबंध का खुलासा | हिंदी विचार

  • 2 months ago
क्या आप जानते हैं कि राधा की मृत्यु का रहस्य क्या है? और क्यों श्रीकृष्ण ने बांसुरी तोड़ दी थी? इस वीडियो में, हम इस प्राचीन गाथा के पीछे के रहस्य को खोजेंगे। पौराणिक कथाओं और धार्मिक ग्रंथों के साथ इस कहानी को जानें और हमारी संदेह और शंकाओं को दूर करें।

#राधाकीमृत्यु #श्रीकृष्ण #बांसुरी #हिंदूधर्म #पौराणिककथा #आध्यात्मिकता #विचार #धर्म #गाथा #रहस्य

Category

📚
Learning
Transcript
00:00Jab bhi prem ki baat hoti hai, toh Shri Krishna Radha ke prem ki misaal sabse pehle aati hai.
00:05Radha Shri Krishna ke prem ko jeevatma aur parmatma ka milan kaha jaata hai.
00:09Radha Shri Krishna ka bachpan ka pyaar thi.
00:12Shri Krishna jab aach saal ke the, tab dono ne prem ki anubhuti ki.
00:17Radha Shri Krishna ke deviya guno se parichit thi.
00:20Unhone zindagi bhar apne mann me prem ki smritiyon ko banaye rakha.
00:24Yehi unke rishte ki sabse badi khubsoorati hai.
00:27Kaha jaata hai ki Shri Krishna ko keval do hi cheezein sabse zyada priya thi.
00:32Yeh dono cheezein bhi aapas me ek doosre se gehraai se judi hui thi.
00:36Bansuri aur Radha.
00:38Krishna ki bansuri ki dhun hi thi, jisse Radha Shri Krishna ki taraf khinchi chali gayi.
00:44Radha ki wajah se Shri Krishna bansuri ko hamesha apne paas hi rakhte the.
00:48Bhale hi Shri Krishna aur Radha ka milan nahi ho saka,
00:52lekin unki bansuri unhe hamesha ek sootra me bandhe rahi.
00:55Shri Krishna ke jitne bhi chitran milte hai, unme bansuri zarur rehti hai.
01:00Bansuri Shri Krishna ke Radha ke prati prem ka prateek hai.
01:04Waise to Radha se jude kayi alag alag vivran maujood hai,
01:08lekin ek prachalit kahani hai.
01:10Bhagwan Shri Krishna se Radha pehli baar tab alag hui,
01:14jab Mama Kansa ne Balram aur Krishna ko amantrit kiya.
01:17Vrindavan ke log yeh khabar sunkar dukhi ho gaye.
01:20Mathura jaane se pehle Shri Krishna Radha se mile the.
01:23Radha Krishna ke mann me chal rahi har gatividhi ko jaanti thi.
01:27Radha ko alvida kahe, Krishna unse door chale gaye.
01:30Krishna Radha se yeh wada karke gaye the ki wo wapas aayenge.
01:34Lekin Krishna Radha ke paas wapas nahi aaye.
01:36Unki shaadi bhi Rukmini se hui.
01:38Rukmini ne bhi Shri Krishna ko paane ke liye bahut jatan kiye the.
01:42Shri Krishna se vivaah ke liye vah apne bhai Rukmi ke khilaf chali gayi.
01:47Radha ki tarah vah bhi Shri Krishna se pyaar karti thi.
01:50Rukmini ne Shri Krishna ko ek prem patra bhi bheja tha ki vah aakar unhe apne saath le jaye.
01:56Iske baad hi Krishna Rukmini ke paas gaye aur unse shaadi karli.
02:00Krishna ke Vrindavan chhodne ke baad se hi Radha ka varnan bahut kam ho gaya.
02:04Radha aur Krishna jab aakhiri baar mile the to Radha ne Krishna se kaha tha ki bhale hi wo unse door jaa rahe hain.
02:11Lekin mann se Krishna hamesha unke saath hi rahenge.
02:14Iske baad Krishna Mathura gaye aur Kansa aur baaki raakshason ko maarne ka apna kaam poora kiya.
02:20Iske baad praja ki raksha ke liye Krishna Dwarka chale gaye aur Dwarka Dheesh ke naam se lok priye huye.
02:26Jab Krishna Vrindavan se nikal gaye, tab Radha ki zindagi ne alag hi mor le liya tha.
02:32Radha ki shaadi ek Yadav se ho gayi.
02:34Radha ne apne Dampatya jeevan ki saari rasme nibhai aur burhi hui.
02:39Lekin unka mann tab bhi Krishna ke liye samarpit tha.
02:43Radha ne patni ke taur par apne saare kartavya poore kiye.
02:46Doosri taraf Shri Krishna ne apne daiviya kartavya nibhai.
02:49Saare kartavyon se mukta hone ke baad, Radha aakhiri baar apne Priyatam Krishna se milne gayi.
02:56Jab vah Dwarka paunchi, to unhone Krishna ke Rukmini aur Satyabhama se vivaah ke baare me suna.
03:01Lekin vah dukhi nahi hui.
03:03Jab Krishna ne Radha ko dekha, to bahut prasanna huye.
03:07Dono sanketon ki bhaasha me ek doosre se kaafi der tak baatein karte rahe.
03:12Radha ji ko Kanha ki nagri Dwarka me koi nahi pehchanta tha.
03:17Radha ke anurodh par Krishna ne unhe mehel me ek devika ke roop me niyukta kiya.
03:22Radha din bhar mehel me rehti thi aur mehel se juddhe karya dekhti thi.
03:27Moka milte hi vah Krishna ke darshan kar leti thi.
03:30Lekin mehel me Radha ne Shri Krishna ke saath pehle ki tarah ka adhyatmik judaav mehsoos nahi kar pa rahi thi.
03:36Isliye Radha ne mehel se door jaana tay kiya.
03:40Unhone socha ki vah door jaa kar doobara Shri Krishna ke saath kehra aatmiya sambandh sthaapit kar paayengi.
03:46Unhe nahi pata tha ki vah kahan jaa rahi hai.
03:49Lekin Bhagwan Shri Krishna jaante thi.
03:51Dheere dheere samay beeta aur Radha bilkul akeli aur kamzor ho gayi.
03:56Us waqt unhe Bhagwan Shri Krishna ki avashyakta pad dhi.
03:59Aakhiri samay me Bhagwan Shri Krishna unke saamne aa gaye.
04:03Krishna ne Radha se kaha ki vah unse kuch maange.
04:06Lekin Radha ne mana kar diya.
04:08Krishna ke doobara anurodh karne par Radha ne kaha ki vah aakhiri baar unhe baansuri bajate dekhna chahati hai.
04:15Shri Krishna ne baansuri li aur behad surili dhun meh bajane lage.
04:20Shri Krishna ne din raat baansuri bajai.
04:22Jab tak Radha adhyatmik roop se Krishna meh vileen nahi ho gayi.
04:27Baansuri ki dhun sunte sunte Radha ne apne sharir ka tyag kar diya.
04:31Halanki Bhagwan Krishna jaante the ki unka prem amar hai.
04:35Bawajood ve Radha ki mrityu ko bardasht nahi kar sake.
04:39Krishna ne prem ke pratikatmak ant ke roop me baansuri tod kar jhaadi meh phek di.
04:45Uske baad se Shri Krishna ne jeevan bhar baansuri ya koi anya vadak yantra nahi bajaya.
04:51Kaha jaata hai ki jab Dwapar Yug meh Narayan ne Shri Krishna ka janm liya tha.
04:56Tab Maa Lakshmi ne Radha Rani ke roop meh janm liya tha.
04:59Ta ki mrityu lok meh bhi ve unke saath hi rahe.

Recommended