• last month
Roshni Sab Kay Liye

Topic: Tilawat e Quran

Host: Syed Salman Gul

Guest: Mufti Zaigham Ali Gardezi, Mufti Ahsan Naveed Niazi

#RoshniSabKayLiye #islamicinformation #ARYQtv

A Live Program Carrying the Tag Line of Ary Qtv as Its Title and Covering a Vast Range of Topics Related to Islam with Support of Quran and Sunnah, The Core Purpose of Program Is to Gather Our Mainstream and Renowned Ulemas, Mufties and Scholars Under One Title, On One Time Slot, Making It Simple and Convenient for Our Viewers to Get Interacted with Ary Qtv Through This Platform.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Bismillah-e-Rahman-e-Rahim, Allahumma Salli ala Sayyidina wa Huwa lana Muhammadin wa ala
00:19Alihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim, Muazziz Nazreen-e-Ikram, program Roshni mein aaj mauzoo
00:24hai Tilawat-e-Quran.
00:25Jee haan, jis se sukoon milta hai dil ko, aaraam milta hai rooh ko, bechainiyon ke daur
00:30mein, aafaton ke daur mein, agar koi chain ka pal hai, aur chain ki ghari hai, chain
00:35ka zariya hai, wo Quran-e-Majeed, Furqan-e-Hameed hai.
00:39Allah ke zikr se dilon ka chain hai, Allah ke zikr se rooh ka itminan hai.
00:43Rooh ko sukoon milta hai, qalb mutmain hota hai, jab banda Kalam-e-Majeed, Furqan-e-Hameed
00:49ki tilawat karta hai, mujhe Hazrat Ali karamallahu wajahul kareem ki wo baat yaad aati hai.
00:54Farmaatein ke jab main yeh chahata hun ki main apne Rab se baat karoon, main baat karoon
00:59apne Rab se, toh main namaz padhta hun, aur jab chahata hun ki mera Rab mujhse baat kare,
01:04toh Quran padhta hun, mehsoos hota hai ki mera Rab mujhse mukhatib hai.
01:09Yeh Kalam-e-Majeed jiski wajahat Allahu Akbar, pahadon par bhi naazil hota toh reza reza ho
01:14jaatein.
01:15Qalb-e-Athar-e-Mustafa ka kya kehna, ki jis par iska nuzool hua, jahan jahan Huzoor
01:20toh chalte gaye, wahan wahan Quran aapke peechay ho liya, aap bazaar mein hain toh bazaar mein
01:24Quran, mimbar pe hain toh mimbar pe Quran, masjid mein hain toh masjid mein Quran, ghar
01:28mein hain toh ghar mein Quran, jang mein hain toh jang mein Quran, safar mein hain toh safar
01:32mein Quran.
01:33Allahu Akbar, yeh hai mere kareem Akah Sallallahu Alaihi Wasallam ki shaan, ki Quran aapke peechay
01:38peechay hai, aur jahan jahan aap hain, wahan wahan Quran.
01:41Quran-e-Majeed, Furqan-e-Hameed ki tilawat se insaan ko kya kuch naseeb hota hai, lekin
01:46iske kuch protocols bhi hain, kuch requirements hain, kuch eligibility criteria hain, tilawat
01:52karni hain toh kaise karni hain, protocols kya hain, kya aatamaam karna hain, kyunki
01:57kuch aise bhi sawalat aur aise bhi mushahadein hamari aankhon ne dekhe, kaanhon ne sune,
02:03ki mahadiri zabaan bhi hain, magar protocols ki ahtiyaat nahin hain, padha jaata hain,
02:08magar uske taqazi poore nahin kiya jaate hain.
02:10Acha kuch log sirf taqazi poore karne mein, jani ki uske adab aur ahitaraam mein lage
02:14hua hain, upar rag do, dulan ke sar pe rag do, qasam khaane ke liye nikaal lo, in kaamon
02:20ke liye istimaal karna tha Allah ki kitab ko, zaabta-e-hayat, complete way of life,
02:25poori zindagi ka nizam tha hi hain hamare liye, aur hamne isse ek zariya bana diya halaf ke
02:30liye, qasam ke liye, barkat ke liye, rahmat ke liye, aur wo juldaan mein padha hua hain
02:34kone par, khola nahin gaya barson se, Allahu Akbar.
02:37Tilawat-e-Quran aaj hamara mauzoo hai aur Mufti-e-Pakistan, mashallah, Mufti-an-e-Pakistan
02:43hamara saad maujood hain, mustanad ulema, in se jaante hain, kya protocols hain, kuch
02:47sawalat karunga, tashreef firma hain, Mufti Ahsan Naveed Niazi sahab, Mufti Syed Zia Ghamali
02:52Gardezi Shah sahab, dono Mufti-an-e-Karam ko main salam peshkarta hu, khair magdam hain.
02:57Huzoor, Tilawat-e-Quran ka jo sharai hukm hain, usse huma gharat hain.
03:01Bismillah-ir-Rahman-ir-Rahim, Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam, Quran-e-Majeed, Furqan-e-Hameed, Burhan-e-Rasheed
03:08ki kya baat hain, jaha tak sharai hukm ki baat hain, itna Quran yaad karna, jisse namaz
03:17jaiz ho jaye, ma tajoozu bih sala, itna Quran yaad karna farz hain, jisper namaz farz hain,
03:25zaari baat hain uske liye, wo padhna bhi farz hain, jiski tilawat kirat farz ho gayi,
03:29wo kitna hai, wo hai ek ayat, ek ayat padhna ye farz hain namaz ke andar kirat, ek ayat
03:37quran ki yaad karna, hifz karna ye bhi farz hain, aur har namaz mein ek ayat padhna ye
03:43bhi farz hain, farz ke baad agla dard hai wajoob ka, wajib kya hain, jo namaz hain,
03:48farz ki aakhri do rakaton ko chod kar, cha rakat wale farz mein, aakhri do rakaton ko
03:53chod kar, bakiya har rakat ke andar, surah fatiha padhna wajib hain, aur ek badi ayat,
03:59teen choti ayat hain, ek itni badi ayat, teen choti ayaton ke barabar ho, ye padhna wajib
04:04hain, ab ye padhna wajib hain, toh isliye, iska yaad karna bhi wajib hain, surah fatiha
04:09ka hifz karna, yaad hogi toh padhega namaz ke andar, surah fatiha ka yaad karna wajib,
04:13aur teen choti ayat hain, ya teen choti ayaton ke barabar, ek badi ayat ka yaad karna,
04:16ye wajib hain, ab jab ye yaad karna wajib hain, toh zaari baat hai, namaz bhi toh padhni
04:20hain na, jis pe namaz farz hai, uske liye, roz iski kirat bhi, namaz ke andar us tarah
04:25hai, toh ye baat hogayi, tilawat-e-Kalam-e-Majeed ke farz hisse ki aur wajib hisse ki, ki farz
04:31kitna hai, wajib kitna hai, ab aa jayiye, namaz se hatkar, bairun-e-namaz, toh bairun-e-namaz
04:38jo Quran-e-Majeed, Furqan-e-Hameed ki tilawat hai, ye farz ya wajib toh nahi hai, lekin
04:43Kalamullah ki azmat ka taqada jo hai, ek Musliman ki zindagi mein uski ahmiyat kya
04:48honi chahiye, us naate bhi zaruri hai, shar'i farz ya wajib nahi, mustahab hai, sawab ka
04:54kaam hai, kaar-e-sawab hai, lekin waise jisi hum apne urf ke andar jo zaruri kehte hain
04:58jin cheezon ko ki ye cheez zaruri hai, karni chahiye, toh Quran ki tilawat bhi unhi aham
05:03umoor mein se hai, unhi zaruri umoor mein se hai, jo karni chahiye, kasrat ke saath karni
05:07chahiye, Allah tawba raqabat Allah ne targheeb bhi dilaayi hai, Allah tawba raqabat Allah
05:11ne Quran-e-Majeed, Furqan-e-Hameed mein hi rishaat firmaaya, faqra'u maa tayassara minal
05:15Quran, Quran mein se jitna aasaan ho, muyassaro tum padho, firmaaya, waratilil Quran-e-tartila,
05:22Quran ki tilawat karo, thair thair kar, aista aista, yani tilawat karne ka bhi firmaaya,
05:28tilawat ke adab ka bhi bata diya Quran ke andar, aur Huzoor jaan-e-Aalam Sallallahu ta'ala
05:33alaihi wa sallam ke faraiz-e-mansabi jahan bayan kiye gaye hain unke andar, ek bunyadi
05:39fareez-e-aab ka bayan kiye gaye, yatlo alaihim aayaatih, wo in logon ke saamne is Quran
05:46ki aayaat ki tilawat karte hain, Nabi-e-Kahmadi Sallallahu alaihi wa sallam ke faraiz-e-mansabi
05:52mein se hain Quran ki tilawat karna, toh Quran ki tilawat itni aham hain, wo phir isi Quran
05:58ke andar, Quran ke liye firmaaya, Allahu nazala ahsanal hadeefi kitabam mutashabiham
06:04mathania, tak sha'irru minhu juloodul ladheena yakhsha'una rabbahum, Allah ne sabse achi
06:09kitab naazil firmaayi, shuru se akhir tak ek jaisi hain, aur dohre yajar wali hain, dohre
06:15bayan wali hain, isse un logon ke rongte khare ho jati hain, jo apne Rabb se darte hain,
06:21zahmataleenu julooduhum wa quloobuhum ila dhikrillah, fir unke dil narm ho jati hain,
06:26unki khalin narm ho jati hain, Allah ke zikr se, aur is Quran ka jo naam hain Quran,
06:31ki Quran ka naam hi bata raha hain, ki Quran padhne wali hain, kiraat wali hain,
06:36bar bar jiski kiraat ki jaye, toh Quran ka naam hi bata raha hain, ki Quran ki kiraat
06:43karni hain, Quran ki tilawat karni hain, Huzoor jaan-e-Aalam alaihi salatu was salam
06:47iski tilawat karne ko khud bhi pasand firmaate the, aur doosron se iski tilawat karwane ko
06:52bhi pasand firmaate the, makaida hadith maujood, Abdullah bin Masood se sarkar alaihi salatu
06:56was salam ne firmaaye, unki awaaz bahut achi thi, ki Abdullah mujhe ikra alaihi al-Quran,
07:00mujhe Quran sunao, unhe arz ki ya Rasulullah, aap pe Quran naazil hua, main aap ko sunao,
07:04Huzoor ne firmaa, inni ashtahi main chahtun, ayn yasma hu ghairi, ki main apne ghair se
07:09bhi suno, to unhe surah-e-Nisa ki ayatin tilawat karna shuru bhi, ek ayat par ponche, to unhe
07:13jab kisi ne kachoka diya aise, ki dekho unhe uthke aankh, aise sar uthaya, dekha Nabi-e-Qurni
07:18sahab Usaam ki mubarak aankhon se aansu jate the, yaani Quran ki tilawat ka aisa ahitman
07:23ke sargaar khud bhi karte the, doosron se bhi karwate the, aur aise inhimaak se sunte
07:27the, aur phir uspe giriya uzari bhi firmaaya karte the.
07:30Bahut khub, bahut khub, main Shah sahab Qibla aapki tarah barta hu, buniyat hume faraam
07:35ki mufti Hassan Naveed Niazi sahab ne iss mauzook ko, Quran-e-Majlis Furqan-e-Ameed
07:39ke liye insaan ka ba wudhu hona, paak saaf hona, kitna zaruri hai, kya parameters hain,
07:45farz mein hain, wajib mein hain, hukm kya hain, aur kitna zaruri hain, importance kya
07:50hain.
07:51Bismillahir Rahmanir Rahim, Allahumma salli ala Muhammadin wa ala ala Muhammadin wa barik
07:55wa sallim, mo shukriya Salman bhai, Quran Allah Rabbul Arameen ki kitab aur tamam
08:00kutub-e-samaawiyah mein sabse hafzal wa ala hai, aur yaqeenan jistara aapne sarnama-e-kalam
08:05ki iske padne ki aadaab hain, taqazi hain, aur un taqazoon aur aadaab ko malooz-e-khaatir
08:10rakte hui padhenge, toh Allah ta'ala uski barkat-e-bhi ataah firmaayega.
08:14Quran-e-Karim ko paaki ki haalat mein chhoona, yeh farz hain, aur Quran-e-Karim ki ayat-e-karima
08:18ispar maujood hain, hadith-e-mubarakah maujood hain, ispar jamoor-ummat ka ittifaak hain,
08:23aur ayimma-arba ka yeh hi muwqaf hain, ki Quran-e-Karim ko baghar taharat ke paakeezgi
08:28ke chhoona yeh haram hain, usme zahiri paakeezgi bhi hain, ki aap khud bhi paak hoon, iske
08:34saad saad wudhu hoon, aur phir haalat-e-janabat mein, aur haiz-o-nifas ke haalat se paaki yeh
08:39laazmi hain, aur is kaifiyat mein Quran-e-Karim ko chhoona, aur Quran-e-Karim ko dekh kar
08:43padhna, usko mas karna, yeh laazim firmaaya gaya, ki uske liye paaki shard hain.
08:47Quran-e-Karim ki mashoor ayat-e-mubarakah, laa-i-amassu ilal mutaharon, ki Quran-e-Karim
08:51ko na chhue magar jo paak hain, yaani paaki ikhtiyaar gharne wale hain, jo agar koi istiqaaz-e-par
08:57poora nahin utarta, to usko taqeed firmaaya gaya, ki wo Quran-e-Karim ko na chhue.
09:00Phir isi tarah, aap sallallahu alaihi wa sallam ki hadith-e-mubarakah hain, Imam Malik ne
09:04abni muhtah mein, ek hadith-e-mubarakah naqal firmaayi, ki laa-i-amassu-l-Quran illa taahir,
09:09ki Quran-e-Karim ko na chhue magar paak, yaani isme huzoor ne wazaahat ke saad beyaan firmaadi
09:14ya ki Quran-e-Karim ko chhuna, waise to koi bhi shakhs jaakar Quran-e-Karim khareed kar,
09:20jis tarah aaj yeh ek baat kahi jaati hai, ki koi bhi shakhs jaakar market se, bazaar
09:24se, Quran jaakar le le, wo muslimaan hain, ghair muslim hain, wo chhu leta hai usko,
09:29lekin jo Allah Rabb-ul-Arameen ka hukam firmaaya gaya, ki jo Allah par imaan laane wala hain,
09:34Allah ko maanne wala hain, muslimaan kehlaane wala hain, to uske liye laazim firmaaya gaya,
09:39ki wo in aadaab ko malooz-e-khaatir rakhte hube Quran-ka agar ikraam karega, itraam karega,
09:44to Allah taala usse barkat-e-bi-ataa firmaaya gaya, aur uske liye in taqazu-ko pura karna
09:48laazim firmaaya gaya, isliye firmaaya ki Quran-ko na chhue, taqeed firmaaya gaya,
09:52ki Quran-ko na chhue magar taahir, isli tarah Hazrat-e-Amr bin Hazm radhiyallahu ta'ala
09:57anhu, aap ke zariye Imam-ul-Ambiya sallallahu ta'ala alihi wa alihi wa sallam ne,
10:01yaman ke ruasa ko taqeed firmaayi, khat huzoor ne rawana firmaaya, aur huzoor ne in ke zariye
10:06paigam bejha, ki Quran-e-Karim ko paqi ki halat mein hi chhua jaye, ye taqeed firmaaya gaya
10:11ki iska itamaam kiya jaye, ki Quran koi aisi kitab nahi hai ki uske liye koi itamaam na
10:16ho, koi intazaam-o-insiraam na ho, ghaflat-o-laparwahi mein aur bilkul kaifiyat kaisi bhi ho jaa
10:21kar usko chhul liya, padh liya, taqeed firmaaya jaa rahi hai, aur jitne bhi afraad unke wahan
10:27basne wale the, ruasa the, firmaaya ki Quran-e-Karim ko chhune ke liye laazim hai ki tum pehle
10:31paqi aasil karo, aur phir Quran-e-Karim ka yeh istara ka jo silsila hai, ki usko mas
10:36karna hai, ya dekh kar, chhu kar, usko padhna hai, uske liye itaraam kiya jaye. Agar zabani
10:40koi shahs padh rahe hain, aur apni yaaddaar se agar koi shahs padh rahe hain, uske liye
10:44behtar hai ki wo ba-wuzu ho, aur isi tarah aaj ke jadeed daur mein jisra Quran-e-Karim
10:49mobile pe padha jaata hai, toh chuke uski koi aisi shakal nahi hai jisko hum chhu rahe
10:55hain, uske zahiri nukush nahi hai, zahiri uske huroof nahi hai, jis par hum ungli phir
10:59rahe hain, ya usko mas kar rahe hain, toh uske liye behtar toh yeh hai ki wahan bhi
11:03Quran-e-Karim ko ba-wuzu halat mein padha jaaye, lekin agar wo ungli uspe phir rahe
11:07hai, toh yeh uski kaifiyat aich hai, jaise koi shishe pe haath phir rahe hai, aur uske
11:12liye phir yeh gunjaish hai ki agar wuzu ki halat mein nahi hai, toh be-wuzu bhi usko
11:16padha jaa sakta hai, usko chhua jaa sakta hai, lekin physically uski koi kaifiyat hai,
11:20toh uske liye laazim farmaaya gaya ki wo is kaifiyat mein hona chahiye, phir iske liye
11:23laazim hai ki wo haiz-o-nifas aur halat-e-janaabat se wo paak hona chahiye, isse isse mutaalik
11:29bhi Sunan-e-Abu-Dawud ki ek hadith-e-mubarakah hai, aap sallallahu ta'ala alihi wa alihi
11:33wa sallam ne taqeed farmaaye ki haiza aur nufasa aur jum bhi Quran-e-Karim ko na chhue,
11:38jaani unke liye Quran ko chhuna, Quran padhna, chahe wo dekh kar ho ya apni aadas se ho,
11:42jab tak is kaifiyat mein hai unke liye laazim farmaaya gaya ki wo Quran ko na chhue, toh
11:46Quran chahe wo kitabi shakal mein humare paas maujood hai, ya phir kisi safah pe agar
11:51likha hua hai, yaani Quran ka koi safah humare paas maujood hai ya kisi safah pe Quran
11:55ki ayat likhi hui hai, toh usko bhi is kaifiyat mein chhuna manna hai, aaj jis tarah koi
11:58ta'weez pehne jaate hain, ya naqsh ki angoothi pehne jaate hai, huroof-e-mukattaat ki
12:04huroof-e-mukattaat bakaida Quran ki ayat hai, Quran ka hisa hai, toh uske liye laazim
12:11hai ki agar wo babuzu nahi hai toh usko chhuna, usko pehna ye manna hai, kyunki wo bakaida
12:15Quran ka hisa hai aur Quran ki ayat aur hadith-e-mubarakah sallallahu ta'ala alihi wa alihi wa sallam
12:21uske mutaabik ye taqeed farmaaya gaye ki is kaifiyat mein Quran-e-Karim ko chhua jaye,
12:24toh isliye Quran jis taur par bhi hai, chahe wo ek safah hai, ya pura mukamal aur phir
12:30ismein Quran-e-Karim se jo juzdaan mila hota hai, Quran ka jo ghilaf hai, yaani bilkul
12:36Quran se hi usko jod diya gaya aur Quran ke saath hi hai, ya phir plastic uski coating
12:41ki jaate hai, toh usme bhi Quran-e-Karim ko chhuna ye manna hai, haan alak se koi ye
12:45izafi kapda hai, jis tarah ghilaf mein usko lipit diya jaata hai, ghilaf utaar ke phir
12:48rakh liya jaata hai, toh agar wo aisa ghilaf hai ki usko utaar ke wapis rakh liya jaata
12:52hai, toh us kaifiyat mein agar kisi ne chhua toh uske liye jaayz hai, lekin wo kapda
12:56jo bilkul Quran ke saath usko seal liya jaata hai, ya wo plastic coating wara, ya koi bhi
13:00istara ki kaifiyat ho, toh us kaifiyat mein bhi Quran-e-Karim ko wudhu ke ilawa chhuna
13:05ye haram hai, aur in cheezon ka khayal lakha jaayega toh Allah ta'ala uski barkat-e-biyata
13:08hain. Zahir hai jab aap ahtiyat karenge, protocol
13:12se usko jo hain uski tamamtar, uski requirement se unko poora karenge, toh hi aapko barkat
13:17nasib hogi, kyunki ba-adab, ba-nasib, be-adab, be-nasib. Break ke baad hoti hoon mulaqat.
13:23Khushaam-de-nazareen, khair-maqdam hai aapka, ek martabah program Roshni mein tilawat-e-Quran
13:27ke mawzoo pe baad kar rahein ulama-e-karam ke saath.
13:30Hazrat, yeh Quran-e-Majeed, Furqan-e-Ahmeed ki tilawat ki jo miqdaar hai, uske hawale se
13:36bhi koi rehnumai milti hai, koi tentative, koi?
13:38Dekhin pehli baat toh yeh hai, yeh Quran-e-Majeed, Furqan-e-Ahmeed toh khair, subhanAllah, jitna
13:42pada jaaye, jitna goor daalein, jitna meet hai.
13:46Lekin koi iski mutayyan miqdaar hai ya nahi, shariat ne kuch laazim kiya hai ya nahi,
13:51kitna padna hi padna hai har surat mein, toh miqdaar ke baarein mai pehli bata chuka,
13:57ki padna jo farz hai, wo wohi hai, jo namaz ke andar padna farz hai.
14:00Waise aapne badi pyaari misaal diye hai, kyunki namaz farz hai, usme qiraat farz hai, toh
14:05padna toh hai, ek ayat toh yaad karna hai, uske bagar namaz hi nahi honi, aur bahar
14:10haqat mein ek ayat toh padna hi hain, qiraat jahan-jahan farz hai.
14:14Toh usra wajib ka maine darjah bataya tha, ki surah-e-fatiha wajib hai, aur teen choti
14:19ayatein, ya ek badi ayat jo teen choti ayaton ke barabar ho, iska padna wajib hai.
14:23Toh yeh bhi, yeh miqdaar hai wajib ki, lekin yeh namaz ke andar hai.
14:27Yaani ki surah-e-fatiha ke baad agar surat chodi toh wujoob saakit ho jaye?
14:31Surah bilkul wajib nahi, surah-e-fatiha bhi wajib, aur uske baad yeh teen choti ayatein,
14:37ya ek badi ayat jo teen choti ayaton ke barabar ho, padna wajib hai.
14:39Toh usse chhoda toh wajib tark hua, yeh wo farz ki aakhri do rakaton ko chhod kar baat
14:44ho rahe hain, bakiya rakaton ke darjah jahan qiraat farz hai, wahan ki baat ho rahe hain.
14:48Toh yeh toh baat ho gayi namaz ke andar ki miqdaar ki, ki namaz ke andar toh yeh miqdaar
14:52mutayyan hai, tay hai, farz ki bhi wajib ki, usse upar aap jitna gur daalene, jitna meetha.
14:57Aap aajain namaz se hatkar, bairun-e-namaz, toh bairun-e-namaz yeh bhi shariyat ki, hum
15:02rahmat hai, Allah ki, Allah ki Rasool ki, aur hum pe shafqat farmaayi gayi hai,
15:06ki targheeb toh bohda dilaayi gayi hai, ki Quran ko padna hai, padna hai, padna hai,
15:10tilawat ki targheeb bhi hai, tafakkur aur tadabbur ki targheeb bhi hai, lekin koi miqdaar
15:15mutayyan nahin farmaayi gayi, shafqat farmaayi gayi, ki apne zauq aur apne sahulat ke itibar
15:21se aadmi Quran ki tilawat karein. Lekin karein zaroor.
15:24Aur kya hi achha zauq hai ki kartein?
15:25Aur karte rahein kya hi baat hai, aur isme bohot zyada taalim farmaayi gayi.
15:29Achha iske andar ek pahaloo aur hai, ki baaz hazaraat jo hai, baaz buzurgaan-e-deen rahim
15:34humullah, unn se Quran kasarat se padna saabit hai. Aur jab kabhi koi aisi baat ki jati hai,
15:40toh bohot se log mohtarez ho jati hai, ki janaab yeh kya baat hui, Allah ke nabiye ne
15:44toh isse mana ki hai. Toh pehle toh yeh baat samajhne ki zoorat hai. Lekin jo ahadees
15:48hoti hai na, hammesha yeh usool hai ahadeeson ka, ki ek ahadees dekh kar general ek faisla
15:55saadir nahi kiya jaata hai, balke digar ahadees ko bhi jama kiya jaata hai. Usko har pahaloo
15:59ke itibar se dekha jaata hai, kyunki baag okaat aapas mein wo interlink hoti hai. Toh
16:04ek jagah uska ijmaal hota hai, ek jagah ikhtisar se baat ki gayi hoti hai, dusri jagah uski
16:09tafseel maujood hoti hai. Ek jagah kisi khaas tanazur me baat ki gayi hoti hai, ek khaas
16:14perspective hota hai. Dusri jagah ek aur tanazur me baat ki gayi hoti hai, aur ahadees
16:19mutaadid hoti hai ek hi cheez ke baare. Toh jab tak unko jama karke na dekha jaye,
16:23us waqt tak durst nateeje tak pohachana mokya nahi hota hai.
16:27Toh isliye hum yeh kehte hain, yeh toh achi baat hai, ki aapko shauk hai, ki aap ahadees
16:32jaanne ka shauk rakhte hain, ya aap ahadees jaanna chahte hain, ya aap ahadees padhte
16:36hain, bohot achi baat hai. Lekin aap sirf koi ek ahadees padh kar jhat se yeh faisla
16:41kar dena hai, ki janaab ahadees mein toh yeh hai, lahat aap yeh baat chahe wo kitna hi
16:44bada mujtahid ho, imam ho, fakih ho, muhaddis ho, mufassir ho, wo keh raho aap kahi nahi
16:50yeh baat yeh aap ahadees ke khilaf kar raha hai. Bhai, wo mujtahid hai. Uska mujtahid
16:54hona yeh is baat ki dalil hai, ki jis ahadees ko aapne aaj padha hai ya dekha hai, wo sadiyon
17:00pehle usne yeh ek ahadees nahi, aur bhi ahadeesin sari padh ke usne conclusion nikaala hai
17:05uska. Toh lihaada, is tarah kisi pe mohtaris nahi hona chahiye. Samajh mera hai toh samajh
17:10na chahiye. Ab yahaan par aisa hai ki ahadees ke andar, baad ahadees mein, alag alag muddat
17:15aayi hai takmeel-e-quran ki. Kaheen pe muddat beyaan hui hai 40 din ki, kaheen pe muddat
17:20beyaan hui hai 30 din ki, kaheen pe 25 din ki, kaheen pe 20 din ki, kaheen pe 15 din
17:26ki, kaheen pe 10 din ki, kaheen pe 7 din ki, kaheen pe 3 din ki. Ab jab aapne koi ek
17:31rawayat padhi hai, aap toh iske mutaabik jaye wo faisla saadir kar raha hai. Aap kehte
17:35hain janab, 7 din se kam mein quran padhna jaye, isko mana kiya hai, ya 3 din se kam
17:39mein quran padhna mana kiya hai, dusar jaga wo rawayat bhi maujood hai, phir aap yeh
17:42toh dekhen, toh usko dekh kar gahenge 40 se kam mein padhna bhi mana hona chahiye.
17:46Toh in sab ko milaakar nateeja kya hai, conclusion kya hai, jo khud mujtahideen ne nikaala, conclusion
17:52yeh nikaala hono ne, ke huzoor jaan-e-aalam sallallahu ta'ala alayhi wa'alihi wa sallamah
17:56ne, mukhtalif logon ke ahawal aur tabiyyaton ke tafawud ko malooz rakhte hui, unhe alag
18:03alag baat irshaad firmahi hai. Allah hu Akbar. Kisi, har ek ki istidaat, salaiyat alag alag
18:09hai, koi banda jo hai, wo teen din ke andar bhi mukammal kar leta hai, quran ki riyayat
18:15karte hui, quran ke jo hukook hain, wo ada karte hui, quran mukammal kar leta hai, usse
18:19yeh mumanat mutaalik nahi hai. Koi nahi kar paata, toh uske liye hai. Yeh sirf teen
18:24din ka nahi hai, bakiya dinon ke liye bhi hukum hai. Toh bunyadi baat yeh hai, wo quran-e-majeed,
18:28furqan-e-hameed ki jo riyayat hai, jo aadaab hai, malooz rakh raha hai ya nahi. Yani
18:33aisa toh nahi hai ki jaldi-jaldi padhne ke chakar mein wo aisa padh raha hai, jo zaroori
18:37tajweed hai, jo zaroori maqam hai, wo ghalatiyan kar raha hai, talafuz ki ghalati kar raha
18:41hai, zaroori tajweed ki ghalati kar raha hai, ya quran mein sire se hi uska maana mafoom
18:45samajhne ki koshish nahi kar raha hai, bas padhe hi chale jaa raha hai. Toh yeh hai
18:49aam logon ki baat. Jo buzurgan-e-deen hote hain, jo arabi jabaan jaante hain, jo jinn
18:54ke andar yeh salaiyat hoti hai, wo toh jab padhte hain, toh padhne ke saath uske maani
18:59kar mafahim mein ghor bhi kar rahe hoon. Yeh hi wajah hai, khud sahab-e-karam Ali-Muridawan
19:07tak se yeh mankool hai, Syedna Usman-e-Ghani se, Syedna Tameem-Dari se, Syedna Muaz-bin
19:11Jabal se, ek-ek rakat mein bhi poora quran padhna un logon se sabit hai, sahih sanaton
19:17se sabit hai, mattaabeen se bhi sabit hai. Toh ab aap batayiye, jinn sahab-e-karam ne
19:23Syedna Rasool-Allah-e-Isha'at-e-Salaam se barah-e-raas yeh irshaad sunay hain. Un se
19:28sahih sanaton se baat mil rahi hai, wo istara kar rahi hain, toh kya wo Syedna Rasool-Allah-e-Isha'at-e-Salaam
19:32ke firman par amal nahin kar rahi hain. Hum se zyada, aap se zyada, unhe malum tha Syedna
19:37Rasool-Allah-e-Isha'at-e-Salaam ke firman ka. Be shak, be shak. Toh baat wahi ki unhe
19:40uske jo background hai, jo pas manzar aur pes manzar hai, us sab se wo agaat hai,
19:45us ke mutaabik wo rakhte the. Doosri baat yeh, ki Imam Bukhari rahim-o-Allah, unhe
19:49khud unse mumanaat mankool hai, unhe khud hadees-e-nakal ki hai, uske bawajud unke apna
19:54amal durustanadon se sabit hai, ke wo teen din se kam ke andar Quran unhe khatam kiya
19:58khud. Toh yeh buzurgaan-e-deen ka amal, sahaba ka amal, tabi'een ka amal, ajillah,
20:03fuqaha aur muhaddeseen ka amal, yeh hume batata hai, ki yeh jo Sarkar-e-Isha'at-e-Salaam
20:08ka firman hai, iski ek khaas dimension hai, khaas jihad hai. Unhe jab Quran ke hukook
20:13paamaal karke koi tilawat kar raha ho, toh uski mumanaat hai, agar hukook malooz rakhte
20:17huye, aadaab malooz rakhte huye, maani mafaheem mein tadabur karte huye padh raha hai, toh
20:22usko iski ijaazat bhi hai. Doosra jeh hai, ke nahi irshadi hai, yeh nahi wujubi, tehreemi
20:28nahi hai, hurmat ke liye nahi hai, balke yeh shafqat ke liye hai, koi jaldi padhne
20:33ke chakar mein, wo zyada apne upar malaal na taari kar le, toh isliye ke aaraam-aaraam
20:38se, hasb-e-zaukh, hasb-e-sahoolat padh le.
20:40MashaAllah, MashaAllah.
21:10Salman bhai, Islam deen-e-taharat hai aur aap Sallallahu ta'ala Ali Wali Muhammad Sallallahu
21:38alaihi wa sallam, toh uska ilawa namaz padhne se kayi guna behtar aur uski fazilat huzoor
22:07namaaz ke liye jab bhi itmam farmata hai, toh sahaba ko taqeed ki jati hai ke koi aisi
22:28cheez istimal nahi karni hai, jo muh mein smell peyda kare aur uski wajah se muh mein
22:32abu aaye, balke taqeed farmai jati hai, jab tak yeh kaifiyat hai toh masjid mein nahi
22:37aana hai, is kaifiyat se jab tak chutkaara ikhtiyaar na kiya jaye, toh tab tak wo masjid
22:41mein na aaye, take ek toh logon ko usse takleef na ho, aur doosri uski wajah beyan farmai
22:47ke wo farishtu ko uske wehse takleef hoti hai, yaani iss se yeh bhi sabit hua, jab insaan
22:52Allah ka zikr karta hai, Quran-e-pak ki tilawat karta hai, toh farisht-e-uske kareeb aajaate
22:56hai, aur ek hadith mein farmai hai, wo bilkul uske muh ke kareeb aajaate hai, yaani wo
23:01uske muh se istara ki naagwaar bu hai, wo nikalne wali hai, toh farisht-e-usko usse naagwaari
23:06mehsoos karte hai, unko takleef hoti hai, karahiyat hoti hai, toh farmai hai ki iss
23:09kaifiyat mein tum namaz ke kareeb na ho, toh namaz bhi Allah ka zikr hai, usme bhi Quran-e-kareem,
23:14tasbih-o-tahlil hai, aur Allah-rab-ul-arameen ka Quran, Allah ka kalam, yeh bhi Allah ka
23:19zikr hai, aur yeh bhi baayis-e-sawab hai, aur yeh bhi jab insaan tilawat karta hai,
23:23toh yakeenan Allah-rab-ul-arameen ka farishtein uske kareeb hoti hain, aur Hazrat-e-Mullah
23:28Murtaza Mushkil Gusha, aapka farmaan hai Sunan-e-Ibn-e-Baja mein, aapne farmai hai ki
23:32tumhara muh wo Quran ka raasta hai, yaani iske zariye tum Quran ada karte ho, Quran
23:37ko parte ho, aur Quran iske zariye jariye hota hai, toh farmai hai ki tum miswak ke
23:42zariye apne muh ko paak kar lo, yaani iss se hum dekhe na ki hum apni zaban par wo
23:46kalam la rahein, ki jo poori kainat mein sabse behtareen kalam hai, Rab ka kalam hai,
23:50aur jo Allah-rab-ul-arameen ki riza aur khushnoodi ka baayas hai, Allah ke kareeb karne wala
23:54hai, Allah ki rahmatu ko mutawajye karne wala hai, aur humari idhar kaifiyat yeh hai,
23:58muh mein ghutka bara ho hai, muh mein paan hai, ya deegar iss tarah ke, aur cigarette
24:03ka wo jo ek boo hai uske, yaani ke itni naagwari ki kaifiyat hai, ki aas paas koi aisa koi
24:10shaksh jo safai pasand ho, wo beht nahi sakta. Aur yeh hum dekhen, almiya yeh hai ki humare
24:14jo waizeen kahin aise nazar aate hain, ya kahin aise afraat jo fan-e-naaz se unka taalluk
24:21hai, wo iss kaifiyat mein Allah ka zikr ho raha hai, aur iss zaban se, iss muh se Allah-rab-ul-arameen
24:27ki taraf logon ko bulaya ja rahe hain. Jab kaifiyat yeh ho ki aap ke muh mein hi naagwari
24:31ki aur intihar darje ki naapasandi ki kaifiyat hai, wo dekhen log aap ke kareeb ke aayenge,
24:38aur aise afraat ko to dekha jaate hai na, ke jab aaj to jadeed daur hai, har cheez
24:42to camera ki zad mein aa jaate hai, to wo aajeeb-o-ghareeb aur bilkul intihar darje
24:48ka naapasandida wo ek kaifiyat aur lehja aur andaaz hota hai.
24:51Woh bhi keh rahe hain main kis badan se jod gaya hai.
24:53Aur zaahir hai wo aise cheeze kasrat istimaal karne ki wajah se, wo huliya jo aur wo jo
24:58shaklo surah ko bilkul bighad jaate hai. To ab aise muh se agar Allah-rab-ul-arameen
25:03ka zikr kiya jaayega, to yaqeenan wo ek rasmi karwaahi to ho rahi hai.
25:07Allah ki rahmatu ko mutawwajah karne ka jo baayas hai, wo yaqeenan usse hum mehroom
25:10ho gaye. To isliye jab yeh zikr hum karenge, humaari shikhsiyat mein nikhaar aayega, humaari
25:15akhlaaq, humaara chalna, phirna, bolna, uthna, humaara ihtamaam, log humse mutasir honge,
25:21humaare zariye uss kalam tak pohnchenge. Aur phir hum dekhena ki agar Allah ka Quran
25:27hai, Allah ka zikr hai, Rasoolullah sallallahu alaihi wa sallam ke farameen hai, huzoor ki
25:31naat-o-shifaat hai, to agar Allah uske Rasool sallallahu alaihi wa sallam ke ahkamat hi
25:36is wujood par humne lago nahi kiye hue, aur uske mutaabik humne apne aapko nahi dhala
25:41hua, to phir ek rasmi karwai ke taur par kisi mehfil mein hume moqa mil gaya padhnega,
25:46ya kahin hume is tarah ka koi silsila ho jata hai, to wo to ek rasam adha ho gayi hai,
25:51humne uske taqaziye poore nahi kiye, uske adab ko maruza khatib nahi rakha. Dekhen
25:55lehsan khaana yeh koi najaiz wo haram nahi hai, yeh aam halat mein makroob hi nahi hai,
26:00lekin jab ibadat se uska taaluk ho gaya, to ek wajah kya banegi, ki wo nagwari aa jayege,
26:04faristo ke liye bhi aur insano ke liye bhi, aur ek wo cheez hai jo aapki sehat ke liye
26:08bhi nukhsan de, wo cigarette ki dibiya pe likha hua bhi hai, ke wo cancer ka baayas
26:12hai, aur gutka, paan, mawa, chhaliya, wara, is tarah ki digar jo aisi cheez hain, unke
26:18baare mein to yeh hatmi, yaqeeni baat hai, ki wo jisam ke liye nukhsan de, sehat ke
26:23liye nukhsan de, to wo agar aisi kaifiyat hai, aur aisi cheez hain istimal ki jaari hai,
26:29to yaqeenan wo to sharan bhi napasandeed hai, aam halat mein bhi napasandeed hai, to
26:33yeh hum apne aap ko is qabil karein, hum apni zabaan, apne mooh ko is qabil karein,
26:37ki Allah Rabbul Aameen ka zikr karnein, ki hum qabil ho jayein, aur phir uske baad agar
26:41un adab aur taqazu ko malooze khaatir rakhenge, to Allah Rabbul Aameen ki taraf se rahmat
26:45hai yaar.
26:46Bahut khub, mashallah.
26:47Nazreen, ek break ke baad hoti hai, aap se mulaqat, mauzoo hai tilawat-e-Quran.
26:51Welcome back, nazreen, khair maghdam hai aapka.
26:53Tilawat-e-Quran, hamara mauzoo hai, Mufti Ahsan Naveed Niazi sahab aur Mufti Syed
26:57Girdhizi Shah sahab humare mehman hain, bahut khubsurat aur mudallal kalam firmaatein,
27:01hamisha ki tarah, aur aaj bhi bahut khubsurat kalam firmaaya, mujhe bazate khud bahut sikhne
27:07ko milta hai azraat se, aur aaj bhi, Alhamdulillah, bahut kuch sikha.
27:11Mufti sahab, Muqabala Husn-e-Qiraat aap hote hain, Ramazan-e-Mubarak ki zeenat hote hain,
27:15aur yeh Muqabala, hum nisabi sargarmiyon ki tarah, inhe Alhamdulillah, apne muamlaat
27:22mein shamil kartein.
27:23Toh yeh bataye Muqabala-e-Husn-e-Qiraat jo hai, iski shari hasiyat pe agar main baat karoon,
27:28koi nikalti hai iski koi shari hasiyat?
27:31Dekhein, ek hai Quran-e-Majeed, Furqan-e-Hameed ki tajweed ka zauk shauk logon mein peyda
27:38karna, Quran ki qiraat ka tarteel ke saath Quran padhne ka jazba peyda ho logon mein
27:44yeh bedaar karne ke liye agar istara ke muqabale ya musabaq-e-competition munakid kiye jaate
27:50kaafil-e-Husn-e-Qiraat humare hain aam raayid hain, toh fee nafse hi toh yeh jaayiz hai,
27:55ki Quran ki tajweed ka zauk peyda ho logon mein log seekhen, Quran ki tilawat ka shauk
27:59peyda ho, yeh jazba peyda ho bahut achi baat hai, iske liye agar aap koi maifil ka nikalt
28:04kartein, wo bhi fee nafse hi jaayiz hai, uska mein agar achi andaad mein Quran padha jaata
28:08hai, yeh bhi fee nafse hi jaayiz hai, lekin har cheez ki kuch hudood-o-quyood hoti hain,
28:12kuch boundaries hoti hain, limitations hoti hain, tehdidat hoti hain, un tehdidat ko,
28:20iske haami hain, lekin agar koi un hudood-o-quyood ko malooz nahi rakta, toh uska tarz-e-amal
28:26kaabil-e-mazammat hai, hudood-o-quyood ko malooz na rakne ka, nafse-e-qiraat bataan
28:31arz karta hu, nafse-e-qiraat toh bilkul theek hai, nafse-e-maifil bhi jaayiz hai, lekin
28:35hudood-o-quyood, yaani, ek toh yeh ki jin qurra-e-kiraam ko aap bula rahe hoon, waqee
28:40qurra-e-kiraam hoon, yaani muazzaz qari hoon, yaani beshara na hoon, jin qariyon ko bula
28:47jaa rahe hai, jin se aap husne-e-qiraat ki maifil ka inikaat kar rahe hain, logon ko
28:52unse targheeb lene ka aap keh rahe hain, logon unse inspire hoon, toh dekhein yeh qurraan
28:57hai, yeh qalaamullah ka maamul hai, kisi aur cheez ka mukawala nahi hai, yeh qurraan
29:02ki, qalaamullah ki baat hai, toh aap icon bana kar pesh kar rahe hain, kisko aap yeh
29:07dekh lein, ab wo banda aisa ho, jo khud baashara ho, theek hai, hum baatin mein toh kisi
29:12aatein, kisi ke dil ka toh haal hum nahi jaantein, jhaankein, lekin kamaskam jo uski
29:16zahiri waza qata hai, jo zahiri haiyat hai, wo toh shariyat-e-mutara ke mutaabik ho, iska
29:21lihaaz rakhna zaruri hai, aisa na hoon ki aap beshara qariyon ko bulaayen, wo phir unke
29:25muamlaat alag, doosri baat, ki jin qariyon ko aap bula rahe hain, wo qari bhi, wo lillah
29:31padne wale hoon, khaalisan limajhillah hoon, yaani naam-o-namood aur riyaa wale na hoon,
29:36koi toh ahadith mein jo hai na, badi sakht iski madammat aayi hai, jaam-e-tirmidhi ki
29:40rawayat hai, jab sarkar isaat-o-sahab na fahamaya, taawwazu billahi min jubbil hazan, jubbul
29:46hazan se Allah ki pana chaho, toh jab sahaba ne pucha, ya rasoolallah, jubbul hazan kya
29:50hai, toh huzoor nabi kamil isaat-o-sahab na ishaat fahamaya, waadin fee jahannam, jahannam
29:54mein ek wadi hai, usse jahannam khud pana maangta hai, har din mein miyata marra, sao
29:59dhaba jahannam khud usse wadi se pana chahata hai, phir uske baad bataya ki usse wadi mein
30:04jahannam ki jubbul hazan mein kaun daale jaayenge, maa al-qurraa al-murraauna bi aamaalain, wo
30:12qari ki jo apne amal mein riyaa karte hoon, toh amal mein riyaa ki aisi madammat hai,
30:18toh aap jin qariyon ko bolayen wo aise hoon ki riyaa kaar na hoon, riyaa maqsood na hoon
30:24ki waqeeh qurraan ki tilawat maqsood hoon, qurraan ki tilawat ka shauk aur jazba maqsood hoon.
30:30Do baate ho gayi, teesri baat yeh, ki dekhen ta'at jo hai, neki ka jo kaam hai, maara asle
30:36madad yeh hai ki ta'at par nekiyon ke kaam par ijaara, ujrat lena dena jaayz nahi hai,
30:42baatil hai, jin kaamon ke liye fokahaan ne ijaadat di thi, wo wo kaam hai, ki jin ke
30:48na karne se deen ka zaye hona laazim hai, jaise talim-e-qurraan, jaise azaan, jaise imamat,
30:56jaise talim-e-deen, yani yeh wo cheezein hai, ki inke andar deen ka ziya hai, agar inki
31:02taraf tawajjo na ki jaye, agar yeh saare log apne maaash mein mashgool ho jayein, toh
31:07yeh kaam kaun karega, toh is wajah se fokahaan ne rukhsat di thi, jo exception tha, jo istisna
31:13kaala tha, wo in cheezon ke liye tha, lekin tilawat-e-kalaam-e-majeed un omoor mese nahi
31:18hai, wo amr-e-mustahab hai, qurraan ki tilawat karna, khud, ya doosre ko qurraan sunana,
31:24ya doosre ka qurraan sunna, yeh mustahab amr hai, mustahab amr ke andar aisa karna jaayz
31:29nahi hai, toh koi agar qurraan ki qiraat ki ujrat le, sirf qiraat karne ki ujrat ke taur
31:36par kuchh tayah kar raha hai, yeh jaayz nahi hai, haan wo waqt ka ejara kar sakta hai,
31:40aane jaane ka kharcha le sakta hai, agar wo is jaayz tariqah ko istimal kar raha hai,
31:44toh theek hai, nahi toh khud neki ka kaam aur neki ka kaam ke andar aap najaayz tariqah
31:48istimal kar raha hai, yeh doosre hai, yeh toh doosre hai, phir aap niyat bhi change
31:52hoi, toh kari hazarat ke padne ka tariqah, us padne ke tariqah ke andar bhi yeh baat
31:56malood rakhi jaye, yeh toh theek hai, ke achi andaaz mein padna chahiye, laisa minna
32:00taghanna bil quran, toh quran ko khush ilhani se na pade, wo hamme se nahi,
32:04ya firmaa zayinul quran habi aswati kum apni awazon se, quran ko muzayyan karo,
32:08lekin aisa andaaz ikhtiyar karna hai, ke jisme tajweed ke zururi qawaid ki riyayat
32:14na ho, ya jo bilkul moosiki ki tarz par ho jaye, ya jisse quran ki bi hurmati
32:18ke pahalu nikle, ya jisse maana aur mafuhum mein taghyur aa jaye, maana mafuhum
32:23faasid ho jaye, wo andaaz ikhtiyar karna jaayz nahi hai, toh yeh malood rakhane
32:27hua zaroori hai, ke wo quran is ihtiyat ko malood rakhte ho, fir jo mukabala
32:31karwane wale unki apni niyat bhi khalis ho, Allah ke liye kar rahe ho, aur uska
32:35andar koi najayz aur amr na ho, toh agar in hudood ko malood rakha jayate,
32:39aur iske lawa aur bhi jo kuch hudood hain shari, unko malood rakha jaye, toh fir
32:43toh bilkul theek hai, isme koi haraj nahi, lekin agar koi isse malood nahi rakhta,
32:47toh fir ham uski himayat nahi karte, lekin baat wahi ki nafse kirat, bilkul
32:51nafse maifir bilkul, jo kharabiyon hain ham kharabiyon wo condemn kar rahe hain,
32:55kharabiyon ki islaah ki baat kar rahe hain, purify kiya jaye, tatheer kiya jaye,
32:59bilkul sahi, niyatein, mizaaj, in sab ko samara jaye, kyunki Allah ka kalam
33:03aapne ka protocol hai, bhai Allah ki kitab, quran hai, ek sahab jo hai,
33:07ek maukab mein maine dekha, koi peer sahab the, unhone padha aur usme ghalati
33:12hui quran mein, toh unhone tohka, toh unke jo mureed the, unhone unko gusse se
33:16dekha, unhone ka bhai aap mujhe gusse se kyun dekh rahe hain, quran hai,
33:20yeh quran hai, Allah hu Akbar, Shah sahab qiblah, kaunsa waqt,
33:24kaunsa mauqa, lamha, moment, mauzu aur afzal hai tilawat-e-quran ki liye?
33:30Salman bhai, waise toh din raat mein kisi bhi waqt quran-e-paak ki tilawat ki
33:34jaa sakti hai, usme koi mubaniyat nahi hai, aur kisi bhi waqt mein quran-e-paak
33:38ki tilawat makroon nahi hai, behtar aur afzal jo waqt hai, wo fajar ka waqt
33:43jo, quran-e-karim mein bhi namazu ki fazilat beyan farmai gaye, aur usme
33:47batoor-e-khaas fajar ka waqt jo uska tazkira farmai gaya, ki aqeem-e-salaat
33:52al-e-dulook-e-shamsi ila ghasakh-e-illaih liwa quran-al-fajr, inna quran-al-fajr
33:56ikana mashhooda, batoor-e-khaas is waqt se mutalik farmai gaye, ki jo farishta
34:00hain wo isme hazir hota hain, namaz me hazir hota hain, quran-e-paak ki
34:04tilawat samad karte hain, toh yeh waqt aisa hai, ke wo raat ke farishta
34:07apne duty poori karke, unke jaane ka waqt hota hai, din ke farishton ki
34:11aane ka waqt hota hai, dono farishton ka istima is waqt me hota hai, toh is
34:15waqt me agar quran-e-paak ki tilawat ki jayegi, toh yaqeenan Allah ta'ala
34:18uski barkat-e-ata farmata hai, aur phir din ka aaghaaz agar is kaifiyat
34:22me hoga, aaj badkismati se, hum apne agar waal-dein se poochen toh unka
34:26bachpan aur unke gharon mein jo tarbiyat aur maamulat ka jo silsila
34:30tha, wo yehi tha, ki din ka aaghaaz quran-e-paak ki tilawat se kiya jata
34:33tha, bachun ko is kaifiyat me ghar se schooling ke liye rukhsat kiya jata
34:37tha, aaj toh ajeeb-ajeeb kaifiyat nazar aati hain, ki ghar mein bhi wohi
34:41TV ki awaaz hai, van mein bethe wahan bhi yeh silsila hai, toh bachun
34:45ko is kaifiyat me hi hum rukhsat kar rahe hota hain, koi quran-e-paak
34:48ki tilawat ka ek mahool nazar nahi aata tha, toh agar din ka aaghaaz
34:51is kaifiyat me kiya jayega, Allah ke kalam se, toh Allah ta'ala uski
34:54barkat-e-gar par bhi ataa farmayega, gar walon par bhi Allah ta'ala
34:57ataa farmayega, behtar waqt yeh hai, aur iske ilawa kabhi bhi quran-e-paak
35:01ki tilawat karein, wo baayis-e-saadat hai, baayis-e-sharf hai, aur
35:07aukat-e-makrooha mein quran-e-paak ki tilawat ki jaa sakti hai, behtar
35:11yeh hai ki is waqt mein, urad-o-wazaif, tasbih-o-tahlil pari jaye,
35:14lekin agar is waqt mein bhi koi quran-e-paak ki tilawat karein, toh usmein
35:17koi harj nahi hai, koi momaniyat nahi hai, baaki jo aise mawake aate
35:22hai, jisra koi parashani ka mawamla hai, khudana khasta kisi ke
35:25hain fodgi hai, intikal ki kaifiyat hai, ya koi bimari, ya koi bhi
35:29parashani hai, koi bhi agar parashani hai, quran-e-karim se apna taalluk
35:33jodenge, toh Allah ta'ala, quran sirf hidayat ke liye nahi hai, sirf
35:37yaani uski rehnumai waha maujood nahi hai, balki uski barkat-e Allah ta'ala
35:40ataa farmata hai, toh jis maqsad ke saad usko padhenge, aur jis waqt
35:43padhenge, Allah ta'ala uski barkat-e ataa farmata hai, aaj jisra
35:46aapne kalam firmai na, ki wo bachi ke sar pe usko saya dene ke liye,
35:50aur usko rukhsat karne ke liye, aur maqsoos mawake ke liye usko
35:53rakh diya jaata hai, quran apni zindagion mein shamil karein, shab-o-rooz
35:56mein koi waqt uske liye maqsoos karein, aur is kaifiyat mein apni
36:00subo ka agaaz karenge, toh Allah ta'ala zindagi ke jitne mawamlaat
36:04hai, ulaat ki tarbiyat hai, kaarobar hai, gharbar hai, rizq, aur
36:07deegar istara ke mawamlaat hai, Allah ta'ala iski barkat-e tamaam
36:10mawamlaat par naazil firmaayega, toh zarur ehtamaam kiya jaaye,
36:13Allah ta'ala iski barkat-e ataa firmaaye.
36:15Kya baat hai Shah sahab, bahot shukriya Mufsahab, aapka bahot shukriya,
36:17khubsurat aap hazrat ne kalam kiya, quran-e-majeed, furqan-e-hameed,
36:21jab hazrat-e-bibi-a-aisha-siddiqa radhi-Allah-u-ta'ala anha se
36:25pucha gaya, kya hazrat-e-sallallahu-alaihi-wa-sallam ke akhlaaq kya hai,
36:29manners kya hai, toh aap radhi-Allah-u-ta'ala anha ne firmaaya,
36:33tumne quran nahi padha, saara quran-e-nabi ke akhlaaq hai,
36:36yaani akhlaaq, tumhare akhlaaq, tumhare manners itne hai hone chahiyein,
36:40ke log tumhare akhlaaq ko dekhte dekhte kalme tak aa jayein,
36:44samajh rahe hain aap meri baat, ye akhlaaq hi the jo insaan ko,
36:47kufr se Islam ki taraf lekar aate the,
36:49aaj akhlaaqi garawatein, akhlaaqi kharabiyan, pattameeziyan,
36:53badzubaniyan, badmizaajiyan, baddimaagiyan, badfikri, badkhayali ne,
36:57Islam ko kitna nukhsaan ponchaya, aap andaaza bhi nahi laga saktein.
37:03Islam ke label ke saath maujood khateebo ne,
37:06iss se mutaalik jo log daavedaar hain aur symbolically pehchane jaatein,
37:11jab wo badtameez honge, jab wo bad akhlaaq honge,
37:14toh kaun Islam ki taraf aayega?
37:16Aap Islam ki mutaassir kisko karenge?
37:19Log aapke akhlaaq se mutaassir honge,
37:21aapke akhlaaq ko dekhte dekhte log kalme tak,
37:23tu kalma padhte padhte padhte akhlaaq tak ponch jaa,
37:27log tere akhlaaq ko dekhte dekhte dekhte kalma padh lenge.
37:30Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu.
38:00For more information visit www.OSHO.com

Recommended