• 9 years ago
Mede Ki Tezabiyat, Garmi Or Hazmay Ke Liye Sharbate Imli

Ingredients:
Imli 250 gram
Sugar 500 gram
Water 2 liter


Method:
Sab se pehle imli ko 2 liter pani mein bhigo kar rakh dein adhay ghantay ke liye takay ye naram ho jaye or phir hathon se masal kar medium aanch par choolhe par charha dein or isko itna pakayen ke pani 1.5 liter reh jaye, phir pani ko chaan kar imli ko phenk dein or pani ko dubara choolhe par charha dein or sugar daal kar itna pakayen ke pani 1 liter reh jaye, phir is ko thanda kar ke bottle may bhar lein or jab bhi sharbat peeni ho to half glass se kam sharbat glass may dalein or is may thanda pani or baraf daal kar istemal karein.
Bohat hi behtareen sharbat ha garmio ke liye mede ki garmi, tezabiyat or hazmay ke liye bohat mufeed ha.

Category

📚
Learning

Recommended