• 10 years ago
Paseenay Ki Badboo Se Nijat Ke Liye
Paseena taqreeban body ke har hissay se nikalta ha or dry ho jata ha. Lekin neck, arm pit, posheeda aeza waghera jo hissay har waqt kapron se dhake rehtay hein. Yahan aane wala paseena aasani se khushk nahi hota. Is liye ziyada tar body se smell aati ha. Is ko door karne ke liye:

Nahane ke pani mein thora se dettol ya kewra mila kar nahana chahiye.

Nahate waqt achi tarah se soap laga kar jild ko saaf karein.

Nahane ke baad body ko towel se achi tarah se dry karein.

Kapre aesay pehnay jayen jo paseene ko absorb kar lein.

Jambolan ke leaves boil kar lein. Ab is pani ko sare body par achi tarah se malein. Taqreeban 5 minute baad water se naha kar body saaf kar lein, pasine ki badboo nahi aaye gi.

Recommended