"Watch Shan e Ramazan Special Transmission with Waseem Badami. Do Subscribe!"
➡️ https://bit.ly/arydigitalyt
#quranaurscience #waseembadami #Allahoakbar
Tezab ki Barish..😱 Incredible Reality of Solar System | Quran aur Science | Waseem Badami | 9 March 2025 | #shaneiftar #shaneramazan
A helpful segment for our audience which focuses on Islamic history and Today's Science and its teachings.
#Ramazan202 #RamazanMubarak #shaneramazan
Music by Calm Islam Music
➡️ https://bit.ly/arydigitalyt
#quranaurscience #waseembadami #Allahoakbar
Tezab ki Barish..😱 Incredible Reality of Solar System | Quran aur Science | Waseem Badami | 9 March 2025 | #shaneiftar #shaneramazan
A helpful segment for our audience which focuses on Islamic history and Today's Science and its teachings.
#Ramazan202 #RamazanMubarak #shaneramazan
Music by Calm Islam Music
Category
😹
FunTranscript
00:00Bismillah hir rahman nir raheem Alhamdulillahi rabbil alameen.
00:24Alameen ki Rabb ki hamd hai, sana hai, ta'reef hai, uski aage hum sab sar basujood hai.
00:31Yeh humara segment, aap isko pasand karna hai, bahut shukriya.
00:33Hum khud kayi kaifiyat se guzartein jab is segment mein hum aap se baat kar rahein hota hai.
00:38Aur aaj phir aap tayyar rahi hain.
00:40Agle kuch minute, aisi kayi kaifiyat se guzarne ke liye aap tayyar rahein.
00:46Ki jisko dekh ke, jisko sun ke, jis manzar ko mehsoos karke,
00:50aapke dil se baar baar niklega, Allahu Akbar.
00:53Allahu Akbar, Allahu Akbar.
01:06Aur jisse sun kar, jisse dekh kar aap dil se kahenge,
01:09koi to hai jo nizam-e-hasti chala raha hai, yeh itna bada nizam,
01:14is andaas se chal raha hai, wo hi khuda hai.
01:20Dikhai bhi jo na de, mazahir to nizam nahi aara,
01:23nazar bhi jo aara hai, lekin is itna bada se nazar aara hai,
01:26ke sab kaun kar raha hai, kaise kar raha hai, wo hi khuda hai.
01:33Hum sayyaroon ki daastaan bayan kar rahein.
01:36Kal humne ek sayyare ki baat ki thi,
01:39humne kal baat ko yahan par chhoda tha,
01:42ki sawal ke saath, aaj us sawal aur uske jawab ke saath haazir hota hai,
01:46sawal.
01:49Agar main aap se poochun,
01:52qayamat ke din ke baarein, ulama-e-karam na humne bataya,
01:55yeh binta hai, riwayaat mein,
01:57ki qayamat ka din, wo din hoga,
01:59jab sooraj mashrik se nikal ke maghrib mein nahi ghurub hoga,
02:01ulta, sooraj jo hai, wo maghrib se niklega,
02:03mashrik mein ghurub ho jayega.
02:06Qayamat ke din.
02:07Aur us din, tauba ka darwaza bhand ho jayega.
02:09Jab yeh kaam hoga, to tauba ka darwaza bhand.
02:11Officially bhand ho jayega.
02:12Phir hisaab-kitab ka darwaza shuru ho jayega.
02:14Yeh toh hoga qayamat ke din.
02:16Ab agar koi kahe,
02:17koi sarfira kahe, koi naadan kahe,
02:19yeh kaise ho sakta hai bhai?
02:21Yeh toh ek system hai, yeh toh yun hota hai,
02:23toh aise hota hai, toh yahan se nikalta hai,
02:24toh yahan pe ghurub hota hai,
02:25yeh ulta ho hi nahi sakta.
02:26Toh ek toh uska jawab humne yeh dair hai,
02:28ke yeh toh humare imaan ka aisa hai,
02:30humein koi science ya science zaan nahi chahiye,
02:32apne imaan ko sabit karne ke liye.
02:33Of course not.
02:34Lekin phir bhi ek jawab hai.
02:36Agar main aapse puchun,
02:38ke kya abhi aaj,
02:40is waqt,
02:42is kainat mein koi aisa maqam hai?
02:47Woh bhi hamari,
02:48zameen se bohot kareeb,
02:50jahan sooraj,
02:52mashrik se maghrib ke bajaye,
02:54maghrib se tulu hota ho,
02:55aur mashrik me ghurub hota ho.
02:58Toh iska jawab hoga,
03:00jee haan,
03:01jee haan aisa hoga nahi,
03:03aisa ho raha hai,
03:04ek maqam par ho raha hai,
03:06ek planet mein ho raha hai,
03:08zameen ke saath hai wo planet,
03:09Venus kehte hai us maqam ko,
03:11Venus naam hai uska,
03:12wahaan par yeh hi ho raha hai.
03:18Venus mein yeh amal musalsal ho raha hai,
03:21ek martaba ka kissa nahi hai,
03:23yeh sadiyon ki dastaan nahi hai,
03:25yeh arboh saalon ka waqiah hai,
03:27ke yahaan par sooraj ulta nikalta hai,
03:29aur ulta ghurub hota hai,
03:31zameen ke mukaable mein,
03:32aisa kyu hota hai?
03:40Is Venus ko istara kaun chala raha hai?
03:43Wohi khuda hai na?
03:44Yeh kya ho raha hai?
03:45Yeh isliye,
03:46ke is sayyaare ki jo gardish hai,
03:48yeh sab sayyaaron se ulti hai,
03:50kya matlab,
03:51yaani ke misaal ke taur par,
03:52agar sooraj ke gird sare sayyaare,
03:54yeh istara ghum raha hai,
03:55misaal ke taur par,
03:57toh yeh ek sayyaara hai,
03:58jo ulta chal raha hai,
03:59yu chal raha hai,
04:00toh isliye,
04:01har sayyaara mein sooraj,
04:02yu tulu ghurub ho raha hai,
04:03toh yahaan par yu tulu ghurub ho raha hai,
04:04alag chal raha hai,
04:07kyu bhai?
04:09Isliye ke,
04:11Allah taala se koi,
04:12usse koi nizamon,
04:13naskaon,
04:14koi uska poochne wala hai,
04:16Quran ki soor-e-anbiya ki ek ayat hai,
04:18uska mafoom hai,
04:19Allah taala kisi ko jawab dena hi,
04:20usne apna nizam hai,
04:22Allah se uske kaamon par,
04:23koi baas purse nahi ki jayegi hai,
04:25makhlukaat se baas purse ki jayegi hai,
04:29kaun kaunsi nimatan ko jhutlayenge,
04:31aagey badte hain,
04:33yaani yeh toh hum baadme maloom karenge,
04:35kaun kaunsi nimatan ko jhutlayenge,
04:37pehle yeh toh maloom karlein,
04:39is kainat mein hai kya kya,
04:40aur suniye,
04:41agar aap hairan hogayen,
04:42toh nahi nahi nahi,
04:43abhi aapne hairan nahi hona,
04:44agar aap abhi se hairan hogayen,
04:45toh mujhe aapki hairangi par,
04:46hairan nahi hogayen,
04:47aap rokiye apni hairangi,
04:48istiye ki,
04:49agla sawal,
04:50aur uska jawab,
04:51iss se zyada naa qabal-e-yaqeen hai,
04:52wo kya,
04:55hamara din kitne ghanton ka hota hai,
04:5624,
04:57hamara saal kitne dinon ka hota hai,
04:59365 dinon ka hota hai,
05:01kyu,
05:02jab zameen ki gardish hoti hai,
05:03wo 24 ghande banate hain,
05:04zameen surat ki ghard goon leti hai,
05:05365 din banate hain,
05:06agar main aapse koun,
05:08ek aisa maqam hai,
05:10jiska ek din,
05:12suniye ga,
05:13jiska ek din,
05:14ek saal se zyada bada hai,
05:18to aap kya kahenge,
05:20aap shayad,
05:21bewaqoofi ki ke baat kahenge mujhe,
05:22ki kya kar raha hoon main,
05:25to guzaarish ye hai ki,
05:27aisa maqam,
05:29ho sakta nahi,
05:30aisa maqam hai,
05:32us maqam ka naam bhi Venus hai,
05:34jee haan,
05:35iss sayyare ka jiska naam Venus hai,
05:37yahaan ka din,
05:38yahaan ka ek din,
05:40uske ek saal se zyada lamba hai,
05:42agar hum zameen ki definition use karein,
05:44din aur saal ki,
05:45to iss jaga ka,
05:46ek din,
05:47ek saal se zyada bada hai,
05:49aur wo kyu hai,
05:50isliye ki,
05:51isko apne mehwar ke gird gardish karne mein lagte hain,
05:54243 days,
05:56jis tarah humare zameen ko,
05:5824 ghande lagte hain,
05:59to ek din ban jata hai,
06:00isko 24 ghande ke baja,
06:01yehi kaam karne mein,
06:02243 days lagte hain,
06:04to yeh banta hai,
06:05ek din,
06:06lekin issi Venus ko,
06:07poore suraj ka chakkar lagane mein,
06:09lagte hain,
06:10225 din,
06:11jis tarah humare zameen ko,
06:12365 din lagte hain,
06:15isliye iska saal chota hai,
06:18iska din bada hai,
06:24yeh sab ho sakta nahi hai,
06:26yeh sab ho raha hai,
06:27yeh sab tadziya nahi hai,
06:29yeh sab malumat hai,
06:36wal laahu ala kulli shayin qadeer,
06:38har cheez par kudrat rakta hai,
06:40yeh is cheez ko jaise chahein mod de,
06:42jo chahein kar de,
06:45Quran-e-Karim ki boh sari ayaat ka tarjuma mufoom hai,
06:47yeh ki Allah ke liye kaam karna,
06:49bohot aasaan hai,
06:50bohot aasaan hai,
06:52lekin ab aap dilon ko thaam lijiye,
06:54isliye ki ab jo agli,
06:56baat,
06:58agla manzar nama,
07:00aapki khitmat mein arz karna hai,
07:02wo bohot hairankun hai,
07:04wo bohot hela denewala hai,
07:07ek aisa maqam,
07:09zameen par baarish hoti hai na,
07:11paani ki baarish hoti hai,
07:13kabhi kabhi barf baari ho jati hai,
07:15kabhi kabhi itni tez baarish ho jati hai,
07:17ke manzar suhane ki wajahe khaufnaak ho jati hai,
07:19humne aapki khitmat mein arz kiya tha,
07:21ek sayyaare ka ek chaand aisa hai,
07:23waha par methane ki baarish hoti hai,
07:25waha methane ke dariya hai,
07:27lekin jo agli baat aap sunne jaa rahe hai,
07:29yeh bohot hairankun hai,
07:31bohot parishankun hai,
07:33bohot scary bhi hai,
07:35yeh aarz karoom,
07:37ke is kaainat ka ek aisa maqam hai,
07:41jahaan taizaab ke baadal hai,
07:45yeh aapne theek sunna,
07:47jahaan taizaab ke baadal hai,
07:50jahaan Allah jaanein kuch aisa mandar hai,
07:53jahaan taizaab ki baarish ho rahi hai har waqt,
07:56taizaab ki baarish,
08:02mujhe nahi malum,
08:04taizaab ki garmi ka,
08:05sakti ka,
08:06jalan ka,
08:07khauf ka,
08:08aalam kya hoga,
08:09jahaan ek lamhe ke liye nahi,
08:11balke har waqt,
08:12literally,
08:13taizaab ki baarish ho rahi hai,
08:15venus yeh jo sayyaara hai,
08:17is sayyaara ki puri ki puri faza,
08:20taizaab ke baadalon ki,
08:23kayi layer se har waqt,
08:25dhaki rahti hai,
08:27yahaan tak ke un taizaabi baadalon se,
08:30baarish barasti hai,
08:34yaani main rephrase kar doon,
08:42hamaari zameen ke literally,
08:44zameen ke saath hai yeh,
08:46hamaari zameen ke saath yeh ek aisa maqam hai,
08:50jahaan har waqt,
08:52taizaab ki baarish ho rahi hai,
08:54jahaan main padh raha tha,
08:55jahaan main likh raha tha,
08:56jahaan main sun raha tha,
08:57jahaan main iski videos dekh raha tha,
08:58dil ke goshe se awaaz nikal rahi tha,
08:59Allahumma jirna minal naar,
09:02insaan sochta hai,
09:04abhi yeh manzar to basa hua hai,
09:07na jaane qayamat ka manzar kaisa hoga,
09:10yeh manzar to qaim ho gaya hai,
09:12na jaane jahannum ka manzar kaisa hoga,
09:14yeh aag to lagne wali nahi hai,
09:16yeh lag chuki hai,
09:17na jaane jahannum ki aag kaisi hogi,
09:19Allahumma jirna minal naar,
09:21Allahumma jirna minal naar ya Mujeeb,
09:24is ek segment mein,
09:26hum itni kaifiyat se guzarte hain,
09:28kabhi dozaq yaad aati hai,
09:29kabhi jahannum yaad aati hai,
09:30kabhi jannat yaad aati hai,
09:31kabhi kainat ki wusyat yaad aati hai,
09:32kabhi quran aur science yaad aati hai,
09:34kabhi Allah ka bada hona yaad aati hai,
09:36kabhi yeh yaad aati hai,
09:37ki iski kaun kaunsi neematon ko jhutlaayenge,
09:38kabhi yeh yaad aati hai,
09:39ki yaqeenan koi to hai,
09:40jo nizam-e-hasti chala raha hai,
09:42wohi khuda hai.
09:47Mahireen batate hain,
09:49Venus par ek nahi,
09:51do nahi,
09:52beshumaar aatish fishan pahaad hai,
09:55aag ugalte hua pahaad hai,
09:57taizaab ki baarish hai,
09:59ek aag lagi hui hai,
10:00ek dehakti duniya hai,
10:02ek jahannum namaa roshni hai,
10:04ek qayamat ka manzar hai.
10:08Yeh Venus hai.
10:13Lekin hume aage badhna hai,
10:15tuki nashriyat ka waqt mehdood hai,
10:17aur malumat la mehdood hai,
10:19isliye hume aage badhna hai,
10:21isliye hum,
10:22is sayyaare ko jiska naam Venus hai,
10:24isko iski tamaam tar hairangi,
10:27aur ab hawari pareshani,
10:29aur is sab ke saath chhod kar,
10:31hum aage chalte hain.
10:34Ab hum agle sayyaare ki taraf jaa rahe hain,
10:39It's a red planet,
10:41it's a dead planet,
10:43isse Mars kehte hai,
10:45hum Venus se nikalke Mars me aagaya,
10:47a red planet,
10:49a dead planet.
10:52Ab aap zara suniye,
10:54ab Mars pe kya aalam hai aap suniye,
10:56yaani agar aapko yeh laga
10:58ke Venus me hi sab kuch saari hairangi ki baat sun nahi hai,
11:00toh ghalat laga,
11:02mujhe bhi yeh lagta tha, ghalat lagta tha.
11:04Ab aap suniye,
11:06zameen par
11:08insaan ne,
11:10jo sabse ucha structure banaya hai na,
11:12wo Dubai me Burj Khalifa hai,
11:14usse ucha structure insaan ne nahi banaya,
11:16ab yeh hum iska comparison bhi aapko dikhayenge,
11:18yeh aap picture dekhe dara,
11:20zameen pe sabse ucha structure hai,
11:22usse ucha structure hai,
11:23insaan ne banaya hai,
11:24takreeban 2700 feet hai,
11:262700 feet, takreeban,
11:28yeh toh insaan ne banaya liya,
11:30insaan ne teer maar liya,
11:322700 feet tabeel Burj Khalifa banaya liya,
11:34lekin zameen par
11:36Allah taala ko jo sabse ucha shahkaar hai,
11:38wo toh Mount Everest hai,
11:40wo kitne feet hai,
11:41wo 29000 feet hai,
11:4329000 feet,
11:45Burj Khalifa toh kuch hai hi nahi uske saamne,
11:47lekin asal baat ab,
11:49ab suniye,
11:53kya Mount Everest,
11:55jo itna ucha pahad hai,
11:57itna ucha pahad hai,
11:58ke asmaanon se baate kar raha hai,
11:59matlab uski uchai ke kya kehne,
12:01ab yeh mauzu nahi hai,
12:02ab yeh par alag se baat karte hain,
12:04pahadon par alag baat karte hain,
12:05ke pahad upar kya hai,
12:06andar kya hai,
12:07chhod dete hain ab hi usko,
12:08agar mai aap se pooch ho,
12:09ke Mount Everest,
12:10jo itna ucha hai,
12:11jo 29000 feet ucha hai,
12:13kya humare yeh kainat ka,
12:15is kainat ka,
12:17kya yeh zameen ka sabse ucha maqam hai,
12:20jawab, nahi,
12:23kya yeh is kainat,
12:24humari zameen ka sabse ucha maqam to hai,
12:27humari zameen ka to hai,
12:28kya is kainat ka sabse ucha maqam hai,
12:30jawab, nahi,
12:33achha kainat to bahut badhi hai,
12:35kya yeh humare solar system ka sabse ucha maqam hai,
12:38jawab, nahi,
12:39phir iska kya jawab hai,
12:40ab aap suniye,
12:41hum dastane Mars,
12:42aapki khidmat mein har kar rahe hain,
12:44aapne Burj Khalifa ki uchai sun li,
12:46aapne Mount Everest ki uchai sun li,
12:48ab aap suniye,
12:49ek aur pahad hai,
12:51naam hai,
12:52Olympus Mons,
12:53Olympus kahte hain,
12:54ya iska naam hai,
12:55Olympus Mons kahte hain isse,
12:57yeh Mount Everest se,
12:59aur yeh pahad kahan par hai,
13:01yeh pahad Mars par hai,
13:03Mount Everest multiplied by 2.5,
13:07Mount Everest agar 29,000 feet hai,
13:09Olympus Mountain,
13:1172,000 feet,
13:13Mount Everest se 2.5 guna ucha,
13:16yeh aatish pisha pahad,
13:18Mars par hai,
13:32hum shumali alaqa jaat mein jaate hain,
13:34hum Switzerland mein jaate hain,
13:35bada badi pahad dekhte hain,
13:36bada pahad mein kahte hain,
13:37kya kehne Allah hu,
13:38thik kahte hain,
13:39lekin yeh to amari kam ilmi hai na,
13:41ki hum isse shakar,
13:42nahi nahi nahi,
13:43shakar to hai,
13:44wo bhi hai,
13:45yeh phailao mein,
13:47Mars ke andar jo ek pahad hai,
13:49yeh phailao mein,
13:51kitna bada hai,
13:52samjhne ke liye sunlein,
13:53phailao mein poore mulk,
13:54France jitna bada,
13:55akhela yeh pahad hai,
13:56France jitna bada,
13:57ek akhela pahad hai,
14:02yaani bas mujhe kehle de dijiye,
14:03Subhanallah,
14:04itna azeem pahad,
14:05na sirf zameen,
14:07balke poore nizam-e-shamsi mein,
14:09kahin aur nahi dekha gaya,
14:10kya yeh Allah ki sanat ka,
14:13ek namuna nahi hai,
14:15toh aur kya hai,
14:16ki ek be-aabas sayyare par,
14:18usne aisa deo haikal pahad,
14:20qaim kar rakha hai,
14:22jo aaj se nahi,
14:23kal se nahi,
14:24sadiyon se,
14:25khamosh khada,
14:26Mars par,
14:27Allah taala ki azmat ka,
14:28alaam kar raha hai,
14:37yaha mujhe Quran ki us aayat,
14:39wo aayat yaad aati hai,
14:40jiska mafoom hai,
14:41kainat ki har shay Allah ki hamd kar rahi hai,
14:44har shay mein uska karishma ghalib hai,
14:47Venus ki rotation mein uska karishma hai,
14:50Venus ki revolve karne mein uska karishma hai,
14:53Mount Olympus mein uska karishma hai,
14:55kahin ki aag mein uska karishma hai,
14:57Mercury ki birth mein uska,
14:58har cheez mein uska karishma hai,
15:06mat ho hairan,
15:07mat ho hairan,
15:08aur sun lijiye,
15:10Mars par,
15:12sirf bulantareen pahaad nahi aayen,
15:15Mars pe aur bhi aisa bahut kuch hai,
15:18jo zameen par hai hi nahi,
15:19jo zameen ke bulant se bulant se bhi zyada bulant hai,
15:22ya zameen ke gehre se zyada gehra hai,
15:24wo kya hai,
15:28wo hum colors karenge Inshallah,
15:40Aum
15:47Aum