• 3 days ago
Mufti Muhammad Akmal | Ahkam e Shariat | ARY Qtv

#AhkameShariat #MuftiMuhammadAkmal #aryqtv

Solutions For Day-to-Day Problems Faced by Muslim Ummah, Commandments of Islamic Jurisprudence; Mufti Muhammad Akmal Provides solutions for day-to-day problems faced by Muslim Ummah, according to the guidance and teachings of Qur’an and Sunnah. This program has facilitated a majority of people for making suitable amendments and corrections in their conduct and affairs of routine life in accordance with their religious believe their worship dealings and ethics.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Auzubillahi minash shaitanir rajim, Bismillahir Rahmanir Rahim, khawateenu hazrat, Assalamualaikum
00:18warahmatullahi wabarakatuhu wa maghfiratuhu, program ahkaam-e-shari'at-e-fiqh-e-hanafi
00:24se mutaaliqa masayil ke saath aapki khidmat pe hazir hain, lekin aaj chunke yeh ashra jo
00:30chal raha hai, yeh ashra-e-siddiq-e-akbar radhiallahu ta'ala anhu se mutaaliq hai
00:35aur aapki shaan duniya ke takriban tamam hisoon mein bayan ho rahi hai, lehaza humne bhi
00:41yeh irada kiya ke ahkaam-e-shari'at ka pehla hisa, pehla segment jo hai wo hazrat-e-siddiq-e-akbar
00:47radhiallahu ta'ala anhu ki shaan mein bayan kiye jaye, phir inshaAllah hum apne question
00:53answer session ki taraf aayenge, nabi-e-karim sallallahu wasallam ne jab makkat-ul-mukarrama
00:58mein Allah-e-tabarak-wa-ta'ala ki hukum se ilan-e-nabuwat farbaya, to aazad mardun mein
01:04balighan mein sabse pehle aap par imaan lana ka sharaf, Allah-e-ta'ala ne sayyidina-siddiq-e-akbar
01:11radhiallahu ta'ala anhu ko bakhsha, aap zamana-e-jahliyat mein bhi har kisam ki burai se door the na
01:19aapne kabhi buddh-parasti ki na kabhi aapne sharaab ko haath lagaya, kisi ne poocha jab
01:24aap imaan le aaye the zamana-e-jahliyat mein toh koi pabandi nahi thi toh aapne kyun sharaab
01:30us waqt nosh nahi ki, toh aapne farmaya ke maine ye dekha jo shuraafaan hein wo sharaab
01:36ki ke naaliyon mein gire hote the aur main is baat ko mahboob nahi rakta tha.
01:41Goya ki Nabi-e-Karim sallallahu wa ta'ala wa sallam ki ma'iyyat mein jis shahs ko Allah-e-ta'ala
01:47ka irada tha ki duniya aur aakhirat hatta ki jannat mein bhi saath rakhega, usse shuru
01:52se hi tamaam tar duniyawi alaishon, gandagiyon se paak-o-saaf rakha.
01:57Aur jab Nabi-e-Karim sallallahu wa ta'ala wa sallam ne ala ne nabuwat farmaya toh aap
02:00imaan lekar aaye aur us waqt imaan lana ka matlab ye tha ki apne poore khandaan, biradari,
02:08jitne kaarobari aapka halqa tha un sab ko apna dushman mana lena.
02:13Lihazab wo log jo pehle badi muhabbat se milte the unki aankhon mein nafrat pehda ho gayi
02:18jin ke rawayye bade musbat the, manfi rawayye ikhtiyar kar liye gaye, aapko majalis se
02:24door kar diya gaya, lekin aapne Nabi-e-Karim sallallahu wa ta'ala wa sallam ke liye,
02:29deen ke liye, Allah ke liye, har qisam ke nukhsan ko bardaasht kiya aur Sarkar ke saath
02:34rahe.
02:35Aur kayi dafa aisa hua ki jab Rahmat-e-Qaunayn sallallahu wa ta'ala wa sallam par maazallah
02:40kuffar ne zahir-e-taur pe hamla kiya, toh aap dhaal ban gaye.
02:44Aur aapko baaz uqat itna mara gaya, ki log ye samjhe ke shayad ye intiqal kar gaye
02:50lekin iske ba wujud aapne Rahmat-e-Qaunayn sallallahu wa ta'ala wa sallam ka saath na
02:55chhoda, yahan tak ki jab hijrat ka waqt aaya, toh sabse pehle log jo jaate rahe, Nabi-e-Karim
03:03sallallahu wa ta'ala wa sallam sab ko talqeen farmaate rahe, ki hijrat karen, lekin aap
03:08ko isharah kar diya gaya tha, ki aap nahi jayenge.
03:11Toh lihaaza aakhir mein, Hazrat-e-Ali radhi-Allah-u-ta'ala Anhu ko Nabi-e-Karim sallallahu wa ta'ala
03:18wa sallam ne, jis raat aapne hijrat firmaani thi, apne bistar pe lit aaya, aur firmaaya
03:23ki Ali ye logon ki amanatein hain, sabon ke hawale karke, phir aap tashreef liyaayega.
03:29Aur Syedna Siddiq-e-Akbar radhi-Allah-u-ta'ala Anhu se firmaaya, ki aap mere saath jayenge.
03:34Aur raat ki phir aakhri pahar aap log rawana hua, aur ye bada ma'ruf waqia hai, ki Siddiq-e-Akbar
03:39radhi-Allah-u-ta'ala Anhu ne do ooth Sarkari khidmat mein pesh kiye, jo pehle hi isharah
03:44paa ke aapne paalna shuru kar diye the khilab ilaake ke hum ispe hijrat karenge, toh ek
03:49Nabi-e-Karim ko bataore tohfa diya, ki Arsullah ye aap ke liye hai, Sarkar ne firmaaya kitne
03:54ka hai, toh Arsullah mein aapse paise loonga, Rahmat-e-Qaunayn sallallahu wa ta'ala ne firmaaya
03:59ki Abu Bakr agar aap paise nahi lehenge toh phir main isko nahi loonga, kyunki main chahata
04:03hun ki mera safar-e-hijrat khalisatan Allah-e-tabarak wa ta'ala ki rizza ke khatir hu, yaani main
04:09usse koi duniyawi nafaa, duniyawi hiz hasil na karun, chunachi phir aapne jitne mein liya
04:14tha, utne mein hi Nabi-e-Karim sallallahu wa ta'ala ko becha. Iske baad mufassireen likhte
04:20hain, seer nigaar likhte hain, seerat nigaar likhte hain, ki jab safar pe aap rawana hue,
04:26toh kabhi aap Nabi-e-Karim sallallahu wa ta'ala ke aage chalte hain, aur kabhi peeche chalte
04:30hain. Toh doh riwayate hain, ek mein toh khud Sarkar ne firmaaya ki, Abu Bakr aap isiliye
04:36mere aage chalte hain, ki jab aapko khauf maasus hota hain, ki koi aage se hamla karega,
04:41aur aap peeche isliye aajaate hain, ki jab aapko yeh khauf hota hain, koi peeche se hamla
04:44kar dega, arz ki arzulillah yehi baad hain. Aur ek riwayat mein khud aapne, arz ki arzulillah
04:49main isliye aage ho jata hu, ki agar koi khudana khasta aapko nukhsaan pohnchaye, toh pehle
04:53mujh tak wo nukhsaan pohnche, aap tak na pohnche. Aur isi soch ke saath main aapke peeche chalta
04:59hain. Toh yeh itne zyada close nabiye kareem sallallahu alaihi wa sallam ke saathi the,
05:04aur pehle saari zindagi aapne aapke saath guzaari, aur ispe inshaAllah hum mazeed fazail
05:09bayan karenge. Kuch muslim sharif ki ahadith hain, jo main arabic matan ke saath aapki khidmat
05:14mein zikr karta hun. Sahih Muslim ki riwayat hain, 6173 number. Hazrati Abdullah radiallahu
05:21ta'ala anhu iske raabi hain, wo kahte hain ki nabiye kareem sallallahu alaihi wa sallam
05:25ne shaad firmaya, ke lau kuntu mutakhidan min ummati ahadan khaleelan, ki agar main apni
05:32ummat mein se kisi ko apna khaleel banata, latakhastu aba bakrin, toh zarur abu bakr
05:39ko ikhtiyar karta. Khaleel usse kehte hain jo har kisam ke raaz mein shareek ho. Aur
05:45yakinan Allah ta'ala ke taraf se kuch raaz aise bhi nabiye kareem sallallahu alaihi
05:49wa sallam ko bataye gaye the, aise aapko maarifat haasil the, istara ki aapko hakikatin
05:54hain, aap parashkaar ho gayi the, jo sif Allah ta'ala aur apne habib ke darmian the. Aur
06:00khaleel wahi hota hain, jisse kuch nahin chhupaya jaata. Toh is wajah se Sarkar ishaad firbaha
06:04rahe hain, agar kisi ko main khaleel banata, toh abu bakr ko banata. Aur ek riwayaat mein
06:09hain, lekin tumhara khaleel toh, Allah ne toh apna khaleel apne habib ko banaya, mujhe
06:13banaya, mera khaleel toh Allah ta'ala hain. Toh yeh bas ishaara kar diya, ke khaleel toh
06:19nahin banaya, baqi sab kuch. Aur agar khaleel bante toh, fir aap hote. Iska matlab hain
06:24ki, nabiye karim sallallahu wasallam ki bargah mein, sab se qareeb tareen agar kisi ka maqam
06:30hai, toh was Siddiq-e-Akbar radhiya Allah ta'ala anhu ka hai. Ki agar Allah ki taraf
06:34se hijazat hoti, toh khillat aap ko hasil hoti. Iska tarah Muslim Sharif ki hadith
06:40hai, 6177 number. Aur yeh Hazrat-e-Amr bin Al-Aas radhiya Allah ta'ala anhu, iske raabi
06:48hain. Yeh khud biyaan karte hain ki nabiye karim sallallahu wasallam ne mujhe jaysh-e-salasil
06:53ka ameer bana kar bheja tha. Toh main aapki khidmat mein hazir hua. Yeh ek taweel waqiya
06:59uska aakhar hisa mein abzikar raho. Toh yeh kahte hain ki, faqaltu ayun naasi ahabbu ilaik.
07:04Ya Rasulullah, aapke naddiq logon mise sabse zyada mahboob kaun hai? Toh Syed Ayesha Siddiq
07:10radhiya Allah ta'ala anhu waha maujood thi. Unhone kaha, qultu minar rijal. Yani aapka
07:16question mardon ke baare mein hai. Ki kaun sabse zyada mardon mein zyada mahboob hai?
07:20Toh nabiye karim sallallahu wasallam ne firmaaya, abu haa, in ke walid. Yani Siddiq-e-Akbar
07:26radhiya Allah ta'ala anhu mujhe logon mein sabse zyada mahboob hain. Qultu summa man,
07:32main fir pucha, ki fir kaun? Sarkar ne firmaaya, umar. Fa adda rijalan, fir iske baada aapne
07:37aur bhi mard shumar firmaaye. Lekin sabse zyada aapne sarkar ne firmaaya, mahboob mujhe
07:43abu bakar hain, aur unke baad umar-e-farooq radhiya Allah ta'ala anhu hain.
08:13kisi pahloo se koi aapko zyada mahboob, kisi pahloo se koi zyada aapko mahboob. Lekin
08:19hazrat-e-Siddiq-e-Akbar radhiya Allah ta'ala anhu, har pahloo se aapko mahboob the, aur
08:24mardon mein sabse zyada aap unse mahboob karte the. Ek sahabi hazir hua, yasoolillah, qiyamat
08:29kab aayegi? Rahmat-e-Qaunayn sallallahu wasallam ne firmaaya, ki tumne qiyamat ki kya tayyari
08:34ki hai? Unha arz ki, yasoolillah mere paas nawafil ya kuch aur cheezon ki kasrat to
08:38nahi hain, lekin main Allah ta'ala aur uske rasool se mahabbat rakta hun. Nabi-e-Karim
08:43sallallahu wasallam ne firmaaya, ki al-mar'u ma'a man ahabba. Har shahs usi ke saath
08:48hoga, jisse usse ne mahabbat ki hogi. Aap andaaza karein unko ishaara kar diya, ki
08:53tum agar Allah rasool se mahabbat karte ho, Allah ta'ala burud-e-qayamat tumhe musse
08:57milwaayega. Aur jiske baare mein Nabi-e-Rishaat firmaaya, ki main usse sabse zyada mahabbat
09:02karta hun, aap andaaza karein ush shahs ki shaan ka aalam kya hoga. Aise hi Muslim
09:08Sharif ki riwayat hai 6189, number hadith-e-paak-e-6179. Iske raabii hain Hazrat-e-Jubair bin Mut'im
09:18radhi Allahu ta'ala anhu. Woh apne wali se riwayat karte hain, Hazrat-e-Mut'im ye
09:22bayan kar rahe hain, ki ek aurat Nabi-e-Karim sallallahu wasallam ke paas hazir hui, aur
09:27aap ne kisi shaih ka Sarkar se sual firmaaya. Fa amraha an tarji'a ilaih. Sarkar ne firmaay
09:33hai, tum abhi chale jao, baad mein mere paas haana. To usne arz ki, Ya Rasoolallah, arayita
09:38injeetu falam ajid. Ya Rasoolallah, ab iske baare mein kya raye rakhte hain, ki agar main
09:43aaun aur main aapko na paun. Raabii firmaate hain, ka annaha ta'anil maood. Goya ki us
09:49aurat ne Nabi-e-Karim sallallahu wasallam ke wafaat murad li. Ya Rasoolallah, agar main
09:53baad mein aayi aur aap Allah ki baargah mein tashreef le gaye, to fir main is muamla ko
09:59kis ke paas rakhungi. Sarkar ne firmaaya, fa illam tajidini, fa ati aba bakrin. Ki agar
10:06tum mujhe na pao, to abu bakr ke paas haana. To ye ishaara tha, ki Nabi-e-Karim sallallahu
10:12wasallam ke baad, Sayyidina Siddiq-e-Akbar radhiya Allah-u-ta'ala anhu ko is kisam ke
10:18tamam muamlaat, jo Sarkar chod kar jaayenge, unko karne ka ikhtiyar hoga. Aur logon ko
10:23Sarkar ne unke paas haazir hone ka irshaad firmaaya. Ye bahut badi shaan ki baad hai.
10:28Aise hi Muslim Shareef ke ayaat hai 6181 number. Sayyidna Ayesha Siddiq-e-Akbar radhiya Allah-u-ta'ala
10:35anha, iski raabiyan hain. Ye kehti hain, kaula li Rasoolallahi sallallahu wasallam,
10:41Musa-e-Rahmat-e-Qaunain sallallahu wasallam nishaad firmaaya, fi murdihi apne maradil
10:47maudh mein. Yani uss marad mein jisme aapne wafaad fai. Uda'i li aba bakrin aba ki wa
10:53akha ki. Ey Ayesha, mere paas apne waalid Abu Bakr ko aur apne bhai yani Abdul Rahman ko
10:58bulao. Hatta aktooba kitaban. Ye hatta ki main tumhe ek maktoob lik doon. Fa inni akhaafu
11:05an yatamanna mutamannin. Main is baad ko khauf rakta hun ki mere baad koi tamanna karne wala
11:12yatamanna karega. Wa yaqoolu qailun aur kahega koi kahne wala. Ana awlaa, ki main zada awlaa
11:19zada behtar hun. Wa ya'aballahu wal mu'minuna illa aba bakrin. Hala ki Allah-u-ta'ala bhi
11:26aur baqi mu'mineen bhi Abu Bakr ke ilawa ka inkaar karenge. Ye ishaara tha Nabi-e-Karim
11:32sallallahu wasallam ka ki mere baad Sayyiduna Siddiq-e-Akbar radhiya Allah-u-ta'ala anhu
11:37tamam mu'amilat dekhen aur khud wazit war pe Sarkar ne bayan farmaaya. Muslim ki sahih
11:43taneen riwayat hai ki Sarkar ne khud bayan farmaa diya ki na Allah razi hoga kisi aur se
11:48aur na mu'mineen razi honge. Isse bhi aapka wada maqam martaba zahir hota hai. Sahih Muslim
11:54ki riwayat hai 6182 number hadith-e-paak hai. Hadrat-e-Abu Huraira radhiya Allah-u-ta'ala
12:01anhu iske raavi hai. Ye kahte hain ki Nabi-e-Karim sallallahu wasallam ne ike martaba sual kiya
12:07man asbaha minkumul yawma sa'iman. Tummise kaun hai jisne roza daar hone ki haalat me subuh ki
12:15hai. Qaula Abu Bakr-in-ana. Hadrat-e-Abu Bakr-a-Nasr kiya sallallahu alaihi wasallam main
12:19hun. Aaj roze se hun. Fir Sarkar ne farmaaya faman tabi'a minkumul yawma janazatan. Tummise
12:26kaun aaj kisi janazah ke peeche chala hai. Inne janazah me shirkat ki hai. Hadrat-e-Abu
12:30Bakr-Siddiq radhiya Allah-u-ta'ala anhu ne arz ki ana main. Fir Sarkar ne farmaaya faman
12:35ata'ma minkumul yawma miskeenan. Tummise kisne aaj miskeen ko khana khilaya. Aap ne arz ki main
12:41hai. Faman aada minkumul yawma mareedan. Kisne marees ki aaidat ki. Arz ki main hai.
12:46Sarkar ne farmaaya majtama'ana fimri'in illa dakhlal jannah. Jisme ye tamam khaslat-e-jama
12:53ho jayein. Wo jannat mein dakhil hoga. Ishaara kar diya. Waze farma diya ki Siddiq-e-Akbar
13:00jannati hai. Allah-u-ta'ala inse muhabbat rakhne ki taufiq hata farmaaye. Muqtasar se aap break
13:04lenge. Hazir hote hain chhote se break ke baad. Bismillah-e-Rahman-e-Rahim. Pichle program me
13:09ek question tha. Uspe thoda se kalam reh gaya tha. Kisi khatoon ne bataya tha ki mera baarat
13:15saal ka beta hai. Aur wo jaiz nahi hai. Main shohar ko sach batana chahti hun. Lekin main
13:21dharti hun ki kahin mujhe talaq na de de. Kya hukm-e-shaara hoga. Toh humne aapko samjhaya
13:27tha. Muqtasar toh yahi tha. Ki jo saabiqa zindagi mein ho gaya. Aur ghalat hua. Aadmi ko uspe
13:32nadim hona chahiye. Sharminda hona chahiye. Allah-u-ta'ala ki baargaah mein kaamil tauba
13:37karni chahiye. Aur phir agar aap ye samjhte hain ki us gunaah ko zahir karna, fitna, fasaad ka
13:42sabab banega. Toh usko zahir na kare. Allah-u-ta'ala ki baargaah mein tauba kare. Aur khususan is
13:47kisam ki masayil mein ki jab aurat ne shohar ki maujoodgi mein kisi khiyanat ka irtiqab kiya
13:54hu. Toh usse aur zahir sharminda hona chahiye. Aur ab koshish karne chahiye. Kyunki hoga agar
13:59Allah-u-ta'ala ne chaha. Allah-u-ta'ala sab ko mua'af farmaaye. Lekin ye ho sakta hai ki
14:03mehdaan-e-mahshar mein aapke shohar ko aur jish shahs ke saath aapka ye mua'mla hua usse
14:08khada kiya jaye. Aur wo is khiyanat ka badla paye. Aur isme phir ruswaai ka mua'mlaat hain.
14:14Toh Allah-u-ta'ala se parda ki darkhas karein ki Allah duniya mein parda rakha. Aakhirat mein
14:18bhi. Lekin batana nahi chahiye. Jab Allah-u-ta'ala ne parda rakha toh parda rakhein. Haan apne
14:23shohar ke liye eesaal-e-sawab kasrat se karein. Jo bhi niki karein aap dua karein. Allah-u-ta'ala
14:28iska sawab mere shohar ko bhi pahunj jaye. Unke liye kuch sawab-e-jariya karein. Unke liye
14:33dua-e-bakhshish-o-maghfirat karein. Taake bahut saare ihsanaat aapke is shakal mein unke paas
14:38jamaah ho jayein. Aur meydan-e-mahshar mein Allah-u-ta'ala unhe aapse razi firmaaye.
14:44Isi tarah humaari wo bachiyan agar samaat firmaari hain jo baad uqat college life mein,
14:49school life mein, university life mein is tarah ki ghalat kaam kar baithti hain. Aur phir ye
14:54ek zameer par bojh hota hain. Aur shaitaan yeh mashwarah deta hain ki kisi tarah apne
14:58shohar se share karke muaf karwa lo. Taake yeh bojh utre. Phir wo bojh utarta nahi hain.
15:03Balke aur chad jata hain. Ek sister ne mujhe bataya ki unke shohar ne unse kaha ki chalo agar
15:08tumhare kuch affairs hain the tumhe wazi mein tum batao. Jo mere the main batao. Pehle kaha chalo
15:13main bata deta hain. Ek do bata di. Us ladki bhi himmat pehda hui. Usne bhi kuch cheezein zikr
15:17kardi. Shohar gusse mein aagaya aur usko talaag de di. To phir is kisam ke masayil hota hain.
15:23Aapki ek normal life guzar rahi hain. Allah ka shukra da karein. Chahe mard kitne hi wasi
15:28zehin ka apne aapko zahir kare. Lekin mard mard hota hain. Aurat aurat hoti hain. Aur mardon ki
15:33ghairat maine is muaamle mein bohos zyada dekhi hain. Ek dafaa zihan mein yeh khayal aaja hai ki
15:37mere zauja ne cheating ki hai. Iske baad wo normal life ne guzar sakta. Uske jazbaat mein,
15:43uski feelings ke andar wo mazbooti nahi rahegi. Wo gehrahi nahi rahegi. Balke wo har lama yeh
15:48sochega. Shaitaan balke daalega. Ki yeh tere saath ab bhi cheat kar rahi hogi. Kya pata.
15:53Toh istara apni azdawaji zindagi ko kharab karna bilkul durst nahi. Aur na isi tariqah se
15:59koi bhi kisi se apne gunah ko share kare. Yad rakhein jab Allah ne parda rakha hai toh apne
16:04gunah ka izhaar bhi gunah hota hai. Baaz oqaat hum apne friends ke darmian aur khaas toh aur pe
16:09ladkiyan ek doosre se apne gunah share kar rahi hoti hain. Musse aisa hogaya aisa hogaya. Hargiz
16:13na bayan kare. Bilkul khamush. Chahe koi apna bayan kar raha ho. Usko mana karein ke bhi na
16:18karein. Aur koi kar ke yeh kahein ki humne toh bata diyo. Tum bhi batao dekho chhupao nahi.
16:23Aap bilkul na bataein. Khamush rahein. Aur Allah ne parda rakha hai toh parda rakhein. Warna
16:29batana bhi gunah hai. Aur humne dekha hai ke baad mein bohot sare log blackmailing bhi karte hain.
16:35Ek bhai ne pucha ki aurat khushbu kaisi lagaye aur mard ki khushbu kaisi huni chahiye.
16:41Dekhein ba hukm-e-hadees toh aisi yehi hai ke mard aisi khushbu lagaye jo phale.
16:45Woh laga sakta hai. Aur aurat aisi khushbu lagaye jiska rang toh zahir ho lekin khushbu bahut
16:51zyada na phale. Koi bhi aisi khushbu jo zamane ke andar hogi. Yeh ghanis-e-baat-e-zamane ke
16:56aitbaar se khushbu-ein muhtalif hoti hain. Baaz log is kisam ke jawab sunke mazaak udana
17:01shuru kar dete hain. Yani huni aur koi dilchast bhi nahi hoti. Hadeeson ka mazaak udanein.
17:05Udaatein woh shahsiyat ka mazaak hain. Uski baat ka mazaak. Lekin yeh sochtein ki yeh toh
17:09hadees ke alfas the. Tum inka nahi Allah ke nabi ka mazaak uda raho. Aur maidaan-e-mahashar
17:14mein yeh itne zalil-o-ruswa hone wale hain jiska koi intiha nahi. Har cheez ka mazaak bana lenge.
17:19Koi bhi shari masla biyaan kar raha hoga. Usme beech mein kisi ka yes, ha no, ha aur bolo,
17:24ha yeh aur hasika dikha denge yeh woh. Ek latifa bana dete hain aur is tariqah se ek mazabi baat
17:29is qadar logon ke maabain mazaak ka nishana ban jaati hai. Aur amare youngster toh aapko
17:34pata hai unko na A B C aati hai, deen ki na kuchh, na deen seekha hota hai. Woh isse hi zanaf
17:39saasil kar rahe hota hain. Aur achhe khaase deeni masail jo ulama ne likhe hain. Aur unke
17:44peeche logic hai, uske peeche sharai dalail hain. Lekin yeh baaz aise tola hai, jo beechare apni
17:50kamakli mein unhe mazaak mein karke is tara bana dete hain, koi log apni akharat ko barbaat
17:56kar rahe hota hain. Toh aurat aisi khushbu lagaye jo bahut zyada na phele. Bilkul halki phulki
18:01khushbu. Khushbu kaise bhi lagayegi laazim baate, doosra tak toh pohnch di pohnch. Kitni bhi halki
18:05laga le aap. Murad yeh ke bahut zyada na phele. Aisi khushbu lagaayen. Aur isme bhi ek tafseel
18:11yeh hoti hai, baaz bhai mutlaqan mana kar dete hain, aurat khushbu laga sakti hain. Baaz okaad
18:16is tara ki gathering hoti hai, is tara ka maahol hota hai, ke aap apne ghar se khushbu lagayi,
18:21neeche ghaadi ke andar, ghar mein ghaadi khadi hai, ghaadi mein bethe, ghaadi se seedh us
18:25maafil tak pohnche. Aur aurton ke section mein chale gayi aurat. Aap aurat hi hain,
18:29waha mard hai hi nahi. Toh wo khushbu chahe, thodi si phelne wali bhi laga le, ke ghar mein
18:33mahram the, phir ghaadi mein bethi, ghar mard tak khushbu nahi pohnche, aur waha pe sari
18:38aurat hai. Toh isme koi masalah nahi hai. Asal yeh hai, aurat khushbu laga kar is tara
18:43nikle, ke wo khushbu phele, aur ghar mardon tak pohnche, aur wo aurat ki taraf mutawwajye
18:48hun. Aisi khushbu nahi lagane chahiye, isko hadees mein zaniya kaha gaya hai. Ke aisi
18:53aurat zaniya hai. Lekin zaniya se murad, maadallah, summa, maadallah, wo zina nahi.
18:56Baaz uqad Nabiye Kareem Sallalahu Wasallam kisi fail ki qabahat ko bayan karne ke liye
19:00istara ki alfaz istimal karte hain. Wo haqiqatan koi zaniya nahi hai. Lekin wo murad yeh hai
19:05ke mushabahat zaniya aurton kisi ki, wo khushbu laga kar ghar mardon ko maail karti thi.
19:10Ab yaha garche aurat ka mayalan ke irada nahi hai, lekin phelne wali khushbu lagai,
19:14isliye usme ehtiyat karein. Ek caller hamare saath hain, pehle call lenge. Assalamu Alaikum.
19:19Walaikum Assalam.
19:20Jee bhen.
19:21Mushti sahab mere aap se deen soala thi.
19:24Jee bhen.
19:25Hamare mahalle mein agar kisi ki wafat ho jaye to uski bhiwi ko uske maaike wale
19:34safed kalar ka naya dupatta aur nahi chappal pehna the to kya yeh sharan jahil hai?
19:40Yani ghar mein la ke pehnaate hain aur udhar hi pehna date hain?
19:43Haan, uski shohar ke wafat ke foran baad udhar hi, uske ghar thi.
19:48Safed dupatta aur jooti?
19:50Haan haan, par bilkul nahi.
19:52Acha acha, theek hai aur?
19:55Aur mera doosra khawal hai ki kya zarahi zameen pe zakat banti hai?
19:59Kis par?
20:00Zarahi zameen.
20:01Acha, theek hai aur?
20:03Aur agar banti hai to iska nisab kise karein?
20:06Theek hai, aur?
20:10Ek aur caller hain, Assalamu Alaikum.
20:13Walaikum Assalam.
20:14Jee bhen.
20:15Mufti sahab, Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu.
20:19Walaikum Assalam.
20:19Mera pehla sawal yeh hai ki,
20:23hadees hai ki jiska aaj guzre hui qal se behtar na ho to wo barbaad ho gaya.
20:28To yeh puchna hai ki kya yeh hadees hai?
20:31Aur doosra yeh ki agar hadees hai to iska?
20:35Jee.
20:35Aur agar yeh hadees hai to iska matlab hai?
20:40Theek hai, batata aur?
20:42Aur doosra mera question, doosra question jee hai ki meri aankhon ke saamne waqehi
20:47ek kamari khandaan ki aurat hai unpe, unke waaldain ne bahut zyada mazalim dhaaye hain.
20:54Hatta ki unki shahadat tak jaanbooj ke nahi ki.
20:57Abhi uske waaldain fot ho gaye.
20:59Aur wo kabhi kabar unke moon se, yeh aksar waaldain ki heebat ho jati hai.
21:04To isme wo gunaagaar hongi.
21:06Theek hai, batata aur.
21:07Inshallah.
21:08Arz karta.
21:10Yeh behen ne firmaaye ki yahan jab humare wafaat hoti hai to bewa ko foran safayad
21:15naye kapde, safayad jutey aur gharah pehnaaye jati hain.
21:17Kya hukm-e-sharay?
21:19Theek hai, shariyat in cheezon ka koi talqin nahi karti hai.
21:22Balke zeenat ikhtiyar karna aurat ke liye hartara mana hota hai.
21:26White kapda bhi agar bahut zyada shokhi wala ho, resham wala ho, to usme bhi ek zeenat
21:31ka muamla ho sakta hai.
21:32Aurat ko to chahiye ki jaise shohar fauth ho, wo iddat aur soog dono manaaye.
21:38Iddat ka matlab to hai nikah se ruk jana aur soog ka matlab hota hai izhaar-e-gham.
21:42Chaar maah, das din tak wo na koi make-up karegi, na koi matlab zivar waghara pehnegi,
21:49na wo tel waghara sarme lagayegi.
21:51Haan, agar kisi aurat ke pehle se aadat chali aa rahi hai ki wo tel lagati hain aur agar
21:55na lagayen to sarme bahuti khujli waghara ho jayegi, khushki bahut zyada ho jayegi.
22:00To waqadr-e-zaroorat tel lagayen, wo bhi sar dhakke rakhein ki door se zeenat mahsoos
22:03na ho aur make-up waghara istimal na karein.
22:06Baag hai yeh nit nahi khuraafaat khususan chuka iddat aur soog ka taaluk humare mazhab
22:10ke saath hai.
22:11Mazhab ne iske taalimaat di hai baqaida.
22:14Inne mein agar koi izafa karenge, to aista-ista wo ek mazhabi rasam si ban jaati hai.
22:19Aur hakiki rasam to hoti nahi, to fir yeh bid'ad banti hai.
22:22Jaise bahut se khandaanon mein hai ki jab aurat ki iddat khatam hogi, to wo apne bhai
22:26ke ghar jayegi.
22:27Fir bhai usko zivar bana ke dega, chaar sonay ki chudiyan ya chaar chaandi ki chudiyan,
22:32naya suit, fir yeh apne ghar wapas aayengi.
22:35Yani iddat ke baad yeh ghar se bahar qadam nikalwana hai, aur bhai ke upar ek azaab naazil
22:40karna hai.
22:40Haala ke aisi koi shariat ne talqin nahi ki, yeh zabardasti hai.
22:44Is kisam ki main pehle apne ghar ke sarparustan se guzaarish karta hu.
22:48Is kisam ki bid'aton ko khatam karein.
22:51Jo mazhab-e-Islam ki rooh ko tabah karne wali hai.
22:54Naye-naye cheezein karke apne bachon ke saamne pesh kardein, ki beta yeh hume karna hai.
22:58Asli deen kaha hai, wo bachon ko pata hi nahi hai bilkul.
23:01Ghalat deen, apne paas se eejaad karda cheezein apne ghar mein raish karna, yeh ghar par
23:05karke sarparust ke zimmedaari hai.
23:07Ya ayyuhal ladheena aamanu, qu anfusakum wa ahlikum naara, wa quduhan naasu wal hijara.
23:13Ey imaan walo apne aap ko, apne ghar walon ko, jahannam ki usaag se bachao, jiska eendhan
23:18aadmi aur patthar hai.
23:19Is kisam ki har khuraafat ko khatam karein.
23:22Chahe poora khaandan naraaz ho jayein, bole ho jao naraaz.
23:25Hum yeh khuraafat nahi karenge.
23:27Hamara mazhab jo nahi kahta, hum wo nahi karenge.
23:30Is kisam ki cheezein karke, ab bhai bichara ghareeb aadmi hai, chaar sona ki chudiyan banao,
23:35wo nahi hai to chaandi ki chudiyan banao, ek joda banao, nahi karenge to hum naraaz ho
23:40jayenge.
23:40Yeh kya cheezein hai?
23:41To in cheezein se bilkul bachayen, to yeh safayat jooti-booti karne ki koi haajat nahi
23:45hai, bilkul ghalat hai.
23:46Baharaal agar koi na maane, aap jagda na karen, khud aleda rahen, aur apne ghar mein in
23:51cheezein ko raish na karen.
23:54Dekhin zarai zameen par koi zakat nahi hoti, uski pehdawaar par zakat hoti hai.
23:58Agar to wo zameen qudrati wasaail se sehraab hoti hai, yehni aapko paani khareedna nahi
24:03padta, nehron ka paani, jo government ka nahi keh raha hu, waisi nehron ka, aur baarish
24:07ke paani se sehraab hoti hai, to ushar ispe laazim hota hai, pehdawaar peh daswaan hisa.
24:12Aur agar aap baqaida tax dete hain, yeh tuval waghara chalata hain, yeh nehar se jo paani
24:16aata hai, uski aap baqaida payment dete hain, to nisf ushar, beeswaan hisa phir wo zakat,
24:21pehdawaar ke upar nikalti hai, lekin zarai zameen maal-e-tijarat nahi hai, is wajah
24:26se yeh maal-e-zakat bhi nahi hoti hai.
24:29Yeh kehti hain, koi hadees hai, ki jis ka aaj guzri hua kal se behtar na ho, to wo barbaad
24:34ho gaya.
24:35Aise koi riwayaat to mere zahain mein nahi hai, lekin baaral agar is kisam ke mazmoon
24:40ki ho, to muraad yeh hai, ke har din, insaan ko apna ihtisab karke, saabiqa din me hone
24:46wali ghalatiyon pe nigha rakhni chahiye, aur agla din uska usse behtar hona chahiye.
24:51Isliya Kabri ne firmaaye, ki roodana raat ko apna ihtisab karein, ki maine aaj kya khoya,
24:56kya paaya.
24:57Jitne nek aamaal aapne kiye, unko zahin mein laayen.
24:59Jitne guna aur fuzuliyaat huye, bekaar kaam huye, unko zahin mein laayen.
25:03Bekaar kaam ho, fuzul ke upar Allah ki bargah mein tawbah karo, aur aindah iraadah karein,
25:07ki next day mera iska ratio change hoga, nek aamal zyada honge, guna kam honge.
25:12Agar yeh aadat nahi banayenge, to laadhim baat hai ke tabahi hai.
25:15Agar aadmi ihtisab hi nahi kar raha hai, aaj 10 guna kiye hain, agla din 50 guna karega,
25:19usse agla din 100 guna, aur phir phirishta aa jayega, aaye sahib aapki jaan wapas.
25:24Sidh ji ko fikar thi, ik ek ke 10-10 kijiye, maut aap pahunchiye ke sahib, jaan wapas kijiye.
25:30Isliya mazmoon ke aitabar se yeh cheez bilkul theek hai.
25:33Ek muqtasar break lenge, humein yaqeen hain aap hamara intizaar farmaayenge.
25:37Bismillahir Rahmanir Rahim, behan ne firmaaya, ki meri nigaahon ke saamne koi family thi,
25:42unke parents ne apne aulad ke saad bahut naarawa suluk rakha, mazalim kiye,
25:47hatta ki unke shaadi bhi nahi kiya, wa parents faut ho gaye.
25:50Aap agar aulad unki gheebat karti hai, burai karti hai, toh kya hukm-e-sharah hoga?
25:54Dekhein pehli baat toh yeh ki, murde ki gheebat karna bhi aise hi hai, jisse zinda ki gheebat karna.
26:01Aur nabiye karim sallallahu alaihi wa sallam ne khaas toh pe murdo ke baare mein firmaaya,
26:05ki unke achhaaiyan bayan karo, unki burai bayan na karo.
26:09Hazrat-e-Umar-e-Farooq radhiAllahu ta'ala noon kaha karte the,
26:12ki murde ki burai bayan na karo, jisse zinda ko aziyat hoti hai.
26:15Toh liyaan-e-azaz jo ho gaya, so ho gaya.
26:18Unko gheebat karke apna naam-e-amaal siyah karne ka koi fayda nahi hai.
26:22Doosri baat yeh hai, ki maabaap musse naraaz na hoon.
26:26Pehli toh main aulad ko talqin kar deta hoon.
26:28Yaad rakhein, ki wo aapke maabaap hain.
26:31Aapne unko maabaap ki haisyat se Allah ta'ala ke tohfe ke taur pe qabool kiya hai.
26:37Wo aapke koi business partner nahi hai.
26:39Wo aapke unki izzat aur unki zillat ka mayaar,
26:43koi unse hasil hone wale mafadaate zatiyah ko na banaye.
26:48Ki hamaare maabaap hamaari marzi ke mutaabik hame neemat-e deyen,
26:51suhuliyat faraam karein, tutus aur aankho par.
26:53Aur agar unhone hamaari marzi ke khilaf kiya,
26:56toh hum doh minute me unki izzat utaar ke haath pe rakhein ge.
26:59Aisa hargiz nahi.
27:00Nabi-e-Karim sallallahu wa sallam ne jab fayan farmaya,
27:03ki maabaap insaan ke liye jannat hain, ya doozakh hain,
27:05farmabardaari karega jannat mein jayega,
27:08aur na farmani karega toh jahannam mein jayega.
27:10Toh kisi ne arz ki, wa in waulamaahoo,
27:13agarche maabaap uspar zulm karein.
27:15Sarkar ne teen defa farmaya,
27:16wa in waulamaahoo, wa in waulamaahoo, wa in waulamaahoo,
27:20agarche uspe zulm karein, agarche zulm karein, agarche zulm karein.
27:24Yani aulaat ko chahiye ke maabaap ke baare mein
27:27jo sharai taqaza hai usko poora karein.
27:30Yaha tak toh aulaat ke liye talqeen hui.
27:33Ab mein intihai daar-e-adam mein reh kar maabaap se guzarish karta hu,
27:36ke agar aapne shariat na seek kar,
27:39yeh samjha hai ke aulaat aapki ek aisi property hu gayi hai,
27:44ek aisi aapki milqat mein cheez aa gayi hai,
27:46ko uske saath jaisa marzi rawayya rakhein,
27:49maidaan-e-mahashar mein hamari gharif nahi hogi,
27:51toh is sabse badi aapki mistake hai,
27:53bohot badi mistake hai.
27:54Nabiye Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne adal ka hukum diya,
27:57apne bachon mein adal se kaam lo,
27:58agarche bosa dene mein.
28:00Iska matlab yeh hua,
28:01ke maabaab bhi apne aulaat ka saath jo rawayya ikhtiyar kartein hain,
28:05ispar unhe maidaan-e-mahashar mein Allah ta'ala ki baargaah mein jawab de hona hai.
28:09Aulaat ko aapki aisa property hu gharif nahi hogi,
28:12iska matlab yeh hua,
28:13ke maabaab bhi apne aulaat ka saath jo rawayya ikhtiyar kartein hain,
28:16ispar unhe maidaan-e-mahashar mein Allah ta'ala ki baargaah mein jawab de hona hai.
28:21Aulaat ko aapki aisa property hu gharif nahi hogi,
28:23iska matlab yeh hua,
28:25ispar unhe maidaan-e-mahashar mein Allah ta'ala ki baargaah mein jawab de hona hai.
28:30Aulaat ko maine pehle keh diya,
28:31ke aap ihtisab nahi kar sakte,
28:33aap ke liye hukum hai,
28:34fala taqullahumma uffiyun wala tanharhumma,
28:37wa qullahumma qawlan kareema.
28:39Apne maabaab ke saamne uff bhi mat kaho,
28:41unko daato mat,
28:42aur unse narmi se guftu karo.
28:44Lekin main maabaab se guzarish karta hu,
28:46aap ke paas wo kaunsi ayat aur kaunsi hadeesin hain,
28:48ke apne aulaat ko jaanwaron ki tarah maarein,
28:51choti si ghalati ke upar unke taange toddein,
28:53sab ke saamne,
28:54bade bachon ke,
28:55chote bachon ke saamne zalil karein,
28:57bezzat karein,
28:57mehmanon ke saamne karein,
28:59jisko chahein qareeb karlein,
29:00jisko chahein door kardein,
29:02apne zaati mafadaat ke liye kisi se saal-o-saal naraz rahein,
29:05unko badduaayin deyin,
29:06fitkaarein karein,
29:07to aapki koi gharif nahi hogi aakhirat mein,
29:10kya dalil hai aapke paas chalein,
29:11pesh karein.
29:12jo maabab apne aulaat ke saath na-insafiyah karenge,
29:15zulm karenge,
29:16phir dhohra detaun,
29:17aulaat ko haq nahi ke unka haath pakarain,
29:20lekin Allah ta'baarak wa ta'ala
29:21barooz-e-qiyamat-e se maabab ko khada karke
29:23hisaab-kitab dilwaayega,
29:25isliye apne aulaat ke liye ilm-e-deen seekhein,
29:28apne aulaat ki shaadion ke silsile mein,
29:30unke saath rawayye ikhtiyar karne ke,
29:33unke dar mahabbat takseem karne ke ahitbaar se,
29:35unse agar aap doori ikhtiyar karein,
29:37isme sharri taqaaz-e-pooray karein,
29:39warna bohot saare maabab apne aulaat ki wajah se bhi
29:41meydan-e-mahashar mein pakarain jaa saktein hain,
29:44liyaadha koi agar aise maabab hume sun rahein,
29:47jo yeh samjhtayin ke aulaat ke saamne,
29:48choti si ghaliti mein maaro, peeto,
29:50bheezat kardo, zaleel kardo,
29:52tofe rok lo, unko qata taalluk kar lo,
29:54humari toh koi gharif nahi hogi,
29:56kyunke hum maabab hain,
29:57toh phir zarra daleel ispe jama kar lein,
29:59taake meydan-e-mahashar mein aap yeh pesh kar sakein,
30:01ki yeh dalaeel the jiske roshti mein,
30:03humne apne aulaat ke saath yeh zain bana liya tha,
30:06ki hum kitni bhi na-insafi karein,
30:08kaise bhi ghalat rawaye ikhtiyar karein,
30:09humari toh kumaskam koi gharif nahi hogi,
30:11toh inshaAllah saari zindagi aapko milega nahi,
30:13yeh zaroor milega,
30:14jahan jahan zulm karne ki mumanaat hain,
30:17usmein sab shamil hotain,
30:18chahe wo alaad ho, bibi ho, shaur ho,
30:20bachay ho, dost ho,
30:22sabko adl-o-insaf ka hukum hain,
30:24sabko buraayin su rukne ka hukum hain,
30:26aise maabab jo apne aulaat ke saath itna naam aur hai,
30:29yeh toh aap beta yeh keh rahi hain,
30:31main jaanta huna,
30:33jo log apne-apne dukh humein bayan kartein,
30:34mera mobile bhara pada hai,
30:36aise dukhon ke saath,
30:37ki maabab hain,
30:38lekin aulaat ke saath itna ghar munasib rawaye,
30:41jaise dushman bhi koi apne aulaat ke saath rawaye nahi rakta,
30:44aur yeh,
30:45aakhari baat ismein bas yaas karunga,
30:47aisa kyun hua,
30:48isper aap kyun nahi ghor karte,
30:50isliye hua ki unke maabab ne unki tarbiyat nahi ki thi,
30:53unhone ne deen nahi seekha tha,
30:55unhone na apna ihtisab nahi kiya tha,
30:57unhe meydan-e-mahshar mein,
30:59ihtisab ka sahi shaaoor hasil nahi tha,
31:01toh jitne mujhe is waqt dekh rahein,
31:03khudara apne andar hi shaaoor bedaar karein,
31:05ilm-e-deen seekhein,
31:07jo unmarried apne maabab ke shikayate kar rahein,
31:09agar aap ne deen nahi seekha,
31:11toh sirf kirdaar badlega,
31:13amal wohi rahega,
31:14aap bhi agar jahil rahein,
31:15toh aap apni aulad ke saad aisa nahi,
31:17toh doosri jihad se aap zulm kar rahein hunge,
31:19kyun nahi khatam kartein apne khandaan se in cheezon ko,
31:22jiski bina par aapne dekha,
31:23ki poori zindag zulm ki chakki mein bachay piste rahein,
31:26toh aap koshish keejiye,
31:28ilm-e-deen seekhein,
31:29apne ghar mein shariyat ko raij karein,
31:31aur apne ush shariyat ke roshni mein,
31:32apne rawayiyon ko,
31:33apne akhlaaq,
31:34apne kirdaar ko sawarein,
31:36dhalein,
31:36inshaAllah fir agli naslein jo hain,
31:38wo achche asraat qabool karengi,
31:40upar walon ke toh shikayat karte rahein,
31:42apna ehtisab na karein,
31:44ye khud patayi na ho,
31:45ki hum khud bhi naadanista tohr pe,
31:47pachaso cheezon mein zulm ke murtakib ho rahein,
31:49aur badon ki ghibate karte rahein,
31:51toh aisa toh bichara naadan aadmi hi kehlai jaa sakta hai,
31:54ye kahtein ki suna hai,
31:56ki jis durood mein aal-e-rasool par durood na ho,
31:58wo radh ho jata hai,
32:01ar radh ka toh ye bhi baaz riwayaat mein hoga,
32:03lekin muraad ye hi hai,
32:04ki sawab mein kami ho jati hai,
32:06aur ye naqis aur na mukamal hota hai,
32:08nabiye kareem sallallahu alaihi wasallam ke saath,
32:10aapki aal par aur aapke ashaab par bhi,
32:12balke durood-e-paak bhejna chahiye,
32:14kamas kam aal par toh hona chahiye,
32:16aur ye kaamil durood-e-paak kehlaata hai,
32:18aur ye karna chahiye,
32:20aur lekin aisa nahi hai,
32:22ki agar aapne aal par durood nahi bheja,
32:24toh wo qabooli na ho,
32:26kyunki hum hadithon ki kitabon mein dekhte hain,
32:28boh zagah padhaaye,
32:30toh sallallahu alaihi wasallam,
32:32budurgan-e-din likhte hain,
32:34toh sallallahu alaihi wa aalihi wasallam,
32:36bahut hi kam likha hota hai,
32:38sallallahu alaihi wasallam likha hota hai,
32:40hala ke yaha par aal par durood-e-paak nahi,
32:42aur bade bade akabirin ne likha hai,
32:44toh lihaaza duno jaanib mein,
32:46ki ahtedaal khayam karke masleh ko beyan karna chahiye,
32:48ye kahte hain ke,
32:50jab koi marta hai,
32:52toh ghar wale 40 mein tak,
32:541-2 lakh ke neeche aajaate hain,
32:56soyam karein, 10 wa karein,
32:5810 wa karein, 10 wa karein,
33:0040 wa karein,
33:02ghareeb kahan se itna paisa lekar aaye,
33:04kya ye shariyat ke mutaabik hai,
33:06dekhe hamaare akabirin ne,
33:08ahadees se sabit shuda,
33:10isaal-e-sawab ka tasawwur,
33:12logon tak pesh kiya,
33:14unhone toh nahi kahata hai,
33:16tum zulm ki surat khayam karo,
33:18unhone ek cheez ka tasawur diya,
33:20jo quran-e-hadees se sabit shuda tha,
33:22uske limitation, conditions bhi beyan kar di,
33:24ki aap agar chahein,
33:26teesr-e-din zaruri nahi tha,
33:28kisi bhi din kar lein aap,
33:30logon mein maroof ho gaya,
33:32teesr-e-din sare jama ho jayenge,
33:34ishtimai tohr pe ho jayega,
33:36phir dasme din, phir bheesme, phir chalisme,
33:38phir barsi, ek saal ke baad,
33:40ye logon ne takhsisaat kar li hoti hain,
33:42agar isko lazima zaruri na samje,
33:44toh main pishliye programs me bata chuka hun,
33:46ye mana nahi hain,
33:48jaise hamaare idaro ke andar,
33:50khatme bukhari ke liye time maqsooz,
33:52ek saal kab khatam hoga,
33:54jamaat ke auqaat maqsooz kiye hain,
33:56humne kiye hain, koi quraniye hadees nahi hain,
33:58nabiye kareem sahaba karam ne nahi kiye hain,
34:00jab ye takhsisaat jahis, toh ye bhi jahis,
34:02lekin muamala kya hua,
34:04ki awam-un-naaz jab cheez ko le leti hain,
34:06cheez le leti hain,
34:08lekin jo uske conditions hoti hain,
34:10jo usme limitations, quyudat beyan hoti hain,
34:12unhe bhool jati hain,
34:14aap je teejah karna lazim hai,
34:16aur phir wo ek aad deg bhi nahi hogi,
34:18chacha mare toh dus de ke pakhi thi,
34:20teejah chaliswab nahi karenge,
34:22toh aap ko bura bhala kaha jayega,
34:24narad ho jayenge,
34:26aap ke aqeedah ke upar shuba karna shuru kar diya jayega,
34:28ye khuraafate humare hain shamil ho gayi hain,
34:30isaal-e-thawab faqat mustahaba amal hai,
34:32teejah, chaliswab, daswab,
34:34biswab, barsi, karna chahen, karen,
34:36nahi karna chahen, koi guna nahi,
34:38lekin koi kar raha ho,
34:40aur usko lazim zaruri samajh ke na kar raha ho,
34:42usko mana karna ye bhi ek ziyadati hai,
34:44isaal-e-thawab karne de,
34:46lekin jaisa ke aapne ishaad firmaya,
34:48ek aadmi, ghareeb aadmi,
34:50ek do laag ke neeche aajaata hai,
34:52muraad kya hai,
34:54karza le le ke karna,
34:56kya nahi karenge,
34:58log kya kahenge,
35:00jab aap logon ko dikhane ke liye aisa karenge,
35:02toh sawab bhi nahi milega aapko bilkul,
35:04ye toh riya ke andar aayega,
35:06balki aakhirat mein ispar azaab hoga,
35:08tumne Allah ke liye toh nahi khana khilaya tha,
35:10tumne toh logon ke taano se bashne ke liye khilaya tha,
35:12isaal-e-thawab mana nahi hai,
35:14lekin koi farziya wajib nahi hai,
35:16aapne upar bahut zyada bojh leke karne ki haajat nahi hai,
35:18chand logon ko khana bula ke khilana chahein toh,
35:20wana ghar mein pakaayen,
35:22mahalle mein takseem kardein,
35:24niyat ye karein ki main Allah ke liye main pakaya,
35:26sawab Allah dega,
35:28qurb bhi mujhe Allah ka chahiye,
35:30bas jo iska sawab milega,
35:32main iska sawab fulaon ko bhi isaal kar raha hoon,
35:34kaafi hai,
35:36balki jo khuraafatein humne bana liye hain,
35:38ye bilkul ghalat hai,
35:40aur koi bhi sahi aalim-e-deen,
35:42inki kabhi hausla afzai nahi karega,
35:44ye jahil kisam ke liye,
35:46ko khane peene wale hotein na ghalban,
35:48wohi inki hausla afzai karke,
35:50aur isko farziya wajib kisa darjah de detein,
35:52aisa hargiz nahi karna chahiye,
35:54ek iswaal hum se kiya gaya tha,
35:56ke main artificial jewelry sale karta hoon,
35:58toh kya ispar bhi zakat hogi,
36:00dekhein waise toh ye maal-e-zakat nahi hota,
36:02agar kharid-o-furokht ke liye nah hota,
36:04agar kharid-o-furokht ke liye nah hota,
36:06tijarat ke liye nah hota,
36:08toh artificial jewelry pe zakat nahi hoti,
36:10sona chandi pe hoti hai,
36:12lekin jab aapne isko beshne ke liye rakha hai,
36:14toh yeh hai maal-e-tijarat,
36:16aur jab aapki dukaan mein,
36:18is tarah ka bahut saara maal ho,
36:20purah jab saal guzar jaye,
36:22toh saare maal ka hisaab karein,
36:24aur us jitne keemat maaliyat ka banein,
36:26agar wo saare baawan tohliya jaandhi se zyada ka ho,
36:28toh phir 2.5% uske zakat aapko nikaal nahi hogi,
36:30aapki upar is tarah paaw rakkar quran-e-paak padh sakte hain,
36:32yeh nahi,
36:34dekhein yeh sitting jo hai,
36:36yeh mutakabbirana se sitting hai,
36:38aur ek quran ke adab ke munafi hai,
36:40haan agar koi bimaar hai,
36:42wo neechi baith ke nahi padh sakta,
36:44uski kamar mein dard hai,
36:46agar seedhe-seedhe paaw rakkar thak chuka hai,
36:48thodi dekh ke liye upar rak liye,
36:50toh chalein gunjaish niklegi,
36:52lekin ek quran ko madallah haqeer sa samajh kar,
36:54maamuli samajh kar,
36:56aur aisa baith ke paaw rakkar,
36:58yeh quran ke ihtiram ke munafi hai,
37:00agar cheh mein isko guna nahi keh raha hai,
37:02lekin yeh adab ke khilaf hai,
37:04hamein hamesha jo bhi accha amal karein,
37:06wo kis ke liye kar rahein,
37:08yeh dekhein,
37:10kis zaat ki nigaahon ke saamne kar rahein,
37:12yeh dekhein,
37:14uske liye phir hamein ek acchi hayat ikhtiyar karna,
37:16ek acchi soorat banana,
37:18jo adab wali soorat ho,
37:20yeh ansab-ur-aula hota hai,
37:22baaghi jaise aazaar mustasna hote hain,
37:24agar aap takleef mein hain,
37:26aur thak chuke hain,
37:28toh phir aap position change kar sakte hain,
37:30warna adab-e-ihtiram yeh hi hai,
37:32ke paaw-garas seedhe rakke takiya rak lein,
37:34uske par quran-e-paak rakkar padhein,
37:36ab apne mezban ko,
37:38qtb ki poori team ko,
37:40ijazat marhamat farmaayin,
37:42inshaAllah next day aap se dubara mulaqat ke sharaf hasil hoga,
37:44us saqte ke liye apna khayaal rakhein,
37:46aur koshish karein ke deen ki talimat ko aam karne ke jihad ke silsile mein,
37:48amare saath mil jayein,
37:50qtb jahalat ke khilaf ars-e-daraas se jihad kar raha hai,
37:52aap bhi koshish kijiye,
37:54ki jahalat ke khatme ke liye,
37:56apne ataraf mein ilm ke shama ko roshan karte rahein,
37:58Allah ta'ala amal ki tawafiq ata farmaayin,
38:00wa aakhiru da'awana,
38:02anilhamdulillahi rabbil alameen.

Recommended