• last month
Sarmaya e Aslaf | EP 76

Topic: Imam ibn e Abdeen Shami RA

Speaker: Mufti Ahsen Naveed Niazi

To Watch All Episodes | https://bit.ly/47jbLHu

#SarmayaeAslaf #MuftiAhsenNaveedNiazi #ARYQtv

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Alhamdulillahi Rabbil Alameen, wa sallallahu ta'ala wa sallamu ala afdali khalqihi ajma'een,
00:17wa ala alihi wa sahabatihi wa ghurriyatihi taahireen, wa man haafadha ala ittiba'i shari'atihi
00:24wa ittifa'i athaarihi wa sunnatihi wa kaana li hadiyihi minat tabi'een,
00:29walam yattakil ala nasabinnahu amal, bal kaana minallahi ala khaufi'un wa wajal,
00:35fa kaana minan naajeen.
00:37Amma baad.
00:38Muazzaz, nazeenu saameen, aaj ik martaba fir proham sarmaya salaf lekar ham aapki khidmat mein hadir hain.
00:44Aaj hamara mawzu-e-sukhan hai ustaz-ul-ustazeen, faqeeh-ul-fuqaha,
00:50faqeeh-e-bibadal, faqeed-ul-misaal, muhaqqiq, imam Sayyid Muhammad Ameen bin Umar ibn-e-Aabideen
00:59Shami Hanafi rahimahullah, mutawaffa 1252 sana hijriya ki ek taalif-e-lateef,
01:05al alam-ul-zahir fi naf-in nasab-e-taahir.
01:09Nazeen, ham yaa aapko batate chalein ki imam ibn-e-Aabideen Shami rahimahullah ke baarein
01:15ham pehle bhi sarmaya salaf ki teen episodes kar chuki hain.
01:18EP no. 3, EP no. 51, EP no. 25.
01:23Teen EPs ham pehle bhi kar chuki hain imam ibn-e-Aabideen Shami rahimahullah ke baarein
01:27mein.
01:28Aaj ham unke baarein mein yeh chauthi EP kar rahein.
01:30Toh yaani pehle wala part 1 hua, EP 3 part 1, EP 25 part 2, EP 51 part 3, aur aaj yeh
01:37part 4 hai.
01:38Aap ise part 4 bhi kahe sakte hain.
01:40Toh jo hazrat imam ibn-e-Aabideen Shami rahimahullah ke ahawal tafseelan jaana chahein, toh wo
01:45sarmaya salaf ki playlist pe jaake check kar lein.
01:48ARYQ TV ki official website hai aur official YouTube channel hai, uspe jaake sarmaya salaf
01:53ki playlist me dekh sakte hain.
01:55Aaj ham imam ibn-e-Aabideen Shami rahimahullah ki ek tasneef-e-lateef ke baarein me guftagu
01:59karenge.
02:00Imam ibn-e-Aabideen Shami rahimahullah ki kitab hai, maari maze ki zeenat hai, mere
02:04haath mein hai, iska naam hai, Al-Aalam-u-Zahir Fi Naf-in-Nasab-e-Tahir.
02:10Is kitab mein imam ibn-e-Aabideen Shami rahimahullah ne saadat-e-kiram ki azamat beyan ki hai.
02:16Ahle baite Rasool ki azamat beyan ki hai.
02:18Sayyidina Rasoolullah alaihi salatu was salam ki jo mubarak aal hai, unki ahmiyat, unki
02:23azamat, aur nabiye kareem alaihi salatu was salam se unke taalluk ki bina par, unke rishte
02:29ki bina par, jo barakat unhe hasil hone hain.
02:32Unke baare mein yeh kitab aapne taali farmahi hai, yeh risala hai, chota sa, bada hi umda
02:36risala hai.
02:37Iska naam jo aapne rakha hai, naam-e-naami hai, iska Al-Aalam-u-Zahir Fi Naf-in-Nasab-e-Tahir.
02:44Waise jo nashireen ne shayah kiya, unhone ayn ke neeche zehr laga ke laam pe jazm laga
02:50hi hai, aur iska istana pada jayega Al-ilm-u-Zahir.
02:52To Al-ilm-u-Zahir bhi isse pad sakte hain, aur Al-Aalam-u-Zahir bhi pad sakte hain.
02:57Mere nazdeek raaje yeh ke isse Al-Aalam-u-Zahir pada jaye.
03:00Kyunki Al-ilm-u-Zahir ki surat me bhi maana to theek ho jayega, ke Nabi-e-Kareem-ul-Isaat-ul-Salam
03:05ka jo paak nasab hai, wo nafa baksh hai, iss muamle mein ilm-e-zahir.
03:10Maana to durust hai.
03:11Lekin zyada acha yeh hai, aula yeh hai, afzal aur ansab yeh hai, ke Al-Aalam-u-Zahir pada
03:17jaye, ki Alam kaha jaata hai jhanday ko.
03:20Alam nishani ko bhi kahte hain, alamat ko bhi kahte hain arabi mein, jhanday ko bhi kahte
03:24hain, choti ko bhi kahte hain, pahad ko bhi kahte hain.
03:26To maana hai, Al-Aalam-u-Zahir fee naf-in-nasab-e-tahir, Nabi-e-Kareem-ul-Isaat-ul-Salam
03:31ka paak nasab nafa deta hai, iss baare mein zahir nishani.
03:35Iss baare mein zahir jhanda.
03:38Wo jhanda jo lehra raha ho, door se nada raha ho.
03:41Aur ispar kareena yeh hai, ki aapne khud jab sabab-e-taalif beyan kiya hai, to uske andar
03:45aakhir mein jab aapne yeh zikar kiya hai khutbe ke baad.
03:48Sabab-e-taalif zikar karte hue, ki maine iske andar jo dalail zikar kiya hai, to aage
03:52kaha, ki maine iske andar dalail, kuch aur dalail ka edafa kiya hai, kuch pichle imam
03:57hai, unki kitab se liye hain, kuch khud apni taraf se diye hain, to kaha,
04:00Wa damamtu ilaihi maasara bisawab-u-bi-mar'am min-al-ayin.
04:04Maine dalail aise lahi kiya hai, ki unke saath jo durst baat hai, bilkul aankhon ke saamne
04:09waze hokar nadar aa rahi hai.
04:11Haini jaise jhanda door se nada rahta hai, jaise pahad door se nada rahta hai, teela
04:16door se nada rahta hai, to aisi maine bhi jo dalail zikar kiya hai, wo dalail dekh
04:20kar, padkar aadmi ko haq baat, sawab, dursti bilkul aise door se nada raayegi.
04:25To isliye, aula yeh hai, kise al-ala mudh-zahir padha jaaye, aayin pe bhi zabar, laam pe bhi
04:30zabar, bi-fatahat tayin.
04:32Al-ala mudh-zahir fee naf-in-nasab-e-tahir.
04:35Yeh to ho gayi baat, isse Risala-e-Mubarakah ke naam ki.
04:38Aaja yeh ab iske mauzoo ki taraf aur sabab-e-taalif ki taraf.
04:42Dar asal hua yeh ke, ek Ahle-ilm ki majlis thi, us majlis mein yeh bahas chhid gayi,
04:48ke wo log ki jo Sayyidina Rasool-Allah-alaihi-wa-sallam se nasab ki nisbat ke haamil hon, sahih-un-nasab
04:55hon, jinka nasab Sayyidina Rasool-Allah-alaihi-wa-sallam tak saabit ho.
04:59Yani jisse amare urf mein sayyid kaha jaata hai, Arabon ke haan sharif kaha jaata hai,
05:03amare bare sirpaak-o-hind mein sayyid kaha jaata hai, Ahle-Rasool.
05:06To jo jiski nasab ki nisbat saabit hai Sayyidina Rasool-Allah-alaihi-wa-sallam se,
05:11agar wo gunahgaar hai, wo amal nahin kar raha, ba-amal musalmaan nahin hai,
05:16to uska muamala ind-Allah, qayamat ke rood, usse ko nabiye-karim-ul-islam ke mubarak nasab ki wajah se
05:22koi khaas faida alak se hasil hoga, ya uska hukum aam gunahgaar musalmaan-o-wala hai.
05:28Ki jaise aam gunahgaar musalmaan Allah ki mashiyat ke sipurdh hain,
05:31ki Allah chahe to muawf farmaye, af-u-farmade, aur chahe to unhe sadaa de,
05:36do dakh mein daale aur uske baad unhe muawf farmakar jannat mein daakhil farmaye.
05:41To aaya bilkul aam gunahgaar musalmaan-o-wala unka hukum hai,
05:44ya unke liye koi alak se khaas protocol hai, ya koi khaas unhe faida hoga nabiye-karim-ul-islam ke mubarak nasab ka.
05:51Ab ye ahle-ilm ki majlis mein bahas chhidi, to ispar do guro ban gaye.
05:55Ek guro ka mauqif ye tha, ke janaab Sayyidina Rasool-ul-alaihi-wasallam ka mubarak nasab bhi bilkul faida mand hai,
06:02Sayyidina Rasool-ul-alaihi-wasallam ki har nisbat mufeed hai.
06:05To jab ye musalmaan hain, ahle-ilm hain,
06:07imaan sharat hota hai, agar ye momin hain, imaan wale hain,
06:10to agar ye ba-amal nahi bhi hain, ba-amal hona chahiye,
06:13lekin agar ye be-amal bhi hain, to imaan ki nisbat ki wajah se,
06:17chunke Sayyidina Rasool-ul-alaihi-wasallam par imaan bhi laayen hain,
06:19aur Sayyidina Rasool-ul-alaihi-wasallam se inka nasab saabit hai.
06:23To iski bina par inhe Allah-tawara-ka-wa-ta'ala ki taraf se khaas inayat aur khaas fadl hogi,
06:28Allah-tawara-ka-wa-ta'ala apne karam se, apne mahboob ki nisbat ke tufail,
06:32inay bakhsh dega, inay muaaf farma dega,
06:35aam gunaagaar musalmaanon wala muaamala inke saath nahi hoga,
06:39inay inki bakhshesh ho jayegi.
06:41Ek guroh-e-ulamaak ka muaqib ye tha,
06:43doosra jo guroh-e-ulamaak ka to us majlis mein, unka muaqib ye tha,
06:47ki nahi inka hukum bhi aam musalmaanon wala hai,
06:50ki jaise aam gunaagaar musalmaan hai, agar wo guna karenge,
06:53to Allah-ki-mashiyat ke supurdein,
06:55Allah chahe to muaaf farmaaye, aur chahe to sadaa de.
06:57To aise hi inko bhi Allah-tawara-ka-wa-ta'ala ki mashiyat ke supurdein,
07:00Allah chahe to muaaf farmaa de, aur chahe to Allah inay bhi sadaa de.
07:04Ab yeh do group ban gaye,
07:06to ek aalim ne, ek fadil ne,
07:08Imam Ibn-e-Aab-e-Din Shami Rahimullah se yeh kaha,
07:10ki aap is bahas ki tanqeeh farmaa de, tehreeri surat mein,
07:14taake masala nikharkar saamne aajaaye,
07:16aur jo haq baat hai, jo droost baat hai, wo saamne aajaaye.
07:19To isper, Imam Ibn-e-Aab-e-Din Shami Rahimullah ne,
07:21phir yeh risala ta'alif farmaa hai.
07:23Aur wo jo aalim the, unhone apne ek ustaad hain,
07:26unke ustaad wo bhi bade mashoor aalim the,
07:28Allama Syed Ahmad bin Alavi Jamal-ul-Lail Rahimahullah,
07:31Medina-e-Munawwara mein hote the Syed the,
07:33unki yeh kitab hai,
07:35wo kitab bhi Allama Ibn-e-Aab-e-Din Shami Rahimullah ko di,
07:38taake wo isko bhi dekh lein,
07:39uske andar Ahle-Bait-e-Atahar ke fadail zikar kiye gaye the.
07:42To Imam Ibn-e-Aab-e-Din Shami Rahimullah ne,
07:44sabab-e-ta'alif zikar karte hui kaha,
07:46ki mainne wo kitab dekhi,
07:47phir mainne us kitab meinse bhi,
07:49jo aqwal aur dalail hain,
07:51aur jo hadees hain, wo leen hain,
07:52wo lekar aur phir mainne iske andar,
07:53kuch apni taraf se bhi dalail ka edafa kiye,
07:55aur yoon mainne yeh risala ta'alif kiye hai,
07:57aur is risala ka naam rakha hai,
07:59Al-Alam-ul-Wahir Fi Naf-in-Nasab-e-Tahir.
08:02Risala ka naam hi,
08:04muh bolta suboot hai is baat ka,
08:06ki Nabi-e-Kareem-ul-Isha'at-ul-Salam ka
08:08jo paak nasab hai,
08:09yeh nafah bakhsh hai,
08:10bi-izn-illah,
08:11Allah ke izn se nafah deta hai.
08:13To Imam Ibn-e-Aab-e-Din Shami Rahimullah ne,
08:15pehle to iske andar yeh beyan firmaaya,
08:17aur aapka jo ek achha andaz,
08:19tawazo aur inqisaar wala,
08:20ki aapne iske andar pehle apni zikar kiya hai,
08:22to bade hi aajzi ke saath,
08:24inqisaar ke saath,
08:25tawazo ke saath,
08:26apna naam-e-naami zikar kiya hai,
08:28yeh uska maare qadeem ulama ka tariqa tha,
08:30ki bajaye alqaab ke unhna shuru kiya,
08:32to kaha,
08:33fayaqoolu aseeru zunubi wal khataya,
08:35al-muftakir ila rahmati Rabb-il-Aalameen,
08:38Muhammad Ameen Ibn-e-Umar,
08:40ash-shaheer bi-Ibn-e-Aab-e-Din,
08:41ghafarallahu ta'ala lahu wa li-waliday,
08:44maana kya hai,
08:45aseer kehte hai,
08:46kaidi ko,
08:47zunub ka maana,
08:48zunub zam ki jama hai,
08:49gunahon ko bolte hai,
08:50zam maana gunah,
08:51gunahon ki jama,
08:52to keh rahein ki,
08:53wo banda kehta hai,
08:55jo gunahon aur khataon ka aseer hai,
08:58kaidi hai,
08:59aur Allah-ar-Bul-Aalameen ki rahmat ka muhtaaj hai,
09:02jiska naam hai,
09:03Muhammad Ameen Ibn-e-Umar,
09:04jo mashoor hai,
09:05Ibn-e-Aab-e-Din ke naam se,
09:06Allah iski bakshish farmaye,
09:08aur iske walidayan ki bakshish farmaye,
09:09ab dekhein maa Ibn-e-Aab-e-Din,
09:10Shami Rai Mualla,
09:11khud bohot bade faqee hain,
09:13ustaz ul-ustazeen hain aap,
09:15bade bade faqaha ke ustaz hain,
09:18naam-e-naami hai,
09:19aur aapka tooti bolta hai,
09:20aur khud aap sayyid bhi hain,
09:21Hussaini sayyid hain,
09:23Imam Hussain radhiyallahu ta'ala ki,
09:25aal mesin hain,
09:26uske bawajood aapne intihai inkesaar ke saath,
09:28apna naam jab zikr karte hain,
09:30to apne aapko,
09:31aseer-o-zunoob wal khataya kahte hain,
09:33jani gunahgaar,
09:34gunahon ka kaidi,
09:36ye aapki tawazo aur aapka inkesaar hai,
09:38aur phir aage kehte hain,
09:39Allah-ar-Bul-Aalameen ki rahmat ka muhtaaj,
09:41ki main muhtaaj hun,
09:42aur phir aage ye dua-e-makhfirat karte hain,
09:44ki Allah meri bakshish farmaaye,
09:45aur mere wale-dain ki bakshish farmaaye,
09:47phir aage aap zikr karte hain,
09:48phir aapne sabab-e-taalif zikr kiya hai,
09:50sabab-e-taalif ke baad phir aapne,
09:52aur ye jo khutba aapne pada,
09:53maine shuru me jo khutba pada hai,
09:55wo khutba bhi isi kitab ka hai,
09:56jis kitab pe hum program kar rahe hain,
09:58jo humara mauzoo-e-sukhan hai,
10:00isi kitab mein,
10:01Jama-e-bin-Aab-e-Din-Shami Rahimullah ka khutba hai,
10:04to Jama-e-bin-Aab-e-Din-Shami Rahimullah ne khutbe ke baad,
10:07sabab-e-taalif beyan kiya,
10:08ki maine ye kitab kyun likhi hai,
10:10iske baad phir aapne ye bataya,
10:12ki is masale ke andar,
10:13ye jo nafs-e-masala hai,
10:15isme ulama-e-kiram ka ikhtilaf hai,
10:17ek guru-e-ulama,
10:18uska mauqif ye hai,
10:19wo is baad ka inkar karte hain,
10:21wo kerte hain ki,
10:22nahi nasab ka alag se,
10:23koi faida nahi hoga,
10:24balke aam gunagar musulmano wala hi hukum hai,
10:27aur ek guru-e-ulama,
10:28ek guru-e-ulama kehta hai,
10:29ki nasab ka faida hoga,
10:30aur ye bataya,
10:31ki dono hi ke paas,
10:32apne-apne dalail hain,
10:34dono ne apne-apne dalail diye hain,
10:36to pehle aapne unke dalail zikar kiye,
10:38jo is baad ke qail hain,
10:39ki ye nasab jo hai,
10:40is tarah nafa nahi deta,
10:42balke nafa jo hai,
10:43wo imaan, ilm aur taqwa dega sirf,
10:45unke dalail zikar kiye,
10:46to aapne do aayatein zikar kiye,
10:48aur saad hadeesin zikar kiye,
10:50phir uske baad aapne,
10:51musbiteen ke dalail zikar kiye,
10:52yaani, jo is baad ka is baad karein,
10:54ki ye nasab,
10:55nabiye-e-karim-e-is-saad-o-salaam
10:56ka jo mubarak nasab hai,
10:57ye bi-iznillah nafa baksh hai,
10:59nafa dega Allah ke huzoor,
11:01Allah ke izn se,
11:02Allah ki ijazat se,
11:03unke dalail zikar kiye hain,
11:05to aapne teran hadeesin nakal kiye hain,
11:07phir uske baad aapne jo maaneeen the,
11:10jo is baad ke qail nahi hain,
11:12jo naafeen hain,
11:13unke aapne dalail ka jawab zikar kiye,
11:15aur bataya hai,
11:16ki agar sari dalail ko saamne rakha jaye,
11:18to ye baad nikhar kar saamne aati hai,
11:20ki nabiye-e-karim-e-is-saad-o-salaam
11:21ka mubarak nasab,
11:22Allah ke izn se,
11:24nafa baksh hai,
11:25aakhirat mein,
11:26aal-e-rasool ko,
11:27nabiye-e-karim-e-is-saad-o-salaam
11:28ke nasab ki nisbat ka bhi faida hoga,
11:30basharat-e-eemaan,
11:31agar wo eemaan wale hain,
11:33to unhe faida hoga,
11:34amal-e-saale ho,
11:35to subhanallah,
11:36aala darajat hain,
11:37aur amal-e-saale na bhi ho,
11:39agar eemaan qaim hai,
11:40to iss surat mein,
11:48ye aapne unke dalail zikar karke,
11:50unke aur pehle walon ke dalail ke jawaab zikar kiye,
11:53aur uske baad phir aapne,
11:54chunki aap khud bhi sayyid hain,
11:55aapka mansab hai nasihat karna,
11:57to aapne nasihat bhi firmahi hai saadaat ko,
11:59bade hi umda andaaz mein,
12:01aakhir mein nasihat firmahi hai,
12:02ki sirf nasab hi pe nahi phoolna chahiye,
12:04ki hum humein ye khaas nasab hasil hogaya,
12:06umda nasab hai,
12:07to ab hum anne amal nahi karna,
12:09walke aapne bataya,
12:10ki amal ki kya ahmiyat hai,
12:11aur nabiye khani sahto salaam ne,
12:12kis tarah amal par ubhara hai,
12:14kis kis tarah apne ahle bait ko targheeb di hai,
12:16aur jo asal ahle bait the,
12:18yaani barah-e-raas,
12:19jin ka sayyidina rasool alaihi sahto salaam se taaluk tha,
12:21unka amal ka muamala,
12:23kitna mazboot tha,
12:24wo kitne ba-amal aur ba-kirdar log the,
12:27ye bataya,
12:28ki is par banda ghaur kare,
12:29aur khud unhi jaisa banne ki koshish kare,
12:32taake unki haqiqi barakatin hasil kare,
12:34mehz nasab par hi na phoole,
12:36to bade hi umda risaal hai,
12:38Ismail Ibn-e-Abidin Shami Rahimullah ne,
12:40jo dalail zikar kiye hain,
12:41to chand dalail ka,
12:42main do teen baateon ka,
12:43mukhtasar waqt mein sari baatein nahi ki jaa sakti,
12:45uske liye poori kitab ka mutala kiya jaye,
12:47bas main do teen baatein zikar kar deta hun,
12:49jo aapne,
12:50jin logon ne inkar kiye is baat ka,
12:52to unhone jo dalil ke taupar,
12:53Quran-e-Majeed,
12:54Furqan-e-Hameed ki,
12:55do aayatin pesh ki thi,
12:56ek Surah-e-Muminoon ki,
12:57aayat number 101,
13:03ki jab soor phoonka jayega,
13:04to unke darmian,
13:05koi nasab nahi honge,
13:06jin par wo fakhar kartein,
13:08Furqan-e-Bidawi Rahimullah ke wale se,
13:09Imam-e-Ibn-e-Abidin Shami ne,
13:10iski tafsir bhi beyan ki,
13:12doosri aayat,
13:13Surah-e-Hujurat ki,
13:14inna akramakum,
13:15indallahi atqaakum,
13:16isshak Allah ki nazik,
13:17zyada muazzaz wo hai,
13:19jo zyada pareezgaar hai,
13:21to Imam-e-Ibn-e-Abidin Shami Rahimullah ne,
13:22baad mein iska jawab diya hai,
13:23jo pehli aayat hai,
13:24jiske andar nasab ki nafi ki gayi hai,
13:26wo aayat aam nahi hai,
13:28balke khaas kuffaar ke haq mein hai,
13:30jiska siyaq-o-sabaqi batara hai,
13:32ke kuffaar ki baat chal rahi hai,
13:33kuffaar ko tehdeed ki ja rahi hai,
13:35to wo khaas kuffaar ke baarim hai,
13:37ke kuffaar ko unka nasab faida nahi dega,
13:39phir aapne bar sabeel-e-tanazul baat ki,
13:41agar bil farz isse maan liya jaye,
13:44suppose kar lein ye baat,
13:45ke ye aayat aam hai,
13:47to ka aam ki do kismein hoti hain,
13:48ek aam lam ya khussa minul baad,
13:50aur ek aam khussa minul baad,
13:52ki aam hota hai badahir,
13:53lekin usme se kuch exception hoti hai,
13:55kuch istisna hota hai,
13:56to ka aasi ye aayat bhi agar aasi aam maana jaye,
13:59to ye aam khussa minul baad hai,
14:01aur wo ahadees daleel hain,
14:03wo ahadees kareena hain,
14:04jin ahadees mein ye bataaya gaya hai,
14:06ismein Sayyiduna Rasool Allah alaihi salatu was salam
14:07ne firmaaya hai,
14:08ke qayamat ki roz,
14:09har nasab, har sabab munqate ho jayega,
14:11sewa mere nasab aur mere sabab ke,
14:14kullu sababin wa nasabin munqateun,
14:16illa nasabi wa sababi,
14:18har sabab, har nasab munqate hoga,
14:20ki qayamat ki roz,
14:21sewa mere nasab, mere sabab ke,
14:22yani Sarkar Ishaat-ul-Salam ne khud bataaya,
14:24ahadees se saabit hai,
14:25ki Sarkar Ishaat-ul-Salam ka nasab,
14:26qayamat ki roz bhi qaim hoga,
14:28aur bashadat-e-imaan,
14:29aap ka nasab,
14:30be iznillah,
14:31nafaa baksh hoga,
14:32nafaa milega,
14:33to ye kabhi kareena hai,
14:35ke aayat ye,
14:36kuffaar ke waare mein,
14:37aur kuffaar ke waare mein na bhi maanein,
14:39to phir aasi aam khussa minul baad maana padega,
14:41raha gaya dusri aayat,
14:42raha gaya dusri aayat,
14:43inna akramakum indallahi atqaakum,
14:45to iske baare mein bhi,
14:46Imam bin Abidin Shami Rahimullah ne bataaya,
14:48ki ye aayat to ye bataari hai,
14:50ke aala martaba kiska hai,
14:52ismein is baat ka zikr maujood nahi hai,
14:54ki jo Nabiye-e-Quran Ishaat-ul-Salam ke khaas nasab hai,
14:57jo mubarak khoon hai,
14:58ki unhe uss nasab ka faida nahi hoga,
15:00unhe unki najaat nahi hogi,
15:02aayat mein najaat hone ya na hone ka zikr nahi hai,
15:05balki aayat mein sirf ye bataaya jaara hai,
15:07ke Allah ke nazdeek,
15:08kaala darja kiska hai,
15:09jo zyada taqwa wala,
15:10ye baat apni jegah musallam hai,
15:12ismein is baat ka koi,
15:13ismein concern nahi hai is aayat ke saath,
15:15ki Nabiye-e-Quran Ishaat-ul-Salam ka mubarak,
15:17nasab basharat-e-imaan faida deta hai nahi deta,
15:20to isko sabood ke taur pe pesh karna durst nahi,
15:22baaral yaha par ye bhi malooz rhai,
15:24ki ye jo masal hain,
15:26is tarah ke jo masail hote hain,
15:27ye zanniyat-e-muhtamila kailate hain,
15:29maani hui baatein chaar kisam ki hoti hain,
15:31ek zaruriyat-e-deen,
15:32dusre zaruriyat-e-ahle-sunnat,
15:34teesre sabitaat-e-muhkama,
15:36chaute zanniyat-e-muhtamila,
15:38zaruriyat-e-deen ka inkaar,
15:39ya usmein shak yeh kufr hota hai,
15:41zaruriyat-e-ahle-sunnat ka inkaar,
15:43gumrahi hota hai,
15:44sabitaat-e-muhkama ke inkaar par fisk ka hukum lakta hai,
15:47aur jo zanniyat-e-muhtamila hote hain,
15:49unmein koi hukum nahi lakta,
15:51na takfeer ka,
15:52na tadaleel ka,
15:53na tafseeg ka,
15:54wo mehz khata hoti hai,
15:56toh yeh masalah bhi,
15:57iska taaluk bhi zanniyat-e-muhtamila ke saath hai,
16:00toh isliyeh dono taraf ulama ke aqwaal hain,
16:03toh koi kisi bhi aalim ke qaul ko ikhtyaar karta hai,
16:05toh wo apni jagah durust hai,
16:06bas dusre pe taan-o-tashni karne ki ijazat nahi hai,
16:10Imam bin Abidin Shami R.A. ka mukhtar yeh hai,
16:12ke Nabi-e-Paak A.S. ka jo mubarak nasab hai,
16:15yeh nafa baksh hai,
16:16be-izni-Allah,
16:17basharat-e-imaan,
16:19Aal-e-Hazrat Imam Ahmed R.A. ka mukhtar mawqib bhi yeh hai,
16:22aur hamara mukhtar mawqib bhi yeh hai,
16:24ke burud-e-qayamat,
16:25jo aal-e-rasool hain,
16:26jo saadat hain,
16:27jo imaan wale hain,
16:29basharat-e-imaan,
16:30be-izni-Allah,
16:31unka yeh nasab,
16:32nafa baksh hoga,
16:33Sarkar-e-Isra-tul-Islam ki nisbat ka khaas faida hoga,
16:35aur kayi ahadith ispar daal hain,
16:37jaisi ke liye iska mutaala kiya jaa sakta.
16:40Aakhir mein main aapko,
16:41Ahle-Bait-e-Athaar ke fadaail ke baare mein,
16:43chand kitaabon ka dhikr bhi kar deta hu,
16:45taake unko padh kar,
16:47Ahle-Bait-e-Athaar ki mahabbat mein idhaafah ho,
16:49aur ilm mein bhi idhaafah ho.
16:50Ek toh sabse pehle main dhikr karunga hai,
16:52Maa Ibn-e-Aab-e-Din Shami Rahimullah,
16:53kisi kitab ka ho,
16:54jiska main kiya,
16:55Al-Alam-u-Zahir-fi-Naf-e-Nasab-e-Tahir.
16:57Yeh kitab alag se bhi chhapi hui hai,
16:58Mari Mez Ki Zeenat hai,
16:59Mari Mez Ki Zeenat hai,
17:00iske lahawa aapka Majmoo-e-Rasaail hai,
17:02Majmoo-e-Rasaail aapka Majmoo-at-u-Rasaail-e-Ibn-e-Aab-e-Din
17:04ke naam se doh jildon mein chhapa hua,
17:06isme bhi sabse pehla risala yehi hai,
17:08Al-Alam-u-Zahir-fi-Naf-e-Nasab-e-Tahir.
17:10Aur doosri kitab,
17:11iske andar Alama Shami ne jo dhikr kiya tha,
17:13shuru mein Imam Shami ne dhikr kiya,
17:15Alama Jamal-ul-Lail ki jis kitab ka,
17:17wo bhi Mari Mez Ki Zeenat hai,
17:18wo bhi ab chhap gayi hai,
17:19uska naam hai Zakhirat-ul-Khair-fi-Ma-Saal-An-u-Muhammad-Ba-Qais-Wa-Umar-Ba-Jusair.
17:23Yeh Ahle-Bait ke fazail aur unki hukook ke baare mein fatawa the,
17:27Alama Ahmad bin Alabi Jamal-ul-Lail Rahimahullah ke,
17:31mutawaffa 1216 San-e-Hijriya.
17:33Iske do naam aapne rakhe the,
17:35ek Zakhirat-ul-Khair-fi-Ma-Saal-An-u-Muhammad-Ba-Qais-Wa-Umar-Ba-Jusair,
17:38aur dosa naam tha Zakhirat-ul-Qais-fi-Ma-Saal-An-u-Umar-Ba-Jusair-Wa-Muhammad-Ba-Qais.
17:43Aur yeh bhi achhi kitab hai,
17:44laayik-e-mutaala hai Mari Mez Ki Zeenat hai.
17:46Fir iske baad ek kitab jo hai,
17:48Hafiz Shamsuddin Sakhavi Rahimullah ki,
17:50Istijalab-u-irtiqaal-ghuraaf-bi-hubbi-akriba-ir-rasool-wa-dawis-sharaaf.
17:54Bohot shandaar kitab hai,
17:56laayik-e-mutaala kitab hai,
17:58balke main yeh recommend karunga,
18:00ki is mauz bar,
18:01most recommended,
18:02is mauzu par sabse umda kitab,
18:05sabse jaame,
18:06sabse zakhim,
18:07aur muhaddithana andaas par muhakkak kitab,
18:09yehi Hafiz Shamsuddin Sakhavi Rahimullah ki hai.
18:11Aap Jahil-ul-Qadar muhaddith hai,
18:13to aapne badhi umda andaas pe kaam ki hai,
18:16baaki kitabon mein aapko fir zayif-i-aqwaal,
18:18zayif-i-ribaayat,
18:19zayif-i-aadis milegi,
18:20iske andar Hafiz Shamsuddin Sakhavi Rahimullah ne,
18:22hattal-makdoor jo kaam ki hai,
18:24woh bohot umda hai.
18:25Baaki theek hai,
18:26juzwi chand baaton se karte nazar,
18:32sabse behtreen,
18:33istijlab-u-irtiqa-il-ghuraf,
18:35bihubbi-i-kribai-r-rasool-wa-dawais-sharaf.
18:36Humari maiz ki zeenat hai,
18:37do jildon mein chhapi hui,
18:38yeh bahut shandaar kitab hai.
18:39Hafiz Shamsuddin Sakhavi Rahimullah ke baarein mein bhi,
18:41hum Sarma-e-Aslaaf ki episode number,
18:43ik set kar chuki hai,
18:4461.
18:45Woh bhi agar koi dekhna chahiye,
18:46usse dekh sakte hai.
18:47Phir isi,
18:48istijlab-u-irtiqa-il-ghuraf ka ek khulasa likha hai,
18:50Imam Ibn-e-Hajar Haitham-e-Makki Rahimullah ne,
18:52apni kitab-e-sawaq-ul-muharrika ke aakhir mein rakha hai,
18:55woh bhi alak se chhapa hua hai,
18:56muqtasaru,
18:57istijlab-u-irtiqa-il-ghuraf,
18:59bihubbi-i-kribai-r-rasool-wa-dawais-sharaf ke naam se,
19:01humari maiz ki zeenat hai.
19:02Phir ek kitab hai,
19:03badi shandaar,
19:04Allama Muhyiddin Muhammad bin Sulaiman bin Saad Rumi Hanafi,
19:06jo Kaafia ji ke naam se moshoor the,
19:08Kaafia naaf ki badi moshoor kitab hai,
19:10is kitab ko,
19:11kitab ko,
19:12baar baar padhate the,
19:13padhte bhi the,
19:14kasra se padhane,
19:15aur kasra se padhne ki bina par,
19:17kiratan wa ikraan,
19:18dono tara kasrat ki bina par,
19:19aapka naam padh gaya,
19:20Kaafia ji.
19:21To ino ne kitab likhi,
19:22al-kashf-an-sharafi-ahl-il-bayt-il-kiraam-li-afdal-ir-roosooli-wa-la-naam,
19:26al-kashf-an-sharafi-ahl-il-bayt-il-kiraam-li-afdal-ir-roosooli-wa-la-naam,
19:29shandaar kitab hai,
19:30Allama Jauddin Suyuti Rahimullah se,
19:33Aap ustaad hain.
19:34Phir Allama Jauddin Suyuti Rahimullah ki kitab hai,
19:36nazar aati hai,
19:37Ahl-e-baith hi ki fadail par,
19:38Ihya-ul-maith bi-fadail-i-ahl-il-baith ki naam se,
19:41takreeban saat hadith haapne iske andar nakal ki hain,
19:43Ahl-e-baith ki fadail par,
19:44yeh bhi unda kitab hain.
19:45Phir hum ek Allama Sabban ki kitab nazar aati hai,
19:47Haafu Ahl-e-Islam fi-ma-ya-tal-lau-ku-bil-mustafa-wa-ahl-e-baith-il-kiraam,
19:51Allama Abul-Iffan Muhammad bin Ali Sabban,
19:54Shandaar kitab hai, yeh bhi achi kitab hai,
19:56laaike-mutaala hai, maari maiz ki zeenat hai.
19:58Phir inhi ki Allama Sabban ki kitab hai,
20:00Is'aaf-ul-raagebeen fi-seerat-il-mustafa-wa-fadail-i-ahl-e-baith-il-tahireen,
20:04Allama Abul-Iffan Muhammad bin Ali Sabban,
20:07yeh bhi shandaar kitab hai,
20:08zakheem kitab hai,
20:09achi kitab hai,
20:10laaike-mutaala hai, maari maiz ki zeenat hai.
20:11Phir ek kitab mein nazar aati hai,
20:12Al-asmaa wal-musaharaat baina Ahl-e-baith-i-wa-s-sahaba,
20:16Syed bin Ahmad bin Ibrahim ki naam se,
20:18Ahl-e-baith aur sahaba ke maabain rishidariyon ka biyaan ki hai,
20:20achi andaaz mein ki hai.
20:21Phir ek kitab hai,
20:22zurriyat-ul-tahirat-il-mutahara,
20:23Abu Bishr Muhammad bin Ahmad bin Hamad Ansari,
20:25Dulaabi rahi mualla ki mutafafat,
20:27yeh bhi achi kitab hai,
20:29laaike-mutaala hai.
20:30Allah tawaraq wa ta'ala Imam bin Abidin Shami rahi mualla ke darajaat ko biland formae,
20:33Syed the Ahl-e-baith-e-atahar ki muhabbat amare kulum mirasik formae,
20:38Humme Ahl-e-baith-e-atahar ki muhabbat mese khas hisa ataa formae,
20:42Aur unki talimat par,
20:43Syedina Rasool A.S. ki sunnat par amal pehra hone ki taufiq-e-rafiq marmat formae,
20:47Wa aakhiru da'awana anil hamdu lillahi rabbil alameen.

Recommended