Mufti Muhammad Akmal | Ahkam e Shariat | ARY Qtv
#AhkameShariat #MuftiMuhammadAkmal #aryqtv
Solutions For Day-to-Day Problems Faced by Muslim Ummah, Commandments of Islamic Jurisprudence; Mufti Muhammad Akmal Provides solutions for day-to-day problems faced by Muslim Ummah, according to the guidance and teachings of Qur’an and Sunnah. This program has facilitated a majority of people for making suitable amendments and corrections in their conduct and affairs of routine life in accordance with their religious believe their worship dealings and ethics.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
#AhkameShariat #MuftiMuhammadAkmal #aryqtv
Solutions For Day-to-Day Problems Faced by Muslim Ummah, Commandments of Islamic Jurisprudence; Mufti Muhammad Akmal Provides solutions for day-to-day problems faced by Muslim Ummah, according to the guidance and teachings of Qur’an and Sunnah. This program has facilitated a majority of people for making suitable amendments and corrections in their conduct and affairs of routine life in accordance with their religious believe their worship dealings and ethics.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Auzubillahi minash shaitanir rajim, Bismillahir Rahmanir Rahim, khawateenu hazratas salamualaikum
00:14warahmatullahi wabarakatuhu wa maghfiratuhu, program ahkaam-e-shari'at wa fiqh-e-hanafi
00:19se mutaliqa masayil ke saath ik defa Allah ta'ala ne phir hajri ka sharaf fatah farmaya
00:24jispe hum uske shukar guzaar hain, kuch offer questions hain, kisi ne kaha koi aap sahab
00:31bayan karte hui keh rahe the, ki hindu, muslim, sikh, isai, sab ek hain, Allah ta'ala chahta
00:38to kya sabko musalman na kar deta, ya sabko isai na kar deta, magar Allah ta'ala chahta
00:44hai ki mere kuch bande meri ibadat karen, kuch meri pooja karen, koi iske ilawa hun,
00:50to iska kya hukum hain, aur jinn logon isko sunne ke baad kaha, beshak beshak, to unka
00:55kya hukum hain, dekhein sahab ne bilkul theek baat nahin ki, balke Allah ta'ala ne, jaisa
01:02ke Quran-e-Azeem me wazit warpe Surah-e-Aal-e-Imran ki ayat number unnees me farmaya, ki inna
01:07deena inda Allahil Islam, ki beshak deen to Allah ke nazdeek Islam hi hai, aur isi Surah-e-Aal-e-Imran
01:16ki ayat number eighty five me Allah ta'ala ne farmaya, ki wamai yabtaghi ghairal Islami
01:21deenan, jisne Islam ke ilawa kisi aur deen ko talash kiya, yani isko ikhtiyar kar liya,
01:30to falan yuqbala minhu, to wo deen usse qabool na kiya jaayega, wahwa fil aakhirati minal
01:35khausreen, aur wo aakhirat me khasara uthane walo mise hoga. Allah ta'ala ke maasiva ki
01:43ibadat karna shirk hota hai, agar koi Allah ke liye biwi sabit kare, beta sabit kare,
01:49yeh bhi shirk hota hai, ab koi kahe ki Allah ta'ala ish shirk se razi hai, haala ke ja
01:53waja Allah ta'ala ne Quran-e-Azeem me shirk-e-mazammat farmayi, aur yaha tak farmaya ki agar koi
01:58isi haalat me mar gaya, yani haalat-e-shirk me, wo hameesha hameesha jahannam me jaayega,
02:03to kaise Allah ta'ala isse razi ho sakta tha? Ek chiz uti hai ki jisse main misal
02:08jata hoon ki, baap ne bete ko mana ki, beta in ladkun ke saath mat khelna, kuch har se
02:15baap aaya to beta unhi ke saath khel raha tha, to baap ne soch kar ki abhi main isko
02:19marunga, peetunga, daantunga, yeh disheart hoga, guilt feel karega, wo dekh kar chala
02:24gaya ki ghar aayega to phir main karunga, ab bataye isne yeh bete se razi hokar chod
02:28kar gaya hai, ya isne isliye chasham poshi ki hai ki abhi ek maslihat hai, to aap yeh
02:35kahenge ki maslihat ki wajah se baap razi hokar dekh kar usko ijazat dekh kar nahi
02:39gaya hai, aisi Allah ta'ala ne mukhtarif logon ko paida farmaaya, hidayat ul gumrahi
02:44ke azbaab muhaiya farmaa diye, baaz ne azbaab-e-gumrahi ikhtiyar kar li, ab agar
02:49Allah ta'ala fori gharif nahi farmaata to iska mattabi nahi hai ki Allah ta'ala usse
02:52razi hai, balki Allah ta'ala unko muhlat de raha hai, agar quran padha hota to iss
02:56sab baati quran mein maujood hai, ki Allah ta'ala muhlat deta rehta aur phir
02:59aakhirat mein pakar lega, yeh duniya mein bhi azbaab nazil kar diya bohosi qaumon
03:03par, warna aakhirat mein pakadega, lehada jo iss kisam ki aqaid rakhega, wo daira-e-islam
03:08se yaqeenan khaarij hai, aur jisne uski ta'aid karte hua, yes karte hua, beshak beshak
03:14kaha, wo sab bhi daira-e-islam se khaarij ho gaye, unhe tajdeed-e-eemaan aur tajdeed-e-nikah
03:21karna hoga, aur main guzarish karta hun, ki dekhen quran ke qareeb aayiye, hadith
03:26ke qareeb aayiye, jab aap quran ko padhte hain, to usme aapke basic saqaid bohot achhe
03:30mazboot hote hain, usme nasihat hain, usme azab ki wa'eede hain, usme jannat ki targheebe
03:36hain, usme ahkaam-e-sharaa biyaan hua hain, pishli qaumon ke azabaat ke waqiaat dhikr
03:41kiye gaye hain, to insaan sahi hidayat ke taraf aajaata hai, wo hadith ko aise padhe
03:46hain, fayda hoga, amari youtube pe tafseer-e-quran, tadabbir aur tadabbur-e-quran maujood hai,
03:52jo yahi pe hum aine record karwaayi thi, episode one se dekhna shuru karein, bohot
03:55fayda hoga, aur is qasam yeh kisi bhi gumraahi mein insaan mubtala nahi hoga, aise hi humara
04:00dars-e-bukhari program aata hai, wo bhi youtube pe dala hua hai, dars-e-bukhari ke pehla program
04:05se dekhna shuru karein, inshaAllah bohuti ummid hai ki behtari hogi.
04:10Ek dardanak mujhe message aaya tha, ki ek naujawan ne kaha, ki bahar se tha, ki jab
04:15main baayis saal ka tha, to mere andar nikah ke shadid khaahish bedaar hui, maine apne
04:19walidein ko kaha, unhone mana kiya ki na tumhari umar abhi bahut choti hai, aur job
04:23bhi nahi hai, jab main teesme saal mein aaya, to mujhe job mil gai, to walidein se maine
04:28kaha ki ab mere shadid kardein, to unhone ne kaha nahi, tees saal tak kamaskam intizaar
04:33karo, chaubisme saal mein maine apna ghar bhi le liya, fir maine kaha ab mere shadid
04:37kardein, unhone ne kaha nahi ab intizaar karo, pacheesme saal mein maine girlfriend
04:41banali, aur usse mere najais taalukat qaim hua, aur fir wo pregnant hogayi, hamila hogayi,
04:47ab wo naujawan kehta hai, ab mere walidein razi hogayi, chalo theek hai hum tumhari shadid
04:51kar dete hain, aur lekin ab meri girlfriend hai, wo hamila hai, to kya main isse ladki
04:56se ghar shadid karun, to mera bacha jo uske peht mein hai, wo waladoo zina hoga ya nahi
05:00hoga, aur ab mere walidein is gunah ki tamaam tar zimmedaari mujhe par daal rahe hain,
05:06toone gunah kiya, toone ghalat kaam kiya, mujhe bura bhala keh rahe hain, to kya mere
05:10walidein bhi isme kuch khusurwaar hain, ya nahi hain,
05:14dekhen jab 22 saal mein aap the aur apne nikah ki khaish ke azhaar kiya, aur job aapke
05:20paas nahi thi, tab to bilkul theek tha ke aapke walidein ne mana kiya, kyunki jab insaan
05:25hukuk-e-zaujiyat ada karne par qudrat na rakta ho, ya usko itna uske paas maal na ho ke
05:31wo naan-nafqa waara de sake, to uske liye shadi karna mana hota hai, haan iss surat
05:36mein yoh hosakta hai, ke agar walid sahab khud kafeel hain, achhe paise waale hain,
05:39to wo shadi karke bacche ki yeh zimmedaari le le, ke naan-nafqa main dunga, to bilkul
05:44theek hai, hosakta hai, 22 saal mein bhi shadi ho sakti, aur sabse best yeh hai, ke
05:47bachon ki 21-22 saal mein shadi kar di jaye, warna yehi khatraat hote hain, lekin iske
05:52baad jaise-jaise aapko job waqara mili aur walidein ne nahi kiya, to yaad rakhein,
05:57ke phir wabaal walidein par zaroor hua, aur yeh nahi hain, ke aap bari zimma ho gaye,
06:01masoom aap bhi nahi hain, agar walidein razi nahi hua the, to aapko apne nafs ko rukna
06:06chahiye tha, lekin dono is jurum mein barabar ke sharik hain, aur walidein ka zyada kirdaar
06:12hai, yaad rakhein, ke agar walidein bachon ke sahih tarbiyat na karein, yeh isi tariqah
06:16se shadi ki qaabil ho jane ke bawaujud unko shadi ki ijazat na den, sakti karein, aur
06:20aulaad kisi bhi gunah mein phir mubtala ho, jo adam-e-tarbiyat ka nateeja ho, yeh nikah
06:24se rukne ka nateeja ho, to maabab pe mukammal taur par wabaal hoga, aur aakhirat mein unko
06:30jawab de hona padega, to yeh aapka jismani taalluk qayam karna haram tha, aur aap chahe
06:35uss ladki se aap nikah kar lein, bachha baharal walad-uz-zina hi kehla aega, kyunki uski
06:39ibtida aisi hui hai, aur walidein ko Allah ki baargah mein tauba karne chahiye, aur
06:44aise jitne bhi walidein hume sun rahein, ke jo bachhe shadi ke qaabil bhi hain, paisa
06:48bhi hain, lekin aapne apne khandani usool banaya hua hai, ke teesma saal mein karenge,
06:542800 saal mein karenge, jaldi nahi karenge, yeh ghalat hai, jaise hi bachhe baalik hote
06:58hain, khud kafeel ho jate hain, na nafqa ada kar sakte hain, shadi kar dena laazim hai.
07:04Yeh kahte hain ki humare yaha rawaaj hai, ke shadi mein paisa diya jate hain, to hum
07:09note kar lete hain, phir jab unke shadi hoti hain, to hum bhi paisa dete hain, to kabhi
07:14aisa hota hai unne hazaar diya, to humne 1500 de diya, to yeh jo hum zyada dete hain,
07:19ki yeh sood ke zumrah mein aata hai, ya nahi aata. Dekhe hain, isko likha to yeh hi hai,
07:24ke humare haan, chunke iske badla ka rawaaj hai, jo dete hain, uska badla diya jata hai,
07:29to isliye yeh zaruri hoga, ke agar sona aur chandi ke shakal mein diya, aur aap bhi sona
07:33aur chandi ke shakal mein diya rahe hain, to wazan mein barabar hune chahiye. Yani
07:37agar sona diya tha, aap bhi sona diya rahe hain, to wazan barabar huna chahiye. Agar
07:41chandi hai, idhar bhi chandi, to wazan barabar. Haan, unhone sona ka set diya, aap chandi
07:49aur isi tarah cash waghara jo hai, jo currency humare haan chalti hai, jisko saman-e-istilahi
07:54kehte hain, isme kam-i-beshi se koi masra nahi hota, kam zyada hosakta hai, isme sood
07:58mutahakak nahi hoga. Bas sood ki ek surat bant sakti hai, jo fuqaan-e-ahtiyatin yahan
08:02bayan farmahi, ke idhar bhi sona, idhar bhi sona. Aap agar aap kam-i-beshi ke saath denge,
08:07to phir, yani wazan mein kam-i-beshi hogi, to isme sood ka maana mutahakak hosakta hai,
08:12isme ahtiyat karein. Aur umumi taur pe koi is tariqat se badle deta nahi hai, lekin maharaj
08:16ho to ahtiyat karni hogi. Ek idhar ne kaha ke, yeh bataiye ke, agar koi shakhs kisi haram
08:26maal ko kamata hai, aur usse kaarobar bilkul jaiz karta hai, to usse earning jo hogi, uska
08:33kya sharai hukum hoga? Dekheyin, haram maal kaisa hai? Ek to haram-e-qata'i hota hai,
08:39usse maal bilkul haram-e-qata'i, jaisa sood hai, riswat hai, daka hai, chori hai, isse
08:45agar koi kaam karenge, to phir iski yaqnan hurmat isme saraiyat karegi, aur isse jo
08:49nafah hasil hoga, wo bhi aapko sadqa karna chahiye, usse istifadah jaiz nahi hai. Aur
08:54ek hota hai, haram-e-zanni hota hai, yaani wo bahraast haram nahi hota hai, yani Quran
08:58ne usne mana nahi kiya, haan qiyasan, ulema, ishtihadan, ulema ke raaye ke mutabik wo
09:04hota hai, usme gunjaish nikal sakti hai. Nisaal ke taur par, jaisa wade sood par bank
09:10se qarz le liya, 50 lakh uthaya, aur 60 lakh wapas karna hai, 10 lakh sood dena hai, is
09:16wade pe utha liya, aur is 50 lakh se kaarobar kiya, aur isse nafah hua, to ye nafah tayyab
09:22aur halal kailayega. Agar che lena guna hai, agar che agreement guna hai, wajah iski ye
09:27hai, ke jo aapne qarz wapas lotaya hai, yani 60 lakh diya hai, agar poocha jaye, isme bataye
09:35sood kitna hai, aur ghaire sood kitna hai, to jawab denge ji, 50 lakh ghaire sood hai,
09:40aur 10 lakh sood hai. Iska matlab hai, jo aapne qarza liya tha, bank se uthaya tha,
09:4450 lakh, wo sood nahi hai, wo to ghaire sood hai, qarz hai. Iske upar jo nafah denge,
09:50wo hoga sood. Iska matlab hai, aapne to 50 lakh se kiya hai, na ke usme jo 10 lakh sood
09:54bana, to usme kaarobar. Isse jo kuch hasil hoga, wo tayyab aur halal kailayega. Lekin
09:59baharal ye waad-e-sood par istara ki agreement karke, aur haram maal lena, ye bhi sharan
10:03jais nahi hai, isme ehtiyat karne chahiye. Ek kisi ne kaha, jo wali ya nabi, murde ko
10:11zinda kar sakta hai, kya wo khud bhi mar sakta hai? Ye nikhtanzan kaha, ke agar tum
10:16ye kahte ho, ke koi nabi, kisi ko batariq-e-murza zinda kar sakta hai, wali batariq-e-karamat,
10:22phir wo khud kyun faut ho gaye? To dekhein, ye bilkul kar sakta hai, aur issa sabit hai,
10:27Hazrat-e-Isa alaihi s-salatu wa s-salam, murdo ko zinda kiya karte the, hamare nabi-e-karim
10:31sallallahu wa sallam ke baare me bhi baaz, kutub ke andar, jaisa Al-Khashas-ul-Qubra
10:36waghara mein, istara ki waqiyaat dhikr kiye gaye hain. Aur aise hi auliy-e-kiram ki
10:40taraf bahot sari baatein, istara ki waqiyaat mansoob hain, to batariq-e-murza, batariq-e-karamat
10:45issa possible hai. Ye achitra yaad rakhein, ki wo haqiqatan nabi zinda nahi kar rahe
10:50hote, wo wali zinda nahi kar rahe hote, zindagi dene wali zaat Allah ki hai, maud dene wali
10:56zaat Allah tabaarak wa ta'ala ki hai, Allah unko waseela bana deta hai. Jaisa koi zahir
11:01khaa ke mar gaya, to ham kehtein isko zahir ne halaak kar diya. Lekin haqiqatan zahir
11:05ne halaak nahi kiya, maarne wali zaat to Allah tabaarak wa ta'ala ki hai. Isse itbaar
11:09se yaad rakhein, ki wo to haqiqatan fa'il-e-haqiqi mera Rab ki zaat hai. Aur jab Rab ki zaat
11:15hai, to isse aapne yeh kahan se nateeja nikaal liya, ki agar koi kisi ko zinda kar raha hai,
11:19to khud bhi hamesha zinda rahega. Agar kisi ko, farz kar rahe hain, uski maud ka sabab
11:22ban raha hai, to uska mattab hai, ki usko bhi mar jana chahiye. Yeh sahi usool nahi
11:26hai. Allah ta'ala ne Quran-e-Paq ma farbaya, kullu nafsin da'iqatul maud, har jaan maud
11:33ko chakhne wali hai. Yani wo maud ko zarur saamna karegi. Aur isme sab shaamil hai,
11:39sahab-e-karam al-bait-e-ahthaar, auliya-e-izam, to liyadahi Allah ke faisle ke mutaabik, uske
11:45mashiyat ke mutaabik, sab duniya se parda farma jaayenge. Ab agar beech mein koi karamaat
11:50waghara, ya mourizaat zahir hote hain, to Allah ke iss hukum ke khilaf ko hi hunge.
11:55Ya Allah ke iss hukum ko badalne wale to nahi hunge. Islihin mein aapas mein koi takrao
11:58nahi, jisne iss tarahi ki baat kahi, wo mattab shayat sahib-e-ilm nahi hoga.
12:04Ek muqtasar sa break lenge, humein yaqeen hai, ab humarein saati rahein.
12:08Bismillah-e-Rahman-e-Raheem. Pehle calls lete hain. Assalam-o-Alaikum.
12:10Wa-alaikum-o-Alaikum. Assalam-o-Alaikum, Mufti sahab. Mere do sawal thein.
12:14Jee-jee.
12:15Ek hai ke ek banda fajr mein to ghar mein sota hai. Lekin subah utke jab job par jata
12:21to phir isha mein aata hai. To wo karta hai kya ki chaaron namaz ko qaza karke ek saath
12:25ada karta hai. Kisi ne samjha hai yeh ghalat hai, to bolta naa pardhne se betar hai, kamsam
12:29pardh to le rahein. To yeh tariqah sahi hoga.
12:32Chalain. Aur?
12:34Aur doosra hai Mufti sahab ki humare yahaan blood pressure ki jisko shikayat hoti hai,
12:38to wo haath mein bracelet doti hai, wo diamond laga hua. To usko pehend ke namaz parna kya,
12:41makroor tehrimi to nahi hoga.
12:43Yani heera pehend ke, diamond pehend ke namaz parnein, to kya hoga?
12:47Matlab nag lage hote hain. Bracelet type ka hota hai. Jisko blood pressure ki shikayat
12:52hoti hai na, to usko, bokeh pehend lo. Lal, hara, isa kuch nag lage hote hain.
12:56To bracelet aisa pehend ke namaz parna.
12:58Theek hai main batata hun. Inshallah.
13:01Yeh question le lete hain, yeh kaha koi banda hai, fajar mein utha lekin, uske baad job
13:08ke walas se chaaron namazin qaza karke, raat mein aake chaaron pardh deta hai. Aur jab
13:12mana kiya ki tariqah ghalat hai, to kisi ne yeh kaha ki na pardhne se to pardhna behtar
13:17hai na? Nahi bilkul yeh ghalat kaha. Dekhein koi bhi job aisi nahi hai, ki jo insaan ko
13:23chaar faraiz ya do faraiz adha karne se hi rog de. To koshish yeh karne chahiye apne
13:27waqt ke upar adha karein. Kalka mera ahkaam-e-sharif sun lein. Usmein kuch condition aisi hoti
13:32hain jisme intihai, intihai majboor-e-mahaz ho jata hai. Usmein kuch riayat ke pahaloo
13:37nikalta hai. Aur wo bhi Allah ki bargah mein tawbah hi karne chahiye. Lekin yeh tariqah
13:41karke bilkul ghalat hai. Allah tabarak wa ta'ala ne, qayamat tak ke liye mahool bhi
13:47Allah ne banaya hai, insaan banaya hai. Allah ko azal se malum tha, kisko kya kya problem
13:52hogi. Iske ba wujud Allah ta'ala ne Quran mein firma diya, ya ayyuhalladina aamanud
13:57khuloo fissilmi kaafaa. Ey imaan walo, Islam mein poore poore daakhil ho jao. Iska mattab
14:02yeh hai, ki Allah ta'ala majbooriyan jaanta hai kiski kya hogi. Iske ba wujud hukum yeh
14:07diya, ki Islam mein daakhil ho, ibadat ko ikhtiyar karo. Yani un azmaishon se ladho.
14:12Na yeh ke hum aasani tarajh karke deen ke muamalat ko, Allah ki hikmaton ko bilkul
14:17ek taraf rakkar, apni sochar aqal ke mutaabik ibadat ikhtiyar karein. Agar aisa hota, agar
14:22aisa hi ho, to ek shahs ke garmi mein roze aaye, wo kaye yaar garmi mein chhodo, main
14:26sardi mein rakh loonga, deen chhote hain. Aur jab mana karein to kahe, yaar qazaq kar
14:30to liya, yeh se behtar nahi hai ki aadmi na rakhe, yeh nahi chalega. Aisa shahs aakharat
14:34mein sakh saza ka mustahik hoga. Aur agar kisi na uski ta'aid mein yeh baat kahi hai
14:38ke nahin isko kuch bura na kaho, yaar na padne se to padna behtar hai na, to yeh bhi
14:43shahs shadid gunaagaar hua aur gunah-e-kabira ka murtaqib hai, isse bhi Allah ta'ala ki
14:47bargah mein tauba karni hogi. Ek aur caller hain, salam o alaikum.
14:51Line drop hogayi, kehte hain ke baad oqaat jo blood pressure ka mareez hota hai, usse
14:57ek breast slit waghara de diya jaata hai, jismein bahut saare nag lagay hote hain. Aur
15:01guman hi hota hai, ke shayad yeh pressure ko kam kar dega. Kya usko istimal kar sakte
15:05hain? Dekhein yeh jo sirf na zanni cheeze hoti hain, jab Quran o Hadith mein isko koi
15:11ilaaj maujood nahin, yaani bayan nahin, aur isi tariqat se doktors waghara nahin kehte
15:15hain, yeh aam tohar par yeh matab shayad mazaraat pe aapko mil jayega, yaa amileen waghara
15:20shayad aapko de denge. To iss tarah ki, mard ko iss tarah ki breast slit waghara pehna
15:25aurton se mushabahat ki bina par mana hota hai. Aur chunki iss blood pressure waghara
15:30ke ilaaj ki digar soortein maujood hain, jo jawazi soorat hain, aur aurton se mushabahat
15:36usmein laazim bhi nahi aayegi, to un tariqon ko hi ikhtiyar karna wajib hoga. Haan agar
15:40koi aur tariqat bilkul bhi na hota, har tariqat fail ho jata, phir iss par ghor kiya jaa sakta
15:45tha, lekin aisa hota nahin hain, kisi ka blood pressure zyada hone lage, to kadhi patte
15:50ke kuch patte jo hain, kadhi patta aata hain, usko dara paani mein dho ke usko chaba le,
15:54mashallah, bahut jaldi blood pressure bilkul munasib ho jata, aur yeh mera bhi kayi dafa
15:59aazmaya hua hai, to yeh karke dekhein, fayda hoga. Lekin yeh iski ijazat nahi hogi, yeh
16:03khaama khaaka bas ek guman apne, ya nafsiyati tuwar pe apne par musallat kar liya, yeh
16:08hakikatan ilaj nahi hain. Ek masjid caller hain, assalamu alaikum.
16:12Walaikum assalam.
16:13Jee bhen.
16:15Assalamu alaikum.
16:16Jee walaikum assalam, awaad aa rahi hai, boli hain.
16:18Jee kar sahab, main yeh iswaal poochna tha, ki meri na papa ki death hogi, to jab unki
16:24death hui na, to jab unki shuroon mein jab shadi hui thi na, tab meri chachu itne chote
16:30the, ke tab wo padte the. To abhi unki teen mahine pehle death hui hai, to ammi meri ne
16:36unse bhi parda kiya tha. Lekin chachu log kehne lagge ke humne aapko humeshe apni maa
16:42ki jagah sanjha hai, to hum aap parda kyun.
16:45Theek hai main parda ka ab batata hoon. Inshallah batata hoon.
16:49Ek aur caller hain, assalamu alaikum.
16:52Assalamu alaikum.
16:55Shahid line drop ho gayi hai.
16:57Yeh nika liye lete hain, ki dekhen inke wali sahab ne apne chote bhai ko pala, wo chota
17:02sa tha, to even, humooman humare gharon mein aise hi hota hai, ke bhabi se parda nahi
17:08kiya jata. Wo parda nahi karte honge. Ab wafaat hui walid ki, to inki walida ne parda karna
17:13chaha, to unhone yeh hi kaha, ke am to aapko maa ki dara sanjhte hain. Yani bachpan se
17:17jawani tak to aapko dekhta hain, ab aapni yeh kya kiya.
17:20To yahan do mistakes hain. Ek mistake to yeh hai, ke yaad rakhein, ke jo bhabi hoti
17:27hain, bhai ki bibi hoti hain, unse parda wajib hai. Wo na mahram hai. To agar aapke
17:33ghar mein yeh ravaj tha, ki wo chacha jo bada hota raha, balik hone ke baad bhi wo dekhta
17:37raha, be parda aapki walida rahin, to gunah-e-kabira ki murtakeeba hui. Bilkul ghalat hai.
17:42Doosra yeh, ke baag log yeh samjhte hain, ki waise chahe raho, lekin jab wafaat ho jaye
17:46na, to iddat ke duran sabse parda karna hoga. Yeh bhi ghalat khayal hai. Jisse iddat se
17:51pehle parda wajib hai, iddat ke andar bhi wajib hai. Aur jisse iddat se pehle parda
17:56wajib nahi hai, iddat ke andar bhi usse parda wajib nahi hai. To chacha se, yeh is radke
18:01se pehle hi aapki walida ka parda wajib tha, iddat ke andar bhi wajib hai. To lekin choo
18:06ke aapne pehle apne hi, matlab, mazarat ke saath hi arz kar raha hoon, ke aapne apne
18:10hi ek usool banaya hua tha, ke iddat ke ilawa to be parda ki jaiz hai, lekin iddat ke baad
18:16bahut zyada ihtiyat karni padhti hai. Aur yeh umimi taur pe wohi log kehte hain ki jine
18:20bichaaron ko ilm nahi hota, woh daurane iddat nai nai conditions lagane ki koshish karte
18:25hain, dekho iddat mein yeh bhi nahi hoga, yeh bhi nahi hoga, yeh bhi nahi hoga. Haala
18:29ke iss se pehle bhi waise hi sharai ahakam hote hain. Isliye yaad rakhe hain ki aapki
18:33walida bilkul theek kar rahi hain, aur jo iss se pehle iddat se pehle jo chachu ke saath
18:38matlab, bepardagi hoti rahi, usse pehle Allah ta'ala ki bargah mein tauba karein aur iddat
18:42khatam ho jaane ke baad bhi ab bepardagi hargis nahi honi chahiye.
19:13Main arz karte hoon. Ek aur qawlaar hain. Assalam-o-alaikum.
19:16Waalaikum-as-salam. Usmeet sahab, mera qawal yeh hain ki jab Jum'al-e-Din azan dehi jati
19:20hai. Jee jee. Jee boliye. Jab Jum'al-e-Din azan dehi jati hain, jab doosri azan dehi jati
19:28hain, kya uske mauzan ke kalimaat duhur aayi jati hain ki nahi? Cheek hai. Aur?
19:36Main inshaAllah arz karte hoon. Yeh bhai ne farwaaya ki jaise hadith mein hain ki jisne
19:40teen baar surah-e-ikhlaas padi usse poore Qur'aan ka, goya goya usne poora Qur'aan
19:44pada, yaani poore Qur'aan ka sawab milega. Peh durood-e-paak ka zikar toh humne zimnan
19:48kar diya. Ab yeh kahte hain, koi shahz aakar humne kahe, ki humne ek Qur'aan,
19:52Qur'aan ka sawab agar aapke paas hai toh humne bakhj de, toh humne teen baar surah-e-ikhlaas
19:56padke yeh keh sakte hain, ki yeh poora Qur'aan ka humne aapko sawab diya.
20:00Dekh hain, aisa nahi kah sakte hain, kyunki humare urf mein jab koi aakar demand
20:04karta hai, ki yaar agar aapne koi Qur'aan padha hai, uska sawab eesaal kardein,
20:08toh wo yeh hi keh raha hota hai, ki teez sipaare padhe hain toh. Kyunki humare
20:12yeh hi, matab, jab demand hoti hai, ya kaha jaata hai, ees sawab ko talab kiya jaata
20:18hai, toh isi qasdo iraade ka saath. Ab wo keh raha hai poore Qur'aan, aur aap
20:22poore Qur'aan ka sirf sawab. Ek hai poora Qur'aan padna, ek hai poore Qur'aan
20:26ka sawab. Wo poora Qur'aan padha hua baang raha tha, aapne teen baar surah-e-ikhlaas
20:30padhe, teen baar surah-e-ikhlaas padhe, uska sawab ko kar diya, aur yeh baat
20:34durst nahi hoti, ismein balke jhoot bhi shamil ho sakta hai, agarche hum isko sari
20:38jhoot nahi kahenge, isko tauriyah kahenge, lekin yeh munasib nahi hai, aap yeh kahein
20:42ki teen baar surah-e-ikhlaas padhe, goya ki poore Qur'aan ka sawab aapko de deta
20:46hu. Agar aap yeh kahe kah kar dekhen, usko bilega, bhai teen baar surah-e-ikhlaas
20:50nahi, main poore Qur'aan ki baat kar raha hu. Isi se meri baat ki taaid ho jayegi,
20:54ki agar aapne kuch Qur'aan padha hai, toh humein iska sawab eesaal kar de,
20:58yehni sawab humein de de, goya ki ya humein ajazat de de, humein iska sawab
21:02eesaal kar de, toh wo padhe huye Qur'aan ke baare mein keh rahe hote hain, naanak
21:06ke surah-e-ikhlaas. Isli yah toh wazaahat kar ke kahein, yehni saab bata de, teen
21:10baar surah-e-ikhlaas ka sawab main aapko de rahoon, aur ya phir matlab aap istara
21:14ghalat bayani na kijiye. Bhai ne farmaaya ki jum'ah ki doosri azaan ka jawab
21:18dena sharan jayaz hai ya nahi. Dekhein jo khawateen ghar mein hain, wo toh un
21:22kalimaat ko dohra sakti hain, koi masalah nahi hain. Lekin jo namazi baithe
21:26hote hain, in ke liye jum'ah ki doosri azaan ka jawab zabaan se dena mana hai.
21:32Kyuki wo nabi-e-karim ne mana farmaa diya hai, ki jab imam khutba ke liye nikal
21:36aaye, toh uske baad zabaan se koi kalimaat waqara, koi adah na karein. Imam jo
21:40baithe hain mimbar pe, wo mustasna hain. Wo uska jawab de sakte hain, lekin mera
21:44mashwara hi hota hai, agar aap jawab denge, hont hilayenge, toh muqtadi bhi baad
21:48waqat jawab dene lagte hain. Ya pehli masalah samjhade mein aap logon ke liye
21:52jawab dena sahi nahi hain. Dil hi dil mein jawab delein, zabaan se nahi. Aap
21:55phir theek hai jawab delein. Lekin ye khawateen ke liye koi pabandi nahi hain,
21:59wo ghar mein jawab de sakte hain. Ek ye bhai ne farmaaya ki, kya baap apne
22:05bete ko, aur maa apne beti ko, parde ki baatein bata sakte hain, aur paaki
22:11ke ahkaam sikha sakte hain hain nahi. Lekin paaki na paaki ke ahkaam mein toh
22:16koi masalah nahi hain. Maa apne beti ko haiz unifaas ke masaahil bataayin, bilkul
22:20theek hai, istihaza ke masaahil bataayin. Walis sahab jo hain, wo bete ko bata sakte
22:24hain, ki beta tum isme balik ho jaoge, ehtalam hota hain, isme ghusl istara ghusl
22:28hota hain, bilkul isme koi sharam unhaya ke baat nahi hain. Amare hain almiya ye
22:31hai, ki har tarah ke duniya ke baat ho jaayegi, baad waqat movies ghar mein
22:35chal rahi hoti hain, usme ghar akhlaaqi manazir hon, digar cheezein hon, koi
22:39masalah nahi hain. Lekin jab sharai ahkaam ki baari aati hain, toh boltein
22:42hai, sharam aati hain bachon ko ye ahkaam samjhate hui. Chalein agar aapko
22:45sharam aati hain, toh fir koi alim-e-deen, aur isitara khawateen ko kisi alima
22:50ki khidmat lekar, kamaskam apne bachon ko ye ilm toh dena hi hoga. Aur agar
22:54barah-e-raas de, toh koi masalah nahi hain. Syeda Ayesha Siddiqa radiyallahu
22:58ta'ala anha irshaad firmaaya karti thi, ki Allah ta'ala ansaar ki auraton par
23:02rahmat nazil firmaaye, ki unhe sharam-o-hayaan ne nabi-e-karim sallallahu
23:07alayhi wa sallam se masail pooshne se nahi roka. Toh wo apne aake isitara ki
23:13masail zikr kiya karti thi, toh ye. Aur parda ki baat ho se murad agar ye hai,
23:17ki mian bibi ke taluqat aur ye digar cheezein, ye matnab ye ke munasim nahi
23:21hota, ki ek walid apne bete ko, aur walida apne beti ko karein. Iske liye
23:25fir ye hai, ki cousins waghara hoti hain, agar koi baat aisi hai, ki sharri
23:28uptaur pe malum karni ho, toh fir ye kisi alima se rujoo kar lein, aur digar
23:32cheezein hoti hain, toh chalein cousins waghara bataa dein, aisi ye bachay ko
23:35bataa dein, guideline de dein, ki baaz bachay kisi bhi activity mein nahi hote,
23:39toh bahus se masail ho saktein. Iske liye bhi betar ye hota hai, ki hukook-e-zaujain
23:44course karwaya jaye, aur usmein jo bhi ustaad hoon, bachay waghara dair-e-adab
23:48mein reh kar, unse question kar lein, kin umoor ka irtiqab jayez hai, aur kiska
23:54nahi. Aur ye kar lena chahiye, ismein koi sharam ki baat nahi hai, zaroor malumat
23:58karni chahiye, kyun ke basa aukad, humne dekha hai, ki baaz log najayaz umoor
24:02ke murtakib ho rahe hote hain, internet pe cheezein dekh kar, aur wo najayaz
24:06kaam kar rahe hote hain, aur baaz aukad aisa hota hai, ki ek jayaz kaam hai,
24:10lekin wo samjh rahe hote hain, shay sharriyat ne isko haram karar diya, wo
24:14ismein kharabi hoti hai, ki najayaz aur makroor ko jayaz samajh ke karna, ye
24:18qabal-e-garif, aur ek jayaz amal ko najayaz aur guna samajh kar chodna, ye
24:23alag mustaqil guna, isliye sikhane mein koi haraj nahi hai, toh behtar hai ke
24:28parde ke masayil jo hai, wo istara kisi aur zariya se hasil kiye jaye. Isi ke
24:32ek aur hissa bhi maujood hai, main inshaAllah arz karta hoon, lekin ek
24:35chote se break ke baad.
24:36Bismillah-ir-Rahman-ir-Rahim, pehle cause lete hain, Assalam-o-Alaikum.
24:41Line drop ho gayi, shayad dusri call hai, Assalam-o-Alaikum.
24:44Wa-alaikum-Salaam-o-Alaikum.
25:15Haan ji.
25:16Theek hai aur?
25:17Teesra sa kisi kapde par paak gili miti lagi hui thi, aur us kapde ko napaak
25:22kapron ke saath dhone ke baad jab paak kiya, toh miti ka daag majood tha, toh
25:27kya ab ye kapda paak hai, ya napaak hai?
25:29Ye teesra dobara kiya haiga zara?
25:32Teesra?
25:33Teesra sual dobara kiya?
25:35Kisi kapde par paak gili miti lagi hui thi, aur us kapde ko napaak kapron
25:41ke saath dhone ke baad jab paak kiya, toh miti ka daag majood tha, toh kya ab ye
25:46kapda paak hai, ya napaak hai?
25:49Theek hai aur batata.
25:51Main arz karta hu.
25:53Ye dekhe hain, agar koi shakhs kisi pe sajda sahaf wajib ho, aur usko aakhir me
25:58yaad na rahe, namaz khatam kar li, toh jab tak wo koi aisi harkat na kare, jisse
26:05majlis tabdeel hona keh lai, us tab wo sajda sahaf kar sakta hai.
26:11Majlis tabdeel hona kab keh lai ga?
26:13Jisse namaz khatam kar ki wo kisi se baate karne lage, khaana khaale, uth ke chal
26:17pade, neeche led jaye, sho jaye, toh ye kehenge ki majlis badal gayi, aur ab joh
26:23hai iska goya ki sabiqa namaz se silsara bilkul munqate ho gaya, agar aisi surat
26:27haal hai toh namaz wajib ul iyada hogi, isse baad mein ada karni hogi.
26:31Lekin agar aisa nahi hua, balke namaz khatam karne ke baad zikr-e-Ilahi kar raha
26:36hain, ya jisse aapne farmaaya jissam pe koi haath rakhe, koi dum waghara kar raha
26:40hain, toh ye fasal bil-ajnabi nahi keh laata hai, yaani ish shahs ka abhi sabiqa
26:45namaz se raabita ya taaluk munqate nahi hua. Jaisi yaad aaye, foran sajda-e-sahaf
26:51kar le, toh inshaAllah namaz ho jayegi.
26:53Dusra ne kaha ki baad uqaat aankhon mein khaarish ho jati hai, jiski wajah se
26:57paani se nikalata hai, palakon ke upar aajaata hai, toh kya hukm-e-sharaai hai,
27:01na paak hai, paak hai, wudhu raha hai ya nahi raha.
27:03Dekin ek toh hoti hai, khaarish andar bimaari jisko aap kehte hain, ki aankhen
27:07laal ho gayi hain, aur baar baar khujli ho gayi hain, usse jo paani nikalega,
27:11wo fuqaha-e-kiraam ki raaye ke mutaabiq na paak hota hai, aur wudhu ko todh deta
27:17hai. Aur ek hota hai, waisi aap baithin hain, toh toh kisi khaarish maasus ho gayi,
27:21aur usse paani nikala hai, yeh bilkul paak hota hai, aur iske koi masla nahi hai,
27:25yeh chahe baahar bhi nikala hai. Aur jo pehli wali surat-e-haal main bataayi,
27:29jo bimaari wali, usme bhi yeh hai ki agar thoda bohot palakon tak pauncha baha nahi
27:33hai, toh wo na paak nahi hoga, jab tak wo behne ke saraai nahi rakhe,
27:36yaani na aankhon se nikalkar, behne ki taaqat nahi rakhe, tab tak aapka wudhu
27:41nahi tootega. Isme behne ke physically taur par aitbaar nahi, balke behne ki taaqat
27:46rakhne ka aitbaar hai. Yun samajh leji ki aankh se paani nikalne laga,
27:49aapne cheez se saaf kar liya, phir nikalne laga saaf kar liya, phir nikalne laga saaf
27:53kar liya, aur aankhon bhi bimaari hai, iska matlab yeh agar aap baar baar na rokti,
27:58na saaf karti, toh wo beh jaata, toh bas iska matlab yeh is roke jaane wale paani meh
28:02bhi behne ki salaiyat thi, toh lehata wudhu toot jayega. Lekin aam tohar pe jo
28:07khaarish thodi bohot hoti hai, aankh ke andar hawa lag gayi, kuch ho gaya,
28:11yeh jo paani nikalta hai, yeh paak hota hai. Aur aapne firmaaya ki agar geeli mitti
28:15ke opar kapda tha, geeli mitti paak thi, phir aamne na paak kapdaron ke saath dhol
28:19liya, baad mein dekha mitti ka nishan hai, kapda paak hua ke nahin hua. Toh dekhein
28:24agar aapne is tarah se paak kiya hai, ki aapko yaqeen hai, yaani na paak kapdaron
28:28ke saath dhola, aur iske baad itna paani baha liya ki yaqeen hai ki na paaki, paani
28:33na paaki ko apne saath baha kar le gaya, toh yeh mitti ka sirf dhabba rah jaana,
28:37isme koi masla nahi hai, ki agar aapne washing machine mein kiya hai, sabun waghara
28:41lagaya, uske baad udhar rah gaya, toh thoda baad yeh bhi, toh paak mitti ka dhabba
28:44tha, koi na paaki ka nahi tha, toh isse aapke kapde paak rahenge, isme koi tashfeesh
28:48ki haajat nahi hai. Eke bhai ne offered question kiya tha, ki main baad oqa jab
28:53namaas padhta hun, toh zabaan se kuch bhi nahi bolta, yehne aisa nahi kehta hun,
28:56main padhta hun, do rakat namaaz waaste Allah taala ke, bas dil hi dil mein sochta
29:00namaaz padh leta hun, kya mera yeh tariqa sahi hai, yeh bilkut sahi hai aur sunnat
29:05hi yeh hai, niyat kehte hain dil ke pukhta iraade ko, zabaan se kehna laazim nahi hai,
29:11toh lihaaza apne dil mein agar pukhta iraade kiya hai, masal mein main zuhur padh raha
29:15hun, aur aaj zuhur ke chaar farz, toh bas zabaan se kehna zaruri nahi, aapki niyat
29:19theek hai, aap namaaz padh lenge, ki niyat toh issi ko kehte hain, aur jo hum zabaan
29:23se kehte hain, log aam tohar pe toh keh dete hain, zabaan se niyat karna, lekin niyat
29:27toh dil ke iraade ko kehte hain, isko yuh kehna chahiye ki niyat ko alfaaz ki shakal
29:32mein ada karna, acha jab yeh sunnat dil se niyat karna hai, toh phir zabaan se kyun
29:36kehte hain, yeh isliye kehte hain ki humare fuqaha-e-islam ke paas aaye hunge cases ki
29:41jee main namaaz mein khada ho gaya, haath bhi baan liye, phir main soch raha hun main
29:45kaunse namaaz padh raha hun, toh iss tarah ghaflat-e-ishtigaal bahut zyada hua, kasrat-e-masrufiyat,
29:51zihni dabaw, usmein logon ko yaad hi nahi rayta tha ki dil mein kya hai, toh fuqaha
29:56ne phir irshaad firmaaya ki jo niyat hai usko apne alfaaz se zikar karne, kyunki kahe
30:01hua alfaaz zihan mein maafuz ho jaate hain, soch hui baad baad uqaad zihan mein maafuz
30:06nahi hoti, toh phir fuqaha ne kaha ki mustahab-e-afzal hai ki aadmiin bhool jaye aur yeh sochein
30:11patna nahi kaunse namaaz padh raha hun aur yaad hi nahi raya hai aur phir istiraab
30:14ke shikaar ho, phir namaaz torein, dubara niyat-e-karein, iss se betre ke zabaan se
30:18kehne, toh goya ke zabaan se kehna yeh haqiqatan nabi-e-kareem sallallahu alaihi wa sallam
30:23ya sahaba-e-ikram se thabit toh nahi hai, lekin baad ki fuqaha ne baqaida ijazat di
30:28aur jab fuqaha ijazat dete hain toh wo amal bilkul theek hai, aap usko ikhtiyar kar sakte
30:32hain, dono suraton mein namaaz ho jayegi, yeh kehte hain kar kisi mufti sahib se maine
30:36koi sharri masalah poocha, unhone bataya maine amal kar liya, lekin baad mein malum
30:41hua ke unse mistake ho gayi thi, goya ke baad mein unhone shad khud yeh itraf kiya
30:45hoga, yaar mujhse ghalat masalah bata diya, toh main gunaagaar hua ya nahi hua, dekhi
30:50Allah ki rahmat se umeed hai ke aap gunaagaar nahi hunge, aur nah wo mufti sahib hunge,
30:55isko samajh lein ke agar ek mufti sahib lagataar fatawa dete hain, aur masayil bataate hain,
31:01unse agar thodi baut koi mistake ho jati hai, baazukar tawajjo nahi rehti, toh Allah ta'ala
31:05umeed hai ke unse darguzar farmaayega, aur wo fatwa dene ke ahal rehenge, kyuki hum
31:10insaan hai, aur insaan qusoor ke saath hi peyda kiya gaya hai, hum naqis log hai, kabhi
31:15tawajjo rehti hai, kabhi nahi, lekin yeh zaroor hai ke agar masalah ghalat nikal jaye, toh
31:19apni ghalati ko foran tasleem karna chahiye, aur uska tadaaruk karne ki koshish karne chahiye,
31:24kafaar aada karne ki koshish karne chahiye, lekin ek achhe mufti sahib se mistake ho sakti
31:29hai, aur kyunki unhone jaanboosh ke nahi kiya, toh yeh khata Allah ta'ala se umeed
31:34hai ke muaaf farmaayega, aur doosra, aadmi kyun gunaagaar nahi hoga, isliye ke Allah
31:39ne farmaaya, fasalu ahla zikrin kuntum la ta'alamun, agar tum nahi jaante toh ahle
31:43ilm se sual karo, aur aapne ahle ilm se sual kiya, ab unhone jo jawab diya, aapne toh
31:48usko sharri hujjat samajh ke ikhtiyar kiya, nikal aaya ghalat, toh chunke aapne gunaagaar
31:53ka qazdo iraada nahi kiya tha, bighar poochhe koi amal nahi kiya tha, mufti sahib se poochha
31:57tha, umeed hai ke aap se bhi dar guzar kiya jaayega, ek hai kehte hain ke yaha aisa hota
32:03hai aksar, ke hospital ke baahar, jaise kahin pe bhi car khadi kar deta hai, koi maaldaar
32:09yaha na karein, aap parking mein khara kardein, toh wo utar ke daant na shuru kar dete hain,
32:14zalil kar na shuru kar dete hain, toh tum nahi jaante main kaun hun, tum isqabil nahi
32:18hun, gaaliyan bakte hain, digar cheezein, toh kya logon ka istara kisi ghareeb ko zalil
32:23karna sharan durst hai, ye bilkul durst nahi hain, agar ye musulman harkat kar raha hai,
32:28toh bahut hi ghalat harkat hai, ek musulman ko toh khauf-e-khuda rakhna chahiye, musulman
32:33ko aajzi pasand huna chahiye, ye alamat-e-takabbur hain, kisi ko haqeer samajhna, takabbur
32:39ka matlab ye hota hai, ke aadmi saamne wale ko apne se haqeer aur kamtar, aur apne aap
32:44ko usse baalatar, badkar tasawur karein, aur uski alamat phir ye hoti hain, seed-e-moon
32:49baat nahi karenge, jhadhak ke baat karenge, daant ke baat karenge, unko zalil karna,
32:53apne liye maamuli samjhenge, aur samjhenge hai isqabil main isko zalil kar sakta hun,
32:57ye alamat-e-takabbur hain, aur takabbur haram aur gunah-e-kabira hai, nabiye kareem
33:02sallallahu alaihi wa sallam nishat farmaya, ke mutakabreen barood-e-qiyamat is haal mein
33:07aayenge, ke wo chootiyon ki tarah hunge, aur log unko apne qadmon talay roonteway nikal
33:12jayenge, undaza karein ke wahan pe Allah ne mutakabreen ke liye kitni zillat ka saaman
33:17rakha hai, toh agar koi meri behne se sun rahi hain, mera bhai sun rahi hain, baad uqaat
33:21humari behne maasiyon ko itna zalil kar deti hain ghalatiyon par, apne guard ko, naukar
33:26ko bahut-e-zada ghaliyan tak bak dete hain, thappar tak maar dete hain, aur wo bichara
33:30apni naukari bachane ke chakar mein, apni ghurbat ko apne saamne rakkar, is zillat ko
33:35bardaash kar raha hota hai, ye alamat-e-takabbur hain, ye aamaal takabbur wale hain, iska
33:40akharat mein jawab dena hoga, khudar agar aisa kiya hai, ye na dekhen saamne naukar
33:44hai, kaun hai, maafi maang le, yaha apni maangenge, toh main aapko khabar dera hun,
33:49Allah ta'ala apki naukar ko saamne kharega aur aapko, aur wahan pe aapko usse maafi
33:56bhi hogi, aur aapki nekiyan uske naam-e-aamaal mein daali jayengi, hisaab pura nahi hoga
34:01toh uske buraiyan aapke naam-e-aamaal mein daali jayengi, yeh riwayat mein kai dhaba
34:05suna chuka hun, phir sun le, ek sahabi aaye nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam
34:09ke paas, ya rasulallah mere kuch ghulam hain, ghalateeyan karte hain, toh main unko maarta
34:12hun, barod-e-qiyamat mera inka kya muaamla hoga, Allah ta'ala ne farmaya hai ki Allah
34:16ta'ala tarazu qaim karega, teri maar ek pallade mein rakhi jayegi, inki ghalateeyan
34:20dusre pallade mein, agar ghalateeyan aur maar barabar hui, toh na lena na dena, aur agar
34:25inki ghalateeyan zyada hui, teri maar kam, saza kam, toh inse badla dilwaye jayega, aur
34:29agar teri maar zyada hui, inki ghalateeyan kam, toh teri nekiyan nikal kar inke naam-e-aamaal
34:35mein daali jayengi, toh wo sahabi roote hua rukhsat ho gaye the, khuzara, mujhe bhi ispe
34:40ghor karna chahiye, aap bhi ghor kijiye, aur aarzi hi achi hai, istara ki juble kehna munasib
34:45nahi, aur maine dekha hai baaz log, aasmaan se goya ke zameen pe ghir jate hain, Allah
34:51aise unko crisis me mubtala kar deta hai, unke takabbur ki goya ke aisa lagta hai,
34:55bazaahir duniya mein saza di gayi hai, ki wo zalir aur ruswa ho jate hain, toh humein
34:58aisa hargiz-hargiz nahi karna chahiye, ek bhai ne farmaya hai ki humare hain, baaz
35:03uqat humne dekha hai ki koi paagal bichara hu, majnoon kisam ka, toh group mein ladke
35:07usko tang kar rahe hote hain, chhed rahe hote hain, kabhi patthar maartne hain, kabhi
35:10usko anday maarte hain, aisa karna kaisa hai, dekhi ye bhi ek alamat-e-takabbur bhi hai,
35:16aur bilkul guna hai, nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ne makhloog ko aziyat dena
35:20se mana farmaya, yaha tak farmaya ki jo Allah aur ukhra bhi din par iman rakta hai, usse
35:25chahiye ki apne podosi ko aziyat na de, yaani ye toh iman ki alamat mis se hai ki jo aakhirat
35:31pe iman rakhega, wo aziyat nahi dega, aur jo, main nahi kehna hu ke kafir ho jayega,
35:36lekin ye zaroor hai ki agar aakhirat pe iman ho, kamil iman aur yaqeen ho, ki mujhe iska
35:41amal ka hisaab dena hai, toh day of judgement ka khauf ki Allah ki bargah mein jaakar mujhe
35:46iska badla dena hai, wo darega, rukega, lekin iska battab ye hai ki jo istara jurratmandana
35:51paagal ko pareshan kar raha hai, toh wo aakhirat ki fikar se ghaafil ho chuka hai, usse ye
35:55khauf nahi hai ki mujhe iska jawab bhi dena hoga, toh ye bahraal, ye bhi guna hai bohot
35:59bada, aur ibrat hasil karne chahiye, ye toh Allah ka shukr ada karein is jihad se, ki
36:04Allah kar tohne isko paagal banaya hai, mujhe sahib-e-aqal tera laak laak shukr hai, iske
36:08jagah mere walid nahi hai, meri maa nahi hai, meri behan, mera beta, meri bhiwi, mera bhai
36:13nahi hai, agar wo hote hain, aur istara unke saath solukh kiya jaata hai, ki aap isko
36:17pasand karte hain, toh hargis hargis aisa nahi karna chahiye, ye bilkul ghalat baat hoti
36:22hai, toh ab chunke hamara takriban program khatam ho raha hai, toh inshaAllah next week
36:27agar Allah taala ne muhlat di, ijazat di, zindagi qaim rahi, aapki khidmat pe haziri
36:32ka sharaf hasil karenge, main aap sabse guzarish karta hu, hamara ye program dekha karen,
36:36doosron ko dekhne ki targheeb diya karen, ye program youtube pe dal jaayega raat me,
36:40isko aap repeat bhi dekh sakte hain, doosron ko dekhne ki targheeb zarur diya karen,
36:44ek aadmi bhi targheeb se agar program dekha masayil seekhega, guna se bachega,
36:48hidayat ki taraf aayega, aapke liye bohot bada sawab-e-jaariya hoga, Allah taala balke
36:51taufiq ata fermaayen, ameen, wa aakhiru da'awana, anil hamdu lillahi rabbil aalameen.