• 3 months ago
#pmshehbazsharif #youthprograms #AgriCultureGraduates #headlines

Arshad Nadeem reaches his hometown Mian Channu

Tom Cruise performs hair-raising stunts for Paris Olympics 2024 closing ceremony

‘Its not about re-election but reclaiming the mandate’

Stray dogs maul, kills 8-year-old child in Sadiqabad

Citizen discovers missile in Islamabad, alerts authorities

Journalist tortured by Sindh police for reporting alleged corruption of SSP

Six killed in bus-vehicle collision in Jhang

Authorities imposed ban on ‘baajas’ in Islamabad

Five killed in armed clash over land dispute in Sukkur

Bangladesh chief justice, central bank chief quit amid protests

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Category

🗞
News
Transcript
00:00Sabik DG ISI left-ranked general retired Faiz Hameed ko tehreel mein le liya gaya.
00:06Inter-services intelligence ke sabik chief ke khilaf court-martial karwai ka aghaaz.
00:10ISPR ka kehna hai Supreme Court ahkamat ki roshni mein Faiz Hameed ke khilaf enquiry
00:15ki gayi.
00:16Faiz Hameed ke khilaf top city case mein shikayat mausoon hoi thi.
00:28Yeh shurwaat hai abhi bahot bade bade bhut girne hain.
00:31Top city ka case uthega toh aur bhi kayi naam saamne aayenge.
00:35Senator Faisal Bawda kehte hain aane wale dino mein baani peete aaye aur tariq-e-insaaf
00:39zameen par led jaayenge.
00:42Jo siyasi waqiat huye unmein Faiz Hameed ka haath zarur hoga.
00:45Wazir-e-Defa Khwaja Asif kehte hain Faiz Hameed 9 May waqiat mein thodi-bhaut logistic
00:50zarur farham kar rahe honge.
00:56Aur Masoom ke alaak-e-Khatkocha mein namalum afraag ki firing DC Panchkore aur District
01:00Chairman Municipal Committee samayin teen afraag zaakhmi ho gaye.
01:03Zaakhmi Deputy Commissioner Zakir Baloch ki haalat naazuk hai.
01:07Fauj mein khud-ehtisabi ek sakht, kada, magar shafaaf amal hai, ek khudkaar amal jo har
01:15waqt jaari rehta hai.
01:16Aur iske andar kisi kisam ki tafreeq nahi ki jaati.
01:18Balke agar zyada senior rank ho aur higher rank ho, toh yeh jo mara accountability process
01:23hai, it comes even more harder.
01:26Fauj mein kada-ehtisabi amal par DG-ISPR wazeh bayaan de chuke hain, 7 May 2024 ko press
01:32conference mein DG-ISPR ka kehna tha Fauj mein khud-ehtisabi ek kada, sakht, shafaaf
01:38aur khudkaar amal hai, jo har waqt jaari rehta hai.
01:42Jitna bada uhda, utni badi zimmedaari, hamein apne accountability system par fakhar hai.
01:48Fauj ka ek bada kada-ehtisab ka aur enquiry ka ek apna system maujood hai.
01:58Yeh system wo apne aap pe lagu karte hain, wo bilkul merit pe chalne wala idara hai.
02:03Aur yeh tehkikaat ki gayi hain, samjhata hoon ki badi tabeel tehkikaat thi.
02:08Wazeh pehkhaam aaya hai, ke koi bhi aayir-o-kaaron ke khilaf warzi karega, toh bhuktega.
02:14Jo kuch saamne aaya, wo tehkikaat ke baad hi aaya.
02:17Rifaqi Wazir-e-Itlaat Atta Tarar ka Faiz Hamid ke khilaf kaarwai par radh-e-amal,
02:21kaha ek siyasi Jamaat ke saath taaluk par bhi Army Act ke khilaf warziyaan ki gayi,
02:26muaamle ko hamare saath link na kiya jaye.
02:28ISPR ki bilkul wazeh press release aayi hai.
02:31Wazir-e-Aslam ke Mushir Rana Sana ne kaha, Pak Fauj ki jaanat se bahut mazboot pehgaam diya gaya.
02:37Yeh faisla Pak Fauj ki izzat aur ehtiram ka baais panega.
02:41Faiz Hamid ke khilaf inquiry hui hai, toh baaki cheeze bhi hongi.
02:44League-e-rehrama Javed Latif bole, Faiz Hamid Pakistan me Intishar ke mastermind the.
02:49Faiz Hamid ke aaj bhi raapte the.
02:52Bangladesh tarz ka Intishar barpa karne ki mansooba bandi ki ja rahi thi.
02:56Kaash, 9 Mai ke waqt-e-daaron me baithe logon ke khilaf action hota.
03:00Fauj ke baad digar-e-daaron me bhi khud ahtisabi ka amal shuru hona chahiye.
03:06Unka apne tariq-e-kaar-e, unke jo log retire-e, ya jo log iss waqt serving-e.
03:10Unko apna ek subject ho, ek code hai.
03:13Wo jaise chahate hain, wo proceed karna chahate hain.
03:16We are nobody to question anyone.
03:18Fauj jaise chahe apne e-daar-e me ahtisab kare, hum sawal nahi utha sakte.
03:23Chairman PTI Barrister Gauhar ka, Faiz Hamid ke khilaf ka raway parad de amal.
03:27Kaha Fauj apne retired ya maujood-e-afsaraan ke khilaf apne court ke tehad qanooni chaara joi karte hai.
03:33Sheikh Waqas Akram ne kaha, jo log moaamle ko PTI se jod rahe hain, unhone press release nahi parhi.
03:38Faiz Hamid ka court-martial e-daar-e ka androoni moaamla hai.
03:41PP Rahnawaq, Amar Zaman Kaira ne kaha, Fauj ne itne senior-afsar ke khilaf kaar-raway ki hai, toh yaqeenan thoz suboot honge.
03:49Aam-taur par taasur tha, ke aise senior-afsar ke khilaf kaar-raway nahi hua karte thi.
03:54Supreme Court ne Noon League ke teen arkaan-e-Qaumi Assembly ke rukhniyat bahal kardi.
04:06Lahore High Court ka faisla ka ladam karar, Election Commission ka faisla bahal.
04:10Supreme Court ne dubara ginti me Azhar Qayyum, Abdul Rehman Kanju aur Zulfiqar Ahmed ki kaamiyabi ko barkarar rakha.
04:16Faisla 2-1 ke tanasab se sunaya gaya.
04:1947 safhat par mujhtamil faisla, Chief Justice Qazi Faiz Isa ne tahrir kiya.
04:23Dikha, Election Commission aayi nahi daara, uske chairman aur arkaan ihtiram ke haqtaar hain.
04:29Badqismati se kuch judges, is pehlook ko nazar-andaas karke tazheek-aamiz remarks dete hain.
04:35High Court ne Section 95 ki Zeli Sheikh 5 ko madde nazar hi nahi rakha.
04:39Jab High Court me case gaya tha, us waqt ye tarmeen maujood thi.
04:42Justice Aqeel Abbasi ka ikhtilafi note, likha,
04:46Intikhabi amal mukammal hone par Election Commission ka kindaar khatam ho gaya.
04:50Aayin ke mutaabik, intikhabi tanaziyat par Election Tribunal se hi rujoo kiya da sakta hai.
04:55Election Commission ka hukum daaira-e-ikhtiyar se tajawuz hai.
04:59Lahore High Court ke faisla me koi qanuni ya haqqaiq ki ghalati nahi.
05:03High Court ke faisla me mudakhalat ki zarurat nahi.
05:06Supreme Court ne PP 133 Nankana sahab se Muslim League Noon ke Rana Mohammad Arshad ko bhi bahal kar diya.
05:16Aayin ke mutaabik, intikhabi tanaziyat par Election Tribunal se hi rujoo kiya da sakta hai.
05:27Us se hume bade maayusi hu bhi hai.
05:30Nisaab ka qatal hua hai.
05:31Humare chaar seat hain, ek stroke ke saath, kisi aur party ko dene ki koshish ki gayi hai.
05:37Election Tribunal me petition pending thi,
05:39behtar hota Supreme Court direct kar thi ki wahi petition pe faisale hote.
05:44Supreme Court ke faisale se Nisaab ka qatal hua.
05:47Humare chaar nishiste kisi aur ko dene ki koshish ki gayi.
05:50Teen halkon se mutaalik Supreme Court ke faisale par nazve saani darkhas daair karenge.
05:54Chairman PTI Barrister Gauhar ki press conference kaha,
05:58Supreme Court ka faisala Nisaab ke takaazon ke manafi hai.
06:01Koshish ho rahi hai humare jeeti nishisto ko dubara ginti se shikas me tabdeel kiya jaye.
06:07Shibli Faraz ne kaha, yeh satra seat ho wale log hain, inki mastooi aksiriyat banayi gayi.
06:12Ali Muhammad Khan kehte hain, 8th February ko awam ne PTI ko do tihai aksiriyat di.
06:17Awam ka mandate tasleem nahi karna tha, to election kyun karaye?
06:21Hum Donald Loo ke kehne par tehreek-e-adham aithmaad nahi laayenge.
06:37Mataur Wazir-e-Azam, aapka khadim bankar kaam karna chahta hu.
06:41Mayoosi ko dhakil kar roshniyon ki taraf jaana hai.
06:44Maazi mein jhatme ki zarurat nahi, maazi se sabak seekh kar mulki taraqee ke liye kaam karna hoga.
06:50Ashrafiya, hukumat aur wuzara sabko apna kardar ada karna hoga.
06:54Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ka Prime Minister's Youth Programme ki takreeb se khitab,
06:591000 agricultural graduates ko ala taaleem ke liye Chin bhejne ka alaan.
07:03Kaha, Huawei se muahida kiya hai, saalana 2 lakh bachchon ko training denge.
07:08Rama saal, 10 lakh smart phones naujawanon ko dene ka bhi alaan kiya.
07:12Wazir-e-Azam ne Commonwealth Youth Secretariat ka iftitaah kar diya.
07:19Aaj Modi ki India mein minorities ko safe haven nahi hai.
07:24Qaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ne uss waqt mehsoos ki ki ek din yeh hoga.
07:31Gaza pe jo misail jaara hai, koi yeh nahi dekhna ki yeh Musliman hai aage,
07:36ya yeh Christian hai, ya kisi aur qaum ka banda hai.
07:40Narendra Modi ke Bharat mein aaj aqliyat-e-mehpoos nahi hai.
07:43Hum padausi ki jung mein padne ke natayaj ka andaaza nahi laga sake,
07:47saan-e-mashri ki Pakistan ke baad jo kuch hua, uske aayni ghawa hai.
07:52Hume kamzor karke padausi mulki jung mein jhunk diya gaya.
07:55Sadr-e-Mumlikat Asif Zardari ka aqliyat-o-ke-aalmi din par takreeb se khatab kaha maazi mein
08:00kisi aur ki jung ka hissa banne se riyasat ko nukhsaan hua.
08:03Gaza mein jo misail jaara hai, wo yeh nahi dekhna ki aage Musliman hai, ya Masih.
08:10Shaheed Lieutenant Uzair Mehmood Malik, Qaaba-e-ilaq-e-Attock mein fauji aizaas ke saath supur dekhaat.
08:15Namaz-e-janaza aur tatfeen mein Pak Fauj ke senior afsaran, jawano, lawahiteen
08:20aur logon ki badi taadaad ne shirkat ki.
08:22Lieutenant Uzair Mehmood Malik, 9 August ko khawarish ke khilaf operation mein shadeed zakhmi hua the,
08:27unhe CMH Peshawar muntakil kiya gaya, jahan wajah mein shahadat moosh kar gaye.
08:32Sadr Asif Ali Zardari ki Attock mein Shaheed ke ghar aamad,
08:35Shaheed ko qiraj-e-aqeedat pesh karte hua, lawahiteen se izhar-e-taaziyat kiya
08:40aur Shaheed ke isaal-e-sawab ke liye dua ki.
08:53Broad Peak se waapsi par patthar lagne se zakhmi ko Fema,
08:58Murad Satpara jaan bhaag Chasde Khaki base camp pohncha diya gaya.
09:02Shaam tat Abai Gaon Satpara pohncha diya jaayega.
09:05Pak Fauj ke helicopters ne rescue operation mein hissa liya.
09:08Chairman Satpara, Monitoring Training School, GM Satpara kehte hain.
09:12Murad Satpara patthar lagne se ghehri khaayi mein gir gaye the.
09:16Murad Satpara ne K2 samayet kai choteyon par sabz lali parcham lehraya.
09:21Sadr Asif Zardari aur Bazir-e-Azam Shahbaz Sharif ka Murad Satpara ki wafaat par izhar-e-afsoz.
09:32Naye election se bhi mulk nahin chalega,
09:34mulk chalane ke liye pehle raste ka taayun karein.
09:37Awam Pakistan Party ki convener Shahid Khakhan Abbasi kehte hain,
09:40Army Chief, Chief Justice aur siyasi rahanumaat sir jod kar baithein
09:44aur masale ka hal nikaalein.
09:46Jo Jamaat aayeen par chalegi, hum uske saath hain.
09:49Sahib-e-Qazir-e-Azam ne phir NAAB khatam karne ka mutaaliba kar diya.
09:52Ihtisab Adalat ne NAAB hukam ki ghair kaanuni bhartiyon ka reference wapas lene ki darkhaas manzoor kar li.
09:58Reference Chairman NAAB ko wapas bhejne ka hukam.
10:08Governor Singh ki tabdili ka yaktarfa faisla hua toh Ittahadi hukumat chhod denge.
10:12Dr. Farooq Sattar ki hukumat se alag hone ki dham ki.
10:16Kehte hain, Noon League waadon ka paas kare.
10:18Noon League se tay hua tha, Sindh ke Governor Kamran Tissauri hi rahenge.
10:22Iss se pehle bhi Kamran Tissauri ko hatane ki qayaa saraiyan hoti rahi hain,
10:26jin se hijaan pehta hota hain.
10:28Ab muamla tay ho jana chahiye.
10:30Wazir-e-Daqla Mohsin Naqvi se,
10:32Chairman MQM Khalid Maqbool Siddiqui ki mulataat.
10:35Khalid Maqbool Siddiqui ne kaha,
10:37Pakistan ke khatir sab ko bahimi ittahat se chalne ki zarurat hain.
10:47Tawar mein Izhar-e-Tashakur Jalsa, Kabootar Chowk par karkunon ki badi taadaat maujood.
10:51Hafiz Naeem ur Rehman khitab karenge.
11:02K Electric ne July ke billo bhi Municipal Tax shamil kar diya.
11:05100 se 200 unit tak 20 rupay.
11:08200 se 1 se 300 unit tak 40 rupay.
11:12300 se 1 se 400 unit tak 100 rupay.
11:15400 se 1 se 500 unit tak 125 rupay.
11:18500 se 1 se 600 unit tak 150 rupay.
11:21600 se 1 se 700 unit tak 175 rupay tax shamil.
11:25700 se zaif unit par 300 rupay.
11:28Commercial sarfeen se 400 rupay liye jaayenge.
11:31Kaurangi Trade and Industry Association ka Municipal Tax samayet,
11:34digar taxes ke khilaf,
11:36Adalat jaane ka ailaan.
11:38Seapack ke aham tarheen project, Sukhi Kinari Hydro Power Station ke pehli unit ne bijli ki pehdawaar shuru kar di.
11:50Ailamiye mein kaha gaya, Sukhi Kinari 10 lakh se zayad gharon ko sasti bijli faraham karega.
11:56Project par 4 Impulse Turbine units lagayi gayi hain.
11:59Mansooba apne aakhri marhale mein daakhil ho gaya.
12:02Taqmeel ke baad saalana 3.212 billion kilowatt per hour tak bijli pehda karega.
12:13Imam Masjid-e-Nabwi, Dr. Salah bin Muhammad Al-Badeer ki Baadshahi Masjid Aamat,
12:17Namaz-e-Maghrib Badai, Saudi Safir Nawaf-ul-Malki bhi hamra the.
12:21Maulana Abdul Kabir Azad, Secretary of Kaaf Dr. Tahir Raza Bukhari ki bhi shirkat.
12:26Dr. Salah se Allama Hasham Ilahi Zaheer ne bhi waqt ke hamra mulaqaf ki.
12:30Lahore Aamat par khair magdam kiya.
13:00Amerika 7 October ke baad se ab tak 2 tayyara bardar behri jahaz alaqe mein rawana kar chuka hai.
13:30Shaheed-Palestinian ki majmooi taadad 49,897 ho gayi.
14:00India ki taadad mein maujood ki mein yeh sab kaise mumkin hai.
14:02In se toh ab Bangladesh ki sarhat bhi nahi samhali ja rahi hai.
14:09America aur Canada ki Sikh community, Modi hukumat ki dhamkiyon se khaufzada,
14:13Riyasus California ki rukind assembly, Dr. Jasmeet kehti hai,
14:16mujhe dhamkiya di ja rahi hai, mere ghar ke bahar mashkoob gaadiyan chakkar lagati hai,
14:20tasveere banayi ja rahi hai,
14:22chaar bharti shehri mere office aaye aur kaha ki Sikh hindu ki hipaazat ke liye banayi gaye hai.
14:27Khadshah-e-1984 mein Sikho ki katliyaan jaisa waqia America mein bhi pesha sakta hai.
14:43Bangladeshi taliba ka talimi idaro mein siyasat par pabandi ka mutaliba,
14:46Dhaka University mein ihtijaji rally,
14:49Saab-e-Fazir-e-Azam Sheikh Haseena ko wapas lakar muqaddama chalane par zor,
14:53Army Chief Waqar-e-Zaman kehte hain,
14:55Police ki taraf se zahmedariyan samhalne ke baad Fauj barakon mein chali jaayegi,
14:59Amno-Amaan ki surat-e-haal mein behtri aa rahi hai,
15:02Siyasi Jamaatein tashaddud se parhes karein aur awami siyasat karein.
15:09Amerika ne Pakistan mein ghaza-e-qillat ka shikar hazaaro bachon ke liye Ghaza-e-imdaad UNICEF ki hawale kar di,
15:14Ameriki safi Donald Bloom ne takreeb se khitab mein kaha,
15:17Ghaza-e-imdaad ki farhami kamzor tabqaat ke saath paaydaar taabun aur wabastagi ka pufta suboot hai.
15:22Bachon ki ek poori nasil ki zindagiyan mehpoos banane ke liye hangami ikdamaat karna honge.
15:35Sindh mein bhi Air Ambulance Service ka muaahida taipa gaya,
15:38Sukkur, Khairpur se mareezon ko Karachi Air Ambulance se muntakil kiya jaayega,
15:42Air Ambulance Service shuru karna ek bada karnaama hai,
15:45Mansoobe se keemti jaanon ko bachaya jaa sakega,
15:48Wazir-e-Baldiat Sindh Saeed Ghani ka muaahida par dastakhat ki takreeb se khitab,
15:52Nasir Hussain Shah ne kaha,
15:54Hyderabad, Thar, Mohenjodaro, Nawabshah aur Larkana mein bhi Air Ambulance ki service shuru ki jaayegi,
15:59Service ke liye Aircraft Sales and Services do chote tayyaare faraham karegi.
16:06Sindh Textbook Board ki laparvahi,
16:08Naye talimi session se pehle mutaadat kitabe dastayab mein hi,
16:11Paanchvi Jamaat ki Urdu,
16:13Dasvi ki Riyazi,
16:14Angrezi, Computer,
16:15Navi se baarvi Jamaat takhi chemistry ki kitab dastayab nahi,
16:18Gyaarvi aur baarvi ki biology ki kitab bhi market mein maujood nahi,
16:22Urdu Bazaar Traders Association Sindh ke chirvan,
16:25Sajid Yusuf ka kehna hai,
16:27Saazishi Publisher tole ko Sindh Textbook Board se bahar kiya jaaye,
16:35Bangladesh ke khilafat test series ki tayyariyaan,
16:37Pindi Stadium mein khilariyon ne coaches ki nigraani mein,
16:39Batting, Bowling aur Fielding sessions mein hisa liya,
16:42Qaumi Squad mein shamil players,
16:44Kal bhi practice session mein hisa lenge,
16:46Bangladesh ke khilaf 2 Test Matches ki series ki ticket ki qeematon ka aila,
16:50Sirf 50 rupay mein Test Match dekhne ke maze,
16:53Online Ticket 13 August se farukh honge,
16:56Physical Ticket mukhtalif outlet pe 16 August se milenge,
16:59Pehla Test Match 21 August se Rawalpindi mein shuru hoga,
17:03Champions Trophy 2025 ke liye,
17:05Karachi ke National Stadium mein taamiraati kaamon ka aghaaz,
17:08Naseem Ghani Enclosure se Iqbal Qasim Enclosure tak,
17:11Toad 4 ka amal jaari,
17:13Nahi building mein Media Boxes aur Broadcasters ke baithne ki jagah shamil hogi,
17:17Paad Bangladesh doosra Test,
17:1930 August se Karachi mein scheduled hai,
17:23Gold medal jitwane wale Arshad Nadeem ki badalat,
17:26Pakistan ko Paris Olympics ke ikhtitam par Montage mein shami kiya gaya,
17:29Humaya kaarkardagi wale tamaam Athletes tasveer mein bhi mauzood,
17:33Arshad apna Javelin phekte hui dikhai de rahe hain,
17:36Qaumi Javelin Hero ne Pakistan ki tarikh ka pehla,
17:39Humaya infaradi Sone ka Tamghat jeeta tha,
17:48Mission Impossible ke Hero Tom Cruise ka hairaan kar denewala stunt,
17:52Paris Olympics ki ikhtitami takreeb mein Hollywood ke maroof adhakaar Tom Cruise ne,
17:56Apne maqsoos andaaz mein 42 meter ki balandi se entry di,
17:59Motorcycle par sawar hokar Olympic parcham lehraya,
18:03Is 14 August par ARY News ka Aham Batlo ke liye peghaam,
18:07Darakh lagayin, Mulk ko sarsabz banayin,
18:10Green Pakistan mohim ka hissa banayin,
18:13Yawm-e-Azaadi mein do rooz baaki,
18:16Shehr-Shehr, Gaon-Gaon, Azaadi ka jashan banane ki tayyariyaan,
18:19Fizaon mein mili nagmo ki goonj,
18:22Hyderabad ki Masihi barazri bhi pur josh,
18:25Church of Pakistan mein jashan-e-Azaadi ki ranga-rang takreeb,
18:28Shandaar mili nagme aur khubsurat tablood,
18:31Peshkar ke vatan se waleyaan-e-mohabbat ka izhaar kiya gaya,

Recommended