• 13 hours ago
#bilawalbhutto #asifalizardari #gassupply #pakistan #pmshehbazsharif #azarbaijan #dgispr #9mayincident #ptiprotest #trafficjam #parachinar #kurram #headlines

- Federal cabinet ‘okays’ presidential ordinance for seminary registration

- Muzaffarabad missing man found, defense ministry tells IHC

- Nation remembers ex-PM Benazir Bhutto on 17th death anniversary

- PM Shehbaz asks Afghan govt to take action against TTP

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Category

🗞
News
Transcript
00:00Bani PTI Bahana, Pakistan ka atomy program nishana hai, Pakistan ke khilaf aalmi saazish
00:09tayyar ho rahi hai, mukabale ke liye muttahid hona padega, Bilawal Bhutto Zardari ka gari
00:15khudabaksh mein khitab, kaha people's party Pakistan ke johri program par koi samjhauta
00:20nahi hone degi, maqsoos lobby chahti hai, aisi hukumat aaye jo iktidar ke liye har cheez
00:25par samjhauta kare, jo log aaj bayanaat daag rahi hain, yeh wahi log hain, jo Pakistan
00:30ke atomy program ke dushman hain, jo Israel ke himayati hain, bayanaat se mutaalik Bani
00:35PTI wazaahat kare, Bilawal Bhutto ne kaha, hukumat ke paas yaktarfa faisla karne ka
00:39mandate nahi, hukumat ke paas mushabrat se istamai faisle karne ka ikhtiyar hai, hum
00:44selected hain na form 47 wale, hum sirf awam ko jawab dehi, humein kisi kursi aur wizarat
00:50ka shaukh nahi tha, humein ek mouhide par dastakat kiye, aapko vote dilwaye, afsoos
00:56ke is mouhide par amal nahi ho raha.
01:21Fauzi Adalaton ne aayeen aur kanoon ke taqazi poore karte huye mujrimon ko saza di, saza
01:26paane walon ko Army Chief, High Court aur Supreme Court mein appeal ka haq hasil hai,
01:31bayaniya banaya ja raha tha 9 May Pak Fauj ne karaya, aisa hai to ab sazaein milne par
01:37to inn anasir ko khush hona chahiye, November saazish ke peeche sojh siyasi dehshatgardi
01:42ki hai, dhaawa bolna, police aur rangers ko shaheed karna siyasi dehshatgardi hai, jab
01:49siyasi qayadat wahan se bhaagi, to inhone jhoota propaganda shuru kar diya, jiska maqsa
01:54jagh hasai se tawaju hatana aur intishar ko hawa dena tha.
02:02Kisi leader ki iqtadaar ki khaahish Pakistan se badkar nahi, dokli siyasat ka parchaar
02:07karne wale batayein, kya junubi Waziristan mein shaheed hone wale, 16 jawanon ke khoon
02:11ki koi keemat nahi hai, kya hum tamasha dekhte rahi, DGISPR ne kaha 2021 me Kiss ke kehne
02:17par fitna khaarish ko dubara abaat kiya gaya, kanoon naafiz karne wale aaj in faisalon
02:22ki likhaai apne khoon siddh ho rahein, jo leader silahiyat se aari ho, ghalati se na
02:27seekhe, samajhta ho usse har cheez ka mukammal ilm hai, to aise ravaiyon ke keemat poori
02:32kaum apne khoon se chukati hai, intishari siyasat ke bajaye kuram ke masale par tawaju
02:37de, pehcheeda qawaili masale ka malwa idhaaron par na daalein, bad governors ki warase kuram
02:42tanaza tool pakad gaya, masala subahi hukumat ko hi hal karna hai.
02:48Army Chief keh chuke, ek Pakistani ki jaan Afghanistan par muqaddam hai,
02:54Afghanistan dehshatgardon ko parousiyon par fauqiyat na de, Pakistan dehshatgardon ka
02:59network khatam karne aur apne shehriyon ko tahafuz faraham karne me koi kasar utha nahi
03:05rakhega. DGISPR ka kehna hai, Army Chief ka wazih pegham hai, Pakistan ko dehshatgard
03:11karravaiyon ke liye Afghan sarzameen ke istimaal par tahafuzat hain. Afghan sarzameen se khawarij
03:18aur dehshatgard musalsal Pakistan me karravaiyon kar rahe hain. Bharat ke khitne me apni ajara
03:25daari ke liye ikdamaat se bakhoobi waqif hain. Tamaam false flag operations ki ittila
03:30RAW se jude fake accounts se di jati hai.
03:33Kal adham TTP Afghanistan se Pakistan me hamle karke logon ko shaheed kar rahi hai.
03:43Kal adham TTP ka Afghanistan se operate hona kabool nahi, sarhad paar se dehshatgardi ki
03:48policy nahi chal sakti. Wazir-e-Azam Shahbaz Sharif ka wifaa ki kabina se khitab, kaha
03:53khirte mein aamn ke liye Afghanistan se baat karne ke liye tayyar hai. Ek taraf baatcheet
03:58ho aur doosri taraf TTP ko khuli chur di jaye, yeh mumkin nahi. Khaahish-e-Afghanistan se
04:03taluqat behtar hoon, wifaa ki hukumat ne helicopter ke zariye Parachanar me dawaayin
04:08pahunchaayi hai.
04:28Yeh hamara kuch nahi bigaat sakte. Aapka paani kahin jata hai, na gas kahin jati hai.
04:33Aapka haq aapko milega, doosron ka haq doosron ko.
04:42Kurram ke haalaat par Kohat me Grand Jirga tahaal koi faisla na ho saka. Aslaha jama karne
04:47ke nukte par deadlock, 6 kabail ke amaideen aslaha jama karne par azamaan, toori kabila
04:52bhaari hatyaaron se dast bardaar hone par amaada nahi. Markazi shahra aur digar sadke
04:57kholne ka bhi faisla na ho saka. Subahi Mushire-e-Talaq Barrister Saif ne bataya,
05:02mauhide par kal ya parso dast pakhat ho sakte hain. Wazir-e-aala Ali Ameen Gandapur kehte
05:07hain, umeed hai masale ka jalt Kurram hal nikal aayega. Wazir-e-aala ke hidayat par
05:11Kurram ke liye helicopter service jaari, 6 parwaazon ke zariye 145 safraat ko air
05:16transport ki sahulat di gayi. Parachanar me ehtejaaji dharna jaari.
05:23Karachi me 8 maqamat par dharne, traffic ki rawani shadeed mutaasir,
05:29shehri rul gaye. Natha khan ke qareeb ehtejaaj ke baayis, airport jaanewali sadak ban.
05:35Malir 15 me dharne ke baayis, traffic ki rawani muattar.
05:38Abbas town ke qareeb dharna, Abul Hasan Isfahani road traffic ke liye ban.
05:43University road Samama par bhi ehtejaaj. Nomais Chaurangi par ehtejaaj ke baayis,
05:48traffic ki aamad aur aft muattar. 5 star Chaurangi, Ancholi aur Surjani town jaanewali
05:54raaste par bhi ehtejaaj. Mushkil me faseh shehriyon ki hukumat se traffic ka masala hal karane ki
06:00apeer, Majlis Wahdatul Muslimin ne gudashtar rooz se dharne de rakhe hain.
06:06Parachanar ke masale ka hal wahi hain, Karachi ya Sakhar me nahin.
06:10Sadke band karke aap kisi ko takleef na de. Wazir-e-aala Sindh Murad Ali Shah kehte hain,
06:15sadak na kholi gayi toh fir logon ki takleef door karana hamara farz hai.
06:19People's Party, Military Courts ke haq me nahin, lekin inke saath jo kuch ho raha hai,
06:23iski wajah ye khud hain.
06:27Rifaqi Kabina ne Imadaar-e-Ist Registration ke hawale se Societies Registration Tarmimi
06:33Ordinance ki manzoori de di. Kabina ne Income Tax Ordinance ki bhi manzoori di.
06:38Zaraay ka kehna hai, Ordinance ke zariye bankon ke sattar Arab rupay ke izafi munafay par
06:43Tax wasoori hogi.
06:48Bani PTI ne kaha hai, wo Pakistan ke liye sabko maaf kar sakte hain.
06:52Pakistan ke liye sab kuch furbaan karne ko tayyaar hain.
06:55PTI Muzakarati Committee ke rukun Asad Qaisar ki sawal ye hain mein guftagu,
06:59kaha ham chahate hain mulk mein istihkaam aaye aur bahuranon se nikh le.
07:03Har maamle ke liye ek time frame hona chahiye.
07:05Dekhenge hukumat muzakarat ke liye kitni sanjeeda hai.
07:08Tehreeri mutalibat rakhenge aur phir radde amal dekhenge.
07:14Sabiq Azir-e-Azam Benazir Bhutto ki sattar bhi barsi,
07:19Garhi Khudabakhsh mein jalsa, Sadr Asif Ali Zardari, Bilawal Bhutto, Asifa Bhutto samayat
07:25PPE Qaideen ne shaheed Benazir Bhutto ko khiraj-e-aqeedat pesh kiya.
07:30Mul ghar se karkunon ki bari taadaat apni shaheed Qaid ko salaam pesh karne paunchi.
07:35Sadr Asif Ali Zardari ne Benazir aur Zulfiqar Bhutto ke mazaar par hazri di,
07:40Phool rakhe Fateha Khani ki, Benazir Bhutto ko 27 December 2007 ko
07:45Liaquat Bagh Rawalpindi mein shaheed kiya gaya tha.
07:50Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ka Benazir Bhutto ko khiraj-e-aqeedat,
07:53kaha muhtarma Benazir Bhutto juratmant qatoon thi.
07:57Benazir Bhutto yaqeen rakhti thi ke baka-e-bahni hi behtrin siyasat hai.
08:01Mian Nawaz Sharif aur Benazir Bhutto ke darmayan misrakeh Jumburiyat par dastakat hua,
08:06Benazir Bhutto ki mulk aur Jumburiyat ke liye khidmat aur qurbani hameesha ek misal rahegi.
08:11Wazir-e-Ala Punjab Maryam Nawaz ne kaha,
08:13Benazir Bhutto ki shahadat Pakistan ki tariq ka alamnaak baab hai.
08:17Shaheed Benazir Bhutto Pakistani qawateen ke liye jurat aur himmat ka istihara hai,
08:22unhone saabit qadam kiya, qawateen mulki taraki mein namaya kardar ada kar sakti hai.
08:30Centurion Test ka doosra roj Junub-e-Afrika ke naam,
08:33Maiz-e-Baan team ki position mustahik-up ho gaye.
08:35Protiaz ne pehli innings mein navve runs ki barte re liye,
08:38Pakistan ne doosri innings mein 88 runs tak 3 viktein gawa diye.
08:43Pehli innings ka khasara khatam karne ke liye mazeed 2 runs darka.
08:47Babar Azam aur Saud Shakeel Priest par maujood,
08:50Saim Ayub aur Kaptaan Shahan Masood 28-28 runs bana kar out ho gaye,
08:55Kamran Ghulam sirf 4 runs bana sake.
08:58Iss se pehle Maiz-e-Baan team 301 runs par out hu.
09:01Markram ne 89 runs bana hai,
09:03213 runs par 8 khiladi out hone ke baad,
09:07Corbin Bosch deewaar ban gaye.
09:08Aakhri 2 vikto par 88 runs jod kar team ko badi lead dilaye.
09:13Debut par 81 runs bana ka naqabil-e-shikast rahe.
09:16Naseem Shah aur Khurram Shehzad ke 3-3 shikaat,
09:20Aamir Jamal ne 2,
09:21Abbas aur Saim ne 1-1 wicket hasil ki.
09:24Series ke tamam match A-sports par bara hiraas dikhaye jaa rahe hain.
09:29Sadiqabad ke kacche mein police ka targeted operation,
09:32Sargana samayed 15 daakoo halaag.
09:34Daakoo ki Sargana ke keemat 1 crore rupay mukarrar thi.
09:37DPO ko kehna hai,
09:38kacche mein police force ke musallah daston ne
09:41dubara position samhali.
09:43Machka mein bachao band par mazeed 8 police chowkiyan kaim ki gayi hai.
09:52Shimali Waziristan mein shaheed Major Muhammad Uwais,
09:55Abai, Ilaq-e-Shakar, Ghat-e-Supurdeh Khat,
09:58Namaz-e-Janaza mein Corps Commander Gujranwala,
10:00Lieutenant General Syed Imdad Hussain Shah ki shirkat,
10:04Pak Fauj ke senior afsaran, jawan, shaheed ke lawa hiqeer
10:08aur ahle ilaqa ki badi taadaad maujood.
10:11Iss se pehle,
10:12Meeraan Shah mein Namaz-e-Janaza aada ki gayi,
10:14Pak Fauj ke senior afsaran, jawano aur amaideen ne shirkat ki,
10:18Major Muhammad Uwais ne gudashta roz
10:20dehshat dardon ke khilaf bahaduri se larte huye
10:23jaame-e-shahadat moosh kiya rahi.
10:25Naib Wazir-e-Azam Ishaq da ka
10:26Sabik Bharti Wazir-e-Azam Manmohan Singh ke intakal par izhaar-e-afsos
10:30kaha ilaqai masayil par Manmohan Singh ki soch bahani-e-itamat,
10:34dialogue aur istamai tarakhi ki akaas thi.
10:37Manmohan Singh ne Pak-Bharat talukaat mein behtri ke liye
10:39namaya kirdaar adaa kiya.
10:41Sabik Bharti Wazir-e-Azam Manmohan Singh gudashta roz intakal kar gaye the,
10:45unki umr 92 baras thi.
10:47Wo 2004 se 2014 tak do baar Bharat ke Wazir-e-Azam rahe.
10:51Karachi airport par insani smuggling naakam bana di gaye.
10:55Agent Abdushakur samay 4 aflaat girefta.
10:58Tarjumaan FIA ke mutaabek insani smuggler Abdushakur Indian agent se raapte mein tha.
11:04Gautam Sharma naami Bharti agent ne musafiron ko
11:07ghair kanuni taur par Azerbaijan se Poland bhijwana tha.
11:10Gireftaar mulzimon ka taluk Faisalabad, Chiniot, Gujranwala aur Nankana sahab se hai.
11:16Tehqiqaat ke liye anti-human trafficking cell Karachi muntakhil kar diya gaya.
11:22Kisanon ko waade ki mutaabek rate na mila to gandum kasht nahi karenge.
11:27Pakistan Kisan Ittihad ne ailaan kar diya.
11:30Sadr Kisan Ittihad Khalid Mehmood Thukar kehte hai,
11:33pehdawari laagat badhne se zaraat ko jaari rakhna mumkil nahi raha.
11:37Wazir-e-Ala Punjab ne baada kiya tha, gandum kasht karen nuksaan nahi hone denge.
11:41Humne nafa nuksaan ki parwa kiye bagayar gandum kasht ki aur ahdaaf poore kiye.
11:46Wazir-e-Azam Shahbaz Sharif ki zir-e-sadaarat gas supply ke hawale se jaaiza ejlaas.
11:55Wazir-e-Azam ne mausam-e-sarma me gharelu saarifeen ko gas ki bila taat-kul farahmi
12:01fauri yaqeeni banane ki hidayat kar di.
12:03Taha gharelu saarifeen ko gas ki farahmi hukumat ki awwaleen tarji hai.
12:08System mein islahaat laayi jaayen, taake masele ko mustaqeel hal kiya jaa sakein.
12:19Schoolon ki registration ke liye school buson ko laasmi karar deyen.
12:22Lahore High Court ki Justice Shahid Kareem ki smoke tadaaru case me remarks,
12:2630 December tak policy report jama karane ki hidaya hai.
12:29Adalat ne poocha, 50% bachon ke liye busen shuru karne ke hukum par amal kyu nahi hua?
12:34Remarks ye, kanoon shikni par 15-100 ke chalan se toh fark nahi padega.
12:3910,000 ka chalan hoga toh baadi wale rukenge.
12:43Mulghar me jade ki dhoom, Balai alaapon me barfiri hawaen,
12:47Skardu me para manfi 13, Gopas manfi 9, Stor aur Gilgit me manfi 8 tar gir gaya.
12:54Shimali Balochistan me bhi mausam shadeed saar,
12:56Kallat me darja-e-hararat manfi 4, Quetta me manfi 3 record,
13:01Karachi me kam se kam darja-e-hararat 11 degree record kiya gaya.
13:31Maqsad nahi samjhta hai.
14:01Israeli Wazir-e-Defa ka kehne, tamam hausi rahnamaon ko nishana banayenge.
14:31Israeli Wazir-e-Defa
15:01ka kehne, pilot russi hawai adde par hangami landing ke liye gir girata raha,
15:05dekin usse utarne ki ijazat nahi di.
15:07Wall Street Journal ki report ke mutaabik,
15:08russi air defence system Azerbaijan tayyare ke haadse ki wajah bana.
15:12Tayyara uss makaam par gaya jahan,
15:14Roos ne Ukraini drone hamlon ke khila, fizaayi difaye nizam iskamal kiya.
15:24Ek dhakke ne Holi Kohli ko Joker Kohli bana diya.
15:27Australian media ne Bhaarti star ke khilaf mahaaz khol diya.
15:31Naujawan Australian Balle Baas se ulajne par ICC ne jurmaana bhi kiya.
15:35Doosre din ka khel shuru hua,
15:38toh crowd ne Constarz par muhabbate nishawar ki.
15:41Kohli out hua toh jumle kase.
15:43Kohli gusse me palte,
15:45lekin nahi footage dekar chale gaye.
15:47Aur poochte hain wo, ke Ghalib kaun hai?
15:51Koi batlao, ke hum batlaen kya?
15:53Aaj Urdu shairi ke Mirza Nausha,
15:56Asadullah Khan Ghalib ka 227 waan yawm-e-baidaish hai.
16:00Urdu shairi ki taari Ghalib ka zikr kiye bagaye na mukamar.
16:03Wafaad ke 150 saal baad bhi,
16:05Ghalib, shairon ki mehfilon,
16:07muhabbat karne walon ke alfaaz,
16:09aur shair kehne walon ke andaaz me zinda hai.

Recommended