• 2 months ago
#bilawalbhutto #judiciaryrelatedbills #islamabad #headlines

Police find ‘suspicious bag’ near PTI rally site in Islamabad

PTI leader Mehmood ur Rasheed’s son arrested in Islamabad

Moeen Ali retires from international cricket

South Waziristan: Man killed, three injured in Wana explosion

Metro bus service suspend amid PTI public rally

PTI rally: No accommodation in Islamabad hotels till Sept 9

PTI rally aim to release party founder: Asad Qaiser

Neymar Jr sends emotional message to Luis Suarez on international retirement

NADRA Smart ID Card September 2024 Fee Update

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Category

🗞
News
Transcript
00:00PTI ki Islamabad Sangjani me jalsa ki tayyari, stage ban gaya, kursiya lag gaye, carcone
00:08pohosh re lage, Rawalpindi se Islamabad jane wale mukhtarif raston par rukawate khadi kar
00:13di gaye.
00:14Faizabad, Khannapur, Rawalpindi chowk, 26 number chungi par container laga kar raste
00:19seal kiye gaye, Murree road ko bhi mukhtarif muqamat par band kar diya gaya, raste band
00:24hone se logon ko mushkilat, search operation ke dauran Sangjani me mashkoob bag se dasti
00:28bomb, detonator aur baarudi mawad bila, police ka kehna hai daakhli aur khaarji raston par
00:33checking badha di hai, Islamabad police ka kehna hai zillai intizamiya ne jalsa ke liye
00:37route mutayyan kar rakhe hain, khilaf warzi par pauri ghariftaar kiya jaayega.
00:42Jalsa waqt par khatam hoga, yaha na dharna hoga, na long march hoga, rukawate na daale
00:52aur logon ko jalsa gah tak pohonshne de, Chairman PTI Barrister Gauhar kehte hain mul
00:57bhar se kaafle Sangjani ki taraf rawa dawa hain, jalsa gah ki taraf jaane wale har road
01:01ko band kiya gaya hain, Tajuman Qaib-e-Pakhtun Qahukum Barister sahib kehte hain Punjab
01:06aur Sindh ke raste band hain, kaafle ruke huye hain, KP se humare log bandobas karke
01:10aayenge, Allah na kare na bataye, ladayi karni padi to ladkar bhi aayenge aur jalsa
01:16karenge.
01:28Rana Sanaullah ne baani PTI aur PTI ko Israeli siyasi brand karar de diya.
01:34Kaha Israel Times ne Pakistan me Inqilab tabdili lane ki haqiqat khol di.
01:38Inkishab ke baad 9 Mai ki mansooba saazi, hum log ki wujuhaat mazeed baase ho gayi.
01:43Nawaz Sharif ko hatane ki kahani, Israeli akbaar ke mazboon ko padkar samajh aa jati
01:47hai.
01:48Pakistaniyon ko, Falestiniyon ke qatil, Israeli ki siyasi brand ka boycott karna chahiye.
01:52Tho sakai ke baad, PTI ko jalsiyon ki nahi doob marne ki zaroorat hai.
01:56Maryam Aunazib kehti hai, riyasat ke khilaf mansooba bandi karke hamla karne ki koi muafi
02:01nahi.
02:02Jalsi karein, roi peetein ya cheekhein, saza to milegi.
02:05Wazir-e-Tilat Punjab, Uzma Bukhari ka kehna hai, jalsa ke liye free hand diya gaya hai,
02:10koi rona dona nahi chalega.
02:12Wazir-e-Difa Khawaja Asif kehte hai, Bani PTI ke khilaf shawahid military trial ki taraf
02:23ja rahe hain.
02:24Ye cheez waze hote ja rahi hai.
02:26Ho sakta hai unka military trial hoon.
02:28Faiz Ameed ki khaish hogi, ke sara malwa Bani PTI par dala jaye.
02:32TV interview mein Khawaja Asif ka kehna tha, 9 May ke waqiat ki mansooba bandi kahin se
02:36hui thi.
02:37Ye lazmi taur par Bani PTI ki hidayat thi.
02:40Gham Bani PTI ko iktidar chinjane ka tha.
02:43Doosra gham Faiz Ameed ka bhi tha.
02:45Woh army chief banna chahate the.
02:47Iss salsele mein unhone muslim league noon ki qayadat se bhi rapta kiya.
02:50Yakeen diyaaniya bhi karwain ki agar aap unko army chief banane ki himayat karenge to
02:55woh wafadari ke saath nibhaenge.
02:57Unhone kuch zamanate bhi di.
02:59Idaaron ki badi kamyaabi, insani smuggling mein mulawis bain al-aqwami network pakda gaya.
03:10FIA ke mutaabik, insani smugglers, shehriyon ko bairun-e-mulk rozgaar ka jhansa dekar lootne
03:16mein mulawis the.
03:17Groh, jali dastavizaat ki tayyari mein maharat rakhta tha.
03:20Apna printing press tha, jisme jali talimi asnaat, jali bank statement, wizarati siparishaat
03:27banate the.
03:28Kuch talif mulko mein siyasi panna lene wale afraad bhi is groh se muaamnat lete rahe.
03:32Gareftaar network ka international danki grohon se rapte ka inkshaf.
03:36Mujrimana sargarmion mein bhaarti aur Afghan bashande bhi mulawis hain.
03:40Daurane tafteesh Pakistan ko badnaam karne ki bhaarti saasish bhi be nakab.
03:44Wifaqi wizarat akhla Mohsin Naqvi ki intelligence agency aur FIA Lahore ko shabash.
03:49Kaha insani smuggling ke khatme ke liye aakhri had tak jayenge, insani smuggling mein mulawis
03:55ka khatme aur FIA se ahani haathon se nimta jayega.
04:01Agliya se mutaalik kaanoon saazi ke liye People's Party ke kaanoori mahireen ko Islamabad talab
04:05kar liya gaya.
04:06Chairman People's Party Bilawal Bhutto bhi Karachi se Islamabad ramana, People's Party
04:10ki aadat ka ainda hafte Islamabad mein jilas hoga.
04:13Agliya se mutaalik kaanoon saazi ka har pahloon se jaiza liya jayega.
04:18Yaum-e-Bahriya mili josh-e-jazbe se manaya jaa raha hai.
04:23Naval Chief Admiral Naveeda Sharif ka kehna hai, 8 September ka din Pak-Bahriya ki taarikh
04:28ka sunehra baab hai.
04:29Yeh din hamare sarfaroshon ki laazawal kurbaniya aur jazbo ki yaad dilata hai.
04:34Pak-Bahriya khitne mein mazboot Bahri kuwat ke taur par pehchaani jaati hai.
04:38ISPR ka kehna hai, Yaum-e-Bahriya ki takribat ka aagaz Pakistan Navy ki masajid mein salamati
04:43ke liye khususi duaon se hua.
04:45Kashmiri ki judh-e-johad-e-aazadi ki kamyabi ke liye bhi khususi duaon ki gayi.
04:55Governor Sindh, Kamran Tosori ki Yaum-e-Bahriya ki takrib mein shirkat, Commander Karachi
04:59Rear Admiral Mohammad Salim ne istakbal kaya.
05:01Governor Sindh ne kaha, 8 September samandari defa ke ghar mutasalzal azam ki yaad dilata
05:06hai.
05:07Pak-Bahriya ne taakat war Bahriya ko jazba imani se shikaz di.
05:10Qaum Pak-Bahriya ke pukhta hausle aur lagan ko khiraj-e-tahseen pesh karte hai.
05:14Governor Sindh ki Pak-Bahriya ki Shodha ki ahle khana se mulaqat, Shodha ko khiraj-e-aqeedat
05:19pesh kiya.
05:27Aur maujooda siyasi halaat, mulk mein kya hone jaa raha hai?
05:31Senator Faisal Wahab na se hunge aham sawalat.
05:34Senior anchor person Mohammad Malik aur Raoul Kalasrar pesh karenge bharpoor tadziye.
05:38Dekhiye AAY News ki khususi Nashriyal, taj raat 10 baje Paseen Badami ke saath.
05:58Aur Asian Hockey Champions Trophy mein Pakistan aur Malaysia ka match 2-2 goal se barabar.
06:02Pakistan ki jaanik sir Sufiyan Khan aur Ahmed Nadeem ne goal kiye.
06:05Qaum-e-team apne doosar match mein kal-Korea se mukabla karega.

Recommended