• last year
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal

#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation

Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00Bismillah-e-Rahman-e-Rahim, Allah-e-Tabarak-wa-Ta'ala-Ki-Pakiza naam se aagaz karte hain jo bahut meherbaan,
00:15nihayat-e-Rahim wala hai.
00:17Dars-e-Bukhari ka silsila jari-e-sari hai aur fishle program mein humne 2500-1 aur 2500-2
00:24number hadith-e-paag.
00:26Jo haqiqatan ek-e-hadith thi, sanad-e-do hoti hai, alag-alag raabiyon se ek-e-cheez manqool
00:31hoti hai.
00:32To imam Bukhari rahmatullahi alaih, ek saath usko zikr kar dete hain.
00:36To hadith ke number daalne walo ne phir unko do hadithon ka naam diya.
00:41Yani do hadith-e-shumaar ki.
00:43Yeh waqt se mainna bayan kardi thi, barakat ke liye main ek dafah phir isme arz kar deta
00:48aur kuch baatein izafi mazeed kehni hai.
00:51Hazrat Zohra bin Mu'abad apne dada se rawayat karte hain.
00:55Unke dada thi Abdullah bin Hisham.
00:58Yeh Abdullah bin Hisham goya ke keh rahe hain, unhone Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam
01:02ka zamana paya tha.
01:03Aur yeh Abdullah ki waleda Hazrat-e-Zainab binte Humaid, inko Rasool-Allahi sallallahu
01:09alaihi wa sallam ke paas le gayi thi.
01:12To humne aapko samjhaya tha ki yeh akabirin ka tariqa raha hai, ke wo bachon ko badon
01:17ka tariqa humein pesh karte rahi hain, taake unse duaan le jayein.
01:21To kayi sahaba se thabit hai ki wo apne bachon ko Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam
01:25ke paas laate thi, naam bhi rakhwaate thi, duaan ki darkhas karte thi, aur jis ke liye
01:31Rahmat-e-Qaunayn sallallahu alaihi wa sallam dua firma dete, to sahaba ko yaqeen hota
01:37ke yeh zarur baise barakat hogi, aur zarur jis cheez ke baare mein Rahmat-e-Qaunayn
01:44sallallahu alaihi wa sallam le dua di hai, Allah-ta'ala usme inko maal-e-maal kar dega.
01:50To liyaza jis ke liye tabeel umar ka Sarkar ne ishaat firmaaya, unko lambi umre mili,
01:55jin ke liye rizq mein barakat ke baare mein firmaaya, to Hazrat-e-Anas bin Malik radhi
02:00Allah-u-ta'ala, unho ke kuch baghaat thi, usme saal mein do dafa phalaya karta tha.
02:05To isi tarah yeh bhi waalda inki le gayi Sarkar ki bargah mein, aur guzarish yeh ki
02:11Allah-i sallallahu alaihi wa sallam, isko bai'at kar lijiye, yaani bai'at-e-Islam mein
02:17daakhil, yaani Islam mein daakhil kar lijiye, to wo bhi bhoti kam sin aur chhote the,
02:22yeh maine aapko samjhaya tha, ke saad saal se kam umar ka bachcha bhoti chhota hota hai,
02:27aur usme agar wo bachcha ko intiqal kar jata, to wo fitrat-e-Islam par marta.
02:32Kyuki Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam ne ishaat firmaaya ke Allah-ta'ala
02:36jo bhi bachcha paida hota hai, fitrat-e-Islam par paida hota hai,
02:40uske maabab usko yahudi ya nasaura bana dete hain, ya isai bana dete hain.
02:44To isliye wo bhoti kam sin the, isliye Sarkar ne unki bai'at nahi firmaayi,
02:48warna saad saal ki umar ka bachcha samjhdaar hota hai, Sarkar unki baqaida bai'at kar liya karte the.
02:53To aapne firmaaya ke abhi chhota hai, phir inke sar par haath phera aur inke liye dua ki.
03:00To isliye main sabse guzarish karta hu apni behanon se khas tohar pe,
03:03ghar mein koi alim sahib aayen, mufti aayen, lekin ba'amal hone chahiye.
03:07Yeh nahi ke koi jali peer ke baare mein suna aapne, yeh mahalle mein baba aagaya hai.
03:11Aur wo baba bighar daadi ke aur namazon ka hosh nahi hai,
03:16kayi saal se ghusl-e-janaabat ushte nahi kiya hai,
03:19angoothiyan ek se zayid pehniwi anguliyon mein,
03:21jo bilkul najaiz hain, makro-e-tahreemi,
03:25gale mein maalaayin latki hui hain, jisko main najaiz toh nahi kaunga,
03:28lekin muba hain, lekin yeh bhi shubd abazi dikhane ke liye hota hai.
03:33Aur aurton ke taraf harisana nigaahin uthane wala,
03:36aur duniya ke laalach mein gharq,
03:39aise shahs aakar hum inke ajeeb-o-ghareeb huliye ki bina pe samashte hain,
03:43ke shayad yeh Allah ke bahut pohnchewe bande hain.
03:47Aur wo apne mooh se apne aap wo kahte hain,
03:49hum toh Allah ke faqeer hain,
03:51main alida malang hun,
03:53is tarah ki baatey karte hain,
03:54aur yeh badey tez hote hain,
03:55logon ke nafsiyat ko samashte hain,
03:57inko aise guftugu aati hai,
03:59ke aapko apne guftugu sehr mein jakar lein,
04:01aur phir agar aapne inko ghar mein ghusar diya ek dafah,
04:04toh phir yeh nikalte nahin hain.
04:06Yani is itibaar se ke zaroor loot maar karenge,
04:08aur koi na koi ghalat kaam karenge,
04:10aise log Allah ke wali nahin ho sakte hain.
04:12Allah ta'ala ne Quran mein wazif farmaya,
04:14alaa inna awliya Allah la khawfun alaihim wala hum yahzanoon,
04:19allatheena aamanoon wa kaanoon yattaquoon.
04:22Ki khabardaar Allah ke waliyon ko na kuch khawf hai,
04:24na wo ghamgeen honge.
04:26Wo log, yani wali kaun hai,
04:28wo log jo imaan laaye,
04:30aur unhone taqwa ikhtiyar kiya.
04:32Aur taqwa aur prehizgari milti uss waqt hai,
04:35jab insaan pehle ilm-e-deen seekta hai.
04:37Kyunke taqwa ka kam se kam adna darja yeh hai,
04:39ki insaan har qasam ke saghira, kabira,
04:41zahiri, baatni, guna, khilaf-e-shara, umoor,
04:44tarq-e-sunnat se apne aapko bilkul bacha kar rakta hai.
04:47Aur inme sari cheezein aapko nadar aayenge,
04:49na sunnat par amal,
04:50na faraiz ki adayegi ka koi khayal,
04:52na haram-e-halal ki tameez.
04:54Yeh kaise Allah ke wali ho sakte hain?
04:56To hum sirf unke zahiri huliyon ki wajah se,
04:58aur kabhi yeh aisa hota hai,
05:00ke koi tukka lag gaya,
05:01jee elaichi wali sarkar aa gaye,
05:03alaakhe ke andar,
05:04parosan ki bachi ki shadi nahi ho rahi thi,
05:06baba ne elaichi khaane ko di,
05:07shadi ho gaye.
05:08Acha elaichi khaane ko di,
05:09isse shadi ka kya taaluk hai,
05:11elaichi khaane ke saath.
05:12Khud hi humne connection mila liya,
05:14aur baba bada poncha hua hai.
05:15Koi poncha hua nahi hai.
05:16Yeh kahin aur poncha hua hai,
05:18aakhirat mein aapko pata chalega.
05:20Isliye ishtinaab karein,
05:21to hamari targheeb jo aapko hai,
05:22wo un logon ke baare mein hai,
05:24aise peer-e-izam,
05:25jo baadshara hai,
05:26mashallah,
05:27shariyat pe chalte hain,
05:28apne murideen ki islah ka kaam karte hain,
05:30har sagheera kabira,
05:32zahiri baatni gunah se aap unko bachta dekhein,
05:35aur namaz-e-waqt par ada karein,
05:38ilm-e-deen hasil kiye hua hain,
05:40yeh bahut achche log hain,
05:42jo yeh burre kisam ke log hain,
05:44yeh achche aastaanon ko badnaam kar diya hain,
05:47yeh burri cheez hoti hai,
05:48to chunaacha,
05:49achchitra yaad rakhein,
05:50agar sif aap apne zaati mafadaat ki bina par,
05:53kisi aise shahs ki hausla afzai kar dete hain,
05:56jo khilaf-e-sharaam-oomoor par amal kar raha hu,
05:59to ek to aapne uske saath burai mein taawun kar diya,
06:03ki wo ab kahan gunah chhodega,
06:06ki jab aap uske tamaam tar gunahon,
06:08khataon,
06:09aur khilaf-e-sharaam-oomoor,
06:10aur nafs-o-shaitaan ki kaamil itaat ke baawajood,
06:13aap uske qadamon mein gir raha hain,
06:15to usko shaitaan naik banne dega kabhi,
06:18to aap bhi barabar ke jurm mein shariq kailaayenge,
06:22aur maidaan-e-mahshar mein aapki bhi gharifat hogi.
06:25Haan, jo achche log hain,
06:26wo ghar mein aayein,
06:27to unse namaz bhi padhwaayein,
06:28mein pehle bhi maine aapko arz kiya tha,
06:30kisi ek jagah,
06:31do rakat namaz padhne ki darkhasat karein,
06:33barkat hoti hai,
06:34sahabaah ne,
06:35nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam se,
06:37istirah ki bhi darkhasat ki hain,
06:40Acha, aapne aakhri baat mein ispe karke aage chalta hu,
06:43yeh mana nahi hai,
06:45lekin hota kya hai,
06:47koi aage huzur-beti ki shadi,
06:49mahalle wali urte aajenge sari,
06:51mera shohar qaboon mein nahi aara,
06:53saaz badi khatarnak hogi hai,
06:54nande kehna nahi maan rahi hai,
06:56aulad nafarmaan hogi hai,
06:58koi aayega ji bibi ne aaj meri muh pe tamacha khehchke maara hai,
07:01to kuch aisa wazifa de de,
07:03chalein theek hai,
07:04yeh aapne masayil bayan kiye,
07:05duaayen le liye,
07:06wazifa le liye,
07:07chhi baat,
07:09aakhirat ke liye,
07:10koi zihan mein nahi hai,
07:11ke huzur meri imaan par maut ho jaye,
07:13Allah meri maut ko aasaan kare,
07:15mujhe sakraat-e-maut mahsus na ho,
07:18mein qabar mein jaoon,
07:19to meri qabar jannat ke baagon mein se ek baag ban jaye,
07:22aakhirat mein Allah meri izzat ko salamat rakhe,
07:25main agar khuda na khasta,
07:27kisi ke hukook ki adaigi mein,
07:29kotahi ka murtakib ho gaya hu,
07:31to Allah ta'ala mazloom ko mus se razi kar de,
07:34dua karein Allah mujhe paanch waqt-e-namazi bana de,
07:37ki halal kamane wala bana de,
07:39maidan-e-mahashar mein seed-e-haat mein aamal naama,
07:41nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ke shafaat paane wala bana de,
07:45qul sirat pe Allah sabit qadami ata farmaye,
07:48jahannam se mahfuz rakhe jannat mein daakhla ata farmaye,
07:51ye duain zimni ho gayi,
07:53wo asal ho gayi,
07:54to balance qaim karke darkhas kijiye,
07:57ab jad sarkar sallallahu alaihi wa sallam ne unke liye dua ki,
08:00to zuhra bin ma'abad bayan karte hain,
08:03ki inke dada abdullah bin hisham inko bazaar le gaye,
08:06fir unone pa'aam yani ghalla waghara khareeda,
08:09fir unke hazrat-e-ibn-e-umar aur hazrat-e-ibn-e-zubair radhi allahu ta'ala anhuma se mulaqaat hui,
08:16to in dono ne hazrat-e-abdullah bin hisham se kaha,
08:19ki aap is ta'aam mein hume bhi sharik kar le,
08:21kyunki nabi-e-karim sallallahu alaihi wa sallam ne aap ke liye barakat ki dua farmayi hai,
08:26ye hai dekhe kamil yaqeen,
08:28ki jab Allah ke nabi ne aap ke liye dua kar di,
08:31to zarur aap jis kaarobar mein haat daalenge,
08:34usmein barakat peyda hoge,
08:36ispe bhi tawajjo rakhein,
08:38ki jab koi naik hai, parizgaar hai, muttaqi hai,
08:40waqi dinadari se kaam karne wala hai,
08:43koshish karein, uske saath business karein,
08:45achha rahega,
08:47hum ye dekhte hain,
08:48ki bas koi bhi shafz mil jaye,
08:50humein baaz oqat pata bhi hota hai,
08:52ki jhood bhi bolta hai,
08:53khayanat bhi karta hai,
08:55hair phair karke apne kaarobar ko chalara hai,
08:57lekin hum investment kar dete hain,
08:59ki yaar ye kar raha hai,
09:00humein to nafa milega,
09:01thik cheez nahi hai,
09:03aur dusi baat hai,
09:04ki haan zimlan mein ye bhi guzarish karunga,
09:06ki har daadi wala,
09:08har zahiri huliyat tabdeel kar lene wala,
09:10diyanat daaro,
09:11ye bhi zaruri nahi hai,
09:13pehle investigation achhitra kar le,
09:14warna baad mein aap mujhe kahenge,
09:16baaz oqat aisa hota hai,
09:17ki poori market mein,
09:19sabse bada faradiya wo hota hai,
09:20ki maate pe namaz ka nishan bhi hai,
09:22daadi bhi badi hai,
09:23lekin dhoke baaz hai,
09:25ye Allah ta'ala in pe raham nazil farmaaye,
09:27is kisam ke logon par,
09:28ki Allah ke Rasool ki sunnat chehre pe sajaakar,
09:31zahiri ibadat ki alamaat aapme nazar aa rahi hun,
09:35lekin phir bhi aap logon ko dhoka deyen,
09:37phir bhi aap jhud bolen,
09:38apne is islami tashakhus se najais fayda uthate hui,
09:42logon ki jebe khali karen,
09:43ye ghalat rawayya hota hai,
09:45toh ye bhi nahi ki aap aankhe band karke karen,
09:47lekin koshish kijiye,
09:48jo diyanat daar ho,
09:49uska zahir sharaa ke muafiq ho,
09:51aur masail jaanta ho,
09:53business ke masail,
09:54tijarat ke sab,
09:55aise logon ke saath karen,
09:59toh hazrati Abdullah bin Hisham ne inko shariq kar liya,
10:03aur kabhi wo ghalle se ladha hua,
10:06poora oont nafay mein hasil kar lete,
10:09aur usko ghar bhesh dete,
10:12in itna itna nafah hota tha,
10:14toh humi bhi koshish karne chahiye,
10:16ke aqabireen se faiz hasil karen,
10:18jo waqi aqabireen hain,
10:19jo waqi baamal hain,
10:20aur agar koi kisi ke liye dua ki jaye,
10:22aur waqi baamal shafs ne ki hai,
10:24jo samjhen ke barakat hogi,
10:26unke saath aap bhi apna hisa mila hai,
10:29toh yeh chand cheezein thi,
10:32yeh hadith toh bayan ho gayi thi,
10:34lekin main chaha ke ispe zaafi cheezein,
10:35zara kuch bayan kar di jaye,
10:36agar baab ki taraf aatein hain,
10:38baabu shirkati fir raqiq,
10:40ghulam mein shariq hone ka baab,
10:43hadith number hai 25003,
10:46yeh pehle guzar chuki hai,
10:47lekin faasla ho jata hai,
10:48toh phir wo zihan se nikal jati hain,
10:50toh dobara hadith le letein,
10:52Hazrat Ibn-e-Umar radiyaAllahu ta'ala anhuma,
10:54nabiye kareem sallallahu wasallam se riwayat karte hain,
10:57aapne ishaat farmaya,
10:58jis aadmi ne ghulam mein se apna hisa aazad kar diya,
11:02uspar laazim hai,
11:04ke wo poora ghulam aazad kare,
11:06agar iske paas uski qeemat ke barabar maal hai,
11:09toh adal ke saath uski qeemat lagaye jaye,
11:12aur iske shuraaka ko unka hisa ada kiya jayega,
11:16aur is aazad shuda ghulam ka peecha chod diya jayega,
11:21agali hadith bhi le lein,
11:23taake dono ko phir main mila ke,
11:25dobara thulasa situation samjha deta hu,
11:27aur 2504 hadith-e-paak,
11:29Hazrat-e-Abu Huraira radiyaAllahu ta'ala anhum,
11:32riwayat karte hain,
11:33ke nabiye kareem sallallahu wasallam ne ishaat farmaya,
11:36jis aadmi ne ghulam mein se apna hisa aazad kar diya,
11:40toh wo poora ghulam aazad kiya jayega,
11:43agar us aadmi ke paas maal hai,
11:45toh theek,
11:46warna baqi hissedaron ko unke hison ki qeemat ada karne ke liye,
11:50is ghulam se mehnat mazdoori karai jaayegi,
11:54taas ab isko samajh lein,
11:56ki agar fars kar liye,
11:57ab toh daur raha nahi ghulamon ka,
11:58pehle daur mein isha hota tha,
12:00ke do aadmi milkar ek ghulam ko khareed lete the,
12:03jise humare aaj qurbani ki gaaye mein,
12:05saat aadmi sharik hote hain,
12:06toh goya ke saat hison mein,
12:08saat aadmi sharik,
12:09saat maalik kailaate hain,
12:11isi dara baad uqa,
12:12do aadmi milkar,
12:13ya teen aadmi milkar,
12:14ek ghulam khareed liya karte the,
12:16toh un sab ka ghulam ho jaata tha,
12:18phir wo tay kar lete,
12:19ek din iski khidmat karoge,
12:20ek din meri karoge,
12:21ek din iski karoge,
12:22yoon hota tha,
12:23ab unmein se agar ek shakhs us ghulam ko aazaad kar raha hai,
12:27toh humari shariat ki,
12:28aur mere nabi ki shafqat hai,
12:30ki agar uska ek hisa aazaad ho gaya,
12:33misaal ek hisa aazaad ke martab ye hai,
12:35ek ne kaha main apni baari ab khatam kar di,
12:37toh meri taraf se aazaad ho,
12:39toh uska kaam kam ho gaya,
12:41ab wo wahan se aazaadi mili,
12:43lekin doosre us pe ghalim hain,
12:45toh nabiye karim sallallahu alaihi wasallam ne chaha,
12:47ki isko mukammal aazaadi mil jaye,
12:49ab kya karein,
12:50ab ye karenge,
12:52usse kaha jaayega,
12:53ki tum baqi bhi qeemat dekar,
12:55maal hai,
12:56baqi qeemat dekar,
12:57iske hisa daaron ko,
12:58isko totally aazaad kar do,
13:00toh uske liye phir kya kiya jaayega,
13:02uske liye sabse pehle us ghulam ki,
13:04adal ke saath qeemat lagaye jaayegi,
13:06misaal ke taur pe,
13:07isne apna ghulam aazaad kiya,
13:09ab chahta hai,
13:10is maal bhi hai,
13:11baqiya hisa daaron ko bhi hisa de ke,
13:13isko poor aazaad kar diya jaye,
13:15toh pehle us ghulam ki,
13:16market mein,
13:17qeemat maalum ki jaayegi,
13:18misaal ke taur pe,
13:19pata chala,
13:20do laak kul keemat hai,
13:21aur ye do sharik hai,
13:22toh goya ki,
13:23isne ek laak ka ghulam,
13:24aazaad kar diya,
13:25ek laak baqi hai,
13:26aur paisa hai,
13:27toh ye ek laak,
13:28uske hisa daar ko,
13:29apne hisa daar ko dekar,
13:30ya ghulam ki doosre maalik ko dekar,
13:32mukammal usse aazaad kar dega,
13:34aur farz kar lein ki,
13:37do laak keemat saamne aayi,
13:38lekin iske paas paisa hi nahi hai,
13:40toh phir ghulam se kaha jaayega,
13:41ki ab tumhare liye offer ye hai,
13:43ki tum ek laak kisi tarah jama karke,
13:45inko do,
13:46aur mukammal aazaad ho jaao,
13:48iss se maalum hua ki,
13:49hamara mazhab-e-islam,
13:50ghulami ko pasand nahi karta,
13:52ye toh pehle se silsila chalta aa raha tha,
13:54mere aqa sallallahu wa sallam ne,
13:56iss silsila ko khatam farbaya,
13:58ye ehsaan hai mere aqa ka,
13:59agar sarkar aisa na karte,
14:01toh iss shariat mein,
14:03aur log ghulamon ke saad,
14:04jisse sulook hota hai,
14:05wo qayamat tak hota rehta,
14:07hatta ki nabiye kareem sallallahu wa sallam ne,
14:09Allah ki hi hukum se,
14:10aise fazail bayan kar diye,
14:12ki logon ne sun kar ghulam aazaad ki hai,
14:14koi agar sarkar ne shahad farbaya,
14:16jisne ghulam ko,
14:17aada ghulam aazaad kiya,
14:18Allah uske aada hisse ko,
14:20jahannam se aazaad kar dega,
14:22aur jisne apne poore ghulam ko aazaad kiya,
14:24Allah taala iss maalik ko,
14:26poora poora jahannam se aazaad kar dega,
14:28toh jab ye suna,
14:29logon ne,
14:30sahaba ne suna,
14:31toh unha ne kasrat se ghulamon ko aazaad kiya,
14:33aur apne liye,
14:35goya ke,
14:37nabiye kareem ki iss bisharat me se,
14:39hisse hasil kar liya,
14:41aur fir aise jisne aap dekhein,
14:43ye silsila khatam ho gaya bilkul,
14:44ab na koi ghulam hai,
14:45na laundi hai,
14:46toh isliye,
14:47hamara mazhab-e-islam,
14:48ek bohot pyara mazhab hai,
14:49aur ye sab ko,
14:50asani aur suhulat faram karta hai,
14:52main jitne bhi hamare,
14:54bayan bhai,
14:55bacche hamare,
14:56khas tohar pe youngsters,
14:57jo social media par,
14:59kisi bhi tariqah se,
15:01in hain,
15:02chahe wo facebook,
15:03twitter,
15:04wa ghara,
15:05ya aur kisi stage ke upar,
15:06kisi aur kisi platform par,
15:07aur wo unke kuch dost hain,
15:09ghair muslimeen dost hain,
15:10jisse hote hain baag-e-faad,
15:12toh koshish ye keejiye,
15:13ki aap apna deen seekhein,
15:15aur thoda thoda unko,
15:16deen ke baare mein batain,
15:18agar aapke bataane se,
15:19koi ek shahz bhi islam ke taraf ha jaata hai,
15:21toh ye aapke liye,
15:23wo ho sakta hai,
15:24ke mukambal,
15:25jahannam se,
15:26aazadi ka sabab ban jaye,
15:28dekhe na,
15:29jisne sirf jisam ko aazad kiya,
15:31Allah taala,
15:32nabiye kareem farmaatein,
15:33Allah taala,
15:34is aazad karne wale ko,
15:35jahannam se aazad kar dega,
15:36aur jisne kisi ko,
15:37kufr se aazad dilwa di,
15:39apne tabliq ke zariye,
15:40apne guftuh ke zariye,
15:41is shahz wo Allah taala,
15:42kitna bada inaam dega,
15:44toh isliye,
15:45koshish karein,
15:46aur main toh aksar,
15:47apne bayanaat mein,
15:48arz karte rehta hun,
15:49ke is baat se,
15:50khufzad rahein,
15:56digar duniyawi,
15:57ya fuzool baatein,
15:58ya game,
15:59sharing ke saath,
16:00aap khelte rahein,
16:01aur,
16:02ye nahi socha,
16:03ke isko kabhi islaam ki taraf bhi,
16:04bula lein,
16:05toh ho sakta hai,
16:06ke maidaan-e-mahshar mein,
16:07Allah taala ki bargah,
16:08humein ilteja karein,
16:09ki,
16:10ya rabb-e-karim mein,
16:11itna arsa,
16:12is musalmaan ke paas raha,
16:13ek baar bhi aisa na hua,
16:14kisne mujhe deen ki daawat dee ho,
16:16ya deen ki taraf,
16:17maail kiya ho,
16:18ho sakta hai,
16:19agar ye daawat deta,
16:21agar aisa ho gaya,
16:22toh phir,
16:23bahut sakht,
16:24muamala,
16:25ho sakta hai,
16:26agale baab ki taraf aatein,
16:27baab-ul-ishtiraaki,
16:28fil-hadiyi,
16:29wal-budni,
16:30qurbani ke jaanwaron,
16:31aur,
16:32oonto mein shirkat,
16:33aur,
16:34agar koi qurbani,
16:35bhej chuka hai,
16:36aur,
16:37usne,
16:38kisi ko,
16:39sharik kar liya,
16:40dekhein,
16:41pehle daur mein,
16:42aisa hota tha,
16:43ke qurbani ke jaanwar,
16:44yaani,
16:45jo,
16:46haj ki qurbani,
16:47haj ke baare mein hai,
16:48jo,
16:49haj ki qurbaniye hoti thi,
16:50toh,
16:51jaanwar,
16:52saath,
16:53lekar chalte thein,
16:54cheki na,
16:55toh,
16:56budan,
16:57jo hai,
16:58ye badanah ki jama hai,
16:59gaiya,
17:00oont par,
17:01iske italak hota hai,
17:02aur,
17:03hadiyye ka italak,
17:04toh,
17:05mutlakhon,
17:06qurbani ke upar hota hai,
17:07toh,
17:08ye,
17:09wo,
17:10saath,
17:11lekar chalte thein,
17:12aur,
17:13baaz aise hote thein,
17:14jin ke paas,
17:15ye qurbani ki cheezein,
17:16nahi hoti thein,
17:18aur,
17:19jab aap wahan pohnche hain,
17:20toh,
17:21fir aapne,
17:22ye jo aage hadis aa rahi hai,
17:23uske mutaabiq,
17:24muaamla kiya,
17:25jo,
17:26inshaAllah,
17:27next program mein,
17:28aapki khidmat mein,
17:29zikr karne ki saadat hasil karunga,
17:30Allah ta'ala hum sabko samajhne ke tofeeqah ta farmaye,
17:31ameen,
17:32wa akhiru da'awana,
17:33anil hamdulillahi rabbil alameen.

Recommended