• 2 months ago
नई दिल्ली: प्रधानमंत्री नरेंद्र मोदी ने दिल्ली के विज्ञान भवन में अंतरराष्ट्रीय अभिधम्म दिवस को संबोधित करते हुए कहा, भगवान बुद्ध के अभिधम्म, उनकी वाणी, उनकी शिक्षाएं जिस पाली भाषा में विरासत के तौर पर विश्व को मिली है, इसी महीने भारत सरकार ने उस पाली भाषा को शास्त्रीय भाषा का दर्जा दिया है। इसलिए आज यह अवसर और भी खास हो जाता है। पाली भाषा को शास्त्रीय भाषा का ये दर्जा, पाली भाषा का ये सम्मान भगवान बुद्ध की महान विरासत का सम्मान है। अभिधम्म धम्म के निहित है, धम्म के मुलभाव को समझने के लिए पाली भाषा का ज्ञान आवश्यक है।धम्म यानी बुद्ध के संदेश, बुद्ध के सिद्धांत और मानव के अस्तित्व से जुड़े सवालों का समाधान।

#PMModi #classicallanguage #Palilanguage #GovernmentofIndia #LordBuddha

Category

🗞
News
Transcript
00:00Bhagwan Buddha ke abhidham, unki vaani, unki sikhshaayin,
00:09jis paali bhasha mein yeh virasat, vishwa ko mili hai,
00:16isi mahine Bharat Sarkar ne,
00:20usse classical language, shatriya bhasha ka darja diya hai.
00:30Aur isliye aaj yeh avsar aur bhi khaas ho jata hai.
00:40Paali bhasha ko, classical language ka yeh darja,
00:46shatriya bhasha ka yeh darja,
00:49paali bhasha ka yeh sammaan,
00:53Bhagwan Buddha ki mahaan virasat ka sammaan hai.
01:00Aap sabhi jaante hain, abhidham, dham ke nihit hai.
01:10Dham ko, uske mool bhaav ko samajhne ke liye,
01:17paali bhasha ka gyaan aavashak hai.
01:22Dham yaani, Buddha ke sandesh, Buddha ke siddhant.
01:31Dham yaani, maanav ke astitva se jude,
01:36sawalon ka samadhan.
01:40Dham yaani, maanav matra ke liye, shanti ka maarg.
01:47Dham yaani, Buddha ki sarvakalik shikshay,
01:53aur dham yaani, samuchi maanavata ke kalyan ka atal aswasan.
02:02Pura vishwa, Bhagwan Buddha ke dham se prakaash leta raha hai.
02:12Lekin saathiyon durbhaagya se,
02:15paali jaisi prachin bhasha,
02:19jisme Bhagwan Buddha ki mool baani hai,
02:25wo aaj saamanya prayog mein nahi hai.
02:31Bhasha keval samvaat ka madhyam bhar nahi hoti.
02:39Bhasha sabhyata aur sanskriti ki aatma hoti hai.
02:47Har bhasha se uske mool bhaav jude hote hai.
02:54Isliye, Bhagwan Buddha ki baani ko
03:00uske mool bhaav ke saath jeevant rakhne ke liye,
03:06paali ko jeevant rakhna,
03:09yeh hum sabki jimmedaari hai.
03:19Mujhe khusi hai,
03:21ki hamari sarkar ne,
03:24badi namrata purvak,
03:27yeh jimmedaari nibhai hai.

Recommended