Dars e Quran | Episode - 4 | H.Shaikh Abdul Qadir Jilani RA | 11 Oct 2024 | ARY Qtv

  • 15 hours ago
Dars e Quran | Episode - 3 | H.Shaikh Abdul Qadir Jilani RA

#DarseQuran #aryqtv #ShaikhAbdulQadirJilaniRA

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:30In the name of Allah, the Beneficent, the Merciful.
00:55In the name of Allah, the Beneficent, the Merciful.
01:25Dear listeners and viewers, peace and blessings of Allah be upon you.
01:33Today, we will discuss Surah An-Nur, Ayah number 37 and 38.
01:43Allah the Beneficent directs in His book,
01:46Rijalul la tulheehim tijaratun wala bay'un an zikrillahi wa iqyamis salati wa ita'iz zakah.
01:55Wo mard ke jineh tijarat orna kharidu furooqt Allah ke zikr or namaz ke qaim karne
02:05or zakat ke ada karne se ghafil nahi karti.
02:10Yakhafoona yawman tatakallabu feehi alquloobu walabswaar.
02:15Dartehihin wo mardaani khudaa us zin se ki jis zin ke andar dil or aankhein ultpult kiye jaayenge.
02:25Li yazziyahumul laahu ahsana ma'amilu taan ke Allah paak unko achhe aamaal ki jaza deh.
02:33Wa yazziyidahum min fadli or apne fazal se usko zyada kareh.
02:39Wallaahu yarzuqu main yashaa'u bighayri hisaab.
02:42Or Allah ta'ala behisaab rizq ata farmata hai jisse chahta hai.
02:49Sameen-e kiram yeh jo ayah-e sharifa hai.
02:52Iske baare mein mufasireen-e kiram ne yeh baat likhi hai.
02:56Abdullah ibn-e Umar radiyallahu ta'ala anhu se marwi hai.
03:00Wo firmaatein ke main bazaar ke andar maujood tha.
03:04Or jisse namaz ke liye iqamat kahi gayi.
03:08Or markeet ke andar tamaam tajiron-e apni-apni dukaan-o ko band kar diya.
03:15Or band karne ke baad wo masjid mein namaz ke liye hasir ho gayi.
03:20Or unhone namaz ki adaayegi ki.
03:23Or namaz ki adaayegi ke baad fir jab wo apni dukaan-o par or kaarobar par chale gayi.
03:30Toh Allah Paakh ne yeh aayat dekar Sarkar-e-Dawar-e-Salam ki baarga mein
03:35Jibreel-e-Ameen ko besha.
03:37Ke kuch mardaan-e-Khuda aise hai.
03:40Ki jab wo apni tijarat, kharid-o-furokh ke thiyah par hote hai.
03:46Dukaan par hote hai.
03:48Ya apni factory mein, ya apni sanat mein, ya apni company mein hote hai.
03:52Toh yeh duniya ki jo kharid-o-furokh hai, tijarat hai.
03:56Inko Allah ke zikr se nahi rokti.
03:59Or namaz ke qaim karne se nahi rokti.
04:02Or zakat ki adaayegi se nahi rokti.
04:05Or darte hai wo us din se,
04:08ki jis din, aankhen aur dil,
04:11olt-polt kiye jaayenge.
04:13Or firmaaya ki taan ki Allah unke achche aamaal ki unko jaza de.
04:18Or apne fazal se zyada kar de.
04:20Or Allah jisse chahta hai, usse behisab rizq ata karta hai.
04:25Aayat ke shaani nuzul ke baad,
04:27yeh baad ek talib-e-Quran ke liye,
04:30jo Quran ka talib-e-ilm ho,
04:32uske liye samjhna bohot zaruri hai,
04:34ki yaha ek baad toh ki,
04:36ki mardaan ka zikr kiya gaya.
04:38Mardon ka zikr kiya gaya.
04:40Khawateen ka nahi hai.
04:41Aur aap acche dharike se jaante hain,
04:43ki hadees-e-paak ke andar aata hai,
04:45Sarkar-e-du-Aalim sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad firmaaya,
04:48mard ki behitreen namaz masjid mein hai,
04:51aur aurat ki behitreen namaz uske ghar mein hai.
04:56Pehli baad firmaayi,
04:57Allah ke zikr se ghafil nahi karti.
05:00Tijarat, kharid-o-furokht,
05:02toh yeh jo zikr hai, yeh aam hai,
05:04chahe wo Quran ki tilawat ki surat mein zikr ho,
05:08ya kalma-e-tayyeba ki vird ki surat mein zikr ho,
05:12ya phir wo durood-e-paak ki surat mein zikr ho.
05:15Magar uske baad,
05:16Allah paak ne kuch khaas azkaar beyan firmaayi.
05:20Un khaas azkaar mein se pehla jo zikr hai,
05:23wa iqaam-e-salaah.
05:25Wo namaaz hai.
05:26Saameen-e-kiraam,
05:27agar aap namaaz par tawajjo kartein,
05:29toh namaaz ke andar durood-e-paak bhi aajaata hai,
05:33namaaz ke andar kalma bhi aajaata hai,
05:36namaaz ke andar tahmeed bhi aajaata hai,
05:39namaaz ke andar tasmiya bhi aajaata hai,
05:41aur namaaz ke andar Quran-e-kareem ki tilawat bhi aajaata hai.
05:45Jaisa ki firmaaya gaya,
05:47faqraoo maa tayassara minal Quran.
05:50Ki jo kuch aasani ho,
05:51apni namaazo mein Quran se padein.
05:54Toh namaaz ek aisi ibadat hai,
05:56ke jiske andar tamaam azkaar aajaate hain.
06:00Jo banda ye chahta hai,
06:01ki Quran-e-kareem ki tilawat ho jaye,
06:03toh wo namaaz padein.
06:05Jo ye chahta hai,
06:06ke tasbih aur tahmeed ho jaye,
06:08toh wo namaaz padein.
06:09Jo ye chahta hai,
06:10ke durood-e-salaam Huzoor ki wargaah mein bheja jaye,
06:13toh wo namaaz padein.
06:15Doosri baat ye hai,
06:16ke Islam ke jo buniyadi usool hain,
06:19wo paanch hain.
06:20Bukhari Sharif ke andar aata hai,
06:22buniyal islaamu ala khamsin.
06:24Ki Islam ki buniyad paanch seezon par rakhi gayi.
06:27Unmise pehla usool kalma-e-tayyiba hai.
06:31Aur doosra namaaz hai.
06:33Teesra zakat hai.
06:35Chotha roza hai.
06:36Aur paanchwa hajj hai.
06:38Aap jab tashahud mein baithte hain,
06:40attahiyyatu lillahi wassalawatu wattayyibatu,
06:44ke meri maali aur badani sari ibadatein Allah ke liye hain,
06:48chahe unka qool se taaluk ho ya fail se.
06:51Toh surah-e-noor ki is ayah-e-sharifah mein,
06:53jo zair-e-baas se jisper hum baat kar rahein,
06:56ismi Allah paak ne badani ibadaton mein se,
06:59sabse aham jo ibadat-e-namaaz,
07:02uska zikar farmaaya.
07:04Yani ibadat do tarah ki hai.
07:06Ek maali aur doosri badani ibadat hai.
07:09Toh maali ibadat ki jo asal aur pehli kisam hai,
07:13wo zakat hai,
07:14jo ki sarah-sar maali ibadat hai.
07:16Toh namaaz jo hai,
07:18yeh badani ibadat hai,
07:19ke iske andar badan ka istimaal hota hai.
07:21Aur roza bhi badani ibadat hai.
07:23Chuke roza saal ke baad aata hai,
07:25namaaz din raat mein paanch martaba hai.
07:27Toh isliye namaaz aham hai,
07:29toh namaaz ka zikar kiya gaya.
07:31Yeh ek Quran-e-Karim ke taalib-e-ilm ke liye
07:33zaruri baat hai,
07:34ki namaaz ko pehli number par isliye rakha gaya,
07:37ke yeh ibadat mein se,
07:39aham-ul-ibadat hai.
07:42Yani Allah ne jo bhi ibadat-e-fars ki hai,
07:44un mein sabse aham-ibadat jo hai,
07:46wo namaaz hai.
07:47Aur doosri jo cheezein,
07:48wa-eeta-iz-zakaah,
07:50ki yeh zakaat ki adaigi.
07:52Yeh maali ibadat-on mein se,
07:54sabse aham-tarin ibadat hai.
07:57Mufassireen-e-Quranam ne yeh baat likhi hai,
07:59ke teen cheezein aisi hain,
08:01ki jo ek doosre ke baghair kabool nahi hoti.
08:05Number one.
08:06Koi banda Allah ki pehri kare,
08:08itaat kare,
08:09aur zahir-e-Allah ki pehri aqwaal mein hain,
08:11aqwaal mein toh nahi hain.
08:12Haan, ek fail mein hai,
08:14ke Allah paak apne maabub par durood padhta hai,
08:16toh hum bhi kya padhein?
08:18Durood padhein.
08:19Yeh bhi Quran-e-Karim ke andar hai.
08:20Inna Allaha wa malaikatahu yusalluna alan nabi,
08:23ya ayyuhal ladheena aamunu sallu alihi wa sallimu tasleema.
08:26Durood ke ilawa Allah ki jitni firmabardari hai,
08:29wo saari ki saari kisme hain,
08:31aqwaal ke andar hain.
08:33Aur doosri baat yeh hai,
08:34ke yeh jo namaaz ke baad zakaat hai,
08:38toh iske baarein mein jo mein aapko batara tha,
08:40ke Allah ki itaat karein,
08:42Rasoolullah ki itaat na karein,
08:44toh Allah apni itaat ko baghair
08:46apne maabub alaihissalam ki itaat ke qabool nahi firmaayega.
08:51Aur doosra koi banda saari zindagi
08:53Allah ka shukr ada karta rahein,
08:56walidein ki na firmani karein,
08:59unka shukar guzaar na banein,
09:01toh Allah paak apne shukriye ko
09:03baghair walidein ki shukar guzaari ke qabool nahi firmaayega.
09:08Aur teesri baat jo mein aapko batana chahata hu,
09:11aaj ke mauzoo se bhi mutaallik hai,
09:13wo yeh hai,
09:14ki banda panjgana namaaz ka itimaam karta hai,
09:17waqt par namaaz padta hai,
09:19wa Allah ne usko sahib-e-nisaab banaya hai,
09:21sahib-e-istiataat hai,
09:23wo zakaat ada nahi karta,
09:25toh uski namaaz baghair zakaat ki adaayegi ke qabool nahi hogi.
09:30Aur doosri baat yeh hai,
09:31ke namaaz ke andar sab kuch Allah ke liye hai,
09:35aur zakaat ke andar Allah ki ibadat bhi hai,
09:38aur iske andar makhloog,
09:40wo log jo mukhtalif aazaar ki wajah se,
09:43roozi kamane se kasir hai,
09:45unki maashiyat ka bhi intizaam aur insiraam hai.
09:49Aur doosri baat yeh hai,
09:51ek aayat doosri aayat ki tafseer hoti hai,
09:53Quran-e-Kareem mein doosre maqam par,
09:55wazi tohr par yeh beyaan kiya gaya,
09:57inna Allah hashtara minal mu'mineena,
10:00anfusahum wa amwalahum bianna lahumul jannah,
10:04ki Allah ne khareed liya hai,
10:06mu'minoon se unki jaane,
10:09aur unke maal,
10:11kis ke ifz,
10:12jannat ke ifz.
10:13Goya ki Allah ne hamari jaan bhi le liya hai,
10:16aur Allah ne hamara maal bhi le liya hai,
10:18aur in dono ke badle mein
10:20Allah ne hame jannat ata farmai hai.
10:23Toh aap isse bhi thoda se dekhen,
10:25ki yeh jo taajir azraat hote hain,
10:27inki tijarat,
10:29jo hai yeh Allah ki bandagi,
10:31itaah-e-zakaat,
10:33aur zikrullah se ghaafil nahi karti,
10:36uski wajah yeh hoti hai,
10:37ki naik taajir ki jo nazar hoti hai,
10:40wo ukhravi tijarat par hoti hai.
10:43Jaisa ki mene aapke saamne ayat padi,
10:45ki beshak unhone soda kar liya hai,
10:47apni maalon ka,
10:48aur apne jaanon ka,
10:50aur badle mein Allah taala se jannat,
10:52jo hai wo khareed liya hai.
10:54Aagein farmaaya ki,
10:55namaz bhi padte hain,
10:57aur zakaat bhi dete hain,
10:59magar nateeje ke liye,
11:00nazar unki apne aamaal pe nahi hain,
11:03balke Allah ki rahmat par hai,
11:05aur wo Allah se darte rehte hain,
11:07us din ki jis din,
11:08dil aur aankhe,
11:10ult-pult ho jayenge,
11:11to muraad iss se yeh hai,
11:13ki Imam-e-Ghazali ne bhi yeh baat likhi hai,
11:15ki imaan naami issi ka hai,
11:17ki banda,
11:18umeed,
11:19aur khauf ke darmian,
11:21jo kaifiyat hai,
11:23iss kaifiyat ka naam kya hai,
11:24imaan hai.
11:25To saameen-e-kiram,
11:26yeh jo ayah sharifa hai,
11:28pehli,
11:29iske andar hum iss nateeje par pohnche,
11:31kuch bandagan-e-Khuda aise hain,
11:33ki dukaan-dari,
11:35aur duniya ki jo tijarat hai,
11:37wo unhe namaz ke qaim karne se,
11:40zakaat ki adaayegi se,
11:42aur Allah ke zikr se jo hai,
11:44yeh nahi rogti,
11:45duniya mein wo apni,
11:47tamaam tar ibadatin waqt par karte hain,
11:49aur aakhirat mein,
11:51wo Allah se iss baat se darte hain,
11:53ki Allah ta'ala jo hai,
11:54unke saath,
11:55kya maamla,
11:56kis tariqah se pesh aayega,
11:58aur yaqeen-e-baat hai,
11:59ki hamme imaan aur khauf ke darmeyan,
12:01rehna chahiye,
12:02ki kabhi Allah se umeed ho,
12:04ki Allah maaf kar dega,
12:05aur kabhi khauf ho,
12:06ki Allah paak jo hai,
12:07wo gharif farmayega,
12:09yaan,
12:10waqt hua chahata hai,
12:11ek chhote se waqf-e ka,
12:12hazir hote hain,
12:13waqf-e ke baad.
12:14Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh.
12:16Saameen-e-kiram,
12:17break se pehle,
12:18ham yeh baat guzarish kar rahe the,
12:20ki Allah paak ne farmaya ki,
12:22yakhafuna yawman tatakallabu feehil quloobu wal-abswaat,
12:26ki qiamat ke din ka khauf hai unhe,
12:29ki jis din dil ult-pult kiye jaayenge,
12:32aur aankhen ult ho jaayenge.
12:34Wafasireen-e-kiram ne iska maana yeh bayan kiya hai,
12:36ki yeh kafiron ke liye hai,
12:38kyunki doosre maqam me yeh hai,
12:40momineen ke liye,
12:41alaa bi zikrillahi tatma'innul quloob,
12:45jo Allah wale hote hain,
12:46momin hote hain,
12:47unke dil jo hai,
12:48wo itminaan me hote hain,
12:49aur Quran-e-Karim mutlaq hai,
12:51chahe wo yeh duniya ho ya,
12:53ukhravi duniya,
12:54to isse muraaj yeh,
12:55ki unke dil apni jagah se niklenge,
12:57aur halak ke paas aayenge,
12:59aur bahir bhi na niklenge,
13:00aur wapis bhi na palatenge,
13:02aur aankhon se muraaj yeh hai,
13:03ki inki aankhen neeli pad jaayenge,
13:06aur yeh is intizaar me honge,
13:08ki hamara naama-e-amaal,
13:09kis jaanib se aa raha hai,
13:11doosri aayat me farmaaya gaya,
13:12li yazziyahumullahu ahsana ma'amilu,
13:15wa yazzeedahum min fadli,
13:17yeh sab baatein kyun hai,
13:18taan ke Allah paak achhe aamaal ki jaza de,
13:21aur uske andar apne fazal se zyada kar de,
13:24burai ka badla uske barabar hai,
13:27magar neki ka badla das nekiyan,
13:29aur basaukat saad so tak is ajar ko bada diya jata hai,
13:33aur khurani-karim ke andar aata hai,
13:34ki basaukat Allah paak kisi ki neki se itna khush hota hai,
13:38ki saad so guna se bhi usse zyada bada deta hai,
13:42aur aage farmaaya,
13:43wallahu yarzuku main yashaa bighayri hisaab,
13:46ki apni dukaan ko,
13:47apni tijarat ko namaz ke waqt band kar do,
13:51kyun ki rizq dene wali zaad jo hai,
13:53wo Allah paak ki zaad hai,
13:55saameen-e-kiram yeh aayaat-e-tayyibat,
13:58tamaam un momineen ke liye hai,
14:00jo apni tijarat ko shariyat-e-mutahara ke andar rehte hue,
14:05sar anjaam dete hai,
14:07magar hum dekhte hai,
14:08ki jahan iss se bohs saare nafoos-e-qudsiya muraadein,
14:12wahaan yeh aayat mistaak banti hai,
14:15jis par kaamil tariqah se amal kiya,
14:18Sayyiduna Sheikh Abdul Qadir Jilani Baghdadi,
14:22rahmatullahi ta'ala alaih,
14:24jisse hum ghose-e-paak ke naam se yaad karte hain,
14:27ab thoda se hum dekh lete hain,
14:29Quran-e-Karim mein doosre maqam pe aata hai,
14:31ya ayyuhal lazeena aamanu,
14:33la tulhikum anwaalukum wala awlaadukum an zikrillah,
14:38ey imaan walo,
14:39tumhare maal aur tumhari awlaadein,
14:41tumhe Allah ke zikr se roke nai,
14:44toh hum dekhte hain,
14:45Sayyiduna Sheikh Abdul Qadir Jilani alaih-e-rahmat ne,
14:48chaar shadiyan firmai,
14:50aur Allah paak ne aapko unchaas bete aur betiyan aata ki,
14:55ab aap dekhiye,
14:56ki Quran kehta hai,
14:57ki maal aur awlaad,
14:59tumhe Allah ke zikr se ghafil na kare,
15:01aap ne chaar shadiyan firmai,
15:03zahir hai ki unko khilana,
15:05unko pehlana,
15:06aur phir unchaas bachon ki tarbiyat karna,
15:10koi maamuli kaam toh nahi hai,
15:12aur maujooda doar ki tarah,
15:14us zamane ke andar,
15:15yeh nazranon ka bhi itemaam nahi tha,
15:17yahan tak ki aap ke baare mein aaye,
15:19ki ek khalifa ne aapko ek guthiya di,
15:21jisme sona aur chandi ke diram aur dinar te,
15:23aap ne unko apne haath me liya,
15:25aur yuh nachoda,
15:26usse khoon nichadne lag gaya,
15:28aur aap ne firmai,
15:29leh jao haakem-e-waqt ko de do,
15:31ki hum logon ke khoon aur pasine ki qamai,
15:34nahi khaate,
15:35lekin iske ba wajood dekhi hai,
15:37ki Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Ali Rahmat,
15:40din raat mein ek hazaar rakaat,
15:43namaz-e-nafil ki adaayegi firmate the,
15:46aur jis jaga aapka roza sharif hai,
15:48isi maqam par bethkar,
15:50aap ne sattar hazaar martaba,
15:53Allah Kareem ki kitab,
15:55Quran-e-Kareem ko tilawat kiya hai,
15:57aur yeh baat,
15:58dawam aur istimlaar,
16:00aur tawatur ki saath aayi hai,
16:02ki Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Ali Rahmat,
16:05saari raat,
16:06ishaa ke wudhu se fajar ki namaz ki adaayegi karte,
16:10raat bar namaz pardhe,
16:11aur namaz-e-fajar se lekar namaz-e-zuhr tak,
16:14logon ko Quran aur hadees ki taaleem dete,
16:17aur phir zuhr ki namaz se lekar asr ki namaz tak,
16:20logon ko nazra Quran-e-Kareem,
16:23tajweed ki saath padhate,
16:25aur yahan mujhe hadees yaad aagayi,
16:27tahaweeh sharif ki,
16:28wahan yeh baat hai,
16:29Sarkar-e-Dawlam Salah-e-Salam,
16:31logon ko tashawud taaleem,
16:33isliye istara dete the,
16:34ki jistara aap Quran-e-Kareem ki suraton ki taaleem dete the,
16:38goya ki wali-e-kaamil wo hota hai,
16:40jo logon ko Quran aur hadees ki taaleem de,
16:43aur unke mahaarij ko durs karaye,
16:46ki Allah ka kalam padhne ka tariqah kya hona chahiye,
16:50aur haunt kaise hilne chahiye,
16:52aur zaban kaise hilne chahiye,
16:54toh isse yeh pada chalta hai,
16:56ki buzurgon ki uladen hamse zyada thi,
16:59aur buzurgon ne shadiyan bhi zyada firmahi thi,
17:02uske bawajood bhi wo zikrullah mein,
17:05itna zikr karte rahe apni zindagi ke andar,
17:08ki Quran-e-Kareem ne ek baat bayan firmahi,
17:10fazkuruni azkurkum,
17:12tum mera zikr karo,
17:14main tumhara zikr karunga,
17:16aaj Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Gilani Baghdadi Rahmatullahi Taala Aleh,
17:20zameen par nahi hai,
17:22zameen ke niche apne roza sharif mein hai,
17:24apni zindagi mein Allah ka itna zikr kiya,
17:27ki Quran ki iss aayat ka mistaq ban gaye,
17:30ki wo zameen par reh kar Allah Allah karte rahe,
17:33aur jab ab zameen,
17:35zehre zameen chale gaye,
17:37toh har banda aapka wo tazkira kar raha hai,
17:39aur yeh aapne Quran mein pada hai,
17:41dusre maqam par,
17:43ki naik logon ka jo zikr hai,
17:45isko Allah paak kya rakhta hai,
17:47baaki rakhta hai,
17:49toh sattar hazaar martaba Quran-e-Kareem ko tilawat kiya,
17:52aur ek hazaar rakaat namaz-e-nafil ki adaigi karte the,
17:56aur bade bade aqabireen aur ulama,
17:59aapki majlas mein baite the,
18:01Quran aur sunnat ke baare mein jo hai,
18:04wo daryafat kiya karte the,
18:06toh iss se yeh pata chalta hai,
18:08ki hum jin buzurgon ko maante hain,
18:10jin ke liye saaleh sawab karte hain,
18:12wahan gyaarvi sharif karte hain,
18:14toh humein chahiye ki unki seerat par bhi amal karein,
18:16yani Quran-e-Kareem ki tilawat bhi karein,
18:18Quran padha sakte hain,
18:21aur Quran-e-Kareem agar tarjamein,
18:23maani aur mataalib ke saath humnein nahi padha,
18:25toh Quran-e-Kareem ka tarjama,
18:27uske maani aur mataalib padhein,
18:29taah ke hum jo hai,
18:31un buzurgon ke kaamil tariqah par chal sakein,
18:34yeh humare liye bohot zaruri baat hai,
18:37aur doosri baat yeh hai,
18:39ki iss ke saath saath Quran-e-Kareem mein hai,
18:41wa eeta-e-zakaah,
18:42jahan Sheikh Abdul Qadir Jilani,
18:44Gilani Baghdadi Ali Rahma,
18:46yani ki zakaat ki adaigi ka itimaam farmate the,
18:49wahaan khud bayan kartein,
18:51ki jab meri waalida-e-muhtarmaan,
18:53mere liye kharch bejti thi,
18:55ki jab main ek jamia mein padhta tha,
18:57toh wo saara ka saara kharch jo hai,
18:59apne saathi tulaba par jo hai,
19:01wo main kharch kar deta tha,
19:03aur doosra yeh hai,
19:04ki wo Allah ka wali,
19:06ki jisne ghalat bayani karke,
19:08apna maal chhupaya nahi,
19:10toh jo halaal maal hoga,
19:11usse wo kitni khairat karte honge,
19:13aur kitni zakaat dete honge,
19:15jaise ke tawatur ke saath yeh baat aayi hai,
19:17ki jab aapki waalida ne aapko maqtab beja,
19:20toh aapki godari ke andar,
19:22wo ashrafiyan jab seedhi,
19:24aur daakoon ne pakad liya,
19:26aur poochha toh aapne firmaaye,
19:28mere paas dirham aur dinar aur ashrafiyan hai,
19:30magar bazaahir nazar nahi aarahi thi,
19:32toh daakoon ke jitne bhi arkaan the,
19:34wo apne sardaar ke paas gaye,
19:36ki yeh ek ladka hai,
19:38jo yeh baat kehta hai,
19:39ki mere paas maal-o-mata hai,
19:41sona aur chaandi hai,
19:42magar nazar nahi aara,
19:43aapne firmaaye usko bulao,
19:45jab bulae gaye Syedna Sheikh Abdul Qadir Chilani,
19:47toh saara maal jo waalida nisiya tha,
19:49nikaal ke,
19:50us sardaar ke saamne rakh diya,
19:52usne ek sawal kiya,
19:54ki aap ghalat beyaani karke,
19:56is maal ko chhuba sakte the,
19:58toh aapne firmaaye ke,
20:00maine apne waalida se,
20:02ek muaada kiya hai,
20:04ki main kabhi bhi ghalat beyaani,
20:06nahi karunga,
20:07us par itna asar iska hua,
20:10ki usne ka dekhen yeh ladka,
20:12apni waalida ke saath kiye hue,
20:14agreement se khilaf warzi nahi kar raha,
20:17hat nahi raha,
20:18toh maine bhi toh apne Rab se,
20:19ek agreement kiya hua hai,
20:21toh usne pada,
20:22la ilaha illallah,
20:23Muhammadur Rasoolullah,
20:24pakki tauba ki,
20:26ki ainda ke baad main kabhi bhi,
20:28daake nahi dalunga,
20:29loot maari nahi karunga,
20:31toh uske karakunaan ne ka,
20:33ki jis tarah,
20:34hum aapki sadaarat me,
20:36daake maara karte the,
20:37ab hum bhi taib hote hain,
20:39aur aap ke halka-e-aabab me,
20:41daakhil ho jate hain,
20:42toh saameen-e-kiraam,
20:44sabse pehle hume yeh itemaam karna chahiye,
20:46ki ghalat bayani nahi karni chahiye,
20:48Sarkar-e-Dawalam Sallallahu Alaihi Wasallam se poosha gaya,
20:51kya momin chori kar sakta hai,
20:53aapne firmaaye momin chori kar sakta hai,
20:55momin zina kar sakta hai,
20:57momin namaz ko chhod sakta hai,
20:59magar momin aadmi kabhi bhi ghalat bayani,
21:02nahi kar sakta,
21:04yani ki joot itni badi shariyat-e-mutara ke haan,
21:08samajhnein ki yeh ek buri cheez hai,
21:10ki Imam-e-Ghazali Rahimahullah ne jo hai,
21:13isko gunah-e-kabira ke andar shumar kiya hai,
21:16toh humein Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani,
21:18aur Quran-e-Karim ki yeh ayaat-e-tayyibat,
21:21yeh bhi badati hain,
21:22ki agar hum dukaandari kar rahein,
21:24toh humein sach bolna chahiye,
21:25hum koi bhi kaam kaaj kar rahein,
21:27toh humein kya bolna chahiye,
21:28sach bolna chahiye,
21:29aap ismein dekhiye ki,
21:31Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani ki sachai,
21:34aur Quran-e-Karim mein tajro ki baat,
21:36toh tajro ke liye,
21:37ek aur baat bhi beyan ki gayi hai,
21:39wo yeh hai,
21:40ki hadees ke andar aata hai,
21:41ki saccha ameen jo tajir hoga,
21:44qiamat ke din,
21:45wo nabiyon ke saad,
21:47aur siddiqeen ke saad,
21:49aur shuhada ke saad,
21:50wo uthaya jaayega,
21:51yaani ki wo apni namazon ki pawandi karein,
21:54aur tijarat karein,
21:55sachai ke saad,
21:57toh wo kis ke saad uthaya jaayenge,
21:59nabiyon ke saad,
22:00siddiqeen ke saad,
22:01aur shuhada ke saad uthaya jaayenge,
22:02toh Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani,
22:05Baghdadi Rahmatullahi Taala,
22:07Ali ki zindagi,
22:08aur is dars-e-Quran se agar hum,
22:10ek baat ka apne dil ke andar,
22:13pukhta irada karne,
22:14aur Allah se azam karne,
22:16ki kuch bhi ho jaye,
22:17humne joot nahi bolna,
22:19humne ghalat beyani nahi karni,
22:21humne darog koi nahi karni,
22:23aur yaad rak lena,
22:24jo banda sach bolta hai,
22:26toh Allah Paak ke Habib ne firmaaya,
22:28wo sach bolta rehta hai,
22:30yahan tak ki Allah Paak,
22:32usse siddiqeen me likh deta hai,
22:34toh Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani,
22:36Ali Rahmat,
22:37madrasa me jaane se pehle,
22:39maktab me jaane se pehle,
22:40sach bolkar,
22:42ek daakoon ki bahut badi jamaat ko,
22:45maarfat-e-ilaai se bhi roshna karwa rahe hain,
22:48aur rohani rahe bhi unhe dikha rahe hain,
22:52toh humne chahiye,
22:53ki hum namaz ki bhi pabandi karein,
22:55zikr-o-azkaar ki bhi pabandi karein,
22:57aur tijarat bhi hum karein,
22:59magar jab waqt aajaaye,
23:01Allah aur uske Rasool ke dene ka,
23:03toh apne awqaat ko takheem karein,
23:05tijarat ke waqt tijarat karein,
23:07namaz padhne ke waqt jo hai,
23:09wo kya karein,
23:10namaz ki adaayegi karein,
23:12innas salata kaanat alal mu'mineena kitabam mawquta,
23:17ki bishak Allah Paak ne jo namaz hai,
23:19ye mukarra waqt par jo hai,
23:21ye kya ki hai,
23:22farz ki hai,
23:23aur isko mukarra waqt par hi padhna chahiye,
23:25jaise ki Abdullah ibn-e-Masood radhiyaAllahu ta'ala
23:28ne usse marwi hai,
23:29aap ne arz ki,
23:30ya Rasoolullah,
23:31afzal amal kya hai,
23:32toh firmaya gaya ki,
23:33afzal amal ye hai,
23:34ki namaz ko apne waqt me ada kiya jayein,
23:37toh khulasa ye nikla,
23:39ki kuch mardaan-e-Khuda aise hain,
23:41wo Allah ka zikr bhi karte hain,
23:43aur tijarat bhi karte hain,
23:44wo namaz ki adaayegi bhi karte hain,
23:46aur tijarat bhi karte hain,
23:48aur jo maal unko Allah ne diya hai,
23:50usme se jo daifisat,
23:52ghuraba aur masakeen ka jo hisa hai,
23:55wo bhi nikaalte hain,
23:57toh jahan inn ayaat-e-tayyabat ke misdaak,
24:00sahaba-e-kiraam hain,
24:02tabi'een hain,
24:03taba-tabi'een hain,
24:04aur janaab-e-awliya-e-kiraam hain,
24:06aur bil khusus Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani ki zaat ko,
24:10aap ek taraf rakhein,
24:11aur Quran-e-Kareem ki inn do aayaton ko,
24:14ek taraf rakhein,
24:15toh aapko hu-bu-hu jo hai,
24:16ye iski kya nazar aayegi,
24:18tafseer nazar aayegi,
24:19aur yahan tak bhi aaya,
24:21ki jab shaitaan ne aapko nidaa lagayi,
24:23ki Abdul Qadir bas karein,
24:25aap ne bohot namaz-e-pardh liyin hai,
24:27toh aap ne usko jawab diya,
24:29a'oozu billahi min-ash-shaitaan-ir-rajim,
24:32namaz toh Allah ke nabi ne nahi chhodi,
24:34aur phir aap ne yeh firmaaya,
24:36ki midaan-e-Badr ke andar,
24:38jab Allah ke nabi ne das sahaba-e-kiraam ko,
24:40jannat ke tikat ata kiye,
24:42namaz toh unko maaf nahi hui hain,
24:44namaz mujhe kaise maaf hogi?
24:46Namaz toh doosre logon ko maaf nahi hui hain,
24:50mujhe kaise maaf hui hai?
24:51Toh mere dosto,
24:52humein jo yahan sabak milta hai,
24:54wo yeh milta hai,
24:55ki humein sach bolna chahiye,
24:56sach se jo hai,
24:57wo wilayat ki jo hai,
24:59kya ho jati hai,
25:00ibtida ho jati hai,
25:01jahan yeh waqt hua chahata hai,
25:03chhote se waqfe ka,
25:04hazir-e-khidmat hota hai,
25:05waqfe ke baad,
25:06Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu.
25:09Ji, saameen-e-kiraam,
25:10break se pehle,
25:11hum baat kar rahe the,
25:12ki yeh jo ayaat-e-tayyibat hain,
25:14iss se jahan,
25:15bandigan-e-Khuda murad hain,
25:17wahan waliyon ke sardar,
25:18jannat Sayyidina Sheikh Abdul Qadir Jilani Gilani,
25:22Baghdadi Rahmatullahi Ta'ala leh bi murad hain.
25:25Ab jo aakhri ayaah-e-sharifah hain humare paas,
25:27iss par hum baat kar chuke,
25:29lekin mazeed iss unwaan ko aagey baratein,
25:31ki Allah Paak ne firma,
25:32li yazziyahumullahu ahsana ma'amilu,
25:35ki Allah Paak jaza dega,
25:37achse aamaal ki,
25:39wa yazziyidahum min fadli,
25:41aur zyada kar dega,
25:42unko apne fazal se,
25:44wallahu yarzuqu main yashau bighayri hisaab,
25:47aur Allah rizq deta hai behisaab,
25:49jisse chahata hai.
25:51Hum suratul bayyinah mein jaatein hain,
25:53to waahan humein achse aamaal karne walon ki,
25:56shaan kis tariqah se milti hai,
25:58to Quran-e-Karim kaita hai,
25:59innal ladheena aamanu wa aamilus saalihaat,
26:03ki beshaq wo log jo eemaan laaye,
26:05aur aml-e-saalih kiye,
26:07aur aml-e-saalih se murad ye hai,
26:09ki unone achse aamaal kiye,
26:11wo kaun loge,
26:12ulaaika hum khairul bariya,
26:15ki beshaq wo log jo hain,
26:17behtreen makhlook hain,
26:19yani ki duniya ki nazar mein,
26:21jo afzal hone ka mayaar hai,
26:23wo kuch aur ho sakta hai,
26:25magar Rahman ki nazar mein,
26:27jo afzal hone ka jo mayaar hai,
26:29wo kya hai,
26:30innal ladheena aamanu,
26:32pehla eemaan hai,
26:34wa aamilus saalihaat,
26:35aur dusra aamaal-e-saaliha hai,
26:38ulaaika hum khairul bariya,
26:40ki beshaq ye behtreen logein,
26:42to agar hum Allah ki nazar mein,
26:45behtreen banna chahatein,
26:47to eemaan ke baad jo cheezein,
26:49wo aamaal-e-saaliha hai,
26:51aur aamaal-e-saaliha ke andar,
26:53do cheezein aatiyein,
26:54ek uqooqullah,
26:56aur dusra uqooqul ibad,
26:58to humein uqooqullah ka bhi aitimam karna chahiye,
27:01aur uqooqul ibad ka bhi aitimam karna chahiye,
27:05magar ye baad zaruri samjein,
27:07ki uqooqul ibad ka zyada aitimam karna chahiye,
27:11kyunki Allah Rahman bhi hai,
27:13Allah Rahim bhi hai,
27:15Allah Ghafoor bhi hai,
27:16wo apna haq maaf kar dega,
27:18agar banda pakki tauba kare,
27:20magar jo uqooqul ibad honege,
27:22ye us waqt tak maaf nahi honege,
27:25jab tak sahib-e-haq,
27:27apna haq maaf nahi kar dega,
27:29yahan tak bhi hadees-e-paak ke andar aaya,
27:32Sarkar-e-duwalim S.A.W. ne irshaad farmaya,
27:34agar shaheed ho jaye banda,
27:37aur usne apni zindagi ke andar,
27:39kisi ka qarz dena ho,
27:41to Allah Paak,
27:42uske qarz ko maaf karwa ke,
27:45usko jannat me bejayega,
27:47yani ke shaheed ko bhi,
27:49uqooqul ibad maaf nahi hai,
27:51chahiye jaye ke jo log hai,
27:53jo amal bilkul nahi karte,
27:55aur naam ka kalma padte hai,
27:57ke unhe jo hai,
27:58wo kiya ke jaye,
27:59maaf kiya jaye,
28:00aur phir dusri baat ye hai,
28:02Quran-e-Karim me Surat-ul-Asr ke andar,
28:04inni aamaal ki tarah beyan kiya gaya,
28:06wal-asri innal insana lafee khusr,
28:10ke kasam-e-zamanay ki,
28:12Imam-e-Razi ne likha hai,
28:14ke is zamanay se muraad,
28:15kaunsa zamanay hai,
28:16firmaaya,
28:17is zamanay se muraad,
28:18zaat-e-paak-e-Mustafa Karim A.S.
28:20ka zamanay hai,
28:21yani ke,
28:22saare zamanay,
28:23bade achche hain,
28:24kyun ke har zamanay,
28:25Allah ne banaya hai,
28:26wal-asri,
28:27magar ye jo maaboob ka zamanay hai na,
28:30ye zamanay,
28:31bade behtreen hai,
28:32aur iski tafseer,
28:33Quran ki digar ayat ke andar bhi,
28:35beyan ki gayi hai,
28:36ar-rahmanu allamal Quran,
28:38khalaqal insan,
28:39Imam-e-Razi kehta hai,
28:40yahaan kis insan ki takhliq ki baat hai,
28:42firmaaya,
28:43yahaan Sarkar-e-Dawlam S.A.W. ki takhliq ki baat kiye gayi hai,
28:46aur Quran mi dusre maqam pe,
28:48la'amruk,
28:49ke aapki umar sharif ki kasam hai,
28:51la'uqsimu bihaazal balad,
28:53to ye to wo baat thi,
28:54ki jo Quran mi,
28:55ishq-e-Mustafa ki hawale se,
28:57humne aapko batai,
28:58aage firmaaya,
28:59illal ladheena,
29:00aamanu wa aaminu sualihaat,
29:02magar wo log,
29:04khasare mi nahi hai,
29:06saare insaan khasare mein,
29:07wo log khasare mein nahi hai,
29:09jo imaan laaye,
29:10aur aml-e-saalih kiya,
29:12wa tawasaw bil haqti,
29:14wa tawasaw bil sabr,
29:16ki wo haq ki talkeen karte hain,
29:18aur sabar ke baare mein kahte hain,
29:20to jab hum in aayaat-e-tayyebaat ko parte hain,
29:24Quran-e-Karim mein,
29:25imaan ka jo zikr aaya hai na,
29:27imaan ka,
29:28ya ayyuhal ladheena,
29:29aamanu,
29:30ya ya ayyuhal ladheena,
29:31aaminu,
29:32aaminu,
29:33yani imaan wale,
29:34ya imaan lao,
29:35agar aap in aayaat-e-tayyebaat ko dekhte hain,
29:37to in ki taadaat,
29:39humein kam nazar aati hai,
29:41magar jo aamaal par zor diya gaya hai,
29:43wo sabse zyada zor diya gaya hai,
29:45kahin to uqooqullah par ibaad,
29:47uqooqullah mein se namaz,
29:48roza,
29:49hajj,
29:50zakat par zor diya gaya,
29:51aur joot,
29:52gheebat,
29:53jasoosi,
29:54in tamam cheezon se mana kiya gaya,
29:55aur fir jab uqooqul ibaad ki baat aayi,
29:57to Quran-e-Karim ne,
29:58unko bhi khol khol ke bayan kiya,
30:01to humein chahiye,
30:02aur is waqt ka taqaza bhi ye hai,
30:04ki hum aamaal-e-saliha ki taraf hain,
30:07to jahan aakhirat humari aamaal-e-saliha se ban jayegi,
30:11aur humari aakhirat achi ho jayegi,
30:14waha ek aur faidah bhi hai,
30:16ki hum duniya me hi gunaon se paak ho jayenge,
30:19aur ye bhi Quran-e-Karim ke andar aaya,
30:21innal hasanaat yuzhibnas sayyi'aat,
30:24ki Allah Paak ne firma hai,
30:25ki bishak nekiyan jo hain,
30:27ye insaan ki burayiyon ko khatam kar deti hain,
30:30to hum khaanqai nizam se jod sakte hain,
30:33hum Sheikh Abdul Qadir Jilani Rahmatullahi Taala
30:36alay ki hum bayat me aasakte hain,
30:39magar uske liye zaruri baat ye hai,
30:41ki jo cheezein karni ki hain,
30:43un cheezeon ko karein,
30:44jab hum nekiyan karenge,
30:45to nekiyon se burayiyan mitenge,
30:47aur jab burayiyan mit jayenge,
30:49isi haalat me hum agar duniya se chale gaye,
30:52to bila hisaab o kitab jannat me daakhil ho sakte hain,
30:56aur ukhrafi zindagi to wo hi hai,
30:58jo abadi zindagi hai,
30:59ye duniya to faani hai,
31:01jaisa ki hadees-e-paak ke andar aaya,
31:03ki is duniya ki ahmiyat,
31:05Allah ke haan machhar ya makhi ke,
31:08par ki barabar bhi nahi hai,
31:09firmaaya agar itni ahmiyat bhi hoti,
31:11to Allah Paak kisi kafir ko duniya ata,
31:14na karta,
31:15Allah ke haan ahmiyat jo hai,
31:16wo aakhirat ki hai,
31:17chuki aakhirat jo hai,
31:18wo momineen ke liye banayi gayi hai,
31:21to humein chahiye ki aakhirat ki tayyari karein,
31:23aur Quran-e-Karim dusre maqam pe waazi tor par kahta hai,
31:27ya ayyuhal ladheena,
31:28aamanu taqullaha wal tanzun nafsum maa qaddamat lighad,
31:33ki har imaan wale ko nazar karni chahiye,
31:35ki usne kal ke liye kya beja hai,
31:38yehi wajah hai,
31:39ki Sufiya ke haan,
31:40baqaida ek muraqaba ka tariqah hai,
31:43ki sar juka ke apne gunaon ko bhi yaad karo,
31:46aur is baat ko bhi yaad karo,
31:47ki tumne aage kya beja hai,
31:50ameen-e-kiram,
31:51aapmise aaj ke mauzoo ke matlaik koi sawal karna chahiye,
31:55usse ijazat hai,
31:56wo sawal kar sakta hai.
31:57Assalamu alaikum.
31:58Wa alaikumussalam wa rahmatullahi wa barakatuhu.
32:00Ghulam sahab,
32:01aapse sawal ye hai,
32:02aapka naam kya hai,
32:03naam batayiye?
32:04Naat Qaum Mehmood Ali Qadri.
32:05Achha,
32:06Mashallah.
32:07Mahmood sahab,
32:08boliye.
32:09Kya Huzoor Ghulsul Azam Dastagir R.A.
32:13maadardat wali hai?
32:15Ji,
32:16achha sawal hai aapka,
32:17jab aap naam lein kisi mard ka,
32:18chahiye wo sahabi ka ho,
32:19ya wali ka,
32:20to radiyallahu ta'ala anha nahi hai,
32:22balke radiyallahu ta'ala anhu zikar karein.
32:25Yeh tasheeh zaruri thi.
32:26Ji,
32:27bilkul yeh baat tawatur ke saath aayi hai,
32:29ki Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Gilani Baghdadi
32:32Rahmatullahi Ta'ala leh,
32:33maadardat wali hai.
32:35Iska matlab yeh hai,
32:36ke Allah Paak ne maa ke shikam se hi,
32:39aapko wali bana ke peyda kiya hai.
32:41Aur iski behtreen taleel jo hai,
32:43wo akabireen ne apni kitabon me likhi hai,
32:46firmaaya ke,
32:47walida lil ashrafi waladun,
32:50ke Syedon ke haan,
32:52ek aisa baccha gilan me peyda hua hai,
32:55la yarda'u fi Ramadana,
32:57ki jo Ramzan ke maine me,
32:59din me jo hai,
33:00wo dhood nahi peeta hai.
33:02Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu.
33:04Waalaikumussalam Warahmatullahi Wabarakatuhu.
33:06Hazrat Ghusi Azam Sheikh Abdul Qadir Jilani
33:09Rahmatullahi Ta'ala leh,
33:10Imam Ahmed Bin Hamal ke mukallid hai.
33:12Hum inko Imam kyu maatein,
33:14jab ke hum to hinfi hain.
33:15Ji, Mashallah achha sawal hai yeh aapka,
33:18ki Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani
33:20Ghilani Baghdadi Rahmatullahi Ta'ala leh,
33:22jo hai,
33:23wo hamli hai,
33:24aur uske bawajood,
33:25hum unko Imam maantein.
33:27To ek baat to yeh,
33:29aaj roz-e-roshan ki tarah,
33:31zahir ho gayi,
33:32ke humare haan jo hai yeh,
33:34kisi ko Imam maana,
33:36yeh shahsiyat parasti nahi hai,
33:38balke yeh miyaar par hai.
33:39Lekin iski ek thodi si tameed hai,
33:41tameed yeh hai,
33:42ki Nabi Kareem A.S. ke zamana mubarak ke baad,
33:45Ummat ke andar itne fitne aaye,
33:47ki wahaan har cheez ke andar,
33:49hume zarurat padi,
33:50ki ek kaamil Imam ki,
33:52aur Sheikh ki zarurat padi.
33:54Hum jo Fiqh me Imam maantein,
33:56wo Imam-e-Azam Abu Hanifa ko maantein,
33:59aur hum jo Aqaid me Imam maantein,
34:02wo Abu Mansur Maat Turidi ko maantein,
34:05aur Tasawwuf ke andar,
34:07yaani Sufiyan aur is silsila-e-tariqat ke andar,
34:10hum jo Imam maantein,
34:12wo Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Gilani Baghdadi
34:15Rahmatullahi Taala Aalaih ko maantein,
34:17toh isme koi tazaad nahi hai,
34:19Imam sahab ko hum Fiqhi hawalaih se follow kartein,
34:22aur Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Rahmatullahi Taala Aalaih
34:25ko Tasawwuf ke hawalaih se hum follow kartein.
34:27Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu
34:29Waalaikumussalam Warahmatullahi Wabarakatuhu
34:31Mufti sahab, bohot khubsurat aap guftaguhu firma rahein hai,
34:33aapne ibadat aur riyazat ke mutlaq zikr kiya,
34:36toh Mufti sahab,
34:37sabse afzal zikr kaunsa hai,
34:39is sawale se aap kuch firmaayein.
34:41Yeh yeh achha sawale mashallah aapka,
34:43sabse afzal zikr jo hai,
34:45wo Quran-e-Karim ki tilawat hai,
34:47ke aap Quran-e-Karim ki tilawat karein.
34:49Lekin Hadees-e-Tayyiba ke andar,
34:51ek afzal zikr,
34:53ek aur cheez ko bhi kaha gaya,
34:55ke afzalu zikr la ilaha illallah,
34:57ke afzal zikr jo hai,
34:59wo kya la ilaha illallah
35:01wa Muhammadur Rasulullah hai.
35:03Aur jab yeh kaha gaya la ilaha illallah,
35:05toh yeh kalme ka naam hai,
35:07muraad isse poora kalme-e-Tayyiba hai,
35:09jaisa ki Hadees-e-Paak ke andar aata hai,
35:11ke lafz-e la ilaha illallah,
35:13yani ke kalme-e-Tayyiba ko
35:15tarazu ke ek padde mein rakha jaye,
35:17aur kul kainat ko
35:19doosre padde mein rakha jaye,
35:21toh la ilaha illallah
35:23wa Muhammadur Rasulullah ka jo wazan hai,
35:25yeh sab par bhaari ho jayega,
35:27aur sab cheezein niche hai,
35:29yeh sabse oopar hai,
35:31aur yaqeenan oopar Allah ka naam hi
35:33hai, toh yeh bhi aap padhein,
35:35aur iske ilawa jo hai,
35:37Durood-e-Paak bhi jo hai,
35:39yeh bhi afzal wazifa hai,
35:41yeh bhi padhna chahiye,
35:43namaaz sabse baitreen cheeze toh yeh hi hai,
35:45mein bata chuka.
35:47Jaisa Ameen-e-Kiram,
35:49aaj yaha hi tak humara jo unwan tha,
35:51yeh bayan hua,
35:53aur isme jo baatein humne kahin,
35:55agar koi ghalati kotai hui,
35:57toh Allah ki bargah mein maafi shahatein,
35:59aur hum dua kartein,
36:01Jazakallahu Khaira,
36:03Wasalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu
36:31Jazakallahu Khaira,
36:33Wasalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu

Recommended