Jalebi ki Kahani main hai utne hi twists and turns jitne khud Jalebi main hote hai! Kya aapko pata hai Jalebi ka safar Persia se lekar Bharat tak kaise hua? Aur kaunse desi tareeke hain Jalebi ko enjoy karne ke? Nazar Ya! ki iss video mein janiye Jalebi ke hidden secrets, variations aur ek interesting shayarana kahani!
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Today, you crack a riddle first.
00:21Jali hai par jali nahi, lambi hai par nali nahi, gheeli hai par gali nahi, bohot ghoomi
00:27hai par kabhi chali nahi.
00:29Nahi?
00:30Dessert hai bhai.
00:31Acha hint de deta hoon.
00:32Bhai jo rishton si karari hai, mohabbat si meethi hai, dikhne mein kisi phool bhulaiya
00:36si, ulji hui si, lekin fitrat ki badi naazuk hai.
00:40Ab sahi pakde hain, the queen of desserts, Jalebi.
00:45Nazariya ki Khao Gali mein, main Ashish Atre aapka swagat karta hoon.
00:51Shashni mein doobi, garma garam jalebi ki mehak, mohalle mein jitni door talak jaati
00:54hai na, usse bhi door tak jaati hai jalebi ki ye aadi, tedhi, gol matol daastan.
01:01Apni sada bahar jalebi, takreban 700 se 800 saal purani.
01:04Agar aap aur main jalebi par sawaar hokar waqt mein peeche chalein, toh samose aur biryani
01:09ki tarah ye bhi hume Parsiya ghuma laayegi.
01:12Bilkul waisa hi roop, Persian traders, artists aur rulers ke karwaan ke saath, jalebi Hindustan
01:18mein pohchi hai.
01:19Kai logon ka maana hai ki jalebi Arabian Lukmat Al Qadi ya kahen Lukma par based hai.
01:25Aisa nahi hai.
01:26Lukma banta hai aate ke guthe hue golon ko tal kar, jabki apni jalebi ke liye aate ko
01:30phet aata hai.
01:32Ye dono chachere mamere bhai bhain hoon sakte hain, lekin ek doosre ke ancestors nahin.
01:3713th century ki ek badi important kitab hai Kitab Al Tabi, yaani khaane ki kitab, cookbook,
01:43jo Turki ke Muhammad bin Hasal Al Baghdadi ne likhi thi.
01:47Is kitab mein pehli baar Zalabia ka zikr aata hai.
01:50Jalebi ka zikr humare yaha bhi milta hai saal 1450 ke Jain text Priyam Karnapak Katha mein.
01:5617th century ke Bhojna Kutuhala jaisi cookbook mein to jalebi ki poori recipe maujood hai.
02:02Hairat ki baat hai ki us wakt ki recipe mein aur aaj ki recipe mein zyada fark nahi aaya
02:07hai.
02:08Ek mind blowing baat bataun.
02:09Inhi kitabon mein kaha gaya hai ki us wakt jalebi India ke religious festivals aur rituals
02:13mein prasadam ke roop mein bhagwan ko chadayi jati thi aur bhakton mein baati jati thi.
02:18Bilkul waise hi zikr Persian text mein bhi milta hai.
02:21Kehte hai ki Ramzan ke iftaar mein Zalabia ko widely distributed kiya jata tha.
02:26Ab to yeh wahi wali baat ho gayi, bair karam-e-mandir-masjid, mail karam-e-daana-paani.
02:31Bhai Diwali ki raat thi, mashoor shayar Mirza Ghalib sahab gali se guzar rahe the to unke
02:36chahane walone isi mauke par unka moon meetha karaya aur taufe mein barfi pesh ki.
02:41Barfi ka baksa bagal mein dabha kar Ghalib sahab ghar ki aur lot rahe the.
02:45Tabhi kisi ool jalool aadmi ne unhe tok diya aur kaha,
02:49Naushaa, musalmaan hokar Diwali ki barfi kha rahe ho?
02:52Jis par Mirza ne pat se jawab diya,
02:54Achcha bhai, agar barfi Hindu hai to jalebi ka dharma kya hoga?
02:59Shia, Khatri ya Sunni?
03:01Jis par us aadmi ki akal aur zaban jalebi ki tarah ulaj gayi.
03:05Hamara nazariya yeh kehta hai ki jalebi sabki pasandida mitai hone ke saath-saath
03:10mohabbat ka ek symbol bhi hai,
03:11jo hamare traditions aur communities ko ek doosre se jode rakhta hai.
03:15India ke har kone mein jalebi ko khaane ke alag-alag tariqe hain,
03:20chahe wo North ho ya South,
03:21har jagah apne unique pairing ke saath jalebi ko enjoy kiya jaata hai.
03:26Dood aur jalebi,
03:27garam jalebi aur thanda dood,
03:29ya vice versa,
03:30every combination is a happy one.
03:33Rabdi jalebi,
03:34agar aap Lucknow ya Banaras mein hain,
03:37toh Rabdi ke saath jalebi ka combo behad lajawab hai.
03:41Kachori jalebi,
03:42Rajasthan aur MP ki galiyon mein yeh chatori pairing ek lajawab breakfast mana jaata hai.
03:47Thandi jalebi,
03:48agar aapko meri tarah garimiyon mein sardi ka aisaas chahiye,
03:52toh try refrigerated cold crunchy jalebis.
03:55Ice cream jalebi,
03:56kat kat kat,
03:57Viren yaar,
03:58please ek plate jalebi manga do yaar.
04:01Jalebi alag-alag taste, texture aur rang roop mein hamare aaspaas maujood hai.
04:06Paneer jalebi,
04:07hamare North mein toh rivaaz hai,
04:09jo cheez achi lage usme upar se paneer daal do.
04:11But it's yummy.
04:13Jilebi,
04:14apne Tamil Nadu aur Kerala ka unique style aur taste mein isse jilebi kaha jaata hai.
04:18Jilabi,
04:19thoda extra chewy aur sirpi Bengali jilabi,
04:23jo rath yatra mein badi dhoom dhaam se khai jaati hai.
04:26Fafda jalebi,
04:27Gujarat mein jalebi fafde ki dosti badi mashoor hai.
04:30Apne Jethalal Chambaklal gada,
04:32breakfast mein yeh hi toh khaate hai.
04:33Imarti,
04:34sole sister of our jalebi,
04:36Imarti in Andhra Pradesh,
04:37Jahangiri ke naam se jaani jaati hai.
04:39Kehne wale kehte hai ki Mughal Badshah Jahangir ko Imarti behat pasant thi.
04:43Khova jalebi,
04:45dark, rich aur dense Hyderabad ki khova jalebi.
04:48Yaar yeh badi na-insafi hai.
04:50Hum in saari varieties ko saste mein nipta rahe hain yaar.
04:53Agar aap chahate hain ki main jalebi varieties par ek aur special video banao na,
04:57toh chupke se niche comment section mein jalebi 2 type kar kar chhod de.
05:01It will be between us.
05:03Famous places for jalebis across India.
05:06Bhai agar aap khaane ke shaukheen hain aur food travel ka jigra rakhte hain,
05:10toh I am going to suggest some crazy jalebi spots for you.
05:14Gurudas Ram Jalebiwala,
05:15serves the finest Amritsari jalebis.
05:18Indore ke night markets mein milti hai the heavyweight jaleba.
05:22Old famous jalebiwala of Chandni Chowk is arguably the oldest and most popular jalebiwala in Delhi.
05:28They have been in the business since 1884.
05:31Chitle Bandhu, Pune.
05:33Maharashtra ka khaas, Chitle Bandhu ki thin aur crispy jalebis logon ki favourite hain.
05:37Mere pronunciation ke liye maafi.
05:40Loh bhai, sardi ka mausam is just round the corner.
05:43Aapke favourite jalebi corner ne bakayada iski tayyari shuru kar di ho.
05:47Mujhe ye bhi yaqeen hain ki agar aapne ye video yahaan dekh liye hain,
05:51toh aaj kal mein aap jalebi khaane wale hain.
05:54Lekin mere jigar ke tukadon,
05:56BBC ki 2023 ki report padhi hain aapne?
05:59Iske hisaab se takreeban 101 million log yahaan India mein diabetes ka shikaar hain.
06:04Aur hamari 15.3% abadi ko diabetes hone ka risk hain.
06:08Hamara nazariya kehta hai ki aap regularly apna health check-up karate rahein.
06:13Sugar cholesterol levels ko jute ki nok par rakhein.
06:16Aur koi bhi daily exercise routine zarur follow karein.
06:19Iss se aapki jalebi aapki rahegi.
06:21Koi doctor usse aapse juda nahi kar paayega.
06:23Main hu Ashish Yathre.
06:25Agar aapko hamari video pasand aayi hain,
06:27toh please nazariya ko like, share aur subscribe zarur karein.
06:30Hum log Instagram aur Facebook par bhi active hain.
06:33Follow follow karo yaar.
06:34Main milunga aapko apni agli video mein.
06:36Tab tak ke liye zindagi jeene ka jazba barkaraar rakhiye.
06:39Khush rahiye aur kya.
06:40Alvida.