• 4 years ago
mere mukhalif ne chaal chal di hai
aur ab
mere chaal ke intizar men hai
magar main kab se
safed-khanon
siyah-khanon men rakkhe
kaale safed mohron ko dekhta huun
main sochta huun
ye mohre kya hain
agar main samjhun
ke ye jo mohre hain
sirf lakdi ke hain khilaune
to jitna kya hai harna kya
na ye zaruri
na vo aham hai
agar khushi hai na jitne ki
na harne ka hi koi gham hai
to khel kya hai
main sochta huun
jo khelna hai
to apne dil men yaqin kar luun
ye mohre sach-much ke badshah o vazir
sach-much ke hain payade
aur in ke aage hai
dushmanoñ ki vo fauj
rakhti hai jo ki mujh ko tabah karne ke
saare mansube
sab irade
magar aisa jo maan bhi luun
to sochta huun
ye khel kab hai
ye jang hai jis ko jitna hai
ye jang hai jis men sab hai jaaez
koi ye kahta hai jaise mujh se
ye jang bhi hai
ye khel bhi hai
ye jang hai par khiladiyon ki
ye khel hai jang ki tarah ka
main sochta huun
jo khel hai
is meñ is tarah ka usuul kyuun hai
ki koi mohara rahe ki jaae
magar jo hai badshah
us par kabhi koi aanch bhi na aae
vazir hi ko hai bas ijazat
ki jis taraf bhi vo chahe jaae
main sochta huun
jo khel hai
is men is tarah usuul kyuun hai
piyada jo apne ghar se nikle
palaT ke vapas na jaane paae
main sochta huun
agar yahi hai usuul
to phir usuul kya hai
agar yahi hai ye khel
to phir ye khel kya hai
main in savalon se jaane kab se ulajh raha huun
mire mukhalif ne chaal chal di hai
aur ab meri chaal ke intizar men hai
By Javed Akhtar urdu shayari shayry shayri Shayari360

Recommended