• 8 years ago
भारत के सबसे बड़े अनसुलझे रहस्य _ India's greatest unsolved stories in Hindi Episode 1
mysteries of the india

huumara desh kissai kahaniyon ka desh hai ,har kaal or yung ki sekadon poranik kahaniyan apni dadi naani pap mummy or reshte daroon se suni hai.

kuch rehsyamaye kissai or kahaniyan aaj bhi humare zehen mai saalon baad zinda hai,aaiye jante hain desh k sabse bade unsuljai rahsyon se judi vo unsuni kahaniyan jinhe sunk shayad aapko bharosa na ho


naa kaatne vala bichu
utar pradesh ke amroha main tervi sadi ke sufi sant sayeed hussain sharfudin shah nakvi ki mazar mohojud hai mana jata hai ki vo utar bharat ke pehle urdu kavi the.

unki mazar k pass ahi zehrile bichu mohojud rehte hain, lakin unhone aaj tak ane anvaik or bhakt ko nuksan nai phonchaya hai. shradhalu ko ek nischit samaya ke liye un bichuon ko ghar lejane k liye anumati hai lakin tay samay k baad unhe mazar par nahi choda gaya to vo insan par hamla kar dete hain.

Humpe ke sangeet may khambe

humpee main bhagwan vishnu ke avtar bithal ji ka vishal mandir hai, chapan khambo vala ye mandir purtan kaal ki shiv kala ka khubsurat numuna hai hai, iski khubsurti se alag ek jaudvi baat mandir ko behat khas banati hai. aisa kaha jata hai yahan moujud chapan khambon par agar halki se chot ki jai to sangeet ki saant dhwaniyan nikalti hai. isk chalte inhe saregama piller bhi kaha jata hai.

gulami bharat main jab angrejon ko ye baat pata chali to ye rahasya janne ke liye do khambon ko kaat kar dekha gaya lekin ye sirf khokhle dikhai diye, aaj be ye dono khambo ko dekha ja sakta hai.


karishmai patthar
pune me hazrat kamar ali darvesh ki ek charchit darga hai haraaro shardalu sadke ke liye jaate hai esa mana jaata hai vaha ek karishmaai pathar hai jise ek baar me me 11 log use apni ek ungali se utha sakte hai agar 11 se zyada ya kam log esa karne ki koshish karte hai to pathar nahi uthta heraan karne ki baat ye hai 90 kilo ka ye pathar jab 11 log uthane ki koshish karte hai to uske vazan ka ehesaas bilkul nahi hota esa karte hue shradaalu ek suar me hazrat kamar ali ko yaad karte hai rozaana sekdo log esai aazmne aate hai

Category

🗞
News

Recommended