• 9 years ago
Taj tere liye ik mazhar e ulfat hi sahi
tujh ko is wadi e rangeen se aqeedat hi sahi

meri mehboob kahen aor mila kar mujh se
bazm e shahi mein ghareebon ka guzar kya maani
sabt jis rah mein hon sitwat e shahi ke nishan
us pe ulfat bhari ruhon ka safar kya maani

meri mehboob pas e parda tasheer e wafa
tu ne sitwat ke nishanon ko to dekha hota
murda shahon ke maqabar se behlnay wali
apne tareek makanon ko to dekha hota

an ginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai
kon kehta hai k sadiq na thay jazbay un ke
laiken un k liye tasheer ka saman nahin
kiyon ke woh log bhi apni hi tarah muflis thay

yeh amaraat o maqabir yeh faseelein yeh hisaar
mutlaq al hukm shehnshahon ki azmat ke satoon
seena e dehar ke nasoor hein kohna e nasoor
jazb hai in mein tere aor mere ajdaad ka khoon

meri mehboob unhen bhi to mohabbat ho gi
jin ki sanai ne bakhshi hai isay shakal e jameel
in ke piyaron ke maqabir rahay be naam o namood
aaj tak un pe jalai na kisi ne qandeel

yeh chaman zaar yeh jamna ka kinara yeh mehal
yeh munaqish dar o divaar yeh mehraab yeh taaq
ik shehnshah ne doulat ka sahara le kar
hum ghareebon ki mohabbat ka uraya hai mazaq

Poet: Sahir Ludhianvi
Voice: Imran Sherazi

Category

🎵
Music

Recommended