• yesterday
Aafat Episode 01 - [Eng Sub] - Laiba Khan - Ali Abbas - Hibba Aziz - 18th October 2024 - HAR PAL GEO

Category

📺
TV
Transcript
00:30Woh chalegi jo hai marzi meri
00:39Kya irada hai ab mera
00:42Yeh pata bhi chal jaayega
00:45Woh tamasha ban jaayega
00:48Mujhse jo takraayega
00:50Mer fatum
01:20Assalamwalekum dada jaan
01:28Walekumassalam beta, beto kaise ho?
01:32Main bilkul theek
01:33Dada jaan, aaj main aapko zyada sabak sunaunga
01:36Mama ne mujhe bohot achche se aap karaya hai
01:38Haan, shabash shabash
01:41Acha, woh kaha hai apni Vareesha bitiya?
01:46Kya matlab woh aaj bhi nahi uthe?
01:49Nahi dada jaan, main ek chachi so rahi thi
01:52Toh mama ne kaha unhe mat jaga ho
01:54Isliye main akela aagaya
01:56Hmm, theek kaha tumhari mama ne
01:59Dekho na, hum kisi ko zabardasti ibadat nahi kara sunge
02:04Ibadat jo hai na, woh hamari rooh aur hamari khaliq ke darmiyan
02:09Ek aisa rishta hai, jo naseeb wale hui ko milta hai
02:15Chalo shabash, sunao
02:20Jaldi jaldi karo, der ho rahi hai
02:23Abhi bas yeh tayyaar ho gaye, thodi si der lagayegi
02:27Assalamwalekum bhi jaan
02:29Walekumassalam
02:31Aaj phir tum akele lagi wahi?
02:33Mehak kaha hai?
02:35Main tumse kaha bhi tha ki Mehak ko tum khud utha liya karo
02:38Bhi jaan aap jaanti hai na, mujhe kisi se bhi na zabardasti nahi uthe
02:43Aur main akeli thodi hu, yeh hai na Shaila mere saath
02:46Yeh, yeh isko dekho aur itna saara teel daal diya, dekhe na bhi jaan
02:51Bataya isko ki pareez hi khaana kaate hain baba
02:54Shaila, Mehak ko bula kar lao aur kaho ki bhi jaan ne bulaaya hai
02:58Ji bhi jaan
02:59Shaila
03:02Ji bhabhi
03:03Tume ek baat kitni baar samjhani padegi, ki meri chai subah mere kamre mein le aaya karo
03:08La rahi thi bhabhi
03:10Aur tumko yeh baat kap tak samjhani padegi, ki tum nahi naveli dulhan nahi ho
03:14Jo haath pe haath rakhe baithi hui ho
03:16Arre ghar ki zimmidariyon ko kap samjhogi?
03:18Kap tak Mehrunissa uthaegi yeh zimmidariyan?
03:21Wajah iske ki tum Mehrunissa ka haath batao
03:24Phir tum chai maang rahi ho se
03:26Aapka ho gaya?
03:27Ab main bolu?
03:29Wo kya hai bhi jaan, mujhe bhabhi ki tarah achhi bahu ka dikhawa karna nahi aata
03:36Main jo hun, jaisi hun, aapke saamne hun
03:39In ki tarah nahi, muh pe kuchh aur, aur peeth peechhe kuchh aur
03:44Kaun kaisa hai yeh main achhi tarah jaanati
03:47Aur is ghar ke bade hone ke naate, meri zimmidari hai ki jo sahi hai, usko sarahun aur jo ghalat hai usko sudharun
03:57Shehla, meri chai bani ya nahi?
04:01Ban gayi hai bhabhi
04:02Aaj Vareesha Qaida badhne kyu nahi hai?
04:04Na tum khud ibadat karti ho, na Vareesha ko kuch sikha rahi hai
04:08Vahaj bhi toh, umar mein sirf 2-4 saal bada hoga, kya majaal jo ek din kabhi naga kar le?
04:15Uff, wo kaunsi manhoos ghadi thi, jo main is ghar mein aayi
04:21Yaha toh jab dekho, ya toh bhabhi ji ki shaan mein qaseede pade jaa rahe hote hain, ya apne ladle Vahaj ke
04:27Aur yeh jo aap log, bin mauke ki ibadat ka rob jhaate rehte ho na mujhe
04:32Aap log ibadat kijiye, zarur kijiye, please
04:36Jis ghuda ki ibadat karte hain na, uske bandon ki bhi kuch fikar kar lijiye
04:42Sari raat meri Vareesha, bukhaar mein tapti rahi hai
04:46Lekin, kisi ne ek baar bhi nahi poochha, ki Vareesha abhi tak kamre se bahar kyu nahi aayi?
04:54Ya Mehak, tum itni der se kyu uthi ho?
04:57Bas, aap sab logon ki topon ka rukh toh har waqt Mehak ki taraf rehta hai
05:07Bhi jaan, Vareesha ko aur raat se bukhaar hai, humein kaise bata chalega?
05:12Ki usse bukhaar hai, koi bataayega tab na?
05:15Na bataayegi bas, shikaiton ke dher lage rahenge
05:18Chalein, dekh lete hain usko
05:20Main bhi chalte hain
05:25Kahaan jaa rahi ho? Chal, ledh chao yahaan, chup karke ledh chao
05:30Maama, main toh dada ke paath jaa rahi thi
05:32Aaj sunday hai na, wo Vahaj ko leke waqt pe jaate hain
05:36Maine bhi jaana hain unke saath
05:38Chup karke baithi raho, koi nahi tadap raha bahar tumhare baghar
05:41Sab jaa chuke hain, dada jaan Vahaj ko isliye bahar lekar jaate hain, ki wo unka pota hai
05:46Tum poti ho, isliye tumhari koi fikar nahi
05:49Tumne apni ahimiyat khud bana nahi, samjhi?
05:52Please maama
05:54Chup karke leti raho, bukhaar ka bahana karna hai
05:56Main jo bhi gahu na, sirf sar hilati rahi
06:00Bas, chalo
06:02Arey, kya ho gaya meri bachchi ko?
06:05Haan, kaisi tabiat hai?
06:09Mera bachcha, haan?
06:13Garam toh nahi lag rahi hain
06:16Paresha
06:18Par bachcha, kaisi tabiat hai?
06:21Bahar toh bhi nahi lag raha hai mujhe
06:24Arey, kaha hai yeh Raza?
06:28Tum logon ko bachchi ko hospital le jaana chahiye
06:31Doctors ko dikhao ke kya masla hai
06:34Mata nahi kyu isko itna tez bukhaar chadha hai
06:37Lekin abhi bilkul theek lag rahi hai mujhe
06:39Hmm?
06:40Raza ko toh maloom hi nahi hai
06:42Unke sar par toh baba jaan aur bhai jaan ka bhoot sawaar rahta hai
06:46Sari raat isse godh mein lekar tehalti rahi hai
06:49Lekin unki need kharaab nahi hone di
06:51Lekin unhe dekho, soba track suit chadhaya aur nikal liye
06:56Itna ghair zimmedaar kaise hu sakta hai, Raza?
06:59Chalo ab toh sab aate honge na
07:01Vareesha ko tayyaar kar do
07:03Aur leke jao doctor ke paas
07:05Main unhe sa
07:06Bita kitchen tum dekh lena
07:09Tumhari abba bhi aate hi honge
07:11Ji, main tum logon ka naashta yahi bejti hun, theek hai?
07:16Meri beti kya khayegi?
07:18Mujhe patta hai, boy lag
07:20Kya? Meri beti ko boy lag pasand hai na?
07:23Main ab bhi leke raht hoon, fatta fatta
07:28Ach
07:33Aap, aap log sab yahaan?
07:36Yeh Vareesha ko kya hua hai?
07:38Is tar kyun leti bhi hai?
07:40Itni bekhabri ki neen tum kab se sohne lag hai
07:42Bachchi raat bhar bukhaar mein tapti rahi
07:44Aur Mehak bichari leke usko parishaan rahi
07:47Aur tum soba uth hai aur chale gaye
07:49Toh kalat baate tumhe isaas hi nahi
07:51Na bachchi ki takleef ka, na beevi ki parishaani ka
07:54Bhi jaan, main jab utha hun
07:56Toh Mehak soh rahi thi
07:58Aur main isko jagane ki koshish mein ki
08:00Bakar, beta Vareesha
08:02Aap toh yahaan apni gudiya ke saath
08:03Bilkul theek thaak khel rahe the
08:05Toh phir yeh bukhaar kaise?
08:08Toh aap kya samjh rahe hain
08:09Ke main jhoot bol rahi hun?
08:11Hare yeh toh bachchi hai
08:13Isko kya maloom ke bukhaar mein aaraam karna hai?
08:15Wo toh maine daant kar isse litaya
08:17Saari raat jaagti rahi hun
08:19Isliye aapki awaas par meri aankh nahi khuli
08:21Accha bas, ab bais nahi
08:23Naashtha karo aur usko doctor ke paas leke jaao
08:28Ghar zimmedaari ki bhi hadh hoti hai
08:37Dekh lein ab
08:38Dekh lein ab
08:47Chalo ji, jaan chhuti
08:49Ab hum dono maa beti na
08:51Koi achi si movie dekhte hain
08:53Chalo, sab kuch yahaan bistar pe hi aayega
08:56Five star hotel ki tarah
09:02Vahaj, nahi nahi, zor nahi laga
09:04Yaar, main haar jaunga Vahaj
09:07Arey yaar
09:09Kha chancho, aaj phir main aap se jeet diya
09:11Chado
09:12Vahaj
09:14Bete pehle naashtha karo, uske baad wrestling hoti rahi
09:18In bachon ki wajah se hi toh ghar mein rauna kahe
09:21Ab dekho na Vareesh-e-Ismat nahi hai
09:23Toh table kitne sunsaan sunsaan si lag rahi hai
09:26Warna, wo yaha hoti, toh shor macha rahi hoti
09:29Ke dada, aap Vahaj se zyada pyaar karte, mus se nahi karte
09:34Aur agar koi mus se pooche na, toh main yehi hunga
09:36Ke baba, Vareesha se zyada pyaar karte hai
09:42Raza, beta jaldi se naashtha karo, Vareesha ko leke jao doctor ke paas
09:46Haan beta, dhyaan rakha karo
09:49Bachon ke maamli mein ko toh aaj bilkul nahi
09:51Ji baba, main bas jaag hoon
09:53Jaag
10:02Chai na
10:13Tumhara naashtha ho gaya ho, toh
10:15Sobha-sobha tumhne jo drama shurukh kiya hai, usse baahar jaake khatam bhi karo
10:19Ab utho aur Vareesha ko doctor ke paas leke chalo
10:24Kaunsa drama?
10:26Kya kehna kya chah rahe hain aap?
10:28Usse tumhne kehne ke kaabili kahaan chhoda hai Mehak
10:31Mujhe samajh mein nahi aata ke aakhir tumhe yaha is ghar mein takleef kya hai
10:35Sab log tum se itni mohabbat karte hain, Vareesha ka itna khayal lakte hain
10:39Phir har roz tum ek naya chhut kadh kar, ghar ki zimmedaariyon se bhaagti kyun ho
10:44Aur upar se tumhne bachchi ko, chhut bolna bhi sikha diya hai
10:48Kuch toh meri izzat rakho yaar
10:49Achha, main chhut bolte hu, toh baahar jaakar sabko sach sach bata de, kyu mere chhut par parda daalte hain?
10:57Aur agar Vareesha bimaar nahi hai, toh yeh doctor ke paas jaane ka drama mat kiji
11:02Kyunke mere paas iske sewa aur koi raasta hai hi nahi Mehak
11:06Abhi jaan aur baba jaan se lad kar, unke faisale ke kharaaf jaakar, main tumse shadi ki thi
11:11Phir bhi unne se bulaakar tumhe izzat di, ghar ki bahu ka mukaam diya
11:16Aur tumhne mera zara man nahi rakha
11:19Mujhe afsoos hai ke bhi jaan ne tumhare baare mein jo kaha tha, tumhne usse sahi saabit kar diya
11:25Ek maamooli secretary, humare ghar ke humare khaandaan ke taur tariqe nahi samajh payi
11:32Iska matlab hai, main theek hi kehti
11:35Ke aapke ghar wale mujhe maamooli samajhte hain
11:37Lekin aap meri baat ka yaqeen hi nahi kar rahe the
11:40Uchte bethe aapki beevi aur beti ko yeh saaj dilaya jaata hai
11:43Ke hum bhabhi aur Vahaj se kam tar hai
11:46Itni si bachi ko Vahaj ki misaale di jaati hai
11:49Vahaj ki padhaai dekho, Vahaj ke number dekho, Vahaj ye, Vahaj wo
11:54Baad baad par isko zalil kiya jaata hai
11:56Isse zalil karna nahi, samjhana kehte hai
12:00Vareesha ko Vahaj ki misaale isliye di jaati hai
12:04Taake Vareesha Vahaj se kuch seekh sake
12:07Bhabhi ghar ki saari zimmedaariye poori karne ke saaj saaj Vahaj ki tarbiyat kar rahi hai
12:13Mukhtar bhai ko kisi maamle me bhi bhabhi ko unhli pakad kar chalana nahi parta mehek
12:18Aur nahi bee jaan ko ne koi kaam kehna parta hai
12:21Wo khud aage badh kar saara kaam karti hain
12:24Achha, bas bohot ho gaya bhabhi naama
12:27Main pehle bhi yeh baat keh rahi thi, main ab bhi yeh baat kahungi
12:30Mujhe aur Vareesha ko is ghar mein nahi rehna
12:33Apni jaydaad mein se hisa leyin aur hume alag ghar le kar deyin
12:38Yeh roz roz ke tamashein mujhe bardaash nahi hote
12:42Azaab ban gayi yeh zindagi meri
12:44Music
13:00Agar main ya mehru nisa tumhe phone na kare na
13:03Toh tum se toh baat hi nahi ho sakti
13:05Bita kabhi khud bhi toh call kar liya karo
13:08I am so sorry bee jaan
13:09Wo masroofiyat hi kuch aisi thi ke mujhe time hi nahi mila ki kisi se baat ho bati
13:14Kya baat hai bita, kuch pareshaan, bujji bujji se lag rahi ho
13:19Haan, jee, sab theek hai na
13:22Haan, sab theek hai, bas wo yaha pe sobha hai na
13:27Toh shayad aapko isliye lag raha ho ga, warna toh Allah ka shukar yeh sab theek hai
13:32Aja chalo, tum yeh badao ki itne din ho gaye tum logon ko Pakistan aaye weh
13:37Kab aa rahe ho tum log, yeh lo
13:39Mehru Nisa ne toh mere moon ki baat cheen li
13:41Shifa ko dekhne ke liye toh aankhen taras rahi hai
13:44Hain, kahaan wo
13:46Shifa, chaldi aao, nanu
13:49Hello nanu, hello maami
13:51Haan, hailo kya hota hai
13:53Salaam karte hai na, hello
13:55Kaisi hai nanu ki jaan
13:57Main bilkul theek ho nanu
13:59Maami, waha jo aur Vareesha kaha hai, mujhe unse baat karni hai
14:04Dado, kya aap log Shifa se baat kar rahe hain
14:06Dado, kya aap log Shifa se baat kar rahe hain
14:08Yeh dekho, tumne abhi naam liya na, aur yeh foran daudhe chale aaye
14:12Vareesha kaha hai, nazar nahi aa rahi
14:14Vareesha ke tabhe theek nahi tha, usse bukhaar ho raha tha
14:17Toh Raza aur Mehak na usse hospital lekar gaye
14:20Mama, mujhe Shifa se bahut zaruri baat karni hai
14:23Kar lo bhi baat din se bapi
14:25Kaisi tabhe tha uski
14:29Karo ab tum baat
14:31Shifa, tumhe pata hai, maine 3000 points collect kar liye hain
14:34Agar tumhe chahiye huye, toh bataana
14:36Main tumhaya saath share kar luga
14:38Yes, yes, please share
14:40Yeh lo, amaari baatein toh adoor hi rahi gayi
14:43Aap do ghante se pehle aapko nahi mil le love one
14:48Pata nahi Mehrunissa
14:50Sheeni se baat karke tabhiyat kuch bechaayn si ho gayi hai
14:54Parishan lag rahi thi mujhe
14:57Nahi bhi jaan
14:59Mujhe toh theek lag rahi thi
15:00Kaha na usne ki abhi sohkar uthi hai
15:03Aap bas aisi parishan ho jaan
15:05Chahe pilaun aapko achi si
15:07Shehnaz ke do, wo mana dekhi
15:10Main apne haathon se mulaan kar laat se
15:23Arre Mehak, Vareesha ki tabheet kaise hai?
15:26Behtar hai
15:28Mausmi bukhaar tha, utar gaya
15:30Mainne uske liye soup banaya hai, main abhi nikal ke rehti ho
15:33Rehne dijiye
15:35Meri bachi se mohabbat ka jhoota dikhawa mat kijiye
15:38Ek taraf aap bhi jaan aur Raza ko mere khilaf bhadkati hai
15:42Aur doosri taraf, meri bachi se jhooti mohabbat ka dhong karti hai
15:46Kis andaas pe tum usse baat kar rahi ho?
15:49Main kyu bhadkaunge bhi jaan ya Raza ko tumhare khilaf?
15:52Yeh hi toh main keh rahi ho
15:54Aapko mujhse kya problem hai?
15:56Kyu karti hai mere saath aise?
15:57Mainne aisa kabhi kuch nahi kiya
16:00Mainne kabhi bhi Raza se tumhare khilaf kuch bhi nahi kaha
16:04Acha? Mere khilaf kabhi kuch nahi kaha?
16:07Toh wo aise hi aapki shaan mein qaseede parte rehte hai
16:11Wo toh saara din office hote hai, unko kisne bataya?
16:15Ke saare ghar ka kaam aap khud karti hai, aur main kuch nahi karti
16:18Aap bhi ne bataya hoga na
16:20Mujhe kisi ko kuch batani ki zaroorat nahi hai
16:22Kyunki main khud ko is ghar ka fard, aur is ghar mein rehne walon ko apna samashti ho
16:28Is liye mujhe koi kaam bhi boch nahi lagta
16:33Aur haan, mujhe kisi ko bhi dikhane ki, ya jatlane ki koi zaroorat nahi hai
16:40Baaki jo tumhe samajhna hai, samajh di rohke
16:52Samjhungi, jo mere til mein aayega, wohi samjhungi
17:03Sheeni, tumhe parashaan hone ki zaroorat nahi hai
17:07Main saare maamlaat sambhal lunga
17:09Shikwa is baat ka hai, tumhne ye baat mujhe pehle kyun nahi batayi beta
17:13Main kya karti hai bhai jaan
17:16Main toh bahot koshish ki, ke main aap se baat karun, lekin har dafa Zafar mujhe rohk de dete
17:23Zafar Pakistan aane ke haq mein nahi hai bilkul bhi
17:27Aur mujhe nahi lagta ke, yahaan pe ab kuch hon sakega
17:32Tumhe parashaan hone ki zaroorat nahi hai, main Zafar se khud baat kar lunga
17:35Wahi is khaandaan ka iklauta damaad hai bo
17:38Aur phir jitna haq baba jaan ki jaadat par hum dono bhaiyon ka hai, utna tumhara bhi toh hai
17:42Utna tumhara bhi toh hai
17:52Thank you bhai jaan
17:55Aap se baat karke na, todha se zakoon mila hai
17:59Warna, Zafar ko jis tarah se business mein nuksaan hua hai, wo parashaan hote toh main fikar mat ho jaati ho
18:07Tum saari fikrein chhod do aur Pakistan aane ki tayari karo, samaan baandu apna
18:10Hum dono bhai itne kamzaaf nahi hai, kis mushkil waqt mein apni mehn ka saath na de ho
18:15Thank you bhai
18:17Bas apna Zafar ko khiya lagna, theek hai, parashaan nahi hone
18:22Allah Hafiz
18:24Allah Hafiz
18:26Allah Hafiz
18:28Kya baat hai, sab khairiyat toh hai na, aaj hi toh baat hui thi, Sheeni se dekhe kuch usne bataya nahi
18:34Kya hua Zafar ke business ko, sab theek hai na
18:36Arey bhai, saans toh le lo, ikki saans mein itne saare sawalat
18:40Teh rasal, Zafar ko business mein loss hu gaya, Sheeni isi wajah se kaafi parashaan thi
18:48Falk usko daant raha tha, ki ye baat unhe mujhe itne der se kyun batayi
18:52Biste hi nahi is ladki ko, takreeban meri ardhu se deesr din baat hoti, usse jab poochon yehi bolti hai ki
19:01Haan, bilkul khairiyat hai, sab acha hai, mazae mein hai
19:03Bata hai, lekin aaj jab usse baat ho rahi thi, toh uska chehira bahot udaas tha
19:08Bee jaan ko bhi isse dekhe bahot parashaani ho rahi thi
19:11Bahot sabar wali hai meri baihn, do bhaiyon ki iklauti baihn hone ke baawajood, zara sa bhi nakhraani hai
19:18Theek keh rahe hain hum, phir, kya socha aapne?
19:23Soch raha hu, ke Raza aur Baba jaan se baat karun, aur Zafar ko yehi Pakistan bulwa kar, koi business waqara settle karwa tu
19:30Sheeni se toh maine bol diya, ke apna samaan baatin
19:31Bahot acha kiya aapne, dekhi na yaha hum sab hai uske saath, ache bure waqt mein, ek doosr ke saath khare ho jaate hain
19:39Haan toh pardes mein, saare pardes hi hain na
19:42Abhi tum Bee jaan se koi baat nahi karna, warna wo parashaan ho jayenge
19:46Main yeh saare maamlaat dekh loon, phir main khud Bee jaan ko bataunga, theek?
19:50Theek hai, accha main isliye aayi thi, ki aapne soba se kuch nahi khaaya, khaana laga doon aapke liye
19:56Khaana nahi, koffee pila doon
19:58Accha dekhi uske baad khaana bhi khaal liye chega, la rahi hoon
20:19Wah haaj tumhe toh bahot saara homework mila hai, aur vocabulary ka test bhi hai kal
20:25Maths ka bhi bahot kaam mila hai, chalo pehle maths nikaalte hain theek hai
20:28Ek minute mama, main pehle dado ko apni aaj ke drawing dikhaunga
20:35Yeh dekhen dado, meri teacher ne kaha, apne favourite family member ke drawing draw karo, toh maine aapke bana di
20:42Are waah, yeh toh meri zindagi ki sabse byaari tasveer hai
20:47Baba a jaayen toh isko frame karwa ke, apne kamra mein lagayenge
20:51Aur Varsha, aapne kya kiya aaj school mein?
20:54Kuch nahi dado, mujhe school pasan nahi
20:58Tumh beta, kisi ne kuch kaha hai kya?
21:01Are haan dado, Varsha ka aaj bhi punishment mileti
21:05Chuh Varsha, punishment toh nahi milni chahiye thi, hmm?
21:11Sharam aani chahiye tumhe Wah haaj
21:15Apni taraf se jhooti kahaniya suna rahe ho
21:18Chachi, main jhoot nahi keh raha, Varsha batao na
21:22Bas bas bahot ho gaya, bade toh bade, ab yeh bacche bhi meri beti par ungli uthaenge
21:28Mehak, tum baat ko badha rahi ho, Wah haaj ko bataane toh doh ke baat kya hai
21:33Varsha se toh poocha ke hua kya hai
21:36Aur agar waqeh aisa kuch hua hai, toh tum kal school jaa ke malum kar
21:40Wah haaj bhi kyun cheekh rahi ho
21:42Main chilla nahi rahi ho, bata rahi ho, ke aisa school mein kuch nahi hua
21:47Yaha toh sabko aadat hai, ke ek dusre par keechad uchha le
21:51Aur Varsha, tumhe kitni baar kaha hai, ke bila wajah kamre se bahar na nikla karo
21:56Kamre mein raha karo, chalo
22:10Haan Mukhtar, itni urgent meeting bulane ka agenda kya hai
22:15Babajan maamla hi aisa, Shireen ki call aayi thi, Zafar ko kaarobar mein kaafi nukhsaan hai
22:26Waqehi?
22:28Lekin usne toh kabhi humein yeh nahi bataya, na uski baaton se yeh andaaza ho raha tha ke hua parheshaan hai
22:34Actually, uski company ke order mein bahot bada nukhsaan hua hai, jiske wajah se saara kaarobar dhap ho gaya hai
22:41Zafar ne usse bachane ki bahot koshish ki, lekin aapko toh bata international market aaj kal bahot down hai
22:47Ji ji, is kitne mein jitne bhi kaarobar hai, sab dhap padhe hai sir
22:53Aisa hi hai
22:54Phirab, is tarah toh Zafar bhai ko akela nahi chhoda jaa sakta hai
23:00Haan, binkul, mera khayal hai ke Zafar ko wapas Pakistan aajana chahiye
23:07Babajan, mera bhi yeh khayal hai, ke hum logon ko usse support karna chahiye
23:12Tajurba toh hai uske paas, agar hum usko support kare, toh wo duwara se apne paon par khada ho sakta hai
23:18Aur iss satsila mein sabse achi strategy kya ho sakti hai, yeh socha tumne?
23:23Ji babajan, mere paas idea toh hai, lekin actually hum apni jo nahi product launch karne jaa rahe hain, wo apne Raza ko swopi hai
23:35Agar hum wo Zafar ko de den, toh mujhe pura yaqeen hai, ke wo dil laga kar kaam karega, aur duwara se apne paon chama lega
23:43Lekin iss sab ke liye, Raza ka Raza man hona bahut zaruri hai
23:49Kyu Raza, humara kya khayal hai? Dekho, tum mere saath hi kaam kar rahe ho, aur karte rahoge Inshallah
23:59Tume aage bhi mawaqe mil jayenge, lekin Zafar iss waqt bahut parishani mein hai
24:05Babajan, iss se betar aur koi tariqah ho bhi nahi sakta, aur koi bhi bhai apni behan ko mushkil mein nahi dekh sakta
24:16Mukhtar bhai ne jo bhi faisla kiya hai, mujhe mansoor hai
24:20Shabash, humein tum se yehi ummeet thi, jeete raho, tumhari tarbiyat mein humein faqr hai beta
24:28Aur Mukhtar beta, tum Zafar se baat karo, usse razi karo, iss kaam mein der nahi honi chalo
24:35Aur Mehmood sahab, aap nahi product ke hawale se saare maamlaat finalize karahein, aaj hi waqeel sahab ko gulayen, unke saath milkar Zafar ke silsile ke jo kaafzaat hai na, wo ready karahein
24:51Jai sahab, aap kahein
24:53Tum aur Raza milke, aaj hi koi achha sa, munasib sa kar dekh lo, taake Shiri aur Zafar ko wahan settle kiya ja sakhe
25:00Theek hai baba jai, theek hai baba
25:04Achha, woh
25:14Iss waqt mein, ghar se wahar nahi nikal sakti Mehmood, so so sawal karenge yeh log, kya jawab doongi main
25:20Oh ho, tumhe meri baat samajh mein kyu nahi aati, karte hu main kuch
26:21Kaho, aisi kya baat batani thi jiske liye milna zaruri tha, phone par nahi ho sakti thi
26:29Itna ghusah kyun kar rahi ho, aap aayi gayi ho toh do ghar hi baith jao mere paas bhi
26:40Ghusah na karun toh kya karun, main ishtara roz roz tum se nahi mil sakti, peri shaadi ko itne saal ho gayi hai, meri ek bachi hai
26:49Is ghaate ke saude ko tum shaadi kehti ho, jis daulat ke liye tumne mujhe chhod kar Raza Ahmed se shaadi ki, itne arse mein tumhare aat mein ek dhela bhi nahi aaya
27:01Har baat ka ek waqt hota hai, dekhna Raza ek din meri har baat maan jayenge, wo mujhe ghar khareed kar bhi denge alag aur mere naam bhi karenge
27:11Naik sahiba, filhaal toh ghar aur kaarobar kisi aur ke naam ho raha hai
27:18Kya matlaq, main samjhi nahi
27:22Yehi bataane ke liye toh tumhi yaha bulaya hai, ab purani muhabbat ka kuch toh bharam rakhna padega
27:28Itni ghuma phira ke baatein kyu kar rahe ho, saaf saaf batao kise ghar mil raha hai, kise business mil raha hai, Mukhtar bhai aur bhabhi ko na
27:37Shiri aur Zafar bhai
27:45Kya, Zafar bhai toh bahar settle hai aur Shiri bhi
27:56Wo log bahar settle the, achha kaarobar tha, kaarobar mein nupsaan ho gaye
28:02Ab Ishaar sahib unhe Pakistan mein settle kar rahe hain aur Mukhtar ne bata hai kya kiye
28:08Kya?
28:10Ishaar ke zariye ek bahot bada project Zafar ko de diya hai, wo project jisko launching phase tak ponchaane mein Raza Ahmed ne bahot mehlat ki
28:20Lekin Mukhtar mein badi hoshiyaari aur chalaki se wo project Zafar ki jholi mein daal diya hai
28:28Aur Raza ne kuch nahi kaha, ek toh Raza bhi na, pehle toh Wahaj ki misaale di jaati thi, ab wo 1.5ft ki Shifa a jaayegi, uske kaseede pade jaayenge
28:42Dekho Mehak, ab tumhe bahot samajhdari se kaam dena, jaisa ho ho raha hai, jo kuch ho raha hai, isse tum rohk toh nahi sakta
28:54Lekin waqt guzarne do, sab kuch tumhare fayde mein jaaye, agar jaisa jaisa mein kahun, tum aisa karoge, hmm
29:07Wo kaise?
29:24Mehak!
29:29Mehak!
29:32Assalam o alaikum
29:33Wa alaikum salam bhabhi
29:34Kya hua tum Mehak ko kya huaze de rahe ho? Usne toh tumhaye saath aana tha na wapas
29:39Mere saath aana tha?
29:42Main samjha nahi bhabhi, kahaan se aana tha? Kahaan hai wo?
29:46Wahegi, kahaan se aana tha? Kahaan hai wo?
29:50Woh Mehke gayi hui hai na, mujhe toh keh kar gayi thi, tum se baat ho gayi hai, office se nikalte hui, tum usse lete hui aoge
29:59Nahi, Mehak ne toh aisa humse kuch nahi bataya, na pucha hai
30:06Vareesha kahe hai?
30:08Vareesha wahaaj ke saath kheli thi na, toh phir Mehak akeli hi chali gayi
30:12Mujhe hairat hai, usne tumhe bataya kyu nahi?
30:15Allah khair karein, tum phone karo sab khairiyat toh hai na, bahot jaldi mein gayi hai
30:22Ji
30:23Ji
30:44Allah khair karein, tum Ishrat aunty ko call karo, ho sakta hai phone bandh ho gaya ho
30:54Hello
30:56Assalamwalekum aunty, kaise tabiat hai aapki, sab khairiyat toh hai na?
31:03Walekumassalam, haan haan beta, sab khairiyat hai, tum sunao tumhe kaise humari yaad aagayi
31:10Aur yeh Mehak aur Vareesha kaisi hai?
31:14Un dono ko kisi din humari taraf lekar aao, humkara aapko bhi aapko bhaat hai
31:19Wahi un dono ko kisi din humari taraf lekar aao, unko toh dekhe bhi aankhe taraz gayi meri
31:28Ji aunty, main zaroor aaunga, apna khayaal rakhi hai, baad mein baat hoti hai aap se
31:34Theek hai beta, khuda hafiz
31:38Kya wah Raza, sab khairiyat hai na?
31:42Ji bhabhi, sab theek hai, wah narasal aunty ki tabiat kharab ho gayi thi, toh unhone Mehak ko bulwa liya tha
31:50Palishani mein Mehak mujhe call karna bool gayi hogi, toh
31:55Woh nikal chuki hai wahan se, mera khayal hain aati hi hogi
32:00Chalo, tum change kar lo, main chai bana pila
32:03Chalo
32:11Chalo
32:27Arey aap aaj itni jaldi aage?
32:33Haan, jaldi aage hai
32:36Acha kiya na, jaldi aage hai, warna
32:40Warna mujhe kaise maroon hota ke, tumhare Mehak ke mein emergency ho gayi thi
32:47Bhabhi hai bataya abhi mujhe
32:50Haan, woh, ammi ka na blood pressure bohot high ho gaya tha, toh main foron unke ghar bhaagi
32:59Acha kiya hai, kaisi tabiat hai unki?
33:04Haan, betar hai
33:09Maine socha tha ke, main bhi unke paas rukh jaati
33:13Lekin woh, main Vareesha ko lekar nahi gayi thi na, toh isliye
33:19Mehke hi gayi thi na tum, Vareesha ko bhi saath le jaati
33:23Woh jaldi mein nikli thi na, ek toh aapko meri kisi baat par yakheen hi nahi aata
33:28Tumhari tayari dekh ke toh kahin se nahi lag raha ke, tum jaldi mein nikli ho
33:37Tum is had tha gir sakti ho, ke apne gharwalon se aur apne shoor se, jhoot bol kar bahar jaya karogi
33:44Sach, sach batao, kahaan gayi thi tum?
33:48Choh ek jhoot ko chhupane ke liye, kai jhoot kar rahi ho tum?
33:52Main aapko bol rahi hoon na, main ammi ki taraf hi gayi thi
33:55Aapko toh meri saari baatein jhoot lagti hai
33:57Kyuki abhi tumhari ammi se meri baat hui hai
34:00Aur unke mutaabik toh, unki aakhen taras gayi hai tumhe dekhne ke liye
34:05Sach, sach batao, kahaan gayi thi tum?
34:08Main jahaan marzi jau, aap kaun hote hain mujh se poochne wale?
34:11Yeh shaadi maine aapki maa-baap ki ghulami karne ke liye nahi ki thi
34:15Mera jho ji chahega, main wahi karungi
34:17Aap kaun hote hain mujhe rukhne wale?
34:19Is tarah aap mujh par pehre nahi bitha sakte
34:23Baat kaang khol kar sun lo, Mehak
34:26Agar tumhne is ghar ki, is khaandaan ki issat ki saath khelne ki koshish ki
34:33Usse bura koi nahi hoga
34:45Agar Raza ko mere aur Mehmood ke talukaat ke baare pe bata chal gaya
34:50Toh mere itne saanon ki mehnat barbaat ho jayegi
34:53Barbaat ho jayegi
35:05Kisi ne theek hi kaha hai
35:07Ke mukhlis hamsafar ka saath, mushkil se mushkil raaste mein bhi kabhi thakni nahi dhita
35:13Aur ek behis, khudpasand, mafaatparast hamsafar ka saath
35:18Jeete jee aapki zindagi ko jahannum bana dhita hai
35:23Mehak, tum se shadi mere liye meri zindagi ki sabse badi khalati hai
35:43Kya baat hai Raza
35:48Sab kheriya toh hai na
35:50Mehmood, kyu iss tarah kehli itni raat ko khade hai hu
35:55Jee bhabhi, main bhirkut theek hu
35:58Bas wo andar kuch ghutan mehsoos kar raha tha, toh isli mein yaha bahar aa gaye
36:07Ye ghutan bila wajah toh nahi hai na, hai na?
36:11Raza ka chaho toh tum usse share kar sakte ho
36:14Aur, waise bhi tumhe bata hai na, ki share karne se badi si badi parishani choti ho jaaga
36:24Arre bhabhi, koi badi parishani hogi toh choti hogi na
36:28I'm all good
36:33Accha, toh bhir batao, kya baat hai
36:37Arre bhabhi, aisi koi baat nahi hai, koi baat nahi hai
36:42Pakka?
36:44Pakka
36:48Apne shohar ko toh apni muthhi mein kar rakha hai
36:51Mere shohar ko bhi kaabu karna chahati
36:54Toh bhi chalo, main saad andar chalo, kyu kehle hain
36:59Aajao
37:01Arre Mehak, tum?
37:03Ye aadi raat ko devar aur bhabhi mein, kya sargoshiya chal rahi hai?
37:08Arre, kaisi baatein kar rahi ho tum?
37:12Main aur Raza bhala kya sargoshiya karenge?
37:16Ye toh aap batayengi na?
37:18Aisi kaunsi baat karni thi devar aur bhabhi ko?
37:21Jo sab ke sohne ka intazaar kiya gaya
37:24Aur phir haath par haath rakh kar, muskaraya bhi jaa raha hai
37:28Hosh mein toh ho tum, kis khasim ki baatein kar rahi ho?
37:32Mujhe antaaza nahi tha, ke tumhari soch itni ghatiya ho sakti
37:35Raza mere chote bhaiyon jaisa hai
37:38Isko akele yahan khada dekha toh poochne aa gaye
37:41Raza ka haal poochne ke liye uski bhiwi maujood hai
37:45Aap apne shohar ki fikar keejiye, bhi jaan aur baba ko toh apne kabu mein rakha hua hai
37:50Kam se kam Raza ko toh chhod de
37:52Ye tum kis andaas mein baat kar rahi ho Mehak bhabhi se?
37:54Oho, bura laga aapko?
37:57Bhai maanna padega, aapka jaadu toh sar chad kar bol raha hai
38:02Mujhe bhi sikha dengi, ki aap sab ko kaise kabu mein karti hai?
38:07La koshish ki tumhare aibon par parda dalne ki Mehak
38:11Akar tum mujhe iskhar mein zaleel karwa kar hi choduki
38:15Ye hi toh masla hai aapka, ke aap hamesha apni bhiwi ka saath dene ki bajaye, doosron ka saath dete hai
38:22Aur aapke bhai aur bhabhi, isi baat ka najais faida uthate hai
38:26Aaj project liya hai, kal ek ek kar kar aap se sab kuch cheen lenge
38:29Phir reh jaana khaali haath
38:31Khabardaar Mehak, jo tumne bhai bhabhi ke khilaf ek lafz bhi kaha toh
38:36Usse kisi ne kuch nahi cheena
38:38Aur ye sab tumhe kisne bataya hai, ye office mein taye hone wale maamla tum tak kaise pohnche?
38:46Mujhe bhala koi kyu batayega? Mujhse toh sari baatein chhupai jaati hai
38:50Wo toh maine Mukhtar bhai aur baba ko baatein karte hui sun diya
38:54Mehak, abhi aur isi waqt apne kamre mein jao
38:56Aur rahi baat is project ki, toh tumhara is se koi lehna dena nahi hai
39:00Tumhe is ghar mein na pehle kisi cheez ki kami hui hai, na aage hogi
39:04Aisa aapka khyaal hai, aap apni aankhon par se na ye bhai aur bhabhi ke pyaar ki patti uthare
39:10Phir aapko pata chalega, ki main aur Vareesha, yahan kya kya bardaash kar rahe hai
39:15Mehak, maine kaha na apne kamre mein jao
39:17Ja rahi hu, mujhe bhi koi shauk nahi hai inse baatein karne ka
39:20Aur haan, maine aapse pehle bhi kaha tha, ki mujhe akele rehna hai, alag ghar mein, mujhe apna ghar chahiye, samjhe

Recommended