Who brought HIV to Nishtar Hospital in Multan?
Category
🗞
NewsTranscript
00:00Khabar Multan se jahan Nishtar Hospital mein 25 mareezo mein HIV virus muntakili ka maamla hai.
00:05Vice-Chancellor, Nishtar Hospital Medical University samein 6 doctoron ke khilaf tehqiqaat ki manzoori dedi gayi hai.
00:12Bureau Chief Multan Yasir Shaikh humare saath hai, unh se mazhi tafseel jaan lete hain.
00:16Ji Yasir, bataiye.
00:19Dialysis ward hai, wahan 25 mareezo mein HIV virus muntakil hone ki ek khabar saamne aayi thi jiski baqaida,
00:32jiski upar Government of Punjab ne ek inquiry high level, high power inquiry commission tashqeel diya.
00:38Aur usmein yeh baat saabit hui ki 25 mareezo mein HIV virus muntakil hua.
00:44Toh yeh silsa chalta raha ki aaj hai Government of Punjab ne baqaida taur par in tamaam jo zimmedaraan hai jismein
00:51Vice-Chancellor, Nishtar Medical University, Dr. Prof. Mehnaz Khakwani aur Head of Nephrology, Dr. Ghulam Abbas,
00:57MS Nishtar Hospital, Dr. Kazim aur deegar takreeban saath doctors aur paramedical staff ke khilaf baqaida
01:04PEDA Act ki karwaai ke liye hikama jari kar diye gaye hain aur inko baqaida notices jari kiye gaye hain.
01:0914 din ka inko time diya gaya hai, Dr. Ahmed Javed Qazi saab jo ke inquiry commission ko head kar rahe hain,
01:16PEDA Act ki karwaai ko head kar rahe hain, unke taraf se 14 din ka notice diya gaya hai
01:19ki yeh jo ismein guilty karar paaye hain PEDA Act ke taat, jin ke wo notices sir ke gaye hain
01:25ki wo 14 din ke andar-andar apne maamlaat ke upar inquiry committee ko apna mohkif biyaan karein
01:31aur agar ismein fail hue toh yeh tarfa karwaai ki jayegi.
01:34Jab ki haqomat-e-Punjab ne time frame diya hai PEDA Act ki karwaai ki mukamal report submit karane ke liye
01:39wo 60 roz ka time diya gaya hain, 60 roz ke andar-andar in tamam min jumla
01:44Vice-Chancellor samit tamam doctors aur unke mustaqbil ka faisla kia jayega.
01:48Is waqt inmein se beshtar jo naam aaye hain unko apne hudon se hata diya gaya hain, muhtal kar diya gaya hain.
01:54Lekin surat-e-haal jo dialysis ward ki hain abhi bhi isi tariqah se maujood hain.
01:58Accha, accha ismein zahir hai jab aap yeh keh rahein hain ki yeh log apne hudon se hata diya gaya hain
02:03aur us ward ki condition abhi, waise hospital ke maumla chala kaun raha hai?
02:09Dekhiye, wo toh ek parallel body yeh tasheel de diya gaya hain,
02:12ek Vice-Chancellor hain unka faisla aaj hua hain,
02:15jab ki jo Medical MS jo hain superintendent unko pehle se muhtal kiya gaya tha,
02:19unke against additional charges de diya gaya hain,
02:21ward ke andar jo deekar governing staff hai wo laga diya gaya hain.
02:25In zimmedaaraan ke khilaf ke jo barahe raas 25 afraad ke andar
02:29AIDS ke marz ko pohunchane mein mulawis karar paaye hain,
02:32in ke khilaf karwaai baqaida aaj initiate kar di gayi hain
02:36aur 60 din ke andar andar inon faisla karna hai,
02:3814 din ka jaise main bata chuka, time frame diya gaya hain,
02:41ki 14 din mein yeh bataayenge.
02:43Lekin, doosri jaanib jo mutasara mareez hain,
02:45AIDS ke unko government of Punjab ki taanon se baqaida tohr par look after karne ka
02:51koi aisa aaj sach koi khaas intazaam nahi kiya gaya,
02:53un lawaikeen aur mutasara jo mareez hain,
02:56unki taraf se abhi tak bhi government of Punjab se baqaida kisi sata pe raapta nahi hua
03:00ke unki further treatment kaise ki jayegi,
03:03unki zindagi ko jo darpesh laag khatraat hain,
03:05unse kaise nahi ki jayegi.
03:06Toh raapte ke intazaar mein hain, apne gharon mein hain,
03:08kya unki surat-e-haal hai, kya unki haalat hai?
03:12Dekhiye ki yeh cheez badi important hain,
03:14ke wo do tariqah se ab mushkilat ka saamna karein,
03:16ek toh wo dialysis, gurdon ke mareez hain,
03:18unko musalsal dialysis hona hain,
03:20aur parallel unko ab AIDS ka marz bhi laag ho chuka hain.
03:23Toh isme government of Punjab ki taanib se unki liye baqaida jo
03:27SOPs tashkeel diye jane chahiyein the,
03:29wo abhi tak nahi diya jaa chuke.
03:31Dialysis ke mareezon ke liye jo ek alaida machine mukhtas ki gayi hain,
03:34AIDS zada mareezon ke liye uspe kaam chal raha hain,
03:37lekin again main bata raha hoon,
03:39ke jo unko iss se zyada severe marz laag ho chuka hain,
03:42uske liye kya treatment plan hoga,
03:44unke liye kya hai, abhi tak yeh muntazir hain.
03:46Acha, wo identified log hain,
03:48yaani unki mukamal taur par shanaqt ki gayi hain,
03:50wo mark log hain, ke wo kaun log the,
03:52jinme yeh virus muntakil hua,
03:53taake phir isko mazeed isolated tariqah se leke chala jaa.
03:58Ji baqaida jo mushtaba jitte mareez the,
04:01kyunki yeh teen maa ka jo time span tha,
04:03uske doraan hi detection hui,
04:05toh isme jo 25 mareezon me tasdik hui,
04:08unko identify kiya gaya,
04:10unke paton address se unke saath raapta kiya gaya,
04:12aur chunke wo musalsal dialysis ke upar hain,
04:15aur har kuch time,
04:16dinon ke baad unke dialysis hone,
04:17toh muntakil taur par,
04:19wo nishtar management jahan maujood hain,
04:21unse raapte me zarur hain,
04:23lekin aage ke liye,
04:24unke liye kya treatment plan hain,
04:25ispe musalsal,
04:27wo logon ki jaanab se hume bhi raapta kiya gaya,
04:29ke humari awaaz ko buland kare,
04:30ke hukumat-e-pakistan,
04:32hukumat-e-punjab,
04:33baqaida un mareezon ke liye,
04:35koi alaida,
04:36unki living ka bandobast hain,
04:39unki ilaj ka bandobast hain,
04:40aur jo family usse mutasir ho rahi hain,
04:42unke liye kuch ikdamaat kare,
04:44aur isme ek baad badi important hain,
04:47isme ek badi important baad add karta chanun,
04:50ki do roz kabhi,
04:51isi saare waqe ke khilaf,
04:53jo hukumat karwai kar rahi hain,
04:55us karwai ke khilaf,
04:56nishtar medical university,
04:58jiske saamne hum yahan maujood hain,
04:59iske ikatis se zyada professors,
05:01associate professors,
05:02izhaar-e-ijakjaiti ke liye,
05:04vice-chancellor aur jitne bhi yeh zimadaar karar diye gaye,
05:07unke saath izhaar-e-ijakjaiti karte ke liye,
05:09ehtajajan apne steefe jama ke rahe hain,
05:11aur is waqt jo awaami mutaalba hai,
05:13wo aapke zarur pesht karna chahunga,
05:15ki awaam chahati hai,
05:16ki chunke itne ghinaune karwai mein,
05:20mulawis logon ki support karne wale logon ko bhi,
05:23sarkaari hudon pe rehne ka koi haq nahi,
05:24to hukumat-e-Punjab jo hain,
05:25forhi taurpe unke tamam,
05:27ikatis ke ikatis logon ke steefe ko,
05:29baqaida manzoor karte hain.
05:30Isme iske do pehloon hain,
05:31ya sir buniyati taurpe aap keh rahe hain,
05:33ki jinn logon izhaar-e-ijakjaiti kiya hain,
05:34wo yeh samajhte hain,
05:35ki jinn logon ke khilaf tehqiqaat ho rahi hain,
05:37unse koi ghaflat nahi hui,
05:38ya phir iska doosra pehloon yeh hain,
05:39ki wo jo ek shaks tha,
05:40jo yahan par aaya,
05:41wo undiagnosed tha,
05:42usne apna maraz bataya nahi,
05:43aur usne bataya nahi,
05:44ki wo apne saath kya carry kar raha hain,
05:45iske dono pehloon hain,
05:46kis par jaya jaye?
05:49Dekhiye,
05:50jo buniyati responsibility hain,
05:52unishtar management ki isliye bandhi hain,
05:53ki kisi bhi mareez ko,
05:55jab tak aap identify nahi karenge,
05:57uska blood test nahi hoga,
05:59uski report nahi aap dekhenge,
06:01aap usko dialysis pehli nahi daal sakte,
06:03so buniyati agar,
06:04ek se 25 mein muntakil hua,
06:06aur 25 se zyada mein muntakil ho raha hai,
06:08to buniyati taur pe responsibility,
06:09unishtar management ki hai,
06:10isse kisi taur bhi,
06:11kisi ko na ikhtalaf hona chahiye,
06:14aur nahi isme koi mercy ka pehloon banta hai,
06:16ek jo,
06:17isko human error bhi karar nahi diya jaa sakta,
06:19kyunki yeh baqaida negligency hai,
06:21aur is negligency ki itni badi cost hai,
06:24jo ki itne,
06:25jo darjanon khandaan hai,
06:27wo pay karenge,
06:28aur is waqt jo surat-e-haal hai,
06:29wo yeh hai,
06:30abhi bhi yahan,
06:31is waqt jab hum live hit ke liye khadhe the,
06:32to ek, ek, ek,
06:33walid humare paas aaya hai,
06:34usne abhi bhi wo shikwe kiye hai,
06:36ke ussi tariqat se dialysis haal ke jo,
06:39jo,
06:39jo ward hai,
06:40uske andar se koi surat-e-haal mein,
06:42koi khatir khatir bedri nahi hui,
06:44to ab,
06:45is taraf wazir-e-ala ki tawajjo nahi hai,
06:46aapne kaah ke parallel body hospital chala rahi hai,
06:49wo bhi kya hamdard hai un logon ke jinn ke khilafat tahqeeqat ho rahi hai,
06:51ke wo bhi maamlaat ko ussi tarah chala rahi hai?
06:53dekhiye,
06:54nahi,
06:55isme hame credit wazir-e-ala Punjab ko dena hoga,
06:57ke jab yeh waqia report hua,
06:58aur yeh waqia report airline use nahi kiya,
07:00is maamle ki initiate kiya humne,
07:02to unhone,
07:03theek do din,
07:0448 hours ke baad jo hai,
07:05yahan visit bhi kiya,
07:06aur suspensions ki,
07:07in paanch logon ki,
07:08jisme VC ko exempt kiya gaya tha,
07:10lekin baad mein VC ko bhi isme add-on kar diya gaya,
07:13to government ke level ke upar to cheeze hai,
07:15lekin albiya kya hai,
07:15jo vada important hai,
07:17ki yeh samajhna hoga humein,
07:18ke jab bhi koi,
07:20government koi initiative lene ke liye jaati hai,
07:21ki zimmedaaron ko karar waqia hi sazaad dene ka koi irada rakhti hai,
07:24to iss tarikiye ke initiative saamne aati hai,
07:26ke 31-31 associate professor,
07:29professor sahabaan,
07:30doctor sahabaan,
07:31wo jahti ke saath saamne aa jaate hain,
07:33aur wo kehte hain ki,
07:33ji karwaayi nahi ki jaye,
07:35to iss basic attitude ko badalne ki zaroorat hai,
07:37aur iske liye government of Punjab ko,
07:39aur deegar jitne bhi zimmedaar idaarein hain,
07:41unko ek aisa concrete...