• 15 hours ago
शरीर ही ब्रह्माण्ड : जीवन गति का नियामक है मन

Category

🗞
News
Transcript
00:00Namaskar, today I will tell you about Rajasthan Patrika's chief editor, Dr. Gulab Kothari's
00:08book, Sharir Hi Brahmand Shrinkhla Mein Patrikayan Mein Prakashit Aaleg, whose editor is Jeevan
00:14Gati Ka Niyamak Hai Mann.
00:16Srishti Purush Pradhan Hai.
00:18Shesh Prakrti Hai, Maya Hai, Aavran Hai.
00:21Gehraai se dekhen to yeh Maya ya Prakrti bhi Purush ka hi Ang hai.
00:25Purush mein Karta Bhav ka Abhav kaha gaya hai.
00:28Karta, Kriyabhav, saara Maya ka hi Shetra hota hai.
00:32Maya ke bhi do roop hai.
00:34Para Prakrti aur Apra Prakrti.
00:36Maya naam Ichcha ka hai.
00:38Brahm ke Mann ki Ichcha.
00:40Brahm se bhin nahi hai.
00:42Chunki Mann ki bhi do gatiyan hoti hai.
00:44Urdhva evam Adhah.
00:46Athah, Prakrti bhed bhi usi ke anuroop hai.
00:49Jo bhi jeev Prithvi par Atma Mrityu Lok mein aata hai.
00:53Yeh uski Adho Gati kehlaati hai.
00:55Surya ke aage Amrit Lok hai.
00:57Yaha Srishti ke saare tattv vayu roop hi rehte hai.
01:01Athah, punah Prithvi ki aur nahi aate.
01:03Parthiv Srishti, Kshar Purush, Isthul Roop kehlaati hai.
01:07Kshar ki paanch Kalai hai.
01:09Praan, Aap, Vaak, Ann aur Annath.
01:12Inmein shru ki teen Kalai, Hriday roop mein kaare karti hai.
01:16Antim do Kalai hi, Agni Som roop Kriyabhav se Srishti ko aage badhati hai.
01:22Hriday ki teen Kalai, Prakrti roop hai.
01:25Hriday ke teen Praan, Brahma, Vishnu, Indra kehlaati hai.
01:28Inhi ki teen Shaktiya, Mahakali, Mahalakshmi aur Mahasaraswati hai.
01:33Prakrti hai.
01:34Srishti ka aadhar Yagya hai.
01:36Som ko agni mein daalkar, tadgat padarthon ka vishkalan karke
01:40unn padarthon ko wapas usi Adhidevik Mandal mein pohacha dena Yagya hai.
01:45Jahan Agni Praan Pradhan hai, wahin Yagya sampanna hota hai.
01:50Yagya mein Jwala ka.
01:51Arsi bhaat Bhrigu hota hai, tatha Angare Agni.
01:55Dono ko sthan se hata diya jaye, to garm sthan atrika hota hai.
02:00Bhrigu, Angira atrik teeno Parmeshthi Lok ke man hota hai.
02:04Bhrigu hi Angira ka ann banta hai.
02:07Ann hi Som hai, Somya hai, Somya hai.
02:10Som bhi agni mein pravesh karke jalta nahi hai.
02:14Agni par agni bankar chiti karta hai.
02:18Yahi karya ann bhi karta hai.
02:20Ann hum sab hai, ek doosre ka.
02:22Sarva midam annam, sarva midam annadah.
02:25Tan se, man se, atma se, ek doosre ko bhogte hai.
02:29Isthri ann ka paryay hai, swayam somya hai.
02:33Purush agni mein ahuth hoti hai.
02:35Purush se beej roop ann grehen bhi karti hai.
02:38Apne sthool ann se beej ko akrati,
02:41tatha sookshma bhaag se prakrati ke avnand pradhan karti hai.
02:45Ann mayam hi somyam manah.
02:47Man ka nirman karti hai.
02:49Man bhi somyam hota hai.
02:51Apra se banta hai,
02:52kyuki man ki padtein sthool se sthool tak jaati hai.
02:56Man hi jeevan ki kaamnaon ka kendra hai,
03:00jo jeevan ki kati ka nirdharan aur niyaman karta hai.
03:03Purush beej mein ahankrati,
03:05prakrati, akrati ka byaura rahata hai.
03:08Waise hi shishu ka nirman maa karti hai.
03:11Man ki somyata, madhurya ka ashtray hai.
03:14Madhurya ek pravahman ras hota hai.
03:17Ras ko hi brahm kehte hai.
03:19Istri hriday mein brahm rehta hai.
03:21Istri ke vachan, karm bhi brahm vaachak hote hai.
03:25Sheetalta liye hote hai.
03:27Istri mein bhaavi swapna dehne ki kshamata hoti hai.
03:31Athah sookshma se sada judi rehti hai.
03:34Uske praan bhi purush hriday mein rehte hai.
03:37Dono sookshma sharir ka ang bane hote hai.
03:39Wahin se Ishwariya kaamana utti hai,
03:43Isi se purush sharir mein som pravah shuru ho jata hai.
03:47Pravah ki gati bhaavnao ki teevrita taye karti hai.
03:50Agni sada upar utta hai.
03:52Som ka pravah ek mann se doosre vyakti ke mann mein pravahit hota, anuput ho jata hai.
03:59Yehi maa ki shakti hai.
04:01Maa prakrati hai, maya hai, gatiman tatva hai.
04:04Athah nitya pravahman hai, nitya karmasheel hai.
04:08Brahma aur karma ek hote hue bhi, virudha swabhav wale tatva hai.
04:13Brahma tatas rahekar sukhi rehta hai.
04:16Maya usse swabhav mein daalkar, karma mein jodti hai.
04:20Maya ke karma sthool aur sookshma saath saath chalte hai.
04:24Vah swayam bhi jeeti hai.
04:26Santaan aur pati ke anroop ka bhi poshan karte hai.
04:30Pati ke paap aur punya, anna se yukta hokar, parijano ki prakrati ko prabhavit karte hai.
04:37Isi se khandaan ke swaroop ka nirmaan hota hai.
04:40Isi prakaar, ann ke saath kisan aur byaapari ke manobhav bhi, bhogta ke mann ko prabhavit karte hai.
04:47Rasoiya aur paroshne wale ke manobhav bhi, ann ka hissa bante hai.
04:52Yeh saare manobhav, mata ke maadhyam se, garbhast shishu tak mahuste hai.
04:57Pati ke mann ka bhi, usi se punha swaroop banta hai.
05:01Maa ke pratek karma mein, uska prakrat swaroop rehta hai.
05:05Uski sahaj gati, nirmaan aur poshan ka bhaav rehta hai.
05:09Pati ke ann ke saath, uska shraddha bhaav bana rehta hai, sneh rehta hai.
05:14Aur swasth avastha mein, vaatsalya bhi umarta rehta hai.
05:18Santaan ke ann mein, vaatsalya, madhurya, lalitya bhaav ke saath, sukhat bhavishya ki kaamana rehti hai.
05:26Istri ko is sathya ka gyan rehta hai, ki uska pati hi putra banta hai.
05:32Atah uska maatritva dono ke liye swabhavik hai, pita aur putra do nahi hai.
05:37Istanpaan ke roop mein, uska sthool aur sookshma maatritva bhaav, dono ke mano ko samaan roop se poshit karta hai.
05:45Maa dono ke madhya ka setu bani rehti hai.
05:48Aahaar maa ke mann ka nirmaan karta hai.
05:52Maa pati aur putra ke mann ka nirmaan karti hai.
05:56Bhaar lakshmi ki gyaata hoti hai aur naad brahm ka gyan bhi rakhti hai.
06:01Maa keval 9-10 maa ke liye hi nahi hoti.
06:04Maa jeevan ki nirantarta hai.
06:06Maa hi prarthana karke jeev ka abhaan karti hai.
06:09Uske paath pati ke saath, santaan ka swapna bhi rehta hai.
06:13Santaan ke bhaavishya ki kalpana bhi rehti hai.
06:16Vibhaah se poorv bhi, usse aatmik soshna in sab ki rehti hai.
06:21Vibhaah ke saath hi, uska santaan moho jaag utta hai.
06:24Santaan prapti ke dwaar khul jaate hai.
06:26Jo pati ki deh se aayegi.
06:29Pati ki kaamana poorti ka upkram maan kar uska swagat karti hai.
06:33Yoga ka yeha utkrishta swaroop hai.
06:36Vibhaah ke turant baad, bha apne yogini roop ko dharan kar leti hai.
06:41Geeta kehti hai, ajopisan avyayatma,
06:44bhuta naam ishwaropisan,
06:46prakratim swam adhishthaya,
06:48sambhavatma mayaya.
06:504.6
06:52Arthaat, main apni prakrati ko adheen karke
06:54apni yoga maya se prakat hota hu.
06:57Pati ki kaamana ka kaaran,
06:59santaan matrisukh hota hai.
07:01Uska sneha, pati ke sharir se
07:03santaan ko batorta rehta hai.
07:05Yehi uski aaguti ka lakshya hota hai.
07:08Iska pramaan bhi yehi hai ki,
07:10prani matra apne apne ritu kaal me hi prajanan kiya karte hai.
07:14Iske atirikti nahi.
07:16Maanav hi is maryada ka ulangan karta hai.
07:19Aaj ann ka tamas bhaav prabal hai.
07:22Tamsi ann se prabhavit maa ka divya bhaav
07:24aaj durbal hota ja raha hai.
07:26Aaj mata keval sthool gyan ko hi swaroop gyan maanti hai.
07:30Unke brahm swaroop se anbhigya rehti hai.
07:33Garbhast avastha me bhi,
07:35shishu ke sthool swaroop par hi chintan tika rehta hai.
07:39Sharir ka bhi gyan matra bhautik roop ka hi hota hai.
07:42Maanav sansthaagat,
07:44adhyatmik swaroop se uska parichay hi nahi hota.
07:47Atah, dono ke madhya atmik sambhaad hota hi nahi.
07:52Isthri ke sookshna swaroop ki upadeyata,
07:55yahi to parilakshit hoti hai.
07:57Ann brahm ka prabhaav,
07:59sthoolta ki aur adhik prabhavit ho bhaavta hai.
08:02Kyuki yaha anek prakaar ke vyavdhaan hote hai.
08:05Kitni mata aaj khaana banate samay,
08:07pati ya putra ke swaroop nirmaan ki loriyan gaati hai.
08:11Unki praatmikta aaj ya hai hi nahi.

Recommended