Meri Pehchan
Topic: Ulama Ke Fazail
Host: Syeda Zainab
Guest: Dr. Imtiaz Javed Khakvi, Sadia Saeed
#MeriPehchan #SyedaZainabAlam #ARYQtv
A female talk show having discussion over the persisting customs and norms of the society. Female scholars and experts from different fields of life will talk about the origins where those customs, rites and ritual come from or how they evolve with time, how they affect and influence our society, their pros and cons, and what does Islam has to say about them. We'll see what criteria Islam provides to decide over adapting or rejecting to the emerging global changes, say social, technological etc. of today.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Topic: Ulama Ke Fazail
Host: Syeda Zainab
Guest: Dr. Imtiaz Javed Khakvi, Sadia Saeed
#MeriPehchan #SyedaZainabAlam #ARYQtv
A female talk show having discussion over the persisting customs and norms of the society. Female scholars and experts from different fields of life will talk about the origins where those customs, rites and ritual come from or how they evolve with time, how they affect and influence our society, their pros and cons, and what does Islam has to say about them. We'll see what criteria Islam provides to decide over adapting or rejecting to the emerging global changes, say social, technological etc. of today.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00A'uzu Billahi Minash Shaitanir Rajeem, Bismillahir Rahmanir Raheem, Allahumma Salli ala Sayyidina
00:12wa Mawlana Muhammadin wa ala aali Sayyidina wa Mawlana Muhammadin, wa barik wasallim wasallu
00:19alayhim.
00:20Rabbish rahli sadri, wa yassir li amri, wa ahlul uqdatam min lisani, yafqahu qawli.
00:25duniya bar mein jahan jahan ARY QTV dekha ja raha hai un tamaam nazareen ke khidmat
00:30mein aur jitni samaat hai is waqt mujhe samaat kar rahe hain un tamaam ke khidmat mein sayyida
00:35zainab ki jaanib se assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
00:40aap dekh rahe hain program meri pehchaan aur meri pehchaan mein ek naye unwaan ke saath
00:45aap ke khidmat mein haazir hain.
00:48janaab ilm har cheez ki buniyad hai aur ilm ki kitni fazilat hai beshmar ahadith-e-mubarakah
00:55is taalluk se maujood hain.
00:58ilm insaan ko duniya ki gumraahiyon se bhi bachata hai aur ilm hi insaan ko deeni gumraahiyon
01:04se bhi mahfooz rakta hai.
01:06ilm aakhirat mein bhi insaan ko nafaa pohuchata hai.
01:10Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ka kya ishaad hai?
01:14Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne ishaad farmaaya ki do logon ke ilawa kisi
01:20ke jaisa banne ke liye, yani mahfoom hai, rashq mat karo.
01:24yani ek wo, ki jisko Allah ne maal diya hai, wo takseem karta hai, to aap rashq kar sakte
01:30hain ki Allah mujhe bhi aisa maal de, ki main bhi Allah ki raah mein kharjh kar sakoon.
01:35aur doosra wo, ki jise Allah ne ilm diya hai, aur wo us ilm ko logon me baatta hai, takseem
01:42karta hai, kharjh karta hai, aur us ke hawaale se, us ke mutaabik faisle karta hai, to aap
01:48aisa banne ke liye bhi rashq kar sakte hain, aarzu kar sakte hain.
01:52aaj hum janaab aise tappay ki baat karenge, ki jo ilm ki tarseel mein maahun aur madadgar
01:59hai, yani ulma ke hawaale se, yani ulma ke fazail ke taaluk se, kyunki jise maalum hoga
02:06jise maalum hoga, wohi doosron tak ilm ko pohchayega, uske tarseel karega, unpe faisle
02:13karega, haq ke saaj, saj ke saaj, sadaqat ke saaj. aaj ulma ke fazail ke hawaale se baat
02:18ki jayegi, mauzuz mahmood shagsiyat humaise saath maujood hain, aur ye bhi ARYQ TV par
02:24kayi arse se, bohot barsa barse, mashallah ilm ki tarseel mein madadgar hai, hume aur
02:31aap ko nafabaksh ilm pohacha rahi hai, Dr. Imtiaz Javed Khakbi sahiba maujood hain,
02:36welcome karte hain, Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
02:38Wa alaikum assalam wa rahmatullahi wa barakatuhu.
02:40Dr. sahiba khair aur afiyat hai?
02:42Ji, Allah humde deil hai.
02:43Tabir kaise hai ab aapki aapa?
02:44Shukr.
02:45Allah ta'ala sahat tanjur usi de, unke saath janaab jo agli nishas par shagsiyat raunak
02:49approach hain, Sadia Saeed, wo bhi isi hawaale se humaise saath maujood hua karte hain,
02:55welcome karte hain, Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
02:59Wa alaikum assalam wa rahmatullahi wa barakatuhu.
03:02Aapa ulma-e-ikram ki fazilat ki taluq se sabse pehle aghaas kar lete hain, Qur'an-e-Kareem
03:07mein kya fazilat hai ulma-e-ikram ki, firmahiyega.
03:11Shukriya Zainab, Bismillahirrahmanirrahim, Allah Rabbul Izzat ni Qur'an-e-Majeed mein
03:16firmaya, Qul hal yastawil lazeena ya'lamuna wa lazeena laa ya'lamun, sadaqallahu Mawlaana
03:22lazeena.
03:23Dekhe ilm roshni hain, ilm noor hain, ilm taariqiyon ko cheer deta hain, jahalat ko
03:29khatam kar deta hain, iska matlab yeh hain ki jiske paas ilm hain haqiqat mein, uska
03:35seena munawwar hain, roshan hain, aur ilm sirf information ko jama kar lena na samjhiya
03:41jayein.
03:42Dekhe aaj hum degreeon se tolte hain afraad ko, degreeon to kisi ne kaha ki talim-i-ikhrajaat
03:48ki raseed-e hain.
03:50Asal ilm to yeh hain ki us Allah ki maarfat ata ho jayein, Allah-ur-Izzat ki banda kareeb
03:56ho jayein, uski shikhsiyat, uska kirdar, uska guftar, uska uthna, baitna, har cheez us
04:02ilm ka izhaar kar rahi ho, jisse pata chalein ki yeh fard ahl-e-ilm mesein hain, uske andar
04:08aajizi ho, uske andar ala zarfi ho, wo cheezon ko unki tah tak jaake samjh sakein, unka
04:14haqaik uske paas maarif ho un ashya ki aqeekaton ka, to phir hum usse kahenge ki haan yeh ilm
04:20wala hain, to information ko sirf jama kar lena kaafi nahin.
04:24Allah ne firmaaya, abhi mene jis ayat-e-mubarakah se aghaaj ke, ki jahil aur aalim barabar nahin
04:30ho sakte.
04:31Insaan ko ashraf ul makhlook banaya gaya, to ashraf ul makhlook hona bhi uska ilm ki
04:36wajah se hain.
04:37Pehle azzat Adam-ul-Islam ko banaya gaya, aur Adam-ul-Islam ki bartani farishton par
04:43ilm ki wajah se sabit ki Allah-ur-Rabbu-l-Izzat ne, firmaaya ki Allahumma Adam-ul-Asma-a-Kullaha
04:49to Adam-ul-Islam ko asmaa ka ilm ataah firmaaya, phir unne farishton ke saamne peshkiya gaya,
04:56goya masjood-ul-malaika hona, ashraf-ul-makhlook hona uske ilm ke sabab se hain.
05:02Phir Allah-ur-Rabbu-l-Izzat ne ek jagah irshaat firmaaya, yarfaullahi lazina aamanu minkum
05:07wal-lazeena ootul ilwa darajat, do sabab hain darajat ki bulandi ke, ek imaan aur ek ilm.
05:15Imaan se tum aam insano se afzal ho jate ho, tumhara darajat buland ho jate hain, imaan
05:22bazaate khud roshni hain, bazaate khud aage hi hain, aur uske saath jab ilm bhi aasil karte
05:28hain, to Allah hum ke aal-ilm ke darajat ko aur badaa deta hain, aur ek jegah firmaaya
05:32katil kal-amsalu nadribu aal-in-naad, yeh misaali hum logon ke liye beyaan karte hain,
05:37maa yahkil wa illal aalimoon, jo ilm wala hain wohi samajh sakta hain, in ke mu'arif,
05:43in ke raaz, in misaalo ko beyaan karte hain, jo haqiqi maqasid hain, un tak wohi paunj sakte
05:49hain, phir Nabi Kareem-ul-Izzat-ul-Islam ka firmaan-e-mubarak, khairukum man ta'allam-al-Quran
05:55wa Allamahu, tum misa baitareen shakhs woh hain jisne Quran seekha, aur doosra seekhaya,
06:02ab Quran-e-Majeed uloom-u-ma'arif ka woh sirtashma hain, ki jisme tammaam cheezon ka ilm maujood
06:09hain, toh jo Quran ki ghairaahi mein utra, usne ilm ke us samandar mein ghauta lagaya,
06:15aur uske paas woh woh jawahir aaye, ki ab tum mein baitareen shakhs woh hain, jiske paas
06:20woh jawahir, woh moti hain, jo Quran-e-Majeed ke andar maujood hain.
06:24Subhanallah.
06:25Phir ab Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam masjid mein tashreef le jaate hain, ek taraf zikr ki
06:29maifil hain, ek taraf ilm ki maifil hain, toh ab Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam dono maafil
06:33ko dekha, phir ab ilm ki majlis ko, ab ne tarzihi di batne ke liye, aur phir firmaaya,
06:39innama buistum mualliman, mujhe muallim bana kar bheja gaya hain, toh ab Sallallahu-Alaihi-Wa-Alihi-Wa-Sallam
06:46ka muallim-e-kainat hona, ek har muallim ke liye baise aizaz ho gaya, ki ye to Nabi
06:53Kareem-e-Sallatu-Wa-Sallam ki us sunnat-e-mubarka, us shewa-e-mubarka par chalne waliya rasta
06:59hain, ke jis pe imam-ul-anbiya khud chalein, toh ye ek aizaz ki baat nahi hain, kahin
07:05aap parmate hain, ana madinat-ul-ilm-un-wa-ali-yun-ba-buha, main shehre-e-ilm hoon, aur Ali uska darwaza
07:11hain, toh wo shehre-e-ilm-un-muallim-e-kainat, unki raah par chalna, bahot baise, barkat,
07:18baise rahmat, baise saadat.
07:20Subhanallah, yaani aapa aapki guftagu se hume ye bhi maalum hua, ki ilm insaan ke liye
07:27bilkul waise hi zaruri hai, jis tarahan se jeene ke liye insaan ko saans chahiye hoti
07:33hai, saans jaise ki zaruri hai, ilm hasil karna bhi isi tarahan se zaruri hai.
07:37Sadia, aap humaise saath maujood hain, Allah Rabb-ul-Izzat ne irshaad farmaaya, ki ulma
07:42hi Allah se dardte hain, kya mafoom kis tarah se arz karenge, is sawale se farmayega.
07:48Bahot shukriya, a'oozubillahi minash shaheed ghani rajim, bismillahirrahmanirrahim, maula
07:53aya salli wa sallim daaiman abadaa ala habibi ka khairil khalfi kulli hi mein.
07:58Bahot khubsurat aagaz, aapa ne bahot tafseel se is baat ko samjhaya.
08:01Allah Rabb-ul-Izzat ne surah Fatir me irshaad farmaaya, ayat-e-paak ka mafoom hai, ki Allah
08:07ke bandon me se usse sabse zyada dardne wale ilm wale hain, ki jo ilm wale hain, jo ilm
08:12ki maafat rakte hain, jo ilm ko jaante hain, jo Allah Rabb-ul-Izzat ko uss ilm ki badalat
08:18uski maafat rakte hain, usko jaanne wale hain, wahi hain, jo Allah Rabb-ul-Izzat se dardne
08:23wale hain.
08:24Ab agar hum dekhen to, jiska ilm jitna zyada hoga Allah Rabb-ul-Izzat ki maafat ke hawale
08:29se, wo itna hi Allah Rabb-ul-Izzat ka khauf rakta hain.
08:32Aur jiska ilm kam hota hai, uska khauf bhi itna kam hota hai.
08:36Agar dekhen to, humein is ayat-e-mubarakah ke tanazun mein pata chalta hai, ki Hazrat-e-Abdullah
08:41bin Abbas radhiAllahu ta'ala anhu bayan karte hain, ki is ayat-e-mubarakah se murad yai
08:46makhlook mein Allah Rabb-ul-Izzat se sabse zyada khauf rakne wala, wo hai jo Allah Rabb-ul-Izzat
08:51ki jabaroot aur uski shaan se ba khabar ho, to wahi isko jaanne wale hain, wahi isko samajhne
08:58wale hain.
08:58Fir agar hum dekhen to, humein pata yeh chalta hai, ki is ayat-e-mubarakah ki hi tanazun
09:02mein dekhen, to chand nukaat humare saamne aate hain.
09:04Pehli baat, ki dekhen khauf-o-khashiyat ka daar-o-madaar ilm par hain, darne par hain,
09:10ki darna Allah Rabb-ul-Izzat ka jo ek dar hain, khauf hain, wo ilm ki buniyat par hain.
09:15Ab jiska ilm jitna zyada hoga, uska khauf bhi Allah Rabb-ul-Izzat se utna hi zyada hoga.
09:19Aur Aqa alaihi salatu was salam is kainat mein, wo hain, ki jo Allah Rabb-ul-Izzat se
09:25sabse zyada darne wale hain.
09:26Kyunki Sahih Bukhari wa Muslim Shareef ki hadith-e-mubarakah humare rehnamai karti,
09:29ki Aqa alaihi salatu was salam ne firmaaya, ki mujhe Allah ki qasam, main tum logon mein
09:34sabse zyada Allah Rabb-ul-Izzat se darne wale hain, aur main hi Allah Rabb-ul-Izzat ko
09:39sabse zyada jaanne wale hain.
09:41Fir agar hum dekhen to humein pata chalta hain, ki ye ayat-e-mubarakah humare rehnamai
09:46kar rahi hain, ki Allah Rabb-ul-Izzat ki marfat sahih taur par jaanna zaruri hain.
09:52Jab aapko Allah Rabb-ul-Izzat ki marfat hogi, uski azmat, uski sifat ke baare mein pata
09:56hoga, to utna hi khauf pehda hoga, aur aapke aqaid durst honge.
10:01Fir agar hum dekhen to ilm walon ki shaan hain, ki wo darte hain Allah Rabb-ul-Izzat
10:06se, isili aam logon ke muqabla mein ulama ke liye hukum hain, ki wo Allah Rabb-ul-Izzat
10:10se zyada darein, aur logon ko bhi iski targheeb deyin.
10:13Hazrat-e-Ali-ul-Murtaza radhiAllahu ta'ala anhu bayan karte hain, ki sahih mainon mein
10:17faqih wo hain, ki jo logon ke dil mein Allah Rabb-ul-Izzat ki rahmat ki mayusi na daale,
10:24balke wo na unki nafarmaniyon par unhe jari kar de, balke wo Allah Rabb-ul-Izzat ke
10:29khawf se unhe daraye bhi, aur fir usko Quran-e-Paq ke alawa koi cheez apni taraf raagib na kar
10:34sakayin, sahih mainon mein faqih wo hain.
10:37Aur Imam Shobi alaihi rahma se bhi sawal kiya gaya ki, aalim kaun hain, hume fatwa dijiye.
10:41To aapne firmaya, aalim to wahi hain, jo Allah Rabb-ul-Izzat se darenewala hain.
10:46Fir Hazrat-e-Rabbi bin Anas rahmatullah alaihise bhi pucha gaya, ki aalim kaun hain, to aap
10:50firmate hain, aalim wo ho hi nahi sakta, ki jiske dil mein Allah Rabb-ul-Izzat ka khawf
10:55na ho.
10:56To is ayat-e-mubarakah se humein yeh bhi pata chalta hai, ki ilm walon ke maratib bohot
11:01balan hain.
11:02Allah Rabb-ul-Izzat unke dil mein apni maarfat, apni azmat, apni rahmat ko munhasir karta
11:08hain, to unke maratib badh jate hain.
11:10Aur yahaan par khaas ilm-e-deen ki baat ho rahi hain, ki Allah Rabb-ul-Izzat ki maarfat
11:15aapko ilm-e-deen se hasil hogi, yeh Quran-e-Paq mukammal rehnumai hain.
11:19To isko seekhna, isko samajhna, aur samajh ka logon tak badhana, aur apne aqaid ko durst
11:24karna zaruri hain, to ulama usi surat mein hain, ki jab unko ilm-e-deen ki hawale se
11:30sahih maarfat hasil ho, ki wo Allah Rabb-ul-Izzat ki maarfat ko baitreen tariqah se janein,
11:35aur logon tak bhi usko pohncha sakein, ki Allah Rabb-ul-Izzat ki azmat wa shaan humse
11:40kya taqaza karti hain, aur humein kis tana se is ilm ko hasil karna chahiye.
11:44Subhanallah, subhanallah.
11:45Yani, jitna ilm humein hasil hoga, ya jitna ilm hum hasil karenge, Allah Rabb-ul-Izzat
11:52ka darr, Allah ka khawf, aur Allah ki mohabbat bhi humare dil mein usi tarah se ujagar hogi.
11:57Ek waqfe par jana hain, hazir hote hain is muqtasar se waqfe ke baad.
12:01Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
12:03Aap dekh rahe hain program Meri Pehchaan, aur Meri Pehchaan mein ek martaba phir aap
12:08sabko kahte hain khushaam deed.
12:10Aaj ulma ki fazilat ki hawale se baat ki ja rahe hain, yani ulma ke fazail aaj ka humara
12:16unwaan hain.
12:17Janaab, jis tarah se hum baat kar rahe hain ilm ki fazilat ki, aur ilm walo ke fazail
12:23ke hawale se, jo ilm hasil karte hain, fir ilm ki tarseel karte hain, ilm doosron tak
12:28pahunchate hain, aur mawasriye ke liye naafe hote hain, soodmand hote hain, nafa baksh
12:34hote hain, faidamand hote hain.
12:36Aaj isi hawale se baat ki ja rahe hain, huma aaj saath Dr. Imtiaz Javed Khalqibi sahiba
12:39maujood hain, Sadia Saeed bhi tashreef forma hain.
12:42Dr. Sahiba, Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ne ulma ko ambiya ka waris farmaya hain.
12:49SubhanAllah.
12:49Allah o Akbar, kis qadar bada darja farmaya hain, kaise dekhti hain is baat ko?
12:54Shukriya Janaab, beshak ulma ko ambiya ka waris kara diya, Nabi Karim alaihi wasallam
13:00ne, isme teen cheezein aa rahi hain, ulma, ambiya aur mirasat.
13:04Allahu Akbar.
13:06Aapin teeno par gaur karein, to ambiya ko nabuwate ata hui, aur nabuwat ata huna unka
13:12kisi apne kasab se nahi hain.
13:15Yeh Allah rabbul Izzat ka fazl-e-khaas hain, kis se kisi ko nabi banaaya gaya, paidaay
13:21se qabl hi unko nabuwate alam-e-arbaam-e de di gayi thi.
13:24Wizaakazallahu meesaakar nabiyeen.
13:27To wo jo nabuwat unhe ata hui, us nabuwat ke zariye unhe ilm ata hua, unpar wahi utri,
13:35unpar saheefe utri, unpar kitaabe utri, unka ik barah-e-raas, us Allah rabbul Izzat ki
13:41zaat se ik taluk hain.
13:44To yeh aap aap gaur karein, to jab bhi wo duniya mein aaye, to kisi ko kitab diye, to Allah
13:50ne firmaaya, walqad ata hi naha, Moosa al-kitaba, humne Moosa ko kitab ata ki, humne hikmat
13:55ata ki, humne Dawood ko, humne Salman ko ilm ata kiya, Moosa alaihi wasallam kalim
14:00hulna aaye, jaagar baat karte hain, to nabuwat ka khaasa hain, ki wo sahib-e-ilm hota hain,
14:08wo sahib-e-maarfat hain, wo us waqt ke tamam sardaro par, tamam jitne sar barawarda hain,
14:16un sab par fauqiyat rakta hain, fazeelat rakta hain, wajah yeh hai ki Allah ne usse ilm
14:21barah-e-raas ata kiya hain, aur nabi kareem alaihi salatu wasalam ke liye firmaaya gaya,
14:26laqad mannallahu alal mu'mineena, izwa safeem rasool, tahqeek mu'mineen par ahsaan kiya,
14:33ki un mein us rasool ko bejaa, fir jaa, wo sifat beyaan ki, huzoor-e-akram sallallahu alaihi
14:37wa sallam ki, soor-e-baqraa mein beyaan ki, soor-e-alimraa mein beyaan ki, soor-e-jummaa
14:42mein beyaan ki, yatlu alaihim aayaatina, wa yuzakki, wa yuallimu-l kitaba, wa li fiqma,
14:48aur yeh saari cheezein sab ko aap dekhe to sab ilm se related hain, fir aap sallallahu
14:54alaihi wa sallam ke liye khasoosi firmaaya, wa Allah maka maalam takun tahlam, ayy aboob
14:59aap ko wo kuch ata kar diya, jo aap nahin jaante the, ab nahin jaanna khattam ho gaya,
15:04ab ata kar diya abeeb ko, aur firmaaya, ayy abaqaana fadlallahi alaika azeemat, aap par
15:10yeh Allah ka fazl-e-azeem hain, huzoor ki akhlaaq ko, huzoor ki ilm ko fazl-e-azeem
15:15karar diya gaya, firmaaya gaya, Allahumma nashra akhlaaqa sadaq, ayy aboob aap ke
15:19seena-e-mubarak ko khol diya gaya, aalam-e-ghayb, aalam-e-shahadat, ulama kehte hain ki koi
15:25cheez bachi nahin, sab kuch Allah ne apne mayboob ko qud ata kiya, wo ummi isliye hain
15:31kyunki duniya mein unhone kisi se nahin padha, unko padhane wali zaad, wo Rabb ki zaad hain,
15:37to ek anbiya sahib-e-ilm hain, unki virasat, asal sarmaaya hain, wo ilm ka hain, jo unhone
15:45diya duniya ko, to aap sallallahu alaihi wa alihi wa sallam ki ummatiyon ko jahan iman
15:51ki maarfat ata hoiti hain, aap sallallahu alaihi wa alaihi wa sallam ke zariye, to wahan
15:56saad saad jo ilm ke liye aur koshaan hote hain, iman mein aur unka darja buland ho jata
16:01hain, aur ilm barairas, nabi kareem alaihissalatu wassalam ke seena-e-mubarak se wo mustafeed
16:07shuda wo noor hain, jo ulama ko ata hota hain, jab wo qashiyat ke saad, muhabbat ke
16:13saad, us ilm ke noor ko, quran ko, seerat ki kitab ko, ahadith ki kitab ko padhte hain,
16:19to unhe wo noor ata hota hain, jiski bina bhar wo jab maashray mein jate hain, to maashray
16:25mein cheezon ki haqeeqaton ko betar andaz se, aam logon ke, jaailon ki nismat betar andaz
16:31se, wo cheezon ka idraak rakhte hain, cheezon ko samajhte hain, to goya anbiya ki virasat
16:38ilm hain, usse lene ke liye tagodav karnee chahiye, aur wo kahte hain ke paanchmein mese
16:44na ho jana, ya to talim-e-ilm bano, ya alim bano, ya ulama ko sunne wale bano, ya ulama
16:51se muhabbat karne wale bano, paanchmein koi na banna, to har banda ye sochein, ya to wo
16:57alim bane, ya talim-e-ilm bane, ya ulama ko sunta rahein, ya phir ulama se muhabbat
17:03karta rahein, to ye chaaron, in chaaron mein rehna, apne haap ko in chaaron mein rakhne
17:08ki koshish karna, kyunke waha anbiya ki virasat hain, to anbiya se ek nisbat hain, maamuli
17:16darja nahin hain, nabi kareem alaihissalatu wassalam khatamun nabiyeen hain, ab koi nabi
17:21ab koi rasool nahin aahega, to ab ulama hain, ulama-e-haq nahin, uss kaar-e-nabubat ko
17:27taur-e-aasan anjaam dena hain, ye inki zimmadaari hain, ab itna, aapne zimmadaari ki baat khudi
17:32aapa farma di, itne zyada fazail aur ye koi hamne baat ki na ki ye koi aam darja nahin
17:39hain, yani aap dekhiye ki ulama ko anbiya ka waris farmaya hain, aur beshumar fazail
17:46ham awal waqt se hi beyaan kar rahein hain, saadi aap humaye saath maujood hain, ab baat
17:50kar lete hain musulmano par ulama-e-deen ke haqook kya kya hain, haqook ki baat kar lete
17:56hain, basmillah-e-rahman-e-rahim, dekhi ulama-e-karam ke jo haqook hain, unko agar dekha jaye
18:02to pehli cheez ye hain, ke unse ilm hasil karna, unse wabasti giye, ab aapa ne aakhri baat
18:07bahut khubsurat ki, ke unchaar logon me se hi hona aur paach pe na ho jana, to yaani
18:12ulama-e-karam ke saath baithna, unki guftagu ko sunna, unse mohabbat karna, aur usi guftagu
18:16me hi rehna, ya usi mehfil me hi rehna, to jab ilm hasil karne ke liye koi jata hai,
18:21pehli baat ye, agar uski niyat bhi na ho, agar wo sirf baith jata hai, agar wo sirf baith
18:29jata hai, tab bhi usko fazail milte hain, ek to wo itni der gunahon se bacha rahta hain,
18:33doosri baat ye, ke wo jis jagah baitha hai, wahan Allah rabbul Izzat ki rahmat naazil
18:37ho rahi hai, phir wo talib-e-ilm me shumar ho jaya karta hai, phir Allah rabbul Izzat
18:42ke karam se, wo deekar buraiyon se bacha rahta hai, Allah rabbul Izzat ka us par itna
18:46karam hota hai, aur phir wo jab wahan par baitha hai, to sirf baithne ki hi itni fazilat
18:51hai, to jo isniyat se jaye, ke usse ilm hasil karna bhi hai, aur Rabb ki raza ke liye logon
18:55me deliver bhi karna hai, to soche uske fazail kitne honge, to sirf ulama ke saath baithne
19:01ki hi itni fazilat hai, unki majalis me jab aap baithte hain, to rahmaton me baithte
19:05hain, phir aapko ek talib-e-ilm ka darja hasil ho jata hai, phir Allah rabbul Izzat
19:09ki rahmat, uski aizzat, uski aazmat, har cheez me uski barai aa jati hai, ke Allah
19:16rabbul Izzat ne usse un logon me chun liya hai, phir agar hum dekhen to ulama ka ehteram
19:20bohot zaruri hai, aaj kal ulama ke ehteram ke upar agar baat ki jaye, to hum us tanazun
19:25me tarbiyat nahi karte, us tanazun me samjhate nahi, ke ilm wale ka rutbah kitna bada hai,
19:30abhi aapa ne bohot khubsurat andaz se samjha diya, ki ulama anbiya ke wariseen hai, to
19:36unka rutbah kitna bada hoga, aur ulama ke ehteram karna bhi zaruri hai, aur aaj hum
19:41us ehteram se peeche hai, dekhi Aqa alaihi salatu was salam ne firmaaya, ki deen khair
19:45khwahi ka naam hai, aur sahaba karam alaihim ur Ridwan ne arzi peshki, ya Rasulullah sallallahu
19:49alaihi wa sallam, khair khwahi kya hai, Aqa alaihi salatu was salam ne firmaaya, ke Allah
19:54rabbul Izzat se, matlab khair khwahi ye hai, ke Allah rabbul Izzat se usse insaan ka rishta
19:59aisa mazboot ho, phir uski kitab se mazboot ho, phir jo uska imam hai, phir aam momineen,
20:05yeh sari cheezein khair khwahi mein shamil hai, ki deen khair khwahi ka naam hai, aur
20:10jab hum ulama-e-karam ke saath baithtein, dekhi huzoor Khwaja Gharib Nawaz Rahmatullah
20:14alaihi ne bhi bayan firmaaya, ki chhe cheezein ko dekhna ibadat hai, unmein se ulama ke
20:18cheerein ko bhi didar karna ibadat mein shumar hai, yaani jab hum ilm wala ko dekhtein,
20:23aur phir aap dekhen to ulama ki firma bardaari bhi laazim hai, ki jab wo koi baat kar rahi
20:28hai, to chunke unhone wo ilm hasil kiya hai, ilm-e-deen hasil kiya hai, rabb ki marfat
20:33hasil kiya hai, to us tarahan se unke firma bardaari bhi laazim hai, aaj kal agar hum
20:37dekhen to hum firma bardaari ki taraf nahi hai, aap qalisaat-e-was-sahib ki azisa paak
20:42ka mafoom hai, ki jo badon ki izzat nahi karta, choton par rahim nahi karta, aur ulama ka
20:47adab nahi karta, ya unhe izzat nahi deta, to wo meri ummat mese nahi hai, yaani aap
20:52dekhen jo ilm walon ka adab nahi karta, aur ilm wale kaun, yahaan par baar baar bataya
20:57jaa rahe hai, jo deen-e-islam ka ilm raktein, jin ke aqaid durst hain, to ulama-e-karam
21:02ka yeh haq hai, ke unke hukook jab adah kiye jaayen, to unhone ilm hasil kiya hai, to
21:06ilm ki raah mein unke peechein lage rahein, aap uss raah mein chalein, fir dusi baat yeh
21:11ke unka itraam zaruri hai, fir unki firma bardaari karna zaruri hai, fir koi agar unki
21:16burai karta hai, to usko bhi rokhna zaruri hai, ke aapne uss burai ki taraf nahi jaana,
21:22kyunke aaj kal ke tanazur mein dekha jaayen, to hum ek-dusra se sun letein, aur uss baat
21:26ko aage badha kar bata detein, ke falan shaks mein yeh app tha, maine to yeh dekha hai,
21:30aur agar hum uss shaks se mohabbat kartein, to humare dil mein burai aajaatein, to ilm
21:33wale wo hai, ke unke liye aapne dil mein burai nahi laani, balki agar kisi ne koi baat kiye,
21:38to aap uski tazdiq kallein, usko jaan lein, usko pehchaan lein, aur fir aap uss ilm ko
21:43seekhne ke liye aayein, aur usse aage bhi badhaayein, to yeh chand aise hukook hai,
21:47ke jin ko adah karna musalman par laazim hai, ke jab aap ilm seekh rahein, to aapko yeh
21:51pata ho, ke aap wabasta hua hai, to kin kin marahil ko tay karke aap wabasta hua hai,
21:56to fir in cheezon par amal karna bhi har haal mein zaruri hai, kyunke dekhe jo bahut
22:02saare aapke ilm ke manazil aise hain, jo aapko kitabe poori nahi karatee, adab poora karatee
22:08hai, to adab to pehle zaruri hai, ke aapne adab ke saath ulama ke saath pehshaana hai,
22:12unke maifilon mein baithna hai, us adab ka khayal karna hai, aur fir jab aap usmein baithenge,
22:17to faiz waise hi barahe raast aapko milta rahega, to aapko rab ki marfat naseeb ho jayein.
22:23Subhanallah, subhanallah, aapne ilm hasil karne aur ulma se seekhne ke hawale se bhi
22:28baat ki, lekin kahin kahin jaise hukook ki baat ho rahe hain, ki musulmano par kya hukook
22:33hai, ab humne ye bhi dekha hai kahin kahin, aap shayad aapa aap bhi ittifaq karenge,
22:38bahut se log aise cross-question bhi kar rahe hota hain, wo jaanch rahe hota hain aapke ilm
22:42ko, aisa sawal sirf apni malumat ke liye nahi kar rahe hota hain, balke saamne wale
22:46ki malumat ko jaanch rahe hota hain, ke inko kitna pata hai, to aise sawalat karne se
22:52bhi gurais karna chahiye, yani unki izzat mein, unki tauqeer mein kahin kami na ho, kahin
22:57aise baat na ho, ki jahan par hum se koi aise baat ho jaye, ki hum se koi na koi izzat
23:02mein kami ho jaye, ya koi bhi aise baat ki jisse unki dil azaari ho, kyunki ulma ke
23:07fazail par hum aaj baat kar rahe hain.
23:09Janab humein is waqfah hal lena hai, program mein waqfah shamil kartein, hazir hota hai
23:14is waqfah sir se waqfah ke baad.
23:16Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu, waqfah ke baad ek martaba phir aap sabka
23:21khair maqtam hai.
23:22Janab aaj hum us tabte ki baad kar rahe hain, jo ilm ki tarseel mein maabun hain, madadgaar
23:29hain, us jamaat ki baad kar rahe hain, jo mawashree ke liye nafa baqsh hain, yaani ulma
23:35ke fazail ke taalluk se baad ki jaa rahi hain.
23:38Aaj ke panel mein Dr. Imtiaz Javed Khatvi sahiba, Rauna Qafroz hain, Sadia Saeed sahiba
23:43tashreef farma hain.
23:45Janab Allah ke Rasool Sarwar-e-Dualam sallallahu alaihi wa sallam ne kya ishaat farmaya?
23:50Farmaya ke poncha do agar tumhe ek ayat bhi maloom hain, aur ponchaayega wohi jisko maloom
23:57hoga, ab maloom se jaanne takka jo safar hai, woh insaan ki zindagi ka bohot aham tareen
24:05safar hai.
24:06Baat yahaan par yeh bhi hui ki hume ulma se faiz hasil karna hai, yaani kis kis darja mein
24:11ya to aap taalib-e-ilm ho, ya aap sikhane wale ho, ya ulma se, ya ilm ki tarseel karne
24:18wale ho, unki majalis mein baithne wale ho.
24:22Doktor sahiba aap hain saath maujood hain, guftagoon ko mazeed aagey badhaate hain, ulma
24:26ke musulmano par hukook ke hawale se baat hui, aur ab main chahungi ki aam logon ko jo aalim-e-deen
24:33se fawaid hasil hota hain, aapa, jo barakaat hasil hoti hain, wo kya kya hain, kaise dekhti
24:38hain, kya ishaat farmayenge sawale se?
24:41Shukriya Zainab, dekhe jab hum ilm ko ek sarmaya samajhte hain, aur usse keemti khazana
24:46samajhte hain, toh phir hum usse lene ki, hasil karne ki tagdaon bhi karte hain, aur
24:50koshish bhi karte hain.
24:51Nabi Karim-ul-Isaat-ul-Sahib ke ek farmane mubarak ka mafoom hai, jo majalis-e-anbiya
24:56ko dekhna chahata hain, khaish aati hai, dhyaan aata hai, ki nabiyon ki majlis kaise
25:01hoti hogi, toh farmaya, ki wo majalis-e-ulama ko dekhti hain, toh ye itna bada darja aur
25:07rutba, isi tarah aap sallallahu alaihi wa sallam mein misal di bakaida, khushmoo wale
25:11ki aur bhatti wale ki, ki khushmoo wale ke paas baithoge, toh tumhara saam muattar hoge,
25:17bhatti wale ke paas baithoge, toh daaman ko jala loge, jise kisi shahid ne badi khusoorti
25:22se kaha, dard manda di yaari imein, jive dukaan aata raan, sauda bhaave lahiye nalahiye hulle
25:29pehna zaaran, be darda di yaari imein, jive dukaan loharaan, daaman bhaave kunj kunj
25:35bahiye chhinka pehna zaaran, toh daaman jala deta hai bhatti wale, toh jahilon ke paas
25:40baithoge, bura logon ke paas baithoge, toh usse kya hoga, daaman jala loge, toh agar ulama
25:46ke paas baithoge, ilm walon ke paas, deen walon ke paas baithoge, toh tumhe khair hi
25:52khair milegi, kyunki tumh jitni der baithoge, woh koi baat karenge, toh usse tumhe hikmat
25:57udana hi milegi, tumh gumraah hoge, toh tumhe hidayat mil jayegi, tumh tawbah karna chahate
26:02hoge, toh tumhare liye rastah ambaar kar denge, toh tumh unke majlis mein baithoge,
26:07toh Allah ki rahmat ke nuzool ki jagah par goya tum baith gaye ho, tum jitni der baith
26:12rahoge, tum gunahon se bachhe rahoge, neki ki taraf tumhe rahmat milti rahegi, tumhara
26:17dil badalna shuru ho jayega, jo jitna zyada ulama ki sohbat me baithta hai, ulama se muhabbat
26:24karta hai, toh wo utna hi zyada unse ilm ko paata hai, toh ilm ko jab paayega, toh laazmi
26:30baat hai, toh samajh aayegi, toh amal bhi better hoga, aur dekhiye kadhise mubarka mein
26:36ki aalim ko abid par azar, abdo par bhi fazilat aasil hai, ek aalim shehtaan ka mukablah abidon
26:43ke mukablah mein zyada betar tariqah se kar sakta hai, toh ilm ke cheete padte padte kuch
26:49samajh toh tumhe bhi aajayegi, asab-e-kaaf ke saath ek kutta saath mil jata hai, toh
26:55jab ghaar me muqeem hote hain, ab wo kutta na paak hai, wo uska kya taaluk insano se
27:02magar usne, wo unne nek logon ke saath juda raha, Allah ne uska zikr bhi kiya Quran-e-paak
27:08mein, uske betne takke andarz ko zikr kiya, toh ek hum na paak hai, gunaagaar hai, khatakaar
27:14hai, magar jab hum neko kaaro ki sohbat mein betenge, toh Allah unsohbaton ki barkat se
27:20hume bhi neki ki taufeeq ata karega, sohbat-e-saaleh tira saaleh kunat, sohbat-e-taaleh tira taaleh
27:29kunat, ki saaleh logon ki nek logon ki sohbat, tumhe bhi saaleh bana dekhe, aur bure logon
27:36ki sohbat mein betoge, toh buron mein hi shumar hoga, insaan apni sohbaton se pehchana bhi
27:42jata hai, phir uske andar khaslaten bhi wohi aa jaate hain, jo uske dost abab ki hoti hain,
27:49toh isliye koshish karein, ki ulama ki sohbat mein bete, main isliye baar baar kaungi ki
27:54hum yahan jab ilm ki fazeelat beyan karein, ulma ki fazeelat beyan karein, toh hum ulma-e-haq
28:00ki baat karein, ki jo deen se istara sarshaar hai, munawwar hai, jinka Allah ne seena kohl
28:07diya hai ilm se, aur unka amal uske ayn mutaabik hai, ba-amal hai, ba-sharia hai, toh yeh
28:14wo log hai jine hum ulma-e-haq kahte hain, aqaid mein mazboot hai, marfat rakte hain,
28:20Allah ki, Allah ki Habib ki, toh aise logon ke saath chand gharian bhi mil jayein, toh
28:25khud bait kar kitabe padhne se kahi zyada betar hai, even yaha tak aata hai ki nafli
28:31namaz rozon se bhi betar hai, ki aalim ki sohbat mein bait jao, taake tumhe ilm atao.
28:37Bahut pyaari wazaahat aapne ishaat farma di aapa, kyunki abhi yahi baat hai ki agar hum
28:42se koi baat poochi jaati hai, hum se murat koi bhi aisa shakhs, agar aapko wo baat nahi
28:48maalum hai, toh aap saaf sutr-e-andaaz mein yeh keh dijiye ki mujhe is baat ka ilm nahi
28:53hai, aap kisi ulma-e-haq se, yaani us insaan se, ya us shakhsiyat se, yeh jisko maalum
29:00hai, wo jiske baare mein humein maalum hai, ki yeh baat karein, toh wo haq hi ho, unse
29:05jaa kar pooch lijiye, toh ismein koi muzaayiqah nahi hai, bajaya iske ki aap uski ghalat
29:09rehnaumai karein, ghalat taalook se usse koi bhi baat aisi ghuma phira kar batayein.
29:13Saadi, aapki jaanein padhungi, deen-e-islam mein ulma ko jo fazilat hasil hai, jiske baarha
29:18humne guftu ki, is tanaazur mein ab unki zimmedaariyon par kalam kar lete hain, muqtasar jaayza
29:24farmaayiyega, kya zimmedaariyan hain?
29:27Bismillah-ir-Rahman-ir-Rahim.
29:29Ulma-e-karam ki zimmedaariyan, zimmedaariyon par baat karne se pehle, yaha main ek baat
29:34waze karun, abhi aapa bhi baat kar rahi thi ki, ulma-e-haq ki rah par chalna hai, ki
29:38Allah-e-Rabb-ul-Izzat humne bhi wo raaha ata karein, ki hum bhi deen-e-haq par kaamil
29:43tariqah se date rahein.
29:44Huzoor Ghoseb-aq radhi-Allah-u-taala, unhone ek aalim-e-deen ka imtehan liya, wo safar
29:49karke unke paas ponchein, to Huzoor Ghoseb-aq radhi-Allah-u-taala, unhone wudhu farma rahe
29:53thi, to aapne wudhu karte waqt, pehle naak mein paani daala aur phir kulli ki.
29:57To wo jab aaye, aapke saari shohrat sunkar aaye the, aapka ilmi maqam sunkar aaye the,
30:03to wo wapas jaane lage, to Huzoor Ghoseb-aq radhi-Allah-u-taala, unhone farmaaya, kisi kaam
30:06se aaye thi, kaha maine aapki badi shohrat suni thi, lekin jab maine dekha, to main to
30:10dekhkar hairaan rahi gaya, ki aapko to wudhu karna bhi nahi aata.
30:13To Huzoor Ghoseb-aq radhi-Allah-u-taala, unhone farmaaya, ki tumne kahan padha hai, usne
30:18kaha, ki aapko wudhu karna nahi aata, kyunke qali salat-u-as-salam ki sunnat-e-mubarakah
30:22mein, pehle kulli karna, phir naak mein paani daalna.
30:25To uske baad aapne hukam diya ki zameen usko pakad le, zameen ne usko pakda, pehle peht
30:49tak pakda, phir gale tak pakda, aapne ka lauhe mehpoos par bhi dikha du, lauhe mehpoos
30:53par dikhaaya, tab bhi yeh likha bhi aaya, pehle naak mein paani daalna, phir kulli karna.
30:57To uske baad phir usne kaha, ki na, main iss cheez ko nahi maanta, to phir aapne zameen
31:02ko hukam diya, ki isko chhodo, jab wo nikalkar bahar aaya, to aapne uske seene par haath marke
31:06kaha, jab tak ummat-e-muhammadiyah salat-u-as-salam mein, tu jaise aalim maujood hain, yeh ummat
31:12gumraah nahi ho sakti.
31:13Sarkaar ki sunnat mein, pehle kulli karna, baad mein naak mein paani daalna hi hai.
31:16To aapka ek imtihaan lehne ka andaas tha, yaani wo haq par hi date rahe, to jab ulama-e-karam
31:22haq par, har baat haq ki karna zaruri hai, ki phir aapko kisi ko nahi dekhna, ki kaun
31:27hai, aur aapne kis tanazoor mein baat kar rahe hain, aapko yeh, ki Allah-ur-Rabbul-Izzat
31:32ki maarfat hasil hai, Allah-ur-Rabbul-Izzat ki pehchaan, uski azmat, uski shaan, uski
31:36barai, uski raza ke liye bayan karni hai, to jo baat haq hai, us baat ko bayan karna
31:41hai.
31:42pehli baat yeh hai, ki hamesha haq baat karni hai, kabhi bhi kisi ke liye, ya koi bhi baat
31:46ghalat nahi karni.
31:47doosri zimmedaari humari yeh banti hai, ulama-e-karam ki, ki jo unke areas mein log hain, ya jo
31:54unki jaise khateeb hotein, imam hotein, to ab unki zimmedaari yeh hai, ki wo logon ko
31:58jode rakhein, aur itni sahil hasil guftugu karein, ki unke liye aasaan ho, wo samajhna.
32:04aur naujawaan nasil ke liye bhi zaruri hai, ki yeh jo ulama-e-karam hain, imam hain,
32:09inko chahiye, ki dars-o-tadrees ke aise majalis ko manakit karein, ki jismein wo aakar baithein,
32:15to unhe Quran-e-pak ka bhi fahim hasil ho, unhe hadees-e-mubaraka ka bhi fahim hasil ho,
32:19aur wo aasaan tariqah se samajh sakein, jis tarah se aaj hum dekhte hain, to dars-e-quran
32:24ki mahafiz sajiy hoti hain, to naujawaan nasil ko us taraf raagib karne ke liye zaruri hai,
32:28ki ulama-e-karam ka apna kirdar itna khubsurat ho, ki jab wo daawat deyin, to log usse khushi
32:33khushi qabool karne, baaz logon ka andaaz bahut saqt hota hai, to humari zimmedariyon mein yeh
32:37bhi aata hai, ki andaaz itna pyaara, itna polite ho, aur aapka bolne se pehle aapka kirdar hi bol raha
32:45ho, ki log aapki taraf raagib ho, aakar-e-salat-e-was-salam ki nabuwat aane se pehle 40
32:51saal peeche ki ayat-e-mubarakah ko dekha jaye, to logon ne aapko sadiq-o-hameen ke laqab se nawaza,
32:55aakar-e-salat-e-was-salam ki akhlaq ko dekh kar logon ne deen-e-islam ko qabool kiya,
32:59to ulama-e-karam ka kirdar itna khubsurat hona chahiye, ki aapka bolne se pehle hi log
33:04aapki taraf raagib ho jaye, ki jab iss shaks ko dekhne mein itni khushiye, to yeh bolte hoge,
33:08to kaisi feeling aati hoge, ya kis tarah se wo ilm dichawar karte hoge, ya ilm ko sikhate
33:13honge, to naujawan nasil ko apni taraf raagib karne ke liye zaruri hai, ke Allah aur uske
33:18habib ki batai hui talimat par amal karein, aur itne khalis tariqah se amal karein, ki aapka
33:24kirdar ki wo khushbu, doosron mein itni khubsurat andaas se deliver ho, ki unke andar bhi wo cheez
33:29bole, ki wo jinki majalis mein bete, unka noor unke andar aata hai, aur phir wo logon
33:34mein aage badhate hain, to sabse bada message yeh, zimmedaari yeh hai, ki jab hum apne
33:40area mein uski working karenge, to yahi wo bache hain, yahi wo naujawan nasil hain,
33:44ki wo nikalkar aur logon ki tarbiyat karegi, aur logon ki liye isla ka baiz banegi, sabab
33:50banegi, to Allaha rabbul izzat se dua hai, ki ulama-e-karam ki zimmedaari unko wo ada
33:55karein, aur dekhiye hamara kaam hai, dars-o-tadreez karna, ya unko samjhana, kisi ke peeche lathi
34:01lehkar nahi daudna, jo humne kai diya usko mano, Allaha rabbul izzat se dua hai, ki
34:06Allaha rabbul izzat dilon ko badal de, wo hidayat deta hai, to dil waise hi badal jate
34:12hu, aur phir yeh hidayat ka hi to netija hai, ki wo apne pyaaron ki sohbat nasib kar deta
34:16hai, to jab wo sohbat-e-naseeb ho jaye, to Allaha rabbul izzat ka shukr ada karna chahiye.
34:21Subhanallah, subhanallah.
34:22Doktor sahiba, aap tashreef lai, aapki aamat ka bahut shukri ada karungi.
34:26Sadiya, aapki aamat ka bahut bahut shukri ya, ulama-e-fazail ke taaluk se aaj ki bhaj
34:31mein guftu kii gayi.
34:32Bas baar baar humne yehi zikr kiya, ki ilm hasal karne wale ban jayiye, isse muhabbat
34:38kijiye, ilm ko bhailane wale ban jayiye, kyunki jab hum ilm ke saath judh jate hain,
34:44to hamari bhi kahi na kahi, humne wo baat maine baar baar padhi hai, aur mujhe bahut
34:49achi lagti hai, deen-e-Islam ka yeh paigam bhi hai, ki jab ilm ke saath judh jate hain
34:53aur ilm ke taalab-e-ilm ban jate hain, yaani taalab-e-ilm jab honge aur agar us dauraan
34:58aapko maut aagayi, to wo shahadat ki maut hogi.
35:01Allah mujhe aapko hum sab ko amal ki taufeeh khuta farmaye, ijazat deeje ka, assalamu
35:05alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.