• 2 months ago
#ishratulebad #mqmpakistan #ppp #pmlngovt #pti #imrankhan #pmln

Who will be joining Dr. Ishrat-ul-Ebad in the new political party...??? Ishrat-ul-Ebad Reveals
Transcript
00:00Right, space toh hai, lekin wo space ko purr karne ke liye, aapke saath saath kaun khadha hai, Ishrat sahab?
00:07Ji, bahut saare log hai aur badhe ache log hai, main waqt aane pe bata paunga.
00:12Kuch ache logon ka naam hume bhi bata de Ishrat sahab abhi se, taaki hume pata ho ke ache logon mein kaun kaun hai.
00:19Nee, ache log hai, jo samjhte hai soorte hal ko, jo mukhtelif subjects, jo iswa crisis hai, uske upar...
00:26Ache log Pakistan mein maujood hai, Pakistan se baahir hai, Ishrat sahab?
00:29Pakistan mein bhi hai, Pakistan se baahir bhi hai.
00:31Siyasat se taluk rakhte hain, ya siyasat se taluk nahi rakhte hain?
00:35Dekhe chahe siyasat se taluk rakhte hain, chahe reyasat se taluk rakhte hain, sabhi reyasat se taluk rakhte hain,
00:41lekin mera saath jo log hain, wo zahatar siyasat aur professional hain, matlab jo mukhtelif fields ke experts hain.
00:49Aur kya wo sirf Sindh se taluk rakhte hain, yo overall Pakistan se taluk rakhte hain?
00:54Nee, overall Pakistan.
00:56Toh aapki Jamaat karachi maqsoos siyasat mein maqsoos nahi hogi?
01:00Nee, nee, nee, dekhe masalah hai mulka, poore mulka, matlab aaj Faisalabad ki khabar aari thi,
01:06ke waha pe pressure industries par hai aur close down ho rahi hain, sahi hai, ghalat hai mujhe nahi pata,
01:12lekin ye khabar hai, poore mulk mein ye khabar hai,
01:17ke businesses effect ho rahe hain, electricity crisis hai, mehgaayi ho chuki hai.
01:23IPP's wala mahla hai, jispe abhi Jamaat-e-Islami hain,
01:27toh uske upar, uske upar koi solution leke aare hain, Ishaan sahab aap, koi hal?
01:32Kyunke, Ahsan Iqbal sahab ne kaahe hai, ki kiske paath hal hain, wo hamare paas aaye, discuss karein, let's solve this issue.
01:38Dekhein, ye toh government ka kaam hain, hal nikaalein, aur sabse hal poochein, aur jo hal bata raha ho,
01:46uske paas jaaye, pyasa jaata hai paani ke paas, mere paas hal maujood hain,
01:51aur main bahut teji, yeh koi committee-committee banani ki zaroorat nahi hai, yeh open and shut case hai.
01:56How so?
01:57Aur yeh, yeh fraud hai, aur isko, agar mere haath mein resolve karne ke liye,
02:06toh bahut swiftly aur quickly resolve kiya jaa sakta hai yeh, aur agar isko detail mein resolve kiya jaa hai,
02:15toh yeh fraud ke peethe hai, toh bahut saari cheezein aur khulengi.
02:18Money laundering?
02:19Kiski money laundering? Kiski taraf se money laundering? Kisne kiya?
02:24Dekhein, yeh toh aap saari file abhi khul rahi hain, yeh toh open and shut case hai, jitne bhi log hai.
02:34Open bhi kar lete hain, shut bhi kar lete hain, Ishrat sahab abhi humne baat karna shuru kar hi diye,
02:37toh let's open it and shut it.
02:39Nahin, dekhein, jitne bhi owners hain, abhi aap dekhein, ke baat hoti hai,
02:44ke foreign investment hai, toh aap zara jaa ke check kar le, 93% toh local investment hai, 7% foreign investment hai,
02:53accha aur 7% jo investment hai, wo bhi uski category zara different hai, wo uss type ki nahi hai,
03:00toh sovereign guarantee ki baat hoti hai, lekin jo basic issue hai, wo yeh ke performance audit nahi hai,
03:06aur koi bhi contract hota hai, uski dono parties under obligation hoti hain, certain conditions ki,
03:13toh yeh kahan ki, kaun se kanoon mein hai, hukumat jo hai, national exchequer se paise nikal nikal ke deti jaye IPPs ko,
03:25aur unko jo karna hai, wo na karen, toh unki, jo capacity aap de rahe hain, jo capacity charges de rahe hain,
03:33toh jo plants band hain, unko kyun de rahe hain, performance audit kahan hai, toh bahut saari cheez mein,
03:40aur yeh bada quickly resolve ho sakta hai, yeh mere saabse yeh committee, committee, aur yeh jo isko delay kar rahe hain,
03:47yeh naak de, yeh jee isko resolve kar rahe hain, aur yeh kiya jaa sakta hai.
03:51Right, accha Aishwar saab Pakistan kab baapas aa rahe hain?
03:55Bas Inshallah main process mein hua, bahut tezi se hum saari cheeze kar rahe hain, aur main chahata hu,
04:00ke kar kya hoon, aur main pehle bhi yeh baat.
04:02Chalo bataayi, isna dekho mahina hi de de, kya issi saal aa rahe hain, agle saal aa rahe hain?
04:06Aishwar la issi saal.
04:08Iss saal kaunsa mahina hoga, jis mahina aap wapas aayenge?
04:12Bas ab toh kami mahina rahe gaye hain, toh kami mahina mein hi aa jaoonga.
04:17Right, accha aap yeh samajh se Aishwar saab, ki aap Pakistan wapas aa jaye hain, toh aap yeh jo,
04:21aap muzaqaraat ki baat bhi kar rahe hain, aap ne Marwat saab se bhi mulaqaat mein yeh ka,
04:25toh aisi jo darja hararat hain, isko kam karne ki zaroorat hain.
04:28Will you be able to make them sit, ko bithaakar, aap baatsheet,
04:32wo jo intermediatory ki zaroorat hoti hain, wo ban sake hai?
04:36Dekhiyein, yeh abhi, aaj ki agar hum baat karein, toh yeh,
04:40mera khayal aap political stability ke hawala se baat kar rahe hain,
04:43aur bahut saare problems jo hain, wo by-product hain, political instability ke.
04:48Toh political stability ko jab aap achieve karna chahate hain,
04:54toh usmein, mere hi saab se, aaj ki surat-e-haal mein,
04:58isko sirf administratively handle kiya jaa raha hai,
05:03administrative and policing handle kiya jaa raha hai,
05:06ismein political component nahin hain, ismein smart management ki zaroorat hain,
05:10jismein zyada political component ho, aur phir zaroorat ke mataabik,
05:16aap administrative aur policing component bhi karnein,
05:21primarily, ismein political component ki zaroorat hain,
05:24jo ki grand national dialogues, aur political logon ka initiative leke,
05:31isko resolve karne ki zaroorat hain.
05:32Right, last question is sure tha, ab aapne kaha, aapke aane mein chandi mahine rahe gaye hain,
05:37toh mai safely presume kar sakte hain, ki at least do teen mahine toh honge,
05:40toh September, October, November toh gaya,
05:42toh approximately aap, agar mai apni calculation karu,
05:46toh December ke around, November, December ke around aayenge,
05:49kya tab tak hukumat hogi?
05:51matlab, inshallah issi saal, yeh toh maine jaise abhi aapko bataya ki yeh yeh cheezein hain,
05:58aur sustainability aur vulnerability ki baat ki humne,
06:02toh yeh thoda tha khich sakta hai time, agar government jo hai wo proactive ho jaye,
06:08aur war footing pe kaam karna shuru kar jae, thoda aur khich jayega,
06:13jo aaj ki surat-e-haal hai, yeh lamba time.

Recommended