• 3 months ago
#headlines #bangladesh #AliyaHamza #imrankhan #adialajail #hafiznaeemurrehman

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Official Facebook: https://www.fb.com/arynewsasia

Official Twitter: https://www.twitter.com/arynewsofficial

Official Instagram: https://instagram.com/arynewstv

Website: https://arynews.tv

Watch ARY NEWS LIVE: http://live.arynews.tv

Listen Live: http://live.arynews.tv/audio

Listen Top of the hour Headlines, Bulletins & Programs: https://soundcloud.com/arynewsofficial
#ARYNews

ARY News Official YouTube Channel.
For more videos, subscribe to our channel and for suggestions please use the comment section.
Transcript
00:00Bani PTI ka 9 Mai par mushroot maafi maangne ka alaan, kaha 9 Mai waqayat ki CCTV saamne
00:09laaye, mulzaman PTI ke nikle to party se nikaalunga, maafi bhi maangunga, suboodh kyu chhupa rahe
00:15hain?
00:16Mulzaman ki shanak karke kaifre kirdar tak pahunchaya jaye, Bani PTI ki adhiyala jail
00:20me sahafiyon se guftagu, kaha 9 Mai ke mutasreen hum hai, insaaf diya jaye, 9 Mai se darta
00:26to judicial commission ka mutalba na karta, mere ikhwa par mujhse maafi maangi jaye,
00:31paunch kaumi daar hai, iska tahafuz hum sabki zimmedaari hai, mul ki khaate baat karne
00:36ko tayyaar hu, lag raha hai, kuch bada hone jaa raha hai, Shehbaz, Nawaz, Zardari aur
00:41Mohsin Naqvi ke naam ECL me daalein, Haseena Wajid ki tarah faraar ke raste band kiye jaye,
00:46sahafi ne poocha, Sheikh Mujib ke mujasme tode gaye, wo ab bhi aapke hero hain, jawab
00:51diya, Sheikh Mujib par jo bhi baat ki, wo Hamudur Rehman Commission ki findings hain,
00:55meri nahi.
01:12Ek mujasme kya gira, aapne to imaan hi badal liya, aap to Sheikh Mujib ko hero maante the,
01:17wifaqi Wazir-e-Tilaat ata Tarar ki press conference kaha, PTI wale aap Haseena Wajid ki baat kar
01:23rahe hain, Sheikh Mujib ne taqseem paida ki thi, aap bhi taqseem paida karne ke qaail
01:28hain.
01:29Talal Chaudhry bole, Saniha-e-Nau-Mai ka itraf-e-jurm karne wala aap suboot maang raha hai, core
01:35commander house ke bahar Bani PTI ki behne, bhanja, party rahnuma maujood the, CCTV footage
01:41me core commander house ke bahar inke leader dekhe jaa sakte hain, inki siyasat hamesha
01:46se jalao gherao par mabni rahi hai, mashroot muafi se behtar hai, ghair mashroot muafi maang
01:51li jaye.
01:53CCTV footage jo hain wo saamne laayen, aur uske baad koi PTI ka shakhs mulawas hua, toh
02:09phir dekhte hain, CCTV footage jinke control mein hoti hain, jo utha ke leke jaa sakte hain,
02:13phir pooche unse.
02:14Humein malum hai, wo workers jo the, wo PTI ke the hi nahi, jo log yeh karne hain, matlab
02:18yeh hi toh sara hai.
02:20Bani PTI ne kaha hai, pehle CCTV footages saamne laayen, uske baad muafi ka dekhenge.
02:26Opposition leader Umar Ayub kehte hai, Bani pehle din se hi footages ki baat kar rahe
02:30hain.
02:31Humein pata hai, wo log humare karkun nahi the, chun logon ne CCTV footages ghaib ki.
02:36Inse poochha jaye, Qaima Committee Barai Khazana ke ishlaaz se walkout ke baad media se guftagu
02:41mein kaha, Bangladesh mein Haseena Wajid ka haal dekh le, yaha, yaha bhi yehi hoga.
02:47Jo marzi kar le, PTI ka raasta nahi rok sakhenge.
03:00Bani PTI aur Bushra Bibi ke khirafe 190 million pound reference hatmi marahil mein daakhil.
03:04Aakhri gawah, tafteeshi officer, Deputy Director Naib Umar Nadeem ki shahadat par juzwi jirah
03:10mukammal.
03:11Ab tak istaghasa ke 34 gawahan par jirah mukammal ki gayi.
03:15Aakhri gawah par jirah kal mukammal hogi.
03:17Ihtisab Adalat ne 14 gawahan ki shahadaton ko ghair zaruri karar dete hue samaat multavi
03:22kar di.
03:23Bushra Bibi ne bariyat ki darkhaaz daair kar di.
03:25Adalat ne fareeqain ko notices jari kiye.
03:36Khareebo ka banka Bangladesh ki uburi hukumat ka sarbara mukarrar.
03:39Talba Dr. Muhammad Yunus ko hukumti sarbara ban bane mein kamyab.
03:43Dr. Yunus kal Paris se dhaka pahunch kar half uthaenge.
03:46Airport par media se guftagu mein kaha, siyasat mere liye nai cheez hai.
03:50Vatan jaakar dekhna hoga ki halat ko kaise maamool par laaya jaaye.
03:54Kal tak uburi kabina ke naam bhi final ho jayenge.
03:57Bangladesh me Talba inkalab ke baad zindagi maamool par aane lagi.
04:01Talba tehreek ki dhaka me safai muhim, naujawan, jhaadu aur boriya lekar sarkon par jama kachra
04:06thikaane lagane lage.
04:08Kai dino ke hangamon ke baaz, jaga-jaga kachre ke dhir lage the.
04:11Bangladesh mein aaj bhi aam taateel hai.
04:23Mafroor Haseena Wajid, America aur Britannia se mayoos.
04:26Sabaikh Bangladeshi Wazir-e-Azam siyasi panah ke liye mutabadil raste talash karne lagi.
04:31Bharati media ne bataya, dono mulko mein siyasi panah lene mein naakami par Haseena Wajid
04:37ab Mutahid-e-Arab Imarat, Saudi-Arab aur Finland jaane par ghor kar rahi hain.
04:42Haseena Wajid ko Bharat farar huye 48 ghante guzar chuke, lekin abhi tak hatmi manzil ka taayun na ho saka.
04:48Peer ki sob Bangladesh ke Wazir-e-Azam House mein kya hua, Ameriki akhwad ne bata diya.
04:53New York Times ke mutabik, Peer ki sob, Barri, Behri, Fazaiya aur Police ke sarbara Wazir-e-Azam House pohnche.
05:00Haseena Wajid ne muzahireen par crackdown ki baat ki toh Fauj ne isse namumkin karar diya.
05:05Haseena Wajid iktidar chhodna nahi chahati thi.
05:08Dopahir 1 baje ke qareeb, Haseena Wajid ki takreer ki tayyari jaari thi.
05:12Lekin live nashriyat ke liye aanewala truck, Wazir-e-Azam House ke bajaye Army Chief ke daftar pohnch gaya.
05:20BANGLADESH
05:31Bangladesh ka abartaraf intelligence chief Behru ne mulk farar hote hue tayyare se pakda gaya.
05:36Major General Zia-ul-Ahsan ko tayyara rohkar ghariftaar kiya gaya.
05:40Al-Jazeera Investigation Unit ke rukun ka kehna hai, Major General Zia-ul-Ahsan par Mawarai Adalat katl aur Jabri Gumshudgiyon ke ilzamaak the.
05:48Social media accounts ki nigrani aur phone calls ki recording, Major General Zia-ul-Ahsan ki zimmedaari thi.
05:54Unhe Haseena Wajid ke intahai kareeb samjhaata tha.
05:57Haseena Wajid ka takhta ulatne ke baad, saabik Wizar-e-Afsaran ki pakkad dhakad bhi shuru ho gayi.
06:02Wazir-e-Kharja Hasan Mehmood aur Wazir-e-Mumlikat Barai Mawasla Junaid Ahmed Palak ko ghariftaar kar liya gaya.
06:08Opposition leader ne teen maah me election karane ka mutalaba kar diya.
06:12Pakistani hukumat aur awam Bangladesh ke awam ke saath khare hain.
06:27Umeed hai Bangladesh ke halaat tezi se maamool par aayenge.
06:30Bangladesh ki surat-e-haal par Pakistan ne pehla baazabata bayan jari kar diya.
06:35Wizar-e-Kharja ka kehna hain, yaqeen hai Bangladesh ke awam ka jazba aur itihaad unhe hum ahang mustaqbil ki taraf le jayega.
06:49Tariq-e-Insaaf ne election act me tarmeem, Supreme Court me challenge kar di.
06:52Kaladam karar dene ki istada.
06:54Chairman PTI Barrister Gauhar ne aayini darkhwaz daayir ki,
06:57Election Commission ko makhsoos nashisten doosri siyasi jamaaton ko allot karne se rokne
07:02Aur nashisten PTI ko allot karne ka hukum dene ki bhi istada.
07:05Tariq-e-Insaaf fahristein Election Commission me jamaat karwa chukki.
07:09Baara Juraay ke faisle ke baad makhsoos nashisten, Tariq-e-Insaaf ka haq hai.
07:21Election Act Tarmeem-e-Bill 2024 Tauseek ke liye Saddar Kaur saal.
07:25Senate Secretary te Tarmeem-e-Bill Saddar Asif Zardari kaur saal kiya.
07:29Senate aur Kaumi Assembly ne guzishta roz Bill ki manzoori di thi.
07:32Saddar Asif Zardari ki tauseek se Bill kaanuni shakal ikhtiyar ghar lega.
07:40Election Commission ne makhsoos nashistenon ki case me nazri saani appeal daayir kar di.
07:44Supreme Court se baara Juraay ka faisla wapas lene ki istada.
07:48Darkhwaz me kaha, Election Commission ne kisi adalati faisli ki ghalat tashreeh nahi ki.
07:53Aayin aur kaanoon ke mutaabik zimmedaari nibhai.
07:56Supreme Court aayin ke article 218 me mudakhalat nahi kar sakti.
08:00Aayin ki ghalat tashreeh par muaamla aayini idarae ko remand kiya jaana chahiye.
08:05Election Commission ne 39 arkaan ki had tak faisle par amal daramat kar diya.
08:09Tehreek-e-Insaaf case me fareek nahi thi, usko relief diya gaya.
08:13Azad arkaan ne bhi Supreme Court se rujoo nahi kiya.
08:16Sunni Ittihad Council ne election me hisa liya, na makhsoos nashistenon ki fahris jama karwai.
08:27Jab hum aa rahe hain, hum sab ki baat kar rahe hain.
08:31Aur isliye kar rahe hain ki yeh zaroori hain, warnah mar jayenge log.
08:34Koi shauk me aakar nahi baite hain.
08:36Tang aamat, bajang aamat, akar inhone bilkul bhi apne aap ko taftil nahi kiya, hum appeal karenge.
08:41Log phir bhi isliye ke phir lada na kar, hum yaha tak nahi jaana chahate.
08:45Hukumat aur Jamaat-e-Islami ke muzaqaraat ka chahta daur.
08:48Wazir-e-Dakhla, Mohsin Daqvi bhi muzaqaraat me shaamil.
08:51Lata Tarah ki sarbarahi me, hukumti committee me,
08:53Wipaaq-e-Wazir Ameer Muqam, Tariq Fazal Chaudhry aur deegar hukam shaamil.
08:57Mehngi, Bijli aur Texas ke khalaaf, Liaqat Bagh bhi Jamaat-e-Islami ka dharna,
09:01Terve Roz bhi jaari, Hafiz Naeem-ur-Rehman kahte hain.
09:04Hukumat ikdamaat kare, ailanaat se hum behlne wale nahi.
09:08Kal Mari Road par march karenge.
09:1011 Tariq ko Lahore, 12 ko Peshawar, 16 ko Multan me dharna hoga.
09:15Yeh phir bhi na maane, toh hum logon se puramn appeal karenge,
09:19ki Bijli ke bil na bharein.
09:21Karachi me Governor House par Jamaat-e-Islami ke dharne ka paanch baar roz,
09:25awaam ki badi taadaad me shirkar.
09:37PTI Rahanuma Aaliyah Hamza Gujranwala jail se reha.
09:40Aaliyah Hamza ki naumai muqaddime me, 31 Jalaay ko zamanat manzoor hui thi.
09:44PTI Rahanuma Aaliyah Hamza, wakala aur family ke saath jail se ghar rawana hui.
09:51For live UN video visit www.un.org

Recommended