Sawal Yeh Hai | Maria Memon | ARY News | 10th September 2023

  • last year
#elections #AhmedBilalMehboob #caretakergovernment #analysis #inflationinpakistan #INDvsPAK #AsiaCup2023

(Current Affairs)

Host:
- Maria Memon

Guests:
- Ahmed Bilal Mehboob (President / CEO - PILDAT)
- Ather Kazmi (Analyst)
- Haider Waheed (Analyst)
- Shahid Hashmi

Inflation Hike in Pakistan | How Do Governments Reduce Inflation? | Maria Memon's Report

PAK vs IND: What will be the revised target for Pakistan if rain washes out first innings?

"Awam ko sochna hoga kay wo...", Ahmed Bilal Mehboob

Experts' analysis on current political situation in Pakistan
Transcript
00:00 Asalam o alikum, program Sawaale ke saath main hu Maria Meeman.
00:06 Aaj ki top story is Aishrafiya is mulk ki isko kha gyi hai aur ab kuch mazeed khaane ko
00:10 bacha nahi hai.
00:11 Program ke pehle se main aapko bataayenge ki tamam siyasi jamaate aur tamam is mulk ki
00:14 stake holders yakeen nahi dilate hain ki is mulk me wo apne riyasat bacha rahi hain,
00:19 siyasat nahi bacha rahi hain.
00:20 Lekin der saal mein hum dikhaate hain ki kis tariqah se majmoohi taur pe Aishrafiya
00:24 ne khud ek doosre ko relief diya program ke pehle se.
00:27 Aaj ke baad mulk mein aitasab ki ek tariqh hai.
00:30 Aap dubara sun rahe hoon ge sun gun ki pehle aitasab hona chahiye hai phir intikhab hona
00:33 chahiye hai yeh azmooda formula hum 75 saal se dekh rahe hain aur har baar yeh pit jata
00:37 hai.
00:38 Zara ek timeline aapko dikhaayenge ki mulk mein kab kab kis kis hukmaran aur dictator
00:41 ne aitasab ka nara lagaya aur phir uska hashar hua kya is golden nara ka.
00:46 Aakhar mein Pak-Bharat mukabla dubara siyasat ki nazar ho gaya jo doosra match hai.
00:50 Abhi tak ki khabron ke matabik shuru hone ke imkaanat kam hai.
00:54 Let's see saade 8 baje mein malum hoga ki Pak-Bharat match dubara resume aaj hota hai
00:57 ya yeh kal jaayega saara baamla.
01:00 Aaghaas karte hain.
01:01 Kujhsar der saal mein am aur ameer tapke ko kitna relief mila hai.
01:04 Ab inke tamam talismati, krishmati nare zarur sunte honge ki khud kitni mushkilat kaat ke
01:10 yeh is waqt mulk ke mafaad mein, awaam ke mafaad mein kaam kar rahe hain.
01:14 Lekin haqeeqat iske bilkul barak se.
01:15 Haqeeqat yeh hai ki peechle sawa saal mein jis tariqh se is mulk ki elite ne ek doosre
01:21 ko relief diya hai, yeh jaante buchte ke mulk IMF ke karzon ke tale dabha hua hai.
01:26 Mulk ke is waqt mawashi maamlaat hai, wo isko dabho rahe hain.
01:29 Lekin inke alale talale, inke ek doosre ko relief dene ke silsile khatam nahi hua hai.
01:34 Mushkil aur bold faislae kiye hain, mazeed kare pade toh bhi karege.
01:38 Sabse bada mushkil faisla, sabse bada bold faisla, ek jahazi kabina banana tha.
01:43 Asi se zyada uske andar wuzra the, uske andar mushra the.
01:46 Keh kehkar sab log thaq gaye, optics ke khater hi, hum jaante hain ki yeh ek ittahadi haqoomat
01:51 hai, lekin khudara, is mulk ke awaam ko sirf ek peghaam dene ke liye hi kabina ki taadaad
01:56 chhoti kar dijiye.
01:57 Bohot zyada tankeed hui, lekin majaal hai kisi ne suna ho, wo kabina ka size chhota nahi
02:03 hua.
02:04 Iske alala jo mushkil aur bold faislae mazeed kiye, yeh aapko hum dikhate hain.
02:08 Sabse pehle toh ji, sarkari mulaazmeen ki tankhaon mein izafa kiya.
02:11 Bada mushkil faisla tha, bada bold faisla tha.
02:13 Aur 35% usme izafa hua, Supreme Court aur High Court ke judges ki tankhaon mein bhi 20%
02:18 izafa hua, jiske baad humne dekha ke judges ki tankhaon mein takribad 2 lakh se zyada
02:23 izafa ho gaya.
02:24 Yeh bada hi mushkil, bada hi bold faisla tha.
02:27 Iske baad dekha humne ke Chairman Knapp ki tankhaon mein izafa kiya jaata hai, aur unki
02:31 jo mraat hain wo Supreme Court ke judge ke barawar kar di jaati hain.
02:34 Aur yeh bhi ek mushkil aur bazaahir bota hi bold faisla tha, bada sochna padha hoga iske
02:38 upar.
02:39 Yeh bati memberan-e-assembly ke liye jo tarakkiyati funds te yeh badhaaya gaye, yeh jaante hua
02:45 ke is waqt mulk iska muttambil nahi ho sakta, hum subsidies bhi nahi desakte, hum extra
02:50 mraat nahi desakte, yeh funds release kiye gaye, yeh bhi bada mushkil aur bada bold faisla
02:54 tha.
02:55 Zahir si baat hai, ek ittihad ko qaim rakhna tha toh aise mushkil faisle toh karne padhenge
03:00 hi.
03:01 Mai 2023 mein maushri mushkilat ko nazar-andaas karte hua, memberan-e-assembly ke liye 20
03:05 arab ke tarakkiyati funds jaari kiye gaye, 20 arab rupe ke funds jaari hone ke baad memberan-e-assembly
03:10 ki scheme ka budget 111 arab tak jaa poncha.
03:13 July ke aakhri hafte mein hakumat ne jaate jaate apne memberan-e-assembly ke liye 51
03:17 arab ka tarakkiyati budget manzoor bhi kar liya aur Jugnu Mohsin sahiba khud, jo uswaqt
03:22 hakumati ittihad ke kareeb samjhi jaati hai, yeh unhone khud bataya ki kis tarike se paise
03:27 baante gaye hain.
03:28 Suniye.
03:29 Suniye, bande-bande ko pata hai ki pichle 16 mahine mein jo hakumat gayi abhi PDM ki,
03:36 usne ek-ek MNA ko ek-ek arab rupeya diya.
03:41 Hum Punjab mein kehte hain, "Ek pinne aaya paisa si, mang pinne ke liya si aaya mai
03:47 polo" kyunke inhone peshki election ka jo kharcha hai wo apne MNA ko dena tha apne saath
03:53 rakhne ke.
03:54 Suniye, koalition ko ekatha rakhne ke liye inhone yeh unko rishwat deni thi.
04:00 Suniye, ek aur muskil aur ek aur bold faisla ki apne MNAs ko saath rakhne ke liye rishwat
04:05 ke taur pe development funds badha kar diye gaye aur yeh khud Jugnu Mohsin sahiba aakar
04:09 television pe iska ittaraf kar rahe hain.
04:11 Iske alawa jo chhote-bhote projects hote hain, jaise Islamabad judicial complex zaruri hota
04:15 hai, lekin jab aap itni badi high drive chalara hai hun, is baat pe ki humne paisa bachana
04:20 hai, humare paas paisa hai nahi, jab waha pe paise kharch kiye gaye toh Shibaz sahab
04:24 se pucha gaya ki yeh funds kaun se aare hain, unhone usko mazaak me uda diya, unhone ka
04:28 yeh main alayda se bataunga, kaan me bataunga.
04:30 Agar sports complex nahi hai toh shamal kiya jaye, sports complex nahi hoga toh lawyers
04:36 complex nahi, koi hasiyat nahi hai, iske liye rakam kaun se aayegi, wo main aapko kaan
04:40 me bata dunga Inshallah.
04:42 Iske alawa humne dekha ki bureaucracy ke andar badi tezi se tarakhiya hui hain, unke andar
04:48 jo tankhaon ke badne ke ilawa, bahut zyada promotions bhi di gayi hain, yeh tamam maamlaat
04:54 jo hain, yeh isko is der saal ke andar tezi se mukamal kiya gaya.
04:57 Iske alawa petroleum dealers par bhi nawaaz shahat hui hain, har maushre ke har tabke mein
05:01 jahan jahan paisa banati hain, elite unhone khulke relief diye hain ek doosre ko.
05:05 Yeh aap dekhiye, PDM Ithahadi kummat ne apne daur iktidar mein, petroleum dealers ke margin
05:09 me 108% azafa karte hue 6 rupee tak poncha diya aur nigraan hukumat ke daur mein, petroleum
05:14 dealers ke margin 1.64 rupee fee liter aur tel companies ke margin 1.87 rupee fee liter
05:21 bhi badha diya gaya tha.
05:23 Iske alawa Punjab me nigraan hukumat ke hawale se aap dekhi rahe hui hain, aaj kal khabre
05:27 hain, ki jo judge sahibaan hain unko sood ke bagayar karze dene ki baat ho rahi hain,
05:31 to yeh sehra bhi is government ko hi jaata hai, yeh is pe bada itraaz ho raha hai, lawyer
05:36 community ke andar se itraaz uthra hai, ki aise waqt ke andar kya mulk mutahambil ho
05:40 sakta hai, lekin zahir si baat is mulk ki sharafkiyaan mein jo jo taluk rakhta hai, usko
05:44 kyu na relief mila hai, yeh bold aur sakhs faisle agar hukumat mein nahi karenge to phir
05:48 wo survive kaise karenge.
05:49 Iske alawa, yeh bureaucracy ke liye nai gaadiyon ki bhi manzoori di gayi, yeh bhi is pe bada
05:54 shor utha, lekin majaal hai jo itme se koi bhi ek kadam hai wo reverse hua ho.
05:58 Punjab ke 200 sarkari afsaraan ke liye nai gaadiyon thi, jisme 2 arab 33 crore rupee
06:03 ke kharajaat manzoor kiye gaye.
06:04 Aur aap yeh dekh sakte hain, mehk mehk khazana ki jaanab se yeh funds muntakil hua, protocol
06:09 to jab diya jaata hai, uspe kar kar digi agar betar na ho, to phir kya fayda aise hi naukri
06:15 ka, yeh uswaqt ek position li gayi thi.
06:17 To yeh jis jis ko jahan jahan mauka mila, usne parpoor tariqe se, is already aise mawashi
06:23 taur pe stressed mulk ko apne apne tariqe se isse hasl karne ki koshish ki hai, usme bureaucracy
06:29 peechhe kyu raha je.
06:30 Sugar mills, yeh to report ab saamne aagayi hai, aise to dhakki chhupi koi baat nahi hai,
06:34 yeh elite jo hai, yeh mafia jo hai, isne kaise relief liya six saal mein ji.
06:38 Dhulisht maali saal mein Pakistan ne 100 million dollar ki cheeni baramat kar di aur mulk me
06:41 cheeni ki keemat me 2 gana azafa ho gaya.
06:44 Sugar mill malikaan ne yakeen dhyani karwai thi, ki keemat 90 rupee rahegi, lekin keemat
06:47 badhne par sugar mill malikaan ke khilaf karwai nahi ki gayi.
06:50 Rava saal January me PDM Ijtihadi hakummat ne, adhai lakh ton cheeni baramat karne ki
06:55 manzoori de di thi.
06:57 So sugar mafia ne bhi, mashallah, khub paise banaaye.
07:00 Iske alawa hakummat ne apni tashheeri mohim ke liye, now this is very disturbing kyunke
07:04 yeh jo tamaam ishtiharaat television channels ke upar chale hain, isme saapka hakummat ki
07:09 naakamiyon ke baare mein bataya jaata raha hai, yeh bhi sarkari paise se hi hua.
07:13 Ke 9.6 Arab rupee taqseem kiya gaya, campaigns ki madh mein aur mukhtalif jo media ke upar
07:21 apne bayaniye ko tarveej dene ki madh ke andar.
07:24 So iska bhi saara hisaab saamne hai, yeh Secretary Pilate saab ne peesh kiya.
07:27 To yeh hakummat jo is doraan bhikul paise nahi thi, naak se keer karne hi thi, bold aur
07:31 risky faisla karne thi, to yeh bada bold faisla kiya.
07:34 Aur risky faisla bhi tha, bazaahir bahut zyada.
07:37 Dollar ki keemat mein utaar chadhao, yeh mafia peechhe kyu rahe ji?
07:42 Inone bhi bharpoor tariqe se munafa kamaya poore ek saal mein.
07:46 September, October 2022 ke doraan, dollar ki keemat mein utaar chadhao ke zari agar kanuni
07:50 taur par faida utha kar mulk ke 8 bade bankon ne 56 Arab rupee kama liye the, mashallah
07:56 jaha jaha elite ko mauka milta hai, wo apna waha par haath maarne ki koshish karta hai.
08:01 UNDP ki report jo saamne aayi hai, yeh saara kaccha chatha khol deti hai, sharma bhi nahi
08:05 aati, 2016 mein jab yaha se UNDP ke numainde gaye the, to jate ho ek mazmoon likar chale
08:10 gaye the, aur unhe bataya ki kaisa is mulk ki isharaafiya, is mulk ko noch noch ke khaa
08:14 rahi hai, UNDP ki yeh report bhi is baat ko dubara reaffirm karte hai.
08:18 Yeh report kehti kya?
08:19 Yeh report kehti hai, ki ameer tareen afraad ki jaraadari hai is mulk mein.
08:23 Pakistan ke ek peesad ameer tareen log, poore mulk ke 9 peesad paise ke malik hai.
08:28 Yeh ameer tareen log, 168 Arab ki tax chori karte hai, aur iske saar saar tax me khususi
08:34 raiyat bhi hasil kar lete hai.
08:36 Jagirdaro ki jo jaraadari hai, isme Pakistan mein jagirdaro ki kulta daadabadi ka sirf
08:42 ek ashaari ek peesad hai, lekin yeh mulk ke 22 peesad farm area iske malik hai.
08:46 Jagirdar parlimani nizam ka hisa ban kar aisi kanun saazi kar wate hai, jo inke wafadaat
08:50 ka tafuz kar sake hai, aur wo tax bacha sake.
08:53 Yeh saal 2017-18 mein Pakistan ke jagirdaro ne 370 Arab ka faida uthaya hai.
09:00 State owned enterprises kyu peeche rahein isare maamle mein?
09:02 Udhar bhi kuch risky aur bold faisle ho hai, wo kya hai?
09:05 Ji wo kuch yu hai, ki state owned enterprise bureaucracy ki madad se ek saal me 120 Arab
09:10 rupee ki subsidy hasil kar leti hai, yeh bhi UNDP ki report kehati hai.
09:15 Majmui taur par mukul pressure groups 2660 Arab rupee ki raiyat hasil karte hai, jo ke
09:20 mulki GDP ka 7 peesad bante hai.
09:24 Aapko, hume awaam ko kya mila?
09:26 Aapko batate hain awaam ko kya mila ek sawa saal ke andar.
09:29 Aap sab bahut acchi tariki se jaante hain, ke sawa saal pehle aapki kuvate kharid ke aati,
09:33 sawa saal pehle aapki bills ke aati hai.
09:35 Yeh kuch yaad karane ki zoorat hai toh nahi, lekin phir bhi chalein, isko ek refresh kara
09:39 dete hain.
09:40 Yeh mengaayi ki jo bdhtiwi sharah hai, wo 16 peesad se 48 peesad ho gayi hai guzashta
09:45 ek saal me.
09:46 Yeh aapke liye tohfa hai, yeh aapke liye gift hai iss government ka.
09:51 Petrol 150 rupee se 306 rupee fee liter ho gaya, Bijli ki fee unit keemat 17 rupee se 55
09:55 rupee tak pahunch gayi, gas ki keemat me 112 peesad azafa ho gaya, budget me jo naya money
10:01 mini budget aaya aur jo naye taxes ke bojh dale gaye wo 215 Arab ke naye tax aap pe laga
10:06 gaye.
10:07 Dedh saal me dollar 182 rupees se badh kar 306 rupee tak ho gaya hai.
10:13 Aur yeh hai is poore mulk ki andar, yeh sawa saal toh is poori tarif miss ek chota sa chunk
10:19 hai, 75 saal se hi yeh ho raha hai, is mulk ke joh sharafiyah hai, chahe jitn bhoore haulat
10:23 ho, riyasat, siyasat, siyasat, riyasat ki bhaise ke dauran wo apne relief manage kar leti
10:28 hai.
10:29 Aur lagta hai ki abhi bhi state ki priorities kuch aise hi hain.
10:31 Mare saath program ke pehle se me Ahmed Bilal Mahboob sahab me majood na hai, sir bara hai
10:34 PILDAT ke bahut shukriya sir me join karne ke liye.
10:36 Ahmed sahab yeh jo maine poora ek report card padh ke suraya, yeh hume UNDP baar baar kehta
10:43 hai, yeh humare mulko ke jub negotiation table pe baithte hain, IMF hume yeh kehta hai, poori
10:48 duniya mein jaha par bhi wo tamam financial institutions jaah se Pakistan ko imdaad hasal
10:52 karna hai, wo unhe baar baar batata hai ki aapke mulk ki elite, aapke mulk ki sharafiyah,
10:56 unka size trim kare, unko jo aap subsidy dete hain usko kam kare, unko jo relief dete hain
11:00 unko kam kare, lekin Allah ke shukr jo hai, Allah ke karam se humne wo karna nahi hai.
11:06 Aur abhi bhi jo UNDP ki latest report aayi hai, wo isi baat ki taraf sharaf karte hai.
11:13 Ji bahut shukriya, Maria yeh ek established fact hai humare mulk mein aur yeh aapne to
11:22 sawa saal ki baat ki hai, aapne sahi yeh bhi indicate kiya hai, ki yeh to humare pichle
11:27 75 saal mein yeh sinsla jaari raha hai, jab tak humare siyasat ke upar, ya faisla karde
11:36 wale logon ke upar, ashrafiyah ka galba rahega, aur aam log apna wazan mehsoos nahi karayenge,
11:45 yeh ashrafiyah ka galba qaim rahega.
11:47 Uska tariqa to yeh hi hai, ke apne awam, bhajaye in logon ki mohabbat pe griftaar hoke, jazbaat
11:54 pe in logon ko vote dene ki bhajaye, yeh taye karein ki yeh inone vote kisko dena hai, aur
12:01 kis maqsat ke liye dena hai, jab tak yeh log apne vote ko sirf chand jazbaati naron ke
12:08 iwaz dete rahenge, aur yeh nahi dekhenge ki yeh policy ya kya hai, aur inke faisla kya
12:14 hai, aur iske faida kisko hora hai, us waqt lak ke cheeze nahi badalne wale.
12:19 Ek toh humare mulk mein talib ka haal bhi patla hai, lekin shahoor jo hai, wo bhi unfortunately
12:25 nahi hai.
12:26 Toh main samayta hu ke yeh awam ko ab waqt aagaya hai, ab yeh humare haan, pehle toh
12:32 bahut ek nishle level pe bilkul gharib log hote the aur yaar bilkul jise aap ashrafiyah
12:38 karein hai, wo hote the, nekin ab Allah ke fazal se ek middle class hai, jo sizeable
12:43 middle class ubar ke aari hai, yeh jo bechaini is bhakt hum maashray mein dekh rahe hain,
12:49 iski wajah sabse badi yeh hai, ke ek middle class hai, jo iskisam ke ashrafiyah ke atwar
12:55 se mutmain nahi hai, wo parishan hai, wo isko usse khush nahi ho rahi, toh unki jo bechaini
13:02 hai, wo aapko nazar aa rahi hai isfakt maashray mein, aur yeh jo log hai, yeh purane tariqi
13:06 aazma ke, soch rahe hain, kam ek baar phir kaamiaab ho sakte hai, mere khal ab shayad
13:11 nahi ho sakte hai, ab yeh bechaini ko door karne ka tariqa yeh hi hoga, ke aapko kaafi
13:16 basic kism ki fundamental tabdiliyaan lani padegi, apne zizam ke shahsi party ke...
13:22 Lekin Ahmed sahab abhi hum dekh rahe hain, aaj bhi press conference ki caretaker set
13:25 up ne, ruzana wo me batate hain, ke humne falani jagah pe smuggling ke jo thikane hain,
13:30 waha pe humne raid maara, yeh jo hum dekh rahe hain, ke sakhti is wakht haqoomat kar rahi
13:36 hai, yeh aapko ghate hain, is this the way to go forward, ya yeh fire fighting hai,
13:41 yeh cosmetic upar se kiyeve ek damat toh zaroor ho sakte hain, kuch wakhti taur pe
13:46 zaroor keemte bhi stabilise ho jayenge, maamlaat wakhti taur pe thodi dir ke liye beter ho
13:50 jayenge, lekin structural issues ke upar koi fark padega is tarah ki karwaayon se?
13:55 Lekin emergency ke taur pe toh yeh theek hai, hum jab bhi karte hain...
14:00 Ab mazruf ke saath, Ahmed sahab me bhi break pe jaana hai, breaking news hai, sir bhas
14:03 wapas lotte hain toh pis topic ho continue karenge.
14:09 Welcome back, corruption ho rahi hai, siyasi class corrupt hai, iss hawaale se jo humara
14:14 narrative hota hai, jo main discourse hota hai siyasat ke andar, yeh aaj ki baat nahi
14:18 hai, yeh 75 saal se hum sun rahe hain.
14:20 Aur iske tackle karne ke liye humne baar baar dekha ki yeh nara lagaya gaya, ke pehle aittasab
14:25 hoga aur phir intikhab hoga.
14:28 Dubaara kuch aisi chehmagoeyan hum sun rahe hain, yeh baat kahan se aa rahi hai, yeh
14:32 kis ki khwahish hai, kya aisa hoona chahiye hai, kya maazi ki galtiyon ko humne dubaara
14:36 dohraana hai, yeh aittasab aur phir intikhab ka nara koi pehli martaba humne nahi suna,
14:41 yeh iski origins hum aapko agar batayen toh yeh dictator ki playbook se iska aagaz hota
14:45 hai.
14:46 Waise Pakistan me toh usse pehle bhi aittasab ka zikr hota hai, lekin 1977 me pehli martaba
14:51 humne dekha ki General Zia-ul-Haq sahab ne 1977 me election jab multavi karne the toh
14:55 usse pehle aittasab aur phir intikhab ka nara lagaya tha.
14:59 Aur uske baad hume maloom hua hai ke phir hua kis, mulk ki tarikh hume aapko dubaara
15:03 yaad karane ki zaroorat nahi hai.
15:05 Yeh usse bhi pehle, yeh Liaquat Ali Khan sahab ke daur me bhi yeh guftabu shuru ho gayi
15:10 thi.
15:11 Aur kaise?
15:12 Yeh aapko batate hain, ke 14 January 1949 ko pehli kanunsaz assembly ne awami numaayndon
15:16 ki naaheli se mutaalik aittasab ke liye pehli kanunsazi ki aur Proda Act 1949 manzoor kiya
15:22 tha.
15:23 Aur Proda Kanun ke taht 1949 hi me Punjab ke Wazir-e-Ala Nawab Tukhar Mamdot ke khilaf
15:29 karwaai ka aagaz hua aur unhe ghar bhej diya gaya.
15:32 Wazir-e-Azam Liaquat Ali Khan ko daur me hi Sindh ke Wazir-e-Ala ko corruption charges
15:38 par farek kiya gaya tha.
15:40 Aur 6 saal ke liye unhe naahel bhi kiya gaya tha.
15:43 1954 me taham Proda Act ko khatam kar diya gaya tha.
15:46 Phir aaye ji Dictator General Ayub Khan sahab aur unka ek neya aittasabi agenda bhi unke
15:53 saath aaye.
15:54 Usme kya hua?
15:55 Dictator General Ayub Khan ne March 1959 me public offices naaheli order yaani podo
16:00 naafis ki aur baad me usse tabdeel karke ABDO yaani ki Elective Bodies Disqualification
16:05 Order bana diya tha.
16:06 Is kanun ke taht takreeban 75 siyasi rehnumaon ke khilaf karwaaiyaan shuru ki gayi.
16:11 Jinn me Qayyum Khan, Hussain Shaheed, Sohar Waddi bhi shamil the.
16:14 ABDO kanun ke taht Dictator General Yahya Khan ke daur me bhi karwaaiyaan jaari rahi.
16:19 Zulfiqar Ali Bhutto sahab ka daur aata hai.
16:21 MashaAllah is mulk me jitne bhi siyasi jamaatin hain wo bhi sahulatkari ka kaam karti rahi.
16:25 Unhone bhi chun chun ke apne mukhalafin se badle liye.
16:28 Qayyum Khan sahab ke daur me, 1976 me, Holder of Representative Offices Act or the Parliament
16:35 and Provincial Assemblies Disqualification for Membership Act jo hai, isko naafis kiya
16:41 gaya tha.
16:42 Phir aate hain ji Zia ul Haq sahab, jinki humne wo aapko uss mashoor-e-zabana line aitasab
16:47 aur phir intikhab batai.
16:48 Aur inhone mashaAllah lagane ke baad aitasab ki purane qawaneen ko jai rakhne ki bajaye,
16:53 Holder of Representative Office, yaani Punishment for Misconduct Order aur Provincial Assemblies
16:58 ke Disqualification of Membership Order hai, iske naam se do mutnaaze qawaneen bhi naafis
17:03 kiye the.
17:04 Aur uska maqsad yehi tha ki siyasi jamaaton ko cut to size karke unhe siyasi amal se bahar
17:08 rakhna.
17:09 Iske baad 90 ki dihai to usse bhi sharab naak waqt hai, johape siyasi jamaatin alakaar banke
17:14 ek doosre ki tange khenjti rahi aur siyasi amal se ek doosre ko nikalne ki koshish karti
17:19 rahi.
17:20 Bhutto sahab me ki baad Zia ul Haq sahab aur 1990 me Sadr Ishaq ne corruption aur akraba
17:25 parwari ke ilzamat lagaakar Benazir Bhutto sahiba ki muntakhe waqoomat uswa khatam kar
17:31 di thi aur ek koi 1.5-2 saal baad yehi elected government ko ghar bhej diya gaya tha.
17:35 1993 me fir Benazir Bhutto sahiba ke daur haqoomat me bhi sharif kandaan ki khilaf takreban
17:41 1.5 so cases banaye gaye the.
17:43 Yeh siyasi daan hi ek doosre ka itisabh karte rahe us zaur mein aur baad me unko phir Charter
17:47 of Democracy karna padha tha.
17:49 1996 me Nigran Wazir-e-Azam ne ek itisabh ordinance naafis kiya aur Justice Retired
17:54 Mujaddid Mirza ko itisabh commissioner tayinat kar diya tha.
17:57 Aur 1996 me dubara Sadr Farooq Laghari ne corruption ke ilzamat par Benazir ki haqoomat
18:02 khatam kar di thi aur unhone itisabh ordinance naafis karke itisabh ka amal shuru kar diya
18:08 tha.
18:09 1997 me Wazir-e-Azam Nawaz Sharif ne itisabh act manzoor karwaakar itisabh cell kaim karwaaya
18:14 aur mashoor-e-zamana apne kareebi saathi Saif-ur-Rehman sahab ko iska sarbaraa mukarrar kar diya
18:20 tha.
18:21 1998 me itisabh cell ka naam tabdil karke baqaida phir ise itisabh bureau kaha gaya aur
18:28 phir People's Party ke rehnamaon ke khilaf sahafiyon ke khilaf karwaayon me uswaq tezi
18:32 lai gayi thi.
18:33 Aur uswaq People's Party ki qiyadat ko sazaa dene se mutaalik Saif-ur-Rehman sahab, Justice
18:38 Qayyum sahab kya kaha karte the?
18:40 Aur fun fact aapme se bahot saare log jo bahot chote hoon shayad unko yaad na ho, hume baqaida
19:08 yaad hai ki 1990s me Junoon Band ka ek gaana aaya tha itisabh ke naam se.
19:12 Aur uswaq jo ki itisabh ka nana bohot popular tha toh yeh gaana banaya gaya aur yeh gaana
19:16 itna mayoob thaira, itna nagawar thaira, ke phir isko ptb se ban bhi kar diya gaya tha
19:23 kyunki uswaq sirf ptb hua karta tha.
19:24 So at least 90s se humari generation toh itisabh ke baare mein sun rahi hai.
19:28 Phir aaye Musharraf sahab, Musharraf sahab ne aake apna lamba choda agenda diya, unhone
19:31 bhi pehle itisabh aur phir intiqab ki baat ki.
19:34 Aur 99 me unhone martial law ke baad, wo emergency ka karte the isko, lekin ab obviously ek
19:39 martial law hi tha, NAB ordinance nafis kiya gaya aur qaumi itisabh bureau kaim kiya gaya
19:44 aur NAB ke is kanoon ko aaj tak siyasi rehnamaon ke khilaf istimaal bhi kiya jata raha hai.
19:49 So Pakistan ke andar ek choti si jal kaam ne aapko dikhayi ki itisabh phir intiqab ka
19:54 jo ek dictator ki playbook se aaya hua nara hai yeh har dahai mein dubhara ubhartha hai,
19:59 isko waqti toh taro pazeerai milti hai, isko siyasi maqasat ke liye istimaal kiya jata
20:03 hai aur wo teh desired results hasal karne ke baad yeh itisabh koi passe push toh chala
20:07 jata hai.
20:08 So ab dubhara hum itisabh, itisabh ki guftu gufth sun rahe hai, zara yaad karana zaruri
20:12 tha, khas taur pe naujawan nasal ko, jisko shayad yaad na ho, kis mulk mein itisabh ke
20:15 naam pe kis tarah se politics ko manipulate kiya gaya.
20:18 Atar Kazmi sahab mar saath maujood hai, Haider Waheed sahab maujood hai, baap dono shaksiyaat
20:23 ka bahut shukriya.
20:24 Atar aapko gaana yaad tha yeh, janoon wala?
20:26 Yaad hai yeh ban ho gaya tha TV ke upar.
20:29 Yeh yeh ban ho gaya tha, yeh ussi daur mein PTV mein ban ho gaya tha aur ussi daur mein
20:33 ek jo hai baad mein abhi Chairman Tehreek-e-Insaf mein wo bhi ban ho gaya tha.
20:37 Unko bhi PTV pe dikhana mana kar diya gaya tha.
20:39 Inke concerts pe bhi ban ho gaya tha, bhi toh yeh tha ki pata nahi yeh itisabh ke jo
20:42 gaana gaar rahe hain, but it was very interesting mujhe.
20:45 Yeh wo zamane mein stories the na, ki zardari sahab ne ko PM house mein ghode rakhe mein
20:48 aur agar yeh gaana aap pura sunen toh usmein aap dekhte bhi hain ke ghodun ko khaana khilaya
20:52 jaa raha hai, lekin wohi ek narrative, jo ek narrative humesha yahan build kiya jaata
20:59 hai, jab bhi aapne jamuhriyat ko kisi tariqaise bhi malayin karna hai toh aap usko itisabh
21:02 ke saath jodne ki koshish karte hain, ke jo bhi jamuhri doh rahe hai, wo corrupt hai.
21:05 Dekhe masayil har jaga pe hote hain, agar aap Bharat ki Parliament dekh lein toh 50%
21:09 waha pe MPs aise hain jinn ke upar kisi na kisi kisam ke cases hain, agar aap unki riyastun
21:14 mein dekh lein kahin pe, iss se bhi zyada tanaasab aap ko milega.
21:17 Lekin aaj Bharat kaha pe hai aur hum kaha pe hai, itisabh toh waha pe bhi hota hoga, idarae
21:22 karte hain, lekin jis tariqaise democracy ko iss mulk mein gali banane ki koshish ki gai,
21:27 toh aaj aap dekh lein ke G20 jo hai, wo hua Modi se sahab milne, humein bataya gaya ke
21:32 Bilawal sahab aur Shehbaz sahab ne aise kamal safaratkari kiya hai aur padha nahi kya ho gaya,
21:37 lekin wo jo hum dekh re hain, wo nazar aa raha hai, wo jo result hai, wo ek system ki
21:42 continuation hai, wo jumuriyat ki continuation hai, yaha pe again agar aap itisabh ke naam
21:47 pe kuch aisa karna chah rahein, toh mere khayal mein iss se Pakistan koi nukhsaan hoga, par
21:51 ab kya yeh awam buy karegi, mujhe nahi lagta ki ab yeh nara awam buy karegi.
21:55 Theek hai Haider sahab, kya aap bhi itni optimistic hai, ke yeh jo itisabh ka nara dubara sun rahein,
21:59 halki halki bhi shuru hui hai, sun gun, mera khal hai ek teaser, ek feeler se iss sa
22:03 humein manzar hai, aap pe nazar aaya hai, yeh isliye yaad karana zaruri tha, ke yeh har
22:07 saal baad logon ko yeh ek umeed dilayi jaati hai, ke ab toh itisabh hoga, ab aapko lagta
22:12 hai, ke login vikeen karte hai, iss narrative pe?
22:16 Theek hai, Atar sahab ki iss mein malumat hum dono se zyada hai, kyunki ek unki umar
22:21 hai, aapne khudi ka, kuch logon ho sakta hai, yaha pe aisa hai, jhunne yeh poori taariyat
22:26 jo hai, wo jee nao mere khal se, usmein aur aap aayenge, lekin baaral padhi zaruri hai
22:30 humne, aur yeh bhi kaha jaa sakta hai, ke baaki mein, this is like a broken record, matla
22:37 aapne khudi dikha diya, poori aapne badhi ache, I have to commend yourself and your research
22:42 team, aapne saara bilkul dikha diya, this is the same thing, matla kehte hain, isko
22:49 TV pe mahmuman kaha nahi jaata, lekin its like the same old wine in a new bottle, literally,
22:56 aur hum har dafa, we do fall for it, fall for it ka yeh matlab nahi hota, ki hum usse
23:04 accept kar lete hain koi dil se, lekin accept hum kar lete hain amal se, aur kyunki phir
23:10 aage jaake silsila isi tara chalta aaya hai, achcha hota agar yeh aitisab, ek siyasi aitisab
23:16 hota, jo awaam har 4-5 saal pe kar rahi hoti, 5 se meri murati, jo bhi term, jis bhi oday
23:24 ki hai, toh wo oday ki agar political consequences honege, kisi bhi act ke, agar toh awaam ke
23:33 masayal ko neglect karna jo hai, uske political consequences honege, agar toh court ke orders
23:39 na manne ke political consequences honege, yaani ballot pe aapko maar padhegi yeh sab
23:44 karne se, agar aap ayin todenge, jiske daire mein aur jiske tehd hi aapko parliament bheja
23:49 le, agar aap ayin todenge, jab aap idaro mein baite honege, jo idare banayi ayin se hain,
23:54 aur phir waha pe, jo hai aapko maar padhegi ballot pe unh logon ko, jo aitisab nahi karte
23:59 aise logon ka, jo idaro mein baite ke ayin agar todete hain, toh phir yeh shayad aitisab
24:04 aisa hota, jis se aaj Pakistan ek beter position mein hota, problem aitisab ki nahi, aitisab
24:09 toh legal bhi hona chahiye, aur corruption pe bhi hona chahiye, aur siyasi bhi hona chahiye,
24:14 lekin aitisab ke naam pe political engineering nahi honi chahiye, aur aapne dekha off late,
24:20 aap dekh lein, ke aitisab pehle hoga, yeh toh Nawaz Sharif sahab safar kar chuke hai abhi,
24:25 bahut poori tarah kar chuke, agar unka bhi aitisab ki baat, jab Panama bhi hua tha, agar
24:31 election ho jate, aur unhe free and fair tariqa se ladne diya jata, toh pata chal jata ki
24:36 kya aitisab, kis cheez ka, kis hattak hona chahiye.
24:39 Aur usse bhi zyada agar hum maazi kareeb mein aaja aaye aatar, Imran Khan sahab 2021 mein,
24:45 balke 2022 ke aagaz mein unki popularity, aur 2023 ke baad unki popularity, agar toh
24:51 naturally election apne 5 saal baad hune dete, toh shayad PTI ke liye election ladna bhi muskil
24:55 ho jata, aur yeh hum nahi unke apne MNAs kehte hain.
24:58 Sir ek second, Atar ko input lein.
25:00 One last thing on this, Maria, please.
25:02 Dekhein, mai sirf yeh keh rahe hoon, problem kya hoti hai, yahaan pe mai thoda sa PML Noon
25:07 ke haq mein yeh baat zarur kaunga, ke dekhein agar mai bhi unki jagah ghara hota aur mujhe
25:12 pata hota, ke kisko mila ke jo hai, wo Chairman PTI ne agli 5 saal kis tarah le lene the, uss
25:18 waqt jo lag raha tha.
25:19 Dekhein hindsight is 2020.
25:20 Koi yeh soch nahi sakta tha, ke Khan sahab ek itni ordinary premiership ke baad, failed
25:26 premiership bhi kuch kaha sakte hain, log uske baad aake itna political narrative unka mazboot
25:31 ho jayega, aur PML Noon ki political strategies fail ho jayengi, is had tak yeh baat predict
25:36 nahi ki ja sakti thi, lekin yeh zarur hai, ke uss waqt yeh lagta tha, ke agar roka nahi
25:41 gaya PTI ke Chairman ko, toh yeh 5 saal jo hai, wo ghalat tariqe se phir le jayenge, aur yeh
25:47 baada mushkil ho gaya tha PML Noon ke liye, yeh accept karna, ke unki ab saare log jailo
25:51 mein jayenge, unko khazaai bhi hoti.
25:53 Par yeh bhi Haider sahab, wo dekhein na jo chherd chhad hai, ussi ka natija hai, ke agar
25:57 aap sab apne aayini adood ke nader kaam kare, toh shayad hum iss juncture pe aate hi na
26:01 ha, jahan pe doh shaksiyaat aapas pe mil kar kuch bhi kar sakti, agar agar jamuri processes
26:08 chalte rahenge, toh phir yeh toh debate hi nahi hogi, ke shaksiyaat jo hain unki upar
26:12 depend nahi kar.
26:13 Abaam ko aitisabh karne de pehle toh abaam ke hi banaye weh idaare hain, jo phir kaanuni
26:17 aitisabh bhi karte hain, aur wo unki dairaiqaar mein wo nahi rahenge, toh phir jo parlimaan
26:24 mein log unhe dairaiqaar mein nahi rak sakte, toh unka bhi aitisabh jo hai wo abaam ko karna
26:28 hain, chig ke Pakistan mein abaam nahi kar diya, aitisabh wo nahi aaj tak kiya.
26:33 Yeh hi unfortunate baat hai, bilkul aur aatar yeh jo abhi humare paas maujooda siyasi jamaate
26:37 jis shakal, jis hai, jis taur, jis ke andar maurusiyat bhi hai.
26:41 Ab shayad thoda thoda Pakistan Tariq-e-Insaaf ke jo log hain, unko bhi andaza hua hai, ke
26:46 jo maurusiyat iss waqt baaki siyasi jamaaton mein hain, wo issi wajah se hain, kyunki
26:50 jamuri amal ko chalne nahi diya gaya.
26:52 Hum yeh samjhte hain ke maurusiyat problem hai, shayad problem wo chher chhar hai, jis
26:58 ke natije mein yeh maurusiyat aati hai.
27:00 Dekhiye problem yeh ki jis tarah bhi aapne kuch humare doston ke bayanaat waghara sunayi,
27:04 toh iss tarah ke few wise men hain na, jo chand akalmand aadmi hain, kabhi wo siyasi jamaat
27:10 mein hote hain, kabhi wo doosi siyasi jamaat mein hote hain, wo jo yeh bayaniya banate hain
27:14 na, aur wo yeh samjhte hain ke usse masaal ka hal hoga, wahan se masala shuru hota hai.
27:18 Siyasi jamaat mein problems hongi, Nawaz Sharif sahab mein problems hongi, lekin ab hum yeh
27:24 genuinely hope kartein ke jail mein baith ke Khan sahab bhi soch rahe honge ke kahin
27:28 na kahin Nawaz Sharif se bhi zyati hoyi hongi, iss system ke andar.
27:31 Ab unhone bhi seekhna yeh, unka challenge hai ki unhone seekhna, ya phir unhone PDM ki
27:35 tarah seekhne ke wajahein, totally opposite direction mein chale jana hai.
27:39 Ab masla kya hua yahan pe, masla yeh hua hai ki hamesha se leaderan ke saath system takraata
27:43 tha.
27:44 System jab leader ke saath takraata tha, leader peechhe aata jata tha.
27:48 Iss defa suratiyal yeh rahi hai ki ab jo bhi yeh nizam hai, wo aur awam aamne saamne khade
27:53 hogi.
27:54 Ab agar Imran Khan sahab wo yeh kahtein ki wo apna bayaniya change kar denge aur wo kahin
27:58 pe compromise kar denge, Imran Khan ki siyasat, Chairman Tehreek-e-Insaaf ki siyasat us din
28:02 khatam ho jayenge.
28:03 Ya mulk chod ke chale jayenge.
28:05 Wo mulk chod ke jayenge, unki siyasat us din khatam ho jayenge.
28:09 Ab yeh masla kisi ek leader ka nahi ra.
28:12 Ab iss defa jo hai na awam ne dekh liya hai ki kis tariqe se cheezon ko manipulate kiya
28:16 jata hai.
28:17 Sehasi log karte hain, jistra bhi hota hai.
28:19 To ab yeh masla awam ka hai, ab ab dekh lein kal GB ka election hua.
28:23 Total kitne vote padein, kisi ko 4000, kisi ko 5000, kisi ko 6000, 24 gante ho gaye, nateeja
28:28 nahi aara.
28:29 Dekhe saath wale chaand pe pahunch gaye aur hum 24 gante me 30,000 vote nahi gind sakte.
28:34 Matlab ab kab tak awam ke shahoor ki aisi tauheen karenge.
28:37 To yeh jo few log faisle karte hain band kamroon mein, inko sochne ki zaroorat hai ki jo
28:41 stakeholders hain, genuine stakeholders hain.
28:43 Usme Nawaz Sharif sahab mein hai, wo bhi aaye, wo bhi elections karein, deegar jo log hain
28:46 wo bhi aaye, elections mein hissa lein, jisko awam elect karein, ab unko karne deyen.
28:50 Yeh filter jab tak nizam nahi hoga, yeh tab tak isi tarah rega.
28:54 Aur aakhri baat karunga yeh nizam sirf aur sirf, ek surat mein drost ho sakta hai, 5 saal
28:59 ki ek genuine democratic aqoomat, baagtyaar democratic aqoomat, wo isko sahi path pe daalegi,
29:05 masayil ka halp, nahi nahi, sahi path pe daalegi, jisme koi interference na ho, wo starting
29:10 point hai.
29:11 Kya uske liye hum tyaar hain?
29:12 Mujhe nahi lagta ki abhi hum uske liye tyaar hain.
29:14 Uske liye tyaar bhi, lekin Haider sahab, ek bahut badi jo iska counter argument hai, wo
29:17 yeh ki jab hum baat karte hain, ki aitasab jo hai, wo hona chahiye, awam karein, lekin
29:22 jis tariqe se phir jo grift hai, siyasi jamaaton ki bhi, wo aitasab na hone deti hain?
29:26 Abhi maine isse pehle bataya ki kis tariqe se wohi cabinets pe bete hain, har jagah bete
29:30 hain, apne aap ko relief bhi dete hain, apne aap ko subsidies bhi dete hain, toh yeh
29:34 aitasab phir ka amal kaise hoga?
29:40 Kya awam ke paas itni choice hai, ya unke paas wo agency hai, ki wo logon ko us basis pe
29:44 elect karein, ke jiski basis pe wo aitasab karein?
29:46 Nahi, lekin wo vote to Pakistan me us tarah kabhi gine nahi jaate, ki wo waqit kar paayin
29:51 aitasab.
29:52 Toh mera toh nahi khalke hum uske kahin kareeb kareeb bhi hain, us jagah ke awam kisi ka
29:58 aitasab karne ki position me ho.
30:00 Haan yeh factor zarur hota hai, awam ka vote, ek aap agar popular leader hain, toh usse aapko
30:05 zahir hai ke phir deal karna padta hai, definitely kabhi kabhi zyada sakti se, kabhi kabhi kuch
30:09 aapko dena bhi padta hai.
30:11 Lekin mera toh nahi khal is wakt ke awam kisi bhi position me nazar aari hai, ke wo kisi
30:16 kisam ka aitasab kisi ka kar sake.
30:18 Toh mera khal se toh abhi zyada important yeh hai, jo ek nizam hamesha se Pakistan me
30:24 chalta hai, wohi chalta nazar aare hai, jisme taqab ka sardeshma awam nahi hai.
30:30 Aur humne dekha, 2018 ke election me bhi repeatedly humne dekha, 90s me aur phir zahir-e-marshal
30:36 law ke daur toh hain.
30:38 Toh kab aap mujhe bataein, ke kab awam ki suni gayi hai isme, aaj ki toh aap baat kar rahi
30:43 hain, lekin kab suni gayi hai.
30:45 Ek dafa bata.
30:46 Nahi, theek baat hai.
30:47 Let me cap this by saying one thing though, ke jab bhi election hua hain 1970 ke ilawa,
30:55 aisa nahi hua ke iktidar end me usko milao, jisko aap keh rahe hoon, ke nahi yeh toh jeeti
31:01 nahi sakta tha, yeh tohli jeeta hai.
31:03 Matlab jab Nawaz Sharif sahab two-thirds se bhi aaye the, toh yeh nahi tha ke koi keha
31:07 sakta tha, ke nahi PPP jeeti thi aur wo nahi jeeta thi.
31:10 Toh kahi na kahi awam ki bhi, joye woh, jis simt awam chal padhti hai, toh kahi na kahi
31:15 suni bhi padhti hai, aur jo planning bhi hoti hai, I think usko thoda dekh ke toh hoti
31:19 hai.
31:20 Toh yeh nahi hai ke bilkul bhi nahi awam ko koi dekha jaata, lekin zahir hai ke final
31:24 se awam ki nahi.
31:25 Acha hai, bohot chukriya.
31:26 Humare saath Atar Kazmi sahab, Haider Waheed sahab, Mohit Jaita sahab ka jo bayaniya hai,
31:30 dubara hum dekh rahein ke usko re-introduce kiya jaa raha hai.
31:33 Toh zarra maazi ki examples lekar, unko dubara humne refresher course diya hai apne viewers
31:37 ko, ke yeh maazi mein formulae ab aazmaayi jaa chuke hain, koi itni kamiyabi mili nahi
31:42 hai, aur kais partaba kamiyabi milne ki imkaanat hai, lagta nahi hai, agar maazi ki galtiyon
31:46 se seekhe.
31:47 Break pe jaayenge, wapas aayenge, Pak-Bharat match, dubara multavi ho gaya hai, kal ek reserve
31:51 day hai, kal match 2.30 bhaji khela jaayega, lekin kitna hi sharamnaak baat hai, ke arbo
31:56 log is khel se pyaar karte hain, lekin isko siyasat ki nazar kar diya jaata hai.
32:00 Break ke baas pe baat karenge, humare saath rahein.
32:02 Pakistan aur Bharat ka final four stage ka match hai, yeh bhi aaj baarish ki nazar ho gaya.
32:09 Baarish ki nazar kya hona hai, toh yeh siyasat ki nazar ho gaya hai, ek aesa khel jisse is
32:14 karte ke karodo awaam pyaar karte hain, usko aap iske tarah shamelessly manipulate karein
32:18 sirf aur sirf political posturing ke liye.
32:20 Yeh aesa hua hai, aesa kiya hai, Bharat ne, Jai Shah ne, jo ke Amit Shah ke bete hain,
32:26 lakon karodon jo yahaan par shaykeen hain, unki umeedon pe paani phira hai, aaj ke liye
32:31 yeh match postpone hua hai, kal ek reserve day hai, dekhte hain, kal bhi baarish ki forecast
32:35 hai, yeh match hota hai, ya nahi hota hai, iss se jude joh revenues hote hain, joh broadcasting
32:40 rights hote hain, joh tamam iss se jude ek maishat hai, uska bhi nukhsaan hota hai, lekin
32:45 khair, jiski takat uski bhenz, aesa hi lakta hai, ki Pakistan jo hai, usko is waqt Bharti
32:51 Board ki ishaaron ke hawaalaih se hi, apna agla laimal banaana hoga.
32:55 Shahid Hashmi sahab humare saath maujood hai, bahut shukriya Shahid sahab, sabse pehle
32:58 toh jade yeh batayiye, ke jab bhi Pak-Bharat match khela jate hai, usse jude ek maishat
33:02 bhi hoti hai, jab pichle match nahi hua, toh bhi nukhsaan hua hoga, advertisers ka bhi
33:07 nukhsaan hua hoga, broadcasters ka bhi most probably nukhsaan hua hoga, aaj bhi jo match
33:11 hai, yeh toot-toot ke ho raha hai, kal aaj hota hai, nahi hota hai, toh iss se toh jude
33:15 bahut saare paise bhi hai, maishat bhi hai, phir bhi siyasat haavi aagayi maishat ke upar?
33:21 Bilkul aisa hi hai, takriban jo 350 crore upe ke broadcasting rights hai, iss Asia Cup
33:27 ke 85% revenues Pakistan-India ke match ke, doh match toh hone hi the, aur final ki bhi
33:33 tawakku ki jaare the, isliye revenue badhe, toh pehle match pe takriban 75 crore Indian
33:39 Rupees zaya hua, ek neem ke nukhsaan pe, aur iss match me bhi pehle din ke achche khaase
33:44 nukhsaan hoga, ab peer ke din, yaani kal match ka reserve day hai, lekin kal bhi forecast
33:48 hai, baarish ki, aur yeh Bharat ki har dharmi thi, jo dry zone tha, Sri Lanka me Hamban
33:53 toota aur Dambulla, waha par khelne ke liye isliye tayyaar nahi hua, ke waha hotels achche
33:58 nahi hai, waha pe jaana bahut mushkil hai, 7-8 ghante ki drive karne ke baad paushne hai
34:03 waha pe, toh yeh har dharmi hai, iska khamiyaaza sab ko bhugatna padha hai, woh Asian countries
34:08 hai, ya broadcaster hai, aur end me insurance company jo insured karte hai sbore tournament
34:14 ko, uska Diwaliya mujhe lagta hai nikal jaayega.
34:17 Yeh nahi na kahi aapko lag raha hai, bhikos yeh kisi bhi samajhdaar ya sane shaks ko samajh
34:23 nahi aayega, ke yeh decision liya kyu gaya, jab ki akar aapne Sri Lanka me khelna hi hai,
34:27 toh aur venues maujood, kya jaanbooj ke sabotage bhi kiya jaa raha hai, bhikos yeh toh jaanbooj
34:31 ke lag raha hai, ke is poore tournament ko kharab karna hai.
34:34 Bilkul rib hai, har dharmi hai, aur jaanbooj karke bhi aap keh sakte hai, jab Pakistan Cricket
34:40 Board ke Management Committee ke pishle chairman Najam Sethi ne kaha tha, ke aap Sri Lanka me
34:44 na khelen, se ki yeh baarishon ka season hai, aap UAE me khelen.
34:48 Toh Asian Block ko poore ko unhone apni taraf kar liya, Bangladesh ko UAE me dharmi lagne
34:52 lagi, as if unhone apni saari zindagi Switzerland me cricket khe liye.
34:56 Sri Lanka ne unhone ko hosting rights milne the, hosting fees milne the, isliye unhone
35:02 kaha ki nahi, humariya kara le, Afghanistan bhi Bharat ki taraf ho gaya, unhone sab ne
35:06 Pakistan ko akela chod diya, aur Bharat ne phir apni zyare manmani ki, aur yeh tournament
35:11 Sri Lanka me le gaya. Palakali me jab baaris ki wajah se pehla match mutasir hoya, toh
35:15 uss waqt unko kaha gaya, ki Hambantuta aur Dambulla me match kara le, aur Sri Lankan Cricket
35:19 Board ne Pakistan Cricket Board ko email bhi kar di, ke saare matches Hambantuta shift
35:23 ho gaye, lekin wohi manmani, wohi main na manu ki rut, aur phir Colombo me leke aaye, aur
35:27 abhi Colombo me aage bhi bharish hai.
35:29 Toh abhi kal kya hoga, kya pehle jo aaj khabrein thi ki shayad 20 over ke khel hoga, eventually
35:35 jab bhi match resume hoga, aur 181 ka calculation aarey thi, ki agar Pakistan bat karte hai,
35:40 toh 181 runs banane honge. Agar match kal pe chala gaya, toh ab kya hoga, kyun ka kal
35:45 bhi baarish hai.
35:46 Wohi surat me hota, agar yaha thoda-thoda match possible ho jata, toh phir Pakistan ko
35:51 20 over ka, ya 24 over ka, ya 34 over ka target milta. Jab yeh umpires ne decide kiya, 34
35:56 over ka khel hoga, yaani Bharat ko 9.5 over aur batting karni hai, aur phir Pakistan 34
36:02 over me revised target chase karega, ki ekdum se baarish aagayi. Ab kal wahi se match shuru
36:07 hoga, jahaan pe khatm hua, yaani 24.1 overs ki batting India ne karli, uss point se India
36:13 apni batting dubara shuru karega, bas sharta hai ke baarish na ho.
36:17 Acha, aur neken kal baarish ki forecast hai, toh kal bhi match hone ki kitne percent chances
36:22 hai, kal match na hua, toh phir dubara ek ek point de diya jayega. Aur is it fair ke
36:27 khaali do teamon ke liye reserve day, woh jo baki teams hain, unke agar matches me baarish
36:31 hogi, toh unke liye toh reserve day nahi, yeh toh bada ghar mutawazan sa ek faisla hai.
36:36 Woh hi wali baat hai ke Might is Right aur doosre boards ne bilkul koi chun charaan bhi nahi
36:42 ki, unhone jab chun charaan karne ki koshri ki toh unhe bataya gaya ke aapko jo share milega,
36:46 woh mainly Pakistan India ke match ki wajah se milega, isliye hum reserve day rakh rahe
36:50 hain, toh aap bilkul khamush rahe hain, balke Sri Lankan Cricket Board se aur Bangladesh
36:54 Cricket Board se tweet bhi kara di gayi, ke hum sab on board hai, humein nahi chahiye
36:58 reserve day, hum toh masoom hai, humein paise chahiye, humein reserve day nahi chahiye,
37:02 aap India Pakistan ka reserve day, humne mutually agree kiya hai.
37:06 Toh Might is Right ki baat hai, poora Asia Cup become a farce aur istana nahi hona chahiye,
37:12 ek accha continental tournament hai aur warm up hai world cup ki liye, lekin isko apni
37:16 ana ki zid, ana ki bhed chada diya.
37:18 Is match ke lawa kya aage, mustakbil me Asia Cup me ki Pakistan aur Bharat ka koi aur
37:23 match hone ke imkanat hai, yeh calculation kya kehti hai?
37:26 Yeh hiye chance hai, ke Bharat apne matches jeete, Pakistan apne matches jeete aur 17
37:30 September ko final ho, final me Pakistan India ka ek aur match ho, uska bhi reserve
37:36 day 18 September hai, aur unn dino me bhi Colombo me barish hai.
37:41 Unbelievable, bahut shukriya, shahid Hashmi sahib aaye saath maujood the, Asia Cup jo usko
37:46 mukamal taur pe siyasat aur barish ke nazar hota hu, hum sab log dekh rahe hain, lekin
37:50 koi kuch kar nahi sakta hai, yeh hi is mukt me, jo cricket ke khel ke saath bhonda mazaak
37:56 hai, is khitte ki log cricket se bohot pyaar karte hai, lekin lagta hai ke ab yeh Jai
38:00 Shah ki wajah se badbhakti aagayi hai, is mulk me, is khitte me, cricket ki jo aage, jo
38:06 raste hain, jo iske aage prospects hain, wo itne roshan dikhai dehi nahi rahe hain, khas
38:11 taur pe Asia Cup ki context me.
38:13 Programme kab khatam ho gaya, apna feedback dana mat booleyega, khayal rakhi, khuda hafiz.

Recommended