• 6 years ago
TITLE: [शराब] के विभिन्न प्रकार | शराब कैसे बनती है? | शराब में पाए जाने वाले (alcohol) की मात्रा | daru kaise banti hai | #alcohol

ABOUT VIDEO: Namaskar dosto mein hu akshay suryawanshi aur swagat hai aapka humare is youtube channel "stay healthy at home" par, dosto aaj ki is video mein meine discuss kiya hai ki (sharab) kitne prakar ki hoti hai, isme kitni matra mein (alcohol) paya jata hai aur (daru) ko banane mein kya istemal hota hai.

Dosto hum sabhi jante hai ki aaj kal log (daru) kitna peete hai aur iski vajah se unki health kharab hoti hai aur upar se unki life bhi barbad hoti hai, isi ko madhya najar rakhte hue (sharab) ke prati logo ko jankari ho isiliye mein ye video series shuru ki hai aur yeh pehla video hai.

1. (Beer) :

dosto (beer) ko banane mein gehu aur makka ka istemal hota hai, aur isme 3 se 30 % matra mein (alcohol) mojood hota hai, jis mein se (light beer) mein 4 % aur (strong beer) mein 8% (alcohol) mojood hota hai.

2. (Wine) :

dosto (wine) ko banane mein falo ka istemal kiya jata hai, jisme sabse jyada pramukh hai angoor. dosto wine mein 9 se 18 % (alcohol) paya jata hai, is (daru) ka production France mein hota hai. iske do prakar hai, red aur white wine.

3. (Whisky) :

dosto (whisky) ko banane mein jo aur gehu ka istemal kiya jata hai, isme 30 se 65 % (alcohol) paya jata hai, Scotland mein iska jyadatar production hota hai aur (whisky) ko scotland mein scotch kaha jata hai. iske bhi do prakar hai.

a). Malt whisky (ye ankurit anaj se banayi jati hai aur yeh acchhi aur mehngi hai)

b). Grain whisky (ye bina ankurit anaj se banayi jati hai)

4. (Brandy) :

(brandy) whisky ko aswit karke banayi jati hai aur isme 36 se 60 % (alcohol) paya jata hai. ye jyadatar european countries mein istemal hoti hai.

5. (Rum) :

dosto (rum) ko ganne ke ras se banaya jata hai aur isme 40 se 70 % (alcohol) paya jata hai. ye jyadatar caribbean aur latin america mein istemal hoti hai.

6. (Vodka) :

(vodka) aloo se prapt hue starch se banayi jati hai aur isme 40 se 60 % (alcohol) paya jata hai. ye jyadatar europe aur Russia mein istemal hoti hai.

iske alawa mahua, nariyal adi se bhi (sharab) ka nirman hota hai.

Goa mein "Feni" naam ki (sharab) kaju se banai jati hai, Mexico mein "agev" namak paudhe se (sharab) banayi jati hai aur Japan mein chawal se "Sake" namak (sharab) banayi jati hai.

Toh dosto mein umeed karta hu ki yeh video dekhne ke baad aap samajh gaye honge ki [sharab ke kitne prakar hote hai, isme kitni matra mein alcohol paya jata hai aur isse banane mein kya istemal hota hai].

Topics covered for this video:

1. sharab ke prakar
2. sharab kitne prakar ki hoti hai
3. types of sharab
4. types of alcohol in hindi
5. types of alcohol in india
6. types of alcoholic drinks
7. madira
8. sharab kis chij se banta hai
9. sharab kis cheez se banta hai
10. sharab kis tarah banti hai
11. sharab kis se banti hai
12.

Recommended