• 8 years ago
mery seeny ki dharkan hen meri ankhun k taary hen Hindu Reciting Qasida e Mola Ali as
MERY seeny ki darhkan hen meri ankhun k taary hen
MERY seeny ki darhkan hen meri ankhun k taary hen
sahara be saharun ka nabi k wo dhulary hen
samajh kar tum faqat apna unhen taqseem mat karna
ALI jitny tumhery hen ALI utny hamary hen
falak sy jo utar aya zameen ka wo sitara ha
jissy samjha nahen koi khuda ka wo ishara ha
NABI noor e khuda ha to ALI noor e NABI samjho ......
na is sy kam ganwara tha na is sy kam ganwara ha...
sabaq tum ny muhabat ka har ik insan ko sikhlaya
muqadas rasta dy kar deen dunia men phelaya
huye qurbaan tum us k ishary par mery maola mery maola ALI MAOLA ALI MAOLA
samandar dard ka andar mager men pee nahen sakta
lagy hun laakh pehry par labun ko see nahen sakta
ALI walo ALI k ishq ki ye dastan sunn lo
ager ali ka zikar na ho to ye banda jee nahen sakta

Recommended