• 9 yıl önce
Click Show More & Get Full Noha Writeup\r
(Haaye Mere Abbas) x4\r
(Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi) x2\r
\r
Aale-Imraan Kahaan, Aur Zindaan Kahaan Ye Behen Qaid Huwi, Tu Na Aaya Ghazi\r
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
\r
1:-\r
Hamko Paani Na Mile, Teri Khushbu Toh Rahe\r
Tere Baazu Na Kate, Chaahe Mashkiza Chhide\r
Yeh Magar Ho Na Saka, Tere Baazu Hai Judaa,\r
Mujhpe Hai Tashna-Labi, Tu Na Aaya Ghazi\r
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
2:-\r
Dhup Mai Tu Thaa Shajar, Tujhse Aabaad Thaa Ghar\r
Hai Barehna Mera Sar, Kya Nahin Tujhko Khabar\r
Ay Alamdaare-Wafaa, Is Behen ko bakhuda\r
Tujhse Dhaaras Thi Bari, Tu Na Aaya Ghazi\r
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
3:-\r
Aagayi Shaam-e-Alam, Lutgaye Ehle-Haram\r
Ret Par Jalti Huwi, Hogaya Thanda Alam\r
Pursaa Dene Ke Liye, Mujhse Milne Ke Liye\r
Aagaye Baba Ali, Tu Na Aaya Ghazi\r
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
4:-\r
Kya Kahun Sher Mere, Beridaa Hamko Liye\r
Ye Musalmaa(n) Saare, Shehr dar Shehr Gaye\r
Khilqate Kufa Kabhi, Khilqate Shaam Kabhi\r
Aur Haa(n) Ham Pe Hassi, Tu Na Aaya Ghazi\r
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
5:-\r
Kitni Bebas Thi Behen, Ai Shehenshaahe Wafaa\r
Naam Leleke Mera, Jab Ye Zaalim Ne Kahaa\r
Naaz Tha Jispe Tujhe, Ab Bulaaona Usse\r
Aur Mai Roti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
6:-\r
Qaid Khaane Mai Qazaa, Jab Sakina Ko Mili\r
Deke Kurte Ka Kafan, Bacchi Dafnaayi Gayi\r
Us Ghari Naam Tera, Surate Naade-Ali\r
Dukh Mai Dohraati Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
7:-\r
Roya Rehan Kalam, Karke Yeh Baat Raqam\r
Khun Mai Dub Gaya, Mere Ghazi Ka Alam\r
Zakhmi Zainab Ka Jigar, Khun-Fishaan Shah Ka Sar\r
Aaye Khaimon Mai Shaqi, Tu Na Aaya Ghazi\r
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi\r
\r
(Tu Na Aaya Ghazi) x2\r
\r
Effort by Ishtiaq Hussain Diek

Önerilen