• 8 years ago
Om Shree Sai Chalisa

Pahle Saai Ke Charano Mein, Apanaa Shish Namaau Mein l
Kaise Shirdi Saai Aaye, Saara Haal Sunaau Mein. ll
Kaun He Maata, Pita Kaun He, Yah Na Kisi Ne Hi Jaana l
Kaha Janam Sai Ne Dhaara, Prashn Paheli Raha Bana. ll

Koi Kahe Ayodhya Ke Ye, Ramchandra Bhagavaan Hai l
Koi Kahta Saibaba, Pavan-Putra Hanuman Hai. ll
Koi Kahta Mangal Murti, Shri Gajaanan Hai Sai l
Koi Kahta Gokul-Mohan, Devaki Nandan Hai Sai. ll

Shankar Samajh Bhakt Kai To, Baba Ko Bhajte Rahte l
Koi Kah Avatar Datt Ka, Pooja Sai Ki Karate. ll
Kuchh Bhi Maano Unako Tum, Par Sai Hai Sachche Bhagvaan l
Bade Dayaalu, Deenbandhu, Kitano Ko Diya Hai Jivan Daan. ll

Kai Varsh Pahle Ki Ghatna, Tumhe Sunaaunga Mein Baat. l
Kisi Bhagyashali Ki, Shirdi Me Aai Thi Baarat. ll
Aaya Saath Usi Ke Tha, Baalak Ek Bahut Sundar l
Aaya, Aakar Vahi Bas Gaya, Paavan Shirdi Kiya Nagar. ll

Kai Dino Tak Raha Bhatkata, Bhiksha Maangi Usane Dar-Dar l
Aur Dikhaai Aisi Leela, Jag Me Jo Ho Gai Amar. ll
Jaise-Jaise Umar Badhi, Vaise Hi Badhati Gai Shaan l
Ghar-Ghar Hone Laga Nagar Me Saai Baba Ka Gunagaan. ll

Dig-Digant Me Laga Gunjane Phir To Saiji Ka Naam l
Deen-Dukhi Ki Raksha Karna, Yahi Raha Baba Ka Kaam. ll
Baba Ke Charno Me Jaakar, Jo Kahta Mein Hu Nirdhan l
Daya Usi Par Hoti Unaki, Khul Jaate Dukh Ke Bandhan. ll

Kabhi Kisi Ne Maangi Bhiksha, Do Baba Mujhako Santaan l
Evam Astu Tab Kahakar Sai, Dete The Usako Varadaan. ll
Svayam Dukhi Baba Ho Jaate, Deen-Dukhijan Ka Lakh Haal l
Antahkaran Shri Saai Ka, Saagar Jaisa Raha Vishaal. ll

Bhakt Ek Madraasi Aaya, Ghar Ka Bahut Bada Dhanvaan l
Maal Khajaana Behad Uska, Keval Nahi Rahi Santaan. ll
Laga Manaane Sai Naath Ko, Baba Mujh Par Daya Karo l
Jhanjha Se Jhankrit Naiya Ko, Tum Hi Meri Paar Karo. ll

Kuldipak Ke Abhaav Me, Vyarth Hai Daulat Ki Maaya l
Aaj Bhikhari Ban Kar Baba, Sharan Tumhari Mein Aaya. ll
De Do Mujhako Putra Daan, Mein Rini Rahunga Jivan Bhar l
Aur Kisi Ka Aas Na Mujhako Sirf Bharosa Hai Tum Par. ll

Anunay-Vinay Bahut Ki Usane, Charno Me Dharke Shish l
Tab Prasann Hokar Baba Ne, Diya Bhakt Ko Yah Aashish. ll
'Alla Bhala Karega Tera,' Putra Janm Ho Tere Ghar l
Kripa Hogi Tum Par Usaki, Aur Tere Us Baalak Par. ll

Ab Tak Nahi Kisi Ne Paaya, Saai Ki Kripa Ka Paar l
Putra Ratn De Madraasi Ko, Dhany Kiya Uska Sansaar. ll
Tan-Man Se Jo Bhaje Usi Ka, Jag Me Hota Hai Uddhar l
Saanch Ko Aanch Nahi Hai Koi, Sada Jhooth Ki Hoti Haar. ll

Mein Hu Sada Sahaare Uske, Sada Rahunga Usaka Daas l
Sai Jaisa Prabhu Mila Hai, Itani Hi Kam Hai Kya Aas. ll
Mera Bhi Din Tha Ek Aisa, Milati Nahi Mujhe Thi Roti l
Tan Par Kapda Dur Raha Tha, Sheshh Rahi Nanhi Si Langoti. ll

Sarita Sammukh Hone Par Bhi Mein Pyaasa Ka Pyaasa Tha l
Durdin Mera Mere Upar, Daavagni Barasaata Tha. ll
Dharati Ke Atirikt Jagat Me, Mera Kuchh Avalamb Na Tha.l
Bana Bhikhaari Mein Duniya Me, Dar-Dar Thokar Khaata Tha. ll

Aise Me Ek Mitra Mila Jo, Param Bhakt Sai Ka Tha l
Janjaalo Se Mukt Magar Is, Jagati Me Vah Mujhasa Tha. ll
Baba Ke Darshan Ki Khaatir, Mil Dono Ne Kiya Vichaar l
Sai Jaise Dayaamurti Ke, Darshan Ko Ho Gaye Taiyaar. ll

Paavan Shirdi Nagari Me Jaakar, Dekhi Matvaali Murti l
Dhany Janm Ho Gaya Ki Hamane, Jab Dekhi Sai Ki Soorati. ll
Jab Se Kiye Hai Darshan Hamne, Dukh Saara Kaafur Ho Gaya l
Sankat Saare Mite Aur, Vipadaao Ka Ant Ho Gaya. ll

Now, Download Bhakti Sarita App on your Android Smartphone :- http://bit.ly/Bhakti-Sarita-App

Recommended