Mirza Ghalib - Na Tha Kuch Toh by Jagjit Singh

  • 9 years ago
na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota
duboyaa mujh ko hone ne, na hota main to kya hota

hua jab gham se yuun behis to gham kya sar ke katne ka
na hota gar judaa tan se to zaannon par dharaa hota

hui muddat ke 'ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai
wo har ek baat pe kahna ke yuun hota to kya hota.

Recommended