A ghazal by Nasreen Syed - KIS KO DEKHA HAY PHIR KISAY MIL KE

  • 10 years ago
A ghazal by Nasreen Syed

KIS KO DEKHA HAY PHIR KISAY MIL KE
TAAR LARZAY HAIN PHIR MERE DIL KE
کس کو دیکھا ہے پھر کِسے مِل کے
تار لرزے ہیں پھر مرے دل کے

US KI SAANSON MEIN KHILTI KALIYON SE
MEHKAY YEH RAASTAY MERE DIL KE
اُس کی سانسوں میں کِھلتی کلیوں سے
مہکے یہ راستے مرے دل کے

US NAY POOCHHA KE TYAAG DOUN DUNYA
POOCHH MAT WALWALAY MERE DIL KE
اُس نے پوچھا کہ تیاگ دُوں دُنیا
پوچھ مت ولولے مرے دل کے

WOH HAY THEHRA JAHAN, WAHEEN PE KAHEEN
RUKK GAYE RAASTAY MERE DIL KE
وہ ہے ٹھہرا جہاں، وہیں پہ کہیں
رُک گئے راستے مرے دل کے

Recommended