Ilim o Amal - Episode 6
Naimat e Iftar | Shan e Ramzan | ARY Qtv
#IlimoAmal #ShaneRamzan #aryqtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Naimat e Iftar | Shan e Ramzan | ARY Qtv
#IlimoAmal #ShaneRamzan #aryqtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Alhamdulillahi Rabbil Aalameen, wa laaqeebatulil muttaqeen, wasalatu wassalamu ala rasoolihin
00:17nabiyyul kareem, amma baad fa auzubillahi minash shaitanir rajeem, bismillahirrahmanirraheem,
00:27wa bilwalideyni ikhsana sadaqallahu maulana al azeem.
00:32Muazzaz o muhtasham, nazireen-e-kiraam, program Ilm-o-Amal ke tahd, aaj hamara mauzoo hai
00:41Waldeyn ki azmat.
00:44Waldeyn kainat ka yeh wo sarmaya hain, ke jinkar ne'mal badal koi nahi hain.
00:51Khalq-e-lam yazal ne Quran-e-Majeed, Furqan-e-Hameed ke andar, apne hukook beyan firmane ke baad,
00:59apne ehkaamat ke baad, jo sabse pehla haq bande pe rakha hai, wo Waldeyn ka rakha hai.
01:08Waldeyn ki izzat, Waldeyn ki azmat, Waldeyn se muhabbat, Waldeyn se qurbat, yeh wo cheeze
01:15hain, jo insaan ko zaman-e-bar ke liye muazzaz o muhtasham bana deti hain.
01:23Aur Quran-e-Majeed mein wazeh firmaya gaya, ke Waldeyn ke saath husn-e-saloog ke saath
01:28pesha, aur doosre mukaam par kya firmaya gaya, ke dua istariq-e-se kar, Ya Allah kis tariq-e-se,
01:37Ey meri Rab, meri Waldeyn pe rahim firma, jis tarah wo mujh par rahim firmate the, jab
01:43main chhota tha, wa kul Rabb-e-rham huma, kama Rabb-e-yaani sagheera, yaani dua mein unki
01:51us shafqaton ko, un muhabbaton ko, faramosh na kar, meri barga mein bhi dua karna chahta
01:58hai, to unke us amal ko dohra, jo unne ne tere saath pesh kiya, Allah-u-Akbar.
02:06Firmaya gaya, mera bhi shukar ada kar, apne Waldeyn ka bhi shukar ada kar, Ya Allah tu
02:12qazi-al-haajat hai, musab-e-bal-asbaab hai, raaf-e-ad-darajat hai, daaf-e-al-baliyat hai,
02:18meri malik tu mera maabood hai, main tera badda hun, tu mujhe peyda karne wala hai, tu mujhe
02:23zindagi aur maut dene wala hai, tera to shukar ada karun, ke tu ne mujhe dekhne ko aankhen
02:29ataa firmai, sunne ko kaan ataa firmai, guftagoon ke liye zubaan ataa firmai, grift
02:35ka liye haan ataa firmai, lekin Waldeyn ka, firmaya haan, meri nemat-e-tujh par jo waafir
02:42mikdaar mein hai, wo tere Waldeyn ki dua-on ka sila hai, aur Waldeyn ki jo dua hai, wo
02:50arsh-e-ulaan pe bagayr kisi rakawat ke paushti hai, aur Allah-ur-Rabbu-l-Izzat usko sharf-e-kabuliyat
02:59ataa firmata hai, jo Waldeyn apni ulaad ke liye dua firmata hai, nazrin-e-kiram yeh
03:06bada aaj ke daur mein ameek nazri se dekhne wala yeh maamla hai, aur is mauzoo pe badi
03:15tawajjo dene ki zaroorat hai, kyunke aaj hum sabse pehle padhne ke baad, kya kahte hain,
03:23abbaji, ammaji, aapko toh kisi baad ka bata hi nahi, hum sabse pehle agar baad thukrate
03:30hain toh Waldeyn ki thukrate hain, hum sabse pehle agar be-admi par utarte hain toh Waldeyn
03:35ki be-admi par utarte hain, hum sabse pehle agar kisi ko jo hai wo peechhe karna chahte
03:41hain, bade log humne aise dekhe hain, jo apne Waldeyn ka taaruf karwana apne liye aar samjhte
03:47hain, nahi, kisi ko yeh maloom nahi, abhi aap Karachi airport, Lahore airport, Islamabad
03:56airport pe khade ho jaye aur koi Umrah karke, Umrah ki saadat hasal karke wapas aaye, Hajj
04:03Baitullah ki saadat hasal karke wapas aaye, usse aap dryaafzab karein, ki bhai Allah ne
04:09tumhare Hajj ko kabul firma liya hai, tumhare Umrah ko kabul firma liya hai, ibaadaat par
04:16sharf-e-kabuliyat mil chuka hai, sanad mil chuki hai, toh wo kahenge ki naadaan, humara
04:22kaam tha haazir hona Allah ki baarga mein, humara kaam tha Allahumma labbaik kehna,
04:27kabuliyat ka daabah toh humare paas nahi hai, yeh toh Allah Rabbul Izzat ki ataapar hai,
04:33kurbaan jaoon, mere aur aap ke kareem aaka, huzoor Syed-e-Aalam Sallallahu alaihi waalaihi
04:39wasallam, mere aaka ne irshaad firmaaya, ki waaldaan ke chehiron ko subh otke dekhna,
04:46inki ziyarat kar lena, makbul hajj-o-umrah ka sawab hai, ab aap ghaur firmaayiye, umrah
04:53ki saadat ke liye jaayen, kitni mashakkat hai, Hajj Baitullah ke liye jaayen, kitni mashakkat
04:59hai, lekin hum ek air-conditioned room se niklayen, doosra air-conditioned room me jaayen,
05:05aapne waaldaan ke chehiron ki ziyarat kareen, firmaayi ka makbul hajj-o-umrah ka sawab hai,
05:12kurbaan jaoon, umm-al-mu'mineen arz karti hain, ya Rasool-Allah, meri maa mere ghar mein aar
05:19rahi hain, lekin wo musalmaan nahi hai, uske saad mai kaisa bartao karoon, husn-e-suloog
05:27kaisa ho, mere aaka ne firmaaya, ki wo tumhari maa hai, go musalmaan nahi hai, humari aziz
05:33her istadaar hai, achhe tariqah se husn-e-suloog kaisa ho, nazireen-e-kiraam, waaldaan ke
05:40saad muhabbat karna, Allah ko razi karne ke mutraadif hai, Nabi-e-Akram Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam
05:46ne ishaar firmaaya, agar tum ye dekhna chahte ho na, ki mera Khuda mujh par razi hai ke
05:52nahi hai, aap kaun dekh sakta hai, Allah jism-o-jismaniyat se paag hai, kis ki himmat
05:57taqat hai, jo Khuda ko dekhe, Khuda razi hai ke naraz hai, firmaaya apne waaldaan ke chehron
06:03pe dekho, agar wo tumhari zindagi ke maamulaat se khush hai, aur tum ye samjhte ho ki main
06:09apni zindagi, unki muhabbat aur unki chahat, aur unki raza-o-mansha par guzaar raha ho,
06:16to firmaaya fir ye dekho, ki tumhara Khuda bhi tum par razi hai, ar agar wo naraz hai,
06:22to fir humara Khuda bhi tum par narazi hai, Allah-o-akbar, hazrat-e-ba-yazid-e-bustami
06:29rahmatullah-e-taala-leh, kisi ne dryaafat kiya, aap Sultan-ul-awliya hai, itna bada darja
06:35kahan se mila, ye wilayat ka mansab, mukaam, shaan kahan se mili, firmaaya maa ki ek raat
06:43ki chan saaton ki khidmat ka ye wazah hai saara, huzoor wo kaise, firmaaya kayi saan
06:51ibadat karte raha, riazat karte raha, janglo mein raha, Allah-Allah karte raha, darja aur
06:58mukaam nai mila, kayi saanon ke baad wapas aaya, to maine dekha, ki raat ki budhaapa
07:05ka waqt hai meri maa par, aur raat ki tariki hai, main jab pohncha, main darwaza pe aaya,
07:13main darwaza pe dastak di to andar se awaaz aayi, ba yazeed hai, hazir hua, kurbaan jaoon,
07:21maa ne kaha beta, paani pulao, aap firmaatein main jab paani ke gade ki tarah bada, to
07:28maine dekha khaali hai, pehle to ek cheekh nikli, ki itne saalon se maa ko paani kaun
07:33dita hoga, main wo paani lene ke liye, wahan wo paani nahi tha, thoda door gaya, yakh
07:41basta sard raat hai, paani ka pyaala jab main lekar aaya, to maine aakar dekha, ki meri
07:48waalida maajida, main we aaraam hai, main we istaraahat hai, aaraam firma rahi hai,
07:55need mein main khada raha, wo paani ka pyaala uthaakar, main ne socha, ki na jaane kitne
08:03saalon ke baad, aaj maa ne need barke so rahi, khada raha, maa bedaar hui, to mere haath
08:12se pyaala pakarne lagi, to naazuk haath the aapke bhi, to wo sardi ki wajah se jo paani
08:20tha, wo haathon aur pyaalo ke saath jam chuka tha, jab maa ne aise aad uthaya na, aap firmaatein
08:27jab pyaala utha, to uski wajah se halka halka jo hai, wo khoon bhi simne laga, maa ne paani
08:35ka pyaala nosh-e-jaan firmaaya, aur kya kaha, ya Allah, isko waliyon ka sultan bana dena,
08:42isne meri khidmat ki hai, ya Allah, ispe apna karam firma dena, firmaatein us din se mujhe
08:47ye awaaz aayi, ki tum awliya ke sultan hu, naazreeni kiram, aaj hum apni izzat, apni
08:55jaah, apni hashmat ke liye, hazaaron rupee ka libaas banaatein, kya humne kabhi apni
09:02waal-dein ke libaas par bhi tawajjo di hai, hum apni chahat ke liye, hazaaron rupee ke
09:09shoes letein, kya humne waal-dein ke jooton par bhi kabhi tawajjo di hai, ibadat, riyazat,
09:15sari raat aap musallay pe baithe rahein, firmaan-e-rasool hai, sari raat ibadat karte rahein, tasbih
09:21haath mein rakhein, aapka musalla aapke aansuon se tar ho jayein, aapki daadi aapke aansuon
09:27se tar ho jayein, lekin agar waal-dein naaraaz baithe hain, toh Rab ibadat kabool nahin firmaata,
09:33Rab riyazat kabool nahin firmaata, ibadat aur riyazat kiski kabool hoti hai, jo waal-dein
09:39ko raazi karta hai, hadith-e-mubarakah ka ek hisa hai, nabi kareem alaihissalatu wassalaam
09:47ko firmaate hain, ke wo teen shaks musaafir, jo pahaad ke andar ghaar mein patthar girne
09:56par, darwaza band hone par, raasta na mil raha tha, unmein se ek ne dua ye ki thi, teenon
10:04ne dua ki, lekin main ek ki dua aapki gosh guzaar karunga, ek ki dua kya thi, ya Allah,
10:12main din bar bedh bakriyon ko le jata tha, charane ke liye, aur jab waapis palat tha,
10:21toh aakar sabse pehle unka doodh dho kar apne waal-dein ko palata, baad mein apne bibi bachon
10:28ko pesh karta, ya Allah, ek raat musam ki kharabi ki wajah se, ghaar paunchte paunchte
10:36mujhe taakheer ho gayi, jab main ghaar pauncha, toh mere waal-dein so chuke the, ae mere Rabb,
10:44maine jab un apni bedon bakriyon ka doodh dhoha, toh maine us doodh ko rakh liya, bachon ko
10:52nahi palaya, khud nahi piya, mere waal-dein jab bedaar hue, maine unko pesh kiya, baad
10:59mein apne bibi bachon aur khud piya, ya Allah, yeh amar agar teri raza ke liye tha, toh
11:04hume is mushkal se aasaniyat aata farba, nabi kareem alaihis salatu was salam firmaate
11:10hai, Allah Rabbul Izzat unka liye mazeed raasta khol diya, toh nazareen-e-kiraam, waal-dein
11:16ke saath jo muhabbat hai, jo waal-dein ki izzat hai, jo waal-dein ki azmat hai, kurbaan
11:22jao, yeh toh aise rishte hain, kainaat mein koi aisa rishta nahi hain, jo aap ko apne
11:29aap se aage badta hua dekh sake, har banda kahte hai, ke jeh jahan main bad raha ho,
11:35na doosra mujhse peechhe rahe, zindagi ki daur is tarah se lagi hui hai, ek maa aur baap
11:40ka rishta aisa hai, inki muhabbat aisi la zawaal hai, inki kurbat aur inka tumare saath
11:49jo jaan gusal hona aisa hai, Allah-u-Akbar, ke har waalid yeh chahta hai, jahan main
11:56paunch saka, meri ulaad wahaan paunch hai, har maa chahti hai, ke main khud toh dukh
12:01bardaasht kar loon, meri ulaad ko yeh dukh na mile, nazareen-e-kiraam, agar wo hamare
12:08dukhon pe raazi, aur hamari wajah se dukh bardaasht karein, aur hamein sukh dein, khud
12:18dukhon me rahein, aur Rab se hamare liye sukhon ki dua garein, aur jab ham par waqt
12:24aaye, toh ham apna khaana khaane se pehle, wo khaana unko kyun na pesh karein, aaj ham
12:30roza iftaar karne se kabal, pehle khujoor unko kyun na pesh karein, aaj apna libaas
12:36banane se kabal, pehle unka libaas kyun na banayein, yeh koi farzi baatein nahin hai,
12:43yeh sirf taalukdari nibhaane ki baatein nahin hai, yeh sirf rishta nibhaane ki baatein nahin
12:47hai, yeh Allah-Rab-ul-Izzat ko raazi karne ki baatein, yeh Rab ko raazi karne ke mutraadif
12:53hai, agar Rab ko raazi hona dekhna chahate ho, uski chahat aur mansha jo Rab ne pinha
12:58rakhi hai, wo tumhare waaldein ke dilon me rakhi hai, ki waaldein agar raazi hain, toh
13:05Khuda bhi tum par raazi hain, isliye nazareen-e-kiram, aaj yeh bahut zururi amr hai, ulama, fuzala,
13:14mashayikh, duniyadar, tajar, khawateen, betiyan, bete, yeh baat wadi tojjo ki tarah sunne ke
13:23kabil hai, aur laazim hai, hazrat-e-janaab-e-sayyidina Musa Kaleemullah ala nabiyyina alaihissalatu-ussalam
13:31imam-e-safuri ne likha, aap firmaatein ke aap peydal tashreef le jaa rahe the, safar
13:38doorka tha, thakawat ke aashaar mile, thakawat mehsoos hui, arz-kunah hui, ey paak-parvardigar-e-alam,
13:47ey mere Rabb, agar mujhe sawari ataaf fermaai hoti, toh main uspar safar karta, Rabb-e-lam
13:53yazal, qadr-e-mutlaq hai, inn-Allah ala kulli shay-in-qadeer, uski shaan-o-muqaam hai, jo
13:59Musa Kaleemullah se kalam kar sakta hai, wo Musa ki sawari bhi direct ataaf firmaa sakta
14:04hai, Rabb-e-ta'ala ne firmaai hai, piyaar-e-Musa, ik pahaad ki ghaut me chale jao, waha ek shaks
14:09baitha hoga, wo tumhe sawari ke intizam kar diga, Musa Kaleemullah aaye, wo shaks baitha
14:15hai, Allah ki tasbih kar raha hai, ibadat kar raha hai, Musa Kaleemullah ne kaha, assalam-o-alaikum
14:21wa-rahmatullahi-wa-barakat, usne gardan nahi uthai, aankh nahi kholi, kahte wa-alaikum-us-salam,
14:26ya nabi-Allah, tashreef lakhe, aap firmaatein, main tumhe nahi jaanta, tum mujhe nahi jaante,
14:31tumhe kya pata main Allah ka nabi hoon, usne arz kiya, jo khuda aapko baith sakta hai,
14:36wo mujhe matla bhi firmaa sakta hai, baith gaye, kuch der ke baad, usne fir kaha, ya nabi-Allah
14:43sawari aajaey, aapne firmaaya, main tujhe apna muddaan nahi bataya, aankh wala, tere
14:49joban ka tamasha dekhe, deeda ek aur ko kya ae nazar kya dekhe, main apna muddaan nahi
14:55bataya, aur tum kahre sawari aajaey, arz karte hai, ya Allah ke nabi, jo Rab aapko baith
15:02sakta hai, wo mujhe matla bhi firmaa sakta hai, aapne firmaa hai, fir sawari bula, jaldi
15:06kar, usne wa banda wahan baitha hai, aasman ke baadlon ko ishara kiya, wo zameen par aaye,
15:12kaha ghoda ban ja, imam-e-safuri ne likha, wo ghoda bana, Allah ke nabi ko pesh kiya,
15:17Musa Kalimullah ne firmaaya, kitni ibadat ki hai, kitni riyazat ki hai, usne kaha, ya
15:23nabi Allah, maini kuch nahi kiya, maini kuch nahi kiya, na ibadat kar saka, na riyazat
15:29kar saka, na Rab ko razi kar saka, na Rab ko razi karne ka usloob jaanta hu, ae Allah
15:34ke nabi, maini apne waaldein ki khidmat ki hai, maini apne waaldein ki khidmat ki hai,
15:41aur jam meri maa aur baap ki maut ka waqt tha, toh dono ne mujhe dua di, aur apne Rab
15:48se kaha, ya Allah jab tak yeh raha, yeh hamaari khidmat karta raha, hamaari baat maanta raha,
15:55ae hamaari Rab jab tak yeh rahe, toh iski baat maante rahe, Musa Kalimullah ne jaakar
16:05Rab-e-lam yazal ki baarga mein arz kiya, ki ya Allah itna bada inaam-e-ikraam usse de
16:10diya, toh firmaaya, main uske waaldein se wada kar chuka hu, uske waaldein se wada kar
16:18chuka hu, ki jab tak yeh rahenge, toh kya hoga, yeh tumari maanta raha, aur jab tak
16:26wo rahega, main uski maanta rahunga, isliye nazareen-e-kiraam, waaldein ke saath muhabbat,
16:32waaldein ke saath ulfat, aur waaldein ke chale jaane ke baad, unke naam par sadqaat-o-khiraat,
16:39ishaal-e-sawaab, huzoor ne firmaaya, ulaat sadqa-e-jariya hai, hazrat-e-saad radhi-Allah-u-ta'ala-anhu,
16:45mere nabi ke shihabi hai, maa ka intikaal hua, ya rasool-Allah, maa ka intikaal hogaya,
16:51main ab kya karo, mere nabi ne irshaad firmaaya, meethe paani ka kuwa khareed, aur uske naam
16:57par wakaf kar de, uska naam bhi mere aaka na rakha, bere umme saad, saad ki maa ka kuwa,
17:04kya hua, firmaaya jab tak log usse paani peete rahenge, usko faida milta rahega, nazreen-e-kiraam,
17:12aaj jab tak waaldein zinda hai, unki khidmat ki diye, unki izzat ki diye, unse muhabbat
17:17ki diye, unki chahaton pe apni chahaton ko qurbaan ki diye, unke nazriyaat par apne nazriyaat
17:23ko qaim rakhiye, unke firmaan pe chalte rahiye, aur jab us duniya se chale jaaye, toh fir
17:31unke naam par sadqa-o-khairaat jaaree rakhe, apni maa ki saheliyon ke saath husn-e-salook,
17:37baap ke doston ke saath husn-e-salook, firmaaya gaya yeh bada makbool amal hai, ki tumhara
17:42baap jin doston se muhabbat karta hai, tum bhi unse muhabbat rakho, tumhari maa jin saheliyon
17:48se muhabbat karti hai, tum bhi unse muhabbat rakho, toh nazreen-e-kiraam, jab tak wo zinda
17:53hai, unki khidmat karein, jab wo chale jaaye, toh is neemat se jab mehroom ho jaye, us
17:58waqat ko bhi yaad rakhein, aur us waqat mein unke liye ishaal-e-sawaab, unke liye johe azkaar
18:04karein, Quran-e-Majeed ke tohfe bejiyein, unke naam par sadqa-o-khairaat karein, Allah
18:08Rabbul Izzat hum sab ko waaldein ke saath muhabbat, ulfat aur qurbat ka rishta hamesha
18:13qaim rakhne ki tohfiq ataaf fahaye, kal tak ke liye ijazat deejiye, Allah Hafiz.
18:29Zahmaton ka mahina, azmaton ka safina, zindagi ka qareena, rooh-e-Makkah,
18:39Madina, aadmi ko banata hai yeh insaan, shaan-e-Ramzaan, shaan-e-Ramzaan,
18:52shaan-e-Ramzaan, shaan-e-Ramzaan, hai momino ke dil ka ujala, shaan-e-Ramzaan,
19:02hai momino ke dil ka ujala, shaan-e-Ramzaan.