• 2 days ago
Directions:
-Karhai mein pani,haldee powder,namak,zeera aur adrak lehsan paste dal ker ache tarhan mix karein.
-Pyaz aur chicken dal dein aur ache tarhan mix ker lein.
-Dhak dein aur halki ancch per 5-6 minutes kliya paka lein phir tez ancch per 2-3 minutes kliya paka lein & side per rakh dein.
-Pot mein corn oil,hari elaichi,badi elaichi,sabut kali mirch,laung,darchini aur tez paat dal ker mix karein.
-Dhania powder,lal mirch powder,garam masala powder aur kali mirch powder dal ker ache tarhan mix karein aur 2 minutes kliya paka lein.
-Tamatar dal ker ache tarhan mix karein.
-Dahi shamil karein aur ache tarhan mix ker lein.
-Ab cooked chicken mixture dal ker ache tarhan mix karein aur 4-5 minutes kliya paka ein.
-Hara dhania,podina aur hari mirch dal ker ache tarhan mix karein aur tez ancch per oil alag hunay tak paka lein.
-Aloo bukhara dal ker ache tarhan mix karein.
-Ek bowl mein adha chicken mixture nikal lein & side per rakh dein.
-Fried pyaz,boiled chawal,baqi bache hoye chicken gravy,fried pyaz,biryani masala,lemon slices aur remaining boiled chawal dal dein.
-Kewra water mein zarda ka rang dal ker ache tarhan mix karein.
-Dissolve zarda ka rang aur fried pyaz dal dein aur dhak ker halki ancch per 10-12 minutes kliya steam cook ker lein.

Recommended