• 2 weeks ago
#mwmprotest #PTI #karachi #pmshehbazsharif #bulletin

Police clash with MWM protesters at Karachi’s Numaish chowrangi

Government increases petrol, diesel prices

Karachi: 10 injured in aerial firing on New Year’s night

Ali Muhammad calls for meeting between PTI founder, Nawaz Sharif, Zardari

Restoring peace in Khyber Pakhtunkhwa is my responsibility: CM Gandapur

Winter vacations extended in educational institutions

PM Shehbaz launches URAAN Pakistan program for economic revival

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Official Facebook: https://www.fb.com/arynewsasia

Official Twitter: https://www.twitter.com/arynewsofficial

Official Instagram: https://instagram.com/arynewstv

Website: https://arynews.tv

Watch ARY NEWS LIVE: http://live.arynews.tv

Listen Live: http://live.arynews.tv/audio

Listen Top of the hour Headlines, Bulletins & Programs: https://soundcloud.com/arynewsofficial
#ARYNews

ARY News Official YouTube Channel.
For more videos, subscribe to our channel and for suggestions please use the comment section.

Category

🗞
News
Transcript
00:00Alvida 2024, Khushaam Dee 2025, chalo ek kaam karte hain, bhula kar ranjishe sari maafi
00:21der kar dila kar ab dilon ko saaf karte hain, na dekha ho zamane mein, padha ho na
00:25fasane mein ab aise saal ka sabhi aagas karte hain, saale 9 ko khushaam dee, AAY network
00:31ki jaanib se tamam ahle vatan ko naya saal mubarak, naye umeedon, naye azam, naye balbalai
00:36aur naye umangon ke saath naya saal aakaya, sheher sheher, kariya kariya, naye saal ka
00:41jashn dhoom dhaam se manaya kaya, aatish baazi ke shandaar muzaahere, manchale sadko par
00:47nikal kar, mausiki ki dhuno par jhoom uthe, karachi ke baag Ibn-e-Qasim me bhi saale 9
00:52ka shandaar istaqbaal kiya gaya, behriya town me naye saal ki aamat par dancing fountain
00:57aur aatish baazi ke zabardast muzaahere ne nazareen ko khud mehsoos kiya, Rawalpindi
01:02behriya town me bhi naye saal ka jashn manaya gaya, Lahore me mall road aur liberty chowk
01:06par manchalo ne zabardast halla gulla kiya, Sukkur, Quetta, Sialkot, Sargodha aur Peshawar
01:12sameer, mulke chote bade shehro me New Year night dhoom dhaam se manaya gaya, mukhtale
01:17takareef me cake bhi kaate gaye, musical night kabhi ihtamaam kiya gaya, Hong Kong
01:22aur Taiwan me saal 2025 ka aagaz ho gaya hai, Hong Kong ke Victoria Harbour par shandaar
01:28aatish baazi ki gayi, Taiwan ke city centre par hazaaro logon ne aatish baazi dekhi, Japan
01:33me bhi 2025 ka aagaz aatish baazi se hua, 12 bachte hi Tokyo ki tarikh imarat par rangon
01:39roshniyo ki muzaahere se raat roshan ho gayi, Australia me naye saal ko bharpoor jashan
01:43se khusham deet kaha gaya, Sydney Opera House par shandaar aatish baazi se aasman jagmaga
01:48gaya, zabardast music ke saath families ne naye saal ki pehli raat ko enjoy kiya, New
01:53Zealand me sabse pehle naye saal ka aagaz hua, Auckland me shandaar aatish baazi se
01:58aasman jagmaga utha, 12 bachte hi Sky Tower rangon me naha gaya, shandaar laser show dekhne
02:04hazaaro log pohnche, Harbour pool jalti bhujti roshniyo se jagmakaane laga, Wellington ki
02:09jeel par bhi zabardast aatish baazi ki gayi, duniya bhar me naye jazbe ke saath naye saal
02:14ka istaqbaal chaari hai, Britannia me London aaye par saale 9 ke aagaz par aatish baazi
02:18ne aasman ko roshniyo se munabbar kartiya, Big Bang ke saath saath London ki Falak Bose
02:24imarat ko bhi roshniyo se nahla diya gaya, aatish baazi ka dilkash nazara dekhne ke
02:28liye sayyah badi taadaat me maujood the, France me bhi naye saal ka jashan dhoon dhaam se
02:33manaya gaya, saale 9 ki markazi takreeb Paris me Eiffel Tower par munakit ki gayi, jahan
02:37shandaar aatish baazi se aasman jagmaga utha, to Islamabad ka ruk karte hain jahan par saale
02:439 ka pehla sooraj tulu ho gaya hai, naye saal ke aagaz par Islamabad ki kya manazir hai
02:48bataayengi Fatima Baduri,
03:08aaj se jo hai wo baarish bhi mutawakke hai aur jo sardi ki shirdat usme ezaafa bhi hai
03:13aur Macbeth Mosque me aat ke mutaabik kaha jaa raha hai ki mulk bhar me jo hai wo magarbi
03:16hawaayen jo hai, wo magarbi ilaakon me daakhil ho jengi aur poora hafta jo hai, is waqt jo
03:22hai mulk hamara jo hai usme mausam jo hai, wo sard rahega, to Islamabad me jo hai, naye
03:26saal ka pehla sooraj jo hai, wo tulu ho chuka hai aur hum dekh rahein ki Islamabad me jo
03:30roshni hai, wo har taraf phel chuki hai, umeed hai ki yehi roshni har ek ki zindagi me bhi
03:34hogi.
03:35Saal 2025 ka pehla sooraj to tulu ho gaya, lekin Faisalabad me shehri baadal aur dhund
03:40ke baayis sooraj ko kuch dhir baad hi dekh sakein, shehri naye saal me umeed kar rahein
03:45ye khushiyon ka saal hoga, bataayenge Mohammad Kashif.
03:48Ji naye saal 2025 ka sooraj jo hai, wo tulu ho chuka hai, Faisalabad me shadeed jo dhund
03:56hai aur baadalon ke baayis abhi tak sooraj jo hai, wo Faisalabad ke shehri nahi dekh sake
04:03hai.
04:04Faisalabad ke shehri aur dehi alaakon me is waqat jo hai, mehkumat mausmiyaat ke mataabak
04:08do se teen gante mazeed jo hai, wo shadeed dhund hai, wo bhi shahi rahegi aur iske saath
04:13baadal bhi rahenge.
04:15Aaj jo Faisalabad ke shehriyon bade khush dikhai dhe rahein hai is waqat se ki 2025 jo
04:20hai, wo aaj uska sooraj tulu ho gaya hai aur baot se nek tamannaon ke saath, khwaishaat
04:25ke saath Faisalabad ke shehri jo hai pur ameed hai.
04:28Karachi mein saal-e-nau ke mauke par mukhtalif alaakon me hawai firing se 29 afraad zakhmi
04:33ho gaye.
04:34Rescue hukam ke mutaabak zakhmiyon me 20 mard, 2 khawateen aur bachhe bhi shamil hain, zakhmiyon
04:40ko tibi imdaat ke liye aspataal muntakil kar diya gaya hai.
04:42Police ke mutaabak hawai shehri ke mukhtalif alaakon me sifa hawai firing me mulawis 25
04:47afraad ko garaftar kar liya gaya hai.
04:49Mulzimaan se firing me istamaal hone wala aslaha bhi baramat kiya gaya hai.
04:59Lahore me saal-e-nau ke jashan par hawai firing aur hullad bazi par police ka action, kanoon
05:05ki khilaf warzi par 15 mulzimaan garaftar karke aslaha baramat kar liya gaya.
05:10Police hukam ke mutaabak mulzimaan ko hawai firing aur hullad bazi ke ilzaam me thana
05:14Kent, Hanjawal, Shahdara, Kahna, Rawiru, Shafiqabad, Ichhra aur digar alaakon se garaftar
05:19kiya gaya.
05:20Saudi Arab me Pakistani naujawano ne samandar ki tehme jaa kar nai saal ka jashan ka kek
05:30kaata aur saal 2025 ko khushaam deet kaha.
05:33Pakistan aur Saudi Arab ki tarakki aur khushaali ke liye dua bhi ki gayi.
05:37Yahya Ashfaq guzarshta kai barsoon se nai saal ki aamat ke ilawa, digar qaumi aur mazabi
05:42tehwaro par bhi samandar ki tehme jaa kar anookha andas apnaate hain.
05:46Yeh naujawan pehle bhi kayi record apne naam karke diyaar e ghair me Pakistan ka naam roshan
05:50kar chuke hain.
05:51Toh duniya ke maaroof search engine Google ne bhi nai saal ko welcome karte hua apna doodle
05:56tabdeel kartiya.
05:57Google ne saal e 9 ko munfarid andas me khushaam deet karte hua apne khususi doodle jaari kiya.
06:02Khubsoora doodle me neele aasman par chamakte sitaaron ke saal saal 2025 ka istakbaal kiya
06:08gaya.
06:09Karachi sameet sandh bhar me mausam e sarma ki taatilat khatm ho gayi.
06:12Toh sube bhar ke sarkari aur niji talimidaron me aaj se tadrisi amal ka aagas ho gaya hai.
06:17KP me school 6 janwari aur Punjab me 13 janwari se khulenge.
06:28Karachi me mausam e sarma ki taatilat ke baad aaj se school dubara khul gayi hain.
06:32Schoolon ki aagas me izafa kar diya gaya hai.
06:34Jiske baad ab school 8.30 baje se lagenge.
06:37Mazeed batayenge humayun namayun de Asif Khan.
06:41Aaj bilkul Karachi me mausam e sarma ki taatilat ke baad aaj se school khul diya gaye hain.
06:45Beshtar jo private school hain wo band hain, sarkari school tamam khul diya gaye hain.
06:49Iss tak bacche bhi school jaa rahe hain, mazeed inse malum karte hain.
06:52Beta kya kahoge ab aap chhutiyon ke baad school jaa rahe ho, kaisa lag rahe hain?
06:55Bahut acha feel ho raha hai.
06:57Kyunki chhutiyon me jo hota hai, kya matlab, chola boring boring feel hota hai.
07:01School khule hain, dabaya talim aasin karenge, kuch naya karenge.
07:05Toh isliye bahut acha feel ho raha hai.
07:06Beshtar jo niji schools hain, wo aaj nahi khule gaye hain, niji schools band hain.
07:10Aur sarkari school jo hain, wo tamam khul diya gaye hain.
07:13Kuch makamat par private school bhi khule hain.
07:15Toh iss waqt hum Sadar me waqe school me maujood hain.
07:18Aur yaha par bhi, jo bachchon ki taadat hain, wo maamool se intihai kam hain.
07:22Bachche schools toh aa rahe hain, lekin unki taadat maamool se kam hain.
07:26Sakhar samajh sin bhar me mausam e sarma ki chhutiyon khatn.
07:29Aaj se sarkari aur ghar sarkari tamam schools khul gaye.
07:32Saal ke pehle roz aur shadid dhund ke baayi schools me bachchon ki taadat na hune ke barabar hai.
07:37Batayenge Nasir Jafri.
07:39Mausam e sarma ki chhutiyon khatn ho gaye.
07:42Aur aaj se sakhar samajh sin bhar me tadrisi amal wo uska aagaz ho gaya hai.
07:48Tamam sarkari aur ghar sarkari school hain, wo aaj se khul gaye hain.
07:52Iss waqt main modern school ke saamne maujood hoon.
07:56School toh khul gaye hain, lekin aaj shadid dhund bhi hai.
07:59Aur dhund ke baayis wo aaj pehla roz bhi hai, jiske baayis bachchon ki haadiri wo intihai kam hai.
08:06Aur aaj se tadrisi amal ka aagaz ho gaya hai, lekin shadid dhund bhi hai.
08:11Aur dhund ke baayis wo sardi me bhi azaafa ho gaya hai, jiski wajah se bachchon ki haadiri wo intihai kam hai.
08:18Udhar hukumat ne petrol aur diesel ke keematon me azaafa karteeya hai.
08:21Petrol ki keemat me 56 paise phir litre azaafa kiya gaya hai.
08:25Petrol ki nahi keemat 252 rupee 66 paise phir litre ho gayi.
08:28High speed diesel ki keemat me 2 rupee 96 paise azaafa kiya gaya.
08:32High speed diesel ki nahi keemat 258 rupee 34 paise phir litre ho gayi hai.
08:36Notification jaari kar diya gaya.
08:50Duniya saale 9 ka jashan mana rahi hai aur mulke sabse bade shehar me
08:55awaam ko ehtijaj, dharno aur baddareen traffic jam ka saamna.
08:59Kai alaakon me raat kai bhi surat-e-haal kashida, dharna jaari raha.
09:03Shaam ko namay sarangi par dharna camp police ne ukhaar diya,
09:06muzahireen se jhadpey, rangers ki bhaari nafri bhi pohanch gayi.
09:09Shelling par muzahireen ka pat raao, SSP ki maadi samayet mutaadat police helkar zakhmi,
09:14kai motorcycles jala di gayi.
09:16Kai muzahireen giraftar, Malir 15 chowk par bhi surat-e-haal kashida,
09:19police ki muzahireen par shelling, muzahireen ka pat raao,
09:22do helkar goliyan lagne se shareed zakhmi, dubaara dharna de diya gaya.
09:26Mukhtalif alaakon me ahle sunnat aur ahle jamaat ke dharna bhi jaari,
09:30raat kai tak mukhtalif sarkon par baddareen traffic jam raha.
09:39Wazir-e-Ala Asim Murad Ali Shah kahte hain, Karachi me 8 dharne khatam karatiye,
09:43mazeed 4 jagon par jaari dharna bhi jalt khatam karatenge.
09:46Kuram ka masala wahi hal hoga, wahaan kisi ko takleef hai,
09:49toh uska hargis yeh matlab nahin, ki yahan bhi logon ko takleef di jaye.
09:53IG Sindh Ghulam Nabi Meman ne kaha hai,
09:55dauran-e-ehtijaj polis par hamloon me mulawis afraad ke khilaf kaarawaai hogi.
10:00Kanoon haath me lene walon se sakti se nimta jaayega.
10:03Apne bayaan me unka kehna tha,
10:04ki Sindh polis ne kanoon ki RIT kaim karane ke liye ekdamaat kiye,
10:07polis ke jawanon ne bhaise team, shehar aur shehriyon ka difah yakini banaya.
10:12Qayam-e-amn ke dauran, chand makamat par intihai afsoosnaak waqiat hua.
10:16Aise tamam waqiat ki merit par tahkikat ki jaayengi.
10:19Qayam-e-amn me khalal daalne walon se ahni haathon se nimta jaayega.
10:23Koi bhi sharpasand awam aur polis ke darmian khaleej peyda nahin karsakta.
10:32Azad Kashmir ki daar-ul-hukumat Muzaffarabad me bhi MWM aur civil society ki jabaaton ka
10:37Burhan Bani Chowk par ehtijaji dharna saath me roz bhi jaari hai.
10:41Muzahireen ne fauri taur par Parachanar ke raaston ko khulne ka mutaliba karte hua kaha,
10:46ke hukumat-e-Pakistan Parachanar me ashiya khurdonosh, adhwiyaat aur digay bunyadi zaruriyaat
10:51e zindagi ki ashiya ki shadeed qillat ko door karke, shehriyon ke mushkilat ko kam kare.
10:55Ahle Kashmir mushkil ke iss ghadi me Parachanar ke bhaiyon ke saath khade hain.
11:04Wazir-e-Ala Khyber Pakhtunkhwa ne kaha hai,
11:06subah me aml-o-aman bahal karna unka kaam hai aur wo hi karenge.
11:10Peshawar me takreeb se khitab me Ali-e-meen Gandapur ne kaha,
11:13jinn ke paas awami taqat nahi, wo awam ke paas nahi jaa sakte.
11:43Khalid Khursheed ko insadad-e-daishatgardi ki adalat ke judge Rehmat Shah ne sazah sunayi.
12:13Army Chief aur idare se itna taawun zindagi mein nahi dekha,
12:24bade waswase hain. Dua hai ki taawun qayamat tak jaari rahe.
12:28Wazir-e-Azam Shahbaz Sharif ka Udaan Pakistan program ki uftatahi takreeb se khitab,
12:32kaha maaishat ki tarakki siyasi istahkaam se jodi hai,
12:36aage badhne ke liye siyasi dialogue na kusir hai, mil baithne se aadeh masaal khatam ho jayenge.
12:41Naib Wazir-e-Azam Ishaq Dar ne kaha hai, Udaan Pakistan qaumi tarakki ka jaami program hai.
12:46Maushree tarakki ke liye Pakistan mein bahut silahiyat hai. Pakistan ke baad 10 trillion
12:51dollar ke madani zakhair hain. Shahbaz Sharif ke qayarat mein Pakistan ko balandiyon par pahun
12:55jayenge. PTI Rehmat Asad Qaisar ne kaha hai, hum ek kadam aage badhi hain.
13:00Gendh hukumat ke court mein hain. Bani PTI samayat tamam karakun aur qayadat ko reha
13:04kiya jaye. Chief Justice Insani Hukuk ki baddareen khilafarzi ka notice le.
13:09PTI Rehmat Asad Ali Muhammad Khan ne Bani PTI Nawaz Sharif aur Sadr Zardari ki baithak
13:13ko masaal ka hal kararti diya. Kaha Bani PTI aur digar Rehmat Asad ki rehai se siyasi
13:18temperature neeche aayega.
13:39Aile round mein Khan sahab ki usc round ki rehai jis mein Shah Mehmood Qureshi sahab,
13:43Dr. Yasmeen Rashid, Mian Mehmood Rasheed sahab aur uske saath saath sadiq Governor
13:47Umar Sarfaraz Cheema sahab aur Senator Ijad Chouhi sahab. In sab ki rehai ho.
13:53Mushire-e-Italat Khyber Pakhtunkhwa Barrister Muhammad Ali Saif kahte hain,
13:56hukumat muzakarat nahin karna chahati, toh na kare. Hum jumhoori nizam ke istihkaam
14:01ke liye muzakarat kar rahi hain. Baat nahin karna chahate toh humari civil nafarmani ki
14:05tahreek jaari hain. Mutahida Arab Emirate ki visa maufi ki muddat aaj khatm ho rahi hain.
14:10Khud ko Mutahida Arab Emirate mein qanuni rehaishi banane ki muhim ke dauran,
14:14Dubai mein muqeem 2,36,000 se zahid afraad ne khud ko qanuni banaya.
14:19Yakhum Januari 2025 se Wifaqi Authority Barah-e-Shanaq,
14:22Shehriyat, Customs and Port Security, Mehkma-e-Police aur Insani Wasail aur
14:27Emirate ki Wizaarat ke saath milkar muayena muhim shuru karegi,
14:31khilabarzi karne walon ke khilaf ikdamaat ko naafiz karegi.
14:412024 Pakistan ke liye istihkaam ki roshan nabeed laaya. Army Chief General Sayyed Asim
14:46Muneer ki zir-e-qayarat Bagh Fauj ne mulk ke liye bimisaad khidmat anjaam di. Khaarij aur
14:51dahshatgardon ke khilaf operations mein aham kamyabiyan hasil ki gayi. Hukumat aur askari
14:56qayarat ki behtreen hikmat-e-amli aur kawishon ke tahay 2025 Inshallah amn aur istihkaam ka saal
15:02hoga.
15:02Kabhi aapko bataayen ki SIFC ki maushree meydan mein namayan kamyabiyan. SIFC ke
15:07one window platform ke zariye ghair mulke sarmayakaari ko faroq, IT, zaraat, kantani,
15:12madniyat, tabanai ke shobay mein sarmayakaari ke mawake badhana SIFC ahdaaf mein shamil.
15:18SIFC ki mauvinat se Saudi sarmayakaaron ke waft ki Pakistan aamat.
15:22Saudi sarmayakaaron ke waft ne 2.8 arab dollar ke mauhinon aur samjhauton par
15:27dastakhat kiye.
15:33SIFC ka ye jo tashkeel hui hai, log isko investment opportunity dekhna shuru hai
15:38Pakistan mein jismein Sare Faraz, Saudia hai, Malaysia hai, Azerbaijan hai. Ye jo
15:43investment aayi hai, ye jo foreign exchange aayi hai, isse ek istiqaam nazara raha hai,
15:47ek stability nazara raha hai. Baharuni mulk rehne wale Pakistaniyon ke liye bhi behtreen
15:51mawka hai ki ab wo wapas apni investment Pakistan lai. Rate of interest jo hai na 23%
15:56se 13% pe aagaya hai. Aur hum samayit hain ki aane wale mehino mein ye single digit
16:01bhi aayega. Jo green initiative diye hain SIFC ne, raat mein bepna sarmayakaari bhi
16:08hogi. SIFC ka daarakaar ko badhana chahiye taak ek mazeed ismein jo sectors hain wo
16:15nahi abita involve, wo bhi ismein involve hon.
16:18Nahi saal ke mawke par Pak Fauj ke jawanon ka paikam. Saal 2024 Pak Fauj ke liye challenges
16:24aur aazmaishon ka saal raha. Dehshatgardi se nimat na ho, fitnal khaarij ka qala kama
16:28karna ho, ya deegar andaruni aur baruni khatrat ka mukabla ho. Pak Fauj har mahas par frontline
16:34par maujood rahi. Pak Fauj ke jawanon ne apni beloss kurbaniyon se mulk dushmanon ke
16:38azaim khaak mein milaaye.
16:39Pak Fauj zindabad, Pakistan pehendabad.
17:09Humare hausle aur humare jazbe, humari awam ki wadaalat hi buland hai. Aur humare is
17:15jazbe ko koi dushman shikast nahi desak. Main yeh dawa karta chalta hun ki yeh saal
17:21kamyabi, trakki, khushi aur ittihad aur ittifaq ka saal ho.
17:27Hum Pak Fauj ke jawan, Zia Jinn ke mazabad, poori qaum ko naya saal ki mubarak wah
17:36Qaum ko naya saal mubarak ho. Aur humara ahad hai ki humari mulki sarkhadon ki hifazat
17:42ki liye apni jaan tak kurban karne se nahi hichkich aayenge.
17:46Alhamdulillah Pakistan mehpood aaton mein hai aur hum madhya vatan ki tafaz ke liye yahan
17:50majood hai. Pakistani qaum ko naya saal mubarak ho. Pak Fauj zindabad, Pakistan pehendabad.
17:56Pakistan army ki jaanib se, Kashmir ki buland o bala choti yo, se aap tamam Pakistani yo
18:02ko aane wale naya saal ki mubarak baat pesh karta hu. Aane wala naya saal hum sab ke liye
18:09bahut mubarak ho. Pakistan zindabad.
18:24Aur ab baat mausam ki, mulke balai aur shimali araka jaat aaj bhi akhbasta hawaon ki lapet
18:29aayenge. Skardu, Kashmir, Gilgit, Dheer, Chitral, Swat mein mausam shadid sard rahega.
18:34Mehkmeh mausamiyat ki mutaabi, Karachi, Quetta, Lahore, Islamabad aur Peshawar samayt,
18:39mulke beshtar azlaam mein mausam sard aur khushk rehne ka imkaan hai.
18:42Punjab ke wasti aur medani alaakon mein sub dhun chahi rahegi.
18:45Aur Lahore mein ist waqt taza tareen kya surat-e-hal hai mausam ki, batayenge Khawaja Ramzan Majeed.
18:51Aaj bhi kuch saale 9 ka aagaz ho chuka hai aur saale 9 ke aagaz se hi sardi ki shiddat mein bhi
18:57azaafa ho chuka hai. Is waqt sard, thandi hawaein chah rahi hai, jis se sardi ki shiddat mein mazeed
19:03azaafa ho chuka hai. Is waqt shahir ke agar darcha harar ki baat ki jaye, toh is waqt darcha harar
19:085 degree centigrade hai, jabke jo thandi hawa chalne se sardi ki shiddat mein mazeed azaafa ho chuka hai.
19:14Jabke shahir ke mukhlif alaakon mein dhun ka sisla bhi barkaraar hai aur dhun ke 22 hadde nigaar mein
19:20wajah toh par kami aayi hai. Motorway tarjuman ka yeh kehna hai, road user mutmaad raastha GT road
19:26ikhtyaar karein aur doraane safar fog lights ka istamaal karein aur ghar zaruri safar se itnaab karein.
19:31Khel ke meydan se khabar yeh, Junubi Afrika ke khilab doosre test ke liye Kaumey Squad Cape Town
19:35pahunch gaya. Khiladi aaj se practice karenge. Shaheeno ko iss centurion test mein,
19:40San Sanikhe iss mukabale ke baad 2 wicket se shikast hui thi. Maze 5 Junubi Afrika ko 2 match ki series
19:46mein 1 safar ki bartari hasal. Doosra test Jumme se shuru hoga. Series ke tamam match
19:50A sports par barahiraas dikhaya ja rahi hai.
19:54HBL PSL 10 ke liye ghar mulki stars ki registration, Marginal's fastballer Tim Southey ne bhi naam
20:00darj karatiya. New Zealand ke Martin Guptil, Colin Mundu, Daryl Mitchell pehle hi registration
20:05kara chuke. England ke Alex Hales, Jason Roy, Luke Wood, Tom Kidmore, Milan aur David
20:11Willey bhi draft ka hisa ban gaye. Naujawan Junubi Afrika star Corbin Bosch, Royale Russo,
20:16David Wattner, Alex Carey, David Wattner, Sean Ebert, Matthew Short, Sikandar Azhar,
20:21Usman Khawaja, Shakib ul Hazar aur Mustafiz ur Rehman bhi dastayabi se aagah kar chuke
20:26hain. Drafting takreeb 11 Januari ko Gawadar mein hogi.
20:35Bada event karib aa raha hai. Fans ka josh bad raha hai. ICC Champions Trophy ka countdown
20:41shuru, 8 teamon ke darmayan cricket ki jang chhidne mein 50 din reh gaye hain.
20:46Khelon mein 2024 Arshad Nadeem ki jeet ke saath Pakistan ke liye naqabil-e-faramosh raha.
20:51Star athlete ne Paris Olympics me Sone ka tamka jeeta, snooker mein Mohammad Asif aalmi
20:56champion bane. Ek break ke baad dehasir hongi News Headlines ke saath.

Recommended