• 2 days ago
S Jaishankar Pakistan Visit : S JaiShankar का पाक PM से Handshake बना Science Subject || Daily Line


#SJaiShankar #ForeignMinister #PMofPak #SCOSummit2024 #Pakistan #India #SJaishankar #JaishankarVisitPakistan #IndiaPakistanRelation #DailyLine #DailyReport



नमस्कार
डेली लाइन के इस डिजिटल न्यूज़ प्लेटफॉर्म पर आपका स्वागत है। यह एक ऐसा मंच है जिसकी खबरें पत्रकारिता के वैश्विक मानकों पर खरी उतरती हैं। इसलिए वर्तमान मीडिया के बदलते परिदृश्य में हम विश्वस्नीय जानकारी और निष्पक्ष खबरों के साथ हम आपके साथ जुड़े हैं। बतौर न्यूज़ प्लेटफॉर्म हमारा धर्म है कि हम आपको ऐसी खबरें और जानकारियां उपलब्ध करवाएं जो न सिर्फ पत्रकारिता के मूल्यों खरी उतरें बल्कि देश-दुनिया से लेकर आपके क्षेत्र तक की हर खबर से आपको अपडेट रखें।


#LatestNews #hindiNews #Live #YogiAdityanath #AkhileshYadav #TrendingNews #todayTopNews #TrendingVideo #DailyLine

Category

🗞
News
Transcript
00:00SCU summit mein hissa lene Pakistan gaye Bharat ke videsh Mantri S.J.Shankar ki ek tasveer kaafi charcha mein hain.
00:11Iss tasveer mein weh Pakistan ke Pradhan Mantri Shahbaz Sharif ke saath haath milate nazar aa rahe hain.
00:16Kuch seconds ke handshake ke baad dono ke beech lanbhag 20 second baad cheed bhi hui.
00:21Bharat aur Pakistan ke beech ke hisso ko laga taar social media par share kiya jaa raha hai.
00:28In rishton ko yeh handshake kaafi had tak bayan kar raha hai.
00:31Darasal haath milane ko lekar ek study batati hai ki kitni der tak handshake garm joshi ko dikhata hai.
00:38Aur yeh process kitna lamba chalna khatarnak ho sakta hai.
00:41Ji haan yeh 100% sach hai.
00:43Agar aapko lagta hai ki kisi ka haath pakad kar handshake karte rahenge to rishtein behtar honge to yeh galat hai.
00:50Handshake ko lekar science ki studies bahot koch naye tathyon ko saamne laa chuki hain.
00:55Pakistan ke Islamabad me SCO Shikhar Sammelan me pohache Videsh Mantri S.J. Shankar
01:00jab wahan ke PM Shahbaz Sharif se mile to poori duniya ki nazrein isi mulaqat par thi.
01:05Dono yehtaon ke beech ki garm joshi se mulaqat par do desho ke rishton ka bhavishya bhi tika hai.
01:11Iski tasveer khud Videsh Mantri ne post ki jisme yeh Pakistani PM se haath milate nazar hai.
01:17Yeh tasveer bohot kuch bayan kar rahi hai.
01:20Bharat ke Videsh Mantri S.J. Shankar aur Pak PM Shahbaz Sharif ka yeh handshake wala video
01:26duniya bhar me vishleshan ka mudda ban chuka hai.
01:29Video me saaf nazar aa raha hai ki Pakistan ke Pradhan Mantri Shahbaz Sharif
01:34kaise Bharat ke Videsh Mantri ki abwani me khade hai.
01:37Aur pehle se hi handshake ki mudra me aage.
01:40Shahbaz kaafi del tak S.J. Shankar ki taraf haath badhay rahe
01:44jab ki S.J. Shankar kuch waqt baad unke kareen pohche.
01:48Ab isme foreign experts bohot kuch keh rahe hain.
01:51Kuch ka kehana hai ki dekh sakte hain ki Shahbaz Sharif ko Bharat se madad ki guhaar lagate hue nazar aa rahe hain.
01:58Kuch ka kehana hai ki Pakistan ke Pradhan Mantri Bharat ke saamne dabab mein hai.
02:02Waqera waqera.
02:03Ab isme sachayi kitni hai?
02:05Yeh toh nahi kaha jaa sakta.
02:06Kyuki Shahbaz mezwan the aur S.J. Shankar mehman.
02:09Aur dekha jaata hai ki mezwan apne mehman ka swagat dharm joshi dikhane ke liye hi karta hai.
02:16Aapus me haath milana waise toh ek obcharik tariqa hai.
02:19Lekin science ki maane toh yeh ek poori ki poori language hai.
02:23Haath kitni der tak milaya gaya aur usme kitni sakhti ya narmi rahi.
02:27Isse bohot kuch pata lagaya jaa sakta hai.
02:30Bohot saare raaz iss handshake me chhupe hote hain.
02:33Aaj ki iss explainer mein hum handshake science ko samjhenge.
02:36Namaskar, mera naam hai Kiran. Aap dekh rahe hain Daily 9.
02:40Bharat ke videsh mantri S.J. Shankar aur Pakistan ke Pradhan Mantri Shahbaz Sharif ki mulaqat aur handshake ko lekar khubh charchayan ho rahi hain.
02:47Lekin isse pehle bhi kai netaon ki mulaqate surkhiyon me rahi hain.
02:51Handshake science ko samjhenge ke liye pehle aapko le chalte hain saal 2019 mein.
02:56Saal 2019 mein poorv ameriki rajpati Donald Trump aur North koreai neta Kim Jong ki mulaqat par khubh baatein hui.
03:05Aapas me kattar dushman dikhne wale in deshon ke netaon ne haath bhi milaya.
03:10Ye handshake kaafi lamba chala aur dekhne par saaf tha ki dono hi leaders naakam koshish kar rahe hain.
03:16Sirf taakat ki aazmaish kar rahe hain.
03:19Yaani saaf taur par kahein to dono netaon ke handshake se aesa lag raha tha ki ye haath milane ke bahane apna apna gussa ya phir na khushi jata rahe hain.
03:28In dono tasveeron ne khubh surkhiyon bato rahi the.
03:31America North Korea ke iss handshake par memes bhi bana raha tha.
03:35Aap baat karte hain Donald Trump aur phir French Rajpati Emmanuel Macron ke beech ke rishton ki.
03:40Dono hi hamesha aakramak roop se hi nazar aate hain.
03:44Dono ka handshake kaafi aakramak hota hain.
03:46Saal 2017 mein mulaqat ke dauran dono ne itni taakat se haath milaya ki unki ungliyon ke jod safed dikhne lage the.
03:53Lagbak 30 second chale iss handshake ko kaafi zyada surkhiyon mile.
03:58Ek study kehte jaye ki 3 second se zyada der tak chalne wala handshake kisi gadbari ki taraf ishaara karta hai.
04:04Scotland ki ek research ki maane to isme saaf kaha gaya ki handshake jitna lamba chalta hai,
04:10sambhawana hai ki uske baad mulaqatiyon mein wo zosh na rahe.
04:14Yaha tak ki der tak haath milane ke baad dono pakshon mein ek doosre ke hi liye shakh peyda ho jata hai.
04:20Aur we aapas me khul kar baat nahi kar paate.
04:22Iss shodh mein 36 logon ko shamil kiya gaya.
04:26Yeh duran paya gaya ki sirf haath milane ke waqt ko kam ya zyada karne par kaise do logon ki beech chemistry hi badal jati hai.
04:33Scholars ka maana hai ki haath milane ka aadarsh samay lagbak 2-3 second ka hota hai.
04:39Iss se lamba handshake dono ko asahaj kar deta hai.
04:42Waise handshake ki shuruaat ka kaaran bhi kuch log bahot bhaitar nahi bata paate.
04:47Pehli baar kis savyata ke taht haath mila kar abhivadan hua yeh saaf nahi hai.
04:52Lekin maana jata hai ki yeh greek ya phir sevan ka culture raha hoga.
04:56Bahot si greek kalakritiyon me do log haath milate hui nazar aate hain.
05:00Jabki unke peechhe hathiyaar hote hain.
05:02Maana jata hai ki log ek doosre se milte samay yeh dikhane ke liye haath milate hain ki we nihatthe hai.
05:09Aur phir agle paksh se kewal baatjeet ke liye aaye hain.
05:12Madhya kaal ke Europe me bhi do ladake khud ko nihattha dikhane ke liye hi handshake karte the.
05:19Unisvi sadhi ke aate aate handshake karne ko Ameriki culture maane jaane laga.
05:23Haath milana aur paurish aur takat ko dikhane ki baat kahi jaane lagi.
05:27Abraham Lincoln ko handshake ka ustad maana jata raha.
05:31Saal 1861 ki ek ghatna aaj bhi khoop kahi suni jati hai.
05:35Tab Rashtrapati pad ka chunao jeetne ke baad Lincoln apne samarthakon se haath mila rahe the.
05:40Yeh kram itna lamba chala ki unka daya haath zakhvi hogaya.
05:45Lekin Lincoln rukhe nahi aur baay haath se logon se haath milane lage.
05:49Is baat yeh ke baad unhone mazaak me kaha ki unke haath itne thak gaye the ki ab shayad hi kisi aur se haath mila sake.
05:57Alanki aisa hua nahi.
05:58Veh handshake karte hi rahe.
06:00Is ghatna ki turand baad ek kalakat Leonard Volk ne unke haathon ka ek plaster cast bhi banaya.
06:06Suji huye haath ka naam lene ki chalte art bhi kuch usi tarah dikhti thi.
06:10Baad bhi iski dheron kaupiyan bani.
06:13Lincoln ke haathon ke yeh mould kahi Ameriki sangrahaliyon me rakhe huye hain.
06:17Jo handshake ki kahaani baya karte hain.
06:19Maujooda Ameriki Rashtrapati Joe Biden haath milane se aksar bachte nazar aate hain.
06:24Yaha tak ki weh handshake se bachne ke liye logon ko gale laga dete hain.
06:29Yeh itni baad dekha jaa chuka hai ki waha ki media me unhe hugs bhi kaha jaane laga.
06:34Wahi Canada ke PM Justin Trudeau politics of handshake se itne tang lagte hain ki weh logon ke kando par haath rag dete hain.
06:41Ta ki haath milane ki naubat hi na aaye.
06:43Trump ke saath unhe kai maukon par kuch isi tarah se dekha gaya hain.
06:47Weh badhai dene, abhar jatane, milne, abibadan karne ke liye aksar haath milate hain.
06:52Log haath milane ko saamane sanket samajhte hain.
06:55Lekin science kehta hain ki haath milane se kisi ki bhi health ka pata lagaya jaa sakta hain.
07:01Darsal aap jab kisi se bhi haath milate hain to usse uski health ka pata aasani se lag jaata hain.
07:08Science kehta hain ki haath milane aapki health ke baare mein sab kuch bata sakta hain.
07:12Jaise ki aap dil ki samajhyaon se jojh rahe hain ya nahin, dementia ya phir depression mein hain ya nahin.
07:18London ki Queen Mary University ki research ke matabi, agar kisi se koi dheere se haath milate hain,
07:24to usse bhavishya mein dil ke daure ya stroke ka ek sanket mana jaa sakta hain.
07:29British Heart Foundation ne 5000 logon par research mein, logon ki haath ki pakat aur taakat par research ki.
07:36Isme paya gaya ki jil logon ke haath ki pakat kamzor thi, un logon ka dil bhi kamzor tha.
07:41Queen Mary ke William Harvey Research Institute ki research ko need karne wale professor Stephen Peterson ne kaha tha,
07:47ki haath pakarne ki taakat, hriday rog ke zokhim wale logon ki pehachan karne aur iska ilaj karne ke liye aasan tariqa ban sakta hain.
07:56Kharab mood aur kamzor haath milane ke bech sambandh ki jaanch karne ke liye,
08:0045 saalon se zyada umr ke 51,000 se zyada logon ka data check kiya gaya.
08:05Iske baad National Library of Medicine me vaigyanikon ne daawa kiya ki haath ki kamzor pakat wale log depression ka shikar hote hain.
08:13Iske baad National Library of Medicine me vaigyanikon ne daawa kiya ki haath ki kamzor pakat wale log depression ke shikar hote hain.
08:20Tera saal depression wale log aksar thakaan aur kamzori mehsoos karte hain, iske liye unki pakat kamzor ho jate hain.
08:26Saal 1951 aur 1976 ki beech ki gayi ek research mein pata chala hain ki jil logon ke haath ki pakat kamzor ho,
08:34un logon ki mrityu bhi jaldi ho sakti hain.
08:37British Medical German me publish hui ek study ke mutaabik jil logon ke haath ki pakat ke beech umr meh kamzori ho,
08:44un meh heart, swasan sambandhi tamaam bimariya ho sakti hain, saath hi un meh cancer se maut ka zokhim bhi 20% thak zyada hota hain.
08:52Philaal humne aapko samjhane ki koshish kiye ki ye handshake wali kala kya hai aur science is bare mein kya kehta hai.
08:58Kaise lagayi humare ye jankari, hume comment section mein zaroor bataye, saath hi video ko like karein, share karein aur channel ko subscribe karna bilkul na bhulein.

Recommended