• 2 days ago
Gunhgar_ki_toba_...._Heart_touching_byan___Syed_Abdul_Majeed_Nadeem_Shah_Sb
#islamic video #hadeesviedo#islam#bayan#molana
#hadees in urdu
#hadees sharif
#hadees nabvi in urdu
#sahih bukhari hadees in urdu
#bukhari sharif hadees
#urdu hadees
#hadees mubarak in urdu
#bukhari sharif ki hadees
#hadees mubarak
#hadees sharif in urdu
#hadees pak
#hadith in urdu
#sahih bukhari hadith in urdu
#hadees e nabvi
#sahih hadees in urdu
#bukhari hadees
#hadees ki baatein
#hadees nabvi
#hadees e pak
#sahih bukhari in urdu
#daily hadees
#hadees in urdu pak

@peerajmalrazaqadriofficial
@MolanaTarekJmeel
@molanaTareqMasood


hadees sharif in urdu
status hadees sharif in urdu
bukhari sharif in urdu hadees full
hadees bukhari sharif in urdu
hadees pak in urdu bukhari sharif
hadees e nabvi in urdu hadith sharif farman e mustafa
hadiths of islam in urdu
hadith translation in urdu

Category

📚
Learning
Transcript
00:00Bazaar, bazaar, har aanchi hasti, bazaar, gar kafiro, gabro, buth parasti, bazaar,
00:13ee dargahe maa, dargahe no meedi nis, sad baar agar toba shikasti, bazaar,
00:25o khatakaar, agar soh martaba toba karke tod bataye, nibha nahi saka, toh mayoos hone ki koi baat nahi,
00:35ek martaba phir mere dar pe aake dekh, jabeen-e-niyaz jhukaake dekh, talab ka daman phailaake dekh,
00:45nadamat ke ashk bahaake dekh, mere lutf-o-karam ko aazmaake dekh,
00:52tere aane mein der hai, mere raazi hune mein der nahi hogi.
00:57Naray Takbir! Zindabad!
01:01Khatme-e-Nabuwat! Zindabad!
01:03Shahna-e-Sahaba! Zindabad!
01:05Karam-e-Joban! Zindabad!
01:08Hazrat Maulana Shah Abdul Majid Nadeem Shah sahib! Zindabad!
01:12Hadith-e-Qudsi, Rahmat-e-Alam Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Rab se riwayat ki hai,
01:19mera Rab kaita hai, jab koi boodha gunaagaar sharminda hokar mere dar pe aaye,
01:27wo boodha jisne saari zindagi bhagavat mein guzaar di,
01:32jiske naama-e-amaal mein ek bhi sajda nahi, ek bhi rakoo nahi, ek bhi tasbih nahi,
01:42shabaab ki masti thi, jawaani ka nasha tha,
01:46daulat ki tarang thi, biradri aur party ka gurur tha,
01:52alaake mein chaudhri kailata tha, khaan kailata tha,
01:57shamla uncha rakta tha, uski firauniyat se Allah ke kamzor bande largte the,
02:04kabhi mere dar pe nahi jhuka, lekin ab zindagi ki shaam ho gayi,
02:10aankhun se binahi chali gayi, zubaan bolne ke kaabil na rahi,
02:16kaan sunne se baaghi ho gayi, baalu mein chaandi utaraayi,
02:21sar kaapne laga, kamar jhuka gayi, medha kuch hazam nahi karta,
02:27bimaariyon ne yalgaar kar di, aulad ne bhi nigaahin pherni,
02:32maashre ne bhi muh mord liya, sabse bada haadisa jeb khaali ho gayi,
02:39ab yeh poora insaan saari zindagi bhagavat mein guzarnewala,
02:46jab saari kainat se mayoos hota hai, toh phir aansu ki barsaat mein mere dar pe aata hai,
02:54tang dasti ke jo aalam mein mai ghabraata hoon,
03:01par dare ghair pe jaate hue sharmaata hoon,
03:07haath phailane mein muhtaaj ko ghairat kaisi,
03:13sharma itni hai ke banda tera kahlaata hoon,
03:18dekh mere maabood daaman mein toh kuch nahi hai,
03:23tujhse maangte hue bhi hayaat hi hai,
03:26ke saari zindagi khataon mein guzarn gayi,
03:29lekin tujhe na pukaaroon toh kahan jaaoon,
03:32tere sewa toh mera hai hi koi nahi,
03:35rabbul aalameen ne firmaaya mere maabood,
03:38o mere payambar,
03:40achhi tara jaanta hoon is boode ko,
03:42lekin aaj isi thukraadoon,
03:45isi apne dar se dhugaadoon,
03:48meri rahmat gawara nahi karti,
03:50ke mujhe iske safaid baalu se hayaa aajaati hai,
03:54Zindabad
04:06taana bhi nahi deta, maaf kar deta hai,
04:09na parmaan beta, iklota beta,
04:13saalha saal ke baad,
04:16jab sharminda hokar apne baap ke paas aata hai,
04:20razi karne ki koshis karta hai,
04:23pidri mohabbat ka maara hua baap,
04:26razi nahoga toh kahan jaayega,
04:29bete ko seene se toh laga deta hai,
04:32lekin taana zarur deta hai,
04:34tu kitna nalaayik hai,
04:36fala maukde par mera dil dukhaya,
04:38fala marhale par meri baat na maani,
04:41fala zindagi ke mod par tu ne meri dil aazaari ki,
04:45baap bhi bete ko taana dekar maaf karta hai,
04:48lekin rabbul aalameen apne gunaagaar bande ko
04:51taana bhi nahi deta, maaf kar deta hai,
04:58baghar kuch liye sab kuch denewala kaun?

Recommended