• 3 months ago
Surah Luqman Complete Urdu Translation
القرآن الكريم Surat No 31 _ سورة لقمان - Ayat No 1 to 34 Complete Urdu Translation

Category

🎵
Music
Transcript
00:00Shuroo Allah ka naam lekar, jo bada mihirbaan nihayat rahim wala hai, alif laam meem.
00:08Yeh hikmat ki bhari hui kitab ki ayati hi, neku kaaron ke liye hidayat aur rahmat.
00:14Wo jo namaz ki pabandi karte aur zakat deti hi, aur wohi hai jo aakhirat ka yaqeen rakte hi.
00:20Yehi apne parwardigar ki taraf se hidayat par hai, aur yehi kamyab hai.
00:26Aur logon me baaz aisa hai, jo behuda hikayate kharita hai, taake logon ko besamjhe Allah ke raste se gumraah kare aur usse hasi kare.
00:37Yehi log hai jinn ko zalil karne wala azaab hoga.
00:40Aur jab usko hamari ayate sunayi jati hai, to akarkar moo phair leta hai.
00:45Goya unko sunayi nahi.
00:47Jaise uske kaanon me sikl hai.
00:50To usko dar dene wale azaab ki khushkhabri suna do.
00:53Jo log imaan laaye aur naik kaam karte rahe, unke liye neemat ki baag hai.
00:58Hamesha unme rahenge, Allah ka wada sacha hai, aur wo ghalib hai, hikmat wala hai.
01:04Usi ne asmanon ko sutoonon ke bagayar peyda kiya, jaisa ki tum dekhte ho.
01:08Aur zameen me pahar bana kar rag diye, taake wo tumko lekar dolne na lage.
01:13Aur usmein har tarah ke jaanwar phaila diye.
01:16Aur humi ne asman se paani nazil kiya, phir usmein har kism ki nafeez cheezein ugaye.
01:21Ye to Allah ki takhliq hai.
01:24Ab mujhe dikhao, ki Allah ke sawa jo hastiyan hai, unno ne kya payda kiya hai.
01:28Haqiqat ye hai, ki ye zalim khuli gumrahi mein hai.
01:32Aur hum ne Luqman ko daanai bakhshi, ki Allah ka shukr karo.
01:36Aur jo shaks shukr karta hai, to apne hi fayda ke liye shukr karta hai.
01:40Aur jo na shukri karta hai, to Allah bhi beniyaaz hai, laayak-e-hamd-o-sana hai.
01:46Aur us waqt ko yaad karo, jab Luqman ne apne bete ko nasihat karti hui kaha,
01:50ki beta, Allah ke saath shirk na karna.
01:53Shirk to bada bhaari zulm hai.
01:55Aur hum ne insaan ko, jisse uski maa takleef par takleef sehkar,
02:00peyak mein uthai rakti hai, phir usko doodh pilati hai.
02:04Aur aakhir-e-kaar, do baras mein uska doodh chudana hota hai.
02:08Maine taqeed ki hai, ki mera bhi shukr karta rahe.
02:11Aur apne maabaat kabhi, ki tumko meri hi taraf lot kar aana hai.
02:15Aur agar wo dono tujh par zor daalein, ki tu mere saath kisi aisi cheez ko sharik kare,
02:20jiska tujhe kuch bhi ilm nahi, to unka kaha na maana.
02:23Haan, duniya ke kaamon mein unka achi tara saath dena,
02:27aur jo shaksh meri taraf rooju laaye, uski raste par chalna.
02:31Phir tumko meri taraf lot kar aana hai,
02:33to jo kaam tum karte rahe ho, sabse tumko aagaah kar dunga.
02:37Luqman ne ye bhi kaha, ki beta, agar koi amal, chahe raai ki daane ke barabar bhi chota ho,
02:43aur ho bhi kisi patthar ke andar,
02:45ya asmaanon mein makfi ho, ya zameen mein,
02:48Allah usko qiyamat ke din la maujood karega.
02:51Kuch shak nahi, ki Allah baareek bhi hai, khabartaar hai.
02:55Beta, namaz ki pawandi rakhna,
02:58aur logon ko achche kaamon ke karne ka mashwara dete rahna,
03:01buri baaton se mana karte rahna,
03:03aur jo museebat tujh par waqe ho, us par sabar karna.
03:07Be shak ye badi himmat ke kaam hai.
03:09Aur takabur karte hue logon ke saamne gaal na phulana,
03:13aur zameen mein akad kar na chalna.
03:15Isliye, ki Allah kisi itraane wale sheikh-e-khoray ko pasand nahi karta.
03:20Aur apni chaal mein ihtidal kiye rahna,
03:23aur bolte waqt zara aawaaz neechi rakhna.
03:26Kyunke, baot unchi aawaaz gadhon kisi hai,
03:29aur kuch shak nahi, ki sabse buri aawaaz gadhon ki hoti hai.
03:33Kya tumne nahi dekha, ki jo kuch aasmaanon mein,
03:36aur jo kuch zameen mein hai,
03:38sabko Allah ne tumhare qaboo mein kar diya hai,
03:41aur tum par apni zahiri aur baatini neematein poori kar di hain.
03:45Aur baaz log aise hain ki Allah ke baare mein jhagarte hain.
03:49Na ilm rakte hain, aur na hidayat, aur na kitab-e-rohshan.
03:53Aur jab unse kaha jaata hai,
03:55ki jo kitab Allah ne nazir farmai hai, uski pehravi karo,
03:59toh kehte hain, ki hum toh uski pehravi karenge,
04:02jis par humne apne baap-daadon ko paaya.
04:05Bhala agarche shaitaan unko dozaq ke azaab ki tarab bulata ho,
04:09tab bhi, aur jo shahs apne aap ko Allah ka farma bardaar kar de,
04:13aur nekukaar bhi ho,
04:15toh usne mazboot kada tham liya.
04:18Aur sab kaamon ka anjaam Allah hi ki taraf hai,
04:21aur jo kufr kare,
04:23toh uska kufr tumhe ghamnaat na kar de.
04:26Unko hamare taraf lot kar aana hai,
04:28fir jo kaam wo kiya karte the,
04:30hum unko jataa denge.
04:33Be shak Allah dilon ki baaton se bhi waqif hai,
04:36hum unko thoda sa fayda pohchayenge,
04:39fir azaab-e-shadeed ki taraf majboor karke le jayenge,
04:42aur agar tum unse poocho,
04:43ki aasmano aur zameen ko kisne peyda kiya,
04:46toh bol uthenge ki Allah ne.
04:48Kehdo ki Allah ka shukr hai,
04:50lekin unme aksar samaj nahi rakta hai.
04:53Jo kuch aasmano aur zameen me hai,
04:55sab Allah hi ka hai.
04:57Be shak Allah be-niyaz hai,
04:59layiq-e-hamd-o-sana hai.
05:01Aur agar yun ho,
05:02ki zameen me jitne darakthein,
05:04sab ki sab qalam ho,
05:06aur samandar ka tamaam paani siyaahi ho,
05:09aur uske baad saath samandar aur siyaahi ho jayein,
05:12toh Allah ki baatein,
05:13yaani uski sifatein,
05:15khatm nahun.
05:16Be shak Allah ghalib hai,
05:18hikmatwala hai.
05:20Allah ko tumhara peyda karna aur jila uthana,
05:23ek shafz ki peyda karne aur jila uthani ki tarah hai.
05:26Be shak Allah sunnewala hai,
05:28dekhnewala hai.
05:30Kya tumne nahin dekha,
05:31ki Allah hi raat ko din me daakhil karta hai,
05:33aur din ko raat me daakhil karta hai,
05:36aur usi ne sooraj aur chaand ko kaam me laga rakha hai.
05:39Har ek,
05:40ek waqt-e-muqarrar tak chal raha hai.
05:42Aur yeh ki Allah,
05:43tumhare sab aamaal se khabardaar hai.
05:46Yeh isliye,
05:47ki Allah ki zaath hi bar haq hai.
05:49Aur jis-jis ko,
05:51yeh log Allah ke siwa pukaarthein,
05:53wo sab baatil hai.
05:54Aur yeh ki Allah hi aali rutba hai,
05:56garami qadr hai.
05:58Kya tumne nahin dekha,
05:59ki Allah hi ki meherbani se kashtiyan samandar me chalti hai,
06:02taake wo tumko apni kuch nishaniyan dikhaye.
06:05Beshak,
06:06ismein har sabr karnewale,
06:08shukr karnewale ke liye nishaniyan hai.
06:10Aur jab inper samandar ki lehre,
06:12saaibano ki tarah chha jaati hai,
06:14toh Allah ko pukaarne,
06:16aur khaalis uski ibadat karne lagthein.
06:19Phir jab wo unko najaat dekar,
06:21khushki par pohcha deta hai,
06:22toh chand hi log insaaf par qaim rahtein,
06:25aur hamari nishaniyon se wohi inkar kartein,
06:28jo ehd shikan hai,
06:30na shukr hi.
06:31Logo,
06:32apne parwardigar se dharo,
06:34aur us din ka khauf karo,
06:36ki na toh baap apne bete ke kuch kaam aaye,
06:38aur na beta baap ke kuch kaam a sakaye.
06:41Beshak,
06:42Allah ka waada sachcha hai.
06:43Pas,
06:44duniya ki zindagi tumko dhoke mein na daal de,
06:46aur na wo bada farew denewala shaitaan tumhe,
06:49Allah ke baare mein kisi tarah ka farew de.
06:52Allah hi ko qiyamat ka ilm hai,
06:54aur wohi me barsata hai,
06:56aur wohi hamila ke pet ki cheezon ko jaanta hai,
06:59aur koi shaks nahi jaanta,
07:01ke woh kal kya kaam karega,
07:03aur koi shaks nahi jaanta,
07:05ke kis sarzameen mein usse maut aayegi.
07:07Beshak,
07:08Allah hi jaanne wala hai,
07:10aur khabardaan.

Recommended