#headlines #pmlngovt #nationalassembly #barristergoharalikhan #fazalurrehman #sheikhrasheed
Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY
Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP
ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.
Official Facebook: https://www.fb.com/arynewsasia
Official Twitter: https://www.twitter.com/arynewsofficial
Official Instagram: https://instagram.com/arynewstv
Website: https://arynews.tv
Watch ARY NEWS LIVE: http://live.arynews.tv
Listen Live: http://live.arynews.tv/audio
Listen Top of the hour Headlines, Bulletins & Programs: https://soundcloud.com/arynewsofficial
#ARYNews
ARY News Official YouTube Channel.
For more videos, subscribe to our channel and for suggestions please use the comment section.
Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY
Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP
ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.
Official Facebook: https://www.fb.com/arynewsasia
Official Twitter: https://www.twitter.com/arynewsofficial
Official Instagram: https://instagram.com/arynewstv
Website: https://arynews.tv
Watch ARY NEWS LIVE: http://live.arynews.tv
Listen Live: http://live.arynews.tv/audio
Listen Top of the hour Headlines, Bulletins & Programs: https://soundcloud.com/arynewsofficial
#ARYNews
ARY News Official YouTube Channel.
For more videos, subscribe to our channel and for suggestions please use the comment section.
Category
🗞
NewsTranscript
00:00Hukumat ka Israar, Maulana ka Inkaar, Deadlock Bar Karar, Hukumat Maulana ko apne Ayni Musawwida
00:08par Raam na kar payi, Ayni Tarameen pesh karne ka faisla maukar karna pada, Senate aur Qaumi
00:14Assembly ke ishlaas ghair mohinna muddat tak ke liye multabi, Hukumat ka Maulana Fazlur
00:19Rehman ko mazeed waqt dene ka faisla, Senator Irfan Siddiqui kehte hain, Fazlur Rehman ka
00:24response muzbat tha, Hukumat ne bhi unki baaton se ittifak kiya, PTI Arkaan ke paas zamanat
00:29dene ki koi authority nahi thi, Tarameen Qaumi Assembly ke nai session mein aayengi, Zaraay
00:34ka kehna hai Wazir-e-Azam ke daur-e-America se waapsi tak Ayni Tarameen ko muakar kiya
00:39gaya, Bill 10-12 din baad Qaumi Assembly mein pesh kiya jaayega, Maulana Fazlur Rehman
00:45ki ziris-idarat, JUI ki Parlimani Party ka ishlaas, Ayni Tarameen se matalik mushabrat
00:50ki gayi.
00:51Maulana Fazlur Rehman ki koshishen aaj bhi jaari, shihr-e-iqtadaar mein Maulana Fazlur
01:19Rehman
01:49se bhi Bill ke liye tajaweez maangi hain, Bill par ittifaq-e-raay ke liye mazeed mushabrat
01:54par ittifaq hua, Naveed Qamar ne bataya, aaj ki mulaqat mein mazbad baatein hui, milkar
01:59baithenge toh Qaumi ittifaq-e-raay peyda hoga.
02:02Ayni Bill mein kuch cheezein akshi nahi thi, isliye humne saath nahi diya.
02:31Rehnuma JUI Qamran Murtaza kehte hain, Article 199 mein adalaton se mutalik kuch ghair munasib
02:37cheezein thi, aur bunyadi insani hukook se mutalik kuch qadghanein thi, jin se hume
02:43masla tha.
02:44Bill mein kuch aesi baatein hain, jiski wajah se timing par aitraaz hain.
02:47Bill mein kuch baatein akshi bhi hain, duras cheezon par hum saath chalne ke liye tayyaar
02:51hain.
02:52Rashid Somro kehte hain, Ayni Tarameen laayen aur isse Ayni musk ho jaye, toh saath nahi
02:56denge.
02:57Koi aesi cheez jis par tahafuzat hon, toh isse nikaalne ke baad saath denge.
03:01Is baat siyasat ka mehbar, Maulana Fazlur Rehman hain.
03:04Ye baat manwali ke muddat-e-mulazmat mein tausi nahi honi chahiye.
03:09Pakistan Tehreek-e-Insaf ne Ayni Tarameen muaqqar hone ka credit Maulana Fazlur Rehman
03:36ko diya.
03:37Asad Qaisar ne kaha, haalaat ka mukabla karne par Maulana ko salaam pesh karte hain.
03:41Afsoz Bilawal Bhutto aur People's Party par hain, unhe sab kuch pata tha, khud ko parliamentarian
03:47kehte hain aur dande ke zor par seedhe bhi ho jate hain.
03:50Kya chutti wale din Ayni Tarameen laani ki koshrez chori aur daaka nahi?
03:54Humare saath arkaan ko igwa karke Punjab House mein rakha gaya hain, kisi dhamki mein nahi
03:59aayenge, Adliya par waar ho raha hain, aesi kanun saazi hui toh muzahmat karenge.
04:05Barrister Gauhar ne kaha, tarmeen muaqqar hone ka sehra Fazlur Rehman ke sar hain, ye
04:10aayin reversal ki tarameen hain.
04:12Hukumat ke paas numbers nahi, shayad farishte aakar vote den.
04:15Siyasi party par pabandi ka ikhtiyar Ayni Adalat ko diya jaa raha hain, hum samajh chuke
04:20hain ye plan kuch aur hai.
04:28Savda Ban ke kabina mein nahi gaya, abhi ye CCLC mein discuss nahi hua.
04:33Savda lana hukumat ki zimmedaari hai, opposition ka kaam tankeed karke cheezan nikalwana ya
04:38shamil karna hai.
04:39Koi daaka nahi, koi chori nahi hai.
04:43Hukumat ka koi kaam chori daaka nahi, dileri ke saath tarameen lekar aayenge.
04:48Ayni Adalat ki tajweez ko Adliya par hamle ka taasur diya gaya, mera tayyar karda judicial
04:53package.
04:54Jis marzi bar mein le jaye, musharad hua toh main jawab de hun.
04:58Bhazire Kanun Azam Nazir Tarad ka Asad Qaisar ko challenge.
05:01Kaha, Ayni tarameen ka musawwida abhi kabina mein nahi gaya, hamara kaam kanun pesh karna
05:06aur opposition ka kaam tankeed karna hai.
05:09Sahil ko insaaf deyen aur bar wakht deyen, commission ko high courts regulate karne ka
05:13ikhtiyar diya hai, jo judge kaam nahi karta wo ghar jaye.
05:16Kya ye abhiya ki azadi ke khilaf hai?
05:19Khwaja Asif ne kaha, ye ikdamaat kisi ek shagz, party ya ittaat toh mazboot karne ke liye
05:24nahi.
05:25Maksad, adam tawazun theek karna hai.
05:27Adhliya par dabaw kam karne ke liye, tarameen mein koi siyasi mufaad nahi.
05:32Jo wo dala jaye, isse gina jaye, toh isme kya siyasi mufaad ho sakta hai?
05:36Ayni adalat kai mulko mein hai, musawwida par mukammal ittafaak hoga.
05:41Taiwan mein aa jayega.
05:58Tenure fix hona chahiye.
06:01Ayni adalat ka sarbarah retired judge hoga.
06:03Musheer barahe Qanoon-o-Insaf Barrister Aqeel ki tazdeer.
06:06Kaha ayni adalat 5 judges par mushtamil hogi.
06:09Ayni adalat ke sarbarah ka taqrur sadr Wazir-e-Azam ki advice par karenge.
06:13Ayni adalat ke sarbarah ka taqrur 3 saal ke liye hoga.
06:1626 feen ayni tarameen ke mujawwida aham nikahat-e-RY news par.
06:20Maulana Fazl-ur-Rehman ke mutalibe par ayni tarameen ke asal musawwida mein mutaad-e-tabdeeliya.
06:25Zaraay ka kehna hai.
06:27Bilawal Bhutton ki koshishon se kam se kam agenda par hukumat aur maulana mein mutaad-e-nikahat par ittifaq ho gaya.
06:33Maulana Fazl-ur-Rehman aur hukumat mein ayni adalat ke qayam par ittifaq-e-raay ho gaya.
06:38Maulana ke mutalibe par article 51 aur 200 mein military court se mutaalik tarameen wapas le li gayi.
06:44Judges ki muddat-e-mulajamat 68 saal tak badhani ki shirk bhi wapas le li gayi.
06:56Govt ke champions se poochin.
06:59Wo aap wo daada bete jawaab deke bhi nahi.
07:01Chhup-chhup aake nakhlein to aap log magad ke poochin ke kya kiye aap logar.
07:04Hukumat ki aap kya samjhte hai tarameen ki ho nahi sakhi.
07:06Itna do din hal chal rahi aur bhi kya ho?
07:08Naahel aur nikammo se aap yehi expect kar sakin.
07:11Ayni tarameen pesh karne mein naakami.
07:15Senator Faisal Wawda ne hukumat ko naahel aur nikamma karam de diya.
07:19Hukumat ke jaanib se tarameen naal aale ke sawal par kaha,
07:22naahel aur nikammo se yehi tabakko ki jaa sakti hai.
07:25Hukumti arkaan chhup-chhupa kar nikal rahe hain.
07:27Main jalt aapko bataunga.
07:29Lekin pehle hukumti arkaan se poochin bil kyu nahi pesh hua?
07:35Mujawwida aayini tarameen ka ladam karar dene ke liye Supreme Court mein darkhaas daahe.
07:39Darkhaas mein kaha gaya, Mujawwida aayini tarameen ko ghar aayini karar diya jaye.
07:43Wifaqi hukumat ko aayini tarameen se roka jaye.
07:46Mujawwida aayini tarameen ko ikhtiyarat ki takseem
07:49aur adliya ki aazadi ke khiraaf karar diya jaye.
07:52Parliament agar aayini tarameen kar le to sadr ko dastakhat karne se roka jaye.
07:56Parliament adliya ke ikhtiyar ko wapas
07:58ya adalati ikhtiyarat me tampering nahi kar sakti.
08:01Abid Zubairi, Shafqat Chauhan, Shehbaz Sarki aur deegar ki jaanib se darkhaas daae.
08:16Lahore mein 19 Saarik ko ikathe hoke
08:18movement ka aagaas karo aur Inshallah hum karenge
08:22aur hum koi aayini package aane nahi denge.
08:25Hum usko dandhi ki tokri mein phenk denge
08:28aur hum is Supreme Court ko mazeed taqatwar Supreme Court dekhna chahate hain
08:35aur taqatwar banayenge.
08:37Supreme Court Bar ke saabik Sadr Hamid Khan
08:40ka 19 September se aayini tarameen ke khalaaf bukhla tehreek shuru karne ka aaylaan.
08:45Kehte hain aayini adalat banani hai toh pehle bukhla ki laashon par se guzarna padega.
08:49Mujawwiza aayini tarameen mein Chief Justice ki takroori ka tariqaikar badalne ko nahi maante.
08:55Justice Mansoor Ali Shah ke Chief Justice banne ka notification jaari hona chahiye.
09:00Tamaam bukhla bahar niklein.
09:02Pakistan ki multilib Bar Councils ka bhi sakht radhyaamal.
09:05Balochistan Bar Council ki Mujawwiza aayini tarameen ki muzammat
09:09aur Chief Justice of Pakistan par tanki.
09:13Kaha yeh Supreme Court jaise daare ko tabahi ki taraf le jaane ki koshish hai.
09:17Maujooda aayini tarameen LFO aur PCO se bhi zyada khatarnak hai.
09:23Mujawwiza aayini tarameen mein siyasi aur jamoori jamaaton ka kirdar kaable afsoos hai.
09:28Sindh Bar Council mein Subahi Bar Councils ki Coordination Committee ka ijlaas,
09:32Balochistan Bar, KP Bar Council aur Punjab Bar Council ki arkaan ki shirkat.
09:37Ijlaas mein maazi ki tarz par,
09:39Naye Chief Justice ke notification ka ijraa waqt se pehle karne ka mutalaba.
09:49Maulana Fazlur Rehman sahab ne kal aayini tarameen ke musawwida ka pehla round jeet liya hai
09:55aur apne ghar ka rasta sab ko dikhaya hai.
09:58Mufti Mehmood Marhum ne bhi Tanhaz Ulufqar Ali Ghutto ko shikas di thi.
10:03Maulana Fazlur Rehman ne aayini tarameen ke musawwida ka pehla round jeet liya.
10:07Mufti Mehmood Marhum ne bhi Tanhaz Ulufqar Ali Ghutto ko shikas di thi.
10:11Sahab-e-Qifaqi Wazir Sheikh Rasheed ka bayan kaha,
10:14Jo kehte the vote ko izzat do, unhone vote ka juma bazaar laga diya hai.
10:18Kisi ke paas aayini musawwida ki copy nahi hai, yeh awam ko kya itmaad mein denge.
10:25Sohani Ghadi, Chamka, Taiba Ka Jaan,
10:29Iss Zill-e-Furoz Saad pe Laakh-o-Salaam.
10:32Mulkbhar mein jashne-e-Eid-Milad-un-Nabi-Sallallahu-Alaihe-Wa-Alaihe-Wa-Sallam
10:37aaj nihaay takhidat-o-ehteram se manaya jaayega.
10:40Sheher-sheher jal se jaloos aur railiya nikaali jaayengi,
10:44Ashqan-e-Rasool ne gharon aur galiyon ko barki kumkumon se saja diya.
10:48Karachi samayet Mulkbhar mein Eid-Milad-un-Nabi ki sajawat ke samaan ki kharidari,
10:52Fizaon mein Harsu, Durood-o-Salaam ki sadaayen.
10:55Jashne-e-Eid-Milad-un-Nabi par Governor House Karachi mein bhi charaakha.
10:59Governor House ke sabzazaar aur dar-o-diwaar sabz-roshriyon aur barki kumkumon se jagmaga uthi.
11:05Governor Sindh, Kamran, Tesori ki Liaqatabad mein pacham kushahi.
11:08Mulki salamti aur istehkaam ke liye dua,
11:11Governor Sindh ne kaha, aaj hume phir barah-e-raaz, aaj hume phir rah-e-raaz par chalne ka mauka mila hai.
11:17Apni zindagi Uswa-e-Nabi-e-Karim ki mutaabik basit karne ki koshish karna hogi.
11:22Mubazir-e-Ala Sindh, Murad Ali Shah, Tabina-e-Arqan ke saath,
11:26Dawat-e-Islami ke markaz Faizan-e-Madina pahuj gaye.
11:29Murad Ali Shah ne dua ki, Allah ta'ala har musalman ko Uswa-e-Husna par amal karne ki taupeek ata fermaaye.
11:38Sadraas-e-Wali Zardari aur Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ki qaum ko ubaara,
11:42Rabi-ul-Awwal ki mubarak baad.
11:44Apne paigam mein kaha, yeh din har musalman ke dil mein ishq-e-rasool ki shamaa roshan karta hai.
11:49Aap sallallahu alaihi wa alihi wa sallam rehti duniya tak insaniyat ke liye hidayat ka sarchashma hai.
11:55Allah ta'ala ne Rasoolullah ki zindagi ko hamare liye behtri namuna karar diya.
12:00Aap sallallahu alaihi wa alihi wa sallam ki seerat humein har shoba-e-zindagi mein rahnumai faraham karti hai.
12:06Aap ne adl-o-insaf par mabni muashera qaim kiya.
12:09Challenges ka mukablah karne ke liye bahasiyat-e-qaum, ummat-e-muslima, huzoor sallallahu alaihi wa alihi wa sallam ki.
12:16Deputy Registrar ne 8 judges ki jari wazaahat par Registrar Supreme Court ko note lek diya.
12:21Note mein kaha gaya hai, khabre chal rahe hain.
12:23Supreme Court ne 12 July ke faislah par koi wazaahat jari ki hai.
12:27Matalika Parikan ko Registrar Office ki jaanab se koi notice jari nahi kiya gaya.
12:31Election Commission ki mutfariq darkhas par wazaahat Supreme Court website par jari ki gayi.
12:36Jab ke 8 judges ke faislah mein baaze likha hua hai, Election Commission ya PTI ko mazeed wazaahat ki zarurat ho to,
12:43wo in-chamber darkhas de sakte hain.
12:55Election Commission ne PTI intra-party intikhabat case 18 September ko samaat ke liye mukarrar kar diya.
13:00Chairman PTI Barrister Gauhar aur Rauf Hassan ko notices jari.
13:04PTI intra-party election case ki samaat mein dalayal diya jayenge.
13:15ARY Network ke 24 saal, har saal, bain saal.
13:18ARY Family ke nazareen ko mubarak baat.
13:21ARY Network, media industry mein Pakistan ki sabse badi shanaab.
13:25Haq aur Sach ka 24 saal.
13:27Pehle, shuru hone wala safar, razam ke taaz jari.
13:30Allah ki rahmat, sachi lagan, antak meinat se.
13:33ARY Network, media industry pe cha gaya.
13:36Aaj ARY Network ke banner ke liye chalne wala har channel Pakistaniyon ki dil ki awaaz hain.
13:41ARY Network ne hamesha aur hartara ke halaak mein Peshawarana Sahab Teekdaar ko muqaddam rakha.
13:46Sach ke safar mein, sakhtiyan, bandishe rahi, dhamkiyan mili, hamle hua, lekin dare nahi, jhuke nahi.
13:53Chairman ARY Network, Mohammad Iqbal kehte hain,
13:56ARY Network, awaam ki begthir ke liye kaam karta rahega.
14:00Kaum ko kabhi naumeed nahi hona chahiye.
14:02Siyasat chalti rahegi.
14:03Mulk ke liye kaum ko muttahid rhena hain.
14:05Network ki kamyabi ka sehra, marhoom Haji Abdul Razak aur team ko jata hai.
14:14Hamara agenda sirf Pakistan tha.
14:16Aur Pakistani the jo duniya bhar mein the.
14:19Hamara agenda aur hamari strategy aur focus bada clear tha,
14:23ki main Pakistan ke lawa kaam nahi katna kisi ke liye bhi.
14:27Aur jab aapne itni badi cheez pakar laga tha,
14:29to aapko Allah bhi aapko kudrat saath deti hain aapka.
14:34ARY Network ke safar mein, achhe log saath hain,
14:3624 saal guzar gaye, pata bhi nahi chala.
14:39Sadr aur CEO ARY Network, Salman Iqbal kehte hain,
14:42iss safar mein ARY News ko kai baar bandish ka saamna karna pada,
14:46kyuke sajh bolenge to mushkilat padhti hain.
14:49Ab ek ek din yaad aata hai.
14:51Jab koi kehta tha ki tum kuch nahi kar sakte,
14:53to hume hausla milta tha.
14:55Humne thaan li thi ki ARY Network ko balandiyon par lekar jaana hain.
14:59Aaj Alhamdulillah,
15:00ARY Network ke do channels duniya bhar mein maqboot hain.
15:14ARY Network ki saalgirah par,
15:16mukhtalif shehro mein ranga rang takribat,
15:18Wazir-e-Dakhla, Mohsin Naqvi,
15:19Governor Punjab, Sardar Salim Haider,
15:21Governor Khyber Pakhtunkhwa,
15:22Faisal Kareem Kundi,
15:23aur deegar ki ARY Network ko saalgirah ki mubarak baad.
15:26Karachi Bureau Office mein saalgirah ki purvakaar takrib.
15:29Subhai Wazir Sharjeel Inaam Mehman,
15:31Chairman ARY Network,
15:33Haji Iqbal,
15:34Group Chairman ARY Haji Jaan,
15:36Mohammad,
15:37Additional IG Karachi,
15:38Javed Alam Udhu Sameer,
15:40deegar aham shakse aapki shirkat.
15:42Mohsin Naqvi ka kehna tha,
15:43ARY Network ne Electronic Media mein munfarid maqam banaya hai.
15:47Islamabad Bureau mein takrib mein,
15:49MKM Rehnuma Farooq Sattar ki shirkat.
15:51Lahore Bureau Office mein,
15:52Governor Punjab Salim Haider ne saalgirah ka kek kata.
15:55Zir-e-Itlad Punjab,
15:57Uzma Bukhari,
15:58Hassan Murtaza,
15:59Chaudhary Shaaf-e-Hussain ne bhi shirkat ki.
16:02Peshawar Bureau ki takrib mein,
16:03Governor KP Faisal Kareem Kundi,
16:05aur Mushir-e-Itlad Baista Saif ki shirkat.
16:07Governor KP ne kaha,
16:08umeed hai ARY awami masail ujagar karta rahega.
16:12Quetta, Ladkana, Sukkur, Peshawar aur Multan me bhi saalgirah ka kek kata gaya.
16:21Bani PTI ke mumkina military trial par High Court ne hukumat se wazeh jawab talab kar liya.
16:34Additional Attorney General ne Islamabad High Court ko bataya,
16:37Wizarat-e-Difa ke baaz Bani PTI ke military trial ya hirasat ki koi ittla nahi.
16:42Justice Mia Gul Hassan Aurangzeb ne PTI ke waqeel se kaha,
16:45Aapko nahi lagta ki tarfaas qabal az waqt hai,
16:47Agar jawab aata, military trial hone jaa raha hai, toh baat aage barhti.
16:51Aapki bechaini samjhte hain, hamari hudud bhi samjhen,
16:54Mere paas case mein aage barhne ke liye kuch bhi nahi.
17:05U.S. Undersecretary of State, John Boskie,
17:07Naib Wazir-e-Azam Issaq Dar se mulaqat,
17:09Tarjuman Dabdar-e-Kharjo ka kehna hai,
17:11Principal Deputy Assistant Secretary Elizabeth Horst ne bhi Issaq Dar se mulaqat ki.
17:16Pak-Amerika dootarfa taalukat aur taawan ke mansoobon par tabadla khayal kiya gaya,
17:20Issaq Dar ne muzbat aur natija khez rawabit ki ehmiyat par zor diya.
17:30Balochistan ke chote se alaakhe mein polio ke paanch case report,
17:34Jangalpeer Ali Zaheer Amas Saal polio se sab se zyada mutaasir,
17:38Akram ne itraf kiya, bhatije ko polio muhim mein ghar mein chhupa liya tha.
17:42Bete ke polio se mutaasir hone par Hikmatullah bhi gham se nidhal,
17:46Rama Saal mul ghar mein polio ke satra case report hua.
17:55Human rights ki bunyaat rakhi aur Nabi-e-Paak sallallahu alaihi wa sallam ne,
18:00Aurat ko jo haq Islam ne diya toh kahin aur nahin.
18:06Nabi-e-Karim sallallahu alaihi wa sallam ne,
18:08Insani hukook ka pehla manchoot diya,
18:10Aurat ko jo haq Islam ne diya toh kisi ne nahin diya.
18:13Wazir-e-Ala Punjab, Mariam Nawaz ka Lahore mein Seerat-un-Nabi conference se khitab,
18:17Ishq-e-Rasool hamari ragon mein khoon ki tarah daudta hai.
18:21Waldain apne bachon ko Hayat-e-Tayyaba sallallahu alaihi wa sallam se mutaalik agaahi deyen,
18:27Jo insaan ghar se seekhta hai, wo is duniya aur doosri duniya mein bhi.
18:32National Counter-Terrorism Centre, Pabbi mein,
18:34Paak Indonesia Mushtaraka Tarbiyati Fauji Mashq,
18:37Ek hafta taweel Mashq ka aagaz 8 September ko hua,
18:40Doon-e-Mamalik mein Insidar-e-Deshadgardi ke shobay ki yeh doosri Mashq hai.
18:44IASPR ka kehna tha, Mashq ka maqsad,
18:47Doon-e-Afaaj ke tajarbe aur tarbiyati tariqa-e-kaar ka ishtaraag tha.
18:50Fauji Ahl-Kaaron ne Mashq ke dauran pesha-warana maharaton ka muzahara kiya.
18:54Ikhtitami taqeeb mein, General Officer Commanding 17 Division,
18:58Mehman-e-Khususi the,
18:59Taqeeb mein Indonesian Defa-e-Atashi ki bhi shirkat.
19:06Iran-e-Sadr ne Saudi Wali-e-Ahad Mohammad bin Salman ko daura-e-Iran ki daawat de di.
19:17Tehran-mein media se guftagoon mein Dr. Masood Razishkian ne kaha,
19:21Shehzada Mohammad bin Salman ko daura karne ka baadabata daawat-naama de diya hai.
19:25Khud bhi jal Saudi-Arab ka daura karunga.
19:28Iran-e-Sadr ne kaha,
19:29Hosee-baagiyon ko hypersonic ballistic missile faraham karne ki reporton mein koi sadaqat nahi.
19:34Iran ka missile program defai maqasid ke liye hai, jisse kisi bhi surat dasbardaar nahi honge.
19:475-1 se harnewali team, Chin ka shandaar comeback.
19:50Chin ne Pakistan se round match ki shikas ka badla semi-final jeet kar le liya.
19:54Mizban Chin ne penalty par match jeet kar final mein jagah bana li.
19:57Mukarrara waqt mein, doro teams ka score ek-ek se barabar raha.
20:01Penalty shootout par Harib goalkeeper ne kamal kar diya.
20:04Pakistan ko ek goal bhi na karne diya.
20:06Pakistan ne round match mein Chin ko 5-1 se shikas di thi.
20:17Champions Cup mein Panthers ne Lions ko 84 runs se hara diya.
20:20283 runs ke jawab mein Shaheen Afridi ke Lions 199 runs par dher.
20:24Panthers ke Mubassir Khan 90 aur Haider Ali 84 runs bana kar namaya.
20:29Panthers ke Kaptaan Shahdaab Khan aur Usama Mir ki 3-3 victor.
20:33Mohammad Hasnain ne 2 aur Imaad Butt ne ek khiladi out kiya.
20:50Alia Riaz aur Nidar Daar ki record shirakat bhi Pakistan ko shikas se na bacha sakhi.
20:55Junubi Afrika ne pehle T20 mein Pakistan Women's ko 10 runs se hara diya.
20:59Multan mein Qaumi team 133 runs ke takob mein 6 victor par 122 runs bana sakhi.
21:04Alia ke 52 aur Fatima ke 37 runs raayega gaye.
21:08Proteas ne pehle khel kar 4 wicket par 232 runs banaye the.
21:113 match ki series ka doosra T20 Budh ko khela jaayega.