• 4 months ago
Hindi Story | Moral Stories | Bedtime Stories| Kahaniya | Funny. Follow to our channel and be the first to watch our latest kahani!
#HindiStories​​
#HorrorStories​​
#HindiMoralStories​​
#HindiKahaniya​​
#Moralkahaniya​​
#PanchatantraTales​​
#LatestHindiStories​​
#Kahaniya​​
#Stories​​
#Kahani​​
#HindiKahaniya​​
#Story​​
#HorrorStories​​
#SuspenseStories​​
#MotivationalStories​​
#EntertainingVideos​​
#FunnyStories​
#Animationvideos

Category

😹
Fun
Transcript
00:00Bahu aaye din ghar mein aise kaam karti, jisse budhe saas aur sasur ko parishani ho.
00:11Jaise kabhi saas ko fridge se haath nahi lagane deti. Saas-sasur ke kapde washing machine
00:17mein nahi jaate. Saas khudi kapde dhoti. Saas-sasur dining table par khaana nahi khaate. Zameen
00:24par baithna hota aur thaali bhi bahu unhe sarka kar deti. Kyuki bahu ko apni dahej
00:32mein aayi cheezon ki pahut fikr thi. Wo nahi jaate thi ki saas-sasur in cheezon ka istamaal
00:38kare. Is baar bahu ne naya khel racha tha.
00:42Suro, apne maabab ki khajiya bahar laga do. Ghar mein acchi nahi lagti. Naye furniture
00:50ke saamne yeh lakdi aur rassi ki khaat shobha nahi deti.
00:55Are toh khaat badal dete hain. Maa-babu ji ko thodi na ghar se bahar nikal denge.
01:01Oho, wo bhi toh purani hi ho chuke hain. Ghar ki shobha toh unse bhi bigdhi jaate hain
01:08waise. Are yeh bhi baat hai kehne ki. Kam se kam
01:13is baat ki toh maryada rakho ki yeh ghar bhi unhi ka banaya hua hai aur wo mere maabap
01:18hai. Toh tumhare maabab hai, isi liye tumhare
01:23baat maan lenge. Keh do ki bahar rahe. Maine tumse shadi ki hai tumhare maabab se nahi
01:30jo unki bhi fikr karte rahun. Haan haan mere maabab hai. Unke liye aaj
01:36hi naya bed lekar aunga main. Beta apni maa ki paas jaata hai aur maa se
01:43naya bed lani ki baari mein baat karta hai. Maa batao na, double bed lekar aunga ek babu
01:50ji aur aap ke liye, double gadde wala aur aaram ki neend aayegi usme aapko.
01:56Aaram ki neend toh hume apni lakdi aur rassi ki bani khaat pe hi aayegi beta. Itne saal
02:05ho gaye. Humko un khaat par sokar lagta hai jaise apni maa ki godh mein so rahe hain.
02:13Maa log sochenge ki beta itna paisa kamata hai. Maa baap phir bhi lakdi ki khaat par sota
02:20hai. Are dekh, tere babu ji chal nahi paate. Aur aap mujse bhi itna chala nahi jaata.
02:30Kachuye jaise chalti hu. Ghar mein humare rehne se bahu ko pareshani toh ho rahi hogi.
02:38Kisi kaam toh aate nahi hum budha budhi. Hume pata hai wo humare khaat baahar lagana chahti
02:46hai. Aur tu nahi jaata. Isliye naya bed lani ki baat kar raha hai.
02:54Toh kya main aapko baahar aangan mein sohne doon?
02:58Are kya kharaab hi hai baahar. Din mein dhoop padegi hum par. Raat ko taare dikhenge aasman
03:06ke. Baahar hawa bhi toh lagegi na. Are baarish bhi toh hogi babu ji. Bheegoge nahi ki aap?
03:16Are beta, bahu ki baat maan le. Usne kuch acha hi socha hoga.
03:24Kise pata tha ki bahu ghar mein aate hi ghar ke budhe maabap ki khaat
03:30ghar se baahar lagne lagegi. Bete ko sabki baat maanni padti hai.
03:37Maabap ab apni khaat par baahar sohne lagte hai.
03:42Bete ko bhanak toh lag jaati hai ki uske maabap ke saath theek vyavah nahi ho raha.
03:48Lekin jab bhi wo awaaz uthata uske maabap yehi kehkar usse chup karwa dete ki ghar ki shanti
03:56bhang mat karu. Jaisa chal raha hai, chalne do. Bete ki aadat thi wo roz apne maabap ko
04:02kaar se subah mandir leke jaata. Jahan budhe maabap bhagwan ke darshan bhi kar lete aur apni
04:09umra ki logon se baachit bhi kar lete. Jisse unka man laga rehta. Lekin ek din.
04:17Arey mandir jaana hai ya baraat mein, kaar mat leke jaya karo.
04:22Arey lekin maa aur babuji paidal thodi na chal sakte hai. Jab tak chalte the toh akeli
04:28hi paidal chale jaate the na. Toh scooter par le jao na.
04:32Arey, scooter par tripling karo? Babuji se unka sherir bhi nahi sambhalta, kahin gir gaye toh.
04:40Arey mere babuji ne kaar mere liye le kar di hai. Main toh usme ghoom hi nahi paati.
04:48Arey toh le chalunga na tumhe ghoomne. Aise harkat mat karo yaar. Mere maabap ki thodi
04:54toh izzat karo. Agar sun nahi sakti, toh aise kaam karti kyun ho?
05:00Bahu waha se apna farmaan suna ke chali jaati hai.
05:03Agli din bahu toh der tak soor rahi hoti hai, lekin beta apni maa aur babuji ko shravan kumar
05:10ke jaise ek taraju ke dono palado par bitha kar mandir le jaata hai. Saara sher dekh ke dekhta
05:18hi reh jaata hai. Ye baat bahu ke pitaaji tak mahojti hai.
05:25Arey daamajji, kya maine sahi suna ki aap kandog pe taraju rakh ke aur usme apne maa
05:31ta pita ko bitha kar mandir le gaye the?
05:37Ji sasuji, shravan kumar bhi toh apne maabap ko aise hi tirth yatra ke liye le kar gaye the na.
05:43Main toh bas mandir hi gaya tha.
05:46Arey aise kya mazboori thi?
05:50Aapki beti, usse acha nahi lagta ki mere maabap aapki dee hui cheezon ka sukh le.
05:57Woh nahi jaati ki mere maata pita aapki dee hui kar se mandir jaye.
06:02Kya daamajji sahi kahe raha hai?
06:07Haan, woh matlab maine hi kaha tha par.
06:12Beti, agar ye kar mujhe ya tumhari maa ko kisi kaam se chahiye hoti,
06:18toh tum aise hi naatak karti kya dene mein?
06:22Nahi papa, aap hi ki toh hai ye.
06:26Main kise mana karti?
06:28Aap jo maange ke woh de sakti hoon aapko papa.
06:33Pakka?
06:34Haan, haan pakka papa.
06:37Beti, tum apne pati ke maabap ko apna maabap chahe mano ya na mano,
06:44lekin main apne daamaj ko apna beta zarur maanta hu.
06:48Toh aaj se ye kar main apne beta jaise daamaj ko deta hu.
06:53Aur tum isme tabhi baithogi,
06:56jab tum apne saas-sasur ke saath apne maata-pita jaisa bartao karogi.
07:03Bahu ne toh socha bhi nahi tha ki ussi ki pitaji aakar
07:07uski sasural walon ki tarafdaari karenge.
07:12Beta, hum toh nahi jayenge ab kar se mandir.
07:18Haan, bhagwan toh bheetar hai, mandir kyu jaye?
07:23Bahu ki car hai, ussi ko chalane do.
07:27Agle din jab bahu car lekar nikalti hai,
07:30toh sab usse neechi nazro se dekhti hain.
07:33Tab usse samajh mein aata hai ki izzat car se nahi,
07:37parivaar ko saath lekar chalne se banti hai.
07:41Wo ghar aakar sab se maafi maangti hai,
07:44aur waada karti hai,
07:45ki ab se saas-sasur ko apni car se hi mandir,
07:49wo khud lekar jaya karegi.

Recommended