• 4 months ago
#BarristerGohar #supremecourt #qazifaezisa #headlines

Arshad Nadeem reaches his hometown Mian Channu

Tom Cruise performs hair-raising stunts for Paris Olympics 2024 closing ceremony

‘Its not about re-election but reclaiming the mandate’

Stray dogs maul, kills 8-year-old child in Sadiqabad

Citizen discovers missile in Islamabad, alerts authorities

Journalist tortured by Sindh police for reporting alleged corruption of SSP

Six killed in bus-vehicle collision in Jhang

Authorities imposed ban on ‘baajas’ in Islamabad

Five killed in armed clash over land dispute in Sukkur

Bangladesh chief justice, central bank chief quit amid protests

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Category

🗞
News
Transcript
00:00Sabik DG ISI left-ranked general retired Faiz Hameed ko tehreel mein le liya gaya.
00:06Inter-services intelligence ke sabik chief ke khilaf court-martial karwai ka aghaaz.
00:10ISPR ka kehna hai Supreme Court ahkamat ki roshni mein Faiz Hameed ke khilaf enquiry
00:15ki gayi.
00:16Faiz Hameed ke khilaf top city case me shikayat mausoon hoi thi.
00:28Yeh shurwaat hai abhi bahot bade bade bhut girne hain.
00:31Top city ka case uthega toh aur bhi kayi naam saamne aayenge.
00:35Senator Faisal Bawda kehte hain aane wale dino mein baani peethe aaye aur tehreek-e-insaaf
00:39zameen par ledh jaayenge.
00:40Aur Masoom ke alaake Katkocha mein namalum afraad ki firing DC Panchkore aur District
00:47Chairman Municipal Committee samay 3 afraad zaakhmi ho gaye.
00:50Zaakhmi Deputy Commissioner Zakir Baloch ki haalat naazuk hai.
00:55Fauj mein khud-ehtisabi, ek sakht, kadha, magar shafaaf amal hai, ek khudkaar amal
01:01jo har waqt jaari rehta hai.
01:03Aur iske andar kisi kisam ki tafreek nahi ki jaati.
01:05Balke agar zyada senior rank ho aur higher rank ho, toh yeh jo mara accountability process
01:10hai, it comes even more harder.
01:12Fauj mein khud-ehtisabi amal par DG IASPR wazeh bayan de chuke hain.
01:17Saat mai 2024 ko press conference mein DG IASPR ka kehna tha, Fauj mein khud-ehtisabi
01:23ek kadha, sakht, shafaaf aur khudkaar amal hai, jo har waqt jaari rehta hai.
01:28Jitna bada uhda, utni badi zimmedaari, humein apne accountability system par fakhar hai.
01:54Wazeh pehgaam aaya hai ke koi bhi aayin aur kaanoon ke khilaf warzi karega, toh bhuktega.
02:00Jo kuch saamne aaya, wo tehkikaat ke baad hi aaya.
02:04Rifaqi Wazir-e-Itlaat Atta Tarar ka Faiz Hamid ke khilaf kaarwaai par radh-e-amal, kaha
02:08ek siyasi Jamaat ke saath taaluk par bhi Army Act ke khilaf warziyaan ki gayi,
02:12muaamle ko humare saath link na kiya jaye.
02:15IASPR ki bilkul wazeh press release aayi hai.
02:18Wazir-e-Aslam ke mushir Rana Sana ne kaha, Paak Fauj ki jaanat se bahot mazboot pehgaam diya gaya.
02:23Yeh faisla Paak Fauj ki izzat aur ehteram ka baayis panega.
02:27Faiz Hamid ke khilaf inquiry hui hai, toh baaki cheeze bhi hongi.
02:31League-e-rehruma Jawed Latif Bole, Faiz Hamid Pakistan me Intishar ke mastermind the.
02:36Faiz Hamid ke aaj bhi raapte the.
02:38Bangladesh tarz ka Intishar barpa karne ki mansuba bandi ki jaa rahi thi.
02:42Kaash, 9 Mai ke waqt-e-daaron me baithe logon ke khilaf action hota.
02:47Fauj ke baad digar-e-daaron me bhi khud ehtisabi ka amal shuru hona chahiye.
02:51Ek institution se unka apna tariqah kaar hai.
02:54Unke jo log retire hai ya jo log iss waqt serving hai.
02:57Unko apna ek subject to ek code hai.
02:59Wo jaise chahate hai, wo proceed karna chahate hai.
03:02We are nobody to question anyone.
03:05Fauj jaise chahe apne-e-daar-e-me ehtisab kare, hum sawal nahi utha sakte.
03:09Chairman PTI Barrister Gauhar ka, Faiz Hamid ke khilaf ka ravaay parat de amal.
03:13Kaha Fauj apne retired ya maujooda afsaraan ke khilaf apne court ke tehad qanooni chaara joi karte hai.
03:19Sheikh Waqas Akram ne kaha, jo log moaamle ko PTI se jod rahe hain, unhone press release nahi padhi.
03:25Faiz Hamid ka court-martial, idaare ka androoni moaamla hai.
03:28PP Rahnawaq, Amar Zaman Kaira ne kaha,
03:30Fauj ne itne senior officer ke khilaf ka ravaay ki hai, toh yaqeenan thoz suboot honge.
03:35Aam taur par taasur tha, ke aise senior officer ke khilaf ka ravaay nahi hua karte thi.
03:43Supreme Court ne Noon League ke teen arkaan-e-Qaumi Assembly ke rukhniyat bahal kardi.
03:52Lahore High Court ka faisla qaladam qaraar, Election Commission ka faisla bahal.
03:56Supreme Court ne dubara ginti me Azhar Qayyum, Abdul Rehman Kanju aur Zulfiqar Ahmed ki kaamiyabi ko berqaraar rakha.
04:02Faisla 2-1 ke tanasub se sunaya gaya.
04:0647 safhat par mujhtamil faisla, Chief Justice Qazi Faiz Isa ne tahrir kiya.
04:10Dikha, Election Commission aayi nahi daara, uske chairman aur arkaan ihtiram ke haqtaar hain.
04:16Badqismati se kuch judges, is pehlook ko nazar andaas karke tazheek aamez remarks dete hain.
04:21High Court ne Section 95 ki Zeli Sheikh 5 ko madde nazar hi nahi rakha.
04:25Jab High Court me case gaya tha, us waqt ye tarmeen maujood thi.
04:29Justice Aqeel Abbasi ka ikhtilafi note, likha,
04:32Intikhabi amal mukammal hone par Election Commission ka qirdar khatam ho gaya.
04:36Aayin ke mutaabik, intikhabi tanaziyat par Election Tribunal se hi rujoo kiya daa sakta hai.
04:41Election Commission ka hukum daaira ikhtiyar se tajawuz hai.
04:45Lahore High Court ke faisla me koi qanuni ya haqqaiq ki ghalati nahi.
04:49High Court ke faisla me mudakhalat ki zarurat nahi.
04:52Supreme Court ne PP 133 Nankana sahab se Muslim League Noon ke Rana Mohammad Arshad ko bhi bahal kar diya.
05:02Supreme Court ke faisla me mudakhalat ki zarurat nahi.
05:05Supreme Court ke faisla me mudakhalat ki zarurat nahi.
05:08Supreme Court ke faisla me mudakhalat ki zarurat nahi.
05:11Supreme Court ke faisla me mudakhalat ki zarurat nahi.
05:14Us se hume bade mayusi hu bhi hai.
05:16Insaab ka qatal hua hai.
05:18Mare chaar seat hain, ek stroke ke saath, kisi aur party ko dene ki koshish ki gayi hai.
05:23Election Tribunal me petitions pending thi,
05:26baithar hota Supreme Court direct karti,
05:28ke wahi petitions pe faisale hote.
05:31Supreme Court ke faisale se insaab ka qatal hua.
05:34Humari chaar nishiste kisi aur ko dene ki koshish ki gayi.
05:37Teen halkon se mutaalik Supreme Court ke faisale par nazve saani darkhas daayar karenge.
05:41Chairman PTI Barrister Gauhar ki press conference kaha,
05:44Supreme Court ka faisala insaab ke takaazon ke manafi hai.
05:48Koshish ho rahi hai humari jeeti nishisto ko dubara ginti se shikas me tabdeel kiya jaye.
05:53Shibli Faraz ne kaha, yeh satra seato wale log hain.
05:56Inki masnooi aksiriyat banayi gayi.
05:58Ali Muhammad Khan kahte hain, 8th February ko awam ne PTI ko 2 tihai aksiriyat di.
06:03Awam ka mandate tasleem nahi karna tha, to election kyun karaye?
06:07Hum Donald Luke ke kehne par tehreek-e-adam aithmaad nahi laayenge.
06:11Bataar Wazir-e-Azam aapka khadim bankar kaam karna chahta hu.
06:28Mayoosi ko dhakelkar roshniyon ki taraf jaana hai.
06:31Maazi mein dhatme ki zarurat nahi, maazi se sabak seekar mulki taraqee ke liye kaam karna hoga.
06:37Ashrafiya, hukumat aur wazirat sabko apna kardar ada karna hoga.
06:41Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ka Prime Minister's Youth Programme ki takreeb se khitab.
06:461000 agricultural graduates ko ala talim ke liye Chin bhejne ka ailaan.
06:50Kaha, Huawei se muahida kiya hai, saalana 2 lakh bachchon ko training denge.
06:55Rama saal, 10 lakh smartphones naujawano ko dene ka bhi ailaan kiya.
06:59Wazir-e-Azam ne Commonwealth Youth Secretariat ka iftitah kar diya.
07:03Aaj Modi ki India mein minorities ko safe haven nahi hai.
07:11Qaidi Azam Muhammad Ali Jinnah ne uss waqt mehsoos ki ki ek din yeh hoga.
07:17Gaza pe jo missile jaara hai, koi yeh nahi dekhna ki yeh Musliman hai aage,
07:22ya yeh Christian hai, ya kisi aur qaum ka banda hai.
07:25Narendra Modi ke Bharat mein aaj aqliyatein mehfooz nahi hai.
07:30Hum padosi ki jung mein padne ke natayaj ka andaza nahi laga sake.
07:34Saan-e-Mashri ki Pakistan ke baad jo kuch hua, uske aayni ghawa hai.
07:38Humein kamzor karke padosi mulki jung mein jhook diya gaya.
07:42Sadr-e-Mumlikat Asif Zardari ka aqliyaton ke aalmi din par takreeb se khatab.
07:46Kaha maazi mein kisi aur ki jung ka hissa banne se riyasat ko nukhsaan hua.
07:50Gaza mein jo missile jaara hai, wo yeh nahi dekhna ki aage Musliman hai ya Masih.
07:57Shaheed Lieutenant Uzair Mehmood Malik Qawai alaq-e-Attaq mein fauji aizaz ke saath superdekhaat.
08:02Namaaz-e-janaza aur tatfeen mein Pak Fauj ke senior afsaran, jawano, lawahiqeen aur logon ki badi taadaad ne shirkat ki.
08:09Lieutenant Uzair Mehmood Malik 9 August ko khawarij ke khilaf operation mein shadeed zakhmi hua the.
08:14Unhein CMH Peshawar muntakil kiya gaya, jahan wajah mein shahadat mushkar gaye.
08:19Sadr Asif Ali Zardari ki Attaq mein shaheed ke ghar aamag, shaheed ko kiraj-e-aqeedat pesh karte hua.
08:24Lawahiqeen se izhar-e-taaziyat kiya aur shaheed ke isaal-e-sawab ke liye dua ki.
08:41Broad Peak se waapsi par patthar lagne se zakhmi ko,
08:45Fema, Murad, Satpara, Jabahat, Chazd-e-Khaa ki base camp pohncha diya gaya.
08:49Shaam tak Abai gaon Satpara pohncha diya jaayega.
08:52Pak Fauj ke helicopters ne rescue operation mein hisa liya.
08:55Chairman Satpara, Monitoring Training School, GM Satpara kehte hain.
08:59Murad Satpara patthar lagne se ghehri khaayi mein gir gaye the.
09:03Murad Satpara ne K2 samayet kahi choteyon par sabz-lali parcham lehraya.
09:08Sadr Asif Zardari aur Bazir-e-Azam Shahbaz Sharif ka Murad Satpara ki wafaat par izhar-e-afsoz.
09:15Nahi election se bhi mulk nahi chalega.
09:21Mulk chalane ke liye pehle raste ka taayun karein.
09:24Awam Pakistan Party ki convener Shahid Khakhan Abbasi kehte hain.
09:27Army Chief, Chief Justice aur siyasi rahanuma sir jod kar baithein aur masale ka hal nikaalein.
09:32Jo Jamaat aayeen par chalegi hum uske saath hain.
09:35Sahab-e-Qazir-e-Azam ne phir NAB khatam karne ka mutaliba kar diya.
09:39Ihtisab Adalat ne NAB hukam ki ghair kaanuni bhartiyon ka reference wapas lene ki darkhas manzoor kar li.
09:45Reference Chairman NAB ko wapas bhejne ka hukam.
09:55Governor Sindh ki tabdili ka yaktarfa faisla hua toh Ittahadi hukumat chhod denge.
09:59Dr. Farooq Sattar ki hukumat se alag hone ki dham ki.
10:02Kehte hain Noon League baado ka paas kare.
10:05Noon League se tay hua tha Sindh ke Governor Kamran Tissauri hi rahenge.
10:09Iss se pehle bhi Kamran Tissauri ko hatane ki kaya saraiyan hoti rahi hain.
10:13Jinn se hijaan pehta hota hain.
10:15Ab muamla tay ho jana chahiye.
10:17Wazir-e-Daqla Mohsin Naqvi se Chairman MQM Khalid Maqbool Siddiqui ki mulaqat.
10:22Khalid Maqbool Siddiqui ne kaha Pakistan ki faatir sab ko bahimi ittahad se chalne ki zarurat hain.
10:33Tawar mein izhaar-e-tashakkur jalsa Kabootar Chowk par karkunon ki badi taadaad maujood.
10:37Hafiz Naeem-ur-Rehman khitab karenge.
10:43K-Electric ne July ke bilo mein Municipal Tax shamil kar diya.
10:52100 se 200 unit tak 20 rupay.
10:54200 se 1 se 300 unit tak 40 rupay.
10:58300 se 1 se 400 unit tak 100 rupay.
11:01400 se 1 se 500 unit tak 125 rupay.
11:05500 se 1 se 600 unit tak 150 rupay.
11:08600 se 1 se 700 unit tak 175 rupay tax shamil.
11:12700 se zaayf unit par 300 rupay.
11:15Commercial saar-e-peen se 400 rupay liye jaayenge.
11:18Kaurangi Trade and Industry Association ka Municipal Tax samayed digar taxes ke khilaf adalat jaane ka ailaan.
11:31CPAC ke aham tarheen project Sukhi Kinari Hydro Power Station ke pehli unit ne bijli ki pehdawaar shuru kardi.
11:37Ailamiye mein kaha gaya Sukhi Kinari 10 lakh se zayed gharon ko sasti bijli faraham karega.
11:42Project par 4 Impulse Turbine units lagaye gaye hain.
11:46Mansooba apne aakhri marhale mein daakhil ho gaya.
11:48Takmeel ke baad se alana 3.212 billion kilowatt per hour tak bijli pehda karega.
12:00Imam Masjid-e-Nabwi, Dr. Salah bin Muhammad Al-Badeer ki Baadshahi Masjid Aamat,
12:04Namaz-e-Maghrib Badhai, Saudi Safai Nawaf Al-Malki bhi hamra the.
12:08Maulana Abdul Kabir Azad, Secretary of Kaaf Dr. Tahir Raza Bukhari ki bhi shirkat.
12:12Dr. Salah Zia Allama Hisham Ilahi Zaheer ne bhi waqt ke hamra mulaqab ki.
12:16Lahore aamat par khair magdam kiya.
12:26America ne Mashriq-e-Mustafah mein mizail bardaar abdoz aur tayyara bardaar jangi bahri jahaz tayinat karne ka hukum de diya.
12:32Pentagon ke mutaabik tayinat ki jane wali USS Georgia atmi abdoz hai.
12:37Ameriki Wazir-e-Difa Lyde Austin ki Israeli ham mansab se telefonik guftagu.
12:41Pentagon ka kehna hai, defaee sarbaraah ne Abraham Lincoln strike program ko fauri tayinat karne ka hukum diya.
12:48America 7 October ke baad se ab tak 2 tayyara bardaar bahri jahaz alaqe mein rawana kar chuka hai.
12:55Hamas ka muzaqaraat ke liye kahira waqt na bhejne ka ailaan.
13:00Hamas ka kehna hai, masailat kaaron ko chahiye.
13:03Muzaqaraat ke mazeed adwaar par zor ke bajaye 2 July ke muhaidah par amal daraamat yaqeeni banaaye.
13:07Ghaza mein sahuri fauj ki wahshiyana bombari se mazeed 107 palestini shaheed saikro zaqvi hogaye.
13:13Israeli forces ki musalsal bombari se ghaza mein koi jagah mehpooz nahi.
13:17Shaheed palestiniyo ki majmooi ta'adad 49,897 hogaye.
13:24Maqbooda Kashmir mein laakon bharati fauji tayinat hai.
13:27Darandazi kaise ho sakti hai?
13:29Maqbooda Kashmir ke saabik katputli wazir-e-ala Farooq Abdullah kehte hai,
13:32Bharati fauj dehshatgardon se mili bhagat karke Kashmir ki tabahi chahti hai.
13:37Modi hukumat wawela macha rahi hai,
13:39ki 200 se 300 darandaz Maqbooda Kashmir pahunch gaye hain.
13:42Yahan hatyaar aur munashiyat kaun la raha hai?
13:45Bharati fauj ki itni badi ta'adad mein maujood ki mein ye sab kaise mumkin hai?
13:49In se toh ab Bangladesh ki sarhat bhi nahi samhali ja rahi hai.
13:55America aur Canada ki Sikh community Modi hukumat ki dhamkiyon se khaufzada,
13:59Riyasus California ki rukun assembly, Dr. Jasmeet kehte hai,
14:02mujhe dhamkiyon di ja rahi hai,
14:04mere ghar ke bahar mashkoob gariyan chakkar lagati hai,
14:06tasveere banayi ja rahi hai,
14:08chaar bharti shehri mere office aaye,
14:10aur kaha ki Sikh hindu ki hipaazat ke liye banayi gaye hain.
14:13Khadshah hai 1984 mein Sikhon ke katliyaan jaisa waqia America mein bhi pesha sakta hai.
14:24Bangladeshi Tarabaqa talimi idaro mein siyasat par pabandi ka mutaliba,
14:33Dhaka University mein ihtijaji rally,
14:35Saab-e-Fazir-e-Azam Sheikh Haseena ko wapas lakar muqaddama chalane par zor,
14:40Army Chief Aqar-u-Zaman kehte hai,
14:42Police ki taraf se zimmedariyan samhalne ke baad fauj barakon mein chali jaayegi,
14:46Amno-Amaan ki surat-e-haal mein behitri aa rahi hai,
14:49Siyasi Jamaatein tashaddud se parhez karein aur awami siyasat karein.
14:56America ne Pakistan mein ghaza-e-qillat ka shikar hazaaro bachon ke liye Ghaza-e-imdaad UNICEF ke hawale kar di,
15:01Ameriki safi Donald Bloom ne takreeb se khitab mein kaha,
15:03Ghaza-e-imdaad ki farhami kamzor tabqaat ke saath paydaar taabun aur wabastagi ka mukta suboot hai,
15:09Bachon ki ek poori nasil ki zindagiyaan mehpoos banane ke liye hangami ikdamaat karna honge.
15:20Sindh mein bhi Air Ambulance Service ka muaahida taipa gaya,
15:24Sukkur, Khaifur se mareezon ko Karachi Air Ambulance se muntakil kiya jaayega,
15:28Air Ambulance Service shuru karna ek bada karnaama hai,
15:31Mansoobe se keemti jaanon ko bachaya jaa sakega,
15:34Wazir-e-baldiyat Sindh, Saeed Ghani ka muaahide par dastakhat ki takreeb se khitab,
15:38Nasir Hussain Shah ne kaha,
15:40Hyderabad, Thar, Mohenjo-Daro, Nawabshah aur Larkana mein bhi Air Ambulance ki service shuru ki jaayegi,
15:47Service ke liye Aircraft Sales and Services do chote tayyare faraham karegi.
15:53Sindh Textbook Board ki laparbahi,
15:55Naye talimi session se pehle mutaadit kitabe dastayab nahi,
15:58Paanch bhi Jamaat ki Urdu,
16:00Das bhi ki Riyazi,
16:01Angrezi, Computer,
16:02Navi se baar bhi Jamaat tak ki Chemistry ki kitab dastayab nahi,
16:05Gyaar bhi aur baar bhi ki Biology ki kitab bhi market mein maujood nahi,
16:09Urdu Bazaar Traders Association Sindh ki chirvan,
16:12Sajid Yusuf ka kehna hai,
16:14Saazishi Publisher Tole ko Sindh Textbook Board se bahar kiya jaaye.
16:21Bangladesh ke khilaf Test Series ki tayyariyaan,
16:23Pindi Stadium mein khilariyon ne Coaches ki nigraani mein,
16:26Batting, Bowling aur Fielding sessions mein hisa liya,
16:29Qaumi Squad mein shamil players,
16:30Kal bhi Practice session mein hisa lenge,
16:32Bangladesh ke khilaf 2 Test Matches ki Series ki ticket ki keematon ka ayalaan,
16:37Sirf 50 rupay mein Test Match dekhne ke maze,
16:40Online Ticket 13 August se farookh honge,
16:42Physical Ticket mukhtalif Outlets pe 16 August se milenge,
16:46Pehla Test Match 21 August se Rawalpindi mein shuru hoga,
16:50Champions Trophy 2025 ke liye Karachi ke National Stadium mein taamiraat ki kaamon ka aghaaz,
16:55Naseem Ghani Enclosure se Iqbal Qasim Enclosure tak Toor Toor ka amal jaari,
16:59Nahi Building mein Media Boxes aur Broadcasters ke baithne ki jagah shamil hogi,
17:04Baad Bangladesh doosra Test 30 August se Karachi mein Scheduled hai.
17:10Gold medal jitwane wale Arshad Nadeem ki badaalat Pakistan ko
17:13Paris Olympics ke iftitam par Montage mein shamil kiya gaya.
17:16Rimaya kaarkardagi wale tamaam athletes tasfeer mein bhi mauzood,
17:20Arshad apna javelin phekte hui dikhai de rahe hain.
17:22Khaumi javelin hero ne Pakistan ki tariq ka pehla infiradi sohne ka tamgha jeeta tha.
17:35Mission Impossible ke hero Tom Cruise ka hairaan kar denewala stunt,
17:38Paris Olympics ke iftitami takreeb mein Hollywood ke maaroof adhakaar Tom Cruise ne
17:42apne maqsoos andaaz mein 42 meter ki balandi se entry di,
17:46Motorcycle par sawaar hokar Olympic parcham lehraaya.
17:52Is 14 August par ARY News ka hum batlo ke liye peghaam,
17:56Darakh lagaye, Mulk ko sarsabz banaye,
17:58Aur Green Pakistan mohim ka hissa bane.
18:01Yawm-e-Azaadi mein do rooz baaki,
18:03Sheher-sheher, Gaon-gaon, Azaadi ka jasham banane ki tayyariya,
18:07Fizaon mein mili nagmo ki goonj,
18:09Hyderabad ki masihi barazri bhi pur josh,
18:12Church of Pakistan mein jashn-e-Azaadi ki ranga-rang takreeb,
18:16Shandaan mili nagme aur khubsurat tabloos peshkar ke vatan se waleyaan-e-mohabbat ka izhaar kiya gaya.

Recommended