आहुति मन की
Category
🗞
NewsTranscript
00:00Namaskar, aaye aaj aapko sunaate hain Rajasthan Patrika ke Pradhan Sampadak Dr. Gulab Kothari
00:08ka Sharir Hi Brahmand Shrinkhla Mein Patrikayan Mein Prakashit Aaleg, jiska shishak hain Aahuti
00:15Man Ki.
00:16Suto bhavati, suyate agnau, abhi shuto bhavati, ityadi nirvachanon ke anusaar agni mein aahut
00:22honewala padarth som hai.
00:24Is somahuti se agni som ke samanvay se utpann apurva bhav yagya kaha jata hai.
00:29Yahi yagya vishwa prajah ko utpann karne wala hai, yaha samastha vishwa agni aur som
00:35ke samanvay se bana hai, ataha vishwa ke sabhi char achar prani ardha narishwar hi hai.
00:40Pradhan yen jab desha bhavanti siddhant ke aadhar par Pradhan bhut tatva ki drishti se
00:46sansaar ke padarthon ko agne aur somya in do bhaagon mein vibhakt kiya gaya hai.
00:52Agni purush hai, pati hai, pita hai, som istri hai, patni hai, mata hai, agni ko brahm
00:58aur som ko subrahm kaha jata hai.
01:01Bahar purush agni hai, purusho va agni hi, bahar istri som hai, somya hai.
01:06Bheetar purush som hai, bheetar istri agni hai.
01:09Istri purush ke jo avyav srishti ke upadan bante hai, unko yosha visha, rai pran, ret,
01:15yoni, aadi kaha jata hai.
01:17Ret subrahm roop visha ka ansh hai, yoni brahm roop yosha ka ansh hai.
01:23Agneya bhaag yoni va somya bhaag ret hai.
01:26Ret hi srishti ka upadan banta hai.
01:28Subrahm ki brahm mein aahuti hone se, apurv ki utpatti hoti hai.
01:33Bheej purush hai, som hai, dharti mata hai, agneya hai.
01:37Ped hi maa ka vikas hai, somya hai.
01:40Uske bheetar agni ka pravaha hai, yahi agni hi to.
01:43Agni mantan se bahar ki aur prakat hota hai.
01:46Bheetar isi agni mein ek somya pran bhi pravahit rehta hai, jo pum bhrun hai.
01:51Agni phal ka swaroop mirmit karne wala tatra hai.
01:54Phal mein bhi paancho mahabhut, ras, gandh, aadi rehte hai.
01:57Phal mein inka samavesh bheej ke kaaran hota hai, kyunki bheej shukra hai.
02:02Yeh shukra jeev ko ashray dene wala purush sharir ka saptam dhatu shukra hai.
02:07Jeev puruj vrnmo ke sanskaaron, karm phalon, aadi ke saath sthool sharir ki aur gati karta hai.
02:13Is kram mein panchagni siddhant ke anusaar,
02:15chatur sa avastha mein bheh vaishwanat agni mein aahut,
02:18anna ke madhyam se purush sharir mein shukra roop mein parinath hota hai.
02:22Pita ko hi paroksha roop mein jeev ke karm phalo,
02:25vrinanu bandh, veerya, aadi ke saath sambandhit maana jata hai.
02:29Phal ka sharir maa hai, istri hai.
02:32Inhi dono ke samanvay se srishti aage badhti hai.
02:35Paroksha priya evhi devaha,
02:37iss siddhant ke anusaar prakrati ka pratek karya paroksha mein hota hai.
02:42Srishti srijan mein bhi purush aur istri ke kramasahar
02:45saumya shukra va aagneya shonit ka hi sayoog hota hai.
02:48Aagneya purush sharir ki pratishtha shukra tatha saumya istri ki pratishtha shonit mein hai.
02:54Ataham bahar se aagneya dikhai denewala purush bheetar se somroop hota hai.
02:58Bahar se saumya dikhenewali istri bheetar aagneya hoti hai.
03:02Istri prakrati ki gatiman pratikrti hai.
03:05Brahm ko bhinne bhinne swaroop pradhan karti hai.
03:07Sharir istri nahi hota, nahi purush hota hai.
03:10Dono pran roop sookshma rehte hai.
03:12Ataham ka sampreshan bhi sookshma hona chahiye.
03:15Paroksha bhaasha mein hona chahiye.
03:17Istri paroksha bhaasha ki visheshagya kahi jati hai.
03:20Wahi sampreshan ke madhyam se jeevan ko swaroop pradhan karti hai.
03:24Prakrati mein istri aur purush ki bhoomika bhinne hoti hai.
03:27Istri nirmaan karti hai, poshan karti hai, aur srishti ki mool bhoomika mein dikhai parti hai.
03:32Uska purush ke prati matritva bhaav bhi rehta hai.
03:35Purush ke sath ek sapne ko lekar jeeti hai.
03:38Yehi uske sampreshan ki bhoomika aur aadhar banta hai.
03:42Paroksha bhaav mein apne sapne ko hi jeeti hai.
03:45Purush ke paas patni ke prati koi sapna nahi hota.
03:48Nahi istri ke paroksha bhaav ko samash paata hai.
03:51Istri bahar kitni bhi komal dikhai gayi, bhitar purush se adhikar thoor hoti hai.
03:55Uske nirnay aasani se nahi badle jaate.
03:58Jeevan ke prati uske drishti spasht hoti hai.
04:01Yehi uske sampreshan ki safalta ka rahasya hai.
04:04Kyunki pati ke prati poon samarpit rehti hai.
04:07Atah sampreshan aatmiya dharatal par pavitrita liye hota hai.
04:11Paroksha bhaasha hi poshan ka madhyam banti hai.
04:14Jeev ka ahankar kisi anya ka nirdesh maan lene ko tayyar nahi hota.
04:18Chahe bacha ho athwa bada.
04:20Kintu woh paroksha ko pakana nahi paata.
04:22Kyunki paroksha hi brahm hai.
04:24Istri baalak ko bhi behla deti hai aur badon ko bhi.
04:27Jeevan me brahm ki do hi abhivyaktiya hai.
04:30Ann aur vaak.
04:31Dono padhi istri ka adhikar poon roopine rehta hai.
04:34Iska kaaran uski saumya prakrati hai.
04:37Yehi madhurya das uske bhitar samahit rehta hai.
04:40Bhitar ka aagne swabhaav bhi mrituta ke saath prakat karne me daksh hoti hai.
04:45Isiliye kehte hai ki maya ka samajh paana purush ke vash ki baat nahi hai.
04:49Waise bhi istri me bhitar ki dridta prahar karti hai.
04:52Yehi dridta uski rakshap hoti hai.
04:54Purush ki saumyata uske maan ko chanchal nirbal rakhti hai.
04:58Nrehan aur poshan strain bhaav hai.
05:00Yehi saum ka vikas hai.
05:02Umr ke saath jo sharir badhta hai.
05:04Wah bhi strain roop prithi hai.
05:06Har istri apne tan, maan, buddhi ke vikas ko lakshya me rakh kar hi apne aahar, vihaar ka chanchalan karti hai.
05:13Use apne aagni ko pratishthit rakhna hai.
05:15Istri ka dwand jo uska maan hai.
05:18Saum pradhan hai.
05:19Chandrama se sada krasit rehta hai.
05:21Aapav, vayu, saum.
05:22Teen hi saum ki avastha hai.
05:24Istri ki prakrati se judhkar, yehi uske swaroop ka nirmaan karti hai.
05:28Isi ki ahuti se uske aagneya tatva ka vikas hota hai.
05:32Yehi uski bhitar ki dridta hai.
05:34Istri ki aagneya vaak ko saumya dehe se gujarna padta hai.
05:38Maan ki saumyata bhi usko avrit kar deti hai.
05:40Atah vah paroksha roop rehan kar leti hai.
05:43Yehi uska divya bhaav hai.
05:46Dev sukshma tatva hai.
05:47Aur shakti bhi sukshma hone se, istri ko shakti bhi kehte hai.
05:52Ya devi sarva bhuteshu shakti roopend sansthita.
05:55Namas tasyai, namas tasyai, namas tasyai, namo namah durga sapti shati.
05:59Brahma ka adhar tatva saum hai, ret hai.
06:02Maya vishuddha agni hai, jisme brahma sama jaata hai.
06:05Atah vishuddha vishuddha maya roop mein bhasit hota hai.
06:08Brahma ka koshan bhi maya ke madhyam se hi hota hai.
06:11Vah toh niraakaan hai.
06:13Sukshma maan, chareer ke saath bhatakta rehta hai.
06:16Brahma tak pahunchi nahi paata.
06:18Maya rit hai, pakdein kaise.
06:20Bhartiya vibha sanskaar mein yah tathya adrishya roop mein pratishthit hai.
06:24Patni ke karma pati ko arpit ho jaate hai.
06:27Yahan istri sharir saum purush mein aahut ho raha hai.
06:30Patni ka astitva pati mein sama gaya.
06:33Yahan purush ki buddhi agni hi saum sharir ko grehen karte hai.
06:37Istri maan poon roop mein aahut ho jaata hai.
06:39Vibha jeevan ka bheetar ki aur gati ka pravesh kaal hai.
06:42Purush ka saumya swaroop nikharne lagta hai.
06:45Jabki aagne istri bahar ki aur agrasal hoti hai.
06:50Yahan abhyaas yog kaal bhi hai.
06:53Dono ko adhyatma sanstha ke santulan aur vikas kram ka abhyaas bhi karte rehna hai.
06:58Sharir ke madhyam se buddhi ke sahyog aur maan ki kaamana ke sanchalan se
07:03Ek doosre ke maan roopi aatma ko choona hai.
07:05Wahaan pratishthit hona hai.
07:07Tab dono swata hi ek doosre ke liye karma karte chale jaate hai.
07:11Yahi yugal srishti ka upkram banta hai.
07:13Pratyek sharir vaag ke saath maan praan ka vikas hota hai.
07:17Chahe bha istri sharir ho aatma purush.
07:19Antah karan me karan sharir shodshi purush rehta hai.
07:23Atha istri aur purush dono hi shariron ke vikas ke madhyam aur maarg bhinna bhinne hai.
07:28Sharir mool me panch mahabhut se bana hai.
07:31Antah karan ki chetna se chalta hai.
07:33Istri aur purush bhaavon ki upasthidi dono me hi hoti hai.
07:37Kyuki dono hi ardh narishwar swaroop hai.
07:39Dono shariron me dono bhaav saath saath behte hai.
07:42Kuch prarabdh ke karan aur kuch jeevechcha se jeevan ka yeh dwandv chalta rehta hai.
07:47Jis din lakshya ka sankalp siddh ho jata hai.
07:50Tab dwandv samapt hoke shanti ka maarg prashast ho jata hai.