• 8 months ago
#budhwarvratkatha #budhvarvratkatha #budhwarkatha
"बुधवार व्रत कथा"- संपूर्ण विधि विधान सहित (सरल हिंदी भाषा में)
LISTEN TO THE ONE OF THE BEST KATHA OF LORD "BUDHWAR or LORD SHIVA IN BUDHWAR VRAT KATHA & VIDHI IN HINDI LANGUAGE"
Singer - Jyoti Malhotra, Composer - Jyoti Malhotra
Lyrics - Traditional, Publisher - F3 Studioz (First Frame Films Pvt Ltd)

Category

🎵
Music
Transcript
00:00 Namaskar Shrotav, Aaiye Aaramp Karte Hai
00:07 Budhwar Vrat Vidhi
00:10 Is Din Pratay Utkar Sampoon Ghar Ke Safai Kare
00:15 Tat Pashchat Snanadi Se Nivrit Ho Jaye
00:19 Iske Baad Pavitra Jal Ka Ghar Me Chhidkao Kare
00:23 Ghar Ke Kisi Bhi Pavitra Sthan Par
00:26 Bhagwan Buddha Ya Shankar Ki Moorti Atwa Chitra Kisi Kaanse Paatr Me Sthapit Kare
00:33 Tat Pashchat Dhoo Bel Patra Akshat Aur Ghee Ka Deepak Jala Kar Pooja Kare
00:41 Iske Baad Nimna Mantra Se Buddha Ki Praarthana Kare
00:46 Buddha Tvam Buddhi Janko Bodhada Sarvada Nramaan
00:53 Tatva Bodha Karushe Som Putra Namo Nama
00:58 Budhwar Ki Vrat Katha Sunkar Aarti Kare
01:01 Iske Pashchat Gudh, Bhaat Aur Dahi Ka Prasad Baant Kar Swaim Bhi Prasad Grehn Kare
01:09 Budhwar Vrat Ke Din Bhagwan Ko Safed Phool Tatha Hare Ranki Vastuye Chadhaye
01:15 Yatha Shakti Brahmano Ko Bhojan Karakar Unhe Daan De
01:20 Vrati Ek Hi Same Bhojan Kare
01:23 Kisi Bhi Roopme Vrat Katha Ko Beech Mein Chod Kar Prasad Grehn Kiye Bina Nahi Jaana Chahiye
01:31 Budhwar Vrat Katha
01:33 Samthapur Nagar Me Madhusudan Namak Ek Byakti Rehta Tha
01:38 Vey Bahut Dhanvaan Tha
01:40 Madhusudan Ka Vibha Balrampur Nagar Ki Sundar Aur Gunvanti Ladki Sangeeta Se Hua Tha
01:48 Ek Baar Madhusudan Apni Patni Ko Lene Budhwar Ke Din Balrampur Gaya
01:55 Madhusudan Ne Patni Ke Mata Pita Se Sangeeta Ko Vidha Karne Kiliye Kaha
02:01 Mata Pita Bole Beta Aaj Budhwar Hai Budhwar Ko Kisi Bhi Shubh Kaare Ke Liye Yatra Nahi Karte
02:10 Lekin Madhusudan Nahi Mana Usne Aisi Shubh Ashub Ki Baato Ko Na Manne Ki Baat Kahe
02:18 Dono Ne Bail Gaadi Se Yatra Praramb Ki
02:22 Do Kosh Ki Yatra Ke Baat Uski Gaadi Ka Ek Pahiya Toot Gaya
02:27 Waha Se Dono Ne Paidal Hi Yatra Shuru Ki
02:31 Raaste Mein Sangeeta Ko Pyaas Lage
02:34 Madhusudan Usse Ek Ped Ki Niche Baithakar Jal Lene Chala Gaya
02:39 Thodi Der Baad Jab Madhusudan Kahin Se Jal Leker Wapas Aaya
02:43 Toh Wahe Buri Tarah Hairaan Ho Utha
02:47 Kyuki Uski Patni Ke Paas Uski Hi Shakla Surat Ka Ek Doosra Vyakti Baita Tha
02:53 Sangeeta Bhi Madhusudan Ko Dekh Kar Hairaan Reh Gai
02:57 Wahe Dono Me Antar Nahi Kar Pai
03:00 Madhusudan Ne Us Vyakti Se Poocha
03:03 Tum Kaun Ho Aur Meri Patni Ke Paas Kyu Bete Ho
03:07 Madhusudan Ki Baat Sunkar Us Vyakti Ne Kaha
03:10 Are Bhai Yeh Meri Patni Sangeeta Hai
03:14 Main Apni Patni Ko Sasural Se Vida Kar Laya Ho
03:18 Lekin Tum Kaun Ho Jo Mujhse Aisa Prashna Kar Rahe Ho
03:22 Madhusudan Ne Lagh Bahk Cheekte Huye Kaha
03:25 Tum Zaroor Koi Chor Ya Thag Ho
03:28 Yeh Meri Patni Sangeeta Hai
03:30 Main Isse Ped Ki Niche Baithakar Jal Lene Gaya Tha
03:34 Is Par Vyakti Ne Kaha
03:36 Are Bhai Jhoot To Tum Bol Rahe Ho
03:39 Sangeeta Ko Pyaas Lagne Par Jal Lene To Mai Gaya Tha
03:43 Lekin Maine To Jal Laakar Apni Patni Ko Pila Bhi Diya Hai
03:48 Ab Tum Chup Chaap Yaha Se Chalte Bano
03:51 Nahi To Kisi Sipahi Ko Bula Kar Tumhe Pakadwa Dunga
03:55 Dono Ek Doosre Se Ladne Lage
03:58 Une Ladte Dekh Bahut Se Log Waha Ekatra Ho Gaye
04:02 Nagar Ke Kuch Sipahi Bhi Waha Aagey
04:05 Sipahi Un Dono Ko Pakadkar Raja Ke Paas Le Gaye
04:10 Saari Kahani Sunkar Raja Bhi Koi Nirne Nahi Kar Paya
04:15 Sangeeta Bhi Un Dono Mese Apne Vaastvik Pati Ko Nahi Pehchan Pa Rahi Thi
04:20 Raja Ne Dono Ko Kaaragar Mein Dal Dene Ke Liye Kaha
04:25 Raja Ke Faisle Par Asli Madhusudan Bhaybhit Ho Utha
04:30 Tabhi Aakash Vaani Hui
04:32 Madhusudan, Tu Ne Sangeeta Ke Mata Pita Ki Baat Nahi Maani
04:38 Aur Budhwar Ke Din Apni Sasural Se Prasthan Kiya
04:43 Yeh Sab Bhagwan Budhdev Ke Prakob Se Ho Raha Hai
04:47 Madhusudan Ne Bhagwan Budhdev Se Praatna Ki
04:51 Ki Hey Bhagwan Mujhe Kshama Kar Dijiye
04:54 Mujhse Bahut Badi Galti Hui
04:57 Bhavishye Mein Ab Kabhi Budhwar Ke Din Yatra Nahi Karunga
05:01 Aur Sadev Budhwar Ko Aapka Vrat Kiya Karunga
05:05 Madhusudan Ke Praatna Karne Se Bhagwan Budhdev Ne Use Kshama Kar Diya
05:10 Tabhi Doosra Vyakti Raja Ke Samne Se Gayab Ho Gaya
05:15 Raja Aur Doosre Log Is Chamatkar Ko Dekh Kar Hairan Ho Gaya
05:20 Bhagwan Budhdev Ki Is Anukampa Se Raja Ne
05:24 Madhusudan Aur Uski Patni Ko Sammaan Purvak Vida Kiya
05:29 Kuch Door Chalne Par Raaste Mein Unhe Bail Gadi Mil Gai
05:33 Bail Gadi Ka Tootah Hua Pahiya Bhi Juda Hua Tha
05:37 Dono Usme Bait Kar Samtapur Ki Aur Chal Diye
05:41 Madhusudan Aur Uski Patni Sangeeta Dono Budhwar Ko Vrat Karte Huye
05:47 Anand Purvak Jeevan Yaapan Karne Lage
05:50 Bhagwan Budhdev Ki Anukampa Se Unki Ghar Mein Dhan Sampatti Ki Varsha Hune Lagi
05:56 Jald Hi Unke Jeevan Mein Khushiyan Hi Khushiyan Bhar Gai
06:01 Budhwar Ka Vrat Karne Se Sri Purush Ke Jeevan Mein Tabhi Mangal Kamnaye Poorn Hoti Hai
06:07 Budhwar Vrat Phal
06:09 Budhwar Ka Niyamit Roop Se Vrat Karne Se Sar Sukhon Ki Praapti Hoti Hai
06:15 Jeevan Mein Kisi Bhi Prakar Ka Abhaav Nahi Rehta
06:19 Isse Arisht Grahon Ki Shanti Hoti Hai
06:22 Isse Vrat Ko Karne Se Budhi Badhti Hai
06:26 (synthesizer music)

Recommended