Dars-e-Bukhari Shareef - Mufti Muhammad Akmal - 31st August 2023 - ARY Qtv

  • last year
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal

#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation

Subscribe Here : https://bit.ly/3dh3Yj1

Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.

Official Facebook: https://www.facebook.com/ARYQTV/
Official Website: https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live : http://live.aryqtv.tv/
Programs Schedule: https://aryqtv.tv/schedule/
Islamic Information: https://bit.ly/2MfIF4P
Android App: https://bit.ly/33wgto4
Ios App: https: //apple.co/2v3zoXW
Transcript
00:00 Bismillahir Rahmanir Rahim.
00:07 Allah Ta'barak wa Ta'ala ke Paqiza naam se aagaz karte hain jo bahut meherbaan nihayat
00:21 rahim wala hai.
00:22 Darse Bukhari ka silsila Kitabun fil luqtah tak pocha tha.
00:28 Ya'ni jo giri padi hume cheezein milti hain unke baare mein Nabiya Kareem Sallallahu
00:32 Salam ke jo irshadate aaliya hain unper mujhtamil hadithin zikr ki ja rahi hain.
00:39 Pichle program mein aakhir mein jo baab qaim kiya tha aur hadith zikr ki thi.
00:44 Baab hai, baabun la tuhtalabu ma shiyatu ahdin bighairi iznin.
00:50 Ya'ni kisi ke jaanwar ka dood uski ijazat ke bighair na doha jaaye.
00:55 Yani nikaala jaaye.
00:58 This number thi 2435 aur iske raavi Hazrati Abdullah bin Umar radhiya Allah ta'ala anhuma
01:04 hai.
01:05 Wo bayan karte hain ki Rasulullah Sallallahu Sallam nishat farmaaya ki koi shaks kisi doosre
01:10 ke jaanwar ka dood uski ijazat ke bighair na dohe.
01:16 Kya tummise koi shaks isko pasand karta hai ki koi shaks iske godam mein jaakar uska zakhira
01:20 khole aur usme se taam nikaal kar le jaaye.
01:25 Walaqas in ke mawishiyon ke thano mein in ka taam yaani dood waghara mahfuz hota hai.
01:30 Lihada koi shaks kisi doosre ke mawishiyon ka dood uski ijazat ke bighair na nikaale.
01:35 To ispar kalam chal raha tha pehli baat to yeh ki Nabiya Kareem Sallallahu Sallam jab
01:41 koi bayan farmate the aur koi masala samjhate the to aap chunke Allah tabarak wa ta'ala
01:48 ki ata se behtreen nafsiyat ko samjhne wale the to aap aisi amthila qaim karte the ke
01:53 saamne wale ko foran baat samjh mein aaye.
01:56 Baad oqaat hum sif saamne wale ko samjhara hote hain, kisi ke baare mein baat batara
02:01 hote hain, itna athar nahi hota.
02:02 Jab lekin wohi masala usi ke zaat par daal kar bola jaye to kaifiyat badal jaate hain.
02:08 Jaise koi shaks kisi ko mana kar raha ho ke dekho yaar social media pe istara dostiyan
02:12 nahi karte hain, na mahram ke saath aur istara fohosh guftu ko nahi karte hain, usko itna
02:18 hissas nahi hoga, ya chalein ho jaye bil farz lekin itna nahi.
02:22 Lekin jab aap yeh kahenge, tumhari behan ke saath koi aisa karein, tumhari waleda ke saath,
02:27 tumhari beti ke saath, to ekdum dil par baat lage ke, waqee baat to theek keh raha hai.
02:32 Istara baazon ko mana karein, wo ladkiyon ko mat chhedo, to wo ghariban pakad latein
02:36 balke aur agar jawab mein kahen, ki fir tum bhi ijazah do, tumhari behan ko koi chhed
02:40 le, to fir deke, fir ghariban pakad lenge.
02:42 Ab doose niyat ke saath, ki meri behan ke liye kaisa kaha, to be doosre ki behan, behan
02:47 nahi hai, tumhari behan, behan hai, uski izzat, izzat hai, doosri ki nahi hai.
02:52 Rahmat-e-Qaunayn Sallallahu wa ta'ala ke paas se ek naujawan hazir hua, usne maazallah
02:58 aap se zina ki ijazah talab ki.
03:00 Ab yeh bohot badi be-idabi thi, to sahaba ne chaha ke usko koi sazah deyin, lekin Rahmat-e-Qaunayn
03:06 Sallallahu wa ta'ala ne roka, fir farmaya, thayar jao, fir usko bithaya, fir farbaya
03:10 ke zara yeh batao, ki agar koi yehi amal, tumhari behan ke saath kare, to kya tumhari
03:16 isko pasand karoge, arz ki nahi, tumhari beti ke saath, nahi, tumhari walda ke saath, fir
03:21 mana kiya, iss sara aap kai rishte ghinwaate rahe, wo har baar mana karta raha.
03:25 Yeh tha ek nafsiyati tohr par usse iss baat ka ahsaas dilana, ki zara apni jihad se bhi
03:31 iss khata aur gunah ko dekh lo, tumh kisi ke liye toh aisa soch rahe ho, apne liye kya
03:35 khayal hai.
03:36 Iss ke baad rahmat e kaunain sallallahu wa ta'ala ne apna daste aqdas uske seene pe
03:41 rakha aur Allah ta'ala ki baargah mein arz ki, ay Allah ta'ala issko zina se mahfuz
03:45 farmade, zina se nafrat atta farmade.
03:47 Toh wo naujawan kehta hai, jab main rahmat e kaunain sallallahu wa ta'ala ne ke paas
03:52 aaya tha, toh zina se zyada koi mahboob shayay mere nazdeek na thi.
03:57 Lekin jab main utke gaya hun, toh sabse zyada kaable nafrat shayay mere nazdeek zina thi.
04:04 Toh aap dekhin agar Sarkar chahate hai toh shuru sahi seene pe haath rakhte hai aur
04:07 bat tariq-e-maujaza uske seene ko paak-o-saaf farmadete hai, jaise last mein kiya.
04:12 Lekin phir usko aisaas kaise paida hota?
04:14 Jo log idhar udhar baitha hua the, unka zain kaise banta?
04:18 Wo iss cheez ko sunne ke baad phir aage batore mithaal kaise pesh karte?
04:24 Phir nabi-e-karim sallallahu wa ta'ala ki ye baat aage kaise bayan hoti?
04:28 Jani phir aane walo ke liye toh usmein seekhne ke liye koi sabab na raita, seekhne ke liye
04:34 koi mawad toh mawjud na hota.
04:36 Isliye mere aqas sallallahu wa ta'ala ne pehle ek cheez sikhadi, ek aisaas bedar kardiya,
04:40 ek shahoor bedar kiya, iske baad batariq-e-maujaza uske dil se zina ki mahabbat ko khench liya
04:46 aur bahar phek diya.
04:48 Isliye hame sochna chahiye.
04:49 Ab iss masle par aajaiye, Sarkar ne kitni piyari mithaal diye, tum kisi ke bakri khadi
04:54 hai, kisi ke gaye, kisi ke bhaise uske thano me dood rekho aur beghar ijazat ke nikaal lo,
04:59 kya tum isbaad koi pasand karoge koi tumare godaam me jaye aur tumari gandum rakhi ho,
05:05 jaw rakhi ho, chawal rakha ho aur chup chap kholkar tumari ijazat ki beghar boriyan utha
05:10 ke le jaye.
05:11 Ye khanay na tum na pasand karoge.
05:12 Ab jab hum ye sochenge na hum kehenge waqeer meri cheez koi le jaye, ye tum bilkul na pasand
05:17 karunga, tum pehle dusre ke liye na pasand rakho.
05:20 Desi re achitra yaad rakhein, goya ke mere yaa qaswallallahu alaihi wasallam ne samjha
05:24 diya, ke kisi ki ijazat ki beghar uski shah istimal na ki jaye.
05:29 Lekin jaise mene aapko ek hadith bhi suna di thi, fir dubara suna di taun, ke baaz ahadith
05:33 me iski ijazat bhi di hai Sarkar ne, ke beghar ijazat istimal kar saktein, to in dono me
05:39 mutabaqat ki kya surat hogi, muafqat ki kya surat hogi, kya rahmat e qanain sallallahu
05:45 alaihi wasallam ki guftugin me baham takrao ho shakta hai, halaki nahi ho sakta, kyunki
05:50 ye to wahye ilahi ki ek surat hoti hai, isliye Quran ko wahye jali kete hain, aur hadith
05:56 ko wahye khafi kaha jata hai.
05:58 Dono Allah ke pegham uta hai, farq yi uta hai, ki Quran me ma'ani bhi Allah ke taraf se
06:03 hote hain, unke liye alfaz ka intikhab bhi Allah ke jaanib se hota hai, jabki hadith
06:08 me jo ma'ana aur maf'oom hain, ya ma'ani aur maf'oom hain, mafahim hain, wo Allah
06:13 ta'ala ke taraf se hote hain, lekin alfaz ka chunao nabiye karim sallallahu alaihi
06:18 wasallam ke ikhtiar ke saath hota hai, hain dono pegham e ilahi, isliye pegham e ilahi
06:23 me takrao ki surat hi nahi bant sakti, isliye ki Allah ta'ala in awarizat e basharia se
06:29 aur naqais se paak o saaf hai, aap ka mera ho sakta hai ki ek waqt me hum koi baat
06:34 beyan karein, agli dafah apni baat ke khalaaf kar rahein, jisse bhool jate hain, kisi cheez
06:38 ke baarein raaye qaim kartein hain, toh mutazaad raaye qaim ho jatein hain, aisa Allah ta'ala
06:43 uske rasool ke kalam me nahi ho sakta, lekin agar bazahir ho, toh phir hume kya karna chahiye,
06:49 wo wo main aapko arz karta hu, toh ye hadith hai sunan e Abu Dawood ki, hazrat e Samura
06:55 bin Jundab radhiya Allah ta'ala anhu beyan karte hain, ki nabiye karim sallallahu alaihi
06:59 wasallam ne farmaya ke jab tum me se koi shakhs kisi ke muaishiyon ke paas jaye, agar
07:04 unka malik maujood ho, toh wo usse ijazat talab karein, agar wo ijazat de de, toh inka
07:10 dood nikaal kar pee lein, agar waha unka malik maujood na ho, toh teen martaba aawaz de,
07:16 yaani malik ko pukaarein, agar koi jawab de toh usse ijazat talab karein, warna, yaani
07:21 kar aawaz ka jawab me kuch na ho, toh dood nikaal kar pee lein, aur le kar na jayein,
07:28 toh ab inme kya bazaahir tatbeeg ki surat hai, toh ab hota ye hai, ke jab aayat me, hadith
07:34 me, do aayat ke darmian, do hadithon ke darmian, baham takrao nazar aata hai, aur dono hi,
07:40 matlab Quran toh hai mustanad zaraay se, hadith bhi aisi hai, ke uske raavi qavi hain, toh
07:46 siqah raavi hain, toh fir kya karein, fir tariqah kaar ye hota hai, ke koi aisa maana
07:51 aur mafoom liya jaye, ke ispar amal bhi munkin ho, ispar bhi, ye bhi sahi ho, aur ye bhi,
07:57 aisa na ho ki hum takrao ke jay se, ek ko qabool karein, ek ko ghalat qarar denein, aisa
08:01 na hi hota, ye uss waqt hota hai, ke jab ek taraf, jaise Quran me toh nahi hoga, hadithon
08:06 me jaise, bahuti qavi kisam ke raavi hain, ek taraf, aur dosi taraf kamzor hain, toh
08:11 am kamzor ko chhod denge, kamzor wali hadith, aur qavi wali le denge, deki jab dono qavi
08:16 hon, toh usme tariqah ye hota hai, ke koi maana mafoom aisa le le, ke dono me, dono
08:20 par amal munkin ho sake, toh ab ye hai, jo pehla sarkar ne firmaaya, ke ijazat ke
08:25 bighayr dood na nikaale, usse murad hai, ke jab malik maujood ho, ya ustak rasai ho
08:30 sakti ho, aur dosra jo hai, uske ijazat ke bighayr nikaale, usse waqt hai, jab malik
08:34 maujood na ho, aur dood ke istimaal ki sakht haajat ho, isliye firmaaya, ke le kar na jaa,
08:40 yani chori ki maazallah ko ijazat nahi di jaari, jaise misaal ke taurat, ek aadmi safar
08:44 kar raha hai, khaani peene ka saamaan uske paas nahi hai, bhoog shadid tarin ho chuki
08:49 hai, usko jaan jaane ka khauf hai, ya safar ab jaari nahi rak sakta hai, toh baqadr-e-zurood
08:55 wo dood pii sakta hai, taake jaan bacha jaa sakay, ya waqti mashqqat se mahfooz raha jaa
09:01 sakay, iske ilaawa gar surat-e-haal ho, toh chahe malik maujood na ho, intizaar kare,
09:06 pehle malik se pooche, aur phir dood nikaale, ab dekhen dono hadithon me baham tatbeeg ho
09:11 gayi hai, agli hadith ki taraf aate hain, baab qaim kiya hai, baabun idha jaa sahib
09:17 luktaati baada sanatin raddaha alaihi, li annaha wadi'atun indahu, yaani jab lukta
09:24 ka malik ek saal ke baad aaye, toh lukta uthaane wala, lukta usko wapas kar de, kyunki lukta
09:32 uske paas amanat hai, jo naye shamil hone wale hain, unke liye arz kar deta hu, ke lukta
09:38 giri padi cheez ko kaite hain, jo hamein roodon pe mil jati hai, raste me mil jati hai, usko
09:43 shari istila hamein lukta kaha jaata hai, aur is hadith se, wohi pichli hadith hai, is
09:48 hadith me bhi wohi mazmoon bayan hua, ke agar kisi ko koi cheez milti hai, aur hamein ghalib
09:52 guman hai, ke ye musalman bhai ki hai, toh samajh lein ki woh hamaari milkit nahi ban jayegi,
09:57 woh musalman ki hai, agar aapko mashqqat maansuz ho, ke uthaakar musalman tak pohnchana muskil
10:02 hai, toh chhod de usko, lekin agar aap utha lete hain, toh apni milk me karne ki niyat
10:08 se na uthaay, wana ye haram hoga, barke is niyat ke saath uthaay, ke chalein main ailaan
10:14 karke iske maalik tak pohncha dunga, fir hadithon mein ek saal, do saal, teen saal ki muddat
10:19 bayan hui, lekin fuqaha-e-ahnaaf ne jo andaza lagaya, jo nateejan nikaala, wo yehi hai,
10:25 ke itni der tak ailaan karein, ke us shay ka maalik uske talaash se mayoos ho chuka hoga,
10:31 yani aamare guman me aaye, ke ab mayoos ho gaya hoga, fir agar hum khud mustahik hain,
10:35 kuch khud rakh lein, warna uski taraf se sadqa kar de, aur ye aapko samjhahi diya tha, ke
10:40 ye maaliyat ke aitbaar se mukhtilif ho sakta hai, agar khaane peene ki kuch cheeze hai,
10:44 jaise phal fruit waghara toh foran hi kharab ho jayega, usko foran use kar sakte hain, aur
10:49 paisa waghara hai toh tabeel arse tak, aur agar gold hai, toh gold ke liye utne arse tak
10:54 ke uska maalik andaza hoga, yani andaza hum karne ki koshish karenge, ke kap tak iski
11:00 aajat karega, toh ye maaliyat ke aitbaar se, amari ye jo shoshar fikar ke nateeja hai,
11:06 mukhtilif ho sakta hai, aise hi, jab aapne ailaan karna hai, toh kis tariqah se karna
11:12 hai, uske liye fuqaah ne likha, ke jo aapke ataraaf me ailaan karne ka ek tariqah hai,
11:17 jaise baas masajid me ailaan ho jayate hain, yaa markets waghara me ailaan ho jayate hain,
11:21 yaa koi poster waghara laga diya jayata hai, ke bhi jiski cheeze gumi ho nishani bata
11:25 kar le jaye, us tariqah se ailaan karna hota hai, wahi hadith ab dekhein dabara zikar ki
11:31 hai, 2436 number hadith pak hai, hazrat zaid bin khalid radiya Allah ta'ala anhu beyan
11:38 karte hai, ek shahs ne rasool Allahi sallallahu alaihi wasallam se luqta ke muta'alik sual
11:44 kiya, aapne isse firmaaya, ek saal ailaan karo, fir iske thaili aur iske doori ko zihan
11:52 kar lo, fir isko kharj kar lo, pas agar iska maalik aaye to usko ada kar do, yaani agar
11:59 na aaye to theek hai, fir kharj kar liya kar liya aur aagaya to fir tumhe dena padega,
12:04 muslimanon ne arz ki yaa rasool Allahi sallallahu alaihi wasallam, agar wo bakri ho, aapne ishaat
12:10 firmaaya, ki usko pakar lo, kyunki wo tumhare liya hai, yaani agar maalik na aaya, to tumhare
12:16 liya, yaa tumhare bhai ke liya hai, yoo surat me ke maalik aagaya, to uske hawale kar do,
12:21 yaa bhediya ke liya hai, yaani agar tumhe ne chhod diya, to bhediya utha ke le jayega,
12:26 to us doar me, chunki Mekke me, Madina me, is tarah ke muaamlaat the, ki janglaat waqara
12:32 the, aur iski samke jaanwar hote the, jo aap to uska tasoor nahi hai, to sarkar ne ishaat
12:37 firmaaya, ki chhodoge, to bhediya le jayega, iska matlab utha lo, ailaan karo, na aaye,
12:42 to tum istimal karo, warna musliman bhai ko de dena, fir us shaks ne arz ki ya rasool
12:48 Allah, pas agar wo oot ho to, to rahmat e kaunain sallallahu wasallam ghazab me aagay,
12:53 hatta ke aapke dono rukhsar surkh ho gaye, yaa raabi ne yoo kaha, ke aapka chehra-e-anwar
13:00 surkh ho gaya, aapne firmaaya, ki tumhe oot ke mutaallik kya tashfeesh hai, uske saath
13:05 uska khur hai, aur iske paani ki mashk hai, hatta ke uska maalik usko mil jayega, yaani
13:12 oot ek bada bada jaanwar hai, bhediya karib aayega nahi, aur door se yeh numaya toorpe
13:18 nazara jaata hai, aur umumi toorpe jisse bakri khaana peena naa mile to jaldi halak ho jaye,
13:22 oot ke saath aisa maamle nahi hai, iske saath iske pair hai, bohot door door tak safar
13:27 karke paani pee sakta hai, to uske mutaallik question na karo, aur yeh pehle main aapka
13:31 bata chuka hun ki azahar-e-ghazab mein, isliye nabiye karim sallallahu wasallam tashreef
13:36 laaye, ki aap ghair zaruri questions ko mahboob nahi rakha karte the, aap chahate the ke
13:42 bas to the point guftu guh ho, aur ek masla samjha diya, to uske mutaabik, peh bohot zyada
13:47 kuredna, bohot zyada baat ko tabil karna, yeh aap ke liye na pasandida tha, aur yeh bhi
13:53 main ufzahat kar chuka hun, ke baaz uqat aisa hota tha, ki agar koi zyada kuredega, to
13:57 sarkar sallallahu wasallam yeh chahate the, ke ummat ke liye aasani raye, yeh na kurede,
14:02 to aasani hogi, ke mukhtarish suratin samne aayenge, wo khud faisla kar lenge, yaar yeh
14:07 sarkar ne clear nahi kiya hai, chalo yeh ikhtiyar kar lo, yeh yeh ikhtiyar kar lo, choices
14:11 hongi, lekin jab usko end tak pahuncha denge, aur khud nabiye karim sallallahu wasallam
14:16 uske suratin mutaayyan kar denge, to ab jaanib-e-mukhalif ko to istimal nahi kar sakte, ab wo bilkul
14:22 muqayyad ho jayenge, aur isse zindagi tang ho jayenge, ispe maine kaafi kalam kiya hai,
14:26 pishli episodes mein aap sun sakte hain.
14:29 Agal-e-baap pe aate hain, baabun hal yaakhud-ul-luqtata wala yada'uha, ta'di'u-hata la yaakhudaha
14:35 malla yastahik, luqta ko utha lene ka baab, aur usko zaya hone ke liye na chhode, hatta
14:43 ke usko ghair-e-mustahiq na utha le.
14:46 Yani, isme istihbaab ka bayan hai, ki agar ek luqta pada hai, aap pe wajib nahi hai
14:52 usko utha ke malik tak mahunchaayen, lekin mustahab aur afzal yeh hai ke utha le, apne
14:57 musalman bhai ke liye thodi si mashqat bardaash kar le, to iska aapko sawab milega, warna
15:02 aap nahi uthaenge, to koi aur utha ke le jayega, aur ho sakta hai wo mustahiq bin na ho, aur
15:07 sharai taqazi poore na ho, yung ek musalman bhai ke amanat zaya hogi, aur yeh shaz gunaagar
15:13 bhi hoga, kisne utha lena behtar hota hai.
15:16 Ispe hadith le kara hain, 2437 number hai.
15:21 Hazrat-e-Suwaid bin Ghafalah radhi Allahu ta'ala anhu, iske raabi hai.
15:27 Yeh bayan karte hai ki main Salman bin Rabia, aur Zaid bin Suhan, radhi Allahu anhuma,
15:34 ke saate ghazme tha, to mujhe ek chaabuk mila, hunter.
15:38 Unhone kaha yeh mere taraf thek do, maine kaha ki nahi, lekin agar mujhe iska malik mil gaya
15:44 to main usko yeh dedunga, warna main khud isse faida uthaunga.
15:49 Pas jab hum wapas huye to humne haj kiya, fir main Madina ke paas se guzra to maine
15:54 Hazrat-e-Ubay bin Ka'ab radhi Allahu ta'ala anhu se sual kiya, yehne aise hi iske hunter ke baare mein.
16:00 To unhone bataya ki Nabi-e-Karim Sallallahu Sallam ke ahad mein, unhe ek theli mili thi,
16:05 jismein saudhinaar the.
16:07 To main Nabi-e-Karim Sallallahu Sallam ke paas wo theli lekar gaya,
16:11 aapne firmaaya ki iska ek saal tak ailaan karo, to maine uska ek saal tak ailaan kiya.
16:17 Main fir gaya to aapne firmaaya iska ek saal tak ailaan karo,
16:21 kyuki suni ke ashrafiya thi aur Sarkar ko guman tha ki iska malik chain se nahi bethega,
16:26 ek saal bhi guzar gaya tab bhi uske zain mein iska theli ka gham hoga aur kabhi na kabhi zarur talash karega.
16:32 To maine uska mazeed ek saal tak ailaan kiya.
16:35 Fir main gaya to aapne firmaaya ki iska ek saal tak aur ailaan karo,
16:40 to maine uska ek saal tak aur ailaan kiya.
16:42 Jab main chauthi baar gaya to aapne firmaaya ki in dinaro ki taadaad ko aur in ki theli ko aur theli ki doori ko zain nasheen karlo.
16:51 Fir agar iska malik aaye to usko dedho, warna isse tum khud faida uthaao.
16:57 To isliye khulasa yehi hai ki padhiwi cheez ko yeh soch ke uthaale na ki meri neki kaam aagayi,
17:04 yeh Allah ne ghaib se meri madad kardi.
17:06 Inna na namas padhe, na roza rakhe, guna koi na chhode, lekin ghaib se madad hori, jaise bahut bada Allah ka wali hai.
17:12 To yeh sochna chahiye bharal, to usko uthaake malik tak pohunchane ke qasad irada hona chahiye.
17:18 Inshallah next program mein mazeed aage chalenge, aap khud bhi program dekhiye,
17:23 doosron ko dekhne ki tarqeeb dejiye.
17:25 Wa akhiru da'awana anil hamdu lillahi rabbil alameen.
17:28 Allahuma salli ala Muhammadin wa ala alihi wa sahbihi wa sallim.

Recommended